Hazrat Nooh Alayhis Salaam

nooh


>➤
Hazrat Nooh Alayhis Salaam :-

Hazrat Aadam Alayhis Salaam Aur Hazrat Nooh Alayhis Salaam Ke Darmiyaan 10 Aaaba(Baap) he Aur Nooh Alayhis Salaam Aur Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ke Darmiyaan Bhi 10 Aaaba(Baap) he,
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he Hazrat Aadam Alayhis Salaam Aur Nooh Alayhis Salaam ke Darmiyaan 10 Kaarun he Yani 10 Aaaba(Baap) he Sab hi Deene Haqq par Kaayam the.
(Durre Mansur, Jild-3, Safa-435)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Umar :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam Ko 40 Saal ke Baad Aylaane Nabuwwat ka Huqm diya gaya Aur Saare Nawso(950) Saal Aap Apni Qoum me Thehre Aur Apni Qoum ko Tablig Farmaayi,
Tufaan ke baad Aap 250 Saal Zinda rahe, Aap ki Kul Umar 1240 Saal he, Agarche Usme Aur Qoul bhi he Leqin Zyada Tour par ishi Qoul ko Sahih kaha gaya he.
(Tafseere Saawi, Jild-1, Safa-682)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-89)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Tablig :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne 950 Saal Apni Qoum ko ALLAH TA’ALA ki Wahedaaniyat Gunaho se Baaz rehne ki Tablig Farmaayi Aur Sath Sath ALLAH TA’ALA ke Azaab se Darate rahe.
Quraan Shareef me he ki
“Ay Meri Qoum Beshaq me Tum ko Jahiri tour par Dar Sunane Wala hu ye ki Tum ALLAH TA’ALA hi ki Ibadat karo Aur ushi se Daro Aur Mera Huqm maano (Agar Tum Mere kehne par chloge to) ALLAH TA’ALA Tumhare Kuchh Gunaah Maaf Farma Dega Aur ek Mukararr Mi’aad tak Tumhe Mohallat dega Beshaq Jab ALLAH TA’ALA ka Wada Aa jata he to wo Tala nahi jata he Kaash ki tum Jante”
(Surah Nooh, Aayat – 2,3,4)

Yaani jo Tumhe ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat Aur Sirf Uski Ibaadat Karne Aur Sirf ushi se Darne Aur Uske Bageir Aur kishi ibaadat karne par dini Duniya ki Tabahi se Darane par koi Ijrat Maal wa Doulat Mutalba to nahi kar raha, Agar Tumne Us Raah ka Tain kar liya jo me Bata Raha hu to Tumhari Kamyabi he Warna Tum Jalil ho jaoge, Tabah wa Barbaad ho jaoge, Din Duniya me khsaari me padh jaoge, ALLAH TA’ALA ke Ahkaam Tum tak Pahonchane me Muze Tum se koi Garz nahi, Kishi Mansub Maal Doulat ke Husul ka Koi Lalach nahi, Sirf ALLAH ke Huqm se ALLAH ki Razamandi ke liye Tumhe Tablig kar raha hu, Mere ALLAH TA’ALA ne hi Muze Azr va Sawab aata karna he, Uski Be-Hisaab Rahmat ke hote hue Muze Tum se Kuch Garz nahi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-90)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Tablig ka Qoum par kya Asar hua :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne 950 Saal Din Raat Tablig ki Leqin Qoum Qarib Aane ke Bajaye Door hoti gayi, Aap ki Takrir ko na Sunne ke Garz se Apne Kaano me Ungliya Thonshte (MaazAllah), Aap se Nafrat Karte hue Apne Chehro ko Dhanp leite,

Quraane Paak me he ki
“Aapne (Apne RABB se) Arz ki Ay Mere RABB Mene Apni Koum ko Raat Din (Tere Din ki Taraf) Bulaya to wo Mere Bulane se Aur Jyada Door bhage Aur Beshaq Mene Unko Jitni Baar is liye Bulaya ki tu Unhe Baksh de, To wo Apne Kaano me Apni Ungaliya Thunshne lage Aur Apne Kapde Oudh(kar Mooh Chupa) liye Aur (Kufr Par) Ade rahe Aur Bada Guroor kiya”
(Surah Nooh, Aayat – 5, 6, 7)

Yaani Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Arz kiya Ay ALLAH Mene Tere Ahkaam Pahonchane me koi kutaai nahi ki lekin Meri Koum Maanne Aur Karib Aane ke Bajay Door hoti chali gayi,
Jeishe Jeishe Aap Tablig Farmate rahe Qoum ki Door hone me kami Aane ke bajay Jyadati hoti rahi, ALLAH TA’ALA ke NABI Qoum par Sifkat ka ye Aalam he ki Aap un ko us Raah par Chalana Chahte Jis par Chalne se unko Najat Hasil ho ALLAH TA’ALA unki Magfirat kare Aur ALLAH TA’ALA unse Raazi ho jaye Aur Wo ALLAH ke Qarib ho jaye Lekin Qoum ko Badbakhti ka ye Aalam he ki wo Aap se itne Jyada Nafrat karte he ki Aap ki baat Sunne ke liye Teiyaar nahi, Aur Aap ko Deikhna unhe Gawara nahi, Wo Kaano me Is liye Ungaliya thonste rehte ki Aap ka Kalam ko na Soon sake, Aur Apne Chehro ko is liye Dhaanp kar Rakhte ki Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Shakl bhi Nazar na Aaye(MaazAllah).
(Tafseere Kabeer, Jild-30, Safa-135, 136)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-91)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne Tablig ka Har Tarika Aazmaya :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne Har Wakt Tablig ki, Yaani Din Raat Tablig ki Fir Aapne Har Shaksh ko Aaishta Aaishta Naram lehje me Samjaya ki ALLAH TA’ALA ki Ibadat karo, RABB se Daro lekin Qoum ne Kaano me Ungaliya Thoonsh kar Sunne se inkaar kiya, Apne Chehro par Kapde Daal kar Aapko Deikhne se Bejaari jaher ki, Apne Kufr par Kaayam rahe, Takabbur ki wajah se Ahkaame Baari Ta’ala se inkaar kiya fir Aap ne Jaher Aam Majlish me unko Khutbaat kiye Aur Raahe Haqq ka Sabak diya lekin Un par kuch Asar hue, fir Aapne Aylaaniya Tour par Aaishta Aaishta dono tarah se Tablig ki lekin ye Tarika bhi Qoum ko Raahe Risaalat par Na la saka.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-92)

>➤ Qoum ke kitne log imaan laaye :-
Itna Arsha Gujarne ke Ba-wajood Imaan lane walo ka Mukhtasar Giroh nazar aata he, 3 Aap ke Beite Aur 3 Unki Biwiya Aur 1 Nooh Alayhis Salaam ki Zawja Aur 70 Mard Aurate Imaan laaye, 
Yahi imaandar log kasti par bhi Sawar the Yaani Nooh Alayhis Salaam ki Qul 78 Aadmi Kasti me Sawar the, jinme Mard Aur Aurate Barabar Barabar Taadad me the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-92)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ko Qoum ki Dhamkiya Aur Shakhtiya :-
“Bole Ay Nooh Agar Tum Baaz na Aaye to Zarur Sangsaar(Gaali Ya Pathraav karna) Jawoge”
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Qoum ne Aap ko Maar Maar ka Sadid Jakhmi kar diya, Aap ko Uni Kapde me Lapet kar Aapke Ghar Feink diya Aur ye khyaal kiya ki Aap Alayhis Salaam Fout ho chuke he lekin Aap ushi Halat me Nikal kar Fir Unhe Dawate Haqq dene lage,

Ek Martaba Ek Budha Shaksh jo Lathi ke Sahare chal raha tha, usne Apne Bacche ko Uthaya hua tha, Hazrat Nooh Alayhis Salaam ko deikh kar Apne Bete ko kehne laga ki Ay meire Bete deikhna us Bure Shaksh ke Jaal me Na Fashna ye Tumhe kahi Dhoke me na Dale, Baap ki Baat Soon kar Bete ne kaha, Ay mere Abba Muze utaar do Aur Apna Danda(Lathi) muje de do, Baapne Bete ko utaar kar Danda(Lathi) uske Haath me thma diya, us Chote Ladke ne Nooh Alayhis Salaam ke karib aakar Aapko Danda(Lathi) de mara, jo Aapke Sar par laga, Aap jakhmi ho gaye, Khoon jaari ho gaya, ye Maazra deikh kar Nooh Alayhis Salaam ne RABB ke Hujre me Ilteja ki

“Ay ALLAH Teire Bande jo Mere Saath Suluk kar rahe he ushe Tu Deikh raha he, Ay ALLAH Agar tu Bando ko Zinda rakhna chahta he to unhe Hidayat de Ya Apna Koi Feishla karne tak Muze Sabr de, tu Behtar Feishla Farmane wala he”

RABB TA’ALA ne Irshad Farmaya
“Aur Nooh (Alayhis Salaam) ki Taraf wahi ki gayi ki Ab Aap ki Qoum me koi Imaan na layega, jo Imaan laane wala tha la chuka, Fir Aap un baato par jo wo kar rahe he Gam Na Khaaye”
(Surah Hood, Aayat-36)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-97)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Duaa :-
Quraane Kareem :-
“Aur Nooh (Alayhis Salaam) ne Baddua ki ke Ay Mere RABB tu Roohe Jamin par Kafiro me se Koi Basne wala na Choud(Yaani Sab ko Halak karde), Beshaq Agar tu Unko Choud dega to wo Tere Bando ko Gumraah karenge Aur unki Owlaad bhi Badkaar Aur Badi Nasukri hi hogi”
(Surah Nooh, Aayat-26,27)

>➤ Qoum ki Halaakat ki Dua Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne kyu ki :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne Koum ko Barbaad karne ke liye Dua is liye Nahi ki, ki Aapko Gaaliya dene ki Dhamkiya di gayi thi Ya Aapko Sangsaar(Pathraav) karne ke liye unhone kaha tha, Nahi, Balki Sirf wajah ye thi ki Ay ALLAH jeishe Tune khud bata diya he ki jo Imaan la chuke he unke Bageir Aur koi imaan lane wala nahi to unshe Imaan ki Taw ki jab nahi Aur unki Aulaad se bhi Siwaye Badkaari Aur Na-sukri ki Ummid nahi to unko Zinda rakhne ka kya Fayda…..?
Unko Tabah wa Barbaad karde.
“Ay ALLAH Me to Aajiz wa Maglub ho chuka hu tu Apne Deen Aur Imaanlane wale Bando ki khatir Meri Imdaad farma”
(Tafseere Kabeer, Jild-29, Safa-36)

>➤ RABB TA’ALA ne Kasti Banane ka Huqm diya :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Duaa ke Baad RABB TA’ALA ne Farma diya ki Tumhari Qoum ko Gark kar diya jayega Tum Apne Aur Imaan Wale logo ke Bachaav ke liye Kasti Teiyaar kar lo,

ALLAH TA’ALA ne Farmaya
“Aur Aap Hamare Saamne Aur Hamari Wahi se Kasti banaye Aur Zaalimo ke baare me Ham se kuch Arz na karna kyuki wo Gark kiye jayenge”
(Surah Hood, Aayat-37)
Yaani Kafiro ke Azaab ki Taakhir ki kahi Duaa na Karna kyunki unke Gark hone ka yakini Feishla ho chuka he unke Gark hone ka wakt bhi Mueeen ho chuka he is liye Jaldi ka Mutalba bhi na karna kyunki Wakt Mukarrar se pehle un par Azaab nahi aayega,
Aap ki Ek Bibi Aur ek Beita bhi Kafir he wo bhi Gark ho jayenge, unko bachane ki dua bhi na karna kyuki Tamam Kafiro ke Doob ne ka Feishla me koi tarmim nahi hogi.
(Tafseere Kabeer Jild-17, Safa-227)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-98)

>➤ Kasti Banane ka Tarika Wahi Aur Jibrail Alayhis Salaam ki Madad se hua :-
Hazat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Hazrat Nooh Alayhis Salaam ko Maalum nahi tha ki keishe Kasti banaye, to ALLAH TA’ALA ne Aap ki Taraf Wahi ki,
Kasti ka Agla Hissa Murghe(Roosters) ke Sar ki Tarah Banana Aur uske Darmiyaan ka Hissa Parindo ke Pule(Maale) ki Tarah Banaye Aur Pichhla Hissa Murge ki Dum ki Tarah Banaye Aur Uske itraaf(Side) me Darwaje banaye, Meykho se Majbut kare Aur Siwaye Nichewale ki Har Taraf me Taarkul ki Chpaai kardo, Kasti Banane me Jibrail Alayhis Salaam Aur kuchh Dusre Faristo ne bhi Madad ki.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-49)

>➤ Kasti keishi thi :-
Kasti ki Lambaai 300 Zarah (450 Fit),
Chodhai 50 Zarah(75 Fit), Aur Unchaai 30 Zarah(45 Fit) thi,
Saago ki Lakdi se Teiyaar ki gayi thi jis ke Teiyaar karne me Sirf 2 Saal hue,
Kasti 3 Manjila thi,
Pehli Manjil me Jangli Jaanwar, Darindey Aur Hasraatul Arz (Kide Makode) the, Aur Darmiyaan Hissa me Paltu Jaanwar Chopaaye Wageira the Aur Sabse Uparwali Manjil me Hazrat Nooh Alayhis Salaam Aur unke Sath Imaanlane wale Hazaat the Aur Khane pine ke Isyaae(chize) rakhi gayi thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-223)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-99)

>➤ Kasti me Sawaar hone walo ki Taadad :-
Kasti me Wahi Loug Sawar the jo Aap ke Sath imaan laye the jin ka Zikr Pehle kiya ja Chuka he,
Aap ke 3 Beite Aur Har ek ki Zouja(Biwi) Aur Nooh Alayhis Salaam khud Aur Aapki Ek Zouja(Biwi) Ghar ke ye 8 Afraad the Aur 70 Afraad Aur the Jinho ne Imaan Qabool kiya tha, Is Tarah Kasti me Sawar hone walo ki Qul Taadaad 78 thi,

Ek Qoul ke Mutabik 80 Afraad Us Kasti me Sawar the.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-55)

Khyaal Rahe ki Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Ek Zouja Aur Ek Beita Kanaan Kafir the jo Gark ho gaye the unka Zikr In sha Allah Aage Aayega..

>➤ Kasti ko Deikh kar Qoum ka Mazak karna :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Huqm se kasti Bana rahe the to Qoum Aap se Puchhti thi is se kya karoge..?
To Aap Farmaate Ye Seilaab me kaam Aayegi,
ye Soon kar Qoum Mazak udati ki is ilaake me Paani ka Koi Dariya nahi to itni Badi Kasti Banana, ki ye Paani me Kaam aayegi..??
(Maaz Allah)

ALLAH TA’ALA Quraan Shareef me Irshad Farmata he
“Jab Nooh (Alayhis Salaam) kasti Banate the Aur unki Qoum ke Sardaar unke Paas se ho kar Gujarte the to un par Haste the(Aap ka Mazak Udate the) Aap Farmate the Agar Tum Ham par Haste ho to Ham bhi Ek Din Is tarah Tum par Hasenge Jis tarah Tum (Ham par) Haste ho”
(Surah Hood, Aayat – 38)

Yaani Aaj Agar Tum Hamaare Kasti Banane par Ayteraaj karte ho Mazak karte ho to Tum Jab Halaak ho jaoge to Ham bhi ALLAH ke Dushman ke Halak hone par Khush honge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-100)

http://www.noorulislam.co.in/wp-content/uploads/2018/12/243-1.jpg

>➤ Tufaan ka Aaagaz Tandur(Roti pakane ki Jagah) se Hua :-
ALLAH TA’ALA ne Quraane Paak me Farmaya
“Yaha tak ki jab Hamara Huqm Aaya Aur Tanoor(Tandur) (me Se Paani) Ubla to Hamne Farmaya ki (Ay Nooh Alayhis Salaam) Apni Kasti me Har Jins ke Jaanwaro me se ek ek Joda(Nar va Mada) Aur Un logo ke Siwa Jin par (Halak hone ka) Farman jaari ho chuka he Apne Gharwalo ko Aur Baaki Musalmano ko Sawar kar lijiye unke Saath Bahot hi thode loug Imaan laaye the”
(Surah Hood, Aayat – 40)

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Nooh Alayhis Salaam ko Bata diya tha ki jab Tandur se Paani Nikalna Suru ho jaye to Samjo ki Ab Tufaan Aa raha he Us Wakt Tum Kasti par Sawar ho jana, Tamam Jaanwaro ka Ek Ek Joda(Nar va Mada) Aur Imaan laanewalo ko bhi Saath kasti me Sawar kar lena, wo Tandur jisme Aap ki Zouja(Biwi) Rotiya pakati thi, ishi se Tufaan ki ibteda hui,
Jab Tandur me Paani ubalna Suru huwa to Hazrat Nooh Alayhis Salaam ko Maalum ho gaya ki Ab Tufaan Aane hi Wala he.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-225)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-100)

>➤ Kasti par Sawar hone Aur Dua Padhne ka Huqm :-
Jab Tandur Se paani Nikalna Suru huwa to Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne Tamam Imaanwalo ko Huqm de diya ki Ab Kasti par Sawar ho jawo Aur Sawar hote wakt ALLAH ke Naam se Ibteda karo.
Quraan Shareef me he ki
“Aur Nooh (Alayhis Salaam) ne (Sathiyo se) Farmaya ki Kasti me Sawar ho jawo ALLAH TA’ALA hi ke Naam se Uska Chalna Aur Theharna he Beshaq Mera PARWARDIGAAR Yakinan Bada Bakhshnewala Maherbaan he”
(Surah Hood, Aayat-41)

Hazrat Nooh Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Kasti par Sawar ho kar ALLAH TA’ALA ka Naam Lene ka Huqm de kar ye Waaze kiya ki Kasti Haqiqat me itne bade Tufaan se Naza’at ka Jariya nahi, Balqi ALLAH TA’ALA ke Fazl se hi Ushe Chalna he,
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ka Makshad ye tha ki Kasti par Aytemaad(Bhrosha) na karo Balqi Sirf ALLAH AZZAWAZAL ki Zaat par Aytemaad(Bhrosha) karo ye Kasti to Sirf ek Sabab he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-101)

http://www.noorulislam.co.in/wp-content/uploads/2018/12/789.jpg

>➤ Kitna Azeem Tufaan tha :-
Jab Tufaan ki Ibteda Tandur se ho chuki to Aasmano ko Paani Barshane Aur Zamin ko Chasmo se Paani Nikaal ne ka Huqm de diya gaya,
Aasman Aur Zamin ke Paani ne mil kar Ek Azeem Holnaak Manzar Peish kiya,

ALLAH TA’ALA ne Quraan Sareef me Farmaya
“Hamne (Un par) Paani ke Behte hue Relo se Aasman ke Darwaje khol diye Aur Zamin Ke Chasme Kholkar Baha diye Fir Dono Mil kar Us Mikdaar par Chad gaye jo (Hamare Ilm me) Mukararr ho chuki thi”
(Surah Qamar, Aayat-11,12)

Zamin wa Aasman ke Pani ne Mil kar Itna Sadid Tufaan barpa kardi ke Mouze Jab Uthti to Bahot Badi Buland Pahado ki Tarah Nazar Aati,

RABB TA’ALA ne Quraan Sareef me Farmaya
“Aur wo (Kasti) unhe Pahad ki Tarah (Uthi hui) Mouzo me le ja Rahi thi”
(Surah Hood, Aayat-42)

is Aayat ki Tafseer me Allama Raazi Rahmatullah Alay Farmate he ki
Mouzo ki Bulandi us Waqt Hoti he Jab Hawa bhi Teiz Aur Sadid ho us se Pata chalta he ki Sadid Baarish Aur Zamin ke Paani Chhod ne ke sath Sadid Aaandhiya bhi Chal rahi thi Jin se Uthne wali Mouje Pahado ki Chotiya se Baate kar rahi thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-230)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-101)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ka 1 Beita Garq ho gaya :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ke 4 Beite the un me se 3 Momin the jo Aap ke Sath Kasti me Sawar hue the jin ke Naam ‘Saam’, ‘Haam’, Aur Yaafus the Aur 1 Aapka Beita Munafik tha Jiska Naam ‘Kanaan’ tha, Wo Kasti me Sawar nahi huwa tha jo Garq ho gaya, kyunki ye Munafik tha, Yaani Zahiri Tour par Momin Tha Aur Darhaqiqi kafir tha, Kafiro se mila Huwa tha us ke Garq hone ke Wakiya ko Quraan Shareef me ALLAH TA’ALA ne Farmaya

“Aur Nooh(Alayhis Salaam) ne Apne Beite ko pukara Aur wo Kinare par Khada tha ki Ay Mere Beite Hamare Sath Kasti me Sawar ho ja, Aur Kafiro ke Sath na rah (Aur Musalman ho ja) usne kaha ki Ab me kishi Pahaad par Panah le lunga jo Muze Paani se Bacha lega, Nooh (Alayhis Salaam) ne Farmaya ki Aaj (Kafiro ko) ALLAH TA’ALA ke Azaab se Bachanewala koi nahi Magar (wahi Bach Sakta he) jis par ALLAH TA’ALA hi Rahem Farmaaye Aur un Dono ke Darmiyaan Ek Badi Mouj Haamal ho gayi to wo Dubnewalo me rah gaya”
(Surah Hood, Aayat- 42, 43)

Hazrat Nooh Alayhis Salaam ka ye Beita Ghode par Sawar tha, itraa raha tha ki me Pahaad par chad kar Apne Aapko Bacha Lunga, Nooh Alayhis Salaam us se keh rahe the ki Aaj ALLAH ke Azaab se us ke Raham Karne ke Bageir koi Bach nahi Sakega, Yahi Baat un dono ke Darmiyaan chal raha thi ki Tufaan ke uthnewali Mouje un dono ke Darmiyaan Haamal ho gayi Aur ‘Kanaan’ Gark ho gaya.
(Roohul Maani, Jild-7 Safa-61)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-103)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ke Beite ke Haqq me Ilteja :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Nooh (Alayhis Salaam) ne Apne PARWARDIGAAR ko Pukara Arz ki ke Ay Mere PARWARDIGAAR Mera Beita bhi to mere ghar ke logo me se he Aur Yakinan Tera Wada Saccha he (ki Azaab Aakar Rahega) Aur Tu Sabse Badh kar Haaqim he,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya ki Ay Nooh (Alayhis Salaam) wo Aap ke Gharwalo me se nahi raha kyunki uske Kaam Bahot Bade he, Pas Aap us Baat ka Muj se Sawal na kare jo Aap ke Ilm me nahi me Aap ko Nasihat karta hu ki Aap Naadan na bane,
Nooh (Alayhis Salaam) ne Arz ki ke Ay Mere PARWARDIGAAR me Teri Panah Chahta hu Us Baat par ki Tuzse Wo Chiz Mangu jiska Muje Ilm nahi Aur Agar Tu Muje Maaf na karega Aur Muj par Rahem na Farmayega to me Nukshan Uthanewalo me se ho jaunga”
(Surah Hood, Aayat-45, 46, 47)

Shekh Abu Mansur Rahmatullah Alay ne Farmaya ki
Nooh Alayhis Salaam ka Beita Kanaan Munafik tha Aap ke Samne Apne Aap ko Momin Jahir karta tha, Agar wo Apna Kufr Jaher kar deita to Aap ALLAH TA’ALA se Uski Najaat ki Ilteja na Karte
(Madarikul Tanjil, Safa-254)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-103)

>➤ Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki ek Zouja bhi Gark ho gayi :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Ek Jouza Jiska Naam ‘Valeha’ tha ye Kafir thi Aur Logo ko kaha karti thi Nooh Alayhis Salaam ki Baat na mana karo, (Maaz Allah) wo bhi Gark ho gayi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-104)

> Kasti ka Chalna Aur Manzil par Pahonchna :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki kasti 10 Rajjab ko chali Aur 10 Moharram ko ‘Judi’ Pahad par Pahonch gayi, Kasti 6 Maah tak Musalsal Tufaan me rahi,
10 Moharram ko Tufaan se Najaat Milne par Hazrat Nooh Alayhis Salaam Aur Aap ki Qoum ne Roza rakha,
“Nooh Alayhis Salaam ne Khud bhi Roza rakha Aur Apne Sath Tamam logo Aur Wahsi Janwaro Aur Dusre Janwaro ko bhi Huqm diya, Sabne ALLAH TA’ALA ka Shukr Ada karte hue Roza Rakha”

Subhan Allah..

ALLAH TA’ALA ke NABI Alayhis Salaam ki Azmat ko Jaanwar jante he.

>> Faida :- 
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Ek Martaba Yahudi logo se Gujar huwa, jinhone Aashura(10 Moharram) ke Din Roza rakha huwa tha,
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Ye Roza Kyu Rakha huwa he..?
To Yahudiyo ne Arz kiya ki Is Din ALLAH TA’ALA ne Musa Alayhis Salaam Aur Bani Israail ko Najaat di Aur Firoon ko Gark Kiya Aur Ushi Din Nooh Alayhis Salaam ki kasti Judi Pahad par Pahonchi, Hazrat Nooh Alayhis Salaam Aur Hazrat Musa Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA ka Shukr Ada karne ke liye Roza rakha, to
NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya ki me Musa Alayhis Salaam se Zyada Haqq rakhta hu ki ishi Din Roza rakhu,
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Khud bhi Roza rakha Aur Sahabakiraam ko bhi Huqm diya,
Khyaal rahe ki Isaa Alayhis Salaam ki Peidaish bhi Aashura(10 Moharram) ke Din hi hui.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-62)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-102)

> Tufaan ki Inteha :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Zamin ko Huqm Diya gaya ki Ay Zamin tu Apna Paani pi le Aur Ay Aasman Tu Tham ja Aur Paani Khusk ho gaya Aur (Kafiro ka) kaam Tamam kar diya gaya Aur Kasti Judi Pahad par Thehri Aur Farmaya gaya ki Zaalimo ke liye (Na-Muraadi Aur ALLAH TA’ALA ki Rehmat se) Doori he”
(Surah Hood, Aayat-44)

Yaani Jab Kafiro ke Gark hone ka Kaam Mukammal ho gaya to Tufaan ko Khtm kar diya gaya, Baarish rok di, Zamin ko Huqm diya gaya ki Ab jo Paani Tere upar he ushe Apne Andar Jazb karle, Sirf wahi loug Ya Jaanwar bache jo Kasti me Sawar the, Baaki Tamam Insaan Chopaaye Parindey Aur Dusre Wahisi Jaanwar Gark ho gaye Aur Gark hona Aakil, Balig, Kafiro ke liye to Azaab tha Aur unke Alawa Dusre Gark hone walo ke liye Azaab nahi tha.
(Hasiya Sawi Alal Jalalein, Safa-183)

Hadees Shareef me he ki
Jab ALLAH TA’ALA kishi Qoum par Azaab Nazil farmata he to Sab Achhe Aur Bure us Azaab me Mubtila ho jate he fir Jab uthaaye Jayenge to Har ek ko Apne Apne Aamal ke Mutaabik uthaya jayega.
(Bukhari Shareef, Jild-2, Safa-1053)

Yaani Neik logo ko Duniya me Azaab Zillat ke liye Nahi hoga is liye wo Apne Achhe Aamal ke Mutabik hi Qayamat ke Din uthae jayega.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-105)

http://www.noorulislam.co.in/wp-content/uploads/2018/12/noahs_ark_5.jpg

> Kasti Judi Pahad par kyu Ruki…? 
Tamam Pahad Apni Apni Bulandiyo par Takabbur (Ghumand) kar rahe the Aur itraa rahe the, lekin Judi Pahad ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Apni Aajizi hi karta raha to ALLAH AZZAWAZAL ne Ushe ye Takrim Aata farmayi ki Nooh Alayhis Salaam ki Kasti Us par Aakar Thehri,

“Jisne Aajizi ki, ALLAH TA’ALA ne ushe Rafa’at Aata ki”
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-62)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-105)

Hazrat Nooh Alayhis Salaam ke Waaqiyaat yaha par Khatm hote he..

#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Nooh #Nuh

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *