Wilaadate Ba-Sa’adat Aur Us Waqt ke Waqiyat

wiladat

>➤ Imaamul Ambiya ﷺ ki Wilaadate Ba-Sa’adat :-
✥════════════════════════════════✥
Taarikhe Aalam ka ye Woh Nirala Aur Azmatwala Din he ki Isi Din Aalame Hasti Ko Peida Karne ki Wajah, Khalqe Aadam ka Raaz, Kastiye Nooh ki Hifazat ka Raaz, Baaniye Kaba ki Duaa, Ibne Mariyam ki Basharat, Tamaam Jahaan ke Bigde Nizaamo ko Sudharne Wala, Garibo Yatimo ki Madad karne Wala, Haqq wa Sadaaqat ka Parcham Buland Karne Wala, Kufro Zulmat ke Andhero ko Mitane Wala, Gulamo ka Moula, Sanadul Ashfiya, Ashraful Ambiya, Ahmade Mujtaba, MUHAMMAD MUSTAFA Sallallaho Alayhe Wasallam Duniya me Rounak Afroz huwe,

>> HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tarikhe Paidaish me Ikhtelaaf he, Magar Qoule Mashoor(Mashoor Qoul) Yahi he ki Waaqiya ‘Ashaabe Feel’ se 55 Din ke Baad 12 Rabi ul Awwal Ba Muta’abiq 20 April 571 Isvi Wilaadate Ba-Sa’adat ki Tarikh he, Ahle Makka ka bhi Isi par Amal Dar Aamad he ki Woh Loug 12vi Rabiul Awwal hi ko Kashana e Nabuwwat ki Ziyaarat ke liye Jate he Aur Waha Milaad Shareef ki Mehfile Munaqqid(Adaa) karte he.
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-49)

>> Ye Wilaadat E Mubaarak 12 Rabi ul Awwal ki Raat Roze Do-Shanba(Pir/Monday ke Din) Waaqe(Zahir) hui Aur Wahi ki Ibtedaa, Hijrate Madeena Munawwara Aur Madeena Paak Pahonchna, Fateh Makka e Mukarrama Aur Wafaat Shareef bhi Roze Do-Shanba(Pir ke Din) hui Aur Waqte Wilaadat Subah Saadiq me Tulu e Aaaftaab(Suraj Nikalne) se Pehle Aur ‘Gufr’ ke Tulu ke Waqt hui, Gufr Manaazile Fazar ke 3 Chhote Sitaaro ko kehte he.
(Madaarijun Nabuwwat(Urdu), Jild-2, Safa-30)

>> Hazrat Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaya ki Jab Aap ﷺ Mujhse Juda huwe To Aapke Sath Ek Aysa Noor Zahir Huwa Jis se Aap ke liye Mashriq wa Magrib (East & West) ke Darmiyan Roushni hi Roushni ho gayi Fir Aap ﷺ Hatho par Teik Lagaaye huwe Zameen Par Tashreef Laaye Fir Aap ﷺ ne Mitti ki Ek Muthhi li Aur Apna Sar Mubaarak Aaasmaan ki Taraf Uthaya.
(Tabkaat Ibne Saad, Jild-1, Safa-100)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-79)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1 Safa-101)

>> Imaam Tabraani Alayhir Rahmah ne Riwaayat ki he ki Jab HUZOOR E AQDAS ﷺ Zameen par Tashreef laye to Aap ﷺ ki Muthhi Bandh thi Aur Aap ﷺ Shahaadat ki Ungli se Ishara kar rahe the Jis Tarah Koi Shaksh Is Ungli ke Zariye Tasbeeh Bayaan kar raha ho.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-79)

>> Ek Riwaayat me Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Maine 3 Jhande Gaade huwe deikhe, Ek Jhanda Mashriq(East) me, Dusra Magrib(West) me Aur Tisra Khana e Kaba ki Chhat par Gaada gaya tha, Bachhe ki Paidaish ka Waqt huwa Aur HUZOOR ﷺ Jalwagar huwe, Maine deikha ki Aap ﷺ Sajdarez he Aur Apni Do Ungaliya Mubaarak ko Aasmaan ki Taraf Is Tarah Uthaya huwa he Jis tarah Aajizi wa Inkesaari(Gidgidana) karne wala Shaksh karta he.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-77)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-32)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1 Safa-105)

>> Ek Riwaayat me he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Paak wa Saaf Peida huwe Ya’ani Aap ﷺ ke Sath Koi Aaaludgi(Gandagi) Na thi,
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1 Safa-102)

Subhan Allah…

“Subah Taiba Me Hui Bat-ta he Bada Noor ka”,
“Sadqa leine Noor ka Aaya he Tara Noor ka”,

“Jis Suhani Ghadi Chamka Taiyba Ka Chand”,
“Us Dil Afroz Sa’at pe Lakho Salaam”,
(Hadaaiqe Bakhshish)


sham ke mahlaa

>➤ HUZOOR ﷺ Ko Mashriq wa Magrib ki Seir Karaayi Gayi:-
✥═══════════════════════════════════════✥
Ek Riwaayat me he ki Hazrate Bibi Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaya ki Jab HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam Peida huwe To Meine Deikha Ki Ek Bahot Badi Badli(Baadal/Sky) Aayi Jisme Roushni ke Sath Ghodo ke Hunhunaane Aur Parindo ke Udne ki Aawaz thi Aur Kuchh Insano ki Boliya bhi Soonayi deiti thi, Fir Ek Dum HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Meire Saamne se Gaayab ho gaye Aur Meine Soona ki Ek Aylaan Karne wala Aylaan Kar Raha he ki MUHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam Ko Mashriq wa Magrib(East & West) me Gasht(Firaav) Karaao Aur Inko Samundaro ki bhi Seir karaao Taki Tamaam Kaayenaat ko Inka Naam, Inki Siffat Maalum ho jaye Aur In ko Tamaam Jaandaar Makhluq Yani Jin Wa Ins, Malaaika(Farishte) Aur Charindo wa Parindo ke Samne Peish karo Aur Inhe Hazrate Aadam Alayhis Salaam ki Surat, Hazrate Shees Alayhis Salaam ki Ma’refat, Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Shuja’at, Hazrate Ibhraahim Alayhis Salaam ki Khillat, Hazrate Ismaail Alayhis Salaam ki Zabaan, Hazrate Ishaaq Alayhis Salaam ki Riza, Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ki Fasaahat, Hazrat Loot Alayhis Salaam ki Hikmat, Hazrat Yaakub Alayhis Salaam ki Basharat, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Shiddat, Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ka Sabr, Hazrat Yunus Alayhis Salaam ki Taa’at, Hazrat Yushua Alayhis Salaam ka Jihaad, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Aawaz, Hazrat Daaneyaal Alayhis Salaam ki Muhabbat, Hazrat Ilyaas Alayhis Salaam ka Waqaar, Hazrat Yahya Alayhis Salaam ki Ismat, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Zohad Ataa karke Inko Tamaam Paigambaro ke Kamaalaat Aur Akhlaaqe Hasana se Mujayyan(Sanwar/Saja) kardo,
Iske Baad Woh Baadal Chhat gaya,
Fir Meine Deikha ki Aap ﷺ Resham ke Sabz(Green) Kapde me Lipte huwe he Aur Us Kapde se Pani Tapak raha he Aur Koi Aylaan karne wala Aylaan kar raha he ki Masha Allah Masha Allah.. Kya Khub MUHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ko Tamaam Duniya par Qabza de diya gaya Aur Kaayenaate Aalam ki Koi Chiz Baaqi na rahi Jo Inke Qabza e Iqtidaar wa Galbae Itaa’at me na ho, Ab Meine Chehra e Anwar ko deikha To Chodhvi ke Chand ki Tarah Chamak raha tha Aur Badan se Paakiza Mushk(Kastoor) ki Khusbu Aa rahi thi Fir 3 Shaksh Nazar Aaye, Ek ke Hath me Chandi ka Lota, Dusre ke Hath me Sabz Jumarrad ka Tasht(Thal), Tisre ke Hath me Ek Chamakdaar Anguthi thi, Anghuthi ko 7 Martaba Dho kar Usne HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Dono Shano(Kandhe Mubaarak) ke Darmiyan Mohare Nabuwwat laga di, Fir HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Reshmi Kapde me Lapait kar Uthaya Aur Ek Lamhe ke Baad Mujhe Supurd(Hawaale) kar diya.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-32,33)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-78)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-105,106)

Subhan Allah..

>➤ Sham ke Mahlaat Roushan ho gaye :-
✥════════════════════════✥
Hazrat Arbaaz Bin Saarya RadiAllaho Ta’ala Anhuma se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
Mai Us Waqt ALLAH TA’ALA ka Abd Aur Khaatimul Nabiyin tha Jab ki Aadam Alayhis Salaam Apni Khamir(Gundhi hui Mitti) me the Aur Mai Tum ko Bataau ki Mei Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ki Duaa Aur Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Bashaarat Aur Apni Waalida ke Khwaab ki Ta’abir hu Aur Ambiya Alayhis Salaam ki Maae Ayse hi Khwaab deikha karti thi, (Meiri) Waalida Maajida ne Wilaadat ke Waqt Ayse Noor ko Deikha Jis se Un par Sham(Syria Mulk/Country) ke Mahlaat Roushan ho gaye.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu) , Jild-1, Safa-79)
(Mishkaat Shareef(Urdu), Jild-3 , Safa-136, 137)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2 Safa-31)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-100)

Imaam Jalaluddin Suyuti Alayhir Rahmah Farmaate he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka ye Irshaad he ki “Mai Us Khwaab ki Taabir hu Jise Meiri Maa ne Zamana e Hamal me deikha” To Ye Khawaab Zamana e Hamal me Zahir huwa Lekin Wilaadat ki Raat me Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Sham(Syria) ke Mahlaat deikhe Woh Ba-Haalate Bedaari(Jaagne ki Haalat me) Ayni Mushaheda(Aankh se Deikhna) tha,
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-101)

(Subhan Allah..)

>> Mulke Sham ka Roushan hone ka Kya Matlab he…?
Aap ﷺ ke Sath Nikalne wale Noor ke Sath Bushra ke Mahlaat ka Roushan hona Is Baat ki Taraf Ishara he ki Mulke Sham(Syria) Aap ﷺ ke Noore Nabuwwat se Khaas kiya gaya Kyu ki Woh Aap ﷺ ki Hukumat me Shamil huwa, Jis Tarah Hazrat Kaab RadiAllaho Ta’ala Anho ne Zikr kiya ki Pehli Kitaabo me Yu Likha he ki
Hazrat MUHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ALLAH TA’ALA ke RASOOL he, Aap ﷺ ki Jaaye Wilaadat Makka e Mukarrama, Aap ﷺ ka Maqaame Hijrat Yashrab(Madeena e Taiyyba) Aur Aap ﷺ ki Hukumat Sham(Syria) me he,
To Humaare NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Nabuwwat ka Aagaz Makka e Mukarrama se huwa Aur Aap ﷺ ki Saltanat Sham(Syria) par Mukammal hui, Isi liye Shabe Me’araj Aap ﷺ ko Sham Yani Beitul Muqaddas ki Taraf le jaya gaya Jis Tarah Aap ﷺ se Pehle Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ne Sham ki Taraf Hijrat Farmaayi, Isi Maqaam par Hazrat Isaaa Alayhis Salaam Utrenge Aur Isi Sarzameen par Maidaane Hashar Hoga,

Ek Riwaayat me HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaya Tum par Sham(Syria me Theharna) Lazim he, Ye ALLAH TA’ALA ki Behtareen Zameen he Aur Woh Apne Achhe Bando ko Uski Taraf Jama karta he.
(Musnade Imaam Ahmad Bin Hanbal, Jild-4, Safa-110)
(Sunane Abu Dawud, Jild-1, Safa-336)
(Mustadrak Haakim, Jild-4, Safa-51)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-80,81)

>➤ Hazrate Shifa ka Ajaaibaat ko Deikhna :-
✥════════════════════════════✥
Hazrat Abdur Rahman Bin Auwf se Aur Unhone Apni Waalida Shifa RadiAllaho Ta’ala Anha se Riwaayat kiya Woh Farmaati he Jab Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Yaha HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadate Ba’Sa’adat hui To Aap ﷺ Meire Hath me Tashreef Laye Aur Aap ﷺ se Aawaz Zaahir hui (Baaz ne Yaha Mafhum ko Waazeh karne ke liye Aur Aage Aane Wali Ibaarat ‘یَرْحَمُکَ اللّٰہ’ ko deikhte huwe ‘Chhink’ ka Zikr kiya) To Maine Kisi Kehne Wale se Soona Jo Keh raha tha ‘یَرْحَمُکَ اللّٰہ’ (ALLAH TA’ALA Aap par Raham Farmaaye), Hazrate Shifa Farmaati he Meire Liye Mashriq wa Magrib(East & West) ke Darmiyani Jagah Roushan ho gayi Hatta ki Maine Sham(Syria) ke Baaz Mahlaat deikhe, Farmaati he Fir Maine Aap ﷺ ko Libaas Pehnaya (Baaz Nushkho ke Muta’abiq Aap ﷺ ko Waalida e Majida ke Qareeb kiya Taki Doodh Piye) Aur Aap ﷺ ko leita diya, Zyada deir Nahi Guzri thi ki Andhere, Ro’ab(Khouf) Aur Larze(Kaanpne) ne Mujhe Gheir liya Fir Aap ﷺ ko Mujh se Gaayab kar diya gaya To Meine Kisi Kehne Wale se Soona Woh Keh raha tha ki Tum Inko Kaha le gaye the..?? Usne kaha Mashriq(East) ki Taraf, Hazrat Shifa Farmaati he Ye Baat Meire Deel me Hameisha Isi Tarah Rahi Hatta ki ALLAH TA’ALA ne Aap ﷺ ko Mabus Farmaya, Pas Mai Sabse Pehle Islam Lane Walo me thi.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-81)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2 Safa-31)
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu), Safa-124)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-102,103)

>> Imaam Bushiri Rahmatullah Alay ne Isi Taraf Ishara karte huwe Farmaya he
شَمَّتَتْهُ الأَمْلاَكُ إِذْ وَضَعَتْهُ وَشَفَتْنَا بِقَولِهَا الشَّفَّاءُ
Jab Aap ﷺ ki Wilaadat hui to Farishto ne Aap ﷺ ko Chhink ka Jawaab diya Aur Hazrat Shifa ne Apni Baat se Hume Shifa di.

Baaz Ulma e Kiraam ne Likha he ki Shayad HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Chhink Aayi Aap ﷺ ne RABB TA’ALA ki Humd wa Shana Bayaan ki Aur Malaaika(Farishto) ne Aap ko Jawaab diya ho.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-55)

>➤ Sitaaro ka Jhukna Aur Noor se Daro-Diwaar Jhagmagana :-
✥══════════════════════════════════════════✥
Hazrat Usman Bin Abul Aas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he Farmaate he Mujhe Meiri Waalida ne Batlaya ki Woh HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Waalida Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Paas Moujud thi Jab Un par Wilaadat ka Waqt Shuru huwa, Mei Deikh rahi thi ki Sitaare Jhukne lage Yaha tak ki Mujhe Gumaan hone laga ki ye Mujh par Aa girenge, Jab Wilaadat hui To Hazrat Aaamena se Woh Noor Nikla Jisne Daro-Diwaar ko Jhagmaga diya, Aur Mujhe Har Taraf Noor hi Noor Nazar Aane laga.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu) Safa-124)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu) , Jild-1, Safa-79)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2 Safa-31)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1 Safa-100)

Subhan Allah…

>➤ Yahudi Nishani Deikh kar Behosh ho gaya :-
✥══════════════════════════════════✥
Ummul Moameneen Saiyyada Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he Ek Yahudi Makka e Mukarrama me Rehta tha, Jis Raat RASOOLE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadate Ba-Sa’adat hui Usne Kaha Ay Jamaate Quraish Kya Aaj Raat Tum Lougo ke Yaha Koi Baccha Peida huwa he..? Unhone kaha Hume Ma’alum Nahi, Usne kaha Deikho Aaj Is Ummat ka Nabi Peida huwa he, Uske Dono Kandho ke Darmiyan Alaamat he, Woh Waapas gaye Aur Ma’alum kiya To Kaha Gaya ki Hazrat Abdullah Bin Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ke Yaha Bachha Peida huwa he, Woh Yahudi Un Quraish ke Humraah(Sath) Aap ﷺ ki Walida Maajida ke Paas gaya,
Chunanche Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Aap ﷺ ko Baahar Un Lougo ke Paas Bheija, Jab Yahudi ne Alaamat deikhi to Behosh ho kar gir padha Aur(Fir Uski Haalat Sahih hui to) kehne laga Ay Quraish Bani Israail se Nabuwwat Chali gayi, Ay Giroh Quraish Soono ALLAH ki Qasam Is Nabi ko Tumhare Zariye Aysi Shoukat(Shan/Izzat) Haasil hogi ki Is ki Khabar Mashriq wa Magrib(East & West) me Felegi,
(Al Mustadrak Haakim, Jild-2, Safa-601)
(Taarikhe Damishq (Ibne Asaakir), Jild-2, Safa-48)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-81,82)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2 Safa-31)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-108)

>➤ HUZOOR ﷺ ke Zuhoor par Sitaare ka Zahir hona :-
✥═════════════════════════════════════✥
Hazrate Hassan Bin Sabit RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he Unhone kaha Wallah Mai Apne Ghar me 7 Sala Bacha tha Aur Meiri Haalat ye thi ki Jo Kuchh Soonta ya Deikhta Use Yaad rakhta, Ek Roz Mai Waalid ke Sath tha ki Humaare Paas Ek Noujawaan Aaya Jis ko Saabit Bin Zehaak kehte the, Usne Bataya ki Banu Quraiza ke Ek Yahudi ka Khyaal he ki Woh Nabi Peida ho gaya he Jo Humaari Kitaab ki Maanind Kitaab Layega Aur Aaad ki Manind Tum ko Qatl Karega, Hazrate Hassan RadiAllaho Ta’ala Anho ne kaha Mai Subah ke Waqt Apni Chhat par tha to Meine Ek Aysi Aawaz Sooni Jo Is se Pehle Kabhi Na Sooni thi, Daf’atan(Achaanak) Ek Yahudi Madeena ke Qilla par Nazar Aaya, Uske Hath me Mishal thi, Loug Jama hone lage Aur Kehne lage Teiri Khraabi ho Tujhe Kya ho gaya he…?
Hazrate Hassan RadiAllaho Ta’ala Anho kehte he Mai Uske Bolne ki Aawaz Soon raha tha, Usne kaha ye Sitara Ahmad (ﷺ) ka he Jo Tulu(Zahir) huwa he Aur Hameisha Is Sitare ka Tulu Aur Nabuwwat ka Zuhoor Ek Sath hota he Aur Ab Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam me Siway Ahmad ﷺ ke Kisi ka Zuhoor Baqi Nahi he,

Hazrate Hassan RadiAllaho Ta’ala Anho ne kaha Is par Lougo ne Uska Mazaaq Udaya Aur Uski Baat par Heiraan huwe Aur Hazrate Hassan RadiAllaho Ta’ala Anho ne 120 Saal Umr Paayi Jisme se Nisf(Aadha) Zamana Jaahiliyat me Aur Baqi Umr Islam me Guzaari.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-59-61)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-81)

>> Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Quraiza, Nuzeir Aur Kheibar ke Yahud RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ki Be’sat (Zuhoor) se Pehle Aapke Awsaaf(Khubiya) Apni Kitaabo ke Andar Pate the ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Maqaame Hijrat Madeena e Taiyyaba he, Fir Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Peida huwe To Akhbaare Yahud ne kaha ki Aaj Raat Ahmade Mujtaba (ﷺ) Peida ho gaye, Is liye ki Sitara Tulu ho gaya fir Jab Ailaane Nabuwwat Farmaya to Unhone kaha Bila-Shuba Ailaane Nabuwwat Farma diya, Woh Sab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Pehchante the Aur Aap Sallallaho Alayhe Wasallam ka Iqraar Aur Tousif(Ta’arif) kiya karte the.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-59-61)

Hazrat Kaab Ahbaar RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Maine Touraat(Aasmaani Kitaab) me Padha he ki ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat ke Waqt ke Baare ne Bataya tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Bata diya tha ki Fala Sitara Jo Tumhare yaha Mashoor he Jiska Naam ye he, Jab Woh Harkat kare Aur Apni Jagah se Chalne lage Woh MUHAMMAD E ARABI Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat ka Waqt hoga Aur ye Baat Bani Israaril me Aysi Aam thi Ki Ulma Ek Dusre ko Bataate the Aur Apni Aane wali Nasal ko Is se Khabardaar karte the.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-57)

Is Qism ki Kayi Riwaayate he Jinme Ulma e Ahle Kitaab ne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat e Ba-Sa’adat ki Khushkhabariya di he.

>➤ Isaa Raahib ki Peishangohi :-
✥═══════════════════════✥
Hazrat Museeb Bin Shareek RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Sham ke Ilaaqe me Ek Raahib tha Jiska Naam Isaa tha, ALLAH TA’ALA ne Use Ilme Kaseer(Zyada Ilm) se Nawaza tha, Woh Makka Aaya Aur Usne Lougo se Mulaaqaat ke Douraan kaha Anqarib Tumhaari Sarzameen se Ek Farzand Peida hoga Jiski Tamaam Arab wa Azam Wale Peirvi Karenge To Jo Loug Uske Ahad Aur Dawat ko Paye Aur Qabool kare Woh Raahyaafta(Rasta Pane wale) Aur Falaahyaab(Kamyabi Pane wale) ho gaye Aur Jinhone Uski Mukhalefat ki Aur Rahnumaai se Gurez(Doori/Parhez) kiya Yaqinan Wah Nukshan me rahenge,
Mai Dunyavi Raahat wa Aaram Aur Baatni Maahol Aur Apni Sarzameen ko Chhod kar Mahnat wa Takleef Aur Bhuk wa Pyaas Aur Ajnabi Maahol me Sirf Us(Farzand) ki Talab wa Justaju me Aaya hu, Fir Uska ye Mu’aamla Ban gaya tha ki Makka me Khandane Quraish ke Andar Noumoulud(Peida huwa) Bachha hota Woh Uske Bare me Puchha Karta Aur Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Alaamat Na pata To Aksar kaha karta Woh Farzande Jaleel Ab Tak Tashreef Nahi Laya,

Jab SARKAARE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadate Ba-Sa’adat hui to Subah Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho Isaa Raahib ki Ibaadat-Gaah par Aaye Aur Aawaz di, Usne Naam Puchha Aur Fir Nikal kar Aaya Aur Kaha Ay Hazrat Abdul Muttalib Tum hi Us Farzande Arjumand(Maratbe wala Beita) ke Dada ho Jiski Wilaadat ke Baare me Mai Tumse Baate kiya karta tha,
Woh Do-Shanba (Pir/Monday) ko Peida huwa, Isi Din Be’sat(Risaalat) ka Aylaan karega Aur Isi Din Is Jahaan se Rehlat Aur Kuch Farmayega,

Bila-Shuba Aaj Raat hi Uska Sitara Tulu huwa he, Uski Pehchan ye he ki Woh Is Waqt Dard me he Aur Ye Shikayat 3 Din Rahegi Fir Woh Sehatmand ho jayega, Tum Apne Aap ko Qabu me rakhna, Is liye ki Jis Qadr Hasad Loug Is Farzand ke Sath Karenge Uski Misaal Nahi Milegi Aur Jeisi Mukhalefat Aur Muzaahamat(Rok-Tok) Loug Iske Sath Karenge Weisi Mukhalefat kisi ke Sath Na hogi,
Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Puchha Is Bacche ki Umr kitni hogi…? Raahib ne Jawaab diya Iski Umr Kam ho ya Zyada 70 ko Nahi Pahonchegi, Uski Umr ke liye Salo ki Ginti Taaq par hogi, 59, 61 ya 63 Baras Uski Ummat ki Umre hongi,
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-109, 110)

Isaa Raahib ki ye Tamaam Peishangohiya Durusht Saabit hui, Usne Injeel(Aasmani Kitaab) ke Muta’abiq Ye Bate Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ko Bataayi thi.

>➤ Shabe Wilaadat Kabe ka Sajda Karna Aur Butt ka Moonh ke Bal Girna:-
✥══════════════════════════════════════════════════════✥
Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho se Manqul he ki Woh Farmaate he ki Mai Shabe Wilaadat (Paidaish ki Raat) Kaba ke Paas tha, Jab Aadhi Raat hui to Meine deikha ki Kaba Maqaame Ibhraahim ki Taraf Jhuka Aur Sajda kiya Aur Us se Takbir ki Aawaz Aayi ki
اَللّٰهُ اَكۡبَرُ اَللّٰهُ اَكۡبَرُ رَبُّ مُحَمَّدِ الۡمُصۡطَفٰى اَلۡآنَ قَدۡ طَهَّرَنِيۡ رَبِّيۡ مِنۡ اَنۡجَاسِ الۡاَصۡنَامِ وَاَرۡجَاسِ الۡمُشۡرِكِيۡنَ
ALLAH Buland wa Bala he ALLAH Buland wa Bala he Woh RABB he MOHAMMAD MUSTAFA ﷺ ka, Ab Mujhe Meira RABB Buto ki Palidi(Gandagi) Aur Mushriko ki Najaasat se Paak Farmaayega,
Aur Geib se Aawaz Aayi RABBE KABA ki Qasam, Kaba ko Barguzdgi(Maqbuliyat) mili, Khabardaar ho jaao Kaba ko Unka Qibla, Unka Maskan Thehraya Aur Woh Butt jo Kaba ke Aas-Paas Nasab the Tukde Tukde ho gaye Aur Sab se Bada Butt Jise Hubul kehte the Moonh ke Bal Gir Padha tha, Nidaa(Aawaaz) Aayi ki Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha se MUHAMMAD MUSTAFA ﷺ Peida ho gaye Aur Abro Rehmat Un par Utar Aaya he.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-33)

Subhan Allah..

Imaame Ishqo Muhabbat Aala Hazrat Alayhir Rahmah Kya Khub Farmate he…
“Jinke Sajde Ko Mehraabe Kaba Jhuki”
“Un Bhawon Ki Lataafat Pe Lakho Salaam”

“Teiri Aamad thi ki Beitullah Mujre ko Jhuka”
“Teiri Heibat thi ki Har Butt Thar-Thara kar Gir Gaya”
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ Shabe Wilaadat Butt Undhe Moonh Gir gaya :-
✥══════════════════════════════════✥
Ek Riwaayat me he ki Ek Jama’ate Quraish Jinme Warqa Bin Nofail, Zaid Bin Amr Bin Nofail, Ubaidullah Bin Jahash Aur Usmaan Bin Huraish the In Lougo ka Ek Mushtarka(Joint/Shamil) Butt tha Jiske Paas Jama hote the,
Ek Raat Jab ye Us Butt ke Paas Gaye to Deikha ki Woh Moonh ke Bal Undha Pada he, Unhone Is Baat ko koi Ahemiyat Na di Aur Butt ko Sidha Karke Uske Maqaam par Durust kar diya, Kuchh Deir Guzri hogi ki Woh Butt Fir Moonh ke Bal gir gaya, Unhone Dobara Fir Sidha karke Durusht kar diya, Kuchh Deir Guzri hogi ki Woh Butt Fir Moonh ke Bal gir gaya, Unhone Dobara Fir Sidha karke Durust kar diya, Tisri Martaba Fir Isi Tarah Gir Pada, Ab Usman ne kaha ki Koi Khas Baat Ma’alum hoti he, Ye Wahi Raat thi Jisme HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat Ba-Sa’adat hui thi, Is Waqt Usmaan ne ye Ashaar Padhe
اياصنم العيد الذى صف حوله
صنا ديد و فد من بعيد و من قرب
تنكس مقلوبا فما ذاك قل لنا
ااذاک شی ام تنکس للغب
فان کان من ذنب اسانا فاننا
ینوء باقرار و نلوی عن الذنب
وان کنت مغلوبا تنکست صاغرا
فما انت فی الاوثان و بالسید الرب
Tarjuma : Ay Khushi Aur Muhabbat ke Sanam.. Jiske Tawaaf ke liye Qareeb wa Abadi se Bade Bade Loug Aate he, Tu Moonh ke Bal Undha huwa, Tu Hume Iski Wajah Bata, Kya ye kisi Khas Baat ki Wajah he Ya yu hi Mazaaq ke Tour par he, Aur Agar Tu Humaare Na-Farmaaniyo se Bezaar Ho kar Undha he to Hum Jurm Tasleem karte he Aur Na-Farmaaniyo se Bachne ka Iqraar karte he, Aur Agar Tu Maglub(Thak) ho gaya Aur Zillat wa Ruswaai ne Tujhe Moonh ke Bal Giraya he to Tu Butto me Sardaari Aur Ma’abud hone ke Layaq Nahi,
Raawi ka Bayaan he ki Unhone Fir Is Butt ko Uthaya Aur Uski Jagah Par Qaayam kar diya,

Jab Woh(Butt) Sidha huwa to Ba-Hukme KHUDAWANDI ki Jaanib se Ye kehte Soona gaya
Meira Girna Us Moulud(Paidaish) ki Wajah se he Jiske Noor ke Tufail kar Zameen ke Mashriq wa Magrib ke Tamaam Raste Munawwar Aur Roshan ho gaye he Aur Us Moulud ki Wajah se Tamaam Butt Gir Pade he Aur Jahaan Aabad ke Tamaam Baadshaho Dil ke me Uske Roab se Larza Barandaam(Woh Shaksh Jiska Sara Jism Kanp raha ho) ho gaye Aur Faaras ke Tamam Aatas-kade Bujh kar Taarik(Kaale) ho gaye he Aur Faaras ke Aala Martabat Baadshah ko Shadeed Dard wa Takleef ka Samna he, Aur Kaahino ke Paas Geibi Khabre Lane wale Jinnat ko Rok diya gaya, Unke Paas Ab Sachhi Khabar he Na Jhuthi, To Ay Awlaade Qashi Tum Raahe Dalaalat(Gumraahi ke Raste) Aur Kaj’ravi(Galat Raah) se Lout kar Islam ki Raah Aur Kushada(Khuli) Manzil ki Taraf Doud kar Pahoncho.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-113,114)

>➤ Kisra ke Mahal ke Minaare Gir gaye Sur Aaatash-Kada Iraan Bujh gaya :-
✥══════════════════════════════════════════════════════✥
HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat ke Waqt Jo Ajaaibaat Aur Mo’jizaat Zaahir huwe the Usme Sabse Zyada Mashoor wa Roushan Aur Heirat wa Ta’ajub me Dalne wali Baat Kisra ke Mahal ka Larazna Aur Uske 14 Minaaro ka Gir Padhna he..

Riwaayat me he ki Jis Raat HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Peida huwe (Us Waqt) Kisra ka Mahal Dahal Uthha Aur Uske 14 Burj(Minaare/Tower) Gir Gaye, Aaatash-Kada Iraan(Iraan ka Fireplace) Sard(Bhuj) ho gaya Jo Ek Hazaar(1000) Saal se Musalsal Jal raha tha, Daryaae Saawa Khushq(Sukha) ho gaya Aur Majushi Aalim ‘Mubzaan’ ne Khawaab me deikha ki Taaqatwar Unt(Camel) Arabi Ghodo ko Haankte huwe Laaye Aur Daryaa e Dajla Paar karte huwe Unhe Ilaqa Faaras(Iraan) me Feila diya,

Subah Hone par Kisra Shahe Iraan Bada Pareshan tha Magar Usne Sabr kiya Aur Khyaal kiya ki Is Baare me Apne Waziro wa Mushireen(Raay deine walo) se Mashwara karna Chahiye, Usne Taaj Pehna Aur Apne Takht par Beithte hi Mubzaan ko Bulaya Aur Kaha Mubzaan Aaj Raat Meire Mahal ke 14 Burj gir gaye he Aur Hazaar Saal se Musalsal Jalne wala Aaatish-Kada Faaras Bujh gaya he,
Mubzaan kehne laga Ay Baadshah Meine Aaj Khwaab deikha he ki Kuchh Taaqatwar Unt Arabi Ghodo ko Haankte huwe laye Aur Dajla Paar karwa kar Unhe Humaare Faaras(Iraan) me Feila diya, Shah ne kaha Ab Bataao Mubzaan kya kiya jaye, Woh Ilm me Un Sabka Imaam tha Kehne laga Arab me Koi Haadsa ho gaya he,
Kisra ne Usi Waqt ye Khat Likhwaya
Shah Shahan Kisra ki Taraf se Noamaan(Gaaliban ye Noamaan Yaman ka Farmarawa tha Magar Uski Hukumat Azeem Saltanat Faaras ki Mehsul Adaa karne wali thi Aur Usi ka Ek Shuba thi) Munzar ki Taraf Hukm ye he ki Meiri Taraf Ek Ayse Jaanne wale Shaksh ko Bheija jaye Jo Meire Sawaalaat ka Jawaab de Sake,
Noumaan ne Fouran ‘Abdul Maseeh’ ko Bheij diya(Abdul Maseeh Budha Shakhs tha Iski Umr 150 Saal thi), Shahe Iraan ne Puchha Ay Abdul Maseeh Kya Tumhaare Paas Meire Sawaalaat ke Jawaab he..? Usne kaha Agar Mujhe Ilm huwa to Jawaab dunga Warna Kisi Ilm Wale ka Rasta Bataunga Jo Jawaab de sake, Baadshah ne Use Sara Majra Soonaya,
Us(Abdul Maseeh) ne Kaha ki Iska Ilm to Meire Maamu ke Paas he jo Sham(Mulke Sham/Syria) ke Kisi Pahaad me rehta he Jise ‘Sateeh’ kehte he,
Baadshah ne kaha Achha Uske Paas Jaao Aur Jo Kuchh Woh Bataaye Fouran Waapas Aakar Mujhe Us se Aagah karo, Abdul Maseeh Rawana ho kar Sateeh ke Paas Pahoncha, Jab ki Woh Mout ki Saans le raha tha, Usne Salaam kiya Aur Baadshah ki Taraf se Neik Tamannao ka Izhaar kiya, Magar Sateeh ne Koi Jawaab na diya, Abdul Maseeh kehne laga
Yaman ka Sardaar Behra he Ya Soon raha he, Ya Us par Mout ka Farishta Gaalib Aa gaya he, Ay Mushkile Hal karne wale Woh Mushkil Jisne Ek Fitnazada Insaan ko Thaka diya(Muraad Khud) Jiski Maa Aaale Zi’be Bin Hajan se he Aur Use Ek Taaqatwar Untni Utha Laayi he Aur Woh Ayse Shaksh (Sateeh) ke Paas Aaya he Jo Khopdi Aur Nichle Dhade(Jism) se Aadi he,(Us Waqt Sateeh ki Umr 300 Saal ke Lagbhag thi Dusre Qoul ke Muta’abiq 700 Saal thi, Uske Aazaa’a(Jism ke Hisse) Na The, Woh Beith bhi Nahi Sakta tha, Jab Woh Naaraz hota tha to Foonke Marta tha Aur Beith Jata tha, Uska Chehra Uski Gardan me tha, Uska Na Sarr tha Na Gardan thi, Baaz ne likha he ki Uske Sarr ke Elawa Aur Koi Haddi Na thi, Uski Sirf Zabaan Harkat karti thi, (Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-60)) Ab to Mazbut Daant Kano ki Buland Jagah Par Maar de, (Yani Mujhe Meiri Baat ka Jawab de de),
Sateeh ne ye Soon kar Sarr Uthaya Aur Kehne Laga Sateeh ke Paas Abdul Maseeh Aaya he, Jab ki Woh Marne wala he, Tujhe Shah Saasaan ne Is liye Bheija he ki Uska Mahal Laraz Utha, Aaatash-Kada Sard ho gaya Aur Mubzaan ne Khwaab me deikha ki Kuchh Taaqatwar Unt Arabi Ghodo ko Hankte huwe Laye Aur Dajla Paar karwa kar Faaras me Unhe Feila diya,
Ay Abdul Maseeh Jab tak Tilaawate hone lage Daryaa e Sawa Khushk(Sukha) Ho jaye, Faaras ka Aaatash-Kada Bujh Jaaye Aur Saahibe Asaa(Yani HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam) Zaahir ho Jayenge To Fir Sateeh ke liye Sham(Syria) Jaye Qaraar(Rehne ki Jagah) Na rahega, Un Saasaaniyo(Faaras ke Baadshah) se Itne hi Mard Aur Aurate Takhte Hukumat Sambhal lengi Jitne Saasani Baadshah ke Burj gire he Aur Jo Kuchh Hone wala he Woh Ho kar Rahega..
Ye keh kar Sateeh mar gaya Aur Abdul Maseeh Ne Uske Paas Khade ho kar Chand Ashaar kahe Aur Waapas Aakar Kisra ko Sara Maajra Soonaya , Kisra ne kaha Hum me se 14 Baadshaho ke Guzarne tak Kuchh ka Kuchh ho Chuka hoga(Is liye Koi Fikr wali Baat Nahi).

Kehte he Fir Sirf 4 Baras me Unke 10 Baadshah Guzar gaye Aur Baaqi bhi yu hi Jald Khatm ho gaye.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu), Safa-127-129)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-111,112)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-82)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-34)

>> HAQQ TA’ALA ne Faaras ke Aakhri Baadshah ki Hukumat ko Hazrat Saad Bin Abi Waqqaas RadiAllaho Ta’ala Anho ke Hath par Fatah Karaya, Uske Lashkar Musalmaano ke Muqaabil se Bhag Khade huwe, Uske Baad Chand Martaba Usne Lashkar ko Jama karke Jange ki Bil-Aakhir Hazrat Usmaan Zulnoorain RadiAllaho Ta’ala Anho ke Khilaafat ke Zamaane me Khuraasaan ki Jaanib Chala gaya Aur Ek Asbahaani ne Use 31 Hijri me Ek Mard ke Jhagde me Halaak kar diya,
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-34)

>> Hazrat Hasan Basri RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Sahaba e Kiraam RadiAllaho Ta’ala Anhum ne Arz kiya YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Kisra par Aap ke Muta’aliq ALLAH TA’ALA ne Konsi Daleel Zahir Farmaayi..? Farmaya ALLAH TA’ALA ne Uski Taraf Ek Farishta Bheija Jisne Uske Ghar ke Diwaar me Ek Suraakh se Andar Hath Dala Jis se Sara Ghar Noor se Bhar gaya, Kisra ye deikh kar Khoufzada ho gaya, Farishte ne kaha Khouf Na karo Kisra.. ALLAH TA’ALA ne Tumhaari Taraf Ek Rasool Bheija he Aur Us par Kitaab Utaari he Tum Uski Peirvi karo, Duniya wa Aakhirat me Salaamati Paaoge, Kehne laga Deikhunga.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu), Safa-127-129)

“Misl Faaras Zalzale ho Nazd me,”
“Zikr Aayate Wilaadat Kijiye..”

“Hashr Tak Dalenge Hum Paidaishe Moula ki Dhum,”
“Misl Faaras Najd ke Qile Giraate Jaaenge..”
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ Shabe Wilaadat se Aasmaano par Shaitaan ka Jana Bandh :-
✥════════════════════════════════════════════✥
Maaruf Bin Kharbuz RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Iblees Saato(7) Aasmaano me Chala jaya karta tha Magar Jab Hazrat Isaa Alayhis Salaam Peida huwe to 3 Aasmaano se Rok diya gaya Fir Woh 4 Aasmaano tak Jata raha, Lekin Jab RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Peida huwe to Sato Aasmaano se Rok diya tha,
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-111)

>> Shaitaan ki Sharaarat :-
Akrama Rahmatullah Alay se Riwaayat he ki Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Peida huwe To Saari Zameen Noor se Munawwar ho gayi Aur Iblees ne kaha ki Aaj ki Raat Ek Farzand Aysa Peida huwa he Jo Humaare Kaamo ko Khraab kar deiga, Is par Uske Lashkar ne kaha Jab Tu Uske Paas Jaye to Uske Faham wa Daanish(Samajh Aur Aql) ko Khraab Kar deina, Chunanche Woh HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Qareeb hone hi Wala tha Ki ALLAH TA’ALA ne Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko Bheija, Unhone Thokar Raseed(Maar) ki Aur Woh Mulke Adan me Ja gira,
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-111)
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-56)

Subhan Allah..

>➤ Mulke Sham me Zalzala :-
✥════════════════════✥
Hazrat Abu Sufiyaan Bin Harab RadiAllaho Ta’ala Anho ne Hadees Bayaan ki ke Mai Aur Umaiyya Bin Salt Sham(Syria) ki Taraf Rawana huwe to Douraane Safar Humara Guzar Us Basti se huwa Jiske Bashinde(Rehne wale) Nasara(Christians/Isaayi) the Jab Unki Nazar Umaiyya par Padhi To Uska Isteqbaal Aur Paziraai(Peishwayi) ki Aur Sath le Jane ki Darkhwast ki, Umaiyya ne Mujhse kaha Ay Abu Sufiyan Meire Humraah(Sath) Tum bhi Chalo Kyuki Tum Ek Ayse Shaksh ke Paas Jaoge Jo Ulume Nasraniyat ka Allama Aur Bada Fazil he, Maine kaha Mai Tumhaare Sath Nahi Ja Sakta, To Umaiyya Chala gaya Fir Waapas Aakar Usne kaha jo Baat Mai Tumse kahunga Kya Tum Use Poshida(Chhupa) rakhoge..?
Maine Kaha Haa.. Usne kaha Mujhse Ek Shaksh ne Jo Ilme Toureit ka Sabse Bada Mohaqqiq he Ek Aham Baat kahi he, Woh ye ki Bila-Shuba Ek Nabi Mabus ho gaya he, Maine Apne Deel me Khyaal kiya ki Shayad Woh Mai hu Magar Usne Bataya ki Woh Tum me se Nahi he Balki Woh Ahle Makka me se he, Maine Puchha Uska Nasab kya he..? Usne kaha Woh Apni Qoum ka Muntakhib(Pashandida) Shaksh he Aur Uski Ye Nishani Bayaan ki ke Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Baad Mulke Sham me 8 Zalzala Aayenge, Ab Ek Zalzala Baqi he Jisse Sham me Fasad wa Musibat Dakhil ho Jayegi,

Fir Jab Hum Waapas ho kar Saniyya(Ghaati/Pahad ke Darmiyan se Guzarne ka Raste) Pahonche to Achanak Ek Sawaar Aata huwa mila, Humne Puchha Kaha se Aa rahe ho..? Usne Jawaab diya (Mulke) Sham se, Humne Puchha Waha ke Ta’aluq se koi Nayi Khabar to Nahi..? Usne Bataya Khabar ye he ki Sham me Zalzala Aaya he Jiske Sabab Har Taraf Aafat hi Aafat Nazar Aati he.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-54,55)

Yaha par HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat ke Waqt Peish Aane wale Ajaaibaat ke Waaqiyaat khatm hote he..

>➤ Abu Lahab ko Wilaadat par Khushi Manaane ki Jaza :-
✥════════════════════════════════════════✥
Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadate Ba-Sa’adat hui to HUZOOR ﷺ ke Chacha Abu Lahab ki Londi ‘Suweiba’ Khushi me Doudti hui gayi Aur Abu Lahab ko Bhatijha Peida Hone ki Khush-Khabari di to Usne Is Khushi me Shahadat ki Ungli ke Ishare se Suwaiba ko Aazad kar diya, Jiska Samra(Badla) Abu Lahab ko ye mila ki Uski Mout ke Baad Uske Ghar Walo ne Usko Khwaab me deikha Aur Haal Puchha, To Usne Apni Ungali Utha kar Yeh Kaha ki

Tum Lougo se Juda hone ke Baad Mujhe Kuchh (Khane-Pine) ko Nahi Mila Siwa Iske ki ‘Suweiba’ ko Aazad karne ke Sabab se Is Ungali ke Zariye Kuchh Paani Pila diya jata he.
(Bukhari Shareef, Kitaabul Nikaah, Jild-3, Safa-432)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-49,50)

Is Mouqe par Hazrat Shaikh Abdul Haqq Mohaddise Dahelvi Alayhir Rahmah ne Ek Bahot hi Khubsurat Baat Tehreer Farmaayi he Jo Ahle Muhabbat ke liye Nihaayat hi Lazzat Baksh he, Likhte he
Is Jagah Milaad Karne walo ke liye Ek Hujjat he ki Ye HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat ki Raat me Khushi Manaate he Aur Apna Maal Kharch Karte he, Matlab ye he ki Jab Abu Lahab jo Kaafir tha Aur Uski Mazammat(Buraai) me Quraan Naazil huwa(تَبَّتۡ یَدَاۤ اَبِیۡ لَہَبٍ وَّ تَبَّ Tarjuma : Tabaah ho jaye Abu Lahab ke Dono Hath Aur Woh Tabaah ho gaya), Use HUZOOR ﷺ ki Wilaadat par Khushi Manaane Aur Baandi ka Dhoodh Kharch karne par Jaza di gayi to Us Musalmaan ka kya Haal hoga Jo HUZOOR ﷺ ki Muhabbat me Sarshar ho kar Khushi Manata he Aur Apna Maal Kharch karta he.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-35)
>> Ibne Jawzi Alayhir Rahmah ne bhi Bahot Khubsurat Baat Tehreer Farmaayi he ki
Jab Abu Lahab Kaafir ka ye haal he Jiski Mazammat(Buraai) me Quraan Naazil huwa(تَبَّتۡ یَدَاۤ اَبِیۡ لَہَبٍ وَّ تَبَّ Tarjuma : Tabaah ho jaye Abu Lahab ke Dono Hath Aur Woh Tabaah ho gaya), Use Wilaadate Nabawi ki Khushi me Jahannam ke Andar bhi Achha Badla diya gaya To Woh Musalmaan Jo Aqeeda Touhid par Qaayam he Aur HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Ummati he Aur Milaadun Nabi ﷺ par Khushi Manata he Aur Jis Qadr Mumkin ho Mohabbate RASOOL Sallallaho Alayhe Wasallam me Kharch Karta he, Mujhe Apni Zindagi ki Qasam.. ALLAH KAREEM ki Taraf se Use ye Jaza milegi ki Woh Usko Apne Aam Fazal wa Karam se Ne’amato wale Baagat me Daakhil karega.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-92)

Subhan Allah..

>> Hazrat Haafiz Shamsuddin Bin Naasir Damishqi Alayhir Rahmah ne likha he ki
Ye Baat Paya e Saboot ko Pahonch Chuki he ki Abu Lahab ne HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat ki Khushi me Suweiba ko Aazad kiya tha To Pir(Monday) ke Roz Ab bhi Uske Azaab me Takhfeef(Kami) hoti he, Fir Unhone ye Ashaar Padhe
اِذَا كَانَ هٰذَا كَافِرًا جَاءَ ذَمُّهٗ وَ تَبَّتۡ يَدَاهٗ فِى الجَحِيۡم مُخَلَّدًا
اَتٰى اَنَّهٗ فِى يَوۡم ِالۡاِثۡنَيۡنِ دَائِماً يُخَفَّفُ عَنۡهُ بِالسُّرُوۡرِ بِاَحۡمَدَ
فَمَا الظَّنُّ بِالّعَبۡدِ الَّذِى ۡطُوۡلُ عُمۡرِهِ بِاَحۡمَدَ مَسۡرُوۡرًا وَ مَاتَ مُوَحَّدًا
Tarjuma :- Jab Abu Lahab Jeisa Kaafir Jiska Hameisha Thikana Jahannam he Aur Jiski Mazammat me Quraane Majeed ki Surah Tabbat Yada Naazil hui,
Bawajood Iske Jab Pir ka Din Aata he To HUZOOR ﷺ ki Wilaadat ki Khushi me Hameisha Uske Azaab me Kami kar di Jati he,
Kya Khyaal he Us Bande ke Baare me Jisne Tamaam Umr HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat ki Khushi me Jashn Manaane me Guzaari Aur Touhid ki Haalat me Use Mout Aayi.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-64)

>➤ Mehfile Milaadun Nabi ﷺ Sajana :-
✥══════════════════════════✥
Imaam Qastalani Alayhir Rahmah Farmaate he
Musalmaan Hameisha se Wilaadate Nabawi Sallallaho Alayhe Wasallam ke Maheene me Mehfilo ka Ineqaad(Sajaya) karte Chale Aaye he, Woh Dawato ka Ahetemaam karte he Aur Is Maheene ki Raato me Tarah Tarah ke Sadqaat Karte he Aur Khushi ka Izhaar Karte he, (Yu Woh Apni) Neikiyo me Izafa karte he Aur Moulud Shareef Padhne ka Ahtemaam Karte he(Ya’ani HUZOOR ﷺ ki Wilaadat ke Waqt Jo Ajaaibaat Zaahir huwe Unko Bayaan karte Aur HUZOOR ﷺ ke Fazaail Bayaan karte) Aur Un Musalmaano par Har Qism ka Fazal Aur Barkaat Zaahir hoti he,

Milaad Shareef ki Mehfilo ke Silsile me Is Baat ka Tarjuba huwa he ki Is Saal Aman Qaayam Rehta he Aur Maqaasid ke Husul(Haasil hone) ke liye Jald Khush Khabari milti he, Pas ALLAH TA’ALA Us Shaksh par Raham Kare Jo Milaad Shareef ke Maheene ki Raato ko Eid Banata he Taki ye (Eid) Un Lougo ke liye Shakht Takleef ka Baais Bane Jin ke Dilo me Beemari he.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-92,93)
.
>> Lougo me ye Umda Aadat ban gayi he ki Jab Woh HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Walaadate Ba-Sa’adat ka Zikr Kheir Soonte he to HUZOOR ﷺ ki Taazim ke liye Uth(Khade) jate he, Ye Qayaam Mustahsan he, Kyu ki Isme HUZOOR SHAFI E MUAZZAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Taazim he Is Ummate Marhuma(Musalman) ke Bahot se Jayyad Ulmae Kiraam ye Amal karte he, Imaam Halbi Alayhir Rahmah ne ‘Seerate Halbiya’ me likha he ki Baaz Lougo ne Bayaan kiya he ki Imaam Subki Rahmatullah Alay ke Yaha Unke Zamaane ke Bahot se Ulmae Kiraam Jama ho jate, Woh Imaam Sarsari Alayhir Rahmah ki ye Naate Mubaarak Padhte
قَلِیۡلٌ لِمَدۡحِ الۡمُصۡطَفَی الۡخَطُّ بِالذَّهَبِ عَلَى وَرَقٍ مَنۡ خَطَّ اَحۡسَنَ مِن كَتَبِ
وَاَنۡ تَنۡهَضَ الۡاَشۡرَافُ عِنۡدَ سِمَاعِهٖ قِيَامًا صَفُوۡفًا اَوۡ جَثِيًّا عَلٰى الرَّكَبِ
Tarjuma :- Us Shaksh ke Kaagaz par Jo Umda Likhawat karta he Sone ke Sath HUZOOR ﷺ ki Ta’arif likhna bhi kam he,
HUZOOR ﷺ ki Ta’arif Soon kar Sardaaro ko Safo me Khada ho Jana Chahiye ya Gutno ke Bal Jhuk Jana Chahiye,

Is Naate Paak ke Waqt Imaam Subki Rahmatullah Alay Khud bhi Qayaam Karte(Khade hote), Haazireene Mehfil bhi Khade ho jate, Is Mehfil se Bahot Zyada Muhabbat Haasil hoti, Ye Ek Mustahsan Feil he.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-63)

>> Hazrat Allama Shakhaawi Alayhir Rahmah Farmaate he Qurune Salasa(Shuruaat ke 3 Zamane) ke Baad Duniya ke Kone Kone Aur Mukhtalif Mumaalik(Mulko/Country’s) me Basne wale Tamaam Ahle Islaam Hameisha se Rabiul Awwal ke Mahine me Milaad ki Yaad Manaate he, Is Mouqe par Woh Saare Neik Kaam karte he Jo Neiki, Khushi Aur Muhabbat ka Mazhar hote he, Woh Sadqaat wa Kheiraat ki Tamaam Mumkin Surate Amal me late he, Milaad ke Charche Karte he, Jinki Barkaat Baharhaal Un par Zaahir hoti rehti he.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-63)

>> Imaam Ibne Jawzi Rahmatullah Alay Farmaate he
“Haramain (Makka Shareef Aur Madina Shareef) me, Misr(Egypt) me, Yaman me Balki Poori Arab Duniya me Humeisha se Milaad-un-Nabi ﷺ Manaayi jaati rahi he, Rabi-ul-Awwal ka Chand dekhte hi Unme khushiyaa Apni Hado ko chhu Jaati Aur Is Sabab wo Milaad ke Zikr ki Mehfile Munaqqid kiya karte Taaki Isse wo Bohot Zyaada Ajr-o-Sawab Aur Kaamiyabi Haasil kar Sake”.
(Bayaan Al Milaadun Nabawi ﷺ , Safa-58)

>> Imaam Kutubuddin Hanfi Makki Alayhir Rahmah Jo ki Makka E Mukkarama ke Muaamlaat Bayaan karte hue likhte he
12 Rabi ul Awwal ki Raat Har Saal Ba-Qaida Masjid E Haram me Ijtema ka Aylaan ho Jata Tha, Tamaam Ilaaqo ke
Ulmaa, Fuqaha, Gowernar Aur Chaaro Mazhab ke Qaazi Magrib ki Namaaz ke Baad Masjidul Haram me Ikhatthe ho Jate, Tamam Masaaikh Aur Mashoor Mu’ajaz Lougo ke Taife Adaaygi Namaaz ke Baad Suyookullail se Guzaarte huye Mouludun NABI ﷺ ki Ziyaarat ke liye Jaate Unke Haatho me Kaseer Tadaad me Sammaae Fanoos Aur Masaale hoti Waha Lougo ko Itna Kaseer Ijtema hota ke Jagah Na Milti Fir Ek Aalim E Deen Baahan Khitab Karte Tamam Musalmano ke Liye Duaae Hoti fir Tamaam Loug Dubara Masjid E Haram me Aa jate Wapasi Par Masjid E Haram me Baadshah E Waqt Dastarbandi Karta Fir Isha ki Azaan Aur Jama’at hoti Uske
Baad Loug Apne Apne Gharo ko Chale Jate Ye Itna Bada Ijtema hota ke Door-Daraaz Dihaato(Gaanw), Sahro Hatta ke Jiddah ke Loug Bhi Is Mehfil me Shareek Hote Aur HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat Par Khusi ka Izhaar karte The.
(Alalaam Wa Aalam Baitul Haram, Safa-439)

>➤ Lailatul Qadr Aur Shabe Milaad me se Konsi Raat Afzal he…?? :-
✥═══════════════════════════════════════════════✥
Imaam Qastalani Alayhir Rahmah Farmaate he
Agar Tum Kaho ki Jab Hum Kehte he ki NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadate Mubaarak Raat ke Waqt hui he to Leilatul Qadr Afzal he ya Milaad Shareef ki Raat..?
Iska Jawaab yu diya gaya he ki HUZOOR ﷺ ki Wilaadate Ba-Sa’adat ki Raat Afzal he Aur Uski 3 Wajahe he
1) Milaad Shareef ki Raat HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Zuhur ki Raat he Aur Lailatul Qadr HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Ataa ki gayi he Aur Jis Chiz ko Musharraf(Buzurg) Zaat ki Wajah se Sharf Haasil huwa Woh Us Zaat se Zyada Sharf wali Nahi ho Sakti, Kyu ki Woh Is Zaat ko Ataa ki gayi Aur Is Baat me Koi Ikhtelaaf Nahi, Pas Is Aytebaar se Milaad Shareef ki Raat Afzal he,
2) Leilatul Qadr ko Sharf Is liye Haasil he ki Isme Farishte Utarte he Aur Milaad Shareef ki Raat Is liye Afzal he ki Is me RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Jalwagar hue Aur Jis Zaat ki Wajah se Milaad Shareef ki Raat Musharraf hui Woh Zaat Un(Farishto) se Afzal he Jinke Zariye Leilatul Qadr ko Sharf Haasil huwa, Yahi Zyada Sahih Pasandida Qoul he,
3) Shabe Qadr me Sirf Ummate Mohammadiya Alayhis Salaato wa Salaam par Fazal Khudawandi hota he Jab ki Milaad Shareef ki Raat me Tamaam Moujudaat par Fazl Farmaya Kyuki ALLAH TA’ALA ne HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Tamaam Jahaano ke liye Rahmat Bana kar Bheija, Pas Is Tarah Tamaam Makhluq ko Ne’amat Haasil hui, Lihaza Is Raat ka Nafa Aam huwa Aur ye Raat Afzal Qaraar Paayi,
To Ay Maheene Tu Kis Qadr Sharf ka Haamil he Aur Teri Raate Kis Qadr Qaabile Ahteraam he Goya Haaro ke Moti he Aur Ay Chehrae Mubaarak Ye Moulud kis Qadr Sharf wa Izzat wala he, Pas Woh Zaat Paak he Jis ne Uski Wilaadate Ba-Sa’adat ko Dilo ke liye Bahaar Aur Uske Husn ko Bemisaal Banaya.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-91)

>➤ MouludunNabi ﷺ :-
✥═══════════════✥
Jis Muqaddas Makaan me HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat hui he Taarikhe Islam me Us Makaam ka Naam MouludunNabi ﷺ (Nabi ﷺ ki Paidaish ki Jagah) he, ye Bahot hi Barkat Wala Maqaam he,

>> Ye Maqaam Pehle Hazrat Aqeel Bin Abi Taalib Aur Unki Aulaad ki Milkiyyat(Jaaydad) me raha, Fir Hajjaj ke Bhai Muhammad Bin Yusuf Saqafi ne Ek Lakh Dinaar Qeemat Adaa kar ke Use Kharid liya Aur Is Jagah ko Apne Makaan ka Hissa Bana liya, Kyuki Ye Makaan Safeid Chune se Ta’amir kiya gaya tha Aur Us par Plaster bhi Safeid Chune ka tha Is liye Use “اَلبَيْضَاء”(Chamakdaar) kaha jata tha, Ye Arsa(Zamane) Tak ‘Daarul Ibne Yusuf’ ke Tour par Mashoor raha, Haarun Rasheed ke Ahad Khilaafat me Uski Neik-Bakht Rafeeqa Hayaat Zubaida Khatun Hajj Adaa karne ke liye Makkae Mukarrama Haazir hui to Usne ye Makaan Haasil karke Gira diya Aur Is Jagah Masjid Ta’amir kardi,
Ibne Dihya kehte he ki Haarun Rasheed ki Waalida Khezraan Jab Hajj ke liye Aayi To Usne Ibne Yusuf ke Makaan se Woh Hissa Nikaal liya Jo SARWARE AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Moulude Mubaarak tha Aur Waha Masjid Ta’amir kar di,
Mumkin he ki Pehle Waha Masjid Ta’amir Karne ka Sharf Khezraan Ne Haasil kiya ho, Fir Zubaida Khatun Makkae Mukarrama Aayi ho to Usne Is Masjid ko Dubara Ta’amir Kiya ho.
(Seerate Halbiya, Jild-1, Safa-59,60)
(Ziaaun Nabi ﷺ, Jild-2, Safa-42)

>> Salaatine Islam ne Is Mubaarak Yaadgaar par Bahot hi Saandaar Imaarat Bana di thi, Jaha Ahle Harmein Sharifein Shareef(Makka Shareef Aur Madina Shareef) Aur Tamaam Duniya se Aane Wale Musalman Din Raat Mehfile Milaad Munaqqid karte Aur Salaato Salaam Padhte rehte the,
Chunanche Hazrat Shah Waliyullah Mohaddise Dahelvi Alayhir Rahmah ne Apni Kitaab ‘Fuyuzul Haramein’ me Tehrir Farmaya he ki Mai Ek Martaba Us Mehfile Milaad me Haazir huwa, Jo Makka e Mukarrama me 12vi Rabiul Awwal ko ‘MouludunNabi ﷺ’ me Mun’aqqid hui thi, Jis Waqt Wilaadat ka Zikr Padha Ja raha tha To Meine Deikha ki Yakbaargi(Achaanak) Us Majlis se Kuchh Anwaar Buland hue, Meine Un Anwaar par Gour kiya to Ma’alum huwa ki Woh Rehmate ILAAHI Aur Un Farishto ke Anwaar the Jo Aysi Mehfilo me Haazir huwa karte the.
(Fuyuz ul Haramain(Arbi-Urdu), Safa-33, 34)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-50,51)

Jab Hejaaz(Saudi Arab) par Nazdi Hukumat ka Qabza huwa to Nazdi Hukumat ne Is Muqaddas Jagah ko Tod-fod kar Mismaar kar diya Aur Barso se ye Mubaarak Makaam Viraan Padha raha, Aaj Waha par Maktab(Library) Qaayam he Aur Uske Qareeb se Surang Nikalti he Jo Minaa ki Taraf Jati he, Ab Is Jagah Na Milaad Shareef ho Sakta he Na Salaato Salaam Padhne ki Ijaazat he.

“Tere Habib ka Pyara Chaman kiya Barbaad,”
“ILAAHI Nikle Ye Najdi Bala Madeene Se…”

>➤ HUZOOR ﷺ Naaf Burida Aur Khatna Shuda Peida huwe :-
✥══════════════════════════════════════════✥
Jamhoor Ahle Seer ka Mazhab he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Khatna Shuda(Khatna kiye huwe) Aur Naaf Burida(Naaf Kate huwe) Peida huwe,
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-33)

Hazrat Anas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya ALLAH TA’ALA ne Mujhe jo Izzat wa Karaamat Ataa ki he Uski Ek Surat ye he ki Mai Khatna Shuda Peida huwa hu Aur Meiri Sharamgaah ko Kisi ne Nahi deikha.
(Taarikhe Damishq(Ibne Asaakir), Jild-2, Safa-32)
(Al Majmaul Ausat(Tabrani), Jild-7, Safa-88)
(Kanzul Ummal, Jild-11, Safa-411)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-33)
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam Urdu), Safa-137)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-115)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-83)

Hazrat Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho Bataate the ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Makhtun(Khatna Shuda) wa Masrur(Khus) Peida huwe Aur Is Haalat par Unhone Ta’ajub kiya Aur Farmaya Yaqinan Meire Is Farzand ki Badi Shan hogi.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam Urdu), Safa-138)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-115)

Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho Riwaayat karte he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Naaf Burida Aur Makhtun Shuda Peida huwe.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-115)

>➤ Haandi ka Tootna :-
✥════════════════✥
Ek Riwaayat me he ki Quraish me Dastoor(Rasam/Rivaaj) tha ki Unke Yaha Jab (Bacche ki) Wilaadat hoti to Subah Aurate Noumoulud(Peida Huwe) Bacche ke Sar par Haandi(Bartan) rakhti, Isi Dastoor ke Muta’abiq Jab RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Peida huwe To Hazrat Abdul Muttalib ne Aap ﷺ ko Aurato ke Supurd (Hawaale) kar diya gaya ki Woh Rasam ke Muta’abiq Haandi rakhe, Chunanche Unhone Haandi rakhi To Uske Do Tukde ho gaye Aur Unhone HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Deikha ki Rukh Upar ko he Aur Aaasmaan ki Jaanib Nigaahe Uthi hui he, Unhone Aakar Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho se kaha Humne Aysa Baccha Nahi Deikha Jiske Sath Aysi Surat(Haalat) Waaqe hui ho, Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Jawaab diya Tum Loug Yaad rakho Aur Mujhe Ummid he ki ye Bachha Kheir wa Falaah ko Pahonchega.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1 Safa-109)
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu), Safa-126-127)

>➤ “Muhammad” ﷺ Naam Rakhna :-
✥═════════════════════════✥
>> Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati thi ki Maine Khwaab me Kisi ko Kehte Soona Jabki 6 Maah ki Haamela thi, Usne Mujhse Kaha Ay Aaamena Tum Sare Jahaan se Afzal ki Haamela ho Jab Tumse Woh Peida ho to Uska Naam ‘Muhammad’ Rakhna,
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2 Safa-32)

Ek Riwaayat me he ki
Jab (Wilaadat ko) Satva(7wa) Din huwa Aur Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne (Aqeeqa me) Qurbaani ki Aur Biraadari ko Khane par Bulaya To Khane se Faraagat ke Baad Unhone kaha
Ay Sardaar Aap ne Apne Poute ka Kya Naam Rakha he…? Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Bataya Maine Iska Naam “Muhammad” rakha he, Quraish Mehmaano ne kaha Apne Yaha Khandani Naamo se Aapne Kyu Inhiraaf(Pasand Nahi) kiya..? Farmaya Meiri Khwaaish he ki ALLAH TA’ALA Aasmaano me Is ki Maddah(Ta’arif) Farmaaye Aur Zameen par Makhluq Iski Maddah(Ta’arif) kare.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1 Safa-109)

Ek Qoul ke Muta’abik Sayyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Hazrat Abdul Muttalib Radiallaho Ta’ala Anho ko ye Khwaab(Jo Uper Bayan kiya he) Bataya, Dusre Qoul ke Muta’abiq Un(Hazrat Abdul Muttalib) par ye Naam Ilhaam(Geib se Dil me Aaya) kiya gaya,
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-62)

>> Ahle Lugaat kehte he ki Jo Hasti Tamaam Sifaate Kheir ki Jaame ho Use ‘Muhammad’ kehte he
Allama Suhili Is Naam ki Tashreeh(Wazaahat) karte huwe Likhte he
Lugaat me ‘Muhammad’ Usko Kehte he Jiski Baar Baar Ta’arif Ki Jaaye,
(Al Rouzul Unuf, Jild-1, Safa-182)
(Ziaaun Nabi ﷺ, Jild-2, Safa-61,62)

>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Weise Besumaar Isme Giraami(Naam) he Jo HUZOOR ﷺ Ki Mukhtalif Shano Aur Sifaat ki Tarjumaani Karte he, Lekin 5 Naam Ayse he Jinko SARKAARE DO AALAM Sallallaho Alaye Wasallam ne Khususi Tour par Zikr kiya he,
Imaam Tirmizi Alayhir Rahmah ne Jubeir Bin Mut’am se Riwaayat Naqal ki he
HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Meire Kayi Naam he Mai Muhammad hu, Mai Ahmad hu, Mai Maahi hu Ya’ani ALLAH TA’ALA Meire Zariye se Kufr ko Mita dega, Mai Haashir hu Loug Hashr ke Din Meire Qadmo par Jama honge, Mai Aaqib hu Ya’ani Meire Baad Koi Nabi Nahi Aayega.
(Uyunul Asar (Ibne Saiyyadin Naas), Jild-1, Safa-31)
(Ziaaun Nabi ﷺ, Jild-2, Safa-64)

>➤ Nasab Nama :-
✥════════════✥

HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ka Nasab Shareef(Khaandaan ka Silsila) Waalide Maajid ki Taraf se ye he
1) Hazrat Muhammad Sallallaho Alayhe Wasallam 2) Bin Abdullah 3) Bin Abdul Muttalib 4) Bin Haashim 5) Bin Abde Manaaf 6) Bin Qasi 7) Bin Kilaab 8) Bin Murah 9) Bin Ka’ab 10) Bin Lavi 11) Bin Gaalib 12) Bin Fahar 13) Bin Maalik 14) Bin Nazar 15) Bin Kinaana 16) Bin Khezeima 17) Bin Mudrikah 18) Bin Ilyaas 19) Bin Mazar 20) Bin Nazaar 21) Bin M’ad 22) Bin Adnaan.
(Bukhaari Shareef, Jild-1)

Waalida Maajida ki Taraf se HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Sajrae Nasab ye he
1) Hazrat Muhammad Sallallaho Alayhe Wasallam 2) Bin Aaamena 3) Binte Wahab 4) Bin Abde Manaaf 5) Bin Zahra 6) Bin Kilaab 7) Bin Murah.
(Seeratun Nabawiya La Ibne Hisham, Safa-48)

HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalidein(Maa-Baap) ka Nasab Nama “Kilaab Bin Murah” par mil jata he Aur Aage Chal kar Dono Silsile Ek ho Jate he, ‘Adnaan’ tak HUZOOR ﷺ ka Nasab Nama Sahih Sanado ke Sath wa Ittefaqe Mu’arrikhin Saabit he, Iske Baad Naamo me Bahot Kuchh Ikhtelaaf he Aur HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Jab bhi Apna Nasab Nama Bayaan Farmaate the to ‘Adnaan’ hi Tak Zikr Farmaate the.
(Kirmaani Ba-Hashiya Bukhari, Jild-1, Safa-543)

Magar Is par Tamaam Mu’arrikhin(Itihaaskaaro/Historians) ka Ittefaq he ki ‘Adnaan’ Hazrate Ismaail Alayhis Salaam ki Aulaad me se he Aur Hazrate Ismaail Alayhis Salaam Hazrate Ibhraahim Khalilullah Alayhis Salaam ke Farzande Arjumand he.
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-34)

>> Seerate Ibne Hisham me Abu Bakr Muhammad Bin Ishaaq (181 Hijri) ke Hawaale se Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho se le kar Hazrat Aadam Alayhis Salaam tak Tamaam Aaaba kiraam(Baap-Dada) ke Asmaa(Naam) likhe he, Adnaan se Hazrat Ismaail Bin Ibhraahim Alayhis Salaam tak, Fir Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam se Hazrat Nooh Alayhis Salaam tak Aur Nooh Alayhis Salaam se Hazrat Aadam Alayhis Salaam tak Ikhtelaaf he Aur Isme Kami-Zyadati bhi he,

Magar Woh Silsila e Nasab Jisko Imaam Bukhari ne Bayaan kiya he Us par Sabka Ittefaq he. (Jo Uper Sabse Pehle Bayaan kiya gaya he..)
(Seerate Khaatimun Nabiyyin ﷺ, Safa-21)



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Huzoor #Nabi #Huzoor-ki-Wiladat #Miladun-Nabi #12Rabiun-noor #Sham-ke-Mahal-Roshan-ho-gaye #Sitare-jhuk-gaye #Mojiza #Mozija #Worldduroodday #20-April #12-Rabi-ul-Awwal #Kisra #Qisra #Sitara #Kabekasajdakarna #Buttundhegire #Aatashgada #shaitan #mouludnabi #Muhammadnaamrakhna

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial