Hazrat Yakub Alayis Salaam Hazrat Yusuf Alayis Salaam

Hazrat Yusuf

>➤ Hazrat Yakub Alayis Salaam Hazrat Yusuf Alayis Salaam :-
Hazrat Yakub Alayis Salaam Hazrat Ishaak Alayis Salaam ke Beite Aur Hazrat Ibhrahim Alayis Salaam ke Poute he,
Hazrat Yusuf Alayis Salaam Hazrat Yakub Alayis Salaam ke Beite he,

Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
“Kareem ibne kareem ibne kareem ibne kareem Yusuf bin Yakub Bin Ishaak Bin Ibhrahim he”
(Mishkaat ul Masabeeh, Jild-2, Safa-417)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-166)

Hazrat Yakub Alayis Salaamke Barah(12) Beite he Yaani Yusuf Alayis Salaam ke Gyara(11) Bhai he.

>➤ Hazrat Yusuf Alayis Salaam ka Khwaab deikhna :-
Quraan Shareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Jab Yusuf (Alayis Salaam) ne Apne Baap se (ye) kaha ki Ay Abbajaan Mene Gyara(11) Sitaro Aur Suraj Aur Chand ko (Khwab me) deikha ki wo Mujhe Sajda kar rahe he”
(Surah Yusuf, Aayat-4)

Gyara(11) Taaro se Murad Aap ke Bhai Aur Chand-Suraj se Muraad Aapke Maa-Baap he, Leqin Khyaal rahe ki Khwaab deikhne se Pehle hi Aap ki Walida ka Intekaal ho chuka tha,
Sajda se Muraad Sajda-e-Tazimi he, jo Pehli Ummato me Jaiz tha, Hamari Shariyat me Jaiz Nahi.
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-167)

>➤ Hazrat Yakub Alayis Salaam ka Khwaab Bayan karne se Mana karna :-
Quraan Shareef me he ki
“(Un ke Baap ne) kaha ki Ay Beite Apna Khwaab Apne Bhaiyo se Hargij Bayan na karna Warna wo Tere liye (Hasad se) Koi Chaal Chalenge, Beshaq Shaitaan Insaan ka Khula huwa Dusman he”
(Surah Yusuf, Aayat-5)

Hazrat Yusuf Alayis Salaam ne ye Khwaab Barah(12) Saal ki Umar me deikha, Hazrat Yakub Alayis Salaam ko Malum tha ki Yusuf Alayis Salaam Mansube Nabuwat par Faiz honge to Bhai unse Hasad karenge kyunki Yakub Alayis Salaam ko Yusuf Alayis Salaam se Bahot Zyada Mohabbat thi, Aap ke Bhai Aap se is par Hasad karte the Ye bhi Yakub Alayis Salaam ke ilm me tha, is liye Aapne Mana Farmaya ki ye Khwaab Bhaiyo se Na Bayan karna Warna unka Hasad Aur Badh jayega wo Tumhe Nukshan Pahonchane me Shaitaan ke Daame Fareib me Aajayenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-168)

>➤ Hazrat Yusuf Alayis Salaam ke Bhaiyo ka Hasad :-
Quraan e Kareem me he ki
“Jab (Yusuf Alayis Salaam ke Bhai Aapas me) kehne lage ki Beshaq Yusuf (Alayis Salaam) Aur un ka Bhai Hamare Baap ko Ham se Zyada Pyare he Aur Ham ek (Puri) Jama’at he Aur Beshaq Hamare Baap Saraahatan (un dono ki Mohabbat me) Bilkul Dube hue he”
(Surah Yusuf, Aayat-8)

Hazrat Yakub Alayis Salaam Chunki Hazrat Yusuf Alayis Salaam se sabse Zyada Mohabbat Karte the Aur unke Baad Hazrat Bin Yamin se, To Dusre Bhaiyo ko us par Hasad Aaya, wo kehne lage Ham to ek Jama’at he, Baap ki Khidmat Zyada kar sakte he Aur unko Zyada Nafa Pahoncha sakte he, ye do he Aur Chote bhi he, ye Apne Baap ki Khidmat Hamari Tarah nahi kar sakte, fir unse Pyaar va Mohabbat Ham se Zyada kyu…?
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-179)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-168)

>➤ Yakub Alayis Salaam ki Mohabbat do Beito se Zyada kyu..?
Yusuf Alayis Salaam se Sabse Zyada Mohabbat hone ki Wajah ye thi ki Aap ko Malum ho chuka tha ki Aap ki Tamam Aulaad me se Agar kishi ko Mansube Nabuwwat Hasil hona he to wo yahi Aap ka Beita (Yusuf Alayis Salaam) he, ishi liye Aap unse Zyada Mohabbat karte the, unke Baad Bin Yamin se, kyunki wo Sab se Chhote the,
Yusuf Alayis Salaam se Zyada Mohabbat karne ki wajah se hi unke Bhai Zyada Mukhalif unke hi the, Bin Yamin ke is Tarah Mukhalif nahi the kyunki Khwaab deikhne ka Ma’amla un tak bhi kishi tarah Pahonch chuka tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-93)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-169)

>➤ Bhaiyo ne Yusuf Alayis Salaam ko Raah se Hatane ki Thaan li :-Quraan Shareef me he ki
“Behtar ye he ki Yusuf (Alayis Salaam) ko Maar daalo Ya kishi Aur Zameen me Feink aav, Taaki Tumhare Baap ki Tawajjo Sirf Tumhare hi Taraf rahe Aur us ke Baad (Touba karke) Neik loug Ban jana”
(Surah Yusuf, Aayat-9)

Yaani Unhone Maswara kiya ki Agar Tum Chahte ho ki Baap Sirf Tumhare Sath hi Khalis Mohabbat kare to Yusuf Alayis Salaam ko Raste se hatana Zaruri he, is ke Bageir Baap ki Kaamil Mohabbat Mayyasar nahi ho Sakti,
wo Musalman the Kafir nahi the Samaj rahe the ki ye Azeem Jurm bhi hoga, lekin Hasad ki Aaag ne Unhe Andha kar rakha tha, wo Apne Irade ko Amal me Lane ka Pukhta irada kar chuke the, Albatta ye Soch rahe the ki Baad me Touba kar lenge Aur Neik ho jayenge.

Quraane Paak me Aage he ki
“Unme se ek kehne wale ne kaha ki Agar Tum ko kuchh karna he to Yusuf (Alayis Salaam) ko Qatl na karo Aur Unhe ek Andhey Kuve me Daal do taki koi Raah Chalne wala unhe utha kar le jaaye”
(Surah Yusuf, Aayat-10)

Ye Roknewala Aapka Sabse Bada Bhai tha, jiska Naam ‘Yahuda’ tha, usne kaha Qatl ek Azeem Jurm he, Tumhara ye Irada Durust nahi, Albatta Jangal me Kishi Kuve me Daal do, Sayad Waha se koi Gujare to ushe Nikaal kar sath le jaye, is tarah Tumhara Matlab bhi Pura hoga Aur Yusuf bhi Qatl se Bach jayega, Agar tum ne Apne irade par Amal karna hi he to yahi karo.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-192)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-169, 170)

>➤ Bhaiyo ka Yakub Alayis Salaam ke Paas Ijaajat talab karna :-
Quraan Shareef me he ki
“(Baap se Jakar) kehne lage ki Ay Hamare Baap Aap ko kya huwa he ki Yusuf (Alayis Salaam) ke Ma’amle me Hamara Aytebaar nahi karte Halanki Ham to unke Kheir Khwah he, kal usko Hamare sath bhej dijiye ki wo Hamare Sath khaaye, Khele Aur Beshaq Ham uski Nigehbaani karenge,
Yakub (Alayis Salaam) ne Farmaya ki Beshaq Muje uske le Jane se Gam hota he to me Darta hu ki Tumhari Gaflat me usko koi Bhediya na kha jaaye,
Unho ne Jawab diya ki Agar inhe Bhediya Kha jaaye Aur Ham ek Jama’at (unke Sath Mojud) ho to Beshaq Ham to (us Waqt) kishi Masraf ke hi nahi (Bilkul hi gaye gujre hue)”
(Surah Yusuf, Aayat-11,12,13,14)

Unka Shaher se Bahar Jane Aur Kheil ki Ijaajat Talab karne ka Maqshud ye tha ki Ham Dushman se Jang karne ke liye Taiyyari karenge, Doud me Mukabla karenge, Teer Andazi me Maharat Hasil karenge,
Agar wo Sirf Lahu va La’ab ke liye Kheil ki Ijaajat talab karte to Yakub Alayis Salaam unhe Kabhi Ijajat na deite, Yusuf Alayis Salaam chunki Chhote the, is liye unhone kaha Ay Hamare Abbajaan Hamare Chhoute Bhai ko bhi Hamare Sath Jane ki Ijajat do, ye Hamari Jangi Tarabeer deikh kar Khus hoga Aur Jangali Mewe, Fal, Ham use tod kar deinge, ye Khayega kyunki Ham Unto ko Chrane Aur unhe Chara khilane ka kaam bhi karenge unme Jangli Darkhto se Fal bhi Hasil karenge,
Yakub Alayis Salaam Chunki Pehle hi Khwaab deikh chuke the ki Yusuf Alayis Salaam par Bhediye ne Hamla Kar diya he Aur wo Zameen bhi Bhediyo wali thi, is liye Aap ne kaha Mujhe Dar he ki ishe koi Bhediya na kha jaye Aur Tum Bekhabar hi raho.

Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya
ki kishi Shaksh ke Samne Aysha kalaam na karo jisse ushe Jhut ki Rehnumai mile jeishe Yakub Alayis Salaam ke Beito ko Malum nahi tha ki Insaano ko Bhediya bhi kha jata he, jab unke Baap ne ye kaha to unhe bhi Jhut bolne ka Mouka mil gaya, unhone kaha ki ye keishe ho sakta he ki Bhaiyo ki ek Jama’at.. wo Jo Bahot Takatwar ho.. ki Saamne ek Bhai ko Bhediya kha jaye, Agar Aysha ho jaye to ham kishi kaam ke nahi honge, Hamare hote hue Bhediye ki kya Majal he ki Hamare Bhai ko Kha jaaye..?
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-196)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa- 170, 171)

>➤ Bhaiyo ka Yusuf Alayis Salaamko Taiyyar karna :-
Jab Hazrat Yakub Alayis Salaam kishi tarah bhi unke Saath Yusuf Alayis Salaam ko Bhejne ke liye Taiyyar na hue to Unhone Yusuf Alayis Salaam ko kaha
Kya tum Hamare Sath Bahar Jangal me chaloge..? Jaha Ham Doud me Mukabla karenge Aur Unt wageira Doudane Aur Dusri Jangi Tarabeer me Mukabla karenge..?
Hazrat Yusuf Alayis Salaam ne kaha Ha Jarur jaunga,
Unhone kaha ki tum Baap ko kaho, Aapne Sab Bhaiyo ko Saath liya Aur Baap ke Paas Aagaye, Bhaiyo ne unki Moujudgi me Apne Baap ki Khidmat me Arz ki Yusuf Hamare Sath jana Pasand karta he, Aap ushe Ijajat de, Aapne Yusuf Alayis Salaam ki Taraf Tawajjo karte hue Puchha, Tumhara kya Khyaal he…?
Unhone kaha Bhai Muje Pyaar va Mohabbat se Sath le jana chahte he, is liye me unke Sath Zarur Jaunga,
Is Tarah Yakub Alayis Salaam Bavajood iske Nahi Chahte the ki Yusuf Alayis Salaam ko Bhaiyo ke Sath Bheja jaye, Lekin Takdir ke Samne koi Tadbeer ka Ragar na hui, Yusuf Alayis Salaam ki Marji Aur kehne par Bhaiyo ke Sath Bhejne par Aamadagi Jaher Farmayi.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-196)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-171)

1599232

>➤ Hazrat Yusuf Alayis Salaam par Bhaiyo ka Zulm :-
Jab wo Yusuf Alayis Salaam ko Sath le kar chale to jab tak Yakub Alayis Salaam Samne the us wakt tak wo Kandhey par utha kar chale, Yakub Alayis Salaam us wakt tak Khade Deikhte rahe Jab tak wo Saamne rahe, jab wo Jangal me Pahonch gaye Aur Apne Baap ki Nazro se ujal ho gaye to Yusuf Alayis Salaam ko Zameen par Feink diya Aur Apni Adaawat Zaher karne lage, Kabhi Bad-Kalami karte Aur Kabhi maarte, Aap ek Bhai se Bhaag kar Dusre ke Paas aate ki Shayad wo Mere Sath Hamdardi karega Aur Meri Fariyaad Sunega, lekin wahi Aap ko Marna Shuru kar deita, Aap ne unke Irado ko Jab Samaj liya ki ye kya chahte he to Waha se Pukaar kar kaha

“Ay Mere Abbajaan Kaash Aap Yusuf ko deikhte ki Bhai us par kitna Zulm kar rahe he..? to Aap kitne Gamzada hote Aur Mere Bhaiyo ke Muj par Mazalim ko Agar Aap deikhte to Yaqinan Route, Ay Mere Abbajaan Ye Kitni Jaldi Aap ke Wade ko Bhul gaye, Kitni Jaldi Aap ki Nasihato ko Bhul gaye”

Ye kehte hue Yusuf Alayis Salaam Roye is Haal me Robil(Aap ka Bhai) ne Aap ko Zameen par gira diya Aur Sine par Beith gaya Aap ko Qatl karne ka irada kiya,
(ALLAHU AKBER….)
Hazrat Yusuf Alayis Salaam ne Farmaya Ay Mere Bhai Thaher ja, Muje Qatl na kar, Qatl karna Azeem Jurm he.
(SubhanAllah, Nabi ka Makam kitna Buland he.. Nabuwwat ke Aylaan se pehle hi Apne Bhaiyo ko Nasihat karke Qatl jeishe Azeem Jurm se Bacha rahe he)

Robil(Aap ka Bhai) kehne laga Tuje to Bade khwaab aate the, Ab Tu Apne Khwaabo ko Bula, jo Tuje Mere Hatho se Chhuraye, usne Aapki Gardan ko Maroda, Aap ko Qatl hi karna chahta tha ki Aapne Bade Bhai ‘Yahuda’ ko kaha Ay Mere Bhai KHUDA se Dar, Mere Aur Muje Qatl karne wale ke Darmiyaan Hamil ho ja, Aapke Kehne par ushe kuchh Bhai hone ka Khyaal aaya Aur Dil Narm huwa, usne Kaha Ay Mere Bhaiyo kya Tumne Mere Sath Wada nahi kiya tha ki Qatl nahi karenge..? Ab bhi Aashan Kaam karo, Qatl na karo,
wo Gusse me Pehle kiye hue Wade ko Bhul chuke the, Puchhne lage kya kare..? Yahuda ne kaha Ye Karib hi Kuwa he usme Feink do Ya to Khud hi Mar jayega Ya koi Kafile wale Gujre to ushe Nikaal kar Sath le jayenge,

Waha ek Kuwa tha jo Niche se Khula Aur Upar se Tang tha usme Jab unhone Aap ko Feinkna Chaha to Aap Kuwe ke Kinare se Lipat gaye, Unhone Aap ke Hath Peir Bandh diye, Kameez ko utaar liya kyunki wo Kameez ko Khun se Rang kar Apne Baap ke Saamne Azr Peish karna chahte the, Yusuf Alayhesalam unko keh rahe the Mere Bhaiyo Mera Kameez wapis kardo taki Me Kuwe me Nanga na rahu, Lekin Bhaiyo ne Aap ki Baat ko Tasleem na kiya, Aap ko Kuwe me Daalne lage to Aap ne unhe Kaha Ay Mere Bhaiyo Muje Akele Chhod jaoge..? Unhone kaha Ab tum Chand, Suraj, Aur Taaro ko Bulao, wahi Tumhari Imdad karenge.
Aap ko ek Doul me Daal kar Kuwe me Latka diya gaya Jab Aadhe Fasla tak Doul Pahonchi to Upar se Chhoud diya gaya us khyaal se ki Zour se Girne par Mar jayega, Lekin Yusuf Alayis Salaam Paani me Gire Aur ek Taraf Patther tha, uspar Beith gaye.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-197)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-171,172)

>➤ Hazrat Yusuf Alayis Salaam ka Kuwe me Haal :-
Jab Aap ko Kuwe me Dala gaya to Aap Ro rahe the, Unhone(Bhaiyo ne) Aap ko upar se Aawaz di Aapne khyaal kiya Shayad Bhaiyo ko Mere Haal par Rahem Aa gaya Aap ne unko Jawab diya, Unhone Aap ko Zinda Samaj kar Patther Gira kar Qatl karna chaha Lekin ‘Yahuda’ ne Fir Mana kar diya,

Hazrat Yakub Alayis Salaam ke Paas wo kameez thi, jo Aapke Dadajaan Hazrat Ibhrahim Alayis Salaam ko Jannat se Lakar Pahenayi gayi thi Jab Aap ko Aaag me Dala gaya tha, Yakub Alayis Salaam ne Jab Yusuf Alayis Salaam ko Bhaiyo ke Sath Rawana kiya to wo Kameez Aap ne unke Gale me Batoure Taawiz daal di, Bhaiyo ne Jab Yusuf Alayis Salaam ko Kuwe me Dala to unki Kameez utaar li thi, lekin Fariste ne Aakar unke Gale se wo Taawiz utaar kar usse Kameez Nikaal kar unko Pahenadi jisse Kuwa Jagmaga ne Laga.

Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya
Jab Yusuf Alayis Salaam ko Kuwe me Dala gaya Aap ke Paas Jibrail Alayis Salaam Aaye Aur kehne lage Aap ko Kuwe me kisne Dala he…?
Aapne kaha Mere Bhaiyo ne,
Jibrail Alayis Salaam ne Puchha Bhaiyo ne Kyu dala..?
Aapne kaha Mere Baap Mujse Mohabbat karte he, Unhone Muj par Hasad kiya,
Jibrail Alayis Salaam ne kaha Kya Tum Yaha se Nikalna Chahte ho..?
Aapne Farmaya Ye Ilteja Sirf Yakub Alayis Salaam ke KHUDA ki Taraf he,
Jibrail Alayis Salaam ne Kaha Fir Tum KHUDA se Duaa karo.
Aapne Jab Duaa Padhi to ALLAH TA’ALA ne Aapke Ma’amlaat Aashan kardiye, Kuwe se Nikaal kar Misr ki Baadshahi aata Farma di, Jo Aapke Wahem va Gumaan me bhi na thi.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-198)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-173)

>➤ Yakub Alayis Salaam ke Beite Route hue Wapis Loute :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Raat hue Apne Baap ke Paas Route hue aaye, Bole Ay Hamare Baap Ham Doud karte Nikal gaye Aur Yusuf (Alayis Salaam)ko Apne Asbaab(Saamaan) ke Paas chhoda to ushe Bhediya kha gaya Aur Aap kishi tarah Hamara Yakin na karenge Agarche Ham Sacche ho, Aur uske(Yusuf Alayis Salaam ke) Kurte (Kameez) par ek Jhuta khun laga laye, (Yakub Alayis Salaam ne) kaha (ki nahi) Balqi Tumhare Dilo ne ek Baat Tumhare waste Banali he to Sabr Achha Aur ALLAH hi se Madad Chahta hu Un Bato par jo Tum Bata rahe ho”
(Surah Yusuf, Aayat – 16, 17, 18)

Unhone(Bhaiyo ne) ek Hiran ko Zabah kiya, uske Khun se Hazrat Yusuf Alayis Salaam ke Kameez ko Rang kar Baap ke Paas laaye Aur Zaaher ye kiya ki Bhediye ke Khane ki Wajah se ye Khun Aaludah ho gaya.

Hazrat Yakub Alayis Salaam ne Kameez ko lekar Apne Chehra par Dala Aur Rone lage yaha tak ki Kameez ke Khun se Aapka Chehra Khun Aaludah ho gaya, Aap keh rahe the ki Mene Aaj tak Itna Hakeem Bhediya koi nahi deikha jisne Mere Beite ko kha liya ho lekin Kameez ko Na Fhada ho, Ye kehte kehte Aapne Fir Rouna Suru kar diya yaha tak ki Aap par Behosi Taari ho gayi, Aapke Beito ne Aap par Paani Chidka, Lekin Aap ko Hous na aaya Aur Na hi Aap ke Jism me koi Harkat peida hui, wo Aapko Pukaar rahe the lekin Aap koi Jawab nahi de rahe the, Yahuda ne Apna Hath Aapki Naak Aur Mooh par Rakha lekin ushe Shansh ka Chalna Mehsus nahi ho raha tha Aur Na hi Aap ki koi Nabd Chal rahi thi, Yahuda ne kaha Hame Qayamat ke Din Jaza dene wale MAALIKUL MULK se Azaab hi Hasil hoga, Hamne Apne Bhai ko bhi Zaya kar diya Aur Baap ko Bhi Qatl kar diya, wo Tamam Raat Yakub Alayis Salaam ne Behoshi me Guzaar di, Sehri ke Wakt Hous Aaya.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-201)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-174)

>➤ Hazrat Yusuf Alayis Salaam ka Kuwe se Bahar aana :-
Quraane Paak me he ki
“Aur ek Kafila Gujra to Kafile walo ne Apna ek Paani Laanewala Bheja to usne Apna Doul Dala (Aur Khincha) to wo Bola Aaha kya Khushi ki Baat he ki ye To (Doul me) Ek Ladka he Aur usko ek Sarmaya(Tijarat) Bana kar Chhipa liya (Taki koi Daavedaar Na Nikal aaye) Aur jo Kuchh wo kar rahe the ALLAH TA’ALA ke Ilm se Kuchh Poshida na tha”
(Surah Yusuf, Aayat-19)

Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho farmate he ek Kafila Madeena se Misr ki Janib Rawana huwa, wo Kafila wale Rasta Bhatak gaye, wo Idhar-udhar firne lage ki Rasta Mil jaye, ishi Dovraan Unhe wo Kuwa Nazar aaya jisme Hazrat Yusuf Alayis Salaam the, Halanki Wo Kuwa Ayshe Bayabaan Jangal me tha Jaha Charwaho ke Bageir koi Shaksh na aata, Kafila Walo ne Kuwa deikh kar Apne ek Shaksh Malik Bin Z’ar Khzaai ko Bheja taki waha se Paani le aaye, usne Jab Kuwe me Doul Dala to Hazrat Yusuf Alayis Salaam usse Lipat gaye, is tarah Aap Bahar Tashreef laaye, Malik Bin Z’ar Khzaai ne Aap ke Husn va Jamaal ko Deikh kar Khusi se kaha Kitni Khusi ki Baat he ye to Ladka he, Yaani Kitna Khubsurat Ladka Hamare Hath me Aa gaya, jo Hamare liye Bahot Bada Sarmaya Banega.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-105)

>➤ Husn E Yusuf Alayis Salaam:-
Hazrat Yusuf Alayis Salaam ka Chehra Bahot Haseen tha, Baal Ghungariyale, Aankhe Moti va Khubsurat, Tamam Aaza(Jism ke Tamam Hisse) me Azeeb Kism ka Aytedaal paya jata tha, Rang Safeid Gandum Goh Surkhi Mail, Kalaiya Aur Pindaliya Moti, Peit Chhouta, Naaf chhoti thi Aur Jab Aap Muskurate the to Aap ke Danto se Noor ki Roshni Nikalti thi, Jab Kalam Farmate to Aapke Samne wale Danto se Noor ki Roshni Nazar aati Aur kishi Shaksh me us wakt ye Awsaaf Nahi paye jate the, Aap ka Husn Ayshe Jalwagar tha jeishe Din ki Roshni,
Itne Haseen ladke ko deikh kar Nikaalnewale ko Ta’ajub kyu na hota ki Aap ke Husn Aur Kheir Va Barkat se Mehrumi par to Kuwe ki Diware Aur Patther bhi Roye.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-105)
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-203)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-176)

Subhan Allah…

>➤ Bhaiyo ka Yusuf Alayis Salaam ko khote Sikko se Beichna :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Bhaiyone use Khote Damo Ginti ke Rupyo par Beich dala Aur unhe Usme kuch Ragbat na thi”
(Surah Yusuf, Aayat-20)

Agarche Aap ko Kuwe se Nikalne walo ne Kimti Sarmaya Samaj kar Chhipa kar rakha tha ki Misr me Jaakar Ushe Beich karke Bahot Bada Maal Hasil karenge lekin Aap ke Bhai 3 dino ke Baad Aap ke Haal ka Pata chalane ke liye Aaye ki Yusuf Zinda he ya Mar Chuka he..?
Kuwe par Aaye to deikha ki Yusuf Kuwe me to nahi, Idhar-Udhar deikha to ek Kafila Nazar aaya unse Puchhne par Pata chala ki Unhone ek Ladke ko Nikala he, Aapke Bhaiyo ne Kaha Ye Hamara Gulam he, Jo Bhag kar Aagaya he, Agar Tum Kharidna chahte ho to Ham Tumhe Sasta Beich deite he Aur Tum ishe kishi Door ilake me le jaao Taki ishe Bhagne ka Maza aaye,
Yusuf Alayis Salaam bhi Bhaiyo ke Dar se Khamosh the, Aapne bhi Na bataya ki me inka Bhai hu Gulam nahi, Aakhirkaar Aapko 20 ya 22 Khote Dirhamo se Beich diya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa- 176)

>➤ Yusuf Alayis Salaam ka Bhaiyo ko Alwidai-Salam :-
Jab Aap ke Bhaiyo ne Aap ko Khote Dirhamo se Beich diya to Tajar (Khridne Wale) ko kaha ki ye Chour he Aur Bhaag bhi jata he, to us Tajar ne Aapko Qeid kar liya Aur Aapki Nigehbaani ke liye ek Habsi Gulam ko Aap par Mukararr kar diya, jab Waha se Jaane lage to Aap Roune lage, Tajar ne Yusuf Alayis Salaam se puchha Aap kyu Ro rahe he..?
Yusuf Alayis Salaam ne Farmaya Jin logo ne Muje Beicha he Me unko Alwidai-Salam karna chahta hu, Yaani Aysha Salam karna Chahta hu Jo kabhi Na loutne wala karta he,
Tajar ne Apne Gulam ko kaha Isko Apne Maliko ke Paas le Jao taki ye unhe Alwidai-Salam kar aaye, Fir Kafila se mil jana, Mene Aaj tak Itna Farma Bardaar Gulam nahi deikha jo Apne Maliko se Itni Mohabbat Rakhta ho Aur itne Zalim koi Malik nahi deikha Jitne Zalim iske Malik he.

Wo Gulam Aap ko Aap ke Bhaiyo ke Paas le aaya Aur Sab Soye hue the, unme se ek Bheid-Bakariyo ki Hifazat kar raha tha, jo Jaag raha tha, Yusuf Alayis Salaam Apne Muhafiz Gulam ke Saath Peir me Bediya lage, Ladkhrate, uske Paas Pahonche, Roune lage,
Usne Puchha Tum kyu aaye ho..?
Yusuf Alayis Salaam ne Kaha Me Tumhe Alwidai-Salam karne Aaya hu jise Tum Kabhi na deikh sakoge,
(Wo Bola) Haay Afshos, Haay Barbaadi, ye keisha Alwida he (Mumkin he ye Yahuda ho wo kuchh Yusuf Alayis Salaam se Narmdil rakhta tha)
Sab Jaag pade,
Yusuf Alayis Salaam ek ek Bhai par Mohabbat se Sar Juka kar Bouse leite hue Gale mil rahe the,
(SubhanAllah.. Unke Zulm ko deikhe Aur Yusuf Alayis Salaam ki Mohabbat ko deikhe)

Aap Chalte hue Farma rahe the
“ALLAH Tumhari Hifazat kare, Agarche Tumne Mujhe Zaya kar diya, ALLAH TA’ALA Tumhe Apne Gharo me Kayam Va Dayam rakhe, Agarche Tumne Muje Gharse Nikaal diya, ALLAH TA’ALA Tum par Rahem kare, Agarche Tumne Muj par Rahem nahi kiya”

Aap ke Alwidayi Salam, Rakt Aameez Kalamaat, Dukh Bhari Fariyaad ka Asar Bheid-Bakariyo par itna Sadid huwa ki Unke Us Howlnaak Manzar se Hamal Kar Gayi.
(Roohul Maani,Jild-7, Hissa-1, Safa-205, 206)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-177)

>➤ Hazrat Yusuf Alayis Salaam ka Walida ki Qabr par Rona :-
Bhaiyo ko Aap ne Alwida kar diya to Aapko Gulam ne Pakad kar Apne Sath Chala liya Taki Kafila se Mil jaye, Aapko Bediya laga kar ek Sawari par Sawar karke Sath le jaya ja raha tha, Kan’aan ke Qabrstaan se Jab Aapka Gujar huwa to Apni Walida Raahil ki Qabr ko deikh kar Aap Apne Jazbaat par Kaabu na rakh Sake,

Sawari se Utar kar Qabr se Lipat kar Route hue Arz karne lage
“Ay Meri Maa, Qabr se Sar Utha kar Zara Apne Beite ko Bediyo me Jakda huwa to deikho,
Ay Meri Maa, Bhaiyo ne Muje Kuwe me Feink diya, Baap se Muje Juda kar diya, Khote Sikko se Muje Beich Dala, Meri Chhoti Umar par bhi Unka Dil na Peja, Unhe Muj par Kuch Rahem Na Aaya,
ALLAH TA’ALA se Sawal karta hu ki Muje Aur Mere Walid ko Makame Rehmat me Jama kare, Wahi ‘Arrahamul Rahmeen’ he.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-206)
(Tazkiratul Ambiya Alayis Salaam, Safa-177, 178)

ALLAHU AKBER….

>➤ Gulam ka Yusuf Alayhis Salaam ko Thappad Maarne par Kehre Khudawandi :-
Gulam ne Pichhe deikha to Yusuf Alayhis Salaam ko Na Paya Wapis Aaya to deikha ki Aap(Yusuf Alayhis Salaam) Ek Qabr ke Paas Ro rahe he, Usne Kaha Tumhe Beichne walo ne Sach kaha tha ki Tum ek Bhagode ho (Maaz Allah) ye kehte hue usne Yusuf Alayhis Salaam ko ek Zourdaar Thappad Maar diya, (Astagfirullah..) Jisse Aap Behoush ho kar gir gaye, Fir Jab Aapko Hous Aaya to Aapne Kaha Muje Kuchh Na kahe, Ye to Meri Maa ki Qabr he, Me Apni Maa ko Alwidaai Salam karne ke liye Sawari se Utar gaya tha, Aainda Aysha Koi Kaam Nahi karunga Jo Tumhe Na Pasand ho, Aapka Chehra Khun se Aaluda tha, Aur Girne ki Wajah se Mitti lagi hui thi, Kaanpte hue RABB ki Bargaah me Arz karne lage
“Ay ALLAH Agar Meri Koi Khtaa he to Muje Mere Aabaa Ibhrahim, Ishaak Aur Yakub Alayhis Salaam ki Hurmat ke Waseele se Maaf karde”

Aapki is Halat ko deikh kar Aashman ke Fariste bhi Chilla Uthe Aur ALLAH TA’ALA Ki Bargaah me Aapke liye Fariyad karne lage,

ALLAH RABBUL IJJAT ne Irshaad Farmaya
“Ay Mere Faristo Ye Mera NABI he Aur Mere AMBIYA ka Beita he Jo Mujse Fariyaad Kar raha he Aur Mujse hi Imdaad ka Taalib he, Me hi Uska Fariyadras hu, Sab Fariyaad karne walo ki Fariyaad ko Me hi Pahonchta hu,
Aur Aage Farmaya
“Ay Jibrail Jaao Mere Bande ki Imdaad karo”

Jibrail Alayhis Salaam ne Aakar Yusuf Alayhis Salaam se Kaha Ay ALLAH TA’ALA ke Dost Tumhara RABB Tumhe Salam kehta he Aur Tumhe ye kehta he
“Roune se Rook jao, Tumne Saat(7) Aashmano ke Faristo ko Rula diya he, Kya Tum ye Chahte ho Zameen va Aashmaan ek ho jaaye..?”
(ALLAHU AKBER…)

Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Nahi Nahi, Muje ALLAH TA’ALA ne Apni Sifate Hilm(Burdbari) Ata ki he Aur wo Jaldbaazi Nahi karta to Me Bhi Jaldi se Kaam nahi leita, Jibrail Alayhis Salaam ne Apna Par Mara, Zameen se Surkh Rang ki Hawa Chalne lagi, Suraj ki Roshni Khatm ho gayi, Surkh Aandhi se Andhera Chha gaya, Kafile wale ek Dusre ko deikh nahi sakte the,
Tajar ne Kaha Ay Kafile Walo Apni Sawariyo se utar kar Apne Aap ko Halaqat se Bachao, Muje Kai Saal ho Chuke he is Rasta se Gujarte hue Mene Aaj ke Din ki Tarah koi Din Nahi deikha, Sab Apne Apne Gunaho ki Ma’afi Mango, Aaj ki Musibat Yakinan Hamari kishi Gunah ka Natija he, is Wakt Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Muhaafiz Habsi Gulam ne Bataya ki Mene Yusuf(Alayhis Salaam) ko Mara tha Jab Mara to usne Apna Sar Aashmano ki Taraf uthaya tha Aur Apne Hontho ko bhi Harkat di thi,
Tajar ne Kaha Afshos Tumhari Barbadi..! Tumne Hame bhi Aur Apne Aap ko Halaq kar diya, Tajar Yusuf Alayhis Salaam ke Paas Aaya Aur kehne laga Ay Ladke Hamne Tumhe Maar kar Tum par Zulm kiya he, Ay Ladke Agar Tum Badla leina Chahte ho to Badla le lo Ham Hazir he,
Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya
“Ham Zalimo se Badla Nahi liya karte, Me to Us Ghraane se Ta’aluq rakhta hu, jo Zulm karne walo ko Ma’af kar deite he, Unke liye Magfirat ki Dua karte he, Me Tumhe Ma’af kar Raha hu, ALLAH bhi Tumhe Ma’af kare”

Aapke Ma’af karne ke Sath hi Andhera Khatm ho gaya, Aandhi Rook gayi, Suraj Roshan ho gaya, Masrik va Magrib Tak Roshni feil gayi, Is Tarah Kafila Misr me Aman se Aagaya.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-206)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-178,179)

Subhan Allah.. NABI ki kya Shaan he.. NABI par Zulm karne wale keishe Giraft me Aaye..
Aur NABI Kitna Sabir, ki Zalimo ke liye Duaa e kar raha he…

>➤ Yusuf Alayhis Salaam ka Baajare Misr me Souda :-
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Misr me laya gaya to Aapko Bazar me Bahesiyat Gulam Beicha jane laga to Aapke Husn Va Jamal ki Wajah se Kimmat Badhti chali gayi, Yaha tak ki Aapki Kimmat Yaha tak Pahonch gayi ki Aap ke Wazan ke Barabar Kasturi, Chandi Aur Reisam diya jaye,
itni Badi Kimmat Ada karne ki Aam logo me Taakat na thi is liye Aapko Misr ke Wazeer ne Itni Kimmat Ada karke Kharid liya, uska Laqab ‘Azize Misr’ tha,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-179)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Naaz va Ne’amat me :-
Quraane Majeed me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Aur Misr ke Jis Shaksh ne ushe Kharida wo Apni Aurat se Bola, inhe Ijjat se rakho, Sayad unse Hame Nafa Pahunche, Ya inko Ham Beita Banale, Aur ishi Tarah Hamne Yusuf ko is Zameen me Jamaav diya Aur isliye ki Ushe Baato ka Anjaam Shikhaye Aur ALLAH Apne Kaam par Gaalib he Magar Aksar Aadmi nahi jante”
(Surah Yusuf, Aayat-21)

Azize Misr ne Aapke Lohe Zabih Par Sa’aadat Va Nazabat ke Nakush(Chap) deikh liye the, Badi Mohabbat se Ghar laya Aur Apni Biwi se kaha ki Bada Pyara Baccha mil gaya he iske Aaram ka Har Waqt khyaal rakhna iski kishi tarah Dil Aazari na ho, Iski Shakl va Surat kishi Shandaar Mustaqbil ki Gamazi kar rahi he, Ho Sakta he kishi Din Hamare liye ye Mufid Sabit ho ya Ham ishe Apna Beita Bana le,
Us Aurat ka Naam ‘Raeeil’ ya ‘Zulekha’ tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-180)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Ek Martaba phir Imtehaan me :-
Quraane Majeed me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur wo(Yusuf Alayhis Salaam) jis Aurat(Azize Misr ki Biwi) ke Gharme tha usne ushe Lubhaya ke Apna Aapa na roke Aur Darwaze sab Band kar diye Aur Boli Aao me Tumhi se kehti hu, (Yusuf Alayhis Salaam ne) kaha ALLAH ki Panah wo Aziz(Azize Misr) to Mera Parwarish Karnewala he Usne Muze Achhi Tarah (Ghar me) Rakha Beshaq Zalimo ka Bhala Nahi hota, Aur Beshaq Aurat ne Uska irada kiya Aur woh bhi Aurat ka Irada karta Agar Apne RABB ki Dalil na deikh leita, Hamne Yuhi kiya ki usse Burai Aur Behayai ko Ferde Beshaq wo Hamare Chune hue Bando me se he”
(Surah Yusuf, Aayat – 23, 24)

Wo Aurat(Azizi Misr ki Biwi) Darwaje Band kar ke Apne ek Butt ko Dhaanp rahi he, wo jo usne Apna Ma’abud Bana rakha tha Aur Yaakut se ushe Saja rakha tha, Yusuf Alayhis Salaam ne usse Puchha Tum use kyu Dhaanp rahi ho…? Usne Kaha Mujhe Apne Ma’abud se Sharm aati he ki wo Muje Burai me deikhe,
Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Teira Ma’abud to kuchh Taakat bhi nahi rakhta Tuje Sharm aarahi he kya Muje us Ma’abud Haqeeqi se Sharm nahi aati jo Har Insaan ke Har Amal ko deikh raha he..? Mujse Tu Apni Ummid Wabasta na kar, Tu Kabhi bhi Muhjse Apni Hajat me Kaamyab nahi ho sakti.
(Subhan Allah..)

Hazrat Yusuf Alayhesalam ne Roshan Daleel ke Tour pe ye Deikha..

Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he Beshaq Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Hazrat Yakub Alayhis Salaam ki Surat deikhai gayi Jinhone Aapke Sina par Hath mara.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-214)

Hazrat Qatada RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he Aap Farmaate he ki Hame Bataya gaya he ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Hazrat Yakub Alayhis Salaam dikhai diye ki Aap Apni Ungaliyo ko Danto se Kaat rahe he Aur Farma rahe he Ay Yusuf Khyaal Rakhna Aysha Kaam Bewakoof karte he Tumhara Naam to Ambiya e Kiraam me likha Ja Chuka he.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-214)

Zulekha(Azize Misr ki Biwi) ne Agarche Chaha ki Aap ko Gunaho me Mubtila karde Leqin ALLAH ke NABI Nabuwwat se Pehle Aur Nabuwwat ke Baad Chote-Bade Gunaho se Paak hote he is liye ALLAH TA’ALA ne Yusuf Alayhis Salaam ko Waazeh Aur Roshan Dalil deikha kar Paak va Saaf rakha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-181,182)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Par Aurat ka Ilzaam :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Dono Darwaze ki Taraf Doure (Yusuf Alayhis Salaam Aage Aage Aur Zulekha Pichhe Pichhe) Aur Aurat ne (Yusuf Alayhis Salaam) ka Kurta Pichhe se (Khinch kar) Cheer diya, phir Achanak Dono ko Aurat ka Khawind(Sohar) Darwaze ke paas mil gaya Tab Aurat ne (Apna Jurm Chhipane ke liye Baat banai Aur) kaha Jis Aadmi ne Teri Aurat se Badi(बदी) Karni chahi uski Saza Siwaye uske kya honi chahiye ki use Qeid me dala jaye ya koi Aur Dardnaak Saza di jaye”
(Surah Yusuf, Aayat-25)

Jab Aurat ne Aapko Andar Bandh kar liya to Yusuf Alayhis Salaam ne Apne Aapko Gunaho se Bacha ne ke liye Darwaza ki Taraf Bhaagna Suru kiya taaki Darwaza khoul kar Bahar nikal jaaye, Auratne Pichhe Bhagna Suru kiya taaki Aapko Pakadle, Yusuf Alayhis Salaam ko Pakadne me to Kaamyab na ho saki, Albatta Aapki Kameez(Kurta) Pichhe se usne Pakad li Chunki Aap Doud rahe the, Doudte hue Kameez Pakadne ki Wajah se Pichhe se Phat gayi,
ushi Douraan us Aurat ka Sohar Darwaje par Pahonch gaya, Wo(Aurat) Tohmat ke Dar se Jaldi se Apne Aiyb ko Yusuf Alayhis Salaam ki taraf Mansub karne lagi ki ye Tumhari Zovja se Burai ka Irada rakhta tha, is liye Qeid khana me Bhej do ya Shakht Saza do.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-185, 186)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Sacche hone ki Gawahi :-
Quraan Shareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“(Yusuf Alayhis Salaam ne) kaha us(Aurat) ne Muzko Lubhaya ki Me(Fash Jaau Aur) Apni (Paak Daamani ki) Hifajat na karu (Magar Meine Hargiz Aysha nahi kiya) Aur Aurat ke Gharwalo me se ek Gawah ne Gawahi di (Deikha jaaye) Agar Unka(Yusuf Alayhis Salaam ka) Kurta(Kameez) Aage se Chira he to Aurat Sacchi he Aur Unhone Galat kaha, Aur Agar Unka Kurta Pichhe se Chira huwa(he) to Aurat Jhuti he Aur ye Sacche, Fir jab Azizne Us(Yusuf Alayhis Salaam) ka Kurta Pichhe se Chira deikha(Haqiqat Ma’alum karli Aur) Bola Beshaq ye Tum Aurato ka Charitr he Beshaq Tumhara Charitr Bura he, (Fir Azize Misr ne kaha ki) Ay Yusuf(Alayhis Salaam) Tum uska Khyaal na karo Aur Ay Aurat Tu Apne Gunaah ki Ma’afi Maang Beshaq Tu Khatawaro me he”
(Surah Yusuf, Aayat-26, 27, 28, 29)

Gawahi deinewala Us Aurat ka Ristedaar ladka tha, Jo Abhi chhota Bacha tha uski Umar 3 Maah thi, ALLAH TA’ALA ne ushe Bolne ki Taakat di, us se Gawahi dila kar Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Ilzaam se Bari qarar diya, Agarche itni Umar me Bacche ka Bolna hi Aap ki Paak-damani ko Sabit karne ke liye Kafi tha, Lekin ALLAH TA’ALA ne us se eysha Hakimana Jawab dilaya jo Bahot Badi Mazbut Dalil bhi ban gayi,

Aage se Kameez ke Phatne ka Matlab ye hota he ki Aap ne Iska Irada kiya, usne Mazahammat ki Girebaan pakad kar Pichhe kiya to Kameez aage se Phat gayi, Agar Ayshi Surat hoti to Aurat ka Saccha hona Sabit hota, Lekin Pichhe se Kameez Phatne se Waazeh ho raha tha ki Aapko Zabardasti Kamra me Bandh kiya gaya, Aap Jaan Chhurane ke liye Bhaage Aapko Piche se Pakad ne ki Koshis ki gayi to Kameez Piche se Phat gayi,
is Jawab Aur Daleel par hi Azize Misr ne Aapko kaha Aap Sacche he, kuch Gam dil me na laaye Aur Apni Zovja ko kaha Ye Tumhara Makr he tum Apne Gunaho ki Maafi Mango.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-221)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-187, 188)

>➤ Azize-Misr ki Aurat par Misr ki Aurato ki Taana-Zani :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur(Jab Us Wakiye ka Charcha Feila to) Shaher me Kuchh Aurate Boli ki Aziz ki Bibi Nov-Jawan ka Dil Lubhati he Beshaq Unki Mohabbat uske Dil me Peir gayi he Hamto Ushe Sarih Khud Raftaa Pate he”
(Surah Yusuf, Aayat-30)

Wo Wakiya Pure Saher me Mashoor ho gaya tha, Kayi Aurate kehne lagi ki Aziz ki Biwi Kitni Galti par he Jo Apne Ghar rakhe hue Nav-jawan se Itni Sadid Mohabbat karti he ki Ushe Kuch Aur Nazar hi nahi aata, uske Dil par Mohabbat ne Is tarah Gheira daal liya he Jis Tarah kishi Chiz ka Gilaaf ushe Apni Lapeit me leita he Aur wo Mohabbat uske Dil Aur Baaki Chizo me Hijaab ikhtyaar kar chuki he ki Siwaye Us Nav-Jawan ke Aur kishi Chiz ka Pata hi Nahi, Ham to Ushe us Nav-Jawan se Sadid Mohabbat karne me Raah Rasta se Bhatka huwa Paate he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-188)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko deikh kar Aurato ne Apne Hath Kaat liye :-
Quraan Shareef me he ki
“To Jab Zulekha ne unka Charcha suna to Un Aurato ko Bula Bheja Aur unke liye Masnade Taiyyar ki Aur Unme Har Ekko Chhuri di Aur (Iske Baad) Yusuf (Alayhis Salaam) se kaha Unpar Nikal Aao jab Auratone Yusuf(Alayhis Salaam) ko deikha Uski Badaai Bolne lagi Aur Apne Haath Kaat liye Aur Boli ALLAH ko Paaki he ye to Jinse Basarse nahi ye to Nahi Magar Koi Mo’azziz Farista(Jo Khubsurat Aurato ki Taraf Nazar utha kar bhi Nahi deikhta), (Tab) Zulekha ne Kaha to ye he wo Jin par Tum Muze Tana deiti thi Aur Beshaq Meine Unka Ji Lubhana Chaha to Unhone Apne Aapko Bachaya Aur Beshaq Agar Woh ye Kaam na karenge jo me Unse kehti hu to Zarur Qeid me Padhenge Aur Zarur Zillat Uthaenge”
(Surah Yusuf, Aayat – 31, 32)

Aziz ki Zovja ne un Aurato ki Da’wat ki jo uske Muta’alak Baate karti thi, Wo Bade Bade Sardaro, Wazeero ki Biwiya thi, Jinki Tadaad 40 thi, Unme 5 Aurate ye bhi thi Jo Bahot Baate karti thi
1) Aziz ko Paani Pilane wale ki Zovja,
2) Wazeer e Jeil ki Zovja,
3) Rotiya Pakane wali Aurat, jisne itne Arse me Yusuf Alayhis Salaam ko Nahi deikha tha,
4) Aziz ke Janwaro ke Muhaafiz(Hifazat karne wale) ki Zovja,
5) Darbaan ki Zovja,

Da’wat ki Majlis me Har ek ke liye Nasihat Mukararr thi, Takiye Laga diye, Dastarkhwaan par Tarah Tarah ke Khane chun diye gaye, Fal bhi rakh diye gaye, Falo ya Gost ya Khaas kar Limbu kaatne ke liye Churiya bhi Rakh di gayi, Har Beithak ke Samne ek ek Chhuri rakhi gayi thi,
Jab Aurate Aagayi Apni Apni Beithak par Beith gayi, To Aziz ki Zovja ne Aap(Yusuf Alayhis Salaam) ko Hukm diya ki Aap Apne Kamre se Bahar Niklo Aur Un Aurato ki Mehfil ke Samne se Gujar jaao Taaki Ye Aapki ek Jhalak deikh le, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Pehle hi us Aurat ki ek Saazis ka Sikaar ho chuke the, ALLAH TA’ALA ne Aapko Bari kar diya tha, Ab Yahi Khouf Dil me Aa raha tha ki iska Hukm na Manne par Koi Nayi Musibat na Khadi ho jaye, Aapko Majburan Nikal kar Aurato ke Saamne se Gujarna Padha,

Jab Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Unke Saamne se Gujre…
“To wo Aapko deikh kar itni Dahesat me Aa gayi ki Fal le kar unko Churiyo se Kaatne lagi thi, lekin Apne Haath Kaat kar Zakhmi kar liye”
Ya Unhone Apne Hath is Wajah se Kaat liye ki Aapko deikh kar is Tarah Madhosh hui ki Unhe ye Pata Na Chal saka ki wo Chhuriya Sidhi Pakad rahi he ya Ulti, (Churi ki) Sidhi Janib Apne Hatho ki taraf kardi Aur Ulti Janib Falo ki taraf karke Falo ko Kaatne ke Garz se Chhuriyo ko Jeise Chalaya to Haath kat gaye.
Ye bhi Mumkin he Kuchh Aurato ne Chhuriya Ulti Chala kar Apne Haath Kaat liye ho Aur Kuchhne Fal kaat kar Haatho tak Churiya Chala di ho.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-127)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa- 189, 190)

ALLAHU AKBER…

>➤ Haath kaatne ki Wajah Jamaale Yusuf Alayhis Salaam par Madhosh hona :-
Un Aurato ne Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Umda Jamaal Aur Kaamil Husn ki Wajah se Azeem Samja tha yahi Wajah thi un ke Haath Kaatne ki,
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Husn va Jamaal me Baaki logo par is tarah Fazilat Hasil thi Jis tarah Chodhvi(14vi) ke Chand ko Sitaro par Fazilat Hasil hoti he,

Ek Martaba Hamaare AAQA HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se Puchha gaya
YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Aapne Unhe(Yusuf Alayhis Salaam ko) Keishe paya to HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Farmaya Ayshe hi Jeishe Chodvi(14vi) ka Chand,

Yusuf Alayhis Salaam Jab Misr ki Galiyo me Chalte to Aap ke Chehre ki Nooraniyat ki Wajah se Diware Is Tarah Roshan ho jati jis tarah Suraj ki kirno se Roshni Feil jati he,

(Aurato ke Haath kaatne ki) Sabse Badi Wajah ye thi ki un Aurato ne Aap ki Nooraniyat va Resalat ke Aasaar ko deikha Aur Nabuwwat ke Reb va Jalaal ka Musahida kiya Aur Jab ye deikha ki ye Shaksh to Farista-Sirat he, isne T’aam ko nahi deikha, Ham Navjawan Aurato ko Nahi deikha, ishe Hamari Zara Parwah tak nahi hui, Zaaheri Surat bhi Azeem Aur Sirat bhi Azeem, Bas Yahi deikh kar unhone Ta’ajub kiya Madhosh ho gayi, Apne Hous va Havaas Kayam na rakh saki, Aur Itna Samaj liya ki ye koi Aam Insaan nahi ye to koi Makarrab Farista he,

Haa, ye kyu na hota, Jab ki NABI ka Makam Faristo se Buland tareen hota he.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-127)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-190,191)

SubhanAllah…
Aaiye Ek Nazar Hamare PYAARE AAQA HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Husn va Jamaal par deikhte he

>➤ Hamaare AAQA IMAAMUL AMBIYA Sallallaho Alayhe Wasallam Chand se bhi Zyada Haseen :
Hazrat Jabir RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he
Meine Chandani Raat me NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko deikha
to Me Kabhi Pyare HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko deikhta Aur Kabhi Chand ki Taraf, Jab ki Aapne Surkh(Laal) Dhariyo wala Libaas Zebtan(Pahen) kar rakha tha Aap Muje Chand se bhi Zyada Haseen Nazar Aa rahe the.
(Miskaat Sareef, Jild-2, Safa-517)

SubhanAllah..

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ka Qeid-khane ki Duaa karna Aur us Dua ka Qabool hona :-
Quraan Shareef me he ki
“Yusuf (Alayhis Salaam) ne Arz ki Ay Mere RABB Muze Qeidkhana Zyada Pasand he us Kaam se Jiski Taraf ye Muze Bulati he Aur Agar Tu Muzse unka Makr na Ferega to me Unki Taraf Maail hounga Aur Naadaan Banuga, To Uske RABB ne Uski Sunli Aur usse Aurato ka Makr feir diya Beshak Wohi (Har ek ki Dua) Sunta Janta he, Fir Jab kuch Nishaniya deikh dikha kar Pichli Mat Unhe yehi Aai ke Zarur ek Muddat tak ushe Qeidkhane me Dale”
(Surah Yusuf, Aayat – 33, 34, 35)

Jab Azize Misr ki Zovja(Biwi) ne Misr ki Aurato ke Saamne Kaha ki Agar isne Meri Baat ko na Mana to ishe Qeid-khana me Jana padhega Aur Zalil hona Padhega to Da’awat par Bulai hui Tamam Auratone Ijtemai Tour par Yusuf Alayhis Salaam ko Samjana Shuru kiya, kehne lagi Tumhare liye ye Behtar nahi ki Tum uske Hukm ki Mukhalifat(khilaaf) karo Kyu ki Mukhalifat ki Surat me Tumhe Qeid-khana me Jana Padhega Aur Zillat uthani Padhegi,
Ab Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Chand Muskilaat ka Saamna tha,

Aapne Dua ki
“Ay ALLAH Tu Muje In Aurato ke Makr se Bacha Sakta he, Agar Teira Fazal na ho to Insaan Ayshe Gunaho me Mubtila ho kar Jaahil ban jata he, Ay ALLAH Muje Jis Kaam ki ye Da’awat de rahi he Us se Behtar Mere liye Qeid-Khana hi he”.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-130)

Azize Misr Aur Dusre Tamaam Loug Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Paak Daamani ka Yakin Kar Chuke the, Lekin Aapko Sirf Zaaheri Maslehat ke peishe Nazar Unhone Qeid-Khana Bhejne ka Feishla kiya tha Kyu ki Azize Misr ki Zovja ke Alawa Ab Dusri Aurate bhi Aap par Aashik ho chuki thi, Ghar Ghar Yusuf Alayhis Salaam ke Husn va Jamaal ka Charcha ho raha tha wo Loug Apni Aurato ko Rokne me to Naakaam ho gaye, Albatta Aapko Qeid-khane me Bhejne ka Unhe ek Hal Samja tha, Ye Asal me Aapki Apni Duaa ka Asar hi tha.

Is Tarah Aziz ki Zovja ne Apne Sohar ko kaha Ki ye Ibraani Gulaam muje Badnaam kar raha he ki mene ushe Apni Taraf Mail karna chaha Lekin wo Bach gaya wo Chunki Bahar Nikal sakta he Aur me Gharme Mahbus hu Ya Muje Bhi Baahar Bazaro me Jakar uska Jawab deine ki Ijajat di jaye ya ushe bhi Qeid kar liya jaaye,
To is Tarah Aziz Aur Dusre Wazeero ne Aapko Qeid me Bhijwa diya.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-237)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-192, 193)

>➤ Qediyo ka Hazrat Yusuf Alayhis Salaam se Barkat Hasil karna :-
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Jab Qeid-Khana me gaye to Waha Qeidiyo ko deikha ki Qediyo ki Ummide Tuti hui he, Sadid Masaib Aur Taveel(Lambe) Gamo me Mubtila he, Aapne Un ko Tasalli deite hue kaha Khus ho jaao, Sabr karo ALLAH TA’ALA Sabr ka Ajr Zarur aata farmata he,
Qoum ne kaha Ay Jawan Aap ka Chehra kitna Haseen he…?
Aap ki Surat Kitni hi Khubsurat he…?
Aapke Kitne hi Acche Akhlaq he…?
Jab se Tumne Hame Bataya Sabr par Ajr he Aur Musibat Gunaho ka Kaffara he Aur Masaib Va Aalaam Gunaho se Pakizgi ka Zariya he to Hame Tumhare Qurb Aur Nasaaih se Barkat Hasil ho gayi he,
Unhone Puchha Ay Jawan Tum Koun ho…?
Aapne Bataya Me Yusuf Ibne Yakub ibne Ishaak Ibne Ibrahim (Alayhis Salaam) hu,
Qeid-Khana ke Nazim e Aala(Unche Darje par Kaam Karne wala) ne kaha Ay NavJawan Agar Mere Ikhteyaar me hota to Me Tumhe Aazad kar deita, Ye to Mere Ikhteyaar me nahi, Albatta Tumhare Padosh me Rehne wale Qeidiyo par Achha Suluk karunga.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-194)

>➤ Qediyo ka Yusuf Alayhis Salaam se Khwaab ki Ta’abir Puchhna :-
Quraan e Majeed me he ki
“Aur Uske(Yusuf Alayhis Salaamke) Sath Qeidkhana me do Jawan Dakhil hue Unme ek Bola Meine Khwaab deikha ke Sarab Nichorta hu Aur Dusra Bola Meine Khwaab deikha ki Mere Sar par Kuchh Rotiya he jinme se Parindey Khate he Hame Uski Ta’abir Bataiye Beshaq Ham Aapko Neikukaar deikhte he”
(Surah Yusuf, Aayat-36)

Ek ne Apna Khwaab Bayan kiya ki
“Meine Angoor ki ek Bahot Khubsurat Beyl deikhi Jiski 3 Saakhe he Aur un par Angoor ke Gucche lage hue he, Me unhe Nichor kar Baadshah ko Pila raha hu”
(Khyaal rahe ki Sarab bhi Angoor ke Nichor se hi Banti he is liye us Shaksh ne Angoor Nichor ne ko Sarab Nichor ne se Ta’abir kar diya)
Dusre ne Apna Khwaab Bayan kiya ki
“Meine Deikha ki Me Baadshah ke Rasoyi Khana(Khana Banane ka Kamra) se Nikal raha hu Aur Meire Sar par 3 Tokariya Rotiyo ki he jinke Upar se Parinde Kha rahe he”
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-239)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Jab Qeid-Khana me aaye the, Aapne Bataya ki Me Khwaabo ki Ta’abir Bayan karta hu, Kai Lougo ko Aap Pehle Bhi Khwaabo ki Ta’abir Bata chuke the, Jo Sacche Sabit hue the, Is liye Un Do Shaksho ne bhi Aapse Ta’abir Puchi ki Aap Sacche Ta’abir Batate he, Aap Sahibe Ilm he, Aap Bahot Ache Shaksh he, Tamam Qeidi Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Achhe Afaal par Muttela the, Aap Namaz, Roza ke Paband the, Har Kism ke Neiki ke Kaam karna Aapki Aadat Shareef thi, Aapke Achhe Akhlaq kishi par Chhupe na the, Aap Marizo ki iyadat karte, Gamnaak Lougo ke Dilo ki Dharish Bandhte,
Aapke Fazail va Kamalaat ko deikh kar Un dono Qediyo ne Aap se Haqiqatan deikhe hue Khwaabo ki Ta’abir Puchhi Ya Sirf Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Aazmane ke liye Man-ghadat Khwaab Bayan kiye,

Ek Qoul ye he ki Qeid-Khana me Jab Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Bataya ki Me Khwaab ki Ta’abire Janta hu, To Un Dono ne ek Dusre ko kaha ki Us Ibraani Gulaam ki Aazmaish karni Chahiye, Ham Apne Taraf se Khud Khwaab Bana kar Us Par Peish kare, Unhone Eysha hi kiya Agarche Unhone Koi Khwaab nahi deikha tha Khud hi Khwaab Bana ke Sawal kiya.

Hazrat Ibne Mas’ud RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya Unhone Koi Khwaab nahi deikhe the Balki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Ilm ko Aazmane ke liye Khud hi Khwaab Ghade the.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-134)
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-238)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-194, 195)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ka Khwaab ki Ta’abir Bayan karna :-
Quraane Majeed me he ki
“(Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya) Ay Qeidkhane ke Dono Sathiyo (Ab Khwaabo ki Ta’abir Suno) Tumme ek to (Qeid se Chhut jayega Aur) Apne Baadshah ko Sarab Pilayega, Raha Dusra, Wo Suli diya jayega to Parinde Uska Sar Khayenge, Huqm ho Chuka us Baat ka Jiska Tum Sawal karte the”
(Surah Yusuf, Aayat – 41)

Aapne Jab ye Ta’abir Baya ki to woh kehne lage Hamne to koi Khwaab na deikha tha, Aapne Farmaya Huqm ho chuka he is Baat ka Jo tum Sawal karte the,

‘Beshak jo Ta’abir Aapne Bayan Farmayi ushe Yakinan Waqeh hona hi tha’
Kyunki Aapne Ta’abir Bayan karne se pehle hi Farma diya tha Me Tumhe Tumhara Khana Aane se pehle Khwaab ki Ta’abir Bata dunga kyunki Mere RABB ne Muje Ilm diya he, Yani Aap ne Bahot Wajeh tour par Bata diya ki Khwaabo ki Ta’abir koi Andaaje se Bayan Nahi karta ye to Mere RABB ka diya huwa Ilm he jis ki Wajah se Me Bayan karta hu.

Aapne Unhe Bataya ki ALLAH TA’ALA ne Muje Kaseer(Bahot) Ulum Aata farmaye he ye jo tum ne Suna he Ye to Baarish ka ek Qatra he, Baag ke Fhulo me se ek Kali he.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-143)
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-241)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-195)

Subhan Allah…

>➤ Hazrat Yusuf  Alayhis Salaam ka Baadshah ke Paas Zikr karne ke Muta’alaq kehna :-
Quraan Shareef ke he ki
“Aur Yusuf( Alayhis Salaam) ne un Dono me se Jise Bachta Samza(Ki wo Naza’at paayega) Usse Kaha Apne Baadshah ke Paas Mera Zikr karna, to Seitaan ne ushe Bhula diya ke Apne Baadshah ke Saamne Yusuf( Alayhis Salaam) ka Zikr kare to Yusuf( Alayhis Salaam) Kai Baras Aur Qeidkhane me Rahe”
(Surah Yusuf, Aayat-42)

Hazrat Yusuf  Alayhis Salaam ne Jab Qeid se Naja’at pane wale Ko Kaha ki Meira Zikr Baadshah ke Samne Karna To ALLAH TA’ALA ne is par Pyaar va Mohabbat se Aapko Tanbiy Farmayi
Ay Mere Pyaare Zara Gour to karo, Tumhe Bhaiyo ke Hatho Qatl hone se kisne Bachaya…?
Tumhe Kuwe se kisne Nikala…?
Tumhe Aurat ke Bohtaan se kisne Bachaya…?
Arz ki MOULA E KAAYE NAAT PARWARDIGAAR Ye Tere hi Feizaan the,
RABB TA’ALA ne Farmaya Fir Inshan ke Samne Zikr karne ka Kya Faiyda tha…?
Yusuf  Alayhis Salaam ne Azr peish karte hue Arz kiya Ay Mere MOULA Bas Weise hi Zaban par aa gaya tha.

Hazrat Yusuf  Alayhis Salaam ne Baadshah ke do(2) Gulamo ko Khwaab ki Ta’abir Bayan karne se pehle 5 Saal Qeid-Khana me Guzar liye the Aur Mazeed 7 Saal Aapne Aur Guzare, Yaani 12 Saal ALLAH TA’ALA ke NABI ne Apni Paak Daamani ke liye Qeid-Khana me Guzaar diye,
AMBIYA KIRAAM se Bahot Muskil Imtehaan liye gaye.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-248)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-196, 197)

ALLAHU AKBER,

>➤ Baadshah ko Khwaab Aana :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Baadshah ne Kaha Meine Khwaab me Deikhi Saat(7) Gaaye Fabahr ke Unhe Saat(7) Dubli Gaaye Kha rahi he Aur Saat(7) Baale(n) Hari Aur Dusri Saat(7) Shukhi Ay Darbariyo Mere Khwaabka Jawab do Agar Tumhe Khwaab ki Ta’abir Aati ho, Bole Pareshan Khwaab he Aur Ham Khwaab ki Ta’abir Nahi Jante, Aur Bola wo jo Un Dono me se Bacha tha Aur ek Muddat Baad ushe Yaad Aaya Me Tumhe Uski Ta’abir Bataunga Muze(Qeid-khane me) Bhejo”
(Surah Yusuf, Aayat-43, 44, 45)

RABB TA’ALA ka Qanoon-e-Qudrat ye he ki Jab kishi Chiz ka Irada Farmata he to uske liye Asbaab Peida farmata he, Yusuf Alayhis Salaam ko Bhi Jab Qeid-Khana se Nikaalne ka Irada Farmaya to uska Sabab ye Peida farmaya ki
Misr ke Baadshah ‘Rayaan’ ne khwaab deikha ki 7 Moti-Taazi Gaay ek Khusk(Sukhi) Naher se Nikli Aur Saath hi Kamzor Gaay,
Kamzor Gaay Moti Gaay ko Kha gayi Aur usne Deikha ki 7 Baliya jo Daano se Bhar Pur Aur Sabj(Hara/Green) he Aur 7 Dusri Khusk ko deikha jo Sabj par Lapeit kar unpar Galib aa gayi,
Baadshah ne Apne Darbari Paadari, Najumiyo(Jyotisho) ko Jama karke Unse Khwaab ki Ta’abir Puchhi, Unhone Kaha Agar Khwaab me koi Tartib hoti, Jo Waqe’aat ki Pahechan karti to Ham Ta’abir Batate, Ye Khwaab Bila Tartib he, in me ikhtelaat(Mix) va Fiqr payi gayi he, Is liye Ye Bikhri Soch he, Inki Ta’abir Kuchh bhi Baya nahi ki Ja Sakti Lekin Baadshah Bahot Zyada Pareshan tha ki Kamzor ka Taqatwar par Galib aajana Aur Khusk ka Sabj par Galib Aajana, Yakinan kishi Khatra ki Alamat he.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-147)

Baadshah ki Pareshani ko deikh kar us Sabiq Qeidi Shaksh ko Yaad Aaya jise Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya tha ki ‘Tu Naja’at payega’, usne Kaha Muje Qeid-Khana me Bhejo, waha ek Aalim Shaksh he wo is Khwaab ki Ta’abir Bayan karega to Me Wapis Aakar Tumhe Bataunga, wo Shaksh Yusuf Alayhis Salaam ke Paas Qeid-Khana me Aakar Baadshah ke Khwaab ki Ta’abir Puchhne laga,

ek Dusri Riwaayat ke Mutabiq, Ye ek Aur Shaksh tha jisne Yusuf Alayhis Salaam ka Charcha Soon rakha tha, Baadshah ke Khwaab Bayan karne Aur Pareshani ko deikh kar Kuch Waqt ke Baad Ushe Yaad Aaya ki Me Qeid-khana me us Shaksh ke Paas Jakar Puchhun, jis ke Muta’alaq Mashoor he ki
“wo Khwaabo ki Ta’abir Sahi Bayan karta he”.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-197, 198)

>➤ Baadshah ke Khwaab ki Ta’abir Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Bayan karte he :-
Quraan e Majeed me he ki
“(Yusuf Alayhis Salaam ne) kaha Tum Kheti Karoge Saat(7) Baras Lagaataar(Aur Peidawaar Khub hogi) To jo Kaato ushe Uski Baalme Rehne do(Taaki Anaaz Khraab na ho) Magar Thoda Jitna Kha lo, Fir Uske Baad Saat(7) Baras Karre(Badi Shakt Musibat) Aaenge ke Kha Jaeige jo Tumne Unke Liye Jama kar rakha tha Magar Thoda jo Bacha lo, Fir Unke Baad ek Baras Aaeiga Jisme Lougo ko Menh(Baarish) Diya Jaayega Aur Usme (Falo Aur Daano se Teil Aur) Ras Nichorege”
(Surah Yusuf, Aayat-47, 48, 49)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Khwaab ki Ta’abir Bayan ki ke 7 Saal Anaaz Tumhe Aam Dastoor ke Mutabik Hasil hoga, fir 7 Saal Qahat hoga, Barise Nahi hogi, Ye Qahat Wale Saal Pehle Saalo ke Jama’a Anaaz ko Khatm kar deinge, uske Baad Fir ek Saal Khushaali ka Dourdourah, Barise Kaseer(Zyada) hogi, Jinki Wajah se Angoor, Zeytoon, Ganne Aur Tal Wageira ki Kaseer Peidawaar hogi, Jinse Tum Ras Nikaaloge Aur Baaz se Teil Nikaaloge,

Yusuf Alayhis Salaam ne khwaab ki Ta’abir Bayan ki Aur Sath Sath iske liye Ahtyaati Tarabir bhi Bayan ki ke Pehle 7 Saalo ki Peida hone wale Anaaz ko Be-Darig Istemaal na karna Sirf Itna Anaaz Saaf karna Yaani Bhusha Aur Daano ko itni Mikdaar(Hadd) me Alaihda karna jis se Tumhari Zaruriyaat puri ho sake, Baaqi Anaaz Baliyo(Khoso) me hi Rehne deina, Isse Kharch me Ehteyaat Hogi Aur Daane Kire Makodo se bhi Mahfooz rahenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-198, 199)

Subhan Allah…
Makaame NABI Kitna Buland he…

Jo Ta’abir Kishi Paadri ya Jyotish ko bhi Na Aa Saki wo Ta’abir ALLAH ka NABI Bata raha he… Aur Jab Saail ne Ta’abir puchhi to ushe ye Na Kaha ki 7 Saal Baad Meri Keishe Yaad Aa gayi…?? Aur ye bhi na Kaha ki Pehle Badshah ko kaho ki Muje Begunah Qeid me dala huwa he.. Muje Pehle Qeid-khana se Nikalo to Ta’abir Bataunga,
Nahi Nahi.. Sabir NABI ne koi Sart na Lagai Aur Na hi Us Shaksh ko Ta’ana diya, Balqi Usko Khwaab ki Ta’abir Batayi..

Subhan Allah…

>➤ Baadshah ka Yusuf Alayhis Salaam ko Bulana Aur Aapka Inkaar karna :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur (Jab Us Aadmi ne Aakar Khwaab ki Ta’abir Baadshah ko Sunai to ) Baadshah Bola ke Unhe Mere Paas le Aao to Jab Unke Paas Elchi Aaya (To Yusuf Alayhis Salaam ne) Kaha Apne Baadshah ke Paas Palat ja Fir Usse Puche Kya Haal he Un Auratoka Jinhone Apne Haath Kaate the(Me Chahta hu Ki Pehle Iska Feisla ho jaaye) Beshaq Meira RABB Unka Fareib Janta he, (Is Par) Baadshah ne(Un Aurato ko Bula kar) Kaha Ay Aurato Tumhara Kya Kaam tha Jab Tumne Yusuf (Alayhis Salaam) ka Dil Lubhana Chaha Boli ALLAH ko Paaki he Hamne Unme koi Badi(बदी) (Burai ki Baat) Na Paai (Ye Soon kar) Aziz ki Aurat Boli Ab Asli Baat Khul Gayi Meine Unka Ji Lubhana Chaha tha Aur wo Beshaq (Apne Bayan me) Sacche he, Yusuf (Alayhis Salaam) ne Kaha Ye Meine Is liye kiya ki Azizko Malum ho jaaye ke Meine Pith pichhe Uski Khyanat na ki Aur ALLAH Dagabaazo ka Makr nahi Chalne deita”
(Surah Yusuf, Aayat – 50, 51, 52)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ka Sabr deikhe, 12 Saal Qeid me rehne ke Ba-wajood Jab Qeid-Khana se Nikalne ka Peigaam milta he to Aap Khushi se Jaldi Nikalne ki Bajaaye Inkaar karte hue ye kehte he ki Pehle Ma’amala Ki Chaan-Bin karle Fir Me Qeid-Khana se Bahar Aaunga, Agar Aap Jaldi se Baahar Aajate to Mumkin Tha ki Baadshah ke Dil me us Tohmat ke Haqq hone ka Waswasa Baaqi rehta, Waqiya ki Tehqeeq ke Baad Baadshah ko Yaqin ho gaya, Aurato ne Aap ki Paak Daamani ka Wajeh Aylaan Farma diya, Aziz ki Zovja jisne Abhi tak Iqbal Jurm nahi kiya, Ab wo bhi Apni Galti ka Ayteraaf karte hue Aapko Paak Daaman Aur Saccha kehne lagi, Is Tarah Baadshah par ye Haqiqat Khul kar Saamne Aa gayi ki Aap Sacche he.

Baadshah ne kaha Unko Meire Paas le aao Iski Wajah ye thi ki Ushe Jab Ma’alum huwa ki Aap Bade Saaheibe Ilm he to usne Kaha Aysha Sahibe Ilm Qeid me Rahe ye keishe ho Sakta he…?? Is se Ilm ki Fazilat Hasil hui ki ALLAH TA’ALA ne Aapke Ilm ko Duniya me Masa’aib se Chutkara Hasil Karne ka Zariya Banaya to Ye Keishe ho sakta he.. ki Dini Ulum Aakherat ki Muskilaat se Chutkara Dilane ka Zariya Na Ban Sake..??
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-151)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-199, 200)

Subhan Allah…

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Qeid-Khana se Nikal kar Wazeer e Khzaana Aur Wazeer e Aazam :-
Quraan e Paak me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Aur Baadshah bola Unhe Meire Paas le Aao ke Me Unhe Apne Liye Chun lu Fir Jab Usse Baat ki, Kaha Beshaq Aaj Aap Hamare Yaha Mo’azziz(Badi Izzat wale Aur) Mo’atamid(Imaanat Daar) he, Yusuf(Alayhis Salaam) ne Kaha Muze Zamin ke Khzaano Par Kar de Beshaq Me Hifaazatwala Ilmwala hu, Aur yu hi Hamne Yusuf (Alayhis Salaam) ko Us Mulk Par Qudrat Bakhsi Usme Jaha Chahe rahe Ham Apni Rahmat Jise Chahe Pahunchaye Aur Ham Nekiyoka Neg Zaae Nahi Karte, Aur Beshaq Aakherat ka Sawab Unke liye Behtar Jo Imaan laae Aur Parhezgaar Rahe”
(Surah Yusuf, Aayat – 54, 55, 56, 57)

Baadshah ne Mo’azzin ki ek Jama’at Behtareen Sawariya Aur Sazo-Saamaan Aur Nafees Libaaz de kar Qeid-Khana Bheje Taaki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Nihaayat Ta’azim va Taqrim ke Sath Iwaan Saahi(Baadshah ke Mahel) me laaye, Un logo ne Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Khidmat Me Hazir hokar Baadshah ka Peigaam Arz kiya Aapne Qabool Farmaya Aur Qeid-Khana se Nikalte waqt Qediyo ke liye Dua Farmayi, Jab Qeid-Khane se Baahar Tasreef laaye to Us ke Darwaze par likha
“Ye Musibato la Ghar he Zinda lougo ke liye Qabr he Aur Dusmano ki Badgoi Balki Unke liye Khus Hone ka Makam he Aur Saccho ke Imtehaan ki Jagah he”
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-159)

Fir Gusl kiya, Aa’la Libaas Pahena Aur Saahi Mahelaat ki Taraf Rawana hue, Jab Qilla ke Paas Pahonche To Farmaya Meira RABB hi Kaafi he Uski Panah Badi Aur Uski Sana’a Bartar, Uske Siwa koi Ma’abud nahi, Fir Qilla Me Dakhil hue, Baadshah ke Saamne Pahonche to ye Dua ki
“Ay Meire RABB Tere Fazl se Iski Bhlaai Talab Karta hu Aur Iski Aur Dusro ki Buraai se Teri Panah Chahta hu”
Jab Baadshah se Nazar Mili to Aapne Arbi Me Salam Farmaya, Baadshah ne Puchha Ye Kon si Zaban he…? To Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Ye Meire Chacha Hazrat Ismail Alayhis Salaam ki Zaban he, Fir Aapne Ibraani Zaban me Dua ki, Usne Fir Puchha ye Kon si Zaban he…? Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Ye Meire Abbajaan Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ki Zaban he, Baadshah Dono Zabane Nahi Samaj saka (Iske) Bawajood wo 70 Zabane Janta tha, Fir Usne Jis Zabaan me Hazrat Se Guftagu ki Aapne ushi Zaban me Ushe Jawab diya,
Is Waqt Aapki Umar Sareef 30 Saal thi Is Umar me Itne Saare Ulum deikh kar Baadshah ko Bahot Heirat hui Aur Usne Aapko Apne Barabar Jagah di, Baadshah ne Darkhwast ki ke Hazat iske Khwaab ki Ta’abir Apni Zabaan Mubarak se Suna de.

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Ta’abir Farmaayi Aur Ta’abir Farmane ke Baad Farmaya ki Laazim ye he ki Anaaz Jama kiye Jaaye Aur Un Farakhi ke Saalo me Kasrat se Kheti karai jaye Aur Anaaz unke Khousho me Jama kar liye jaaye Aur Aaya ki Peidawar se Khams(5va Hissa) liya Jaaye is se Jo Jama Hoga Wo Misr Aur Misr ki Itraaf ke Lougo ke liye Kaafi hoga Aur Fir ALLAH ki Makhluq Har Taraf se Tere Paas Anaaz Kharid ne Aayegi Aur Tere Haa(Yaha) Itni Khzaaine Amwaal(Maal va Milkat) Jama honge Jo Tujse Pehlo ke liye Jama na hue, Baadshah Ne Kaha Iska Intezaam kon karega..? Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Zameen ke Khzaane Mere Hawale Kar de Me Inki Hifazat Bhi Karunga Aur ALLAH TA’ALA ke diye hue Ilm se Unka Behtar Intezaam karunga,

Baadshah ne Samaj liya tha ki Aap se Zyada Is Mansab ke Laayak Aur koi Nahi ho Sakta, Is liye Usne Aapke Irshaad ke Mutabiq Aapko Tamaam Khzaain ka Wazeer Mukararr kar diya.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-159)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa- 201, 202)

Subhan Allah..

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Taaj-Poshi :-
Ek Saal ke Baad Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Bula kar Aap ki Taaj-Poshi ki Aur Talwaar Aur Mahar Aapke Saamne Peish ki Aur Aapko Takht par Takht Naseen kiya jo Jawaheraat se Saza tha, Aur Apna Mulk Aapke Supurd kar diya, Lekin Taaj Aap ne ye keh kar Wapis Kar diya ki ye Meira Aur Mere Aabaa(Baap-Dada) Ka Libaas nahi, Albatta Angoothi jo Batoure Mahar Istemaal Hoti thi ushe Aur Takht ko Aapne Qabool kar liya ki Takht ke Zariye Tumhari Saltanat Mazboot karunga Aur Mahar ke Zariye Tumhare Amoor ki Tadbeere Sar-Anjaam dunga,

Qatfeer(Azize Misr) ko Be-dakhal karke Aapko Uski Jagah Waali Banaya Aur Tamaam Khazaain Aapke Supurd kar diye Aur Saltanat ki Tamam Amoor Aapke Haath me de diye Aur Khud ek Taabi ki Hesiyat me ho gaya, Aapki Raay me Dakhl nahi deita tha Aur Aap ke Hukm ko Manta tha Is Tarah Aap Wazeer e Aazam Ban gaye Tamam Ikhteyaarat ke Maalik Ban gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-162)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa – 203)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Hukumat ke Asraat :-
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Adal va Insaaf ki Buniyado par Apni Hukumat Ko Qayam kiya, Ishi liye Aapki Hukumat Din-Ba-Din Mazboot Hoti chali gayi, Tamam Mardo Aur Aurato ke Dilo me Aap ki Mohabbat Peida hui Aur Aap ne Qahat-Saal ke Aane wale dino ke liye Anaaz ke Zakhire(Bhandaar) Jama karne ki Ta’abir Farmayi Uske Liye Bahot Bade Aur Aalishan Anbaar Khane(Maal Jamaa karne ki Jagah) Ta’amir karaye Aur Bahot Kaseer(Zyada) Zakhaair Jama kiye, Jab Acche Saal Guzar gaye Aur Qahat ka Zamana Aaya to Aapne Baadshah Aur uske Khuddam ke liye Rozana Sirf ek Waqt ka Khana Mukararr Farmaya, ek Rovz Dopher ke Waqt Baadshah ne Hazrat se Bhuk ki Sikaayat ki, Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Ye Qahat Saali(Qahat ke Saal) ki Ibteda(Suruaat) ka Waqt he, Kyunki Pehle Saal me Lougo ke Paas Zakhire (Bhandaar) the, Sab Khatm ho gaye, Baazaar Khali ho gaye, Chunki Qahat ke Saare Zamana me Aapne Khud bhi Kabhi Mutmaeen ho kar Khana Nahi khaya tha, Waqeif haal logo ne Aap ki Khidmat me Arz kiya ki Itne Kaseer Khazaano ke Malik ho kar bhi Aap Bhuke Rehte he…? Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Is Andesha se ki Mutmaeen ho jaau to Kahi Bhuk ko Na Bhul Jaau,
(Subhan Allah.. kya Paakiza Akhlaq he.. In Pakiza Akhlaq ki wajah se hi Baadshah bhi ek Waqt ke khane par Bachat kar raha tha, Usne Bhi Aapke Jawab par koi Mazahmmat nahi ki)

Tamam Ahl-e-Misr Hazrat Yusuf Alayhis Salaam se Anaaz Kharid ne lage, Tamam Daraham va Dananir Yaani unka Naqadi Maal va Doulat Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Paas Jama ho gaya, Dusre Saal Unhone Apne Zevraat Aur Jawahar se Anaaz kharida, Is tarah un logo ki Tamam Zevraat va Jawahar Aapke Paas Aagaye, Tisre Saal Apne Jaanwar de kar Anaaz Kharida, Yaha tak ki Misr me koi Shaksh kishi Jaanwar ka Malik na raha, Tamam Jaanwar bhi Aapki Milkiyat me Aagaye, Chothe(4the) Saal Apne Gulam Aur Londiya de kar Anaaz Hasil huwa, Panchve(5ve) Saal Tamam Gulaam Aur Londiya de kar Aapse Anaaz Kharida, Is Saal Misr ke Lougo ke Paas Siwaye Apni Jaan Aur Aulaad ke kuch Bhi Baaqi na raha tha Tamam Milkiyat Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Paas Aa chuki thi, Chatte(6te) Saal Jab Un logo ke Paas Aur Kuchh na Bacha to Unhone Apni Aulaad Aapke Paas Gulaam ke Tour par de kar Anaaz Hasil kiya, Aur Saatve(7ve) Saal wo Loug Khud Anaaz Hasil karne ke liye Aapki Gulamiyat me Aagaye, Misr me Mardo Aur Aurato me se koi Shaksh bhi Aysha na tha jo Aap ki Gulamiyat me Na Aaya ho Tamam Lougo ki Zabaan par tha ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Jeishi Azmat va Jalalat kishi Baadshah ko Mayassar nahi Aasaki,

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Baadshah ko kaha Ki Tumne Deikh liya he, ALLAH TA’ALA ka Muj par keisha karam he.. Usne Muj par Aysha Aheshan e Azeem Farmaya Ab Unke Haqq me Teri Kya Raay he..?
Baadshah ne Kaha Jo Aap ki Raay he Ham to Aapke Taabe he,
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Me ALLAH TA’ALA ko Gawah Bana kar Aur Tumhe Gawah bana kar ye Aylaan karta hu ki Me Tamam Ahl e Misr ko Aaazad kar raha hu Aur inki Tamam Milkiyat Aur Jaagire inhe Wapis Kar raha hu,

(Subhan Allah…)

Tamam Lougo ko Aap ke Gulaam Aur Kaneeze Banane me ALLAH TA’ALA ki Hikmat ye thi ki kishi ko ye Kehne ka Mouqa na ho ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Gulaam ki Shaan me Aaye the Aur Misr ke ek Shaksh ke Kharide hue the, Kyunki Ab To Misr ke Tamam Misri Aapke Kharide hue Aur Aaazad kiye hue the, Un par Ye Zaaher karna tha ki Aazaad Shaksh kishi Majburi se Gulamiyat me Aane se DarHaqiqat Gulaam nahi Banta Jeishe wo Loug Haqiqat me Gulam nahi bane the, Sirf Un par Gulaam hone ki ek Hesiyat Kayam ki gayi thi ki Aapki Shaan me koi Harf na keh sake.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa – 162, 163)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-203, 204)

Masha Allah…

➤ Azize Misr ki Zovja ki Murad Puri hona :-
Baadshah ne Pehle Wazeere Aazam Yaani Azize Misr ko Bedakhal kar diya tha, Baad me wah Jald hi Fout(Inteqaal) ho gaya tha, Iski Zovja Jisne Yusuf Alayhis Salaam ko Apni Taraf Maail karne ki Koshis ki thi Lekin wah Na-kaam rahi Aur Aap(Yusuf Alayhis Salaam) Paak-Daaman rahe, Lekin Ab Qeid-Khana se Nikalne par Usne Bhi Khule Dil se Apni Galti ka Ayteraaf kar liya tha, Aap ko Saccha kehne lagi thi, Azize Misr ki Mout ke Baad Baadshah ne Us Aurat ka Nikaah Hazrat Yusuf Alayhis Salaam se kar diya Aapne Mulakaat par Ushe ye kaha kya ye Behtar nahi us se jo tu Mutaalba kar rahi thi…?
Yaad rahe Azize Misr Chunki Na-Mard tha, isliye wo Abhi tak Baakrah(Married) thi, Mohabbat ushe Sirf Yusuf Alayhis Salaam se thi, wo koi Badkaar nahi thi,
Us Aurat se Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke 2 Beite Peida hue, Ek Ka Naam ‘Ifraeem’ Aur Dusre ka Naam ‘Maysaa’ tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-162)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-205)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Bhaiyo ki Raqam Wapis kardi :-
Quraan e Majeed me he ki
“Aur Yusuf(Alayhis Salaam) ke Bhai Aaye to Uske Paas Hazir hue to Yusuf(Alayhis Salaam) ne Unhe Pahechan liya Aur Woh Usse Anjaan rahe, Aur Jab Unka Saaman Mohayya kar diya Kaha Apna Soutela Bhai Mere Paas le Aao kya Nahi deikhte ho ke Me Pura Naapta hu Aur Me Sabse Behtar Mehmaan Nawaz hu, Fir Agar Use le kar Mere Paas na Aao To Tumhare liye Mere Yaha Naap nahi Aur Mere Paas Na Farakna, Bole Ham Uski Khwaaish karenge Uske Baapse Aur Hame ye Zarur Karna”
(Surah Yusuf, Aayat – 58, 59, 60, 61)

Kanaan Ka Ilaka is Qahat ke Chapet me tha Aur logo ki tarah Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ke Farzando(Beito) ne bhi Barbaadi ki Mayusi liye Misr ka Rukh kiya, Kyunki Anaaz ki Taqsim ka Sab kaam Hazat Yusuf Alayhis Salaam ki Nigraani me ho raha tha, is liye wo Aap ki Khidmat me Hazir hue Aur Apni Majburiyo ka Izhaar karke Anaaz ke liye Darkhwast ki, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam se unki Mulakaat Agarche lambe Arse baad hui thi Lekin Aapne Deikhte hi Apne Bhaiyo ko Pahechan liya Magar wo Aapko Na Pahechan sake Aur Pahechante bhi kyu…? Unke Wahem va Gumaan me bhi ye nahi Aa Sakta tha ki Saahana Libaas me Taiyyar Kurshi par Bheitha huwa jiske Hukm ki Ta’amil ke liye Senkado, Hazaaro Mulazim Dast-Bast khade he,
Ye wo Yusuf Alayhis Salaam he Jisko Lambe Arse se Unhone Ek Tarikh Kuwe me Feinka tha, Aur Fir Sirf ’20 Khote Dirhamo’ ke Badle me Kafila walo ke Hath Beich diya tha,

Aapne Khud to Apne Aap ko bhi Zaaher nahi kiya tha, Jab ALLAH TA’ALA ne Hukm deina tha ushi Waqt Zaher karna tha is liye Abhi Ajnabi ki Surat me Tamam Kalam ho raha tha, Unhone Apne Walid Aur Bhai ka Hissa bhi Talab(Maanga) kiya tha kyunki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ek Shaksh ko Ek Unt(Camel) ka Boja Anaaz deite the, Aapne unse Pucha ki Tumhare Walid Aur Bhai ke Na Aane ki kya wajah he..? To Unhone bataya ki Hamare Baap Budhe he wo to Aane ki Takaat hi nahi rakhte, Albatta Hamare Chhota bhai Baap ki Khidmat Guzari ke liye hi Ghar rah gaya he, Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Is Martaba Unka Anaaz bhi Tumhe de raha hu, Lekin Aainda Tum Apne Bhai ko Bhi Saath lana, Kya Tum Deikhte nahi ho Me Kitna Safiq Aur Maherbaan Aadil hu… ki Peymane Bhar bhar kar deita hu Aur Kitna Bada Mahemaan Nawaz hu, Lekin ye bhi Khyaal rakhna ki Agar Aainda Tum Apne Bhai ko Saath Na laaye to Tumhe bhi Anaaz nahi Milega.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-166, 167)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa -206, 207)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Bhaiyo ki Raqam Wapis kardi :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Yusuf (Alayhis Salaam) ne Apne Gulamo se kaha Unki Punji Unki Khurjiyome(Boriyo me) rakh do Sayad wo ushe Pahechane Jab Apne Ghar ki Taraf Lout kar jaae, Saayad Wo Waapas Aaae”
(Surah Yusuf, Aayat-62)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Bhaiyo ki Raqam louta di thi, iski ek Wajah ye thi ki Jab Saaman Kholenge to Raqam usme deikh kar Wapis Aayenge, Kyunki wo NABI(Hazrat Yaqub Alayhis Salaam) ke Beite he, Imaan wale he, Aur wo Wapis Lotana Apni Zimmadari Samajte hue Fir Aayenge,

Dusri Wajah ye thi ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Ghar ke Haalaat ka Pata chal gaya tha to Aap ki Shaan ke Layak Nahi tha ki Aap Apne Bhaiyo Aur Walide Mukarram se Raqam le kar Anaaz de,
is liye ki Aap Aadil Baadshah the Aur Aap ke Bhai Imaan wale the Aur Khandaane Nabuwat the, Aap par Wajib ho chuka tha ki Aap Apne Iqrba’a(Sabandhi) se Sila Raham kare Aur Muskil Halaat me Un ka Haath Batae.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-2, Safa-10)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa- 207)

>➤ Chhote Bhai ko Sath lejane ki Baap ke Huzre me Dar-Khwaast :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Jab Unhone Apna Asbaab(Saamaan) Khola Apni Punji paai ke Unko Feir di gayi Hay Bole Ay Hamare Baap Ab Ham Aur kya Chaahe ye he Hamari Punji ke Hame Wapas kar di gayi Aur Ham Apne Ghar ke liye Galla(Anaaz) laaye Aur Apne Bhai ki Hifazat kare Aur Ek Untka Bouz Aur Zyada Paaye, yeh deina Baadshah ke Samne kuch nahi, (Baap ne)Kaha me Hargiz ushe Tumhare Saath na Bhejunga jab tak Tum Muze(Is Baat ka) ALLAH ka ye Ahad na de do ke Jarur Ushe le kar Aaoge Magar ye ke Tum Ghir jaao fir jab Unhone Yaqub(Alayhis Salaam) ko Wada diya kaha ALLAH ka Zimma he Un Baato par jo Ham keh rahe he”
(Surah Yusuf, Aayat – 65, 66)

Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ke Beito ne Aapki Khidmat me Arz kiya ki Misr ke Baadshah ne Hamare Saath Bahot Acha Suluk kiya he, Hamari Raqam bhi Wapis kardi gayi he, Ummid he ki Wapis nahi lega, Agarche Hame Jaakar Pata Karna he ki Wapis karne ka Sabab kya he…? Lekin Agar ham Chhote Bhai Bin-Yamin ko Sath Na le gaye to Hame Anaaz nahi milega, Is liye Hamare Saath Bhai ko Bheij do Ham iski Hifazat karenge.

Qahat ki Wajh se Anaaz lane ki Mohtaji bhi thi Aur Yusuf Alayhis Salaam ne Bin-Yamin ki Bageir Anaaz deine se bhi Inkaar kar diya tha, Is liye Yaqub Alayhis Salaam ne Saath Bhejne ka Feisla kiya Lekin Sabse Badi Wajah ye thi ki ALLAH TA’ALA ne Wahi ke Zariye Aapko Bataya tha ki Aap Saath Bhej de Me iski Hifazat karunga Aur Aap tak ishe Wapis Pahoncha dunga.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-208)

>➤ Beito ko Bhejte Waqt Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ki Ahtiyati Tarabeer :-
Quraan Shareef me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur (Baap ne) kaha Ay Mere Beito (Tum Sab Saher ke) Ek Darwaze se Na Dakhil hona Aur Juda Juda Darwazose Jana Me Tumhe ALLAH se Bacha nahi Sakta Hukm to Sab ALLAH hi ka he Meine Ushi par Bharosha kiya Aur Bharosha Karnewalo ko Ushi par Bharosha Chahiye, Aur Jab Woh(Saher me) Dakhil hue Jaha se Unke Baap ne Hukm diya tha, Wo kuch Unhe ALLAH se Bacha na Sakta Haa Yaqub (Alayhis Salaam) ke Jiki ek Khwaaish thi jo Usne Puri karli Aur Beshaq woh Saahibe Ilm he Hamare Shikhae se Magar Aksar Loug Nahi Jante”
(Surah Yusuf, Aayat-67, 68)

Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ne Nazarbad se Bachne ke liye Ahteyaati Tarabeer ke Tour par Unhe Farmaya ki ek Darwaze se Dakhil na hona Balki Saher ki Mukhtilaf(Alag) Darwajo se Dakhil hona taaki Tumhe Nazar na lag jaaye kyunki Tamam (Bhai)Bade Qadawar Bahadur Aur Khubsurat the Aur Taadaad bhi Zyada thi Yani 11 bhai the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-209)

>➤ Bin-Yamin ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam se Mulakaat :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Jab woh Yusuf(Alayhis Salaam) ke Paas gaye, Usne Apne Bhai(Bin-Yamin) ko Apne Paas Jagah di, kaha Yaqeen Jaan Me hi Teira Bhai hu, to ye(Teire Sath) jo kuch Karte he Uska Gam na Kha”
(Surah Yusuf Aayat-69)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Jab Ma’alum huwa ki Tamam Bhai Fir Misr me Aaye he, Ab Apne Sath Bin-Yamin ko bhi laaye he to Yusuf Alayhis Salaam ne Unki Badi Izzat va Takreem ki, Unko Saahi Mehmaan Khano me rehne ki Jagah ka Hukm diya Aur Un ki Mehmaan Nawazi Bahot Achi Tarah se ki,
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Bhaiyo ne Aap se Mulakaat ke Dovraan bataya ye Hamara Bhai he, Jise Aapne Laane ka Hukm diya tha Ham Saath le aaye he, Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Tumne Achha kiya he, Ab Mere Paas bhi jo Anaaz he wo deine me koi Kasr nahi hogi, Bhaiyo ne Aapko Apne Baap ka Peigaam bhi diya kyunki Yaqub Alayhis Salaam ne Beito ko Alwida karte hue Farmaya tha ki Baadshah ko Meira Salam kehna Aur ye kehna ki “Hamare Baap Aap ke liye Dua kar rahe the Aap Par Rehmate Nichawar kar rahe the Aur Aapne jo Hamare Saath Achha Suluk kiya he wah uska Sukriya Ada karte he”
Aur Saath hi Ek Khat bhi diya Khat ko Padhte hue Yusuf Alayhis Salaam Gamgeen ho gaye, Lekin Apne Jazbaat ko Qaabu me rakha taaki Bhaiyo par Kuchh Baat Zaaher na ho, RABB TA’ALA ki Taraf se Abhi Zaher karne ka Hukm Nahi tha,
Aapne Apne Bhaiyo ki Da’awat ki, Gulamo ko Hukm diya ki Dastarkhwaan ko is Tarah Tarteeb diya jaaye ki 2-2 Bhai ek Saath Beithe, Is Tarteeb se Bithaane par Bin-Yamin Akele rah gaye, Rone lage Aur kehne lage ki Kaas Aaj Meira Yusuf(Alayhis Salaam) Zinda hota to Muje Saath Bithata, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Bhaiyo ki Taraf Tawajjo karte hue Farmaya Tumhara ye Bhai Akela rah gaya he, Unhone Kaha Iska (Saga) Bhai Halak ho gaya he, Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Acha Me hi Ishe Apne Saath Bitha leita hu, Yusuf Alayhis Salaam ne Bin-Yamin ko Dastarkhwan par Apne Saath Bitha kar khana khaya,

Fir Yusuf Alayhis Salaam ne Apne Gulamo ko Hukm diya ki Sone ke liye 2-2 Bhaiyo ko Ek Ek Kamra de do, Aaraam ke Waqt Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Aapka ye Bhai Akela he, ishe Meire Paas hi Chhod do, Me Ishe Apne Kamra me Sula deita hu, Jab Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne deikha ki ye(Bin-Yamin)Apne Bhai par Bahot Afshos karta he to Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya “Kya Tum Pasand nahi karte ki Tumhare Fout-Suda Bhai ke Badle Me hi Tumhara Bhai Ban Jaau”.
Bin-Yamin ne Route hue kaha “Tumhare Jeisha Bhai kishe Milega..? Yaani Itne Safeeq Aur Maherbaan ho, wo Shaksh Kitna hi Khus-Bakht hoga jise Tumhare jeisha Bhai Mil jaaye, Lekin Tum Raahil Aur Yaqub Alayhis Salaam ke Beite to Nahi ho”
Me to Is liye Ro raha hu jo Mere Baap Aur Meri Maa ka Beita tha, Yusuf Alayhis Salaam ye Manzar ko deikh kar Rone lage, Uthe Aur Bhai ko Gale laga liya, Ab Pahechan karaane ka Waqt Aa chuka tha, is liye Apne Bhai ko bataya
“Beshaq Me hi Tumhara Bhai Yusuf hu”,
(Subhan Allah…)

Dono Bhaiyo ne ek Dusre ko Apne Haalaat se Muta’ala kiya, Yusuf Alayhis Salaam ne Apne Bhai ko Tasalli deite hue kaha Na Gamzadaa ho jo ye kiya karte the.

Asal me Yusuf Alayhis Salaam Chahte the ki Bhai ke Dil me Dusre Bhaiyo ke Khilaaf Zahen me koi Baat na rahe, Kyunki
“Aapke Dil me Bhaiyo ke Khilaaf koi Adawat Baaqi nahi thi, Yusuf Alayhis Salaam ka Dil Bhaiyo me Mukammal Saaf ho Chuka tha”
Ab Bhai bhi wo Jawani ki Umar wale Haasad ya Zalim nahi the, Balki wo bhi Kaafi Had tak Neik ho chuke the, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam to Shuru se hi Bhaiyo ke Haqq me Duago the.
(Roohul Mani, Jild-7, Hissa-2, Safa-23)
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-177, 178)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-211, 212)

>➤ Bin-Yamin ko Paas Rakhne Ka Heyla(Trick) :-
Quraane Kareem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Fir Jab Unka Saaman Mohayya kar diya, Pyala Apne Bhai ke Kajaave(Bori) me rakh diya, fir Ek Munaadine Nida ki Ay Kafilewalo Beshak Tum Chor ho, Bole Aur Unki Taraf Mutawajja Hue Tum kya Nahi Paate, Bole Baadshah ka Paymana nahi Milta Aur jo Ushe Laaega Uske Liye Ek Unt ka Bouz he Aur Me Uska Zaamin hu, Bole KHUDA ki Kasam Tumhe Khub Malum he ke Ham Zamin me Fasaad karne na Aaye Aur Na Ham Chor hay, Bole Fir kya Saza he uski Agar Tum Zuthe ho, Bole Uski Saza ye he ke Jiske Asbaab me Mile wohi Uske Badle me Gulaam Bane, Hamare Yaha Zalimo ki Ye Saza he, to Awwal Unki Khurjiyo(Boriyo) se Talasi Suru ki Apne Bhai ki Khurji(Bori) se Pehle Fir Us(Pyala ko) Apne Bhai ki Khurji(Bori) se Nikaal liya, Hamne Yusuf(Alayhis Salaam) ko ye Tadbeer Batayi Baadshahi Kaanun me ushe Nahi Pahunchta tha ki Apne Bhai ko le le Magar ye ke KHUDA Chahe, Ham Jise Chahe Darjo Buland kare, Aur Har Ilmwale se Upar ek Ilmwala he”
(Surah Yusuf, Aayat – 70, 71, 72, 73, 74, 75, 76)

Jo Pyala Bin-Yamin ke Saaman me rakha gaya tha wah Baadshah ke Ya Jaanwaro ke Paani Pine me Istemaal hota tha, Aur Use Anaaz Naapne ka Kaam liya jata tha, Itna Kimti tha jis se Chori ki Hadnafaz ho sakti thi, wo Pyala Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Hukm se rakha gaya tha Aap hi Us Waqt Hukmraan the wo Pyala Aapke Zeire Tasreef hi tha,

Ye Pyala Bin-Yamin ko Bata kar Unki Marzi se rakha gaya tha is liye ki Jab Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Unhe kaha ki Walide Mukarram Pehle Meri Judai se Pareshani he to Ab Tumhari Judai se Aur Zyada Pareshani hogi Lekin wo(Bin-Yamin) Fir bhi Waha rehne par Bazr the, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Bin-Yamin ko Bataya ki Agar Tum Yaha rehna Chahte ho to iska ek hi Heyla(Trick) he ki Tumhare Saaman me Pyala rakh kar Uske Badle Tumhe Yaha rakha jaaye.
To Bin Yamin ne Raza-Mandi ka Izhaar kiya ki Mere Muta’alaq jo bhi kaha jaye Muje Manzur he lekin Me Yaha hi Rahunga.

Jis Tarah Hamari Shariyat me Chori ki Had(/Saza) Haath Kaatna he, Is Tarah Yaqub Alayhis Salaam ki Shariyat me Us Shaksh ko Maal ke Badle Gulaam rakha jata.
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne ye Heyla(Trick) Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ki Shariyat ke Muta’abiq kiya Aur wo bhi ALLAH TA’ALA ki Masiyat se Kyunke RABB TA’ALA ne Khud Irshaad Farmaya
“Ye Heyla(Trick) Hamne Yusuf Alayhis Salaam ko Shikhaya”
Aur Jis Shaksh ne Aawaz de kar ye kaha tha ki Agar koi Shaksh Wo Pyala Dhund kar laayega to Ushe Batoure Inaam ek Unt ka Boja diya jayega Usne bhi Aapke Hukm se hi ye Aylaan kiya tha,
Ahle Misr Jante the ki ye Kaanoon Misr ka Nahi, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Ka Mansha ye nahi tha ki Bhaiyo ko Chori ke Ilzaam me Matham kiya jaaye, Is liye Aapne Apne Khadim ko Sab kuchh Bataya huwa tha, Tamam Kaam Aapke Hukm se ho rahe the, Jab Yusuf Alayhis Salaam ke Bhai Anaaz lekar Nikle to Piche se Unko Pukaar kar kaha gaya
Ay Kafile walo Beshak Tum Chor ho,
Kehne wale ka Matlab ye tha ki
Ay Kafile walo Kya Tum Chor to nahi ho…?? Ye koi Ilzaam nahi tha, Balki Sawal tha,

Jab Yusuf Alayhis Salaam ke Bhaiyo se Puchha gaya kya tum Chor to nahi…? to Unhone Jawab diya
“KHUDA ki Kasam Tumhe Khub Ma’alum he ki Ham Zameen me Fasaad karne Nahi Aaye Aur Na hi Ham Chor he”
Aapke Bhai Kasam Utha kar kyu na kehte Jabki wo Neik the,
Yusuf Alayhis Salaam ko Kuwe me Fenkne wale Zamana ki Tarah Nahi the, wo Bhi Hasad ki Wajah se jo, Warna Is Waqt bhi wo Kishi ka Maal nahi Khate the Aur Tamaam Aamaal unke Acche the, Sirf Yusuf Alayhis Salaam ko Hasad ki Wajah se Kuwe me Fenkne wala Jurm Sarjad huwa tha, Ab to Unke Ahwaal se Waajeh tha ki ye kishi ke Maal me Tasarruf nahi karte na kishi ka Maal Khate he Aur Na hi logo ki Khetio me Apne Jaanwar Chhodte he, Yaha tak ki Agar unka Kishi Kast Suda Kheti se Guzar hota to Apne Jaanwaro ke Mooh Baandh deite the taaki wo Kishi ki Kheti ko Barbaad na kare Aur Hamesha Neiki ke Kaamo me Masgool rehte jin logo ki ye Sifaat ho wo Keishe Zameen me Fasaad Feila Sakte he Khaas Karke Dusre Mulk me Jaha Unhe Apni Izzat ke Paas karne ki Zyada Zarurat thi Jabki wo ye Bata bhi chuke the ki Ham ALLAH TA’ALA ke NABI Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ke Beite he, Pehli Dafa Jab Unki Punji(Raqam) Unke Saamaan me Rakh kar Wapis Louta di gayi thi to wo Ushe Wapis le Aaye the.(Agar Chor hote to Raqam Wapis Na Loutate..)
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-180)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa- 213, 214, 215)

>➤ Bin-Yamin ko Saath le Jaane ki Darkhwast ka Inkaar :-
Quraan E Majeed me he ki
“Bole Ay Aziz Uske ek Baap he Budhe Bade, to Ham me Uski Jagah kishi ko lelo Beshaq Ham Tumhare Ahesaan Deikh rahe he, kaha KHUDA ki Panah ke Ham le Magar Ushi ko Jiske Paas Hamara Maal Mila, Jab to Ham Zaalim Honge”
(Surah Yusuf, Aayat – 78, 79)

Agarche Bhai Pehle Bata Chuke the Agar Kishi se Pyala Baramad ho jaaye to wo Gulaam Ban jaayega, Lekin Unki Shariyat me Ma’af Karna Aur Fadiya deina bhi Jaiz tha,
Is liye Unhone kaha ki Iske Baap Badi Umar ke Aur Azeem Martabe ke Maalik he, Isliye ye Ma’af karne ke Kaabil he Ya Iska Fadiya le liya jaaye Aur Ham me se Kishi ek ko Apne Paas Batoure Gulam rakh liya jaaye, Jab Ham Fadiya de deinge to Apne Paas Gulaam rakhe hue Bhai ko Chuda leinge Ya Ushe Ma’af kar diya jaaye Aur Ham me se kishi ek ko Gulaam Bana liya jaaye, Aapka Ma’af Farma deina Ham par Bahot Bada Ahesaan hoga, Ham Aapke Pehle bhi Ahesaan deikh chuke he kyunki Aapne Pehle Hamari Raqam bhi Wapis louta di, Anaaz bhi diya, Izzat va Takreem se Apne Paas Bulaya, Mahemaan Nawazi ki, Sa’ahaana Makano me rehne ki Jagah di, Kitne hi Ahesaan Aapke Hamare Saamne he,

Yusuf Alayhis Salaam ne Saaf Alfaaz me Jawab diya Ham to Sirf Ushe Apne Paas Rakhenge Jis se Hamara Saaman mila he, Dusre ko Apne Paas Rakh kar Zaalim nahi Ban Sakte,
Aur Haqiqatan Sara Ma’amla ALLAH TA’ALA ke Hukm se Chal raha tha, Abhi Yaqub Alayhis Salaam ko Aur Imtehaan me Mubtila karna Maksud tha, Isliye Ma’af nahi kiya, Ma’af to Tab kiya jata Jab koi Jurm hota, Jab Jurm hi koi nahi to Ma’af karne ka Makshud hi Kuch nahi tha,

Sayad ALLAH TA’ALA ne Aap ko Hukm diya tha ki Abhi Ma’af nahi karna Dargujar nahi karna Aur koi Badla Nahi leina kyunki Yaqub Alayhis Salaam ko Abhi Aur Sadid Mehnat me Mubtila karna he.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-186)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-217, 218)

>➤ Bade Bhai ka Misr me Rehna Aur Dusro ko Wapis Bheijna :-
Quraan e Kareem me he ki
“Fir Jab Usse Na-Ummid hue Alag Jaakar Sargoshi karne lage Unka Bada Bhai Bola Kya Tumhe Khabar nahi ke Tumhare Baapne Tumse ALLAH ka Ahad le liya tha Aur Usse Pehle Yusuf (Alayhis Salaam) ke Haqq me Tumne Keishi Takshir ki to Me Yahase Na Talunga Yaha tak ki Mere Baap Ijazat de ya ALLAH Muze Huqm Farmaye Aur Uska Huqm Sabse Behtar he, Apne Baapke Paas Loutkar Jaav Fir Arz Karo ke Ay Hamare Baap Beshaq Aapke Beite ne Chori ki Aur Ham to Itni hi Baatke Gawah hue the Jitni Hamare Ilm me thi Aur Ham Geibki Nigehbaan na tha, Aur Us Basti se Puch deikhiye Jisme Ham the Aur Us Kaafle se Jisme Ham Aaye Aur Ham Beshaq Sacche he”
(Surah Yusuf, Aayat – 80, 81, 82)

Ibtedaai Tour par Jab Bhaiyo ki Darkhwast ka Yusuf Alayhis Salaam ne inkaar kiya to Yahuda Gussa me Aagaya Aur ye Jab Gusse me Aata tha to Uske Jism ke Baal Khade ho jate the, Agar Gusse ke Haal me ye Chhikh Marta to Haamela Aurato ke Hamal gir jate, Us Waqt tak Uska Gussa Thanda Nahi hota tha Jab Tak Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ki Aulaad me se hi koi Shaksh Uske Jism ko Haath na lagata, Usne Apne Dusre Bhaiyo ko kaha Tum Baazar ke Lougo se Mukabla karo, Unhe Meire Qareeb na Aane do Me Azize Misr se Mukabla karta hu, Me Ushe Aapke Qareeb Nahi Aane dunga, Yusuf Alayhis Salaam ne Apne Chhote Beite ko Kaha Ki Jaakar Uske Jism ko Chhu do, Jab Usne Yahuda ke Jism ko Haath lagaya to Uska Gussa Thanda ho gaya,

Jab Ye Loug Bin-Yamin ko Chhudane me Na-kaam hogaye to Logo se Alag hokar Ek Dusre se Maswara karne lage ki Ab kya kiya jaaye Kyunki Apne Walide Mukarram se Bahot Pukhta Wada karke Aur Bada Showq dila kar Bin-Yamin ko le gaye the Aur Pehle Yusuf Alayhis Salaam ke Ma’amle me Un par Tohmat Aaid ho Chuki thi ki “Tum Jhute ho”, Ab Bahot Pareshan the ki Agar Ab Ishi Tarah Wapis jate he to Baap Bahot Zyada Pareshan honge Aur ye Baat bhi Madde Nazar thi ki Ghar wale Anaaz ke liye Mohtaaj he, Wapis Jana bhi Zaruri he Aur Agar Sab Nahi jaate to Baap Khyaal Karenge ki Kahi Sab Fout to nahi ho gaye Aur Agar Bin-Yamin ke Bageir Sab Wapis Lout te he to Apne Baap ko keishe Mooh Dikhayege..??
Aakhirkaar Sabse Bade Ne Kaha Tum Chale Jaao Me Nahi Jata ya to Muje Baap Ijazat de to Wapis Jaunga ya ALLAH koi Feisla Farmade,

Yahuda ne kaha Tum Jaakar Baapko Batao Tumhare Beite ne Chori karli he Yaani Uski Taraf Chori ko Mansub kar diya gaya he, Aap Basti se Puchhle ya Kafilewalo se Puchhle, Ham Sacche he, Hamare Saamne Jo Baat he wahi Baya kar rahe he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-218, 219)

>➤ Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ka Farmaan :-
Quraan Shareef me he ki
“(Yaqub Alayhis Salaam) ne kaha Tumhare Nafs ne Tumhe Kuch Hila bana diya to Acha Sabr he Qarib he ke ALLAH Un Sab ko Muzse Milaaye Beshaq wohi Ilm wa Hiqmat wala he, Aur Unse Mooh Feira Aur Kaha Haay Afshos Yusuf Ki Judai Par Uski Aankhe Gam se Safeid ho gayi to woh Gussa Khaata raha”
(Surah Yusuf, Aayat-83, 84)

Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ne Beito ke Kalaam ko Radd kar diya Aur Farmaya ki Tum ye Heyla(Trick) Bana rahe ho..?? ye keishe ho Sakta he Misr ka Baadshah Meire Beite ko Chori ke Ilzaam me Apne Paas Gulaam Bana le…? Jabki Uske Kanoon me ye he hi Nahi ki Kishi ko Chori ke Iljaam me Gulaam Banaya Jaaye, Hazrat Yaqub Alayhis Salaam Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Judaai Par Gam Kha rahe he, Halanki Taaza Gam Bin-Yamin ka he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-220)

>➤ Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ke Beito ne Aapki Pareshani ko deikh kar kaha :-
Quraan Shareef me he ki
“Bole KHUDA ki Kasam Aap Hameisha Yusuf(Alayhis Salaam) ki Yaad karte rahenge Yaha Tak ke Gour-Kanaare Jaa Lage ya Jaanse Guzar jaye, Kaha Mei to Apni Pareshani Aur Gam ki Fariyaad ALLAH hi se Karta hu Aur Muze ALLAH ki woh Shaane Ma’alum he jo Tum nahi Jaante,
(Surah Yusuf, Aayat- 85, 86)

Beito ne Yaqub Alayhis Salaam se kaha Yusuf Alayhis Salaam ki Yaad me Itna Gam karte he Aur Route he Aap to Is se Mareez ho jayenge ya Gam me Fout ho Jayenge, Pehle hi Aap Itni Pareshani me Mubtila he, Hame Dar he ki Aapki Takleef Badh jayegi, Is liye Aap Bahot Gam na kare Aur Na Roye,

Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ne Farmaya Mei Uska Zikr Tumhare Saamne to Nahi kar raha Meine to Jisse Zikr karna he Usse kar raha hu Yaani Meri Fariyaad ALLAH TA’ALA se he,
ALLAH TA’ALA ki Rehmat Aur Uske Aheshaanaat ko jo Mei Janta hu Tum Nahi Jaante,
kyunki ALLAH TA’ALA ne hi Khushi Aata Farmani he, Ushi ne Gamo ko Door karna he Jo Tumhare Waham wa Gumaan me bhi Nahi,

Isse Wajeh Ishara Us Taraf tha ki Yusuf Alayhis Salaam ke Milne ki Badi Kumi Ummid he, RABB ne Jo Ilm Muje diya he wo Tumhe Nahi diya.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-197,198)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-222)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Aur Bin-Yamin ki Talaas ke liye Beito ko Bheijna :-
Quraane Majeed me he ki
“Ay Beito Jaav Yusuf Aur Uske Bhai ka Suraag lagao Aur ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid na ho Beshaq ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid nahi hote Magar Kafir loug, Fir Jab wo Yusuf (Alayhis Salaam) ke Paas Pahonche Bole Ay Aziz Hame Aur Hamare Gharwalo ko Musibat Pahunchi, Aur Ham Be-Qadr Punji(Raqam) lekar Aaye he to Aap Hame Pura Naap Dijiye Aur Ham par Kheiraat kijiye Beshaq ALLAH Kheiraat walo ko Sila Deita he”
(Surah Yusuf, Aayat-87, 88)

Jab Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ne Bataya ki ALLAH TA’ALA se jo Mei Janta hu Tum Nahi Janate ho to uske Baad Beito se Farmaya Jaao Yusuf Aur uske Bhai ko Talaas karo,

Is se Pehle Aaj tak Yusuf Alayhis Salaam ko Talaas karne ke Muta’alaq Baap ne Beito ko Nahi kaha, Aaj kyu kaha…? Bin-Yamin ke Muta’alaq Ma’alum he ki wo Azize Misr ke Paas Chori ke Ilzaam me Gulaam hone ki Heysiyat se Paband he, Fir ye kehne ka Matlab kya he ki Yusuf Alayhis Salaam ko Aur Uske Bhai ko Talaas karo, Unka Suraag lagaao..??
Bas Aapko Ma’alum tha ki Is Martaba Bin-Yamin ke Saath Yusuf Alayhis Salaam ka Pata bhi Chal Jaayega ALLAH TA’ALA ki Taraf se Aazmaish ka Waqt Khatm hone wala he,
Yaqub Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA ki Rehmat se Na-Ummid na ho, Isse bhi Wajeh ho raha tha ki Ab ALLAH TA’ALA ki Rehmat ka Waqt Aa Chuka tha, Ab Yusuf Alayhis Salaam ki Mulaqaat se Raahat hogi,

Bhaiyo ne (Yusuf Alayhis Salaam se) Kaha Ham Be-qadr Yaani Thodi Miqdaar me Punji(Raqam) le kar Aaye he, Aap Hamari Punji ko Na deikhe Balki Apni Maherbaani ko deikhe, Hame Pura Naap kar Anaaz de kyunki Hamara Khandaan Bahot Musibat me he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-222, 223)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Apne Aapko Zaher kar diya :-
Quraan e Kareem me he ki
“Bole Kuch Khabar he Tumne Yusuf Aur Uske Bhai ke Saath kya kiya tha Jab Tum Naadan the, Bole Kya Sach-Much Aap hi Yusuf he Kaha Ha Me Yusuf hu Aur Ye Meira Bhai Beshaq ALLAH ne Ham par Aheshan kiya, Beshaq Jo Parehzgaari Aur Sabr kare to ALLAH Neiko ka Neg Zaae Nahi karta”
(Surah Yusuf, Aayat – 89, 90)

Jab Bhaiyo ne Aakar Anaaz ka Muta’alba kiya Aur Isare se kaha Ham par Rahem kare, Maqsud Kuch ye bhi Tha ki Bin-Yamin ko Chhod do Lekin Zahir Tour par Nahi keh rahe the, To ALLAH TA’ALA ne Yusuf Alayhis Salaam ko Wahi ya ilhaam ke Zariye Muta’ala kar diya ki Unko Unke Baap ne Is liye Bheja he ki Yusuf Aur Uske Bhai ko Talaas karo, to Aap ne Jab deikha ki ye Majra ko Zaher nahi kar rahe to Aapne Khud hi Kalaam ka Aagaaz(Suruaat) kar diya,
(Tafseere Abiul Saud, Jild-4, Safa-303)

Yusuf Alayhis Salaam ne Khud Bhaiyo se kaha wo Khat jo Tumhe Baapne Meire liye diya he wo Muje dei do, Unhone Jab Khat diya Jisme Tehreer tha ki
“Hamara Khandaan Suru se Hi Masa’ib wa Aalaam ki Aazmaisho se Guzar raha he, Mei Us Dada Ibhrahim KHALEELUALLAH ka Pouta hu Jiske Haath-Peir Bandh kar Aaag me Daal diya gaya tha, ALLAH TA’ALA ne Unhe Naja’at di, Meira Ek Pyara Beita Yusuf tha, Jise Uske Bhai Saath le gaye lekin Wapis Aakar Uske Khun (se) Aaluda Kameez Peish kar di ki Ushe Bhediya kha gaya he, Ro-Ro kar Meri Aankho ki Binaai Zaya ho gayi, Fir Uske Dusre Bhai Bin-Yamin ko Anaaz Leine ke liye ye Saath le Gaye, Chori ke Ilzaam me Tumne Ushe Apne Paas Rakh liya he, Hamare Khaandaan ka Peisa Chori karna Nahi Aur Naa hi Hamara Khandaan Chori karne ke liye Peida kiya gaya he, To Mere Beite ko Wapis kardo, Warna me Tumhare Khilaaf RABB ke Huzre Dua Karunga”
Ye Khat Padhte hi Yasuf Alayhis Salaam Par Zyada Raqt Taari ho gayi.
(Tafeeere Kabeer, Jild-18, Safa-202,
Roohul Ma’ani, Jild-7, Safa-48)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Shaahi Takht par Jalwagar the Aur Aapke Bhai Bade Adab va Ahetaram se Aapse Anaaz Ka Mutaalba kar rahe the,

Yusuf Alayhis Salaam Apne Khandaan ke Raqt-Ameez Manzar ko deikh kar, Apne Baap ki Pareshan Haali Aur Raqt-Ameez Khat deikhne ke Baad ALLAH TA’ALA ke Hukm ke Muta’abik Khabar deini he,
Yusuf Alayhis Salaam in Alfaaz me Bhaiyo ke Saamne Apne Aap ko Zaher karne ke liye Kalaam Suru Farma rahe he
Kya Tumhe Ma’alum he ki Tumne Yusuf Alayhis Salaam Aur Uske Bhai ke Saath kya Suluk kiya…??
Jab Yusuf Alayhis Salaam ne Bhaiyo se Puchha to Unhone Aapke Kalaam se Ya Aapke Muskurane ki Wajah se Danto ki Chamak se Pahenchante hue Puchha Kya Aap Yusuf to nahi…??
Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya Ha me Yusuf hu Aur ye Meira Bhai he, ALLAH TA’ALA ne Ham par Ahesaan kiya he, Imtehaan leine ke Baad Hame ye Mansub Aata kiya he Jo tum Deikh rahe ho, Saath Saath Bhaiyo ko Kaha ALLAH TA’ALA Taqwa Aur Sabr karne wale Neik Lougo ke Ajr ko Zaya nahi karta, Isara tha ki Agar tum ne bhi Taqwa Hasil kiya to ALLAH TA’ALA ka Karam Tum par ho Jayega,
(Tafeeere Kabeer, Jild-18, Safa-204,
Roohul Ma’ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-49)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-224, 225)

>➤ Bhaiyo ki Ma’azrat(Ma’afi) Aur Aapka Ma’af karna :-
Quraane Kareem me He ki
“(Yusuf Alayhis Salaam ke Bhai) Bole KHUDA ki Kasam Beshak ALLAH ne Aapko Ham par Fazilat di Aur Beshak Ham Khatawar the, Kaha Aaj Tum par Kuchh Malaamat nahi ALLAH Tumhe Ma’af kare Aur wo Sab Maherbanose Badh kar Maherbaan he”
(Surah Yusuf, Aayat – 91, 92)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Apne Bhaiyo ke Saamne Zikr kiya ki “Me Yusuf hu ALLAH TA’ALA ne Ham par Ahesaan kiya Aur jo Shaksh Bhi Gunaaho se Bachta he Aur Lougo ki Azeet(Satane) par Sabr Karta he ALLAH TA’ALA Ushe Zaya Nahi karta”
To ye Soon kar Aapke Bhaiyo ne Aapke Kamaalaat ka Ayteraaf karte hue kaha
ALLAH ne Aapko Ham Par Ilm, Hosla-Mandi, Aqal, Fazal va Kamaal, Husn Aur Baadhshahat Me Fazilat Aata ki, Aur Beshak Ham Khtawaar the,
Bhaiyo ne Azr Peish kiya ki Hamne Aapko jo Kuwe me Dala, Aapko Beiycha, Gharse Nikala Aur Aapko Walid(Baap) se Door kiya, Ye Sab Hamari Khatae he, Bhaiyo ki Ma’azrat par Yusuf Alayhis Salaam ne Farmaya
Aaj Tum par Kuchh Nahi (Yaani Na Tum Par koi Aar he Aur Na Kuch Tobikh(Salah) he, Yaani ye Aylaan Aaj se Me Hameisha ke liye kar raha hu Kabhi Bhi Tumhe Maazi(Pichhe) ke Waqiyaat par Aar nahi dilaai jayegi) ALLAH TA’ALA Tumhe Ma’af kare, Aur wo Sab Maherbano se Badhkar Maherbaan he”

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Bhai Jab Bahot Zyada Nadim(Afshos) ho rahe the Aur Arz kar rahe the ki Tum to Hame Subah va Saam Apne Dastarkhwaan par Bitha kar Khana Khilaate rahe Lekin Hamne Aap se Jo Kaam kiye Hame To Unse Bahot Badi Mazammat ho rahi he, to Yusuf Alayhis Salaam ne Fyazi ka Muzahira Karte hue Kaha Meire Bhaiyo Tum Nadim kyu hote ho…?? Muje to Tumhare Aane se Bahot Badi Khushi Hui he, Kyunki Me Misr ka Hukmuraan bhi Ban gaya hu Aur Misri Loug Meire Gulaam Ban kar Aazaad hue, Lekin Fir bhi Unke Zaheno me Ye Baat Zaroor hogi ki 20 Dirham ka Kharida huwa Gulaam Misr ka Hakim Ban Gaya he, Lekin Aaj unke Saamne Ye Wajeh ho chuka he ki Tum Meire Bhai ho, Me Ibhrahim Alayhis Salaam ka Par-Pouta hu, Koi Gulaam Nahi tha, Taqdeer Aur RABB ki Taraf se Aazmaish ki Wajah se Gulamiyat se Mutassif huwa, Aaj Tumhare Aane Aur Mere Zaaher karne se Sab Lougo ki Nazar me Muje Azmat Mili he, Meri Sarafat Aur Khandaane Nabuwwat ka Ek Fard hone ki Hesiyat se Meira Bol-Bala huwa.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-205)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-226)

>➤ Misr se Kameez ki Rawangi :-
Quraan Shareef me he ki
“(Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne kaha) Meira ye Kurta le Jaav, Ushe Meire Baapke Mooh par Daalo Unki Aankhe Khul Jayegi Aur Apne Sab Gharbharko Meire Paas le Aao”
(Surah Yusuf, Aayat-93)

>➤ Wo Kameez Konshi thi…??
Ye Aam Kameez thi Jo Aapne Zeib-tan(Pahen) kar rakhi thi Ya wo Kameez thi Jo Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Aaag me Pahenaai gayi thi Aur Jannat se Laai gayi thi, Baad me Hazrat Ishaaq Alayhis Salaam Aur Yaqub Alayhis Salaam ke Paas Pahoch gayi, Yaqub Alayhis Salaam ne Yusuf Alayhis Salaam ko Bhaiyo ke Saath Bhejte Waqt Aapke Gale me Batoure Ta’awiz daali thi, Ab Jibrail Alayhis Salaam ne Aakar Aapko Kaha ki Ye Kameez Apne Walid ki Taraf Bhej do Taaki Unhe Iske Zariye Nazar Wapis Mil jaaye.
(Tafseere Abu Al Saud, Jild-4, Safa-305)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Bhaiyo ko Kaha Ki Tum Gharwalo ko Meire Paas le Aao Us Waqt Yaqub Alayhis Salaam ke Gharke Afraad Jinme Mard, Aurate, Bacche Yaani Aapki Aulaad Ya Aulaad ki Aulaad Wageira 72 se 96 tak the.
(Roohul Ma’ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-53)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-227, 228)

>➤ Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ki Binaai Wapis Aana :-
Quraan Shareef me he ki
“Jab Kaafla Misr se Juda huwa, Yaha Unke Baapne kaha Beshak Mei Yusuf ki Khusbu Pata hu Agar Muze ye na Kaho ke Sathiya gaya he, Beite Bole KHUDA ki Kasam Aap Apni Ushi Puraani Khud Rafatgime he, Fir Jab Khushi Sunanewala Aaya Usne woh Kurta Yaqub(Alayhis Salaam) ke Mooh par Dala Ushi Waqt Uski Aankhe Fir Aai Kaha Mei Na Kehta tha ke Muze ALLAH ki wo Shaane Ma’alum he Jo Tum Nahi Jante”
(Surah Yusuf, Aayat – 94, 95, 96)

Jab Misr se Kameez ko Yaqub Alayhesalqm ke Ghar lane ke liye Nikala Gaya to Yaqub Alayhesalam ne Uski Khusbu Soongli, Aapne Beito ke Bageir Dusre Ahle Khana(Khandaan) ko kaha Muje Yusuf ki Khusbu Aa rahi he Agar Tum Meri Raay ko Zaif na Samjo,

Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ne Itni Door se Khusbu Keishe Soongli…?? Iska Jawab Wajeh he ki ALLAH TA’ALA ki Qudrat se koi Baeed nahi Aur Khususan Jab Aap ko Kameez se Uthne Wali Jannat ki Khusbu Aayi To Yaqub Alayhis Salaam ne Farmaya ki ye Khusbu Us Jannati Kameez ki Bageir Kishi Aur ki Nahi ho sakti..

To Ahle Khana(Khandaan walo) ne Kaha Tum to Abhi Yusuf ki Puraani Mohabbat me hi Warafta ho, Aap Unko Kabhi Bhool nahi sakte Aur Na hi Aapke Dil se Wo Nikal Sakte he.

Kameez Laane Wala Aur Khus-Khbari Deine wala Aapka Beita Yahuda tha,
Usne Aapki Ankho Par Kameez ko Daal diya Ya Aapko Kameez de di Aur Aap ne Khud hi Kameez ko Apni Aankho Par Lagaya,
Kameez Aankho ko Lagane se Binaai Wapis Apni Asali Halaat Par Aagayi,
(Subhan Allah..)

Yaqub Alayhis Salaam ne Khus Khabari Laane wale Shaksh se Puchha Tu ne Yusuf ko Keishe Haal me Chhoda he…??
Usne Kaha Wo To Misr ke Baadshah he,
Yaqub Alayhis Salaam ne Farmaya Muje Baadshahat se kya Garz..? Ye Batao Tumne Ushe Kis Din Par Chhoda..?
To Usne Kaha ISLAM par,
To Yaqub Alayhis Salaam ne Farmaya Ki Ab Ne’amat ki Takmeel hui ki Khus-Khabari kaamil Hasil ho gayi.

Yaqub Alayhis Salaam ne Tamam Ahle Khana(Khandaan Walo) ko Aur Aane wale Tamam Beito ko Kaha
Jab Meine Tumhe Misr Bheija tha Aur Tumhe Hukm diya ki Yusuf ko Talaas karo, Aur Meine Tumhe ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid hone se Mana kiya tha, To Meine Us Waqt Tumhe Kya Na Kaha tha ki ALLAH TA’ALA se Jo Me Janta hu Wo Tum Nahi Jante, Yaani Muje ye Ma’alum tha ki Yusuf Alayhis Salaam Zinda he,
(Roohul Ma’ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-54, 55)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-228, 229)

Subhan Allah..

>➤ Hazrat Yaqub layhis Salaam ke Beito ka Aapse Ma’afi Talab Karna :-
Quraan e Majeed me he ki
“(Beite) Bole Ay Hamare Baap Hamare Gunaah ki Ma’afi Mangiye Beshak Ham Khataawar he, (Hazrat Yaqub layhis Salaam ne) Kaha Jald Mei Tumhari Bakhsis Apne RABB se Chahunga Beshak Wohi Bakhshne wala Maherbaan he”
(Surah Yusuf, Aayat- 97, 98)

Beito ne Yaqub layhis Salaam se Apne Gunaho ki Magfirat Talab karne ki Darkhwast ki ke Aap Hamare Baap he, Safeeq he, Ham Khataawar he, Aap Dargujar karte hui Hamare Liye ALLAH TA’ALA se Hamari Galtiyo ki Ma’afi Talab kare, Agar Aapne Hamare liye Dua Naa ki to Ham Galtiyo ki Wajah se ALLAH TA’ALA ki Giraft me Aakar Halaak ho jayenge, Aap Agar Rahem Nahi karenge to Ham Par Aur kon Rahem Karega..
Hazrat Yaqub layhis Salaam ne Wa’ada Farmaya Ki Mei Jaldi hi Tumhari Bakhsees Apne RABB se Talab karunga Aur Hamesha Talab karta Rahunga.
(Tazkiratul Ambiya layhis Salaam, Safa-230)

>➤ Hazrat Yaqub Alayhis Salaam Aur Aapke Khandaan ki Misr me Aamad Aur Yusuf Alayhis Salaam se Mulaqaat :-
Quraan Shareef me he ki
“Fir Jab wo Sab Yusuf (Alayhis Salaam) ke Paas Pahunche Usne Apne Maa Baap ko Apne Paas Jagah di Aur Kaha Misr me Dakhal ho ALLAH Chahe to Amaan ke Saath”
(Surah Yusuf, Aayat-99)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Apne Walide Mukarram ko Aur Unke Khandaan ke Bulane ke liye Apne Bhaiyo ke Saath 200 Sawaariya Aur Kaseer (Zyada) Saaman Bheja tha, Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ne Misr ka Iraada Farmaya Aur Apne Khandaan ko Jama kiya, (Mashoor Qoul ke Muta’abik 72 ya 73 Mard-Aurato ki Taadad thi),

Hazrat Yaqub Alayhis Salaam Misr ke Qareeb Pahonche to Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Misr ke Baadshah Aazam (Khyaal Rahe ki Yusuf Alayhis Salaam Is Waqt Azize Misr yaani Wazire Aazam the, Farq ye tha ki Aap Baadshah the Aur Walid Bin Rayaan Baadshah Aazam tha ) ko Apne Walide Mukarram ki Tashreef Aawari ki Ittelaa(Khabar) di Aur 4000 Laskari Aur Bahot se Misri Sawaro ko Hamraah le kar Aap Apne Walid ke Isteqbaal ke liye Rawana hue,

Hazrat Yaqub Alayhis Salaam Apne Beite Yahuda ka Sahara liye Tashreef La rahe the, Jab Aap ki Nazar Laskar par Padhi Aur Aapne Deikha ki Bade Zarq-Barq Sawaro se Sahrapar ho Rahe he to Yaqub Alayhis Salaam ne Farmaya Ay Yahuda Kya ye Firown e Misr he (Misr ke Baadshah ka Laqab Firon tha) Jiska Laskar Is Shaano Showkat se Aa raha he…?
Arz kiya Nahi ye to Aapke Farzand Yusuf Alayhis Salaam he Jo Aapke Isteqbaal ke liye Aa rahe he,

Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Yaqub Alayhis Salaam ko Mut’ajib deikh kar Arz kiya Hawaa ki Taraf Nazar Farmaye Aapke Sarur me Showkat ke liye Malaika(Fariste) Hazir hue he, Jo Muddato Aapke Gam ke Sabab Rote rahe he, Malaika ki Tasbeeh se Aur Ghodo(Horse) ke Hanhaane se Ajeeb Kefiyat Peida hoti thi, Ye Moharram ki 10wi Tarikh thi, Jab Dono Hazraat Ek-Dusre ke Qareeb hue to Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Arz karne ka Irada Zaher kiya, To Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Arz ki Aap Toqif(Thehre) kijiye Walid e Mukarram ko Pehle Salam karne ka Mouka de, Chunanche Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ne Farmaya
“اسلام عليك يا مذهب الاحزان”
(Assalamo Alayka Ya Muzhebal Ahzaane)

Yaqub Alayhis Salaam ki Pehle Salam karne me Hikmat ye thi ki Wajeh ho Jaaye ki Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Huzur Banisbat Hazrat Yusuf Alayhis Salaam se Zyada Mukarram he, Ek Dusre se Mulaqaat hui to Khushi ka ye Aalam tha ki Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ne Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Gale se Lagaya Aur Unka Bousa liya.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-210)
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-7, Safa-57)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-231, 232)

Subhan Allah…

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Khwaab ka Pura hona :-
Quraane Kareem me he ki
“Aur Apne Maa-Baap ko Takht Par Bithaya Aur Sab Uske liye Sajde me Gire Aur Yusuf (Alayhis Salaam) ne kaha Ay Meire Baap Ye Meire Pehle Khwaab ki Ta’abir he Beshak Ushe Meire RABB ne Saccha kiya Aur Beshak Usne Muz par Aheshaan kiya ke Muze Qeid se Nikala Aur Aap Sabko Gaanv se le Aaya Baad iske ke Seitaan ne Muzme Aur Meire Bhaiyo me Nachaki Kara di thi Beshak Meira RABB Jis Baat ko Chahe Aashan karde Beshaq Wohi Ilm Hikmatwala he”
(Surah Yusuf, Aayat-100)

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Bachpan me jo Khwaab deikha ki Muje Chand-Suraj Aur 11 Sitaare Sajda Kar rahe he, Wo Khwaab Aapka Pura ho gaya ki Hazrat Yaqub Alayhis Salaam Jab Apne Ahal wa Eyaal ke Saath Misr me Aaye to Yusuf Alayhis Salaam ne Unhe Apne Takht par Jalwagar kiya to Yusuf Alayhis Salaam ko Aapke Maa-Baap Aur 11 Bhaiyo ne Sajda kiya Ishi Wajah se Yusuf Alayhis Salaam ne kaha ye Meire Pehle Khwaab ki Ta’abir he,
Khyaal rahe ki Baaz Hazrat ne Farmaya
“Beshak ALLAH TA’ALA ne Yusuf Alayhis Salaam ki Walida(Maa) ko Zinda karke Qabr se Nikala Taaki Ye bhi Yusuf Alayhis Salaam ko Sajda karle ki Unka Khwaab Saccha ho jaaye,
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-201)

➤ Note :-
Hazrat Yusuf Alayhis Salaam se Mulaqaat hone ki Wajah se ALLAH TA’ALA ko Sabne Sajda kiya Yaani Ye Sajda Dar-Haqiqat ALLAH TA’ALA ko tha, RABB ka Shukriya Ada kiya gaya ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam mil gaye he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-236)

>➤ Hazrat Yaqub Alayhis Saalam ki Wafaat Aur Qabr :-
Misr me Jaakar Hazrat Yaqub Alayhis Saalam 24 Saal rahe, Jab Aap ki Wafaat ka Waqt Qareeb Aagaya to Aapne Apne Beito ko Wasiyat ki ke Muje Shaam(Mulk e Shaam) me Apne Baap Hazrat Ishaaq Alayhis Saalam ke Pehlu me Dafan karna, Aap par Jab Wafaat Taari hui to Hazrat Yusuf Alayhis Saalam Khud Apne Walide Mukarram ka Jisme Athar le kar Shaam(Mulk e Shaam) me gaye Aur Apne Dada Ishaaq Alayhis Saalam ke Saath Aap Ko Dafan karke Wapis Misr me Aagaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-216)

Kyaal Rahe ki Hazrat Yaqub Alayhis Saalam ke Ek Bhai ka Naam “Aysh” tha, Ye Dono Bhai (ki) ek Saath Wiladat hui thi Aur Ushi Din Unki bhi Wafaat hui, Dono Bhaiyo ki Umare 145 Saal thi, Dono hi Apne Baap Ishaaq Alayhis Saalam ke Pehlu me Ek Saath Dafan kiye gaye, Hazrat Yaqub Alayhis Saalam ka Taabut Khaas Kism ki Lakdi ka Banwaya gaya tha Jisme Misr se Shaam(Mulk e Shaam) Aapko le kar gaye the.
(Tafseere Khazainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Saalam, Safa-237)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Saalam ki Wafaat :-
Hazrat Yaqub Alayhis Saalam ke Baad 23 Saal Aap Zahiri Hayaat me rahe, Jab Aap ki Wafaat ka Waqt Qareeb Aagaya to Aap Aakhirat ki Taraf Zyada Mutawajja Rehne lage, Daimi Mulk ki Taraf Jaane ka Isteyaaq Zyada hone laga, RABB TA’ALA ke Huzoor Arz kiya
“Ay Meire RABB Beshak Tune Muze Ek Saltanat di Aur Muze Kuchh Baato ka Anjaam Nikaalna Shikhaya Ay Aasmano Aur Zamin ke Banane wale Tu Meira Kaam Banane wala he Duniya Aur Aakheirat me Muze Musalman Utha Aur Unse Mila jo Teire Qurbe Khaas ke Laayak he”
(Quraan Shareef, Surah Yusuf, Aayat-101)

Jab Aap ko Wahi ke Zariye Ma’alum Ho gaya ki Ab Aap ki Wafaat ka Waqt Qareeb Aa chuka he to Aapne ye Duaa ki ke
“Ay ALLAH Mujhe Apne Khaas Qurb wale Lougo ke Saath Mila”
Is Duaa ka Ta’aluq Mout ke Baad ALLAH TA’ALA ke Muqarrabin se La-Haqq hone ke Saath he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Saalam, Safa-238)

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Saalam ki Qabr :-
Hazrat Yusuf Alayhis Saalam ki Wafaat ke Baad Misri Lougo me Tanaaja’e(Wivaad) ho gaya Har ek ki Khwaaish thi ki Yusuf Alayhis Saalam Hamare Mohalla me Dafan kiye Jaaye Taaki Wo Aap se Barkat Hasil Kar Sake,
Unke Darmiyaan Ladai Bhadak uthi, Aakhirkaar Kuchh Lougo ne Mil kar Feisla kiya ki Aap ko Sange-Marmar ke Sanduq me Baandh kar ke Daryaa-e-Neel me Dafan kiya Jaaye Taaki Us Paani se Tamaam Saher Wale Ek Jeishi Barkat Hasil Kare.

Pehle Aapko Daryaa-e-Neel ki Daai(Right) Janib Dafan kiya gaya to Us Taraf ka Ilaqa Sarsabj (Raseela) va Saadaab rehne laga Aur Dusri Janib Khusk, Fir Aap ke Sanduq ko Nikal kar Neel ki Baayi(Left) Janib Dafan kar diya gaya, Ab Is Taraf Khushaali ka Dour Aagaya Aur Dusri Janib Khuski rehne lagi, Fir Aap ko Daryaa-e-Neel ke Darmiyaan me Dafan kiya gaya, Yaha Tak ki Dono Janib Sarsabj(Raseela) va Saadaab ho gaye, Aapka Jism Athar Ishi Tarah Daryaa-e-Neel ke Darmiyaan Raha, 400 Saal Baad Jab Hazrat Musaa Alayhis Saalam ne Bani Israail ko Saath le kar Misr se Rawangi Ikhteyaar ki to Aapke Jisme Athar ko bhi Saath le gaye Yaha tak ki Shaam(Mulk e Shaam) me Apne Aaaba(Baap-Dada) ke Saath Dafan kar diya gaya.
(khatib wa Madarikul Tanzeel)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Saalam, Safa-238)

Subhan Allah…

Un Lougo ke Keishe Paakiza Aqeede the ki Unhe Ma’alum tha ki NABI ki Zahari Hayat me Jis Tarah NABI se Barkat Hasil Ki Jaati he Ushi Tarah Duniya se Rukhsat hone ke Baad bhi Un se Barkat Hasil hoti he.

>➤ Hazrat Yusuf Alayhis Saalam ki Aulaad :-
Hazrat Yusuf Alayhis Saalam ki Wafaat ke Pasmaandgaah(Bache huwo) me 2 Beite Aur 1 Beiti thi, Ek Beite Ka Naam ‘Ifrahim” Aur Dusre Beite Ka Naam “Meysaa” tha,
Ifrahim ke Beite ka Naam “Nun” Aur Nun ke Beite ka Naam “Yusa’a” tha, Jo Hazrat Musaa Alayhis Saalam ke Zamane tak Zinda rahe Aur Daryaai Safar me Unke Saath the, Yaani Hazrat Khijr Alayhis Saalam ki Mulaqaat ke liye Jate hue Hazrat Musaa Alayhis Saalam ne Apne Saath “Yusa’a Bin Nun” ko rakha tha,
Hazrat Yusuf Alayhis Saalam ki Beiti ka Naam “Rahmat” tha, Jo Hazrat Ayyub Alayhis Saalam ke Nikaah me Aayi thi.

Hazrat Yusuf Alayhis Saalam ke Duniya se Tashreef le Jane ke Baad Misr ki Hukumat Bani Emaalqa ke Haath me Aagayi, Hazrat Musaa Alayhis Saalam ke Zamana Tak Bani Israail Unke Zeire Tasallat rahe he, Hazrat Musaa Alayhis Saalam ne Aakar Unhe Naja’at dilaai.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Saalam, Safa-239)

>> Hazrat Yaqub Alayhis Saalam Aur Hazrat Yusuf Alayhis Saalam ke Waqiyaat Yaha par Khatm hote he..



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Hazratyusuf #Yusuf #Yushuf #Zulekha #Yaqub #Yakub @Kuva #well #Husn

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *