Saiyyadna Gouse Aazam Rahmatullah Alay

4

>➤ Wiladat ki Basarat :-

>> Humaare PYAARE HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Basarat :-
Peerane Peer Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alay ke Walide Maajid Hazrate Saiyyadna Abu Saleh Musa Jangi Dost Rahmatullah Alay ne Gouse Aazam Rahmatullah Alay ki Wiladat ki Raat Musahada Farmaya ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Aur Sahabakiraam Aur Auliya e Ejaam RadiAllaho Ta’ala Anho Unke Ghar Jalwa Afroz he Aur In Alfaaze Mubaraka se Unko Khitaab Farma kar Basarat se Nawaza
“Ay Abu Saleh ALLAH AZZAWAZAL ne Tum ko Eysha Farzand(Beita) Ata Farmaya he jo Wali he Aur Wo Meira Aur ALLAH TA’ALA ka Mehbub he Aur Uski Auliya Aur Aktaab me Weyshi hi Shaan hogi Jeishe Ambiya Aur Mursalin Alayhesalam me Meri Shaan he.
(Seerate Gousus Saqlein, Safa-55)

SubhaAllah…

>> Ambiya e Kiraam Alayhesalam ki Basarate :-
Peerane Peer Gouse Aazam Dastagir Rahmatullah Alay ke Walide Majid ko HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Ilawa Jumla Ambiyae Kiraam Alayhesalam ne bhi Ye Basarat di ki Tamam Auliya e kiraam Tumhare Farzand(Beite) ke Farmabardaar honge Aur Unki Gardano Par Inka Qadame Mubarak Hoga.
(Seerate Gousus Saqlein, Safa-55)

>> Hazrate Hasan Basri Rahmatullah Alay ki Basarat :-
Hazrate Saiyyadna Hasan Basri Rahmatullah Alay ne Apne Jamane Mubarak se lekar Hazrate Shaikh Muhiyuddin Saiyad Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alay ke Jamana e Mubarak Tak Tafseel se Khabar di ki Jitni bhi ALLAH AZZAWAZAL ke Auliya Gujre he, Sab ne Shaikh Abdul Qadir Jilanai Rahmatullah Alay (Ke Aane ki) Khabar di he.
(Seerate Gousus Saqlein, Safa-57)

>> Hazrate Saiyyadana Shaikh Abu Bakr Bin Hawara Rahmatullah Alay ki Basarat :-
Saiyyadna Shaikh Abu Bakr Bin Hawara Rahmatullah Alay ne ek Roj Apne Muridin se Farmaya
An karib Iraaq me ek Ajami Shaksh jo ki ALLAH TA’ALA Aur Lougo ke Nazdik Aali Martabat Hoga, Uska Naam Abdul Qadir Rahmatullah Alay hoga Aur Bagdaad Sareef me Sukunat Ikhteyaar karega, Aur “Meira ye Kadam Har Wali ki Gardan par he” ka Eylaan Farmayega Aur Jamane ke Tamam Auliya e Kiraam Rahmatullah Alay Uske Farmabardaar honge.
(Bahajatul Israr, Zikr Akhbarul Masaikh Ana Bazalik, Safa-14)

SubhanAllah…

“Jo Wali Kabl the Ya Baad Huwe Ya Honge,
Sab Adab Rakhte he Dil Mei Meire Aaqa Teira”

>➤ Wiladate Ba-S’aadat :-
Saiyyadna Gouse Paak Rahmatullah Alay ki Wiladat Ramzan Baroze Jumma 470 Hijri Ko Bagdaad Sareef ke Karib Kasba Jilaan me hui.
(Bahajatul Israr, Safa-181)

Sarkare Bagdaad Gouse Paak Rahmatullah Alay ka Naame Mubarak “Abdul Qadir” Aur Aap ki Kuniyat “Abu Mohammad” Aur Alqaab “Muhyuddin, Mehbube Subhani, Goususs-kalein, Gousul Aazam” Wageira he.
(Bahajatul Israr, Safa-171)

Saiyyadna Gouse Aazam Rahmatullah Alay Walide Majid ki Nisbat se Hasani he Aur Walide Majida ki Nisbat se Hussaini Saiyad he,
(Bahajtul Israr, Safa-171)

Jis Raat Hazrate Saiyyadna Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alay Ki Wiladat hui Us Raat Jilaan Sareef ki Jin Aurato ke yaha Baccha Peida Huwa Un Sabko ALLAH TA’ALA ne Ladka hi Aata Farmaya Aur Har Naw Moulud Ladka ALLAH TA’ALA ka Wali Bana,

Saiyadna Gouse Paak Rahmatullah Alay ki Wiladat Maahe Ramzanul Mubarak me Hui Aur Pehle Din hi se Roze Rakhna Suru Kar diye, Sahri se Lekar Iftaar Tak Aap Walide Mohatarma ka Dhoodh na pite the.
(Bahajatul Israr, Safa-172)

Gouse Aazam Rahmatullah Alay ki Walide Majida Ummul Kheir Fatima Binte Abdullah Somai Rahmatullah Alayhema Farmaya karti thi Jab Mei Apne Sahaabjade Abdul Qadir ko Janaa to Wo Ramzanul Mubarak me Din ke Waqt Meira Dhudh nahi Pita tha Agle Saal Ramzaan ka Chand Gubaar ki Wajah se Nazar na Aaya to Loug Meire Paas Daryaft karne ke liye Aaye to Meine Kaha ki Meire Bacche ne Dhudh nahi Piya, Fir Ma’alum huwa ki Aaj Ramzan ka Din he Aur Hamare Sahar me ye Baat Mashoor ho gayi ki Saiyyado me ek Baccha Peida huwa he jo Ramzanul Mubarak me Din ke Waqt Dhudh nahi Pita,
(Bahajatul Israr, Safa-172)

SubhanAllah…

“Gouse Aazam Muttaki Har Aan me,
Choda Maa ka Dhudh bhi Ramzan me”

>➤ Bachpan me Apni Wilayat ka Ilm hona :-
Saiyyadna Gouse Paak Rahmatullah Alay ke Sahaab Jaade Shaikh Abdurajjak Rahmatullah Alay ka Bayan he ki ek Martaba Gouse Aazam Rahmatullah Alay se Pucha gaya ki Aapko Apne Wali hone ka Ilm kab huwa…?
To Gouse Aazam Rahmatullah Alay ne Farmaya ki Jab Mei 10 Baras ka tha Aur Apne Saher ke Maktab me Jaya karta tha Aur Faristo ko Apne Piche Aur Ird-Gird Chalte deikhta, Jab Maktab me Pahunch Jata to wo Baar Baar ye kehte ki ALLAH AZZAWAZAL ke Wali ko Beithne ke liye Jagah do, Is Wakiya ko Baar Baar deikh kar Meire Dil me ye Eheshas Peida huwa ki ALLAH TA’ALA ne muje Darja e Wilayat Par Faiz kiya he.
(Bahajatul Israr, Safa-48)

SubhanAllah…

“Fariste Madarse Tak Saath Pahonchane ko Jate the,
Yeh Darbaar-e-ILAAHI me he Rutba Gouse Aazam ka”

>➤ Daaku Taaib ho gaye :-
Saiyyadna Gouse Aazam Rahmatullah Alay Farmate he ki Jab Mei Ilme Din Hasil karne ke liye Jilaan se Bagdaad Kafile ke Hamraah(Saath) Rawana huwa Aur Jab Hamdaan se Aage Pahonche to 60 Daaku Kafile par Tut Pade Aur Sara Kafila Lut liya Lekin Kishi ne Mujse Ta’aruj na kiya, Ek Daaku Meire Paas Aakar Puchne laga Ay Ladke Tumhare Paas bhi Kuch he…??
Meine Jawab me Kaha Ha..
Daaku ne Kaha Kya he..??
Meine Kaha 40 Dinaar,
Usne Pucha Kaha he…??
Meine Kaha Gud-di(गुदडी) ke niche.
Daaku Is Tarah Mazaak karta huwa Chala gaya Aur Iske Baad Dusra Daaku Aaya Usne bhi Ishi Tarah ke Sawalaat kiye Meine Yehi Jawabaat Usko bhi diye Aur wo bhi Ishi Tarah Mazaak Samjte hue Chalta Bana,
Jab Sab Daaku Apne Sardaar ke Paas Jama’a hue to Unhone Apne Sardaar ko Meire Baare me Bataya to Muje Waha Bula liya gaya, woh Maal ki Taksim karne me Masruf the,

Daakuo ka Sardaar Mujse Mukhatib huwa Tumhare Paas Kya he…??
Meine Kaha 40 Dinaar,
Daakuo ke Sardar ne Daakuo ko Hukm deite hue kaha Is ki Talashi lo,
Talashi Leine par Jab Sacchai ka Izhaar huwa to Usne Ta’ajub se Sawal kiya ki Tumhe Sach Bolne par Kis Chiz ne Aamada kiya…??
Meine kaha Walide Majida ki Nasihat ne,
Sardar Bola Wo Nashihat kya he…??
Meine kaha Meri Walida e Mohtarma ne Muje Hameisha Sach Bolne ki Talqin Farmayi thi Aur Meine Un se Wa’ada Kiya tha ki Sach Bolunga,

Daakuo ke Sardaar Ro kar kehne laga
Ye Baccha Apni Maa se Kiye hue Wa’ade se Munharif Nahi huwa Aur Meine Saari Umr Apne RABB AZZAWAZAL se kiye Huwe Wa’ade ke Khilaaf Gujaar di he.
Ushi Wakt wo Un 60 Daakuo Sameit Meire Haath Par Taaib huwa Aur Kafile ka Luta huwa Maal Wapas kar diya.
(Bahajatul Israr, Safa-168)

SubhanAllah..

>➤ Peerane Peer Gouse Aazam Rahmatullah Alay ki Sabit Qadami :-
Saiyyadna Qutbe Rabbani Shaikh Abdul Qadir Jilaani Rahmatullah Alay ne Apni Sabit Qadami ka Khud is Andaaj me Tazkira Farmaya ki
“Meine (Raahe KHUDA) me Badi Badi Shakhtiya Aur Masakkate Bardaast ki Agar wo Kishi Pahaad Par Gujarti to wo bhi Fatt Jata”.
(Qalaaidul Jawaahar, Safa-10)

>➤ Imaam Ahmad Bin Hambal Rahmatullah Alay ki Ziyarat :-
Hazrate Shaikh Imaam Abul Hasan Ali Bin Al Heiti Rahmatullah Alay Farmate he ki
“Meine Hazrate Saiyyadna Shaikh Abdul Qadir Jilaani Rahmatullah Alay Aur Shaikh Baqaa Bin Batou ke Saath Hazrate Saiyyadna Imaam Ahmad Bin Hambal Rahmatullah Alay ke Roza e Mubarak ki Ziyarat ki, Meine Deikha ki Hazrate Saiyyadna Imaam Ahmad Bin Hambal Rahmatullah Alay Qabr se Baahar Tasreef Laaye Aur Saiyyadna Gouse Paak Rahmatullah Alay ko Apne Sine se Laga liya Aur Unhe Khal’at Pahna Kar Irsaad Farmaya
“Ay Shaikh Abdul Qadir Beshak Mei Ilme Sariyat, Ilme Haqiqat, Ilme Haal Aur Fe’le Haal me Tumhara Mohtaaj hu”.
(Bahajtul Israr, Safa-226)

>➤Hazrate Gouse Paak Rahmayullah Alay ke Bayan Mubarak ki Taasir :-
Hazrate Ibhrahim Bin Sa’ad Rahmatullah Alay Farmate he ki
Jab Hamare Shaikh Gouse Aazam Rahmatullah Alay Aalimo wala Libaas Pahan ke Unche Makam par Jalwa Afroj ho kar Bayan Farmate to Loug Aapke Kalame Mubarak ko Bagour Sunte Aur Us Par Amal Peira hote.
(Al Marjul Sabiq, Safa-189)

>➤ Aawaz Mubarak ki Qaramat :
Hazrate Saiyadna Shaikh Abdul Qadir Jilaani Rahmatullah Alay Ki Majlise Mubarak me Ba-Wajood ye ki Su’rkaae Ijtema Bahot Zyada hote the Lekin Hazrate Gouse Aazam Rahmatullah Alay ki Aawaze Mubarak Jeishi Nazdik walo ko Sunai deiti thi Weishi hi Door Walo ko Sunai Deiti thi Ya’ani Door Aur Nazdik Walo ke liye Gouse Aazam Rahmatullah Alay ki Aawaj Mubarak Yaksaa thi.
(Bahajtul Israr, Safa-181)

>➤ Jinnat bhi Bayan Sunte he :
Shaikh Abu Jakariya Yahya Bin Abi Nasr Sahraawi Rahmatullah Alay ke Walid Farmate he ki
“Meine Ek Dafa Amal ke Jariye Jinnat ko Bulaya to Unhone Kuch Jyada deir kar di Fir wo Meire Paas Aaye Aur Kehne lage ki
“Jab Shaikh Saiyad Abdul Qadir Jilani Qutbe Rabbani Bayan Farma Rahe ho to Us Waqt Hame Bulane ki Koshis na kiya karo”
Meine Kaha Wo Kyu..??
Unhone Kaha ki Ham Gouse Aazam Rahmatullah Alay ki Majlis me Hazir hote he,
Meine Kaha Tum bhi Unki Majlis me Jaate ho…?
Unhone Kaha Haa Ham Mardo me Kaseer(Zyada) Ta’daad me hote he, Hamare Bahot se Giroh he Jinhone Islam Qabul kiya he Aur Un Sabne Hazrate Gouse Paak Rahmatullah Alay ke Haath par Touba ki he.
(Bahajtul Israr, Safa-180)

SubhanAllah….

>➤ 15 Saal tak Har Raat me Khatme Quraane Majeed :
Peerane Peer Gouse Aazam Dastagir Rahmatullah Alay 15 Saal tak Raat Bhar me 1 Quraane Paak Khatm karte rahe.
(Bahajatul Israr, Safa-118)

SubhanAllah…

>➤ 40 Saal tak Isaa ke Wazu se Namaze Fazr Adaa Farmayi :
Shaikh Abu Abdullah Mohammad Bin Abul Fath Harwi Rahmatullah Alay Farmate he ki Meine Hazrate Shaikh Muhyuddin Saiyad Abdul Qadir Jilaani Rahmatullah Alay ki 40 Saal tak Khidmat ki, Is Muddat me Aap Isaa ke Wazu se Subah ki Namaz padhte the Aur Aapka Ma’amul tha ki Jab Be-waju hote the To Ushi Waqt Wazu Farma kar 2 Raka’at Namaze Nafl Padh leite the.
(Bahajatul Israr, Safa-164)

SubhanAllah…

>➤ 500 Yahudiyo Aur Isaaiyo ka Qaboole Islam :-
Hazrate Saiyadna Shaikh Muhyuddin Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alay Farmate he
Meire Haath Par 500 se Jaaid Yahudiyo Aur Isaaiyo ne Islam Qabul kiya Aur ek Laakh (1,00,000) se Zyada Daaku, Chor, Fussako Fujjar, Fasaadi Aur Biddati Lougo ne Touba ki.
(Bahajatul Israr, Safa-184)

SubhanAllah…

“Nigaahe Wali me ye Taasir deikhi,
Badalti Hajjaro ki Taqdir deikhi”

>➤ Bedari me HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ziyarat :-
Ek Din Hazrate Gouse Paak Rahmatullah Alay Bayan Farma rahe the Aur Shaikh Ali Bin Heiti Rahmatullah Alay Aapke Paas Beithe hue the ki Unko Nind Aagayi,
Hazrate Gouse Paak Rahmatullah Alay ne Ahle Majlis se Farmaya Khamosh raho Aur Aap Mimbar Se Niche Utar Aaye Aur Shaikh Ali Bin Heiti Rahmatullah Alay Ke Saamne Ba-adab Khade ho gaye Aur Unki Taraf deikhte rahe.

Jab Shaikh Ali Bin Heiti Rahmatullah Alay Khwaab se Bedaar hue to Hazrate Gouse Paak Rahmatullah Alay ne Unse Farmaya ki Aap ne Khwaab me HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Deikha he…??
Unhone Jawab Diya Ji Haa,
Gouse Paak Rahmatullah Alay ne Farmaya Mei Ishi liya Ba-Adab Khadaa ho gaya tha Fir Aapne Pucha ki HUZOOR NABI E PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam ne Aap ko Kya Nasihat Farmayi….?
to kaha ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Ki Aap Rahmatullah Alay ki Khidmat Aqdas me Haziri ko Lajim Karlo,

Fir Lougo ne Shaikh Ali Bin Heiti Rahmatullah Alay se Daryaaft kiya ki
Hazrate Gouse Aazam Rahmatullah Alay ke Is Farman ka Kya Matlab tha ki
“Mei Ishi liye Ba-Adab khadaa ho gaya tha”
to Shaikh Ali Bin Heiti Rahmatullah Alay ne Farmaya
“Mei Jo Kuch Khwaab mei Deikh raha tha Aap(Gouse Paak) Rahmatullah Alay Usko Bedaari me Deikh rahe the”.
(Bahajatul Israr, Safa-58)

SubhanAllah…

>➤ Dubi hui Baaraat ko Wapis Nikaalna :-
Ek Baar Saiyyadna Gouse Paak Rahmatullah Alay Dariya ki Taraf Tasreef le gaye, waha Ek 90 Saal ki Budiya ko deikha jo Zaaro Kitaar ro rahi thi, Ek Murid ne Gouse Paak Rahmatullah Alay se Arz kiya
“Murshidi Is Zaifa ka ek Louta Beita tha, Bechari ne Uski Shadi Rachai, Dulha Nikaah karke Dulhan ko Ishi Dariya me Kasti ke Jariye Apne Ghar la raha tha ki Kasti Ulat gayi Aur Dulha Dulhan Sameit Saari Baaraat Doob gayi, Is Wakie ko Aaj 12 Saal Gujar Chuke he Magar Maa ka Jigar he Bechari ka Gam Jata nahi he, Ye Rozana Yaha Dariya par Aati he Aur Baaraat ko Na Paa kar Ro-Dho kar Chali Jaati he, Hazrate Gouse Aazam Rahmatullah Alay ko Us Zaifaa par Bada Taras Aaya, Hazrate Gouse Paak Rahmatullah Alay ne ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Haath Utha diye, Chand Waqt Tak Kuch Juhur na huwa, Beitaab ho kar Baargahe ILAAHI me Arz ki
“YA ALLAH is Qaar Taakhir(Deiri) ki kya wajah he…??
Irsaad Huwa Ey Meire Pyare Ye Taakhir Khilaafe Taqdeer nahi he, Ham Chahte to Ek Hukm ‘Qun’ se Tamaam Zamin wa Aasman Peida kar deite Magar 6 Din me Peida kiye, Baaraat ko Dube hue 12 Saal ho Chuke he, Ab Na Wo Kasti Baaki rahi he Na hi Koi Sawari, Tamaam Inshano ka Gost Wageira Bhi Dariyai Jaanwar kha chuke he, Reze Reze ko Ajjaae Jism me Ekhattha Karwa kar Dubara Jindagi ke Marhale me dakhil kar diya he Ab Un ki Aamad ka Waqt he” Abhi ye Kalam Khatm hone ko Pahuncha hi tha ki Yakayak wo Kasti Apne Tamaam Tar Saazo Saamaan ke Saath Dulha, Dulhan wa Baarati Sateh Aab par Namudaar ho gayi Aur Chand hi Lamho me Kanare aa Lagi, Tamaam Baaraati Saiyyadna Gouse Paak Rahmatullah Alay se Dua e Lekar Khushi Khushi Apne Ghar Pahunche, Is Qaramat ko Soon kar Be-Sumaar Kuffar ne Aa kar Saiyyadna Gouse Paak Rahmatullah Alay ke Daste Mubarak par Islam Qabul kiya.
(Sultaanul Azkarfi Manakib Gousul Abrar)

SubhanAllah…
“Nikala hei Pehle to Dube Huo ko,
Aur Ab Dubto ko Bacha Gouse Aazam”
Rahmatullah Alay.

>➤ Meira ye Qadam Har Wali Ki Gardan par :-
Hafiz Abul Ijj Abdul Mugis Bin Abu Harb Al Bagdaadi Rahmatullah Alay Se Marwi he ki Ham Loug Bagdaad me Hazrate Gouse Aazam Rahmatullah Alay ki Rabaat Halba me Hazir the Us Waqt Unki Mazlis me Iraaq ke Aksar Masaaikh Rahmatullah Alay Hazir the, Aur Gouse Paak Rahmatullah Alay Un Sab Hazraat ke Saamne Wa’az(Taqreer) Farma rahe the Ki Ushi Wakt Gouse Paak Rahmatullah Alay ne Farmaya
“قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”
(Qadami Hazehi Alaa Raqbate Qulle WaliuAllah”)
“Yaani Meira yeh Qadam Har WaliuAllah ki Gardan par hei”
Ye Soon kar Hazrate Saiyadna Shaikh Ali Bin Heiti Rahmatullah Alay Uthe Aur Mimbar Sareef ke Paas Jaa kar Hazrate Gouse Paak Rahmatullah Alay ka Qadam Mubarak Apni Gardan Par Rakh liya, Inke Baad Tamaam Hazirin ne Aage Badh kar Apni Gardane Zuka di.
(Bahajatul Israr)

SubhanAllah..

“Waah Kya Martaba e Gous hei Bala Teira,
Unche Uncho ke Saro se Qadam Aa’ala Teira,

>➤ HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tasdeeq :-
Shaikh Khalifa Rahmatullah Alay ne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Khwaab me deikha Aur Arz kiya ki
“Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilaani Rahnatullah Alay ne
“قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”
(Qadami Hazehi Alaa Raqbate Qulle WaliuAllah”)
“Meira yeh Qadam Har WaliuAllah ki Gardan par hei”
ka Eylaan Farmaya he
To SARKAARE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irsaad Farmaya
Shaikh Abdul Qadir ne Sach kaha he Aur Ye Kyu Na kehte Jab ki wo Qutbe Jamana Aur Meri Jeire Nigraani Hei.
(Al Marjaul Saabiq, Safa-27)

SubhanAllah…

>➤ Shaikh Ahmad Rafaai Rahmatullah Alay :-
Jab Hazrate Saiyyadna Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alay ne
‘ “قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”
(Qadami Hazehi Alaa Raqbate Qulle WaliuAllah”)
“Meira yeh Qadam Har WaliuAllah ki Gardan par hei”
Farmaya to Shaikh Ahmad Rifaai Rahmatullah Alay ne Apni Gardan Ko Zuka Kar Arz Kiya
‘Meri Gardan Par bhi Aapka Qadam he’
Hazirin ne Arz kiya
Hazrate Waala Aap Ye Kya Farma rahe he…??
To Aapne Irsaad Farmaya ki
is Waqt Bagdaad Me Hazrate Shaikh Abdul Qadir Jilaani Rahmatullah Alay ne
‘”قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”
ka Eylaan Farmaya hei Aur Meine Gardan Zuka kar Ta’amile Irsaad ki he’
(Bahajatul Israr, Safa-33)

>➤ Hazrate Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay :-
Jis Waqt Saiyadna Gouse Paak Rahmatullah Alay ne Bagdaad Sareef me Irsaad Farmaya
‘”قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”
(Qadami Hazehi Alaa Raqbate Qulle WaliuAllah”)
“Meira yeh Qadam Har WaliuAllah ki Gardan par hei”
to Us Waqt Khawaza Garib Nawaz Saiyadna Moinuddin Chisti Ajmeri Rahmatullah Alay Apni Jawani ke Dino me Mulke Khurasaan ke ek Koh me Ibadat karte the Waha Bagdaad Sareef me Irsaad hota he Aur Yaha Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne Apna Sar Zhukaya Aur Itna Zhukaya Ki Sare Mubarak Jamin Tak Pahuncha Aur Farmaya
“Balqi Aap ke Dono Qadam Meire Sar Par hei Aur Meri Ankho Par he”
(Seerate Gousus-saklein, Safa-89)

“Na Kyu kar Saltanat Dono Jaha ki Unko Hasil ho,
Saro Par Apne Leite he Jo Talwa Gouse Aazam ka”
(Rahmatullah Alay)

>➤ Khwaza Bahauddin Nakshband Rahmatullah Alay :
Jab Aap se Hazrate Gouse Aazam Rahmatullah Alay Ke Qoul
‘”قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”
(Qadami Hazehi Alaa Raqbate Qulle WaliuAllah”)
“Meira yeh Qadam Har WaliuAllah ki Gardan par hei”
Mu’tallik Daryaft kiya to Khawaza Nakshband Rahmatullah Alay ne Irsaad Farmaya
“Gardan to Dar Kanaar Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alay Ka Qadam Mubarak to Meri Aankho par he”.
(Tafrihul Khaatar, Safa-20)

>➤ Shaikh Hayaat Bin Keish Al Hiraani Rahmatullah Alay :-
Aapne 3 Ramzan 579 Hijri me Jaame’a Masjid me Irsaad Farmaya ki
Jab Hazrate Gouse Paak Rahmatullah Alay ne
“قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”
(Qadami Hazehi Alaa Raqbate Qulle WaliuAllah”)
“Meira yeh Qadam Har WaliuAllah ki Gardan par hei”
ka Eylaan Farmaya to ALLAH TA’ALA ne Tamaam AuliyaAllah ke Dilo ko Hazrate Abdul Qadir Jilaani Rahmatullah Alay ke Irsaad ki Ta’mil Par Gardane Zukane ki Barkat se Munawwar Farma diya Aur Unke Ulum Aur Haalo Ahwaal Mei Ishi Barkat se Zyadati Aur Tarakki Ataa Farmayi.
(Bahajatul Israr, Safa-30)

>➤ Shaikh Majid Al Qurdi Rahmatullah Alay :
Aap Farmate he ki ‘Jab Saiyadna Gouse Aazam Rahmatullah Alay ne
“قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”
(Qadami Hazehi Alaa Raqbate Qulle WaliuAllah”)
“Meira yeh Qadam Har WaliuAllah ki Gardan par hei”
Irsaad Farmaya tha to Us Waqt Koi ALLAH TA’ALA ka Wali Jamin Par Eysha na tha ki Jisne Tawajjo Karte hue Aur Gouse Paak Rahmatullah Alay ke Aala Martabe Ka Eyteraaf karte hue Gardan Na Zukai ho, Tamaam Duniya e Aalam ke Saaleh Jinnaat ke Wafd Gouse Paak Rahmatullah Alay ke Darwaje par Hajir the Aur Sabke Sab Gouse Aazam Rahmatullah Alay ke Daste Mubarak Par Taaib ho kar Wapas Palte.
(Bahajatul Israr, Safa-25)

“Waah Kya Martaba e Gous hei Bala Teira,
Unche Uncho ke Saro se Qadam Aala Teira,
Sar Bhalaa Kya Koi Jaane ki hei Keisha Teira,
Auliya Malte hei Aankhe Woh hei Talwa Teira,
Jo Wali Qabl the Ya Baad hue ya Honge,
Sab Adab Rakhte hei Dil Mei Meire Aaqa Teira”


#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Gous #Ghouse_Aazam #Abdul_Qadir #Jilani #Dubi_kasti #Gousepaak #Meirayeqadamharwali #Auliya #Waliallah #Auliyaekiram

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial