
>➤ Sabse Pehle Noore MOHAMMADI ﷺ ko Peida kiya Gaya :-
✥════════════════════════════════════════ ✥
Quraane Muqaddas me ALLAH SUBHAANAHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Beshak Tumhaare Paas ALLAH ki Taraf se Ek Noor Aaya Aur Roushan Kitaab”
(Surah Al Maidah, Aayat-15)
ALLAH TA’ALA ne Is Aayate Kareema me Apni Taraf se 2 Chizo ke Aane ka Zikr Farmaya he Jisme Pehle Noor ka Aur Baad me Kitaab ka, Kitaab se Muraad Quraane Kareem he Aur Noor se Muraad HUZOOR MOHAMMAD MUSTAFA Sallallaho Alayhe Wasallam he..
Hazrat Jabir RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Maine Arz kiya YA RASOOLALLAH ﷺ Meire Maa-Baap Aap par Qurbaan.. Mujhe ye Khabar dijiye ki Tamaam Ishya’a(Chizo) se Pehle ALLAH TA’ALA ne Kise Takhleeq(Peida) kiya he…?
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Ay Jaabir Beishak ALLAH TA’ALA ne Tamaam Ishya’a(Chizo) se pehle Apne Noor(ke Faiz) se Teire NABI ke Noor ko Peida kiya, Fir Woh Noor ALLAH TA’ALA ki Qudrat se jaha bhi Use Manzur tha Seir karta raha, Us Waqt Na Loh thi, Na Qalam Aur Na Jannat Aur Dozakh Aur Na Farishte Aur Na Aasmaan Aur Na Zameen Aur Na Suraj Aur Na Chand Aur Na Jinn Aur Na Insaan.
(Al Mawaahibul Laduniya, Jild-1, Safa-71, 72)
(Sharah Zarqaani, Jild-1, Safa-27)
Sabse Pehle ALLAH TA’ALA ne Apne Mehboob HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Noor ko Peida Farmaya Aur Isi Noor se Sare Aalam ko Wajud me laya gaya.
>➤ HUZOOR NABI E REHMAT ﷺ Kab se NABI he..?? :-
✥═══════════════════════════════════ ✥
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Sahaaba Kiraam RadiAllaho Ta’ala Anhum ne Arz kiya YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Aapke liye Nabuwwat kab Saabit hui…? HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Jab Hazrat Aadam Alayhis Salaam Rooh Aur Jism ke Darmiyaan the(Ya’ani Unke Jism me Jaan bhi Nahi Aayi thi, Mai Us Waqt bhi NABI Tha).
(Sunaan Tirmizi, Kitaabul Manaaqib, Jild-5, Safa-585)
(Dalaailun Naabuwwat, Safa-48)
Hazrat Arbaaz Bin Saariya RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Mai ALLAH TA’ALA ke Nazdik Us Waqt Khatimun Nabiyyin tha, Jabki Aadam Alayhis Salaam Abhi tak Apne Khameer me the.
(Mishkaat Shareef, Safa-513)
(Sharah Mawaahib Zarkaani, Safa-39)
Is Hadees E Paak se HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Tehqiqan Aadam Alayhis Salaam se Qabl(Pehle) NABI hona Saabit Aur Khatimun Nabiyyin ke Mansub par Faiz hona bhi Saabit, Moujud hona bhi Saabit Aur Aapki Haqeeqat Ka Noor hona bhi Saabit, Kyuki Basharo(Insaano) ka Baap Baad me Peida kiya ja raha he Aur Aapki Haqeeqat Pehle hi Moujud wa Mutahaqqaq(Saabit) thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis, Safa-609-611)
Subhan Allah…
Pata Chala ki Humaare AAQA Sallallaho Alayhe Wasallam 40 Saal ki Umr Shareef me NABI nahi bane Balki Humaare AAQA Sallallaho Alayhe Wasallam Us Waqt bhi NABI the Jab Hazrat Aadam Alayhis Salaam ke Jism Mubaarak me Rooh bhi Foonki Nahi gayi thi…
>➤ NOORE MOHAMMADI ﷺ Paak Naslo se Muntaqil hota raha :-
✥══════════════════════════════════════════ ✥
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki NABI E PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam ki Rooh KHUDA TA’ALA ki Baargaah me Aadam Alayhis Salaam ki Paidaish se 2000 Saal Pehle Noor thi, Woh Noor Tasbeeh karta tha Aur Farishte bhi Uski Tasbeeh ke Saath Tasbeeh padhte the, Jab ALLAH TA’ALA ne Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko Peida Farmaya to Us Noor ko Unki Pust me Rakh diya fir HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya ALLAH TA’ALA ne Aadam ki Pust me Mujhe Zameen par Utara, Fir Mujhe Nooh Alayhis Salaam ki Pust me Rakha Fir Ibhraahim Alayhis Salaam ki Pust me rakha, Fir ALLAH TA’ALA Mujhe Shareef Pusto se Paak Rehmo me Muntaqil(Ek Jagah se Dusri Jagah) karta raha, Yaha Tak ki Meire Waalidein se Mujhe (Duniya me) Zahir kiya, Jinhone Kabhi Bura Feil na kiya.
(Al Shifaa’a Shareef, Jild-1, Safa-83)
Hazrat Ka’ab Bin Ahbaar RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Jab ALLAH TA’ALA ne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Peida Karne ka Irada Farmaya to Hazrat Jibrail Alayhis Salam ko Hukm diya, Unhone NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Qabr Shareef ki Jagah se Safeid Mitti ki Ek Mitti li, Fir Use Maa-Tasnim(Jannat ki Nahar Tasnim ke Pani) se Gundha gaya, Fir Use Jannat ki Nehro me Duboya gaya Aur Aasmano me Use Firaya gaya, Pas Farishto ne Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko Pehchan ne se Pehle HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ko Pehchan liya,
Fir NOOR E MOHAMMADI Sallallaho Alayhe Wasallam ko Aadam Alayhis Salaam ki Peishani me rakha gaya Jiski Wajah se Aapki Peishani Jagmagati Aur Aap ko Bataya gaya Ay Aadam.. Ye Tumhari Aulaad se honge Aur Tamaam RASOOLO ke Sardar honge, Pas Jab Hazrate Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ke Peit me Shees Alayhis Salaam Aaye to Woh Noor Aadam Alayhis Salaam ki Peishani se Muntaqil ho kar Hazrate Hawwa ke Paas Aa gaya, Halanki Hazrate Hawwa ke Batane Mubaarak se Do-Do(2-2) Bache Har Hamal se Peida ho rahe the Lekin (HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Noor ko Taqsim hone se Bachane ke liye) Sirf Shees Alayhis Salaam Akele Peida huwe, Isme HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ummat ko Madde Nazar rakha gaya, Fir Aap ka Noor Hameisha se Paak Naslo se Paak Naslo ki Taraf Muntaqil hota raha, yaha tak ki Aapki Walida Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Aapko Hazrat Abdullah Bin Abdul Muttalib se Jana.
(Mirqaat, Baab Fazaail Saiyyadul Mursalin, Jild-11, Safa-44)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-625, 626)
Khyaal rahe ki Paak Naslo se Muntaqil hone ka Matlab ye he ki Aapke Aaaba wa Ajdaad(Baap-Dada) Badkari(Zina-Khori) Aur Kufr se Paak the,
Noor e MOHAMMADI ﷺ ke Zariye se HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Tamaam Aaaba Wa Ajdaad(Baap-Dada) Nihaayat Haseen wa Mirja e Khalaaiq(Woh Shaksh jiski Taraf Loug Zyada Ruju’a hote ho) the, Is Noor ki Barkat se Hazrat Aadam Alayhis Salaam Malaaik ke Masjud(Woh Jise Farishte Sajdah kare) bane Aur Isi Noor ke Waseele se Unki Touba Qabool hui, Isi Noor ki Barkat se Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Kashti Tufaan me Garq hone se Bachi, Isi Noor ki Barkat se Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam par Aatishe-Namrud Gulzar(Baag) ho gayi Aur Isi Noor ke Tufail se Ambiya e Saabeqeen Alayhis Salaam par ALLAH TA’ALA ki Inaayat Be-Inteha hui..
Imaam e Aazam Abu Hanifa Noumaan Bin Saabit Taabei RadiAllaho Ta’ala Anho HUZOOR RASOOLE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Madah(Ta’arif) me yu Farmaate he
اَنْتَ الَّذِیْ لَوْلَاکَ مَا خُلِقَ امْرُئٌ کَلاَّ وَلَا خُلِقَ الْوَریٰ لَوْ لَاکَا
اَنْتَ الَّذِیْ مِنْ نُّوْرِکَ لِلْبَدْرِ السَّنَا وَ الشَّمْسُ مُشْرِقَۃٌ بِنُوْرِ بَھَاکَا
اَنْتَ الَّذِیْ لَمَّا تَوَسَّلَ اٰدَمُ مِنْ زَلَّۃٍ بِکَ فَازَ وَ ہُوَ اَبَاکَا
وَبِکَ الْخَلِیْلُ دَعَا فَعَادَتْ نَارُہٗ
Aap ki Woh Muqaddas Zaat he ki Agar Aap Na hote to Hargiz koi Aadmi Peida Na hota Aur Na Koi Makhluq Peida hoti,
Aap Woh he ki Aapke Noor se Chand ko Roshni he Aur Suraj Aap hi ke Noore Zeiba se Chamak raha he,
Aap Woh he ki Jab Aadam Alayhis Salaam ne Lagzish ke Sabab Aapka Waseela Pakda to Woh Kaamyaab ho gaye Halanki Woh Aapke Baap he,
Aap hi ke Waseele se Ibhrahim Khalil Alayhis Salaam ne Duaa Mangi To Aapke Roshan Noor se Aag Un par Thandi ho gayi Aur Bujh gayi..
(Sallallaho Alayhe Wasallam).
(Seerate RASOOL E ARABI ﷺ, Safa-43,44)
Subhan Allah…
>➤ Irhaas :-
✥══════════✥
Jis Tarah Suraj Nikalne se Pehle Sitare Chhupte he, Raat ka Andhera Door hota he, Subah Sadik ki Safeidi Zahir hoti he, Laal Rangat Suraj Nikalne ki Khush-Khabri deine lagti he Isi Tarah Jab Risaalat ke Chand ka Tulua hone ka Zamaana Qareeb Aa gaya to Duniya me Bahot se Ayse Ajeeb Ajeeb Waaqiyaat Aur Alaamaate Zahir hone lagi Jo Sari Kaayenaat ko ye Basharat deine lage ki Ab Risaalat ka Chand Tulua hone wala he, Ab Imamul Ambiya Sallallaho Alayhe Wasallam Tashreef Lane Wale he..
Hazraate Ambiya e Kiraam Alayhis Salaam se Qable Aylane Nabuwwat Jo Khilaafe Aadat Aur Aqal ko Heirat me Dalne wale Waaqiyaat Saadir hote he Unko Shariyat ki Istilaah(Bol-Chal) me ‘Irhaas’ Kehte he Aur Aylaane Nabuwwat ke Baad Inhi ko ‘Moajiza’ kaha jata he,
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-46)
Chunanche Imaamul Ambiya Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tashreef-Aawri se Pehle Aasmaani Kitaabo me Unke Aane ki Khabar di gayi, Yahudo Nasara ke Ulmao ne Unke Aane ki Basharat di, Kaahin wa Jinnato ne Unke Aane ki Basharat di Aur Iske Alawa Kayi Peishangohi Aur Ajeeb Waaqiyaat Aur Alaamaato se Unke Aane ki Basharate di gayi..
Aasmani Kitaab Aur Yahudo Nasara ki Basharato me se Kuchh Basharate Humne Pehle hi Peish kar di he, Jo Part No. 434 se Padhi ja Sakti he, Iske Alawa Jo Waaqiyaat Peish aaye he Uski Tadaad Bahot he, In sha Allah Unme se Chand Waaqiyaat Aur Alaamate Ab Aage Peish ki jayegi..

>➤ Qadeem Pattharo par HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ ka Isme Giraami :-
✥════════════════════════════════════════════════✥
>> Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Hazrat Ka’ab RadiAllaho Ta’ala Anho se Farmaya Hume RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ke Woh Fazaail Jo Aap ﷺ ki Wilaadat se Pehle Zahir huwe Bataaye, Hazrat Ka’ab RadiAllaho Ta’ala Anho ne kaha Haa Ameerul Moameneen Maine Ek Kitaab me Padha he ki Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ne Ek Aysa Patther deikha Jis par 4 Satare(Sidhi Lakir) Tehreer(Likhi Hui) thi,
Pehli Satar me tha ki “Mai hi ALLAH hu, Meire Siwa Koi Ma’abud Nahi, Pas Meiri hi Ibaadat karo”,
Dusri Satar me tha ki “Beishak Mai hi ALLAH hu, Meire Siwa Koi Ma’abud Nahi, Mohammad ﷺ Meire Rasool he, Musdah huwa se Jo Imaan laya Aur Aap ﷺ ki Pervi ki”,
Tisri Satar me tha ki “Mai hi ALLAH hu, Meire Siwa Koi Ma’abud Nahi, Jisne Mujhe Mazbut Thama Woh Najaat Pa gaya”
Chothi(4thi) Satar me tha ki “Mai hi ALLAH hu Meire Siwa Koi Ma’abud Nahi, Haram Meira he Aur Kaba Meira Ghar he To Jo Meire Ghar me Dakhil huwa Woh Meire Azaab se Mehfuz raha.
>> Hazrat Talha RadiAllaho Ta’ala Anho Kehte he ki Pehli Martaba Jab Khana e Kaba Munhedam(Gira/Mismaar) huwa to Waha Ek Pathhar Munaqqash(Naqsh wa Nigaar kiya huwa) Paya gaya, Fir Ek Shaksh Bulaya gaya Usne Use Padha to ye likha tha
“Meira Jo Banda Muntakhab(Pashandida), Mutawakkal(Bharosha karne wala), Muneeb(Haqq ki Taraf Loutne wala) Aur Mukhtaar(Ikhtiyar rakhne wala) he, Uski Jaaye Wilaadat Makka Aur Jaaye Hijrat Madeena he, Woh Duniya se Rukhsat na hoga, Jab tak ki Tedhi Zabaano ko Sidha Na karde Aur Aaam Gawaahi Na ho jaye ki ALLAH TA’ALA ke Siwa koi Ma’abud Nahi, Uski Ummat Bahot Zyada Humd karne wali hogi, Woh Har Faraaz(Bulandi/Unchai) par ALLAH TA’ALA ki Hamd karegi Aur Nisf(Aadhi) Kamar par Tehband Bandhegi Aur Apne Hatho Aur Peiro ko Paak Rakhegi”.
>> Abu Taiyyib, Abdul Muneem Bin Galbun Muqri Rahmatullah Alay se Riwaayat Karte he ki Umuriya(Ek Jagah ka Naam) ko Jab Fatah kiya gaya to Waha ke Ek Kanisa(Church) par Sunehri Hurfo se likha paya gaya ki
“Baad me Aane wale Lougo me se Woh Shaksh Bahot Bura he jo Salf(Guzre Huwe Lougo ko) Bura kahe Kyuki Ahade Maazi(Guzre Zamane) ka Ek Shaksh Zamanae Mustaqbil(Aane wale Zamaane) ke Hazaar Shaksh se Behtar he, Ay Saahibe Gaar Tumne Iftekhar(Fakhr) ki Karaamat Haasil ki, Isi liye MULKE JABBAR ne Tumhaari Ta’arif ki he Kyuki Usne Apne Bheije huwe Nabi par Apni Naazil Karda Kitaab me Farmaya “Do me ka Dusra, Jabki Woh Dono Gaar me the”(Surah Touba, Aayat-40), Ay Umar Tum Haakim Na the Balki Baap the, Ay Usmaan Tum Zulman Qatl kiye gaye Aur Qabr me Loug Tumhaari Ziyaarat Na karenge, Ay Ali Tum Imaamul Abrar ho Aur RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ke Aane se Kaafiro ko Bhagane wale ho to Woh Saahibe Gaar he Aur ye Akhyaar(Neik Loug) me se Ek Aur Woh Shahro ka Fariyad-Ras(Fariyad Pahonchane wala) he Aur ye Abrar ka Imaam to jo Koi In Charo me se kisi ki Tanqis(Ayteraaz/Nuktachini) kare, Is par JABBAR (ALLAH TA’ALA) ki La’anat he”
Abul Teeb kehte he ki Mai Kanisa(Church) ke Raahib(Padri) se Puchha Jiski Bhanwe tak Budhape se Safeid ho Chuki thi, Ye Ibaarat Tumhaare Kanisa ke Darwaze par Kab se Munaqqash (Naqsh wa Nigaar ki) he..? Usne Jawaab diya Tumhare Nabi ﷺ ki Be’sat(Zuhoor) se Do Hazaar Saal Pehle.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-81,82)
Subhan Allah..
>➤ Nabuwwat Haasil karne ki Laalach me Apne Bachho ka Naam Mohammad Rakha :-
✥═══════════════════════════════════════════════✥
Khalifa Bin Abadah RadiAllaho Ta’ala Anho se Naql kiya, Unhone Kaha ki Maine Mohammad Bin Adi Bin Rabiya RadiAllaho Ta’ala Anho se Puchha ki Zamana e Jahiliyat me Tumhare Baap ne Tumhara Naam Mohammad Keise Rakha..?? Unhone Jawaab diya Maine bhi Apne Waalid(Baap) se Yahi Sawaal kiya tha To Meire Waalid ne Bataya tha ki Hum Banu Tameem ke 4 Aadmi the, Ek Mai, Dusre Sufiyan Bin Majaash Bin Daaram, Tisre Yazeed Bin Umr Bin Rabia Aur Chouthe Usama Bin Maalik Khandaf, Hum Charo Safar par Rawana Huwe Jab Hum Mulke Sham Pahonche To Ek Taalaab par Jaha Shayadaar Darakht bhi the, (Waha) Utre to Kuchh Deir ke Baad Ek Shaksh Humaare Paas Aaya Aur Usne kaha Tum Kon Loug ho…? Humne Jawaab diya Hum Qabeela Muzir ke Loug he..
Humaara Jawaab Soon kar Usne Kaha Aagah ho Jaao Anqarib Tum Lougo me Ek Nabi Mabus hoga, Lihaza Bila-Takhir Apne Ilaaqo ko Lout Jaao Aur Us se Apna Hissa Haasil karo Aur Hidaayat-Yaab bano Kyuki Woh Khatimun Nabiyyin Yani Aakhri Nabi he, Humne Puchha Uska Naam Kya he..? Unhone Bataya Uska Naam ‘Mohammad’ (ﷺ) he,
Safar se Jab Hum Waapas huwe To Hum me se Har Ek ke yaha Ladka Peida huwa Aur Charo Naw-Moulud(Peida huwe) Bachho ka Naam Mohammad Rakha.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-54)
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu), Safa-93,94)
Hazrat Saeed Bin Museeb RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he Unhone kaha ki Ahle Arab, Ahle Kitaab Aur Kaahino se Soona karte the ki Arab me Ek Nabi Mabus hoga Jiska Naam Mohammad (ﷺ) hoga, To Ahle Arab me se Jisne ye Baat Sooni Usne Tamae Nabuwwat(Nabuwwat ki Laalach) ke Sabab Apne Bachhe ka Naam Mohammad rakh liya.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-54)
>➤ Bushra ke Girje me HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllaho Ta’ala Anho ki Tasveer :-
✥══════════════════════════════════════════✥
Hazrat Jubair Bin Mut’am RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he Jin Dino NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Aylaane Nabuwwat Farmaya Mai (Mulke) Sham ke Safar par Nikla tha, Mai Bushra Pahoncha to Ishaaiyo ki Ek Jama’at Meire Paas Aayi Kehne Lagi Tum Ahle Haram se ho..? Maine kaha Haa, Kehne lage Tumhaare Haa Jis Shakhs ne Aylaane Nabuwwat kiya he Tum Use Jante ho..? Maine kaha Haa, To Woh Meira Hath Tham kar Mujhe Apne Girja(Church) me le gaye, Waha Butt Aur Tasaaveer thi Unhone Puchha Tumhe Naye Mabus hone wale Us Nabi ki Surat yaha Nazar Aati he..? Mujhe Waha Aap Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tasveer Nazar na Aayi Meine kaha Unki Tasveer yaha Nahi,
Woh Mujhe Us se Bade Girja le gaye Waha Pehle se Zyada Butt Aur Tasaaveer thi Kehne lage Ab Deikho kya Uski Tasveer he…??
Maine deikha Waha HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tasveer Moujud thi Aur Usme Hazrat Abu Bakar Siddiq RadiAllaho Ta’ala Anho ne Aapka Daaman Pakda huwa he,
Unhone Sawaal kiya Tumhe Us Nabi ki Tasveer mil gayi, Meine kaha Haa (Fir) kaha Pehle ye Bataao Tum Kehna Kya Chahte ho…? Woh NABI Sallallaho Alayhe Wasallam ki Peishani ki Taraf Ishara Karte huwe bole Kya ye Us Nabi ki Tasveer he..? Meine kaha Bakhuda Haa, Mai Gawaahi deita hu ki ye Wahi he, Kehne lage Tum Use Jante ho..? Maine kaha Haa..
To Is par Unhone kaha Hum Gawaahi deite he ki ye Tumhaara RASOOL he Aur Ye(Hazrat Abu Bakar Siddiq RadiAllaho Ta’ala Anho) Uske Baad Uska Khalifa he.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu), Safa-57,58)
Is Riwaayat ke Baad Ek Aur Riwaayat he Jisme Room ke Baadshah ke Paas Ambiya e Kiram Alayhis Salaam ki Tasaaveere thi Jisme HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tasveer bhi Moujud thi, Ye Riwaayat Bahot Taweel(Badi) hone ki Wajah se Bayaan Nahi ki.
Yaad rahe Pichhli Shariyato me Tasveer Banana Haraam Na tha, Magar Humaari Shariyat me Tasveer ya Mujassama(Butt/Murti) Banana Haraam he, Chahe Woh Tasveer kisi Wali ki ho Ya Nabi ki, Balki Aysi Muqaddas Hastiyo ki Tasaaveer Banana Zyada Gunaah he.
>➤ Wilaadat se Pehle Yahud HUZOOR ﷺ ke Awsaaf ka Darsh deite the :-
✥═══════════════════════════════════════════════✥
Hazrat Abi Nahla RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he Unhone Kaha Banu Quraiza ke Yahud Apni Kitaabo me RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ke ‘Baabuz Zikr’ ka Dars diya karte the Aur Aap ﷺ ke Awsaaf(Khubiyo) ki Ta’alim Apne Bachho ko diya karte the Aur Aap ﷺ ka Naam Aur Maqaame Hijrat Madeena Taiyyaba ko Bataya karte the Fir Jab RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ne Zuhoor Faramaya To Hasad wa Asbiyat ki Bina par Munkir ho gaye.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-61)
Hazrat Saad Bin Saabit RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Banu Quraiza Aur Banu Nuzeir ke Yahudi HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Zikr Aap ﷺ ki Alaamaati Nishanaat ke Sath kiya karte the Fir Jab Surkh(Laal/Red) Sitara Tulu(Nikla/Zahir) huwa to Unhone Khabar di ki Woh Nabi Peida ho gaya Aur Uske Baad Koi Nabi Nahi he, Uska Naam Ahmad Sallallaho Alayhe Wasallam he Woh Hijrat karke Madeena me Aayega, Fir Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Madeena e Taiyyaba Tashreef laye Aur Qayaam Farmaya To Unhone(Yahudiyo ne) Inkaar kiya Aur Hasad wa Bagaawat ki Ravish(Tour-Tariqa) Ikhtiyar ki.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-63)
>➤ Hazrat Abdul Muttalib ka Azeeb wa Gareeb Khwaab :-
✥═══════════════════════════════════════✥
Abu Bakar Bin Abdullah Bin Abu Jaham Rahmatullah Alay se Woh Apne Dada se Riwaayat karte he ki Maine Abu Taalib se Hazrat Abdul Muttalib ka Khwaab Bayan karte Soona,
Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne kaha Mai Hajre Aswad ke Qareeb So raha tha Tab Ek Khwaab deikha Jiski Wajah se Mujh par Khouf Tari ho gaya Aur Mai Bahot Be-Cheni Mehsus karne laga, Mai Ek Quraishi Kaahin(Peishgohi Karne wale) ke Paas Aaya Aur Usse kaha Maine Aaj Khawaab deikha he ki Ek Darakht(Paid/Tree) Is Tarah Khada he ki Uski Unchai Aaasman Tak Aur Shakhe Mashriq(East) wa Magrib(West) tak Feili hui he Aur Us Darakht ke Noor ko Maine Aaaftaab(Suraj) se 70 Guna Zyada Roushan deikha Aur Uske Saamne Arab wa Azam ko Maine Sajda-Reiz(Sajda Karte) deikha Aur Mai deikh raha tha ki Woh Darakht Apni Azmat, Noor Aur Bulandi me Har Aaan Izafa kar raha he, Ek Lamha Woh Chhipta he Aur Dusre Lamhe Zaahir ho jata he, Maine deikha ki Ek Jama’ate Quraish Uski Shakho se Chimat gayi he Aur Dusri Jama’at Uske Kaatne me Kosha(Koshise kar rahi) he, Yaha tak ki ye Jama’at Usko Kaatne ke Qawi(Mazbut) Irade se Darakht ke Qareeb Pahonchi hi thi ki Mujhe Ek Khubro(Khubsurat), Haseen wa Jameel Aur Lataafat(Naram) wa Khushbu se Muattar Shaksh ki Usko Deikhne se Pehle Mai Ayse Shaksh ka Tasawwur bhi Na kar Sakta tha Nazar Aaya, Ye Khubro Jawaan(Khubsurat Jawaan) Us Jama’at ke Lougo ki Kamare Todta Aur Aankhe Nikaalta raha fir Maine Chaha ki Hath Badha kar Us Darakht se Kuchh lu Magar Kaamyaab Na huwa, Maine Daryaaft(Sawaal) kiya Is Darakht se Kon Loug Fal le Sakenge..? Jawaab mila Sirf Woh Loug Jo Mazbuti se Chimte huwe he,
Hazrat Abdul Muttalib ne kaha ki Kaahin ko Khwaab Soona ne ke Baad Meiri Nazar Uske Chehre par Thehri To Maine deikha Uska Chehra Faq(Heiraan) ho gaya Fir Kaahin ne Ta’abir karte huwe kaha
Agar Tumhaara Khwaab Sachha he To Tumhaari Pusht se Ek Aysa Farzand Paida hoga Jo Mashriq wa Magrib ka Maalik hoga Aur Ek Makhluq Uski Khubiyo ko deikh kar Us se Wabasta ho Jayegi.
Uske Baad Abdul Muttalib ne Apne Beite Abu Taalib se kaha Shayad Woh Farzand Ya’ani Meire Khwaab ki Ta’abir Tum hi ho, Abu Taalib Is Baat ko Aksar Bayaan karte the,
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Be’sat(Zuhoor) ke Baad Kehte KHUDA ki Qasam Woh Darakht Yaqinan Hazrat Abul Qaasimul Ameen(HUZOOR ﷺ) ho, Is par Kuchh Musalmaano ne Unse Puchha Fir HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam par Imaan kyu Nahi Late..? Abu Taalib Jawaab deite the Mujhe Sharm wa Hayaa Aati he ki Quraish Kahenge Tariqa e Aslaaf ko Chhod kar Bhatije par Imaan le Aaya.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-87,88)
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu), Safa-98,99)
>➤ Nutfa e Paak Qaraar Pane ke Fazaail :-
✥═══════════════════════════✥
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Paak Nutfa Shikame Maadar(Peit/Batan) me Hajj ke Dino ke Darmiyan me Ayyame Tashriq(Eidul Azha ke 3Dino me) Shabe Jumma ko Qaraar Paya tha, Is liye Imaam Ahmad Bin Hanbal Rahmatullahe Alay Shabe Jumma ko Shabe Qadr se Afzal Jante he, Is liye ki Is Raat Sare Jahaan Aur Tamaam Musalmaano par Har Qism ki Kheiro-Barkat Aur Sa’adat wa Karaamat Jis Qadr Naazil hui Itni Kisi Raat me Na hui.
(Maakhuz Madaarijun Nabuwwat(Urdu), Jild-2, Safa-28)
Marvi he ki Is Raat(Jis Raat HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Noore Nabuwwat Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ki Pushte Aqdas se Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Batne Muqaddas me Muntaqil huwa) ki Subah ko Roohe Zameen ke Tamaam Butt(Murtiya) Undhe Paaye gaye, Shayaatin ka Aasman par Chadhna Mamnu(Mana) Qaraar diya gaya Aur Duniya ke Tamaam Badshaho ke Takht Ulat diye gaye Aur Is Raat Har Ghar Roushan Wa Munawwar huwa Aur Koi Jagah Aysi Na thi Jo Anvaare Quds se Jagmaga na rahi ho Aur Koi Jaanwar Aysa Na tha Jisko Quwwate-Goyaai(Bolne ki Taaqat) Na di gayi ho Aur Usne Basharat Na di ho, Mashriq(East) ke Parindo ne Magrib(West) ke Parindo ko Khush-Khabriya di,
Quraish ka Haal ye tha ki Woh Shadeed Qahat(Akaal) Aur Azeem Tangi me Mubtala the Chunanche Tamaam Darakht(Peid/Tree) Khushk(Shukhe) Ho gaye the Aur Tamaam Janwar Naheef(Kamzor) ho gaye the, Fir HAQQ TA’ALA ne Baaris Bheiji, Jaha-bhar ko Sarsabz(Tarotaza) wa Shadab kiya, Darakhto me Taro-Taazgi Aayi, Khushi wa Musarrat ki Aysi Lahar Doudi ki Quraish ne Is Saal ka Naam “Sanatul Fateh wal Ibtehaaj”(Kaamyaabi Aur Sarsabzi ka Saal) rakha,
(Madaarijun Nabuwwat(Urdu), Jild-2, Safa-28-29)
(Seerate Mustafa Jane Rahmat ﷺ, Safa-438)
>> Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam ke Nutfe :-
Aala Hazrat Alayhir Rahmah EK Sawaal ke Jawaab me Farmaate he ki
Mani Mutlaq Na-Paak hi he Siwa Un Paak Nutfo ke Jinse Takhleeqe Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam hui.
(Fatawa e Razviya Shareef, Jild-2, Safa-161)
(Seerate Mustafa Jane Rahmat ﷺ, Safa-440,441)
>➤ Douraane Hamal Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha Har Tarah ki Takleef se Mehfuz rahi :-
✥══════════════════════════════════════════════✥
Saiyyada Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha Jab Haamela(Pregnant) hui to Farmaati thi ki Mujhe Mehsus na huwa ki (Mai) Haamela hu Aur Na Giraani(Bharipan) Peida hui Jeisa ki Aam Tour par Aurate Ayyame Hamal me Khud ko Bujhal(Wajani) Mehsus karti he, Siwa Is Alaamaat ke ki Meira Haiz Munqatea(/Bandh) ho gaya tha,
Saiyyada Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Ek Roz Meiri Neem Khwaab Aur Bedari (ki Darmiyaani Haalat me) Ek Aane Wala Aaya Aur Usne kaha
Ay Aamena Tumhe Maalum he Tum Haamela ho..? Meine Jawaab diya ki Mai To Nahi Janti, Fir Usne kaha Tum Ek Badi Ummat ke Sardaar ki Paidaish ke liye Haamela Hui ho, ye Din Pir(Monday) tha, Fir Din Aur Mahine Guzarte gaye Yaha tak ki Zamana Wilaadat Qareeb Aa gaya Aur Fir Wahi Shaksh Meire Khwaab me Aaya Aur Kaha Tum ye Padha Karo
اُعِيۡذُهٗ بَالۡوَاحِدِ مِنۡ شَرِّ كُلِّ حَاسِدٍ
‘Tarjuma : Mai KHUDA WAAHID se Har Hasad karne wale ki Shararat se Panaah Mangti hu’
Jab se Mai Is Kalme ko Baraabar Padhti rahi Aur Iske Baad Kuchh Aurato se Maine Iska Zikr kiya To Unhone Mashwara diya ki Tum Apne Baazu Aur Gale me Loha Latka lo, Meine Aysa hi kar liya Magar Woh Hameisha Kat Jata, Mai Use Bandhti Aur Fir Jald hi Kata huwa Pati, Bil-Aakhir Maine Usko Latkana Aur Bandhna Tark(Chhod) kar diya,
(Zamana e Jaahiliyat me Arab me ye Rasam thi ki Haamela Aurate Loha Bandhti Aur Gale me Latka leiti thi)
Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Maine Zamanae Hamal me Kisi Tarah ki Takleef Aur Giraani(Bharipan) Bardasht Nahi ki
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-93)
>> Muddate Hamal :-
HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Shikame Maadar(Peit/Batan) me 9 Mahine Kaamil rahe,
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-75)
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat se Pehle ke Waaqiyo me Ek “Ashhaabe Feel” ka Waaqiya bhi Peish Aaya tha Jo Humne “Ahle Arab” ke Album me Bayaan kar diya he..
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Huzoor #Nabi #Wilaadat_se-pehle-ke-waqiyat #Noore-Muhammadi #Huzoor-kab-se-Nabi-he #Irhas #Name-Muhammad #Bushra ka Girja #Yahud #Nutfa-e-pak-karar-pana #Dourane-Hamal
Like!! Thank you for publishing this awesome article.