Hazrat Aadam Alayhis Salaam

Hazrta Aadam alayhis

>➤ Jism E Aadam Alayhis Salaam ke liye Mitti li gayi Aur Rooh Kabj Karne ke liye Hazrat Izraail Alayhis Salaam hi kyu Aate he :-

Hazrat Aadam Alayhis Salaam ke Jism Athar ki Takhliq ke liye Mitti Lane ke liye Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko Jamin par Bheja gaya, Aap jab Tashrif laye To Zamin se Mitti lene ka Irada kiya to Zamin ne Badi Aazizi se Arz kiya
“Meri Mitti se Bannevale Shaksho ne Agar Khun-Rejiya ki Ya Wo Zaraham ki Vajah se Jahannam me gaye to Muje Taklif Hogi”

Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Zamin ki Aazizi ko Deikh kar Wapish Chale gaye, Aur ALLAH TA’ALA ko Tamam Manjra Baya kar diya, Is tarah Israafil Alayhis Salaam bhi Aakar Wapish Chale gaye, Aur Mikaail Alayhis Salaam bhi Aakar Wapish Chale Gaye, Un Ke Baad Izraail Alayhis Salaam Aaye, Unki Khidmad me bhi Zamin ne Wahi Aazizana Guftagu ki, Leqin Aap ne Kaha ki me Teri Baat Taslim karu, Ya ALLAH TA’ALA ke Huqm Par Amal karu…??

Muje ALLAH TA’ALA ka Huqm he Isliye mene to Mitti Jarur hi le kar Jana he, Aap ne Zamin ki Aazizi ki Taraf koi Tawajjo Nahi di Balqi Irsaad Baari Ta’ala ke Mutabik Jamin se Mitti le kar RAB TA’ALA ki Baargaah me Hajir ho gaye,

 

Is Wajah se ALLAH TA’ALA ne Rooh Kabj Karna bhi Unke(Hazrat Izraail Alayhis Salaam ke) Supurd kiya ki Aysha na ho ki Zibrail, Mikail, Israafil, Alayhis Salaam me se kishi ke Jimme Lagaya to Rooh Kabj karne ke liye Jaye to Uski Ikraba ko Route hue Paa kar Is Tarah Choud kar na Aajaye.

(Tafsire Azizi, Shah Abdul Aziz Mohaddish Dahelvi Rahmatullahe Alay, Safa-207, 

Tazkirat ul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-51)

>➤ Zamin par Nehro Aur Chasmo ki Peidaish :-
ALLAH TA’ALA ne Jab Hazrat Aadam AlayheSalam ko Peida karne ka Irada Farmaya to Zamin ko bataya ki me Tuj se Apni Ek Makhluq Peida Karnewala hu, jo Meri Mut’aiya honge Unko me Jannat me Dakhil Karunga Aur Jo Mere Na-Farman honge unko me Jahannam ki Aag me Daal dunga,
ye Sun kar Zamin ne fir Puchha
Ay ALLAH Mujse Peida Honewali Makhluq Jahannam ki Aag me Jaenge…??
RABB TA’ALA ne Farmaya Ha..
To Zamin itna Royi ki Us ke Rone se Chasme Jaari ho gaye jo Qayamat Tak Jaari Rahenge.(Tafseer Saawayil Jalalein, Jild-1, Safa-49,
Tazkirat ul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-51)

>➤ Keshi Mitti Li Gayi, Aur Inshaan ke Jism ke Rang me Fark kyu :-
Hazrat Abu Musa As’ari RadiAllaho Ta’ala Anho Se Hadees Marvi he
“Beshak ALLAH TA’ALA ne Hukm Diya ki Tamam Zamin se Ek Mitti le Aao, Is Mitti me Har Kism ki Jarrat kiye gaye Surk Rang, Sufed Rang, Siya Rang, Aur unke Darmiyan Rang Wali Mitti li gayi, is Tarah kuch Mitti Naram Zamin se li gayi, Aur kuch Shakt se, Eyshe hi Teeb va Khbees Mitti ko Samil kiya gaya, Jitni kism ke Rango Wali Mitti Aap ke Jism me lagayi gayi, Aap ki Aulaad me Itne hi Rang Paaye jate he, Aur Is Tarah Koi Naram Dil Aur Koi Shakt Dil, koi Neik Aur Koi Bura,
Baaz Hazrat ne Bayan kiya ki Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Mitti me 60 Kism ke Rang Saamil the Wo Tamam Aap ki Aulaad me Paaye Jate he”.
(Tazkirat ul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-51)

>➤ Inshan ko Khushi Kam Aur Gam Zyada kyu…?? :-
Hazrat Izrail Alayhis Salaam Jab Mitti ko Laye to Unhe ALLAH TA’ALA ne Hukm diya ki ishe Safa va Marva Pahadiyo ke Paas Rakhdo(Yaani Waha Rakhdo jaha Aaj Kaaba Shreef he)
Fir Farishto ko Huqm diya ki ushe Mukhtelaf Paani se Garha banaye, Fir Us par 40 Roj Barish hui, 39 Din To Gam va Ranj ka Paani Barsha Aur Ek Din Khushi ka, Is liye Insaan ko Ranj va Gam Zyada Rehta he, Aur Khushi Kam, Fir Ishi(Mitti ko) Mukhtelaf Hawaao se Khusk karke Khtaknewali Mitti bana kar ALLAH TA’ALA ne Khud Apni Qudrat Kamela se Kalib ko Taiyar kiya.
(Tafseer Azizi, Safa-207,
Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-52)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Surat Deikh kar Faristey Heiraan ho gaye :-
Faristo ne Kabhi eyshi Surat nahi deikhi thi Wo Heiraan ho kar Is ke Ird-Gird Firte the Aur Is ki Khubsurti par Ta’ajub karte the, Iblish ko bhi is ki khabar ho chuki thi, Abhi Tak wo Mardud nahi hua tha, Wo bhi is Kalib ko deikh ne aaya Aur iske Gird fir kar bola
Tum us par Ta’ajub karte ho ye to Andar se ek Khali Jism he,
Jism me Jagah Jagah Suraakh he Aur is ki Kamjori ka ye Haal he ki Agar Bhuka ho to Geer padhe Aur Agar Khoob Sir ho jaye to Chal na Sake, is Khali Kalib se kuch na ho sakega Fir kehne laga
Ha Iske Seene ki Baayi Taraf Ek Bandh Kothri he ye khber nahi ki is me kya he..?
Shayad Yahi Latifa Rabani ki jagah ho Jis ki Wajah se ye Khilafat ka Haqqdar hua ho.
(Tazkirat ul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-52)

>➤ Hazrat Aadam AlayheSalam ke Kalib me Rooh ka Dakhal hona :-
ALLAH TA’ALA ne Rooh ko Hukm diya ki is Kalib me Dakhil ho ja Aur Tamam Hisso me Feil ja,
Jab Rooh Kalib ke Paas Pahonchi to Jism ko Tang-wa-Tarik(Tang wa Andheri) paya to Andarjane se Rook gayi,

Baaz Riwaayat me Aata he ki
Jab Noore MUSTAFA Sallallaho Alayhe Wasallam se wo Kalib jagmaga diya gaya Yani Wo Noor Aadam Alayhis Salaam ki Peishani me Amaanat Rakha gaya,
Ab Rooh Aaista Aaista Dakhal hone lagi, Abhi Sar me thi ki Aap ko Chink Aayi Aur Jaban me Pahonchi to Aap ne “AlhamdoLillah” Padha Aur
ALLAH TA’ALA ne Is ke Jawab me “Yarhamkullah” kaha Aur
ALLAH TA’ALA ne Farmaya ki Ay Abu Mohammad (Abu Al Basar Aap Alayhis Salaam ki kuniyat he) Mene Tumhe Apni Hamd ke liye Peida kiya he,
Jab Rooh Kamar Tak Pahonchi to Aapne Uthna Chaha,
Lekin Aap Gir pade Kyunki Rooh Abhi Niche Wale Hisse me Nahi Pahonchi thi,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya
“Inshaan Jald-Baaj Peida kiya gaya”
Fir Rooh Tamam Jism me Feil gayi to Aap ko Hukm huwa ki Faristo ko Salam karo,
Aapne Kaha
“Assalamu Alaykum”
Faristo ne Jawab diya
“Walekum Assalam”

ALLAH TA’ALA ne Farmaya Yahi Aap ke liye Aur Aap ki AulaAd ke liye Salam ka Tarika hoga,
Aadam Alayhis Salaam ne Arz kiya Meri Aulaad konshi Hogi..?
to Aap ki Tamam Aulaad ko Aap ke Samne kar diya gaya,

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Farmaya
Beshak ALLAH TA’ALA ne Aadam Alayhis Salaam ko Peida Farmaya fir unki Pith par Apna Daste Qudrat Feira Aur Aap ki Aulaad ko Nakal Jahir kiya, Fir Farmaya Mene inko Jannat ke liye Peida kiya Aur ye Jannatwalo ka Amal karenge Fir ALLAH TA’ALA ne Apna Daste Qudrat Aap ki Pith par Feira Aur Aap ki Baaki Aulaad ko Zaaher Farmaya Aur RABB TA’ALA ne Farmaya ki in logo ko Jahannam ke liye Peida kiya gaya he,
Ye Jahannam Wale Amal
(Tafseere Khazin, Jild-1, Safa-46,
Tazkirat ul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-52, 53)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam Jumma ke Din Peida hue :-
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he ki RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ne Mere Hath ko Pakad kar Farmaya ki
ALLAH TA’ALA ne Mitti ko Peida Farmaya (Mitti se Muraad Zamin he) Aur Is me Pahado ko Itwaar ke Din Peida Farmaya Aur Darakhto ko Peer ke Din Peida Farmaya Aur Makruhaat(Masahib Wageira) ko Mangal ke Din Peida Farmaya Aur Coupao ko Zamin me Jumeraat ke Din Feilaya Aur Aadam Alayhis Salaam ko Jumma ke Din Asar ke Baad Tamam Makhluq ke Aakhir me, Din ke Aakhiri Ghadi Asar se Saam Tak ke Darmiyan Peida kiya.
(Tafseer Najavmul Furkaan, Jild-2, Safa-563,
Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-53)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam ka Qad :-
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he ki
HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya ki
Aadam Alayhis Salaam ki Lambai 60 Jarah (Yaani 90 Feet) Aur Aap ki Chodhai 7 Jarah (Yaani 10.5 Feet) thi.
(Miskat Shareef,
Tafseer Najvazul Furqaan, Jild-2, Safa-563,
Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-54)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam ka Ilm :-
Aap ko Tamam Chizo ka Ilm diya gaya Yaani ALLAH TA’ALA ne Apni Tamam Makhlukaat me se Ek Ek Jins Aap ko Dikha di Aur iska Naam Bata diya
Masalan Ghoda dikha kar Bataya gaya ki ishe Ghoda kehte he Aur Unt dikha kar bataya gaya ki ishe Unt kehte he is Tarah ek ek Chiz dikha kar is ke Naam bata diye gaye.
(Tafseer Abu Al Saud, Jild-1, Safa-84)

Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko ye Khushishiyat Haasil thi ki Aap ko Tamam Chizo ke Naam Har Jaban me bata diye gaye the Aur Wahi Zabani Aap ki Aulaad me Paai jati he.
(Tafseere Madarik, Safa-25,
Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-46)

Yani Ek Chiz ka Naam Aapko Har Jaban me bataya jo Jaban me Ijaad hone the Aap ko Unka Ilm pehle hi Aata kar diya gaya.

Jab Hazrat Aadam AlayheSalam ko Har chiz ke Naam Har Jabaan me Shikhaye gaye to SAIYDUL AMBIYA HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Ilm ka Makam kya hoga…


>➤
 Faristo ko Hazrat Aadam Alayhis Salaam ke Samne Sajda ka Huqm :-
Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Takhliq se Pehle hi ALLAH TA’ALA ne Farishto ko Huqm de rakha tha ki Tum he Mere Khlifa ke Saamne Sajda karna he, Aadam Alayhis Salaam ki Takhliq ke baad Farishto par Tamam Chizo Ko Peish karke unke Naam puche, Jab Faristo ne Apni Aazizi ka Izhar kar diya, To Fir Aadam Alayhis Salaam se pucha Aapne Tamam Chizo ke Naam Bata diye to Fir Huqm Diya,

Irshaade Baari Ta’ala he
“Aur Yaad karo Jab Hamne Faristo ko kaha Aadam Ko Sajda karo, Sabne Sajda kiya Siway Sheitan ke Usne Inkaar kiya Aur Takabbur kiya Aur wo Kafiro se ho gaya”
(Surah Bakra)

Farishto ko Sajda Taazimi ka Huqm diya gaya,
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Samne Aap ke Bhaiyo ne Tazima Sajda kiya,
Hamaare NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Shariyat me Sajda Taazimi Haram karar diya gaya,
Ibaadat ke Garaz se Sajda Siway ALLAH TA’ALA ke kishi Shariyat me Jaiz nahi,

“Taham Fir bhi Sabse Pehle Sajda Hazrat Zibrail Alayhis Salaam ne kiya fir Mikaail Fir Israafil fir Izraail Alayhis Salaam ne fir Tamam Farishto ne,
is liye Hazrat Zibrail Alayhis Salaam ko Sabse Bada Darja Ataa kiya gaya Yaani Ambiya e Kiraam Alayhis Salaam ki Khidmat unke Paas Wahih Lane ka Azeem kaam unke Supurd hua”.
(Tafseer Khajaainul Irfaan)

Baaz Hazrat ne kaha ki Sabse pehle Sajda Hazrat Israafil Alayhis Salaam ne kiya is liye Unki Peishani par Sara Quraan Sareef likh diya gaya.
(Roohul Bayan, Jild-1, Safa-141)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-56)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko Sajda karne ka Sabab kya tha :-
Agarche Jahiri Tour par Sabse pehle Khlifaa Hazrat Aadam Alayhis Salaam he lekin Dar Haqiqi Sabse pehle Khlifa Hamare NABI E KAREEM HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam he kyu ki Aap ka Apna Irsaade girami ye he
“Me us Wakt bhi NABI tha Jab Aadam Alayhesalam Rooh Aur Jism ke Darmiyan the”
(Abu Naeem, Tabkaat ibne Saeed,
Tibraani, Jamiul Sageer, Jild-2, Safar-96)

“Hazrat Jibrail Alayhesalam ALLAH TA’ALA ke Huqm se NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Roza e Anwar ki jagah se Mitti li gayi, Aabe Tasneem se ushe Gonda gaya, Jannat ki Nehro me Goute diye gaye Zamino Aasmano me Firaya gaya, is Wajah se Hazrat Aadam Alayhis Salaam se pehle hi Faristo ne NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko pahechan liya tha, fir is Mitti ko Aadam Alayhis Salaam ke jism se Mila diya gaya Aur NOORE MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam se Aadam Alayhesalam ki Peshani ko chamkaya gaya”
(Taksh Tafseere Sa’aabi, Az khlasatul Tafaseer, Jild-1, Safa-25)

Wahi Noore MOHAMMOAD Salllallaho Alayhe Wasallam DarAsal Faristo se Sajda karane ka Sabab Bana tha,

Imaam Raazi Rahmatullah Alay ne Tafseere Kabeer me Farmaya
” Beshaq Faristo ko Aadam Alayhis Salaam ko Sajda Karne ka Huqm is liye diya gaya ki Aap ki Peishani me HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ka Noor Rakha gaya tha”
(Tafseere Kabeer, Jild-2, Safa-455)

Allama Aalushi Rahmatullah Alay farmate he
“Yaani Dar haqiqat HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam hi ALLAH TA’ALA ki Makhluq me ALLAH TA’ALA ke Khalifa e Aazam me Aur Zamino Aur Buland Aasmano me Sabse Mukaddam Imaam HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam hi he Agar HUZOOR sallallaho Alayhe Wasallam na Hote to na Aadam Alayhis Salaam peida hote na Inke Alawa koi Aur Cheez”
(Roohul Ma’ani, Jild-1, Safa-218)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-55, 56)

>➤ Iblish Taqabbur ki Wajah se Mardud ho gaya :-
ALLAH TA’ALA ke Huqm se Inkar ki wajah Iblish ka Taqabbur tha, Jab RABB TA’ALA ne us se Puchha ki Tune Sajda kyu nahi kiya, Halanki Mera Huqm tha…??
To usne Jawab dete hue ye kaha..
“Me Usse Behtar hu kyunki Tune Muje Aaag se Peida kiya Aur Ushe Mitti se”
(Surah A’araf)

Yaani jo Shaan ke lehaj se bada ho wo Gatya ke Saamne (MaazAllah) Sajda Nahi karta,
Iblish Haqiqat me Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Shaan ko Samajne se Kaasir raha, Us se ye Ma’alum na ho saka ki ALLAH ke NABI ki Shaan Faristo se Buland Hoti he,

RABB TA’ALA ne Irshaad Farmaya,
“Tu Jannat se Nikal ja, Tu Mardud he Aur Beshaq Qayamat Tak Tuz par La’anat he”
(Surah Hajr)

Kai Saalo Tak Ibaadat karnewala RABB ka Mukarrab NABI ki Shaan me Gustakhi karne se ek Pal Bhar me Mardud ho gaya, Jannat se Nikal diya gaya, Qayamat Tak La’anat ka Mustahkik Thehra diya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-58)

>➤ Shaitaan ki Darkhwast Aur Uski Mout :-
“Bola Muje Furshat de us Din tak ki Loug uthaye jaye, Farmaya Tuje Mohallat he, Bola Tu kism iski ki Tune Muje Gumraah kiya Me Jarur Tere Shidhe Raste par Unki Taak me Bethunga,
Fir Jarur me unke paas Aaunga Unke Aage Aur Unke piche Aur Unke Dayne Aur Unke Baaye se Aur Tu un me se Aksar ko Sukrgujaar nahi payega”
(Surah A’araf)

Shaitaan ye Mohallat logo ke uthaye jane tak Talab karna Chahta tha ki Mout ki Shakhti se bach jaye, Leqin Shaitaan ki ye Baat to na maani gayi, Ab bhla pehli Martaba Soor Funk ne tak usko Mohallat di gayi,

Pehli Martaba Soor Funk ne par Shaitaan bhi Marjayega Albatta Us Waqt Tak Ushe Mohallat he ki wo Charo Taraf se Ghera Daal kar Insaano ke Dilo me Waswase dalta rahe Aur unhe Baatil Raah ki taraf Maail karta rahe Aur Kuch Logo ko ita’at se Roke Aur Gumraahi me Daal sake,
Agarche Saitaan ki Sabhaat Aur Badaiyo me Waaki karne ka Pakka Irada kar chuka tha Aur ushe Ummid bhi thi ki wo Apni Maqshad me Kaamyaab hoga leqin fir bhi usne kaha ki Tu in me se Aksar ko Shukr Gujaar nahi payega, Dusre Makam par Shaitaan ne Neik logo par Apna Daav chlane se Aaziz hone ka yu Zikr kiya,
“Bola Ay RABB Meri Kism iski ke Tune Muje Gumraah kiya Me unhe Zamin me Bhlaave Dunga Aur jarur me un sab ko Be-Raah karunga Magar jo unme Teire chune hue Bande he”
(Surah Hajr)

Shaitaan ne kaha ki me Logo par Bure Aamal Achhe Aur Majin karke peish karunga is tarah wo mere behkaane se Sidhi raah Hat jayenge, Albatta Ay ALLAH Tere Neik Makhlus Aur Bargujida Bando par Meri Dargulane ka Koi Asar nahi hoga,
ALLAH TA’ALA ne Bhi Shaitaan ko bata diya tha,
“Beshaq Jo mere Bande he un par Teira kuchh kaabu nahi”
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-58, 59)

>➤ Hazrate Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Paidaish :-
Jab Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko Faristo ne Sajda kiya Aur iblish inkaar va Taqbbur ki wajah se Mardud ho gaya to Aadam Alayhis Salaam jo khaak se peida hue the Aapka Jannat me koi Ham Jinsh na tha,
kyuki Farishto ne Alayhidaah Jinsh the is liye ALLAH TA’ALA ne Aap par Nind ko Musallat kiya,
Fir Aap ki Baayi Pasali se Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko peida kiya Aur uski jagah Gost rakh diya gaya,
Jab Aadam Alayhis Salaam Bedaar hue to Aap ne Apne Sar ke Paas Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko Beithe hue paya
Pucha ki Koun ho…??
Unhone kaha ki Me Aurat hu,
Fir Aapne kaha Tumhe kyu Peida kiya gaya….??
to Unhone Arz kiya Taaki Muzse Sukun Hasil karo,

Faristo ne Hazrat Aadam Alayhis Salaam ke Ilm ka Imtehaan lene ke liye pucha ye Koun he..??
Aap ne Farmaya ye Aurat he,
Fir Unhone pucha Ishe Amraat(Aurat) kyu kaha gaya he…??
To Aapne Farmaya Kyuki ye Marra(Mard) se Bani he,
Fir Unhone Sawal kiya is ka Naam kya he..??
Aap ne farmaya Hawaa,
Fir Unhone kaha is ka Naam Hawwa kyu Rakkha gaya…??
Aapne Farmaya ki Zinda chiz ko ‘Hey’ kaha jata he, ye bhi Zinda se Peida hue is liye iska Naam Hawwa Rakha gaya”

Ek Riwaayat ke Mutabik Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Peidaish Faristo ke Sajdo ke Baad Jannat me hue Aur Dusri Riwayat ke Mutabik Hazrat Aadam Alayhis Salaam ka Jism Zamin me Taiyaar kiya gaya Aur us me Rooh ko Dakhal bhi Zamin me hi kiya gaya Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Peidaish bhi Jameen par hi hui fir Dono ko Jannat me le jaya gaya.
(Roohul Ma’ani, jild-1, Safa-233, 234)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-62)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam ka Nikaah Aur Maher :-
Jab Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko Peida kiya gaya to Hazrat Aadam Alayhis Salaam ne Unki Taraf Milaan karna Chaha Aur iraada Farmaya ki Daste Mohabbat badaye,
To Faristo ne kaha, Ay Aadam Thehar jaav Pehle ‘Mehar’ Aada karo,
Aap ne Farmaya Wo ‘Maher’ kya he…??
Faristo ne kaha ye ki Tum NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam par Doorud Padho..
(SubhanAllah)

Ek Riwaayat me 3 Martaba Aur ek Me 17 Martaba Doorude paak Padhne ka Huqm diya gaya, Yaani Is Masle me Ittefaak he ki Aadam Alayhis Salaam ka Maher Yahi tha ki NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam par Doorud Paak padhe, Aap ne Doorud Padha Aur Faristo ki Gawahi se Nikaah hua..
(Hasiya Jalalein, Safa-8)

Dusri Riwaayat ke Mutabik Hazrat Aadam Alayhis Salaam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko Nikaah ke Baad Fariste Sone(Gold) ke Takht par Bitha kar is tarah Jannat me le gaye, Jis Tarah Baadshaho ko Ijjat ke Khatir utha kar le jate he, Goya ki Baarat ke Wapishi par Faristey Sonheri Doli me Dono Miya-Bibi ko Utha kar la rahe he.
(Roohul Ma’ani, Jild-1, Safa-234)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ka Darkht ko khana :-
Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko Jab Faristo ne Sajda kar liya to Aap Aur Aap ki Zowja(Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha) ko Jannat me Rehne ka Huqm hua Aur Irshaad hua ki Aap yaha jo Chahe Ba-faragat khae leqin Us Darkht ke Qarib Na Jaaye Aur Irsaade ILAAHI he ki
“Aur us Darakht ke Qarib na Jana ki Hadd se Badnewalo me se ho jaoge”
(Surah Baqra)

➦ Sheitaan ka Waswasa :-
“Sheitaan ne Unhe Is Dakht ke Zariye Fislaya Aur jaha woh rehte the waha se unhe Alag kar diya”

(Surah Baqka)

Hazrat Aadam Alayhis Salaam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ke liye ye Huqm tha ki us Darkht ke Qarib Na jana, Sheitaan ne unshe Us Farmane ILAAHI ki Na-Farmaani Karana Chaha Isliye Waswase ki Jaban me dono se kaha ki me Tumhe Aysha Darakht na Dikhau jiske khane se tum Hamesha Jannat me Raho Aur Tumhi Aysha Badshah Nasib ho jaye jis me Kabhi kishi kism ki Kamjori peida na ho,

Shaitaan ne unke Dilo me Baar baar Waswasa Peida kiya Aur Waswase ki Jaban me Kism Kha kar Unko Kaha ki me Tumhara kheir-khwah hu us Dakht ke Khane se Tumhare RABB ne Sirf Is liye Tumhe Rouka ki Tum Faristey na ho jawo Ya Hamesha Tumhe Jannat me Rahena Nasib na ho jaye,

Aakhir kaar Dhoke se Unhe Is Darkht ke khane par Aamda kar liya Aur Hazrat Aadama Alayhis Salaam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ne Darkht se kha liya Aur Khate hi Unka Jannati Libaas Unse Utar gaya Aur Jannati Darkhto ke Patto se Apne Apne Jismo ko Dhanpa, Aur Wo Jannat se Jamin ki Taraf utaar diye gaye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-65)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ka Zameen par Tashreef lana :-
Hazrat Aadam Alayhis Salaam Sarandip(Sri Lanka) me Utare gaye Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko ‘Jidda’ me Aur Sheitaan ko pehle hi Duniya me Utaar diya gaya tha.

(Roohul Maani, Jild-1, Safa-236)

Hazrat Aadam Alayhis Salaam Jab Zameen par Tashreef laye to Aap ka Jannati Libaas Utaar liya gaya tha Aur Jannat ke Darkhto ke Patte Apne Jism par Dhanp kar Tasrif laaye,
Hazrat Ali RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he ki Hindustan ki Zameen is liye Umda Aur Hari bhari Loung(laving) Wageira Is liye Waha par Peida hote he ki Hazrat Aadam Alayhis Salaam Jab is Zameen par Aaye to Unke Jism par Jannati Darkht ke patte the wo Patte Hawa se Ud kar Jis Darkht par Pahonche wo Hamesha ke liye Khusbudaar ho gaye.
(Tafseere Naimi, Jild-1, Safa-284)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-74)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam Jannat se kya laaye :-
Hazrat Aadam Alayhis Salaam Jannat se Mukhtelaf Qism ke Biz Aur 3 Qism ke Fal Aur Hazre Aswad(Saya Patther jo khana e Kaba me laga huwa he) Aur wo Asa jo Baad me Hazrate Musaa Alayhis Salaam ke Hath Aaya jis ki Lambai 10 Gaj thi Apne Sath le Kar Aaye the Aur kuchh Sona, Chandi, Aur kuchh Kheti Baadi Wageira ke Aujaar bhi Sath laye,

Hazrat Aadam Alayhis Salaam is Kadr Girya va Jaari me Masgul hue ki Un Takhmo se bekhabar ho gaye, Seitaan ne Mouka pa kar unko Apna Hath Laga ya Jab Takhm par uska Hath laga wo Jehrila ho gaya jo us ke Hath se mehfuz raha uska Nafa Barkarar raha,

Saiyyedna Aadam Alayhis Salaam ke Sath 3 Qism ke Jannati meve Aaye,
1 wo jo Pure Kha liye jate he,
2 wo jinka Upar ka Hissa kha liya jata he Aur Gutli Fenk du jati he, jeishe Khjoor, Aam Wageira..
3 wo Jinka Upar ka chilka Feink diya jata he Aur Andhuni Hissa kha liya jata he.

Riwaayat me he ki Unke Sath Lohe ki Aujaar bhi the
1 Saanshi jise Loha pakadte he
2 Hathoda,

Hazre Aswad Jab Jannat se Aaya to uski Roshni kai Meel tak jati thi Jaha uski Sa’aayi Pahonchti thi us Hadd tak Haram Shareef ki Hadde Kayam hui.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-75)

>➤ Naame MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam se Dil ko Tassalli :-
Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko Duniya me Aakar Bahot Wahesat Aur Ghabhrahat hui, Hazrat Zibrail Alayhis Salaam Bahukme ILAAHI Zamin par Aaye Aur Buland Aawaz se Azaan kahi,
Jab Hazrat Aadam Alayhis Salaam ne Azan me HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Naam suna Tab Unki wo Wahesat Door hui,
(Tafseere Azizi)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-75)

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam ka Zariya e Ma’aash :-
Tafseere Azizi me he ki Sabse Awwal Kapda Bunne ka Kaam Aadam Alayhis Salaam ne kiya Aur Baad me Kheti-baadi ke kaam me Mashgool rahe,


Hazrat Aadam Alayhis Salaam ne Kuwe ka Paani kabhi nahi piya Balqi Aap Hamesha Baarish ka Paani Piya Karte the, Aur Sab se Pehle Aadam Alayhis Salaam ne Chandi Se Rupe Aur Sone se Ashrafiya banayi.
(Tazkiratul Amabiya Alayhis Salaam, Safa-76)

>➤ Hazrar Aadam Alayhis Salaam ki Touba :-
“Fir Shikh liye Aadam ne Apne RABB se Kuch kalme to ALLAH TA’ALA ne uski Touba Kabool ki Beshaq Wohi hey Bahot Touba Kabool Karnewala Maherbaan
(Surah Bakra, Aayat-37)


Wo Touba ke Kalamat kya the, Ahle Ilm se Chand Aqwaal Mankoul he
1) “Rabbana Zalamna Anfoshna Wain lam Tagfirlana Warhamna lanakkunanna Minal Khasereen”
2) “Subhanakallaahumma Wabehamdeka Watamarakasmoka Wa Ta’ala Jaddoka Walaillaha Geiruk”
3) “Subhanakallaahumma Wabehamdeka Amilto Su’an Wazlamto Nafshi Fagfirli innka Kheul Gaaferin”
4) Ek Qoul ye he ki Aadam Alayhis Salaam ne Saat Arsh par MOHAMMAD RASOOLLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam likha hua deikha to unhone ishi ism Mubarak ko Apni Safa’at ka Zariya banaya
(Tazkiratul Ambiya Aadam 
Alayhis Salaam, Safa-77)

4the Qoul ke Mutaabik ye Hadees he
HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Jab Hazrat Aadam Aadam Alayhis se khtaa hui to Hazrat Aadam Aadam Alayhis Salaam ne Arz ki
“Ay Mere RABB AZZWAZAL me MOHAMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waseele se Tuz se Maafi ka Talabgaar hu”
ALLAH TA’ALA Ne Irshaad Farmaya Ay Aadam Tune MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) ko Keishe jana Halanki Meine Unhe peida bhi nahi kiya to Aadam Aadam Alayhis Salaam ne Arz ki Ay mere RABB AZZAWAJAL Jab Tune Muje Apne Daste Qudrat se Peida Farmaya Aur mere Andar Rooh Daali to mene Apna Sar Uthaya Aur Arsh ke paayo par
“Laillaha Illallah Mohammadur Rasoollallah”
likha hua deikha to Mene Jaan liya ki Jis ka Naam Tune Apne Naam ke Sath joda he Yaqinan Makhluqaat me se Jyada Aziz he,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya Ay Aadam Tune Sach kaha Beshaq wo (Yaani HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam) Muje Makhlukaat me se Sab se Zyada Pyaare he Tumne Ushi Mehbub ke Waseela se Muje pukara pas Mene Tumhe Maaf Farma diya Aur Agar MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) Na ho te to Me Tuze Peida na karta”
(Al Mustadrak, Khsasul Kubra, Mawahibbul Laduniya)

Subhan Allah,


>➤ Hazrat Aadam Aadam Alayhis Salaam ki Touba Kis Din Qabool hui :-
Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Touba Jumma ko Qabool hui, Aap ki Peidaish Aur Jannat se Bahar Tashreef lana bhi Jumma ka Din hi tha Aur Wo Aashura tha (Yaani 10 Moharram ka Din)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-78)

> Hazrat Aadam Alayhis Salaam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Mulaaqaat :-
Jab Zamin par Tashreef laaye to Hazat Aadam Alayhis Salaam Hindustan ke ilaka Srandip (Sri-lanka) ke Pahad par Utre Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha Jidda me,
Touba Qabool hone ke baad dono ki Mulaqaat Arfaat(Meidaane Arfaat) ke makam par hui, Dono ne ek Dusre ko Pehchana is liye us Meidaan ko Arfaat kehte he Yaani Pehchanne ki Jagah,


Jab Hazrat Aadam Alayhis Salaam Jannat se Aaye the to Un se Arabi Jaban bhi le li gayi thi Yaani Bhula di gayi thi itne Rouz Tak Siryaani Zaban me kalam Farmaya, Touba Qabool hone ke baad Arabi Zaban fir Ata hui,
Fir Hazrat Zibrail Alayhis Salaam ne Tamam Aalam ke Jaanwaro ko Aawaz di ki Ay Jaanwaro HAQQ TA’ALA ne Tum par Apna Khlifa Bheja he us ki Ita’at Aur Farmabardari karo, Daryaai Jaanwaro ne Sar utha kar
ita’at Jaher ki Aur Khusk ke Jaanwaro Aap ke Aas-Paas Jama ho gaye, Aadam Alayhis Salaam Un Par Hath Ferne lage, Jis par Aap ka Hath Mubarak Pahonch gaya wo Ahli Aur Khangi Ban gaye Jeishe Ghoda, Unt, Bakri, Kutta, Billi, Wageira Aur Jis par Aap ka Hath Na Pahoncha wo Jangli wa Hassi raha jeishe Hiran Wageira.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-79)


> Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Aulaad ke Haqq me Dua :-
Us Waaqiya(Pichle Part) ke Baad Hazrat Aadam Alayhis Salaam ne Arz kiya ki MOULA Meri Aulaad Bahot Kamjor he Aur Iblish ka Fareb Bahot Shakht, Agar Tu Unki Imdaad na kare to wo Iblish se keishe Bach sakenge,
Huqme ILAAHI Aaya
Ay Aadam Tumhare Aur Ahkaam the Aap ki Aulaad ke liye Aur Ahkaam honge, Ham Har Insaan ke Sath Ek Farista Rakhenge Tab Aap ne Khush ho kar Shukr kiya.
(Tafseere Azizi,
Tafseere Naimi, Jild-1, Safa-291)


> Hazrat Aadam Alayhesalam ki Aulaad :-
Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha 20 Ya 40 Martaba Hazrat Aadam Alayhis Salaam se Hamela hui he, Har Hamal me do-do Bacche Peida hue, Ek Hamal ke Baccho ka Dusre Hamal ke Baccho ka Esha Huqm tha jeisha ki Mukhtelaf Maa-Baap ke Baccho ka hota he, Yaani Pehle Hamal ke Bacche ka Dusre Hamal ke Bacche se Nikaah hona, is tarah Dusre Hamal ke Ladke ka Pehle Hamal ki Ladki se Nikaah hota.
(Tafseere Saawi, Jild-1, Safa-356)


> Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki do-do Bacche Har Hamal se hue Siwaay Hazrat Sees Alayhis Salaam ke :-
Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ne Hazrat Sees Alayhis Salaam ko Sirf Akela hi Jana he, unke Sath Judwa koi Baccha nahi the, ye Sirf NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ijjat wa Takrim ke liye MAALIQUL MULQ ne Ek Bacche se hi Hamela kiya kyunki NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Noor Aadam Alayhis Salaam se ho kar Hazrat Sees Alayhis Salaam ke paas Aa gaya.
(Mawahibul Laduniya, Anwar Mohammadiya, Safa-15)

Hazrat Aadam Alayhis Salaam ne Unhe(Sees Alayhis Salaam ko) Wasiyat ki ke ye Noore Mubarak Paak Aurat ki Taraf Mantakil karna(Aage Bhejna) he, Fir Hazrat Sees Alayhis Salaam ne Apne Beite ko yahi Wasiyat ki, ye Silsila Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho tak Chalta raha ki Har Shaksh ne Apne Beite ko Is Noor ke Paak Batan ki Taraf Muntakil karne (Aage Bhejne) ki Wasiyat ki,

Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Wafaat ke Waqt Aap ki Aulaad Wageira 40 Hazar (40,000) se Zyada ho gaye the, Tafseere Saawi me 1 Lakh (1,00,000) tak Pahonch jane ka Zikr milta he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-79,80)


ALLAHU AKBER,

#Seerat #Sirat #Hazrat_Aadam #Adam #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial