Hazrat Musaa Aur Haarun Alayhis Salaam

>➤ Bani Israaeel :-
Hazrat Yaaqub Alayhis Salaam ki Aulaad ko Bani Israaeel Kaha jata he kyunki ‘Israaeel’ Hazrat Yaaqub Alayhis Salaam ka ‘Laqab’ he ya Aap ka Dusra Naam he, Lafz ‘Israaeel’ me Ek Qoul ye he ki ye Ajami Lafz he, ‘Israa’ Aur ‘eel’ se Murakkab he, ‘Israaeel’ ke 4 Ma’ani Bayaan kiye gaye he,
Abd(Banda, Ibaadat karne Wala),
Safwa(Barguzida)
Insaan Aur 
Muhaajir(Hijrat karne wala),
Aur ‘eel’ ka Ma’ani he ALLAH TA’ALA, 
Is Lihaaz par Hazrat Yaaqub Alayhis Salaam ka ye Naam Is liye huwa ki ALLAH TA’ALA ki Ibaadat Guzaar Aur Uski Barguzida Aur Uske Peida karda Azeemul Martabat Insaan Aur ALLAH TA’ALA ki Taraf Ruju’a karne wale Yaani Hijrat karne waale bhi the,

Baaz Hazraat ne kaha ki ye Lafz Arabi he, ‘Israa’ ka Ma’ani he Raat ko le Jaana Aur ‘eel’ ka Ma’ani he ALLAH TA’ALA , Ab Is Lihaaz par Hazrat Yaaqub Alayhis Salaam ka Naam rakha gaya ki ALLAH TA’ALA ne Aapko Raat ke Waqt Apni Taraf Ruju’a Karaya ki Aap Uski Taraf Hijrat karne waale hue.
(Tafseere Qurtubi, Jild-1, Safa-331)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-369)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam :-
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Waalid Imraan he, Jo Apne Qabile ke Sardaar the, Laavi Bin Yaaqub ki Aulaad se the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Waalida ke Naam me Ikhtelaaf he, Yaarkhaa, Ayaarkhat, Nokhaanaz, Lawkhaa, Mariyam, Sahi Qoul pehla he Yaani ‘Yaarkhaa’, (Tafseere Naeemi me ‘Aaiz’ Likha he).
(Tafseere Jalaalein, Safa-326)

>➤ Hazrat Haarun Alayhis Salaam :-
Hazrat Haarun Alayhis Salaam Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Sage Bhai he, Bahot Bade Housla-Mand Aur Bard-baar(Maherbaan) the, Bani Israaeel Aapse Bahot Mohabbat Karte the, 
Ek Riwaayat me Aaya he ki Hazrat Haarun Alayhis Salaam Musaa Alayhis Salaam se 3 Saal Bade the.
(Tafseere Saawi bar Jalaalein, Safa-141)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-369, 370)

>➤ Firoun :
Misr ke Baadshaaho ka Laqab ‘Firoun’ huwa karta tha, Jis Tarah Room ke Baadshaaho ka ‘Qeisar’, Faaras ke Baadshaaho ka ‘Kisraa’, Yaman ke Baadshaaho ka ‘Tab’a’, Turk ke Baadshaaho ka ‘Khaakaan’ Aur Habsha ke Baadshaaho ka Laqab ‘Najjaashi’ tha, 

Misr ke Jitne Baadshah bhi Guzre he koi bhi Musaa Alayhis Salaam ke Zamaane ke Firoun se Zyaada Bad-Khalq, Sakht-Dil Aur Zaalim Nahi tha,

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Zamaane ke Firoun ka Naam ‘Rayyaan Bin Walid’ tha, Jisne Imaan Qabul kar liya tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Zamaane me Paya jaane waala Firoun ‘Walid Ibne Mas’ab Ya Mas’ab Bin Rayyaan’ tha, Baaz ne Uska Naam ‘Qaabus’ bhi Tehrir kiya he, Qabilaa e Qibtiyaa se tha, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Zamaane me Paaye Jaane waale Firouno ke Darmiyaan 400 Saal se Zyaada Arsa tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-370, 371)

>➤ Saamri :-
Saamri Jisne Bani Israaeel ko Bachhade(Bull) ki Pujaa par Lagaa Diya tha(Jiska Zikr In sha Allah Aage Aayega) Uska Naam bhi Musaa tha, Saamri ke Naam wa Nasab Aur Jaaye-Sukunat(Rehne ki Jagah) ke Baare me Aqwaal Mukhtelaf(Alag Alag) he, Sabse Zyada Waajeh Qoul yahi he ki Uska Naam Musaa Aur Uske Baap ka Naam Zafar tha Aur Wo Bani Israaeel ka Ek Qabila ‘Saamra’ tha Us Qabile ki Munaasebat se Uski Jaaye-Sukunat(Rehne ki Jagah) ka Naam bhi ‘Saamra’ huwa, Isliye Usko Saamri Kehte he, ye Shakhs khud Aur Uska Sara Qabila ke Tamaam Loug Gaay ki Parastish(Pujaa) kiya karte the, ye Saamri Us Zamaane me Peida huwa Jab ki Firoun Bani Israaeel me Peida hone waale Har Ladke ko Zabah kar deita tha, Jab ye Peida huwa to Uski Maa ne Use Pahaad ki Gaar me Chhupa Diya, Bani Israaeel ke Is qism ke Baccho ki Tarbiyat ke liye Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Muqarrar Farmaya tha, Us Musaa Bin Zafar Yaani Saamri ki Tarbiyat ke liye bhi Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Mut’aeen the, wo Uski Gaar me Tashreef laate Aur Uska Apna Haath Uske Moonh me de deite Jisse wo Dhoodh Aur Shahad Chusta rehta.
(Tafseere Qurtubi, Jild-7, Safa-284)

Baaz Ulma ne Likha he ki Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Khud Apni Ungaliya Uske Moonh me de deite the Jisse wo Dhoodh Aur Shahad Chusta tha,

Jab Aadmi Asale Khalqat me Sa’aadat se Mahrum ho to Uski Tarbiyat karne Waalo ke Dimaag Heiyrat-Zada Aur Usse Behtari ki Ummid rakhne waale Khaaib(Na-kaam) wa Khaasar ho kar rah Jaate he, wo Musaa Jiski Parwarish Jibrail Alayhis Salaam ne ki, Kaafir huwa Aur Wo Musaa Alayhis Salaam Jiski Parwarish Firoun ne ki ALLAH TA’ALA Ka Rasool(Bhejaa huwa) he.
(Roohul Ma’ani, Safa-277)

Saamri Hazrat Musaa Alayhis Salaam par Bazaahir Imaan laaya, Magar Pakka Munaafiq tha.
(Attibyaan, Safa-201)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-370)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Peidaaish se Pehle Bani Israaeel ke Haalaat :-
Bani Israaeel ki Haalat Musaa Alayhis Salaam ki Peidaaish se Pehle ye thi ki ye Loug Firouniyo ke Khaadim the, Firouniyo ne Unko Mukhtelaf(Alag Alag) Qism ke Kaamo par Muqarrar kiya huwa tha, Kuchh Lougo ko Ta’amir ke Kaamo par Lagaya huwa tha Aur Kuchh Lougo se Hal Chalaane ka Kaam liya jata Aur Kuchh Lougo se Kheti-Baadi ke Mukhtelaf Kaam liye Jaate, Fasl ki Kaasht(Kheti) Aur Kataai Wageira ke Kaamo par Muqarrar the, Gande Kaamo par bhi Unhe hi Lagaya jata, Beitul Khalaa’a(Toilet) ki Safaai Unhi Lougo ke Zimme thi, Kichad, Safaai wageira ke Kaamo par Unko hi Muqarrar kiya jata, Patther Taraashna Aur Pattharo ko Uthaa Uthaa kar Lana Unhi ke Zimme tha, Jo Loug ye Kaam Nahi kar Sakte the Unpar Jizya(Tex) Muqarrar kar Diya jata tha Aur Jo Shaksh Suraj ke Gurub(Dubne/Sunset) hone se Pehle Jizya(Tex) Na Adaa karta Uske Haath Uski Gardan se Baandh diye jaate Aur Ek Mahina tak Isi Tarah Bandhe rehte, Aur Bani Israaeel ki Aurato se Is Tarah Kaam Liye Jaate Jeise Londiyo(Gulaamo) se Kaam liye Jaate he(Yaani Gharelu Tamaam Kaam Unke Supurd hote) Soot ka Tanaa Aur Silaai Banaai Wageira ke Kaam Un Aurato se liye Jaate the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-371)

>➤ Bani Israaeel ke Baccho ko Zabah karna :-
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur (Yaad karo) Jab Hamne Tumko Firoun Waalo se Naja’at Bakshi ki jo Tumpar Buraa Azaab karte the Tumhaare Beito ko Zabah karte Aur Tumhaari Beitiyo ko Zinda Rakhte Aur Usme Tumhaare RABB ki Taraf se Badi Aazmaaish thi Ya Badaa Inaam”
(Surah Al Baqrah, Aayat-49)

Firoun ne Ek Khwaab deikha ki Beitul Muqaddas ki Jaanib se Ek Aaag Nikli he Jisne Misr ko Gheir liya Aur Tamaam Qibtiyo ko Jalaa Diya lekin Bani Israaeel ko Usne koi Nuqsaan Na Pahonchaya, Is Khwaab se Firoun Bahot Pareshaan huwa Usne Khwaab ki Ta’abir Bayaan karne waale Maahirin se Puchha ki Is Khwaab ki Ta’abir kya ho Sakti he..??
Unhone Bataya ki Is Khwaab se to yahi Samajh Aata he ki Bani Israaeel me Ek Baccha Peida hoga Jo Tumhaari Baadshaahi ke Zawaal(Mout) ka Sabab banega, ye Soon kar Firoun ne Hukm de Diya ki Bani Israaeel me Jo Baccha bhi Peida ho Use Zabah kar Diya jaaye, Is Tarah Uske Hukm Se Hazaaro ki Taadaad me Unke Bacche Zabah kar diye gaye wo Jo Zabah kiye gaye Unki Taadaad 12,000 ya 70,000 thi, Itni Baat Waajeh he ki Hazaaro ki Taadaad me the.
(Jaml Bahawaala Tafseere Jalaalein, Safa-9)

Unhe Ladkiyo se koi Khatra nahi tha Is liye Unko Zinda Chhod deite,

ALLAH TA’ALA ne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Zamaane ke Bani Israaeel ko ye Haalaat Yaad karne ke liye (Quraane Paak me) Farmaya ki Tumhaare Baap-Daada par Hamaare Bade Inaam the, wo bhi Shukr karne ki Bajaaye RABB TA’ALA ke Ahekaam ka Inkaar hi karte rahe Aur Khaaib(Na-kaam) wa Khaasar hue, Tumhe Chaahiye ki Tum Nasihat Haasil karo,

“Usme Tumhaare RABB ki Taraf se Badi Aazmaaish thi Ya Badaa Inaam”
Iske 2 Matlab he ki
1ye ki Tum Jin Musibato me Giraftaar the wo Tumhaari Bahot Badi Aazmaaish thi ki Sabr karte ho ya nahi, Aur
2ra Matlab ye he ki Tum par Jo ALLAH TA’ALA ne Inaam kiye ki Tumhe Firouniyo se Naja’at di ye Tumhaari Aazmaaish thi ki Kya Tum Ne’amato ka Shukr karte ho ya nahi…??.
(Roohul Ma’ani, Jild-6, Safa-254)
(Tafseere Kabeer, Jild-2, Safa-66)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-371, 372)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Peidaaish :-
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Waalida par Jab Wilaadat ka Waqt Qarib huwa to Aapke Paas Ek Daaya Aayi, Unme se Jo Firoun ne Bani Israaeel ki Aurato ke liye Muqarrar kar rakhi thi(Jo Aapki Dost thi), Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Wilaadat Hui to Aapki Dono Aankh Mubaarak ke Darmiyaan se Noor ki Kirne Zaahir ho rahi thi Jinko deikhte hi Daaya ka Har Jod Kaanpne lagaa, Uske Dil me Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Mohabbat Daal di gayi, Usne Kaha Ay Aurat(Ay Is Bacche ki Maa) Mei to Ise Qatl karne ke liye Aayi thi Lekin Mujhe Isse Sadeed Mohabbat ho chuki he, Isliye Tu Apne Bacche ko Mehfuz karle, wo Daaya ye keh kar chali gayi, Itne me Firoun ke Jaasus Aapke Darwaaze par Pahonch gaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen ne Jaasuso ko Aate hue deikh kar Kahaa Ay Maa Firouni Aa rahe he, Aapki Maa ko Kuchh Samaj nahi Aa Raha tha ki Kya Kare, Housh Wa Hawaas Jaate rahe, Bacche ko Darke Maare Kapde me Lapeit kar Jalte Tannur(Tandur) me Daal Diya, Jab Firouni Aapke Ghar me Daakhil hue to Jalte Tannur(Tandur) ki Taraf to Na gaye Aur Ghar Tamaam Chhaan Mara koi Baccha Nazar Na Aaya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Waalida ko deikha to Unke Rang me bhi koi Tabdili Nazar Na Aayi (Jo Aam Tour par Aurato ka Bacche ki Peidaaish par Rang Pilaa(Yellow) pad jata he) Aur Aapka Dhoodh bhi Nazar Na Aane par Puchha ki wo Daaya Tumhaare Ghar kyu Aayi thi..?? Aapne Kaha wo Meri Dost thi Jo Mujhe Milne Aayi thi,

Jab Firouni Aapke Ghar se Nikal gaye to Aapko Housh Aaya Aur Apni Beiti se Puchha Baccha kaha gaya…?? (Yaani Aapko ye bhi Maalum nahi tha ki Baccha kaha dala tha) Beiti ne Jawaab Diya Mujhe to Kuchh Pataa nahi, Itne me Tannur(Tandur) se Aahista Aahista Roune ki Aawaz Aayi to Aapne deikha ki Bacche par Aaag Thandi Salaamat ho Chuki he, Unhone Bacche ko Tannur(Tandur) se Nikaal liya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-372, 373)

Subhan Allah…

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Sanduq me Rakhna :-
Quraane Muqaddas me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Hamne Musaa ki Maa ko Ilhaam Farmaya ki Ise Dhoodh Pilaa Fir Jab Tujhe Isse Andesha(Dar) ho to Ise Dariya me Daal de Aur Na Dar Aur Na Gam kar Beshak Ham Use Teiri Taraf Feir Laayenge Aur Use RASOOL Banaaenge”
(Surah Al Qasas, Aayat-7)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Peidaaish se Pehle Aapki Waalida ke Dil me ye Baat Daal kar Yaqin Karaa Diya gaya tha ki Peidaaish ke Baad Tum Bacche ko Dhoodh Pilaati raho, Jab Tumhe Firoun ke Jaasuso se Khatra ho ya Bacche ke Roune wageira se Padosiyo se Tumhe Khatra ho to Bacche ko Darya me Daal do, Ham Us Bacche ki Hifaazat karenge Aur Tumhaari Taraf Louta deinge Aur Use RASOOL Banaaenge,

Aap Alayhis Salaam ki Waalida ne Aapko Darya me Daal ne se Pehle Kitni Muddat(Waqt) Dhoodh Pilaya Iske Baare me Ek Qoul ye he ki
‘Beshak Aap 4 Maah(Mahine) Baad Roye to Padosiyo Wageira ke Khatre ke Peishe Nazar Aapko Daryaa-e-Neel me Daal Diya gaya’.

Aap Alayhis Salaam ki Waalida ko Jab ye Fikr Hui ki Firoun Bacche ki Talaash me Puri Jaddo-Jahad kar Rahaa he to Aapne Bacche ko Sanduq me Daal kar Daryaa me Daalne ka Feishla kar liya Kyunki ALLAH TA’ALA Ne Unke Dilme Pukhta Baat Daal di thi ki Is Tarah Baccha Mehfuz rahega Aur Ek Din Unhe Waapis mil Jaayega,

Aap Alayhis Salaam ki Waalida Ek Najjar(Carpenter) ke Paas gayi Taaki Usse Ek Sanduq Haasil Kare Usne Puchha Tumne Lakdi ke Sanduq ko Kya karna he to Aapne Sach Sach Bataa Diya ki Apne Beite ko Isme Daal kar Daryaa me Daalna he, Ho Sakta he Firouniyo se Bach Jaaye, Sanduq Usne Aapko Beich diya Lekin Uske Dilme Bad-Niyyati Peida ho gayi, wo Firouni Lougo ke Paas gaya Jo Baccho ko Zabah karne par Muqarrar the ki Unhe Bata sake, Jab wo Unke Paas Aaya to ALLAH TA’ALA ne Uski Zabaan ko Band kar Diya, wo Haath se Ishaare kar Raha tha, Un Lougo ne Use(Paagal Samajh kar) Mara Aur Bhagaa Diya Jab wo Waapas Apne Ghar me Pahoncha to ALLAH TA’ALA ne Uski Zabaan ko Uspar Fir Louta diya, Fir wo Dusri Martaba Un Lougo ki Taraf gayaa Taaki Unhe Bataa sake Fir Uski Zabaan Band ho gayi, Fir Haatho Se Ishaare karne ki Wajah se Unhone Use Mara Aur Use Ghar Louta diya, fir Uski Zabaan Thik ho gayi, Fir Tisri Martaba Unhe Bataane ke liye gayaa To Uski Zabaan bhi Bandh ho gayi Aur Andha ho gaya, Fir Uski Pitaai Hui Aur Use Waapas Bhagaa diya gaya, Ab wo Sacche Dil se Touba karne laga Ay ALLAH TA’ALA Agar Tu Mujhe Meri Nazar Aur Zabaan de de to Mei Kisi ko Nahi Bataaunga, ALLAH TA’ALA ne Uski Touba ko Qabul Farma liya Aur Use Zabaan Aur Nazar de di, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Waalida ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Sanduq me Daal kar Daryaa ke Hawaale kar diya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-372, 373, 374)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Firoun ke Paas Tashreef lana :-
Quraane Majeed me he ki
“To Use Uthaa liya Firoun ke Gharwaalo ne ki wah Unka Dushman Aur Unpar Gam ho Beshak Firoun Aur Haamaan Aur Unke Laskar Khataakaar the, Aur Firoun ki Zouja(Biwi) ne kahaa Yah Baccha Meiri Aur Teiri Aankho ki Thandak he Ise Qatl Na karo Shaayad yah Hame Nafa’a de Ya Ham Ise Beita Banaa le Aur wo Be-khabar the”
(Surah Al Qasas, Aayat-8,9)

Firoun ki Sirf Ek Beiti thi Aur Uski koi Aulaad na thi, wo Apni Beiti se Bahot Zyaada Mohabbat kiya karta tha, wo bhi Har Rouz Apne Baap ke Paas 3 Haajaat(Zarurat) peish karti thi, wo Bahot Zyaada Barsh(Kodh) ki Bimaari me Mubtilaa thi, Firoun ne Iske Baare me Tabibo Aur Jaadugaro se Mashwaraa kiya, Unhone Kahaa Ay Baadshah ye Us Waqt tak Thik nahi ho Sakti Jab tak Daryaa me se Ek Insaan ke Mushaaba koi Chiz Na Paayi jaaye Aur Uska Loaab(Thook) Lekar Iske Barsh waale Maqaamaat par mali jaaye Fir ye Thik ho Jaayegi Aur ye Us Waqt hoga Jab Falaa Din Aur Falaa Mahina ho Aur Suraj Khub Roushan ho, Jab wahi Din Aagaya to Firoun ne Daryaa ke Kinaare par Mehfil Sajaai Uske Saath Uski Zouja(Biwi) Aaasiyaa Binte Mazaaham bhi thi(Firoun ki Zouja Bahot Neik Aurat thi, Ambiya Alayhis Salaam ki Nasl se thi, Garibo Aur Miskino par Raham karti thi) Firoun ki Beiti bhi Apni Londiyo(Gulaamo) ke Saath Daryaa ke Kinaare par jaa kar Beith gayi, Daryaa-e-Neel se Ek Naher Firoun ke Mahlaat ki Taraf Aai hui thi, Usme Firoun ki Beiti Aur Uski Londiya(Gulaam) Nahaane lagi, Unhone Deikha Ek Taabut Daryaa ki Moujo me Hichkole khaa rahaa he Jo Ek Darakht(Peid) ke Saath Aakar Ruka he, Firoun ne Hukm diya ki Jaldi se wo Taabut Meire Paas laya jaye, Kashti waale Lougo ne Jaldi se wo Taabut Firoun ke Paas Peish kar Diya,

Unhone Koshis ki ke Usko Khoule, wo Kaamyaab Na hue, Fir Todna Chaha Lekin Todne me bhi Kaamyaab Na hue, Firoun ki Zouja(Biwi) Aaasiyaa ko Us Taabut ke Andar Ek Noor Chamakta huwa Nazar Aaya Jo Dusro ko dikhaai na diya, jab Aaasiyaa ne Taabut ko Khoulna Chaha to Khoul liya, Jisme Ek Chhota sa Baccha tha, Jiski Aankho ke Darmiyaan Ek Noor Chamak raha tha, ALLAH TA’ALA ne Lougo ke Dilo me Us Bacche ki Mohabbat Daal di, Firoun ki Beiti ne Us Bacche ka Luaab(Thook Mubaarak) Lekar Jab Apne Barsh waale Maqaamaat par Lagaaya to wo Usi Waqt Thik ho gayi, Usne Bacche ko Sine se Lagaya, Firoun ko Kuchh Lougo ne kahaa ki ye wahi Baccha Na ho Jis se Ham Bachna Chaahte he Tumhaare Darki Wajah se Use Daryaa me Feink diya gaya hoga, Firoun ne ye Soon kar Bacche ko Qatl karne ka Iraada kar liya Lekin Firoun ki Zouja(Biwi) Aaasiyaa ne Bacche ki Bakhshish Talab ki Aur Firoun ko Kahaa ki ye Baccha Pataa nahi Kis Sar-Zameen se Aaya he Tumhaare liye Khatra Isi Mulk ka Baccha hoga, Ye Kitna Pyaara Baccha Aur Khubsurat he, ye to Beita Banaane ke Qaabil he, Ise Qatl nahi karna Hamaara Koi Beita nahi he is liye Ham Ise Apna Beita Banaa leinge, Aaasiyaa ki ye Baat Firoun Aur Uski Qoum ke Lougo ne Tasleem Karli, ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Qatl hone se Bachaa liya,

Ek Qoul me he ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Aankh Mubaarak me Aysi Malaahat, Khubsurati Aur Nooraaniyat rakhi gayi thi ki Jo bhi Aapko deikhta wahi Aapse Mohabbat Karne Lagta.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-1, Safa-189)
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-53)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-374, 375)

Subhan Allah…
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Qatl hone se Bachaa kar Apni Qudrat dikhaa di ki Jis Bacche ko Khatm karne ki Garaz se Tumne Hazzaro Bacche Zabah karaa diye Ise Meine Tumhaare Paas Pahoncha Diya he Lekin Tum Use Na Zabah kar sake Aur Na hi kar Sakoge..

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Waalida Aur Bahen ki Be-Qaraari :-
Quraane Hakeem me he ki
“Aur Subah ko Musaa(Alayhis Salaam) ki Maa ka Dil Besabr ho gaya Zarur Qarib tha ki Wah Uska Haal Khoul deiti Agar Ham Dhaaras Na Bandhaate Uske Dil par ki Use Hamaare Waade par Yaqin rahe, Aur Uski Maa ne Uski Behan se Kahaa Uske Pichhe Chali Jaa to wah Use Door se deikhti rahi Aur Unko Khabar Na Thi”
(Surah Al Qasas, Aayat-10, 11)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Waalida ko Jab ye Khabar Mili ki Baccha Firoun ke Haath Aagaya to Aapko Bahot Zyada khouf huwa ki kahi Qatl Na Karde Yaa ye ki Aapko Jab ye Khabar Mili ki Firoun ke Haath Taabut Aagaya he to Aapke Housh Ud gaye Lekin ALLAH TA’ALA ne Aapke Dil me Fir Ilqaa’a kiya(Dil me Daal Diya) ki Firoun ki Biwi ne Musaa Alayhis Salaam ko Apna Beita Banaa liya To Aapke Dil ko Tasalli Hui Agar ALLAH TA’ALA Aapke Dil ko Dhaarash Na Bandhaata to ho Sakta he ki Aap Daryaa me Feinkte Waqt Waaveilaa Shuru kar deite ki Haay Meira Baccha… Haay Meira Baccha…ki Pukaar se Loug Khabardaar ho Jaate Yaa Aapko Jab ye Khabar Mili ki Firoun ki Zouja Aaasiyaa Bacche par Maherbaan ho gayi Us Waqt Aap Khushi se Zaahir kar deiti ki Meire Bacche ko ALLAH TA’ALA ne Bachaa liya he Lekin ALLAH TA’ALA ne Aap ko Zaahir karne se Door rakhaa,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen ka Naam ‘Maryam’ tha, ‘kulshum’ Aur ‘Kulsuma’ bhi Bayaan kiyaa gaya he Magar Mashoor ‘Maryam’ he,

Aapki Waalida ne Maryam ko Kahaa ki Jaao deikho Taabut kidhar gaya, Kya Waaqei Firoun ke Haath Aagaya he..?? Unhone Bacche se Kya Suluk kiya.. ?? Maryam Door Door se deikhti rahi Taaki Unhe Pataa Na Chal Sake.

>> Note :-
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Waalida ka Naam ‘Maryam’ Alayhis Salaam tha Aur Unke Waalid ka Naam ‘Imraan’ tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Sagi Bahen ka Naam bhi ‘Maryam’ he Aur Aapke Waalid ka Naam bhi ‘Imraan he’ Baaz Hazraat ne Waham kiya he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Waalida Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen thi, ye Galat he In Dono Ambiya E Kiraam ke Darmiyaan Zamaane ke Aytebaar se Bahot Badaa Faaslaa he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-376)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Dhoodh Na Pinaa :-
Quraane Majeed me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur HAMNE Pehle hi Sab Daaiyaa Uspar Haraam Kar di thi to Boli Kya Mei Tumhe Bataadu Ayse Gharwaale ki Tumhaare Is Bacche ko Paal de Aur wo Iske Kheir-Khwaah he,
(Surah Al Qasas, Aayat-12)

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Tabi’at me Apni Maa ke Dhoodh ke Bageir Tamaam Dhoodh Pilaane waali Aurato se Nafrat Peida kar di thi, Firoun ne Bacche ki Parwarish ke liye Daaya Bulaane ka Hukm Diya, Jo Daaya bhi Aati Aap Alayhis Salaam Uska Dhoodh Na Pite Lekin Bhook ki Wajah se Be-Karaar ho rahe the , Firoun bhi Apni Zouja Aaasiyaa ki Wajah se Bacche ki Haalat se Fikr-Mand tha, Bacche ko Goud me Lekar Tasalliya de Raha tha, Aur Keh rahaa tha ki Kaash koi Aysi Daaya Mil jaaye Jiska Dhoodh ye Baccha Pinaa Shuru kar de, Is Mouqe ko Ganimat Samajhte hue Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen ne Kahaa Me Tumhe Ek Ghar Waalo ka Pataa Bataati hu Jo Is Bacche ki Tarbiyat me koi Kami nahi hone deinge, Jo Iski Parwarish ki Zamaanat deinge, Kisi Qism ki Khayaanat ke Murtakib nahi honge, Khulush se Sab Kaam karenge, Koi Nuqsh Laazim nahi Aane deinge, Aur wo Iske Kheir-Khwaah he,

Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen ne ye Kahaa ki wo Iske Kheir-Khwaah he to Haamaan(Wazir) ne Kahaa ki ye Is Bacche ke Khaandaan ko Jaanti he Ise Pakad lo to Khud Bacche ke Gharaane ka Pataa Chal Jaayega, Us Waqt Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen ne Kahaa Meira Matlab ye he ki Us Gharaane ke Loug Baadshah ke Kheir-Khwaah he, Chunki wo(Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bahen) Khaandaane Nabuwwat ki Ladki thi Uski Zahaanat(Intelligence) Isi Qaabil thi ki Usne Nihaayat Haseen Jawaab de kar Apne Aap ko Aur Apne Bhai ko Bachaa liya, Uska ye Jawaab Soon kar Firoun ne Kahaa Achha Tum Us Aurat ko le Aao Jis ke Muta’alaq Tum keh rahi ho, wo Apni Maa ke Paas Aayi Aur Unhe le Gayi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-377)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Apni Waalida ke Paas Aana :-
Quraane Kareem me ALLAH SUBHAANAHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“To HAMNE Use Uski Maa ki Taraf Feira ki Maa ki Aankh Thandi ho Aur Gam Na Khaaye Aur Jaan le ki ALLAH TA’ALA ka Wada Saccha he Lekin Aksar Loug nahi Jaante
(Surah Al Qasas, Aayat-13)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam Firoun ke Haatho me the, Bhuk Aur Pyaas ki Wajah se Be-Qaraar the, Firoun Aapko Tasalliya de Raha tha, Jabhi Aap Alayhis Salaam ki Waalida Pahonchi to Maa ki Khushbu Sungh kar Fouran Maa ki Taraf Lapke Aur Dhoodh pina Shuru kar Diya, Firoun ne Bade Ta’ajub se Puchha Tum koun ho..?? Is Bacche ne Tumhara Dhoodh Pasand kiya Haalaanki Kitni Daaiya Hamne Talab ki Kisi ka Dhoodh Isne Nahi Piyaa,

Aap Alayhis Salaam ki Waalida ne Jawaab Diya
“Beshak Me Aysi Aurat hu ki Mujh se Khushbu Aati he Yaani Mei Apne Aapko Saaf-Suthraa Rakhti hu, Meira Libaas Saaf-Suthraa hota he, Mei Achhe Qism ki Khushbu Istemaal karti hu Aur Qudrati Khushbu Bhi Meire Jism se Aati he Meira Dhoodh bhi Paakiza, Achha, Khush-Zaaiqa Aur Khushbudaar he, Aaj Tak Meine Jis Bacche ko Dhoodh Pilaya Usne Zarur Meira Dhoodh piya he”,

Firoun ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Aapki Waalida ke Supurad(Hawaale) kar Diya Aur Unka Kharch Bhi Muqarrar kar Diya,

ALLAH TA’ALA ne Aapke Dilme Ek Wada Dala tha ki Tum Is Bacche ko Daryaa me Daal do Mei Tumhaare Paas Ise Waapis Louta Dunga, Us Wade ko ALLAH TA’ALA Ne Puraa Farmaya Taaki Aapki Waalida ko Yaqin ho jaaye ki Jab ye Wada Puraa ho gaya he to ye Baccha RASOOL bhi Zarur Banega, Aksar Loug ALLAH TA’ALA ki Qudrat Aur Uski Hikmat se Be-Khabar he wo ye Nahi Jaante ki Uski Qudrat ke Muqaabil Tamaam Tadbeere Kuchh Heishiyat nahi Rakhti.
(Roohul Ma’ani, Jild-11, Safa-50, 51)
(Tafseere Kabeer, Jild-24, Safa-205)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-377, 378)

Beshak…

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Radd e Baatil Shuru karna :-
Hazrat Musaa Alayhis Salaam Apni Waalida ke Paas Dhoodh Pine ke Zamaane tak rahe, Dhoodh Chhut ne ke Baad Aapki Waalida Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Firoun ke Paas le Aayi Aur Aap Alayhis Salaam waha Palte rahe, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Roz e Awwal se hi Apni Waalida ke Paas Rehne Aur Unki Baate Sunne ka Mouqa Mil gaya tha, Saari Surate Haal(Haqiqat) se Aap Alayhis Salaam Achhi Tarah Aagah ho gaye, Aap Alayhis Salaam ko Apne Jaleelul Qadr Aaabaa’a-Ajdaad(Baap-Dada) ke Mansabe Nabuwwat par Aagaahi ho chuki thi, Aap Alayhis Salaam ne Jab deikha ki Firoun Khuda Ban Beitha he Aur Lougo se Apni Parastish(Pujaa) karaata he to Aapka Touhid-Parast Zahan Us Shirk ko Zyada Arsha Gawara Na kar Saka Aur Aap Alayhis Salaam ke Jalaal Mizaaj ne Firoun ko Us Na-Pasand Harkat par Tokaa Aur Aapne Firoun Aur Firouniyo ki Gumraahi ka Radd Shuru kar Diya, Bani Israaeel Aapki Baat Sunte Aur Aapki Itteba karte Aahista Aahista Iska Charcha ho gaya, Firoun ko bhi Baraah-Raast(Direct) Khudaai Da’we se Touk Chuke the, Is liye Qate Ta’aluq(Ta’aluq Todne) tak Nabuwwat Jaa Pahonchi Aur Aap Alayhis Salaam ko Mujrim Aur Baagi Samjha Jaane laga (Maaz Allah..), Chunanche Uske Shar se Apne Aapko Mehfuz karne ke liye Rupush(Chhup) ho gaye Aur Agar Kisi Zaruri Kaam ke liye Aapko Shahar me Aana Padta to Ayse Waqt Shahar me Aate ki Kaano kaan Kisi ko Khabar Na hoti,

Ek Qoul me he ki Aap Alayhis Salaam ke Shahar me Chhip kar Daakhil hone ki wajah ye he ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Firoun ke Saath Ikhtelaaf ko Zaahir Farma Diya Aur Firouniyo ke Buto Aur Firoun ki Ibaadat ki Mazammat ki To Unki Taraf se Sadeed Radd-e-Amal huwa Jiski Wajah se Aap Alayhis Salaam ne Apne Aapko Mehfuz karne ke liye Poshida(Chhipe) Rehne ki Raah Ikhtayaar ki.
(Tafseere Qurtubi, Jild-7, Safa-260)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-378, 379)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Qibti ko Ghunsaa(Mukka) Maarna :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Us Shahar me Daakhil huwa Jis Waqt Shahar Waale Dophar ke Khwaab me Be-khabar the to Usme 2 Mard Ladte Paaye Ek Musaa(Alayhis Salaam) ke Giroh se tha Aur Dusra Uske Dushmano se to Wah Jo Uske Giroh se tha Usne Musaa(Alayhis Salaam) se Madad Maangi Us par Jo Uske Dushmano se tha To Musaa(Alayhis Salaam) ne Use Ghunsaa Mara to Uska Kaam Tamaam kar Diya Kahaa yah Kaam Shaitaan ki Taraf se huwa Beshak wah Dushman he Khulaa Gumraah karne Wala, Arz ki Ay Meire RABB Meine Apni Jaan par Ziyaadati ki To Mujhe Bakhsh de to RABB ne Use Bakhsh diya Beshak Wahi Bakhshne Wala Maherbaan he, Arz ki Ay Meire RABB Jeisaa Tune Mujpar Ahesaan kiya to Ab Hargiz Mei Mujrimo ka Madadgaar Na Hunga”
(Surah Al Qasas, Aayat-15, 16, 17)

Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Shahar me Daakhil hue to Deikha ki 2 Aadmi Aapas me Dast wa Girebaan he Ek Israaeeli Aur Dusra Qibti, Israaeeli ne Aap Alayhis Salaam ko Madad ke liye Pukara, Aap Alayhis Salaam Aage Badhe ki Qibti ko Dast Daraazi(Ladne) se Manaa Kiya, Aap Alayhis Salaam ne Qibti se kaha ki Israaeeli par Zulm Na karo, Use Chhod do, Lekin Wah Na Mana Aur Bura Bhalaa kehne Lagaa to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Usko Us Zulm se Rokne ke liye Ghunsaa(Mukka) Mara, Use Qatl karne ka Iraada Na tha Lekin wo Mukka Jaan-Leiwa Saabit huwa Aur Uska Qissa Tamaam ho gaya(Yaani wah Mar gaya),

Ek Qoul me Un 2no ke Ladne ki Wajah Bayaan ki he ki wo Qibti Israaeeli ko Lakadiyo ka ek Bhaari Gattha(Lakdi ka Bouj) Uthaane ka Hukm de Raha tha Usne Uthaane se Inkaar kar Diya, Chunanche Us Qibti ne Haakim Qoum ka Fard hote hue Zabardasti Shuru ki, Itne me Hazrat Musaa Alayhis Salaam Tashreef Laaye Aur Israaeeli ne Aap Alayhis Salaam se Faryaad ki Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Uski Fariyaadrasi ki, Mahaz Is liye Nahi ki Fariyaad Karne Wala Israaeeli tha balki Uski Wajah ye thi ki Har Mazlum ki Madad karna Har Deen me Farz he,
(Tafseere Qurtubi, Jild-7, Safa-260)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis, Safa-379)

>➤ Qatl ka Raaz Zaahir hona :-
Quraan Shareef me he ki
“To Subah ki Us Shahar me Darte hue Intezaar me ki Kya hota he Jabhi deikha ki wah Jisne Kal Unse Madad Chaahi thi Fariyaad kar rahaa he Musaa(Alayhis Salaam) ne Usse Farmaya Beshak Tu Khulaa Gumraah he, To Jab Musaa(Alayhis Salaam) ne Chaha ki Us Par Giraft Kare Jo Un Douno ka Dusman he wah Bola Ay Musaa(Alayhis Salaam) Kya Tum Mujhe Veisaa hi Qatl karna Chaahte ho Jeisaa Tumne Kal Ek Shaksh ko Qatl kar Diya Tum yahi Chaahte ho ki Zamin me Shakhtgir Bano Aur Islaah karna Nahi Chaahte”
(Surah Al Qasas, Aayat-18, 19)

Firoun ki Qoum ke Lougo ne Firoun ko Khabar di ki Kisi Bani Israaeeli ne Hamaare Ek Aadmi ko Maar dala he Us Par Firoun ne Kahaa ki Qaatil Aur Gawaaho ko Talaash karo, Firouni Gast karte firte the Aur Unhe Koi Saboot nahi Mila tha, Dusre Din Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Fir Ittefaaq Peish Aaaya ki wahi Bani Israaeel Jisne Ek Din Pehle Unse Madad chaahi thi Aaj bhi fir Ek Firouni se Lad rahaa tha Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko deikh kar Unse Fariyaad Karne lagaa Tab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Beshak Tu Khulaa Gumraah he Yaani Har Rouz Lougo se ladta hi rahta he, Apne Aapko bhi Musibat Aur Pareshaani me Daalta he Aur Apne Madadgaaro ko bhi Aur Ahtiyaat kyu nahi karta, Aap Alayhis Salaam ne Khub Daant ke Tour par Irshaad Farmaya,

Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Us Par Rahem Bhi Aagaya ki Firouni Bade Zaalim he, Lihaza Uski Imdaad karni hi Chaahiye, Jab Aap Alayhis Salaam Aage Badhe ki Apne Aur Bani Israaeeli ke Dushman ki Gifat Kare to Us Bani Israaeeli ne Galat-fehmi me Khouf karte hue Samjha ki Aaj Shaayad Meira Kaam Tamaam karna Chaahte he kaha ki Ay Musaa Alayhis Salaam Aaj Tum Mujhe Qatl karna Chaahte ho Jeise kal Ek Shaksh ko Tumne Qatl kar Diya tha…?,
Uska ye kehna hi tha ki Raaz Khul gaya ki Kal Firouni ko Qatl Musaa Alayhis Salaam ne kiya he, Jab Firoun ko ye Khabar Mili to Usne Musaa Alayhis Salaam ko Qatl karne ka Hukm Naafiz kar Diya Loug Aapko Talaash karne lage.
(Tafseere Khzaainul Irfaan, Safa-465)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-381)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Khabar deina :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Shahar ke Parle Kinaare se Ek Shaksh Doudta huwa Aaya Kahaa Ay Musaa(Alayhis Salaam) Beshak Darbaar waale Aapke Qatl ka Mashwara kar rahe he To Nikal Jaaiye Mei Aapka Kheir-Khwaah(Bhalaa Chaahne Wala) hu”
(Surah Al Qasas, Aayat-20)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Khabar deine Wala ki wo Darbaari loug (Firouni Darbaari) Aapke Qatl ka Mashwara kar rahe he Aur Firoun ne Tumhe Qatl karne ka Feishla bhi kar Diya he wo Shaksh Aaale Firoun se tha, Jo Momin tha Lekin Imaan ko Chipaata tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-381)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Madyan ki Taraf Hijrat karna :-
Quraane Hakeem me he ki
“To Us Shahar se Nikle Darte huwe Is Intezaar me ki Ab Kya hotaa he Arz ki Ay Meire RABB Mujhe Sitamgaaro (Zaalimo) se Bachaa le, Aur Jab Madyan ki Taraf Mutawajjeh huwe Kahaa Qarib he Ki Meira RABB Mujhe Sidhi Raah Bataaye”
(Surah Al Qasas, Aayat-21, 22)

Madyan se Muraad wo Shahar he Jahaa Hazrat Shoaib Alayhis Salaam Tashreef Farmaa the, Us Shahar ko Madyan Bin Ibhraahim ki Taraf Mansub kiya gaya tha, Misr Aur Madyan me 8 Dino ki Doori thi, Is Shahar par Firoun ki Hukmuraani Nahi thi, Isi Wajah se ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ko Ishi Shahar ki Taraf Jaane ki Hidaayat di, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne ye Shahar Is se Pehle Kabhi Na deikha tha Aur Na hi Iska Raasta Jaante the, Koi Sawaari Paas nahi thi Raaste ka koi Kharch Apne Paas nahi tha, Sirf Darakhto ke Patto par Guzar kar ke Aap Alayhis Salaam ne Raaste ki Doori Ko Tay kiya, Raasta Dikhaane ke liye ALLAH TA’ALA ne Jibrail Alayhis Salaam ko Muqarrar Farmaya, Firouni Loug Aapko Talaash Karte rahe Lekin Aap Alayhis Salaam ko Talaash Na kar Sake Kyunki Madyan ko Jaane Waale 3 Raaste the Aap Alayhis Salaam ne Darmiyaani Raah ko Ikhtayaar kiya Aur wo Dusre Raasto par Aapko Talaash kar rahe the, Jab RABB TA’ALA Aap Alayhis Salaam ki Hifaazat kar rahaa tha to wo Aapko Talaash kar bhi keise Sakte the…?
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-11, Hissa-1, Safa-59)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-382)

Beshak…

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam Madyan ke Kunwe par :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Jab Madyan ke Paani par Aaye Wahaa Lougo ke Ek Giroh ko deikha ke Apne Jaanwaro ko Paani Pilaa rahe he Aur Unse Us Taraf Do(2) Aurate deikhi ki Apne Jaanwaro ko Rok rahi he Musaa (Alayhis Salaam) ne Farmaya Tum Dono ka Kya Haal he wo Boli Ham Paani Nahi Pilaate Jab tak Sab Charwaahe Pilaa kar Feir Na le Jaaye Aur Hamaare Baap Bahut Budhe he, To Musaa(Alayhis Salaam) ne Un Dono ke Jaanwaro ko Paani Pilaya Fir Saaye ki Taraf fira Arz ki Ay Meire RABB Me Us Khaane ka Jo Tu Meire liye Utaare Mohtaaz hu”
(Surah Al Qasas, Aayat-23, 24)

Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Madyan ke Ek Kunwe par Pahonche to Deikha ki Loug Kaseer(Zyada) Miqdaar me Kunwe par Jamaa he Jo Apne Apne Jaanwaro ko Paani Pilaa rahe he, Koi Unto ko Paani Pilaa Raha he, Koi Gaay-Bhens ko Aur Koi Bheid-Bakariyo ko Lekin Deikha ki 2 Aurate Ek Taraf Apne Jaanwaro ko Rouk kar khadi he, wo ye Nahi Chaahti ki Taklif karke Aage Badhe(Unke Nazdik Lougo se Paani Haasil Karne me Taklif karna Jahaa Buri Baat thi Wahaa Aurato ka Mardo se Aaazadana Meil-Joul Aur Dhakka-Baazi Haraam thi), wo Apni Kamzori ki Wajah se Door khadi thi ki Kunwe se Paani Nikaalna Zouraawar (Taaqatwar) Mardo ka Kaam tha, Is Par Istemaal hone waale Doul(Bucket) ko 10 Aaadmi Mil kar Nikaalte the Aur Kunwe ke Moonh par Ek Patther Rakh Diya jata tha Use Dhaankne ke liye Aur Hataane ke liye 10 Aaadmi Mil kar Hataate, Niz wo(Aurate) ye bhi Na Chaahti thi ki Unke Jaanwar Dusre Lougo ke Jaanwaro se Mil jaaye ki Unhe Alag Alag karne me Dushwaari (Mushkeli) ho, In Wajah ke Peishe Nazar wo Apne Jaanwaro ko Alag Ek Taraf Rouk kar khadi thi, Lougo ke Faarig(Free) ho kar Chale Jaane ka Intezaar kar rahi thi,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Un Dono Aurato se Puchha ki Tum Ek Taraf Apne Jaanwaro ko Rouk kar kyu khadi ho…??
To Unhone Bataya ki Hamaare Baap Bahot Budhe he Ham Khud Paani Nikaal nahi Sakte Is liye Ek Taraf Khade rehte he ki Loug Apne Jaanwaro ko Paani Pilaa kar Chale jaaye to Jo Paani Houz me Bach Jaaye wo Ham Apne Jaanwaro ko Pilaa le, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Lougo ko Un par Rahem karne ke liye Kahaa Lekin Unhone ne kaha ki Agar Tum Itne Ham-Dard ho to Khud hi Pilaado ye Kehte hue Unhone Mil kar Bhaari Patther Kunwe ke Moonh par Rakh diya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Akele hi Us Patther ko Hataa Diya Aur 10 Aaadmiyo ke Nikaalne waale Doul(Bucket) ko Akele hi Nikaal liya Aur Barkat ki Duaa ki Aur Unki Bakariyo ko Paani ke Qarib kiya, wo Ek hi Doul(Bucket) se Paani Pi kar Seiraab ho gayi,

Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam Ek Taraf Saaye me Beith gaye Aur ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Arz ki Ay ALLAH Mujhe Khana Ataa Farmaa de Kyunki Aap Alayhis Salaam 7 Dino se Sirf Darakhto ke Patte hi khaa rahe the.
(Tafseere Kabeer, Jild-24, Safa-202)
(Roohul Ma’ani, Jild-11, Hissa-1, Safa-64)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-383)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Mulaaqaat :-
Quraane Hakeem me he ki
“To Un Dono me se Ek Uske Paas Aayi Sharm se Chalti hui Boli Meira Baap Tumhe Bulata he ki Tumhe Ujrat de Uski Jo Tumne Hamaare Jaanwaro ko Paani Pilaya he Jab Uske Paas Aaya Aur Use Baate Kah Sunaai Usne Kahaa Dariye nahi Aap Bach gaye Zaalimo se”
(Surah Al Qasas, Aayat-25)

Wo Dono Ladkiya Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Beitiya thi, Jab wo Jaldi Apne Ghar Lout kar Aagayi to Unke Waalid ne Puchha ki Aaj Tum Itni Jaldi keise Aa gayi ho…?? To Unhone Bataya ki Aaj Kunwe par Ek Neik Aur Bahaadur Shaksh tha Jisne Hamaari Bakariyo ko Paani Pilaaya Is liye Ham Jaldi Waapish Aagaye he ki Hame Tamaam Lougo ke Faarig(Free) hone Aur Baaqi Bach Jaane Waale Paani ka Intezaar nahi karna Padha,
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya ki Jaao Aur Us Shaksh ko Bulaa kar Laao…

Us Aurat ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Kahaa ki Aap ko Meire Waalid Bulaa rahe he Taaki Tumhe Ujrat(Mazduri) Ataa Kare Jo Tumne Hamaare Jaanwaro ko Paani Pilaya he, Aap Alayhis Salaam ne Is Baat ko Na-Pasand kiya ki Ujrat leine ke liye Mei Jaau,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam Ujrat leine par to Raazi Na hue Lekin Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Ziyaarat Aur Unki Mulaaqaat ke Iraade se Chale Aur Un Khaatun(Aurat) se Farmaya ki Aap Meire Pichhe rah kar Raasta Bataati Jaaiye, yah Aap Alayhis Salaam ne Parde ke Ehtemaam ke liye Farmaya Aur Is Tarah Tashreef Laaye, Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ke Paas Pahunche to Khaana Haazir tha, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya Bethiye Khana Khaaiye.. Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Manzur Na kiya Aur “Auzobillah(ALLAH ki Panaah) Farmaya…
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Puchha Tumne ye kyu kaha…??
Aap Alayhis Salaam ne Jawaab diya
Hamaare Gharaane ke Loug Apne Deen ko Duniya ke Badle nahi Beichte Aur Kisi Bhalaai ki Koi Qimat nahi liya karte,(Yaani Yah Khana Meire Us Kaam ka Badla Na ho Jo Meine Aapke Jaanwaro ko Paani Pilaa kar Anzaam Diya he, Kyunki Ham wo Loug he ki Achhe Kaam par Ujrat Qabul nahi karte)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya (Yah Khana Aapko Kaam ke Badle me Nahi Balki) Meri Aur Meire Aaaba wa Ajdaad(Baap-Daada) ki Aadat he ki Ham Mehmaano ko Khana khilaate he…
Is Farmaan par Hazrat Musaa Alayhis Salaam Beithe Aur Khaana khaya,

Khana Khaane ke Baad Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Puchha koun ho Aur Kahaa se Aaye ho…??
Aap Alayhis Salaam ne Bataya Mei Musaa Bin Imraan Bin Qaahas Bin Laawi Bin Yaaqub hu, Fir Aap Alayhis Salaam ne Apna Puraa Waaqiya Bayaan kiya, Baccho ka Qatl kiya Jana Aapko Darya me Daal deina Aur Daya ka Talab karna, Aapka Apni Waalida ke Paas Parwarish Pana, Qibti ka Qatl hona Aur Firouniyo ka Aap ko Talaash karna, Tamaam Waaqiya Sunne ke Baad Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya
‘Khouf Na karo Zaalimo se Tumhe Naja’at Mil Sakti he’..
Yaani Hamaare Ilaaqe par Firoun ki Hukumat nahi he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-383, 384, 385)
Subhan Allah…
NABI ki Shaano Azmat ka Anzdaza kijiye ki 7 Dino se Bhuke Lekin 10 Aaadmiyo se Badh kar Zour bhi Moujud he, Safar ki Thakaan bhi Aur Shakht Tapti Dhup me, Lekin Koi Chiz bhi Rukaawat Na ban Saki, Ham-Dardi ki Ek Azeem Misaal Qaayam kardi…

>➤ Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ko Beiti ka Mashwara :-
Quraane Hakeem me he ki
“Unme ki Ek Boli Ay Meire Baap Inko Noukar rakhlo Beshak Behtar Noukar Wah Jo Taaqatwar Amaanatdaar ho”
(Surah Al Qasas, Aayat-26)

Chunki Shoaib Alayhis Salaam ki Beiti Musaa Alayhis Salaam ki Bahaaduri ko deikh chuki thi ki 10 Aaadmiyo ke Nikaalne waale Doul(Bucket) ko Aap Alayhis Salaam ne Akele hi Nikaal liya Aur Bhaari Patther ko Akele hi Kunwe ke Moonh se Hataa Diya Aur Aapke Taqwe ko bhi Deikh chuki thi ki Unse Sawaal karne me Aap Alayhis Salaam ki Nigaahe Nichi thi Aur Unke Saath Chalte hue bhi yahi Kahaa ki Tum Pichhe Pichhe Chalo Mei Aage Chalta hu Tum Mujhe Pichhe se Raasta Bataati Aana,

Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Beiti ne Mashwara Waalid se hi kiya Kyunki Aap Jaanti thi ki Hamaare Waalid Apni Shariyat ke Mutaabiq Kisi Shaksh ko Apne Paas Rakh kar Usse Batoure Mahar Khidmat le kar Hamaara Nikaah Usse Karna he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-385, 386)

>➤ Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Musaa Alayhis Salaam ko Shaadi ki Peishkash :- 
Quraane Kareem me he ki
“Kahaa Mei Chaahta hu ki Apni Dono Beitiyo me se Ek Tumhe Biyaah du Is Mehar par ki Tum 8 Baras Meiri Chaakri karo Fir Agar Pure 10 Baras karlo to Tumhaari Taraf se he Aur Mei Tumhe Mashakkat me Daalta Nahi Chaahta Qarib he In sha Allah Tum Mujhe Neiko me Paaoge, Musaa(Alayhis Salaam) ne kaha Yah Meire Aur Aapke Bich Iqraar ho Chuka Mei In Dono me Jo Miaad Puri kardu to Mujh par Koi Mutaalba(Maang) nahi Aur Hamaare Is Kahe par ALLAH ka Zimma he”
(Surah Al Qasas, Aayat-27, 28)

Hazrat Shoaib Alayhis ka koi Beita nahi tha Is liye Aap Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Saath Rakhna Chaahte the, Lihaza Aapne Munaasib Samjha ki Ek Beiti ka Nikaah Is Neik Shaksh se Kar Diya jaaye, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Mashwara liya ki Agar Tumhaara Nikaah In 2 Beitiyo me se Ek Se Kar Diya jaaye to Kya Tum Mehar ke Badle 8 Saal Tak Hamaari Khidmat kar Sakoge..?? Yaani 8 Saal to Tum par Waajib honge Mazeed 2 Saal Khidmat karna Mustahab hoga wo Tumhaari Marzi par he, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Ise Qabul kar liya Aur Arz kiya ki In 2 Muddato me se Jo bhi Mei Puri karlu Mujhe Yahaa rehne par Mazbur Na kiya jaaye, Is Tarah Dono ke Darmiyaan Ma’ahida(Agreement) Tay ho Jaane ke Baad Nikaah ho gaya Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Mehar Adaa karne ke liye Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ke Ghar Baheshiyat Daamaade Khidmat karni Shuru kardi, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Musaa Alayhis Salaam ko Bakariyo ko Haakne Aur Unhe Darakhto ke Patte Jhaad kar Khilaane ke liye Ek Asaa diya jo Saagoun ke Darkht(Peid) ki Lakdi ka Banaa huwa tha Jo Hazrat Aadam Alayhis Salaam Saath Laaye the Aur Fir Ambiya E Kiraam se Muntaqil hota huwa Hazrat Shoaib Alayhis Salaam tak Pahoncha tha, Ab Musaa Alayhis Salaam ke Paas Aagaya Yahi Asaa Baad me Aapka Mo’ajiza ban gaya.
(Tafseere Madaarik Bahawaala Tafseere Jalaalein, Safa-329)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-386, 387)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ke Paas Kitni Muddat tak rahe..? :-
Hazrat Shoaib Alayhis ne 8 Saal ya 10 Saal Khidmat karne ke Muta’alaq kaha tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne In Dono me se Konsi Muddat Puri ki Uske Baare me He ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Aksar Muddat Yaani 10 Saal Mukammal Khidmat ki thi(Kyunki 8 Saal to Waajib the Aur Upar 2 Saal Mustahab the Jo Paakiza Aur Zyada Sawaab ka Zariya the Is liye Aap Alayhis Salaam ne Zyada Sawaab Waali Muddat ko bhi Yaqinan Puraa kiya) Aur ALLAH TA’ALA Ka RASOOL Jo kehta he Us Par Amal karta he.
(Roohul Ma’ani, Jild-11, Safa-71)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-387)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Misr ke Liye Tashreef le Jana :-
Quraane Paak me he ki
“Fir Jab Musaa(Alayhis Salaam) ne Apni Miaad Puri kar di Aur Apni Bibi ko Lekar Chalaa Toor ki Taraf se Ek Aaag deikhi Apni Ghar Waali Se Kahaa Tum Thehro Mujhe Toor ki Taraf se Ek Aaag Nazar Padi he Shaayad Me Wahaa se Kuchh Khabar Laau ya Tumhaare Liye Koi Aaag ki Chingaari Laau ki Tum Taapo”.
(Surah Al Qasas, Aayat-29)

10 Saal Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Khidmat ke Mukammal kar liye to Aap Alayhis Salaam ne Hazrat Shoaib Alayhis Salaam se Misr Jaane ki Ijaajat Talab ki Taaki Apni Waalida Aur Apne Bhai se Mulaaqaat Kare Aur ye Khayaal kiya ki Qibti ke Qatl ko bhi Kaafi Arsaa Guzar Chuka he Ab Ma’amla Kuchh Thanda ho Chuka hoga, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Aapko Ijaajat de di,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apni Aheliya(Zouja/Biwi) ko Saath liya Ek Sawaari Aur Kuchh Bakariya bhi Saath thi, Mukhtasar Saaman-E-Safar Zaruriyaat ke liye Saath liya Aur Shaam ke Baadshaho ke Khatre ke Peishe-Nazar Aap Alayhis Salaam ne Aam Raaste ko Chhod kar Ek Aur Sharaai Raasta Ikhtayaar kiya,

Aap Alayhis Salaam Raasta Bhul gaye Aur Bakariya Wageira bhi Alag Alag ho gayi Aur Paani Wageira bhi Paas nahi tha, Toor ki Garbi Jaanib (West side) me Jab Aap Alayhis Salaam Pahonche to Jumma ki Raat ko Jo Bahot Zyada Sard (Thand) thi Aap Alayhis Salaam ke Beite ki Peidaaish Hui, Aap Alayhis Salaam ne Toor ki Baai Jaanib Raaste me Aaag deikhi To Apni Zouja ko Kahaa
“Tum Yahaa hi Thehro ki me Wahaa se Aaag ki Chingaari le Aau ya Wahaa se Aaag Silgaa kar Laau Taaki Tum Taap Sako Aur Sardi kam Mahsus ho”,

Aap Alayhis Salaam Jab Aaye to Deikha ki Aaag Aahista Aahista Sho’ale Maar rahi he, Jab Qareeb Aaye to Aaag ne Shiddat(Intensity) Ikhteyaar karli, Bahot Bade Sho’ale Maarne Waali Aaag Nazar Aayi, Azeeb Manzar ye tha ki Aaag Ek Darakht(Peid) se Nikal rahi thi Aaag Jitni Zyada hoti Chali Jaati he Usi Tarah Darkht ke Patte bhi Zyada Sabz(Green) hote Chale Jaate he, Aap Alayhis Salaam Usi Sochh me Kuchh deir tak Gum rahe Aaag ki Shiddat Kahaa Aur Darkht ke Patto ka Sabz hona Kaha..??
Kaafi deir Sochne ke Baad Agarche Zahan ne koi Feishla Na kiya Taaham Khyaal kiya ki Aaag Silgaa kar le Jaau Jab Aap Alayhis Salaam Iraada karte he ki Aaag Silgaau to Aaag Door ho Jaati he Fir Soch me Gum ho Jaate he.
(Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-1, Safa-165)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-387, 388)

ALLAHU AKBER…

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam Tuwaa me :-
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Fir Jab Aaag ke Paas Haazir huwa Pukaar ki gayi Meidaan ke Daaye Kinaare se Barkat Waale Maqaam Me Peid se ki Ay Musaa Beshak Mei hi hu ALLAH, RABB Saare Jahaa ka”
(Surah Al Qasas, Aayat-30)

Ek Aur Jagah Irshaad Farmata he
“Ay Musaa, Beshak Mei Teira RABB hu To Tu Apne Jute Utaar Daal Beshak Tu Paak Jangal Tuwaa me he”
(Surah Taahaa, Aayat-12)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aaag ke Azeeb Manzar ki Soch me Gum the ki Aap Alayhis Salaam ko Aaawaz di gayi
“Ay Musaa, Beshak Mei Teira RABB hu To Tu Apne Jute Utaar Daal Beshak Tu Paak Jangal Tuwaa me he”

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Apne Fazl wa Karam se ye Ilm de Diya ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Aaawaz ko Soon kar Samajh liya Aur Yaqin kar liya ki ye Meire RABB ki Aaawaz he, ALLAH TA’ALA ki Aaawaz Kisi Makaan se Nahi Aa rahi thi Wo Makaan se Paak he Us Aaawaz ki Kefiyat ko bhi Bayaan nahi kiya Ja Sakta,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Darakht(Peid) se Aaasmaan ki Taraf Uthne Waale Noor ko Deikha Aur Usme Farishto ki Tasbihaat ko Soona Aur Aap Alayhis Salaam ko Jab ye Aaawaz di gayi to Aap Alayhis Salaam Aaankho par Haath Rakh kar Arz kiya Labbeik Me Haazir hu Mei Teiri Aaawaz to Soon rahaa hu, Tujhe Deikh nahi Raha, Tu Kahaa he…??
RABB TA’ALA ki Taraf se Aaawaz Aayi
“Mei Tumhaare Paas hu, Tumhaare Saamne hu, Tumhaare Pichhe hu, Tumhaara Aehaata kiye hue hu Aur Tum se bhi Tumhaare Zyada Qarib hu”,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Tamaam Was-wasaat ko Baalaaye Taaq Rakhte hue Kahaa
Mei ALLAH TA’ALA ki Aaawaz ko Apne Upar se Aur Apne Nichhe se Aur Apne Pichhe se Aur Apne Daai Taraf se Aur Apni Baai Taraf se Ayse hi Soon rahaa hu Jeise Saamne se Soon Raha hu, Mujhe Yaqin ho gaya ye Kalaam Makhluq me se Kisi ka Bhi Nahi ho Sakta..

“Ay Musaa, Beshak Mei Teira RABB hu To Tu Apne Jute Utaar Daal”
Ek To Iska Mashoor wa Ma’aruf Matlab ye he ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam Paakiza Jagah Aagaye he Jahaa Meiri Tajalliyaat ka Zahur ho Raha he Aur Mei Tumse Ham Kalaam hu Is liye Adab ka Taqaaza ye he ki Tum Apne Jute Utaar do,

Ek Aur Wajah Jute Utaarne ki ye thi ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Jute Utaarne ka Hukm Is liye Diya gaya tha ki Aap Alayhis Salaam ke Qadmo ko Us Sar-Zamin ki Barkat Haasil ho jaaye
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-17)

Ek Aur Wajah ye bhi Bayaan ki gayi he ki
Khwaab me Jutaa deikhne se Muraad Zouja Aur Aulaad liya jata he Ab Ma’ani ye hoga ki Aap Apne Dil me Zouja Aur Bacche ka Khyaal Na rakhe, Unki Taraf Mashgul Na ho, Balki Khaalis Tawajjo Meiri Zaate Kibriyaai ki Taraf ho, Aur Matlab ye bhi ho Sakta he ki Duniya Aur Aakhirat ko Chhod do Goya ki Aap ko Hukm Diya gaya ki Aap ka Dil ALLAH TA’ALA ke Siwaa Kisi ki Taraf Tawajjo Na kare Balki Mukammal Tour par Tum ALLAH TA’ALA ki Ma’arefat me Apne Dil ko Dubaa do.
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-17)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-389, 390)

Subhan Allah…
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Is Waaqiye se Imaan Taaza ho gaya…

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ke Irshaadaat :-
Quraane Hakeem me ALLAH RABBUL IZZAT Irshaad Farmata he
“Aur Meine Tujhe Pasand kiya Ab Kaan Lagaa kar Soon Jo Tujhe Wahi Hoti he, Beshak Mei hi hu ALLAH ki Meire Siwaa Koi Ma’abud nahi to Meiri Bandagi kar Aur Meiri Yaad ke liye Namaaz Qaayam Rakh, Beshak Qayaamat Aane Waali he Qarib tha ki Mei Use Sabse Chhipaau ki Har Jaan Apni Koshis ka Badlaa Paaye, To Hargiz Tujhe Uske Maanne se Wah Baaz Na Rakhe Jo Us Par Imaan Nahi Laata Aur Apni Khwaaish ke Pichhe Chalaa Fir Tu Halaak ho Jaaye”
(Surah Taahaa, Aayat-13, 14, 15, 16)

RABB TA’ALA ne Farmaya Musaa Meine Apni Risaalat wa Nabuwwat ke liye Tumhe Tamaam Lougo Aur Tumhaari Qoum se Chun liya he, Is liye Ab Mei Tumhe Wahi karne Lagaa hu Tum Kaamil Tawajjo se Sunna,
RABB TA’ALA ke Is Hukm ko Sunte hi Hazrat Musaa Alayhis Salaam Ek Patther par Khade ho gaye Aur Ek Patther se Sahaara Lagaa liya, Apne Daaye Haath ko Dusre Haath par Rakha Apni Thodee ko Apne Sine se Lagaaya Aur Kaamil Tariqe se ALLAH TA’ALA ke Kalaam ko Sunne ki Taraf Mutawajjeh ho gaye,

Fir ALLAH TA’ALA ne Sabse Pehle Apni Wahdaaniyat ka Zikr Farmaya Kyunki Uski Zaat wa Sifaat par Imaan Lana Asal-ul-Usul(Sab Usulo ki Asal) he, Fir Apni Ibaadat karne ka Hukm Diya, Fir Namaaz ka Hukm Diya ki ye Meiri Yaad ka Zariya he, Fir Qayaamat ka Zikr Farmaya Kyunki Jise ye Yaqin hoga ki Qayaamat Aaani he Aur Neikiyo Aur Buraaiyo ka Hisaab hona he wahi Shaksh Imaan laayega Aur Ibaadat bhi Karega Aur Hurmaat se Ijtenaab bhi Karega, Fir Qayaamat ko Mukhaffi(Secret) Rakhne ka Zikr Farmaya Is liye ki Agar Waqt Bataa Diya jata to Loug Kehte Abhi Qayaamat Door he, Dusre Maqaam par Qayaamat ke Qarib hone ka Zikr Farmaya, Yaqinan Qayaamat Qarib he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-390, 391)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Mo’ajizaat Ataa hona :-
Quraane Majeed me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Yah Teire Daaye Haath me Kya he Ay Musaa, Arz ki Yah Meira Asaa(Laathi) he Mei Is Par Sahaara Lagaata hu Aur Isse Apni Bakariyo par Patte Jhaadta hu Aur Meire Isme Aur Kaam he, Farmaya Ise Daal de Ay Musaa, To Musaa(Alayhis Salaam) ne Daal Diya to Jabhi Wah Doudta huwa Saanp ho gaya, Farmaya Ise Uthaa le Aur Dar nahi Ab Ham Ise Fir Pahle ki Tarah kar deinge, Aur Apna Haath Apne Baazu se Milaa Khub Safeid Niklega Be Kisi Marz ke, Ek Aur Nishaani ki Ham Tujhe Apni Badi Badi Nishaaniya Dikhaaye”
(Surah Taahaa, Aayat-17, 18, 19, 20, 21, 22, 23)

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Puchha Tumhaare Daaye Haath me Kya he…??
Isme Hikmat ye thi ki Aap Alayhis Salaam Jab Jawaab deinge ki ye Asaa(Laathi) he to Fir Asdaa(Ajgar/Dragon) Banne par Aap ko Koi Khouf nahi hoga ki ye to wahi Asaa he Jo Abhi Meine Feinka tha,
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-24, 25)

Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Arz ki Mei Is Par Sahaara Lagaata hu, Is se Patte Jhaad kar Apni Bakariyo ko Khilata hu Aur bhi Is se Mei Munaafe(Profit) Haasil Karta hu..

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Asaa ko Jab Zameen par Dala to wo Saanp (Snake) ban gaya,
Jab Aap Alayhis Salaam Asaa ko Feinkte to Ibtedaai(Shuruaati) Tour par wo Baarik Saanp ban jata Fir Aahista Aahista Feilta jata Aur Bada Asdaa(Ajgar/Dragon) Ban Jata, ya Surat ye thi ki wo Jism ke Lihaaz par to Bahot Badaa Saanp(Asdaa) Ban Jata Lekin Doud Aur Furti me Baarik Saanp ki Tarah hota,
(Tafseere Kabeer, Jild-22)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Ek Mo’ajiza ye Ataa huwa ki Aap Alayhis Salaam Apne Asaa ko Zameen par Daalte he to wo Asdaa(Ajgar/Dragon) ban jata he Aur Jab Use Pakad te he to wo Fir Apni Asali Haalat ki Taraf Lout kar Asaa ban Jata he, Dusra Mo’ajiza Aap Alayhis Salaam ko ye Ataa huwa ki Aap ko Apne Daaye Haath ko Bagal ke Niche Baazu se Lagaate Aur Fir Baahar Nikaalte to wo Safeid Chamakdaar ho jata Jo Nazro par Chha jata.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-392, 393)

>> Note :-
Hazrat Musaa Alayhis Salaam se ALLAH TA’ALA ke Kalaam ko Aaam Lougo ke Saamne Zaahir kar Diya gaya ki RABB TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam se Kya Farmaya Aur Aap Alayhis Salaam ne Kya Arz kiya Lekin Jo Baate Hamaare HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Aur ALLAH TA’ALA ke Darmiyaan Hui wo HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Aur ALLAH TA’ALA ke Darmiyaan Raaz ki Baate thi Makhluq se koi Iska Ahal hi Nahi tha ki Use Bataya Jata.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-392)

>➤ Firoun ko Islaam ki Da’awat ka Hukm :-
Quraane Hakeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Firoun ke Paas Jaa Usne Sar Uthaya”
(Surah Taahaa, Aayat-24)

ALLAH TA’ALA ne Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Risaalat wa Nabuwwat ke Mansab par Faaiz kar Diya to Hukm Diya ki Ay Musaa Firoun ke Paas Jaao Use Meiri Wahdaaniyat par Imaan Laane ka Hukm do, wo Duniya ki Ne’amato ki Wajah se Meire Huquq ka Inkaar kar Chuka he, Meiri KHUDAAI ka Munkir he, Usne ye Samajh Rakha he ki Mei Us se Gaafil hu, Qasam he Mujhe Apni Izzat ki Agar Meine Bando ko Mohallat Na de rakhi hoti to wo Meiri Giraft me Kab ka Aaa Chuka hota Aur Meire Gazab ki Wajah se Zameen wa Aaasmaan, Pahaad, Daryaa Wageira Sab Chize Us par Gazab me hoti, Ab Us Par Meiri Giraft ka Waqt Aa Chuka he, Tum Use Bataao ki ALLAH Ek he Uske Bageir Koi Ma’abud nahi Tu Apne Rabb hone se Touba karle Agar wo Raahe-Raasta par Aagaya to Behtar, warna Use Tabaah wa Barbaad kar Diya jaayega.
(Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-1 Safa-181)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-393, 394)

ALLAHU AKBER..

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Duaa karna Aur Duaa ka Qabul hona :-
Quraane Paak me he ki
“Arz ki Ay Meire RABB Meire liye Meira Sinaa Khoul de, Aur Meire Liye Meira Kaam Aaasaan kar, Aur Meiri Zabaan ki Girah Khoul de, ki Wah Meiri Baat Samjhe, Aur Meire liye Meire Ghar Waalo me se Ek Wazir Karde, Wah Koun Meira Bhai Haarun, Usse Meiri Kamar Mazbut kar, Aur Use Meire Kaam me Sharik kar, ki Ham Ba-Kasrat Teiri Paaki Bole, Aur Ba-Kasrat Teiri Yaad Kare, Beshak Tu Hame Deikh rahaa he, Farmaya Ay Musaa Teiri Maang Tujhe Ataa Hui”
(Surah Taahaa, Aayat-25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34, 35, 36)

Iski Wajah ye thi ki (Bachpan me) Firoun ne Aap Alayhis Salaam ko Ek Martaba Uthaya huwa tha Aap Alayhis Salaam ne Uski Daadhi ko Pakad kar Khinch liya Chunki wo Apni Daadhi me La’l wa Jevraat Sajaa kar Rakhta tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Uski Daadhi Khinchne ki Wajah se Gussa me Usne Aapko Thappad Maar Diya Aur Kahaa ki ye hi Meira Dushman he Ek Talwaar waale Shaksh ko Bulaa kar Aap Alayhis Salaam ko Qatl karna Chaha to Uski(Firoun ki) Zouja Aasiya Jo Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Mohabbat karti thi kehne lagi ye Baccha he Isne to Tumhaare Jevraat Deikh kar Khinch liya he, Ise Abhi Yaaqut Aur Aaag ke Angaaro me Tameez karne ki Salaahiyat bhi Haasil nahi, Firoun ne Kahaa thik he.. deikhte he ki ye Samajdaar he ya nahi,
Dahekti Aaag ke Angaare Aur Yaaqut Aapke Saamne Rakh diye Aap Alayhis Salaam ne Apna Haath Yaaqut ki Taraf Badhaana Chaha tha ki Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Haath ko Aaag ke Angaaro ki Taraf Badhaya Jab Aap Alayhis Salaam ko Aaag Garam lagi to Aap Alayhis Salaam ne wo Chingaari Moonh me Daal li Jisse Aapki Zabaan Kuchh Jal gayi Aur Luknat(Ruk Ruk kar Bolna) Peida ho gayi, Aap Alayhis Salaam Isi ke Zawwal(Demise) ki Duaa ki Taaki Loug Aapki Baat ko Aaasani se Samaj Sake, Isi Wajah se Aapne Apne Bhai ki Madad ki Darkhwaast ki ke wo Mujh se Zyada Fasih Zabaan he..

Lekin Khyaal rahe ki Duaa karte Waqt ye hi Haalat thi ki Haarun Alayhis Salaam ki Zabaan me Koi Luknat nahi thi wo Kalaam Saaf karte the Aur Unka Andaaze Bayaan Fasih huwa karta, Unki Baat Aaasani se Samajh leite Lekin Musaa Alayhis Salaam ki Zabaan ko Samajh ne me Lougo ko Mushkil Darpeish Aati Jab Aap Alayhis Salaam ne Duaa ki Aur RABB TA’ALA ne Use Qabul Farma kar ye Musda Farmaya
“Ay Musaa Teiri Maang Tujhe Ataa Hui”..
To Aap Alayhis Salaam ki Zabaan Mukammal Sahi ho gayi, Aap Alayhis Salaam ko Haarun Alayhis Salaam se Zyada Fasaahat Haasil ho gayi Lekin Aap ne Duaa me Hazrat Haarun Alayhis Salaam ki Jo Madad Talab ki thi wo bhi Qabul ho gayi Yaani ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ki Zabaan ko Durust Farma kar Mazeed Ahesaan Farmaate hue Aap ko Haarun Alayhis Salaam ki Ma’awnat bhi Ataa Farmaadi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-394, 395)

>➤ Dono Bhaiyo ko Hukm E ILAAHI :-
Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Meine Tujhe Khaas Apne Liye Banaaya, Tu Aur Teira Bhaai Dono Meiri Nishaaniya Lekar Jaao Aur Meiri Yaad me Susti Na karna, Dono Firoun ke Paas Jaao Beshak Usne Sar Uthaya, To Usse Narm Baat Kahna Is Ummid par ki Wah Dhyaan Kare ya Kuchh Dare”
(Surah Taahaa, Aayat-41, 42, 43, 44)

Dono Bhaiyo ko Firoun se Narm Kalaam karne ka Hukm Diya ki wo Tumhaari Shakht Guftagu se Tish me Aakar Tumhaare Liye Musibat Na ban jaaye, Aur Tumhaari Wajah se Jo Dusro ko Ta’alim Haasil Honi he Uska Maqshad bhi Na Fout ho jaaye, Har Muballig ke liye Isme Rehnumuaai he, Muballig ka Kalaam Narm hona Chaahiye ki Jab Bole to yu Ma’alum ho ki Uske Moonh se Fool Jhad rahe he yaa Sahad Aur Doodh ki Nehre bah rahi he, Agar Uska Shakht Kalaam hoga to Loug Usse Nafrat karenge Aur Usse Door Bhaag Jaayenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-396)

>➤ Firoun ka Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Kalaam karna :-
Quraane Majeed me he ki
“Bolaa Kya Hamne Tumhe Apne Yahaa Bachpan me na Paala Aur Tumne Hamaare Yahaa Apni Umr ke Kayi Baras Guzaare, Aur Tumne kiya Apna Wah Kaam Jo Tumne kiya Aur Tum Naashukre the, Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya Meine Wah Kaam kiya Jabki Mujhe Raah ki Khabar Na thi, To Mei Tumhaare Yahaa se Nikal gaya Jabki Tum se Daraa To Meire RABB ne Mujhe Hukm Ataa Farmaaya Aur Mujhe Peigambaro se kiya, Aur Yah Koi Ne’amat he Jiska Tu Mujh par Ahsaan Jataata he ki Tune Gulaam Banaa kar Rakhe Bani Israaeel”
(Surah Ash-Shu’araa, Aayat-18, 19, 20, 21, 22)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne 12 Saal ki Umar me Qibti ko Mukka Mara tha Jisse wo Mar gaya Aur Aap Alayhis Salaam Madyan Chale gaye, Firoun ne Kahaa Hamne Tumhe Bachpan me Paala Aur Itni Umar tak Hamaare Paas rahe, Hamaari Ne’amate khaate rahe Lekin Tumne Un Ne’amato ki Na-Shukri ki he Aur Hamaare Ek Aadmi ko Maar dala, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Qatl karne ka Meira Koi Iraada Na tha Sirf Us Shaksh ko Adab Sikhana Maqsud tha Lekin wo Be-Iraade Qatl ho gaya, Uski Achaanak Mout par Mujhe Mujrim nahi Thehraya Ja Sakta tha Aur Naa hi Mujhe Shahar ko Chhod kar Jaane ki Zarurat thi Lekin Jab Tumne Galat Feisla kar Diya tha ki Mujhe Qatl karne ka Hukm de Diya To Meine Apni Jaan ke Khouf se Shahar Chhod kar Chalaa gaya,

Aur Aage Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Ab Mei Tumhaare Paas ALLAH TA’ALA Ka Peigaam le kar Aaya hu, ALLAH TA’ALA ne Mujhe RASOOL Banaa kar Bheija he, Yaqinan Meira Mansab wahi hoga Jo Sab Ambiya Alayhis Salaam ko Haasil rahaa,
Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya ki Tu Mujhe ye Ahesaan jataa rahaa he ki Tune Meiri Tartib ki, Haalaanki Tune Saare Bani Israail ko Apna Gulaam Banaa Rakha tha,

Fir ye ki Tune Mujhe Konsi Ne’amate Apni Taraf se di he..?? Mujh par Maal to wahi Kharach kiya Jo Meiri Qoum se Baheshiyate Gulaam Wasul kiya jata he, Fir Tujhe ye Khyaal kyu nahi Aata ki Tune Meire Khaandaan ke Laakho Aaadmiyo se Har Mushkil Kaam liya Aur Unpar Jizya(Tex) Muqarrar kiya, Us Khaandaan ke Ek Bacche ki Tarbiyat ka Ahesaan Jatlaana Tujhe Zeib(Shobha) nahi deita, Mujhe Paalne waale bhi to Meire Apne Loug hi the ya Meiri Maa ne Mujhe Paala he ya Meire Khaandaan ke Lougo ne, Tum to Mujhe Qatl karna Chaahte the Meiri Wajah se To Tumne Meiri Qoum ke Hazaaro Bacche Zabah karaa diye, ye Meiri Tarbiyat Aur Mujhe Zabah hone se Bachana to Sirf Meire RABB TA’ALA Ka Mujh par Fazl he, Warna Teire Ahesaano se to Teire Zulm Zyada he, Teire Zulm ne Teire Ahesaan Tabaah wa Barbaad karke Rakh diye he, Ab Tu Kis Wajah se Ahesaan Jatlaa rahaa he..?
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-126)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-397)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Hukm E ILAAHI ko Farmaya :-
Quraane Paak me he ki
“To Uske Paas Jaao Aur Usse Kaho ki Ham Teire RAB ke Bheije hue he to Yaaqub ki Aulaad ko Hamaare Saath Chhod de Aur Unhe Taklif Na de Beshak Ham Teire Paas Teire RABB ki Taraf se Nishaani Laaye he Aur Salaamati Use Jo Hidaayat ki Peirvi Kare, Beshak Hamaari Taraf wahi Hui he ki Azaab Us Par he Jo Jhutlaaye Aur Moonh feire, Bola to Tum Dono ka KHUDA Kon he Ay Musaa, Kahaa Hamaara RABB Wah he Jisne Har Chiz ko Uske Laayaq Surat di Fir Raah dikhaai”
(Surah Taahaa, Aayat-47, 48, 49, 50)

Bani Israaeel par Misr me Bade Bade Zulm ho rahe the, Be-Zabaan Choupaayo ki Tarah Unse Din bhar Mashakkat ke Kaam liye Jaate Aur Unse Har Tarah ka Zillat Wala Suluk kiya jata, ALLAH TA’ALA ne Unki Fariyaad Suni Aur Unko Gulaami ki Zanjiro se Aaazad karaane ke liye Apne Do Bando ko Rawana Farmaya,
Misri Loug Suraj ko Badaa Khuda Yaqeen karte the Aur Misr ke Tamaam Firoun Apne Aapko Us Suraj ka Awtaar Kehte the, Isi Tarah Misriyo ke Mazhabi Aqeede ka Sahaara Lekar Unhone Apni Hukumat ki Buniyaade Mustahkam kar rakhi thi, Firoun bhi Apne Aapko RABB(Suraj) ka Mazhar Samajhta,

Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam ne Farmaya Ay Firoun Ham Dono Teire RABB ki Taraf se RASOOL ban kar Aaye he..
To wo Chounka Aur Bad-Badaaya,
Hei…!! Meira bhi Koi RABB he..?? Sab Misriyo ka Mei Rabb hu, Meira Koi RABB nahi ho Sakta Musaa Galat Keh Rahaa he..

Usne Puchha Zara Us RABB ki Haqiqat Bataao Jisne Tumhe RASOOL Banaa kar Bheija he, Aap Alayhis Salaam ne Jawaab Farmaya Meira PARWARDIGAAR wo he Jisne Qaayenaat ki Har Chiz ko Is Tarah Peida kiya ki wo Apna Wazifa Hayaat Aur Maqsade Takhleeq Ba-Hasan wa Khubi Adaa kar Sake, Fir Use Itni Sujh-Bujh bhi Ataa kardi ki wo Sahi Tour par Un Quwwato se Kaam le Sake, Parindo ko Par Bakhshe Aur Fir Unhe Udaane ka Saliqa bhi Khud hi Sikhaa Diya, Machhali ko Aysaa Jism Diya ki wo Gehre Daryaao Aur Toofaani Samandaro me Teir Sake Aur Saath Usne Teirne ka Dhang bhi Bataya, Gosht-Khour Darindo ke Niche Aur Daant Banaaye ki wo Apna Shikaar Pakad Sake, Unt ki Qaamat ko Buland kiya Aur Uski Gardan bhi Lambi banaadi Taaki Unche Darakhto ke Patte bhi Khaa Sake Aur Nichhe Zameen se Gardan Jhuka kar Paani pi Sake, Sahraav me Jahaa Paani ki Satah Bahot Niche hoti he Wahaa Jo Darakht Ugaaye Unki Jade Itni Lambi Banaadi ki Wah Zameen ki Teh se Utni Khouraak Haasil kar sake, Har Khitta Zameen me Peida hone waale Heiywaanaat ko Wahaa ke Makhsus Mousam Taqaazo ke Muta’abiq Libaas bhi Diya Aur Rizq bhi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-397, 398)

>➤ RABB TA’ALA ki Wahdaaniyat Aur Rabubiyat ka Saboot Peish karna :-
Quraane Kareem me he ki
“Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Aasmaano Aur Zamin ka Aur Jo Kuchh Unke Bich me he Agar Tumhe Yaqin ho, Apne Aas-paas Waalo se Bola Kya Tum Gour se Sunte nahi, Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Tumhaara Aur Tumhaare Agle Baap-Daadao ka, Bola Tumhaare ye RASOOL Jo Tumhaari Taraf Bheije gaye he Zarur Aql nahi Rakhte, Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Mashriq(Purab) Aur Magrib(Paschim) ka Aur Jo Kuchh Unke Bich he Agar Tumhe Aql ho”
(Surah Ash-Shu’araa, Aayat-24, 25, 26, 27, 28)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Aysa Hikmat Bharaa Jawaab Diya Jise wo Samajhne ki Koshis karta to Samajh jata,

Us Waqt Uski Qoum ke Bade Bade Sardaar jo 500 ki Taadaad me Zarq-Barq Libaas se Aaarasta ho kar Beithe hue the, Unse Firoun ne kahaa Kya Tum Gour se Musaa (Alayhis Salaam) ki Baat nahi Sunte ho..? ye kehta he Zameen wa Aaasmaan ko Bhi Peida karne Wala he Haalaanki Zameen wa Aaasmaan Qadeem he, Unhe to Kisi ne Nahi Peida kiya, Unke liye RABB ki Kya Haajat he.??
(Maaz Allah..)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unki Baate Soon kar Aysi Chize Zikr Farmaayi Jinka Haadis hone(Yaani Pehle Na hone Fir Fanaa ho Jaane waali Chize) ka wo bhi Inkaar Nahi kar sakte the,
“Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Tumhaara Aur Tumhaare Agle Baap-Daadao ka, (Firoun) Bola Tumhaare ye RASOOL Jo Tumhaari Taraf Bheije gaye he Zarur Aql nahi Rakhte”

Firoun Apne Siwaa Kisi ko Ma’abud Na Samajhta tha, Taz ke Tour par kaha Ye RASOOL Jo Tumhaari Taraf Bheije gaye Ye Khud Jo RASOOL hone ka Daa’wa Kar rahe he ye Aql se Door he..(Maaz Allah..)
Firoun Us Shaksh ko Aql se Door Samajhta tha Jo Use Ma’abud nahi Maanta tha, Haqiqat ye he ki Aysi Guftagu Insaan Us Waqt karta he Jab Dalaail se Aajiz Aaa jaaye Lekin Nabi ki Azmat ko deikhiye Aap Alayhis Salaam Apne Dalaail Fir bhi Jaari rakhe hue he, wo Aap ko Majnun, Diwana Keh Raha he Lekin Aap Alayhis Salaam RABB TA’ALA ki Rabubiyat ko Apne Dalaail se Bayaan Farma rahe he
“Musaa(Alayhis Salaam) ne Farmaya RABB Mashriq(Purab) Aur Magrib (Paschim) ka Aur Jo Kuchh Unke Bich he Agar Tumhe Aql ho”

Mashriq se Suraj ko Har Rouz Tulu’a karna, Magrib me Gurub karna Aur Saal me Har Mousam Har Bahaar ka Apne Waqt par Aaana, Baarishe Barsana, Hawaao ka Chalaana, ye Sab Kuchh Uske Nizaame Qudrat me he, Kaash ki Tumhe bhi Kuchh Samajh Aaa Jaaye, Firoun ne Aap Alayhis Salaam ko (Maaz Allah) Majnun Keh kar Apni Himaaqat ka Shabut Diya Lekin Aap Alayhis Salaam ne Hikmat Aaamiz Jumla Zikr Farmaya ki Agar Tumhe Aql ho Yaani ALLAH TA’ALA ki Qudrat Uski Rabubiyat Aur Uski Wahdaaniyat ko Tasleem Na karna Tumhaari Himaaqat par Dalaalat kar rahaa he.
(Tafseere Khazaainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-399, 400)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Mo’ajiza :-
Quraane Azeem me he ki
“Bola Agar Tumne Meire Siwaa Kisi Aur ko Khuda Thehraya to Mei Zarur Tumhe Qeid kar Dunga, Farmaya Kya Agarche Mei Teire Paas Roushan Chiz Laau, Kahaa to Laao Agar Sacche ho, To Musaa(Alayhis Salaam) ne Apna Asaa Daal Diya Jabhi Wah Saaf Khula Azgar ho gaya, Aur Apna Haath Nikala to Jabhi Wah Deikhne Waalo ki Nigaah Me Jagmagaane Lagaa”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-29, 30, 31, 32, 33)

Firoun ki Qeid Qatl se bhi Badtar thi Uska Jeil-khana Tang, Andhera, Gehra Gaddha tha, Usme Akela Daal deita tha Na waha Koi Aaawaz Sunaai deiti thi Na Kuchh Nazar Aata tha,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA ne Mujhe Mo’ajizaat Ataa Farmaaye hei Jo Meiri Nabuwwat par Dalaalat kar rahe hei,

Firoun ne kaha to Laao Agar Sacche ho..

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Apna Asaa Zameen par Dala to wo Bahot Badaa Azgar ban gaya, Rang Uska Zard(Yellow) tha Uske Jism par Baal the, Moonh Khoula huwa tha, Uske Dono Jabdo ke Darmiyaan 80 Zarra’a(120 Fit) ka Faasla tha, Wo Apni Dum par Khadaa ho gaya Aur 1 Meel tak Buland ho gaya, Usne Apna Nichhe Wala Jabdaa Zameen par Rakha Aur Upar Wala Firoun ke Mahal ki Diwaaro par, Firoun ki Taraf Mutawajjeh huwa Taaki Use Pakde, Firoun ne Takht se Nichhe Chhalaang Lagaayi Aur Uski hawaa Khaarij hone lagi,

Baaz Riwaayat me he ki Uski 400 Martaba Us Din hawaa Nikali Aur Marte Dam tak Isi Wajah se Peit ki Bimaari me Mubtila Raha, Isi Haal me Garq ho gaya,
Jab Azgarne Lougo ki Taraf Rukh kiya to Lougo ne Darke Maare Idhar-Udhar Bhaagna Shuru kiya, Is Bhagdoud ki Wajah se 25,000 Aadmi Ek Dusre par Gir kar Mar gaye, Firoun ne Chillaana Shuru kiya Aur kehne Lagaa Ay Musaa Alayhis Salaam Isko Pakdo Mei Tum par Imaan le Aaunga Aur Bani Israaeel ko Tumhaare Saath Bheij Dunga, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Pakda to wo Fir Apne Haal par Lout Aaya Yaani Asaa ban gaya.
(Roohul Ma’ani, Jild-5, Safa-20)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-400, 401)

Subhan Allah..

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Dusra Mo’ajiza :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Apna Haath Nikala to Jabhi Wah Deikhne Waalo ki Nigaah Me Jagmagaane Lagaa, Bola Apne Gird ke Sardaaro se ki Beshak Ye Jaankaar Jaadugar hei, Chaahte hei ki Tumhe Tumhaare Mulk se Nikaal de Apne Jaadu ke Jour se Tab Tumhaari Kya Salaah he, wo Bole Inhe Aur Inke Bhai ko Thehraye raho Aur Shahro me Jamaa karne waale Bheijo, ki wo Teire Paas le Aaye Har Bade Jankaar Jaadugar ko”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-33, 34, 35, 36, 37)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Apna Ek Mo’ajiza dikha Diya to Firoun ne kaha kya Aur Bhi Tum Nishaani Laaye ho to Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Haa Aap Alayhis Salaam ne Apne Haath ko Bagal me le kar Baahar Nikala to wo Suraj ki Kirno ki Tarah Chamak ne Lagaa,

(Subhan Allah…)

Firoun ne Jab Apne Gird Beithe hue Sardaaro ko Kahaa ki ye to Jaadugar he to Unhone bhi Firoun ki Haa me Haa Milaate hue Kahaa Haa Aysaa hi he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-401)

>➤ Firoun ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Muqaable ke liye Kahaa :-
Quraane Majeed me he ki
“Bola Kya Tum Hamaare Paas Is liye Aaye ho ki Hame Apne Jaadu ke Sabab Hamaari Zamin se Nikaal do Ay Musaa, To Zarur Ham Bhi Tumhaare Aage Veisa hi Jaadu Laayenge To Ham me Aur Apne me Ek Wada Thehra do Jisse Na Ham Badla le Na Tum Hamwaar Jagah ho, Musaa(Alayhis Salaam) ne Kahaa Tumhaara Wa’da Meile ka Din hei Aur Yah ki Loug Din Chadhe Jamaa kiye Jaaye”
(Surah Taahaa, Aayat-57, 58, 59)

Firoun ne Kahaa Tum Apne Jaadu se Hame Hamaari Zameen se Nikaalna Chaahte ho..??
Ham bhi Apne Jaadugar Bulaate he wo Tumhaare Saath Muqaabla karenge Lihaza Tum Hamaare Saath Ek Din Aur Ek Jagah Muqarrar kar lo Taaki Us Din Jo Hamwaar Meidaan ho, Sab Loug ye Muqaabla deikhe,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Thik he Tum Apne Meile ka Din Muqarrar karlo Is liye ki Tumhaare Tamaam Loug Us Din Faarig ho kar Ek Jagah Aish wa Ishrat ke liye Jama hote he Is Tarah Tamaam Loug Is Muqaable ko Aaasani se Deikh Sakenge Aur Tamaam Lougo ko Din Chadhe Jama hona Chaahiye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-402)

>➤ Jaadugaro ka Aana :-
Quraane Majeed me he ki
“To Jama kiye gaye Jaadugar Ek Muqarrar Din ke Wa’de par, Aur Lougo se Kahaa gaya Kya Tum Jama ho gaye, Shaayad Ham Un Jaadugaro hi ki Peirvi Kare Agar ye Gaalib Aaye, Fir Jab Jaadugar Aaye Firoun se Bole Kya Hame Kuchh Mazduri Milegi Agar Ham Gaalib(Winner) Aaye, Bola Haa Aur Us Waqt Tum Meire Muqarrab(Nazdiki) ho Jaaoge”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-38, 39, 40, 41, 42)

Jaadugar Meile ke Din Aagaye, Lougo ko Bhi Keh Diya gaya ki Sab Loug Zarur Jama hona Kyunki Hame Ummid he ki Hamaare Jaadugar hi Gaalib(Winner) Aayenge Ham Unke Deen par Qaayam rahenge, Agarche wo Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Deen par Aana hi Nahi Chaahte the Lekin Lougo ko Maail karne ke liye Andaaz Aysa Rakha ki Jis Kalaam me Shak ho ki Shaayad Ham Un Jaadugaro ki hi Taabedaari karenge Agar ye Gaalib(Winner) Aagaye, Jaadugar Jab Firoun ke Darbaar me Aaye to Unhone Shaahi Darbaar se Faayda Uthaane ki Koshish ki Aur kaha ki Agar Ham Gaalib Aagaye to Kya Hame Bahot Muaavza(Mazduri) Milega Jo Baadshah ki Shaan ke Laayaq ho..?
Firoun ne kaha Haa Mei Tumhe Apna Muqarrab Bana lunga, Baadshah Jin ko Apna Qaribi Bana leite he Un par Qoumi Khazaano ka Moonh khuol Diya jata he Woh Inaam ka Soon kar Muqaable ke liye Aaamaada(Ready) ho gaye.
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-88)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-402)

>➤ Jaadugaro ko Deen ki Da’awat deina :-
Quraan Shareef me he ki
“Unse Musaa(Alayhis Salaam) ne kaha Tumhe Kharaabi ho ALLAH par Jhut Na Baandho ki Wah Tumhe Azaab se Halaak Karde Aur Beshak Naa-Muraad Raha Jisne Jhut Baandha, To Apne Maamle me Baaham Mukhtalif ho gaye Aur Chhup kar Salaah ki, Bole Beshak Ye Douno Zarur Jaadugar hei Chahte hei ki Tumhe Tumhaari Zamin se Apne Jaadu ke Zour se Nikaal de Aur Tumhaara Achha Deen le Jaaye, To Apna Daav(Fareib) Pakka karlo Fir Saf Baandh kar Aao Aur Aaj Muraad ko Pahuncha Jo Gaalib(Winner) Raha”
(Surah Taahaa, Aayat-61, 62, 63, 64)

Firoun ne Jab Jaadugaro ko Jama kar liya to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unhe Nasihat ke Tour par Kahaa ki Mei ALLAH TA’ALA ki Nishaaniya dikhaata hu Jo ALLAH TA’ALA ne Mujhe Mo’ajizaat Ataa Farmaaye he, Tum ye Kehte ho ki Mei Jaadu kar Raha hu ye to ALLAH TA’ALA par Jhut Baandhna he, Is se to Tumhaari Barbaadi he, ALLAH TA’ALA Tumhe Azaab se Tabaah kar deiga, Jis Azaab ko Taalne ki Tumhe Koi Qudrat Haasil nahi hogi,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Kalaam ko Soon kar Jaadugar Geiz wa Gazab me Ek Dusre se Mashwara karne lage Aur Bahas karne lage ki Keise Ise Jawaab Diya jaaye..??
Aur ye Mashwara Unka Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam se Chhip kar tha ki wo Is par Waaqef Na ho jaaye, Aakhirkaar Unko Is par Ittefaaq huwa ki ye Douno Jaadugar he, ye to Hame Is Zameen se Nikaalna Chaahte he, Hame Inse Sartod Muqaabla karna Chaahiye Apne Apne Daav Uske Saamne laakar Use Aajiz karna Chaahiye, Kaamyaabi par Hame Galba Haasil hoga.
(Tafseere Abi Saud, Jild-6, Safa-25)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-403)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Jaadugaro ka Muqaabla Shuru hona :-
Quraane Majeed me he ki
“Bole Ay Musaa ya to Aap Daale ya Ham Daalne waale ho, Kahaa Tumhi Daalo Jab Unhone Dala Lougo ki Aankho par Jaadu kar Diya Aur Unhe Daraaya Aur Badaa Jaadu Laaye”
(Surah A’raaf, Aayat-115, 116)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Pehle Unhe Deen ki Da’awat di ki Tum Galat Raah par ho Apni Barbaadi Na Talaash karo, Lekin Jaadugar Jab Baaz Na Aaye Muqaable par hi Unka Ittefaaq huwa Aur Unhone Musaa Alayhis Salaam ko Kahaa ki Ab Zaraa Saamne Aa Jaao, Pehle Tum Apna Asaa Daalo ya Ham Apni Rassiya Aur Laathiya Daalte he, Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Deikha ki In par Koi Asar nahi huwa to Aap Alayhis Salaam ne Unhe Kahaa ki Thik he Pehle Tum hi Daalo..
Jab Unhone Apni Rassiya Aur Laathiya Daal diye to Lougo ki Aankho par Asar kar Diya ki Wah Sahi Deikhne Aur Samajhne ke Qaabil Na rahe,

Baaz Riwaayat me he ki Unhone Rassiyo Aur Laathiyo par Paara Chadha Diya tha, Fir Dhoop me rakhne ki Wajah se Unme Harkat Peida ho gayi, Lougo ne Samjha ki ye Apne Ikhtayaar se Harkat kar rahi he, Unki Harkat Deikh kar Loug Dar gaye, wo Ek Dusre ko Daraane lage ki Bach Jaao ye to Saanp ban gaye he Kyunki Kaseer(Zyada) Miqdaar me Khud Jaadugar the Aur Har Ek ke Haath me Kitni Laathiya Aur Rassiya thi, Is Tarah Us Meidaan me Har Taraf Saanp hi Saanp Nazar Aane Lag gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-84)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-404)

>> Note :
Yaad rahe ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jaadugaro ko Farmaya ki “Pehle Tum Daalo” ye Jaadu ki Ijaazat nahi thi Balki Unki Zid par Unhe Pehle Apni Rassiya Aur Laathiya Daalne ki Ijaazat di, Yaha wo Ayteraaz Khatm ho gaya ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Un Lougo ko Jaadu karne ki Ijaazat di, Haalaanki Jaadu karna Kufr he, Kufr ki Ijaazat deina bhi Kufr he, Iska Jawaab Waazeh ho Chuka ki Aap Alayhis Salaam ne Unhe Jaadu se Rouka Aur ye Bataya ki ye Baaise Azaab he Lekin Jab wo Jaadu karne par Ade the to Aap Alayhis Salaam ne Kahaa thik he Agar Apne Kufr ki Wajah se Meire Mo’ajiza se Muqaabla karna Chaahte ho to karlo, Taaki Haqq Aur Baatil me Farq Waazeh ho Jaaye,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-404)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam hi Gaalib(Winner) honge :-
Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“To Apne Nafs me Musaa ne Khouf Paya, Hamne Farmaya Dar nahi Beshak Tu hi Gaalib(Winner) he”
(Surah Taahaa, Aayat-67, 68)

Aap Alayhis Salaam ko Darr Kis Chiz ka Mehsus huwa..??
Aap Alayhis Salaam ko Darr Is Chiz ka Peida huwa ki Loug Kahi Jaadugaro ke Jaadu ko Deikh kar ye Na Samajh Beithe ki ye Loug Bhi Musaa Alayhis Salaam ke Baraabar hi he, Lougo par Kahi Jaadu Aur Mo’ajiza me Farq karna Mushkil Na ho jaaye Jo Asal Maqsad he ki Lougo par Mo’ajiza ka Galba Waazeh ho jaaye wo Fout Na ho jaaye Pas Sirf Isi Baat ka Khouf tha,

RABB TA’ALA ne Farmaya Ay Musaa Dar nahi Beshak Aap ko hi Galba Haasil hoga Yaani Jaadugar Khud hi Apni Shikast(Nakaami) ka Jab Ayteraaf kar Leinge Aur Aapki Haqqaaniyat Taslim kar leinge to Maqshad Pura ho Jaayega.
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-84)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-405)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Mo’ajiza Aur Jaadugaro ka Imaan Lana :-
Quraane Azeem me ALLAH SUBHANA WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Hamne Musaa ko Wahi Farmaayi ki Apna Asaa Daal to Naagaah (Achaanak) Unki Banaawato ko Nigalne laga, To Haqq Saabit huwa Aur Unka Kaam Baatil huwa, to Yahaa wo Maglub Pade Aur Zaleel ho kar Palte, Aur Jaadugar Sajde me gira diye gaye, Bole Ham Imaan Laaye Jahaa ke RABB par, Jo RABB he Musaa Aur Haarun ka”
(Surah A’raaf, Aayat-117, 118, 119, 120, 121, 122)

Wahi karne se Muraad Haqiqi Wahi bhi Ho Sakti he Aur Ilhaam bhi Ho Sakta he ki Us Waqt Aap Alayhis Salaam ke Dil me Ulqaa’a kar Diya gaya ho ki Aap Apna Asaa(Laathi) Daal de, wo Unke Jaadu se Banaaye hue Saanpo ko Nigal Jaayega Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apna Asaa Daala to wo Bahot Badaa Azgar Ban gaya, Usne Apna Moonh Khoula to Uske Moonh ke Darmiyaan 80 Zarra’a(120 Fit) Ka Faasla tha Aur Usne Unki Tamaam Rassiyo Aur Laathiyo ko Nigal liya, Haalaanki wo 300 Unto par Laad kar Laaye the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Use Pakda to wo Pahle ki Tarah Asaa ho gaya, Jaadugaro ki Rassiya Aur Laathiya Ma’doom(Naabud) ho gayi Yaani Aysi Baaqi Na rahi jeishe Unka koi Wajud nahi tha,

Baaz Jaadugaro ne Dusre Jaadugaro ko Kahaa ki ye Jaadu nahi ho Sakta Kyunki Jaadu me Ek Chiz ki Haqiqat nahi badalti Sirf Dusre Lougo ki Aankho par Asar hota he, Agar ye Jaadu hota to Hamaari Rassiyo Aur Laathiyo ko Na Nigal leita,
Is se Unhone Daleel Pakdi ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Sacche NABI he,
Unhe Ma’alum ho gaya ki Hazrat Musaa Alayhis ka Mo’ajiza Jaadu nahi he, Unhe Yaqeen ho gaya ki ye ALLAH TA’ALA ki Taraf se Ataa Karda Mo’ajizaat se he, Insaani Banaawat se Iska Koi Ta’aluq nahi,

Agar wo Apne Jaadu ke Ilm me Kaamil Darja Na Rakhte hote to Mo’ajiza Aur Jaadu me Farq Na kar Paate, Balki Kehte ki wo Shaksh Jaadu ke Ilm me Hamse Zyada he, Is liye Ham Usse Aajiz Aagaye he, Pataa Chalaa ki wo Jaadu ke Ilm me Aala Darja Rakhte the Isi Kaamil Ilm ki Wajah se wo Kufr se Imaan ki Taraf Muntaqil hue,

Jab Jaadugaro par Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Mo’ajizaat ki Haqiqat Khul gayi to wo ALLAH TA’ALA Ka Shukr Adaa karne ke liye Be-Ikhteyaar Sajde me gir gaye ki ALLAH TA’ALA ne Hame Toufiq Ataa ki ke Hame Pataa Chal gaya ye Mo’ajiza he Jaadu nahi, Fir Unhone kaha RABBUL AALAMIN Par Hamaara Imaan he..
Khyaal rahe ki Sirf ALLAH TA’ALA par Imaan Laane se Imaan ki Takmil nahi hoti Balki Imaan Mukammal Usi Waqt hota he Jab NABI par Imaan Laaye Kyunki NABI par Imaan Laane se Tamaam Imaaniyaat par Imaan Lana Laazim ho jata he Isi Liye Unhone Fir Kahaa ki Hamaara Imaan Musaa Alayhis Salaam Aur Haarun Alayhis Salaam ke RABB TA’ALA Par he Yaani Inhe RABB TA’ALA ne NABI Banaa kar Bheija he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-405, 406)

>➤ Faayda E Jaleela :-
Jaadugaro ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Saath Muqaabla Shuru karne se Pehle kaha
“Ay Musaa ya to Aap Daale ya Ham Daalne waale ho”
(Surah A’raaf, Aayat-115)

Unhone Pehle Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Zikr kiya Aur Apna Zikr Baad me kiya,
Beshak Jaadugar Qoum ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Zikr Pehle karke Aap Alayhis Salaam ke Adab wa Ahetaraam ki Acche Tariqe se Paasdaari ki, Sufiya E Kiraam ne Farmaya he ki Isi Adab wa Ahetaraam ki Barkat ki Wajah se ALLAH TA’ALA ne Unhe Imaan ki Ne’amat se Sarfaraaz kiya.
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-202)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-407)

Subhan Allah..
Kya Shaan he Ambiya E Kiraam ki..
Unke Adab wa Ahetaraam se Kaafiro ko Imaan Nasib hota he..

>➤ Firoun ke Da’we ki Haqiqat :-
Firoun jo Khudaai ka Da’wedaar tha Kehta tha Mei Tumhaara Sabse Uncha Rabb hu..
Uske Muta’alaq Tamaam Lougo ko Pataa Chal gaya ki wo Zaleel, Aajiz, Ghatiya Insaan he..
Warna Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Muqaable ke liye Jaadugaro ki Madad Talab na karta…
Agar Khuda hota to Khud hi Sirf “Kun” se Kaam Tamaam kar deita Aur ye Bhi Waazeh ho gaya ki Jaadugar Kisi Chiz ki Haqiqat ko nahi Badal Sakte, Agar Kisi Chiz ki Haqiqat ko Badal Sakte to Firoun ko ye Na Kehte ki
“Agar Ham Gaalib(Winner) Aagaye to Kya Tu Hame Ujrat(Mazduri) deiga..”
Balki Wo Jaadugar Khud hi Mitti se Sona Bana leite Aur wo Apne Jaadu ke Zariye Firoun ki Baadshahi par Qabza kar leite ya Kisi Aur Mulk ki Baadshahi Haasil kar ke Bahot Bade Rais ban Jaate, Insaano ko In Aayat me Nasihat ki gayi ki Tum Baatil Aur Jhuthe Aqwaal Aur Jaadu se Fareib Na kha Jana, Balki Apne Imaan par Qaayam rehna.
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-201)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-407)


>➤ Firoun ki Nav-Muslimo (Jo Pehle Jaadugaro the) ko Dhamki :-
Quraane Majeed me he ki
“Firoun Bola Tum Us Par Imaan Laaye Pehle Iske ki Mei Tumhe Ijaazat du Yah to Bada Makr(Dhokha) hei Jo Tum Sabne Shahar me Feilaya hei ki Shahar Waalo ko Isse Nikaal do To Ab Jaan Jaaoge, Qasam hei ki Mei Tumhaare Ek Taraf ke Haath Aur Dusri Taraf ke Paanv Kaatunga Fir Tum Sabko Suli Dunga”
(Surah A’raaf, Aayat-123, 124)

Jab Firoun ne Deikha ki Jaadugaro ne Tamaam Makhluq ke Saamne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Nabuwwat ko Tasleem kar liya he Use Khouf huwa ki Tamaam Loug Aap par Imaan Na le Aaye, Usne Do Qism ke Shabhaat(Doubts) Daal kar Qoum ko Imaan Laane se Mana karne ki Koshis ki,
Ek To Usne ye kaha ki In Lougo ka Imaan Lana Is Wajah se nahi ki Inhone Musaa (Alayhis Salaam) ki Haqqaaniyat ko Deikha he Balki Inhone Pehle se Musaa (Alayhis Salaam) se Saazbaaz kar rakhi thi ki Ham Tumhaari Nabuwwat ka Iqrar kar leinge Aur Tum par Imaan le Aayenge, Loug Hame Deikh kar Tum par Imaan Laayenge,
Dusri Baat Usne ye Kahi ki Musaa (Alayhis Salaam) Aur Jaadugaro ka Ittefaaqi Mashwara ye he ki Tumhe Tumhaare Shaharo se Baahar Nikaal de Aur Khud Is Mulk par Qaabiz ho jaaye, Watan se Lougo ko Bahot Zyada Mohabbat hoti he Is liye wo Un Lougo ko Imaan se Door Rakhne me Kaamyaab ho gaya, Agarche Uske Dono Shabhaat ki Koi Heishiyat nahi thi Lekin Qoum bhi to Be-Samajh hi thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-208)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-408)

>➤ Nav-Muslimo ka Firoun ko Jawaab :-
Quraane Paak me he ki
“Bole Ham Hargiz Tujhe Tarjih Na deinge Un Roushan Daleelo par Jo Hamaare Paas Aayi Hame Apne Peida karne waale ki Qasam To Tu Kar Chuka Jo Tujhe Karna hei Tu Is Duniya hi ki Zindagi me to Karega, Beshak Ham Apne RABB Par Imaan Laaye ki Wah Hamaari Khataaye Bakhsh de Aur Wah Jo Tune Hame Majbur kiya Jaadu par Aur ALLAH Behtar hei Aur Sabse Zyada Baaqi rahne Wala, Beshak Jo Apne RABB ke Huzur Mujrim ho kar Aaye to Zarur Uske Liye Jahannam he Jisme Na Mare Na Jiye, Aur Jo Uske Huzur Imaan ke Saath Aaye ki Acche Kaam kiye ho to Unhi ke Darje Unche, Basne ke Baag Jinke Niche Nehre Bahe Hameisha Unme rahe Aur Yah Silaa he Uska Jo Paak huwa”
(Surah Taahaa, Aayat-72, 73, 74, 75, 76)

Quraane Paak me Ek Aur Jagah Irshaad he ki
“Bole Ham Apne RABB ki Taraf Firne waale he, Aur Tujhe Hamaara Kya Buraa Lagaa yahi Na ki Ham Apne RABB ki Nishaaniyo par Imaan Laaye Jab wo Hamaare Paas Aayi Ay Hamaare RABB Hampar Sabr Undel de(Sabr Ataa kar) Aur Hame Musalmaan Utha”
(Surah A’raaf, Aayat-125, 126)

Firoun ki Dhamki ko Unhone Do-tok Alfaaz me Radd kar Diya Uska Unpar Koi Asar Na huwa Kyunki Unhe Kaamil Yaqin Aur Mukammal Basirat Haasil ho chuki thi ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam Sacche NABI he,
Unhone Firoun ki Dhamkiyo ka Jawaab Deite hue kaha ki Ham Mar’ub(Khouf) hone waale, Darr ne Waale nahi Kyunki Hamto Apne RABB TA’ALA ki Taraf Firne waale Yaani Us Par Imaan Laane waale he, Ay Be-Aqal Khudaai ke Da’wedaar Tu Kis Chiz ko Bada Samajh Raha he..?? Hamaare Paas ALLAH TA’ALA ki Nishaaniya Aagayi Ham Unko Deikh kar Imaan Laaye, Pas Yahi Chiz Tujhe Na-Pasand Aayi, Fir Unhone RABB TA’ALA Se Duaa ki
“Ay ALLAH TA’ALA Agarche Tune Hame Sidhi Raah par Qaayam kar Diya Aur Firoun ki Dhamkiyo ke Muqaabil Sabr Ataa kar Diya he Lekin ye Ne’amat Hamaare Paas Qaayam Usi Waqt Reh Sakti he Jab Teira Fazl Hame Shaamile Haal rahe,
Unhone Arz kiya Ay Hamaare RABB Hame Kaamil Sabr Ataa kar…”

Unki Duaa ko RABB TA’ALA ne Qabul Farma liya Aur Unhe wo Azeem Sabr Ataa Farmaya Jiski Badolat Unhe Shahaadat jeisha Azeem Martaba Nasib huwa, Firoun ne Jaadugar(Jinhone Imaan Qabul kar liya tha) Unke Haath-Paau katwa diye Aur Unhe Shaheed karwa Diya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-408, 409)

>➤ Qoum ke Sardaaro ka Firoun ko Daraana :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Firoun ki Qoum ke Sardaar Bole Kya Tu Musaa Aur Uski Qoum ko Is liye Chhodta hei ki wo Zameen me Fasaad Feilaaye Aur Musaa Tujhe Aur Teire Thehraaye hue Ma’abudo ko Chhod de Bola Ab Ham Unke Beito ko Qatl Karenge Aur Unki Beitiyo ko Zinda rakhenge Aur Ham Beshak Unpar Gaalib(Winner) hei”
(Surah A’raaf, Aayat-127)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Jaadugaro se Muqaabla karaane ke Baad Firoun ne Aap Alayhis Salaam ko Kuchh Na Kaha Na Giraftaar kiya Aur Na hi Aur Kisi Qism ki Sazaa di Balki Aap Alayhis Salaam ko Aaazad Chhod Diya,

Firoun ne Jab Musaa Alayhis Salaam ko Deikha Us Par Aap Alayhis Salaam ka Shadeed Ro’ab Taari huwa wo Aap Alayhis Salaam se Bahot Zyada Darta tha, Yahi Wajah thi ki Usne Aap Alayhis Salaam ka Raasta Khula Chhod Diya tha,

Firoun ki Qoum ke Sardaaro ko ye Ma’alum nahi tha ki Firoun Musaa Alayhis Salaam se Darte hue Aap Alayhis Salaam ko Aaazad rakhe hue he, Unhone kaha Agar Tumne Musaa (Alayhis Salaam) Aur Uski Qoum ko Isi Tarah Aaazadi de rakhi ki wo Apni Tablig karte rahe to Tumhe Aur Tumhaare Khudaao ko Loug Chhod deinge,
Ek Qoul ye Bhi he ki Tumne Agar Musaa (Alayhis Salaam) ko Is Tarah Aaazadi de rakhi, Uska Raasta Khula Chhod Rakha to Musaa(Alayhis Salaam) Tumse Aur Tumhaare Ma’abudo se Door rahega,

Firoun ne Apni Qoum ke liye Chhote Chhote Butt Bana rakhe the wo Unhe Buto ki Ibaadat ka Hukm deita tha Aur kehta tha Mei Tumhaara Sabse Badaa Khuda hu Aur In Buto ka bhi Mei Rabb hu,
Ek Qoul me he ki Firoun Khud bhi Buto ki Ibaadat karta tha, Qoum ka Maqshad ye tha ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Qeid kara liya jaaye Aur Sakht Tareen Sazaa di jaaye,
Qoum ke Is Mutaalba par Firoun ne Haqiqate Haal ko Un par Waazeh Na kiya ki Mujhe Musaa Alayhis Salaam se Sadeed Khouf ho Chuka he,

Albatta ye kehne laga ki Ham Bani Israaeel ke Beito ko Zabah karaa deinge Aur Unki Ladkiyo ko Zinda Chhod deinge, Is Tarah Musaa Alayhis Salaam ke Ma’awan(Helper) Mard nahi rahenge Aur Unki Qoum ki Nasl Khatm ho Jaayegi, ye Kaam karna Ham par Koi Mushkil nahi kyuki Un par Hame Galba(Winner) Haasil he,
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-210, 211)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-410, 411)

>➤ Bani Israaeel ka Darna Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Tasalli deina :-
Quraane Azeem me he ki
“Musaa(Alayhis Salaam) ne Apni Qoum se Farmaya ALLAH TA’ALA ki Madad Chaaho Aur Sabr karo Beshak Zamin ka Maalik ALLAH TA’ALA hei Apne Bando me Jise Chaahe Waaris Banaaye Aur Aaakhir Meidaan Parhezgaaro ke Haath hei, Bole Ham Sataaye Gaye Aapke Aaane se Pehle Aur Aapke Tashreef Laane ke Baad Kaha Qarib he ki Tumhaara RABB Tumhaare Dushman ko Halaak kare Aur Uski Jagah Zamin ka Maalik Tumhe Banaaye Fir deikhe keise Kaam karte ho”
(Surah A’raaf, Aayat-128, 129)

Qoum ne Jab Suna ki Firoun ne Hamaare Baccho ko Zabah karne ka Mansuba Bana liya hei to Bahot Zyada Pareshaan hue, Un par Bahot Zyada Gabhraahat Taari Hui, Kehne lage Ay Musaa Alayhis Salaam Hame Aap ki Tashreef Laane se Pehle Sataya gaya, Jizya(Tex) Hamse Wasul kiya gaya Aur Har Mushkil Kaam Aur Har Haqeer Kaam Hamse liya jata Raha, Kisi Qism ki Ne’amat Aasaani se Ham tak Nahi Pahonch ne di gayi, Hamaare Baccho ko Zabah karaya gaya, Hamaari Ladkiyo ko Zinda Chhoda gaya, Ay Musaa Alayhis Salaam Ab ALLAH TA’ALA ne Aapko NABI Bana kar Mab’us Farmaya he Kya Ab bhi Hame Pehle ki Tarah hi Sataya Jaayega…??

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Jawaab deite hue 2 Chizo ka Hukm Diya Aur 2 Chizo ki Bashaarat di,
Aap Alayhis Salaam ne Ek Hukm ye Diya ki ALLAH TA’ALA se Imdaad Talab karo Aur Dusra Hukm Aap Alayhis Salaam ne ye Diya ki Sabr karo…
Pehle Aap Alayhis Salaam ne Unhe ALLAH TA’ALA se Imdaad Talab karne ka Hukm Diya Is liye ki Jab Insaan ko ye Ma’alum ho jaaye ki ALLAH TA’ALA ke Bageir Koi Aur Jahaa me Tamaam Amur ki Tadbir Farmaane Wala nahi to Uska Sina ALLAH TA’ALA ki Ma’arefat se Khul jata he..

Aap Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Tasalli deite hue ye Khush Khabari di ki Firoun Aur Uski Qoum ko ALLAH TA’ALA Halaak kar deiga Aur Tumhe Is Zameen ka Maalik Banaa deiga, Maqshad ye tha ki ye Loug ALLAH TA’ALA Aur Uske Waade par Imaan Rakhte hue Khush ho Jaaye Aur Firoun ki Dhamkiyo ke Khatre ko Dil se Nikaal de,

Dusri Bashaarat Aap Alayhis Salaam ne ye di ki
“Aaakhir Meidaan Parhezgaaro ke Haath hei”
Jo Shaks ALLAH TA’ALA se Khouf Rakhta he ALLAH TA’ALA Uski Duniya Aur Aakhirat me Imdaad Farmata he, Yaani Duniya Aur Aakhirat me Kaamyaabi ka Meidaan Parhezgaar Lougo ko hi Haasil rahega.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-411, 412)

>➤ Firoun ki Qoum ka Mashwara :-
Quraane Hakeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmaata he
“Fir Jab Wah Unpar Hamaare Paas se Haqq Laaya Bole Jo Us Par Imaan Laaye Unke Beite Qatl karo Aur Aurate Zinda Rakho Aur Kaafiro ka Daaw nahi Magar Bhatakta Firta”
(Surah Al Momin, Aayat-25)

Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Deen E Haqq Lekar Unke Paas Aaye Aur Apni Sadaaqat Aur Apne Deen ki Haqqaaniyat ko Daleel E Qatai se Saabit kar Diya to wo Loug Dalaail ke Meidaan me Pareshan ho gaye Aur Jhute Ilzaamaat par Utar Aaye Aur Bahotaan Taraashi ka Raasta Ikhtayaar karte hue Aapko Jaadugar Aur Jhuta kehna Shuru kar Diya, Is se bhi Baat Na Bani to Hinsaa par Utar Aaye, ye Feishla Kiya ki Bani Israaeel ki Nasl-Kashi ki jaaye, Bache Maar Diye jaaye Aur Ladkiya Zinda Rehne di jaaye, Is Tarah Bani Israaeel ki Adadi Quwwat Khatm ho Jaayegi Aur wo Kisi Tarah Hamaare liye Khatra ka Baais banegi, Lekin Unki ye Saazish Na Kaam ho gayi,
Unhone Ye Mansuba Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Kamzor karne ke liye Aur Aap ki Da’awat ko Be-Asar Banaane ke liye Socha tha..
ALLAH TA’ALA Irshaad Farmaata he ki Unki ye Chaal Sidhi Raah se Behak gayi, Is liye Maqshad Haasil Karne me Na-kaam rahe..
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-413)

>➤ Firoun ka Badaai Maarna :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Firoun Bola Mujhe Chhodo Mei Musaa ko Qatl karu Aur Wah Apne RABB ko Pukaare Mei Darta hu Kahi Wah Tumhaara Deen Badal de ya Zamin me Fasaad Chamkaaye”
(Surah Al Momin, Aayat- 26)

Firoun Badaai Maarte hue Kehta he ki Ay Mulk ke Pehrokaaro Agar Mujhe Kuchh Na kaho Mei Musaa Alayhis Salaam ka Kaam Tamaam kardu, Mujhe to Tumhaari Raay ka Paas he Aur Mei Use Kuchh Nahi kehta Goya ki Musaa Alayhis Salaam par Haakime Hukumat ki Paasdaari ki Wajah se Ab Tak Haath nahi Uthaya gaya, Haalaanki Firoun Dil me Dar Raha tha ki Agar Usne Zyadati ki to Kahi Musaa Alayhis Salaam ka Asaa Azgar ban kar Use Nigal Na jaaye Apne Kishaano ko Apni Niti ke Baare me Mutmain karne ke liye Firoun ne do Khatro ko Zikr kiya

Pehli Baat to Ye Bataayi ki Agar Tumne Musaa Alayhis Salaam ke Khilaaf koi kaarwaai Na ki to Ye Tumhaare Aqaaid ki Imaarat ko Gira kar Rakh deiga, Dusri Baat ye ki Ab to Tum Bade Aman wa Sukun Aur Kheir wa Aafiyat se Zindagi Basar kar rahe ho, Na Hamle ka Khatra he Aur Na Andruni Mulk Koi Shour-barpa kar Sakta he to Yaad rakho Bagaawat ke Sho’ale Bhadak Uthenge, Loug Tumhaare Khilaaf Khade honge Aur Mulk Bhar me Fitna wa Fasaad ki Aaag Bhadka deinge, Aqalmandi ye he ki Is Ubharte hue Khatre ko Aaaj hi Mukammal Tour par Rok Diya jaaye,
Haqiqat me Firoun ki Zaat Aur Uska Takht E Shaahi Khatre se Dochar tha, Wo Sirf Misriyo ka Baadshah hi Nahi tha Balki Unka Khuda bhi tha, Usne Socha Agar Musaa Alayhis Salaam Apni Tablig me Kaamyaab ho Jaate he to Loug Uski Khudaai ko Maanne se Inkaar kar deinge, wo Sirf ALLAH TA’ALA ki Bandagi ko Qabul karenge,.
wo Musaa Alayhis Salaam ke Qatl par Apni Qoum ko Razamand karna Chaahta tha Taaki Uski Zaat Aur Uski Taaqat Salaamat rahe..
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-413, 414)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Jawaab :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Musaa ne kaha Mei Tumhaare Aur Apne RABB ki Panaah Leita hu Har Mutakabbir se ki Hisaab ke Din par Yaqin nahi lata”
(Surah Al Momin, Aayat-27)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Jab Firoun ke Us Mansuba ka Ilm huwa to Aap Alayhis Salaam Ghabhraaye nahi, Pareshaan nahi hue, Balki Aap Alayhis Salaam ki Zabaan se wahi Jumla Nikla Jo Musaa Alayhis Salaam Jeishe Barguzida Rasool ke Shaan ke Laayak the,

Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Mujhe Akela Na Samjho.. Mujhe Us RABBE ZUL JALAAL ki Panaah Aur Himaayat Haasil he Jo Meira bhi RABB he Aur Tumhaara bhi RABB he, Tum Laakh Uski Bandagi ka Raasta Todna Chaaho, Tum Firoun ko Apna Khuda Samajhte ho, Tum Haqiqat ko Badal nahi Sakte, Bande Fir Bhi Tum Usi RABB TA’ALA ke ho, Jiska Mei Banda hu, Meine Har Mutakabbir (Ghamandi) Aur Sarkash ke Shar se Uske Daaman me Panaah li Hui he, Tum Meira Baal bhi Baanka nahi kar Sakte.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-414)

>➤ Imaan Chhupane waale Shaksh ne kaha :-
Quraane Kareem me he ki
“Aur Bola Firoun Waalo me se Ek Mard Musalmaan ki Apne Imaan ko Chhupata tha Kya Ek Mard ko Ispar Maar Daalte ho ki Wah kehta hei Meira Rabb ALLAH hei Aur Beshak Wah Roushan Nishaaniya Tumhaare Paas Tumhaare RABB ki Taraf se Laaye Aur Agar Farz karo wo Galat Kehte hei to Unki Galat Goi ka Wabaal Unpar Aur Agar wo Sacche he to Tumhe Pahunch Jaayega Kuchh Wah Jiska Tumhe Wada deite he Beshak ALLAH Raah nahi deita Use Jo Hadd se Badhne waala Bada Jhuta ho, Ay Meiri Qoum Aaj Baadshahi Tumhaari he Is Zamin me Galba Rakhte ho to ALLAH ke Azaab se Hame Koun Bacha Lega Agar Ham par Aaye Firoun Bola Mei to Tumhe Wahi Samjhata hu Jo Meiri Sujh he Aur Mei to Tumhe Wahi Batata hu Jo Bhalaai ki Raah hei”
(Surah Al Momin, Aayat-28, 29)

Qibti Qoum ka Ek Shaksh Hazrat Musaa Alayhis Salaam par Imaan La Chuka tha Lekin Usne Apni Qoum ko Apne Imaan se Aaagaah nahi kiya tha, Usne Jab Soona ki Firoun Apne Hawaariyo se Mil kar Musaa Alayhis Salaam ko Qatl karne ka Mansuba Bana Raha he to Usne Unko Us Iraade se Baaz Aane ki Talqeen Shuru’a ki, Pehle to Unhe Jhadka ki Tum Musaa Alayhis Salaam ke Darpe Aaazar kyu ho..?? Usne Konsi Qaanun-Shikni(Qaanun Toda) he…?? Mahaz Is Liye Tum Use Qatl karna Chahte ho ki wo kehta he ki Meira Parwardigaar ALLAH TA’ALA he…? Aur Usne Apne Aqeede ki Haqqaaniyat Dalaail wa Mo’ajizaat se Saabit kardi he, Tumhaara Ma’ashara(Community) to Bada Taraqqi Yaafta he, Tum Uske Zaati Aqeede me Dakhal deite ho..?? Usko Uske Haal par Chhod do, Agar Bil-farz wo Galat Keh Raha he to Khud hi Anjaam ko Pahunch Jaayega, Hame Apne Haath Uske Lahu se Shurkh(Laal/Red) karne ki Kya Zarurat he..??

Agar Musaa Alayhis Salaam (Nauzobillah) Jhute he to KHUDA Hadd se Badhane wale se Khud Nipat leiga Aur Agar wo Saccha he Aur Hamne Use Qatl kar Diya to Yaad rakho KHUDA ka Gazab Joush me Aayega Aur Aysh wa Ishrat Ulat Jaayega, Is liye Maslehat ka Yahi Taqaaza he ki Ham Musaa Alayhis Salaam ko Na Chhedenge, Usko Apne Haal par Chhod de Aur Hosh Kho kar Koi Aysi Galti Na kar Beithe ki KHUDA ke Azaab me Yu Giraftaar ho jaaye ki Bach kar Nikalne ki Fir Koi Surat Na rahe,
Iske Jawaab me Firoun ne Apni Qoum se kaha ki Meine Tumhe Jo Mashwara Diya he Meire Nazdik wo Durust he Aur Mei Tumhe Is Raah par Gaamezan karna Chaahta hu Jis me Tumhaari Bhalaai he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-415, 416)

>➤ Imaan Chhupaane waale Shaksh ka Guftagu ko Badhana :-
Quraan e Paak me he ki
“Aur wah Imaan waala Bola Ay Meiri Qoum Mujhe Tumpar Agle Giroh ke Din ka sa Darr he, Jeisha Dastur Guzra Nooh ki Qoum Aur Aaad Aur Samud Aur Unke Baad Auro ka Aur ALLAH Bando par Julm nahi Chahta, Aur Ay Meiri Qoum Mei Tum par Us Din se Darta hu Jis Din Pukaar Machegi, Jis Din Pith Dekar Bhaagoge ALLAH se Tumhe Koi Bachaane Waala nahi Aur Jise ALLAH Gumraah Kare Uska Koi Raah Dikhaane Wala Nahi”
(Surah Al Momin, Aaayat-30, 31, 32, 33)

Us Mard E Momin ne jab Deikha ki Uski Baat ka Asar nahi ho raha to Usne Mazeed Khul kar Guftagu Shuru ki Aur Guzre hue Zamaano me Apni Bad-Aamaliyo ke Baais Tabaah wa Barbaad hone Waali Qoumo ka Zikr Shuru kiya Aur Farmaya Un Tabaah hone Waali Qoumo ke Halaat se Ibrat Pakdo Aur Is Galat Raah ko Chhod do.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-416)

Quraane E Paak ki Is Aayat e Mubaaraka me Youmat-Tanaad (یَوۡمَ التَّنَادِ) Lafz Aaya he..

Jab Loug Yakaayak Qayaamat ke Howlnaak (Manzar) se Pareshaan honge, Qadmo ke Nichhe Zameen Angaare ki Tarah Tap rahi hogi, Upar se Suraj ki Kirne Aaag Barsa rahi hogi, Saamne Dozakh ke Sho’ale Bhadak rahe honge, Chaaro Taraf se Farishto ne Gheir Rakha hoga, Is liye Us Din ko Youmat-Tanaad (یَوۡمَ التَّنَاد) Ya’ani Ek Dusre ko Pukaarne ka Din kaha gaya he,

EK Aur Jagah Iska Mafhum Bayan kiya gaya he ki
Wah Qayaamat ka Din hoga, Qayaamat ke Din ko Youmat-Tanaad (یَوۡمَ التَّنَاد) Ya’ani Pukaar ka Din Is liye Kaha jata he ki Is Roz Tarah Tarah ki Pukaar Machi hogi, Har Insaan Apne Sardaar ke Saath Aur Har Jama’at Apne Imaam ke Saath Bulaai Jaayegi, Jannati Dozakhiyo ko Aur Dozakhi Jannatiyo ko Pukaarenge..

>➤ Imaan Chhupaane waale Shaksh(Mard e Momin) ka Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ka Zikr Karna :-
Quraane Azeem me he ki
“Aur Beshak Isse Pehle Tumhaare Paas Yusuf(Alayhis Salaam) Roushan Nishaaniya Lekar Aaye to Tum Unke Laaye Hue se Shak hi me rahe Yaha Tak ki Jab Unhone Intiqaal Farmaya Tum Bole Hargiz Ab ALLAH Koi Rasool Na Bheijega ALLAH Yu hi Gumraah karta he Use Jo Had se Badhne Wala Shak Laane Wala he, wo Jo ALLAH ki Aayato me Jhagda karte he Be Kisi Sanad ke ki Unhe Mili ho Kis Qadr Shakht Bezaari ki Baat he ALLAH ke Nazdik Aur Imaan Waalo ke Nazdik ALLAH Yuhi Muhar kar deita he Muta’akbbir Sarkash ke Saare Dil par”
(Surah Al Momin, Aayat-34, 35)

(Imaan Chhupaane Wale(Marde Momin) ki Baat me) Pehle Jin Qoumo ka Zikr huwa wo Door-daraaz Ilaaqo me Basne Waali thi, Ab Us NABI Aur Uske Munkiren ka Zikr ho Raha he Jo Kuchh Arshe Pehle Isi Mulk ke Rehne waale the, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Naam se Kon Aysa Misri tha Jo Waaqif na tha..? Unka Dour E Hukumat Misr ki Taarikho me Bahot Door na tha Jab Har Taraf Adl wa Inshaaf ka Noor Baras raha tha, Qanoon Qaayam tha, Garibo Aur Mafluk-Alhaal Lougo ki Is Tarah Dil Daari ki Jaati thi ki Subhan Allah… Us Shadeed Qahat se Unhe Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Husn e Intezaam ke Baais Panaah Mili thi, Us Nabi ke Saath Uski Qoum ne Jo Bartaav kiya tha wo Mard e Momin Uska Zikr Farma kar Unhe(Firouniyo ko) Tanbia(Warning) kar Raha he ki Be-Daag Seerat Unke Adl Nizaame Hukumat ko Apni Aankho se dekh leine ke Bawajood Unko NABI Maanne ke liye Taiyyar Na hue, Balki Unki Sari Umr Isi me Guzar gayi ki ye NABI he ki nahi..?
Qatai Aur Yaqini Dalaail ke Bawajood Shak ki Waadiyo me Bhatakte Bhatakte Umr Guzaar di Aur Jab wo Wisaal Farma gaye to fir Afsos karne lage Aur kehne lage Aysi Hasti Ab Dobara Peida nahi hogi, Unke Baad Koi NABI nahi Aayega,

Pehle Hidaayat se Mehrum rahe Ab ho Sakta to Koi Dusra NABI Tashreef Laaye to Ye Apni Guzishta(Pichhli) Gaflat Aur Kotaahi ki Talaafi karle.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-417)

Mard e Momin ne Firouniyo ko Samjha ne ki Koshis ki ke Be-Daleel Baat Tumne Ya’ani Tumhaare Pehlo ne Khud gadhi Taaki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Baad Aane Waale Nabiyo ko Jhutlaao Aur Unka Inkaar karo to Tum Kufr par Qaayam rahe, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Nabuwwat me Shak karte rahe Aur Baad Waalo ki Nabuwwat ke Inkaar ke liye Tumne Yah Mansuba(Plan) Banaya ki Ab ALLAH TA’ALA Koi Rasool hi Na Bheijega..

>➤ Firoun ka Fareib :-
Quraan E Majeed me he ki
“Aur Firoun Bola Ay Haamaan Meire liye Uncha Mahal Bana Shaayad Mei Pahunch Jaau Raasto tak, Kaahe ke Raaste Aasmaano ke to Musaa ke KHUDA ko Jhaank kar deikhu Aur Beshak Meire Gumaan me to Wah Jhuta he Aur Yuhi Firoun ki Nigaah me Uska Bura Kaam Bhala kar dikhaya gaya Aur wah Raaste se Roka gaya Aur Firoun ka Daaw Halaak hone hi ko tha”
(Surah Al Momin, Aayat-36, 37)

Firoun ne Jab ye Mehsus kiya ki Us Mard E Momin ki Guftagu Haazirin ko Mutaa’shir kar rahi he to Usne Fouran Peintra Badla Aur Kehne laga ki Musaa (Alayhis Salaam) ki Sadaaqat Parakhna Koi Itna Mushkil nahi ki Ham Uske Baare me Pareshaan rahe Aur Kisi Feishle par Na Pahunch Sake, Abhi Ek Buland Minaar Ta’amir karte he Aur Us par Chadh kar Musaa(Alayhis Salaam) ke KHUDA ka Suraag(Pata) lagaayenge, Zameen par to Kahi hei Nahi Agar Aasmaan par Mil gaya to Ham bhi Maan Leinge Aur Agar Aasmaan par bhi Uska Suraag(Pata) Na Mila to Fir Sabko Yaqin ho Jaayega ki Musaa(Alayhis Salaam) ki Baat Galat he, Fir Haamaan ki Taraf Mutawajjeh ho kar kaha Haamaan ye Kaam Tum karo, Hame Ek Bahot Uncha Minaar Ta’amir kardo Us par Chadh kar Ham Aasmaan par Chadhne ka Raasta Daryaaft kar leinge Aur Aasmaan ka kona kona Chhan Maarenge, Firoun ne Saath hi Apni Raay bhi Zaaher kardi ki Meira to Khyaal hei ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Baat me Sacchai Naam ki nahi,
Firoun ka Makro-Fareib Uski Tabaahi ka Sabab Bana Ya’ani Uski Makkari, Fareib Aur Haqq ke Inkaar ke Baais Uske Bure Aamaal Use Haseen Wa Khushnuma Nazar Aane lage Wo Unhi ke Pichhe Pada Raha Aur Jo Fareib Usne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Khilaaf kiya tha wo Sab Khud Uski Barbaadi ka Sabab Bana.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-418, 419)

>➤ Mard E Momin ka Aylaan e Haqq Karna :-
Quraan E Hakeem me he ki
“Aur Wah Imaan Wala Bola Ay Meiri Qoum Meire Pichhe Chalo Mei Tumhe Bhalaai ki Raah Bataau, Ay Meiri Qoum Yah Duniya ka Jina to Kuchh Baratna hi he Aur Beshak Wah Pichhla Hameisha Rehne ka Ghar he, Jo Bura Kaam kare to Use Badla Na Milega Magar Utna hi Aur Jo Accha Kaam kare Mard Chaahe Aurat Aur ho Musalmaan to Wo Jannat me Daakhil kiye Jaayenge waha Be-ginti Rizq Paayenge, Aur Ay Meiri Qoum Mujhe Kya huwa Mei Tumhe Bulata hu Nijaat ki Taraf Aur Tum Mujhe Bulaate ho Dojakh ki Taraf, Mujhe Us Taraf Bulaate ho ki ALLAH ka Inkaar Karu Aur Ayse ko Uska Shareek karu Jo Meire Ilm me nahi Aur Mei Tumhe Us Ijjat waale Bahut Bakhshne waale ki Taraf Bulata hu, Aap hi Saabit huwa ki Jiski Taraf Mujhe Bulaate ho Use Bulana Kahi Kaam ka nahi Duniya me Na Aakhirat me Aur Yah Hamaara Firna ALLAH ki Taraf Hei Aur Yah ki Had Se Guzarne Wale hi Dozakhi he, to Jald Wah Waqt Aata he ki Jo Mei Tumse kah Raha hu Use Yaad karoge Aur Mei Apne Kaam ALLAH ko Sonpta hu Beshak ALLAH Bando ko deikhta he”
(Surah Al Momin, Aayat-38, 39, 40, 41, 42, 43, 44)
.
Us Mard e Momin ne kaha ki Bhalaai Aur Najaat ka Raasta wo nahi Jis par Firoun Tumhe Chalana Chaahta he Balki Aao Mei Tumhe Hidaayat ka Raasta dikhata hu Jis par Chal kar Tum Apni Manzil tak Pahonch Sakte ho,

Mard E Momin ka Wa’yaz ka Silsila Zaari he Ab Usne Khatre ko Nazar-Andaaz kar ke Aylaan E Haqq kar Diya Aur kaha
Meire Saath bhi Tum Lougo ka Rawaiya Azeeb wa Gareeb he, Mei Tumhe Najaat ki Taraf Bulata hu Aur Tum Mujhe Aaag me Kudne ki Da’awat deite ho, Mei Tumhe Us KHUDA E Waahid ki Bandagi ki Talqeen karta hu Jo Bada Bakhshne Wala he, Umr Bhar Khataa E Karke bhi Agar Uske Dar-e-Karam par Koi Aajaaye to Ma’af kar deita he Aur Tum Mujhe Kehte ho ki Mei ALLAH TA’ALA Ka Inkaar kardu Aur Us ke Saath Ayse Shareeq Banaau Jo Bilkul Be-bas Aur Be-Ikhteyaar he Aur Jinki Khudaai ka Mujhe Koi Ilm nahi, Mei to Tumhaari Kheir-khwaahi me Sargarm hu Aur Tumho ki Apne Saath Mujh Garib ko Bhi Dubo Deina Chaahte ho, Tum Meire Ajeeb Dost ho Mujhe Tumhaari Aysi Dosti ki Zarurat nahi, Maherbaani Farma kar Mujhe Is Qism ki Nashihate Na kiya karo Aur Usne kaha Jin Baatil Ma’abud ki Ibaadat Aur Bandagi ki Tum Mujhe Nashihat kar rahe ho ye to Ayse he Ki Inhe ye Haqq hi nahi Pahunchta ki Duniya me ya Aakhirat me Unhe Khuda Tasleem kiya Jaaye Aur Na Unhone Khud Kabhi Apni Khudaai ka Da’awa kiya he Aur wo Itne Bebas Aur Be-Ikhteyaar he ki Na Duniya me Unko Pukaarne ka Koi Faayda he Aur Na Qayaamat ke Din Kisi ki Fariyaad Sunenge,

Firoun Jo Apne Aap ko Khuda Kahelwata tha Uske Rubaru Aur Bhare Darbaar me Itni Haqq goyi Ek Marde Momin hi kar Sakta he Lekin Jab Saamain ko Usne Muta’asir hote Na Deikha to Usne Saaf kaha Aaj to Tum Meiri Baat nahi Maan rahe Anqarib wo Waqt Aayega Azaab-E-ILAAHI Tum par Naazil hoga Us Waqt Tum Meiri In Baato ko Yaad karoge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-419, 420)

ALLAHU AKBER…

>➤ Mard E Momin Hifaazat me :-
Quraane Azeem me he ki
“To ALLAH ne Use Bacha liya Unke Makr ki Buraaiyo se Aur Firoun Waalo ko Bure Azaab ne Aa Gheira, Aaag Jispar Subah-Shaam Peish kiye Jaate hei Aur Jis Din Qayaamat Qaayam hogi Hukm hoga Firoun Waalo ko Shakht tar Azaab me Daakhil karo”
(Surah Al Momin Aayat-45, 46)

Chunanche Firouniyo ne Us Marde Momin ko Qatl karne ki Saazishe ki Lekin wo Sab Na-kaam rahe, ALLAH TA’ALA ne Apne Bande ki Hifaazat Farmaayi Aur Koi Uska Baal Baanka Na kar saka, Balki Firouni Lashkar ko Samandaro me Garq Kar Diya gaya,
(Garq hone Wala Waaqiya In Sha ALLAH Aage Aa Raha he..)

Firoun Aur Uska Thaathe Maarta huwa Lashkar Samandar me Garq ho gaya Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam Apni Qoum ko Lekar Salaamati ke Saath Kinaare Par Pahunch gaye, Duniya me hi Haqq ka Bol Bala Aur Baatil Ka Moonh Kala ho gaya,

Yaad rahe ki Inka Qissa yahi Khatm nahi huwa Balki Firoun Aur Uske Parastaaro ko Har Subah wa Shaam Dozakh ki Aaag par Peish kiya jata he Aur Unhe Bataya Jata he ki Jab Aalam-E-Barzakh ki Miaad(Term) Khatm ho Jaayegi to Qayaamat Qaayam hogi Uske Baad Unhe Isi Bhadakti Hui Aaag me Jhonk Diya Jaayega..
(ALLAHU AKBER..)

Aur Quraane E Paak ki Isi Aayat se Ulma E Ahle Sunnat ne “Azaab E Qabr” ka Istadlaal kiya he, Qabr se Muraad Sirf wo Ghadda nahi Jisme Kisi ko Dafn kiya jata he kyuki ye Qabr to Kisi ko Nasib hoti he Aur Kisi ko Nasib hi nahi hoti, Balki Isse Muraad Aalam-E-Barzakh he, Marne ke Baad Aur Qayaamat se Pehle ke Waqt ko “Aalam-E-Barzakh” Kehte he, Firouniyo ko diye Jaane waale 2 Azaabo ka Yaha Zikr ho Raha he Ek wo Jo Qayaamat se Pehle Milta he Aur Dusra wo Jo Qayaamat ke Baad Unhe Diya Jaayega.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-420, 421)

ALLAHU AKBER…

>➤ Firoun Aur Uski Qoum Qahat-Saali me Mubtila :-
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Firoun Waalo ko Barso ke Qahat Aur Falo ke Ghataane se Pakda ki Kahi wo Nasihat Maane, To Jab Unhe Bhalaai Milti Kehte ye Hamaare liye he Aur Jab Buraai Pahonchti to Musaa Aur Uske Saath Waalo se Bad-Ghumaani leite Soon lo Unke Nasib ki Shaamat to ALLAH ke Yaha hei Lekin Unme Aksar ko Khabar Nahi, Aur Bole Tum Keisi bhi Nishaani Lekar Hamaare Paas Aao Ki Hampar Usse Jaadu karo Ham Kisi Tarah Tum par Imaan Laane waale nahi”
(Surah Al A’raaf, Aayat-130, 131, 132)

ALLAH TA’ALA ne Unhe Tabaah wa Barbaad karne se Pehle Duniya me Chhote Chhote Azaab de kar Sochne-Samajhne ka Mouka Diya ki ye Kufr wa Buraaiyo se Baaz Aaajaaye, Firoun ne Apne 400 Baras ki Umr me se 320 Saal to Is Aaram ke Saath Guzaare the ki Is Muddat me kabhi Dard ya Bukhaar ya Bhuk me Mubtila nahi huwa tha, Ab Qahat-Saali ki Shakhti Un par Is liye Dali gayi ki wo Is Shakhti hi se KHUDA Ko Yaad Kare Aur Uski Taraf Mutawajjeh ho Lekin wo Kufr me Is Qadr Mubtila ho Chuke the ki In Taklifo se bhi Unki Sarkashi hi Badhti rahi,

Jab Unko Khushaali Aur Aman wa Aafiyat Haasil hoti to Kehte ki ye to Hamara Haqq he, Ham Jab Qaabil the to Is liye hi ye Aman wa Aafiyat ki Haalat Hame Haasil he, wo Use ALLAH TA’ALA Ka Fazl wa Karam Na Samajhte Aur Na hi Shukr Bajaa laate Aur Jab Unhe Tang-haali, Qahat-Saali ka Saamna karna Padhta to Kehte ki ye Balaaye to Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Unke Saathiyo ki Wajah se Pahunchi Agar ye Na hote to Ye Musibate bhi Na Aati,
RABB TA’ALA ne Farmaya ki Ye Shaamat to Tumhaare Apne Aamal Yaani Kufr wa Gumraahi ki Wajah se he Jo Usne Tumhaare Liye Muqarrar kiya he wahi Tumhe Haasil hona he Fir Asal Shaamat to Wo hogi Jab Tumhe Jahannam ki Aaag me Jhonk Diya Jaayega,

Haqq to Ye he ki wo Is Qism ki Sazaa ki Wajah se Sochte Samajhte, Kufr wa Gumraahi ko Chhodte Aur Imaan le Aate Lekin wo Apni Sharkashi me Itne Gaalib Aa Chuke the ki Imaan Laane se Saraasar Inkaar kar Diya Jab Wo Apni Hatt-Dharmi me Yaha Tak Pahonche to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unke Khilaaf Duaa kar di
“Ay RABB Hamaare…
Inke Maal Barbaad karde Aur Inke Dil Shakht Karde”

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Duaa ko Qabul kar liya gaya, Firouniyo ke Dirham wa Dinaar Patther ho kar rah gaye Yaha tak ki Fal Aur Khaane ki Chize bhi Barbaad ho gayi Aur Tarah Tarah ki Un par Aazmaaish Aayi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-421, 422)

>➤ Firouniyo par Mukhtelaf Kism ke Azaab ka Naazil hona :-
Quraane Azeem me ALLAH AZZAWAJAL Irshaad Farmata he
“To Bheija Hamne Unpar Tufaan Aur Tiddi Aur Ghun(ya kalni ya Jue)Aur Meindak Aur Khun Juda Juda Nishaaniya to Unhone Takabbur kiya Aur wo Mujrim Qoum thi, Aur Jab Unpar Azaab Padta Kehte Ay Musaa Hamaare Liye Apne RABB se Duaa karo Us Ahad ke Sabab Jo Uska Tumhaare Paas he Beshak Agar Tum Hampar Azaab Utha Doge to Ham Zarur Tum par Imaan Laayenge Aur Bani Israaeel ko Tumhaare Saath Kar deinge, Fir Jab Ham Unse Azaab Utha leite Ek Muddat ke liye Jis tak Unhe Pahunchna hei Jabhi Wo Fir Jaate”
(Surah Al A’raaf, Aayat-133, 134, 135)

Jab Jaadugaro ke Imaan Laane ke Baad bhi Firouni Apne Kufr Aur Sarkashi par Jame rahe to Un par ALLAH TA’ALA ki Taraf se Pe-darpe(Ek ke Baad Ek) Nishaaniya Aane lagi kyuki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne RABB TA’ALA ki Baargaah me Arz kar Diya tha
“Ay ALLAH Firoun Is Duniya me Bahot Sarkash ho Chuka he Lougo ko Gumraah kar Raha he, Use Aur Uski Qoum ko Ayse Azaab me Giraftaar kar Jo Unke liye Saza Aur Meiri Qoum Aur Baad me Aane Waalo ke liye Ibrat ka Sabab Bane to ALLAH TA’ALA ne Tufaan Bheija, Baadal Aaya Andhera huwa, Kasrat se Baarish hone lagi, Qibtiyo ke Gharo me Paani Ghus gaya Yaha Tak ki wo Usme Khade rah gaye Aur Paani Unki Gardano tak Aa gaya, Unme se Jo Beitha Doob gaya, Na Hil Sakte Aur Na Kuchh Kaam kar Sakte the, Hafte ke Din se Fir Hafte ke Din tak 7 Roz(Din) Isi Musibat me Mubtila rahe, Haalaanki Bani Israaeel ke Ghar Unke Gharo se Mile hue the Unke Gharo me Paani Na Aaya, Jab ye Loug Aa’jiz hue to Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Arz karne lage Hamaare liye Duaa Farmaaiye ki ye Musibat Door ho to Ham Aap par Imaan le Aayenge Aur Bani Israaeel ko Aapke Paas Bheij Deinge, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Duaa Farmaayi Tufaan ki Musibat Door Hui, Zameen me Sar-Sabzi(Hariyaali) Aayi Jo Pehle Na deikhi thi, Khetiya Khub Hui, Darakht Khub Fale to Firouni Kehne lage ye Paani to Ne’amat tha Aur wo Imaan Na Laaye, 1 Maah(Mahina) Isi Tarah Unka Aafiyat me Guzar gaya,

Iske Baad ALLAH TA’ALA ne Tiddi(Locust) Bheiji, wo Khetiya Aur Fal, Darakhto ke Patte, Makaano ke Darwaaje, Chhate, Takhte, Saamaan Yaha Tak ki Lohe ki Khile tak Kha gayi Aur Qibtiyo ke Gharo me Bhar gayi Aur Bani Israaeel ke Gharo me Na gayi, Ab Qibtiyo ne Pareshaan ho kar Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Duaa ki Darkhwaast ki, Imaan Laane ka Wa’ada kiya, Uspar Ahad liya, 7 Roz(Din) tak Tiddi ki Musibat me Giraftaar rahe, Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Duaa se Na’jaat paayi, Khetiya Aur Fal Jo Kuchh Baaqi rah gaye the Unhe Deikh kar Kehne lage ye Hame Kaafi he, Ham Apna Deen nahi Chhodate, Chunanche Imaan Laane ka Wa’ada Unhone Pura Na kiya Aur Apne Bure Aamaal me Mubtila rahe, 1 Maah(Mahina) Fir Unka Is Taraf Aafiyat me Guzar gaya,

Iske Baad Un par Qummal ka Azaab Aaya, Qammal se Muraad Ghan ya Jue ya Koi Chhota sa Kida he, Us Kide ne Jo Khetiya Aur Fal Baaki Bache wo Kha liye, Kapdo me Ghus jata tha Aur Khaal(Chamdi) ko Kaat-ta tha, Khaane me Bhar jata tha, Agar Koi 10 Bori Genhu Chakki par le jata to 3 Seir Waapis lata Baaqi Sab Kide Kha Jaate, ye Kide Firouniyo ke Baal, Bhanve, Palke Chaat Gaye, Jism par Chenchak ki Tarah Aable Padhte Fir Nishaan Pad Jaate, Sona Dushwaar kar Diya tha, Is Musibat se Firouni Chikh Padhe Aur Unhone Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Arz kiya Ham Touba karte he, Aap Is Balaa ke Dafa hone ki Duaa Farmaaiye, Aap Alayhis Salaam ki Duaa se ALLAH TA’ALA ne Unki Is Musibat ko Bhi 7 Roz(Din) ke Baad Door Farmaaya, Lekin Firouniyo ne Fir Wa’ada Tod Diya Aur Imaan Na Laaye Balki Pehle se Zyada Bure Aamaal Shuru kar diye Ek Maah Unka Fir Aaaram se Guzar gaya,

Fir ALLAH TA’ALA ne Unpar “Meindak (Frog)” Bheije Aur Ye Haal ki Aaadmi Beithta tha to Uski Majlis me Meindak Bhar Jate the, Baat karne ke liye Moonh Kholta to Meindak kud kar Moonh me Daakhil ho jata, Haandiyo me Meindak, Khane me Meindak Aur Chulho me Meindak Bhar Jate the (Jis se) Aaag Bujh Jaati thi, Leit-te to Meindak Upar Sawaar ho Jaate the, Is Musibat se Firouni Ro Padhe Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Arz ki Is Dafa Ham Pakka Wa’ada karte he ki Touba Karenge Imaan Laayenge, Aap Duaa Kare ye Musibat Hamse Tal jaaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unse Ahad le kar Fir Duaa Farmaayi 7 Roz(Din) ye Azaab bhi Un par Raha Aakhir Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Duaa se ye Bhi Door huwa, 1 Maah(Mahina) Unka Fir Aman wa Aafiyat me Guzar gaya Lekin Unhone Fir Wa’ada Tod Diya Aur Apne Kufr par Bar-qaraar rahe,

Fir ALLAH TA’ALA ne Unpar Khun ka Azaab Naazil kiya Unke Tamaam Kunwo ka Paani Neharo Aur Chashmo ka Paani Darya E Neel ka Paani Yaha tak ki Unke liye Har Paani Taaza Khun Ban gaya, Unhone Firoun se Iski Shikaayat ki to kehna laga ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apne Jaadu se Tumhaari Nazar-Bandi ki he, Unhone kaha Nazar-Bandi keise Hamaare Bartano me Khun ke Siwaa Paani ka Naam wa Nishaan hi nahi to Usne Hukm Diya ki Qibti Aur Bani Israaeel Ek hi Bartan se Paani liya Kare, Lekin Iska bhi Unhe Koi Faayda Na huwa, Bani Israaeel Jab Nikaalte to Paani hi Nikalta Lekin Jab Isi Bartan se Qibti Nikaalte to Khun Nikalta, Yaha Tak ki Firouni Aurate Pyaas se Aajiz ho kar Bani Israaeel ki Aurato ke Paas Aayi Aur Unse Paani Maanga to Wo Paani Unke Bartan me Aate hi Khun ho gaya To Firouni Aurate Kehne lagi ki Paani Apne Moonh me le kar Meire Moonh me Daal de, Jab tak wo Paani Israaeeli Aurat ke Moonh me Raha Paani tha Aur Jab Firouni Aurat ke Moonh me Aaya Khun Ban gaya, Firoun ka Pyaas ki Siddat ki Wajah se Bura Haal tha, Darakhto ka Ras Chus Raha tha, wo Bhi Moonh me Pahonchte hi Khun Ban jata, Fir Is Musibat se Tang Aakar Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Duaa ki Darkhwaast ki Aur Imaan Laane ka Wa’ada Farmaya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Duaa ki, Is Tarah ye Azaab bhi 7 Roz(Din) Rehne ke Baad Khatm ho gaya Magar ye Loug Fir Bhi Imaan Na Laaye, Inke Baar Baar Imaan Laane ke Daawe Aur Musibat Uth Jaane par Wa’ade ko Todne ka Zikr Is Aayat me kiya gaya(Jo Uper Peish ki gayi he),

Unpar Tamaam Azaab Ek Ek Hafta rahe Jab bhi Koi Azaab Aata Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Imaan Laane ka Wa’ada karte ki Tum Duaa karo ki Agar ye Azaab Hamse Utha liya Jaaye to Ham Imaan Le Aayenge, Azaab Jab Utha liya Jata Fir Wa’ada Tod deite Ek Mahina Unka Aaram se Guzar jata Fir Dusre Azaab me Mubtila ho Jaate Har Baar Unhone Imaan Laane ka Wa’ada kiya Lekin Tod diya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-422, 423, 424)

ALLAHU AKBER..

Jaha Azaab Naazil kiya gaya Waha Bani Israaeel bhi the Aur Firouni(Qibti) bhi the, Magar Ye ALLAH RABBUL IJJAT ki Shaan he ki Azaab Sirf Firouni (Qibtiyo) par hi Naazil hota…
Beshak ALLAH TA’ALA Har Chiz par Qaadir he..
Aur Uska Fazl he ki Hame Duniya ki Sabse Badi Doulat “Imaan” Nasib Farmaaya..
Beshak Uska Jitna Shukr kiya Jaaye Utna Kam he..

GHARK

>➤ Bani Israaeel ko Misr se le jaane ka Hukm :-
Quraane Kareem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Musaa ko Wahi ki Raato Raat Meire Bando ko le Chal Aur Unke liye Dariya me Shukha Raasta Nikaal de Tujhe Dar Na hoga Ki Firoun Aa le Aur Na Khatra”
(Surah Taahaa, Aayat-77)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko RABB TA’ALA ne Hukm Diya ki Bani Israaeel ko Raat me Misr se Nikaal kar le Jaao Yaani Ab Bani Israaeel ki Najaat Aur Firoun Aur Uski Qoum ki Tabaahi ka Waqt Aa Chuka he,

Raat ko Nikalne ka Hukm Diya Taaki Bani Israaeel ka Ijtemaa E Dushman ka Saamna Na ho Aur wo Unki Muraad ki Takmil me Maan’e Na Bane, Raat ko Nikaalne ki Dusri Wajah ye Bhi thi ki Firoun Aur Uska Lashkaraan Unka Pichha karke Unko Rouk Na Sake Aur Firoun ke Azeem Lashkar ko Deikh kar Bani Israaeel Khouf Na Kare, Chaandani Raat me Hazrat Musaa Alayhis Salaam Apni Qoum ko Saath Lekar Chale, Bani Israaeel ke Paas Kaafi Miqdaar me Sone(Gold) Aur Chandi(Silver) ke Zeivraat bhi the Jo Unhone Qibtiyo se Maang kar liye hue the ki Ham Unhe Apni Eid me Istemaal Karenge, wo Pehle bhi Unse Zeivraat leite rehte the,

Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Wasiyat Farmaayi thi ke Jab Tum Misr se Niklo to Meira Taabut bhi Saath le kar Jana,

Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Apni Qoum ko Saath le kar Chale to Raasta Bhul gaye, Is par Heiraangi se Ek Dusre se Puchhne lage ye Kya huwa…??
Kuchh Lougo ko Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Wasiyat ka Ilm tha to Unhone kaha ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Apni Wafa’at ke Waqt Hamaare Aaba wa Ajdaad (Baap-Daada) se Pukhta Wa’ada liya tha ki Misr se Nikalte Waqt Meira Taabut Zarur Saath le Jana, Hamaare Bhul ne ki Yahi Wajah ho Sakti he, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Tum me se Kon he Jo Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Qabr ko Janta he..?? Unhone Bataya ki Ham me se Ek Budhi Aurat ke Bageir Koi Bhi Nahi Jaanta ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Qabr Kis Jagah par he,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Us Aurat ko Bula kar kaha ki Tum Bataao ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Qabr kaha he..?
Usne kaha Mei Us Waqt tak Nahi Bataaungi Jab tak Meiri Ek Shart Na Puri karo, Aap Alayhis Salaam ne Puchha wo Kya he…?
Usne kaha Meiri Sirf ye Khwaaish he ki Mei Jannat me Aap ke Saath rahu, Musaa Alayhis Salaam Kuchh Soch me Pade to ALLAH TA’ALA ne Aap ki Taraf Wahi Naazil ki ke Ay Musaa Us se Wa’ada karlo, Aap Alayhis Salaam ne kaha Thik he Tumhaari Darkhwaast Manzur he, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Jab Us Aurat ke Saath Chale to Usne Qabr ki Nishaan-dehi ki, Jab Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Taabut ko Nikala gaya to Andheri Raat Roushan ho gayi, Is Tarah Unhe Raasta Mil gaya.
(Tafseere Kabeer, Jild-12, Safa-12)
(Tafseere Ibne Kaseer, Jild-3, Safa-335)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-425, 426)

Subhan Allah..

>➤ Firouniyo ki Halaakat ki Taraf Rawaangi :-
Quraane Hakeem me he ki
“Ab Firoun ne Shaharo me Jamaa karne waale Bheije, ki ye Loug Ek Thodi Jama’at hei, Aur Beshak Ham Sab ka Dil Jalaate hei, Aur Beshak Ham Sab Chokanne he, To Hamne Unhe Baahar Nikala Baago Aur Chashmo, Aur Khazaano Aur Umda Makaano se, Hamne Aysa hi Kiya Aur Unka Waaris kar Diya Bani Israaeel ko, To Firouniyo ne Unka Pichha kiya Din Nikle, Fir Jab Aamna Saamna Huwa Dono Giroh ka Musaa Waalo ne kaha Hamko Unhone Aa liya, Musaa (Alayhis Salaam) ne Farmaya Yu Nahi Beshak Meira RABB Meire Saath he wah Mujhe Ab Raah deita hei”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-53, 54, 55, 56, 57, 58, 59, 60, 61, 62)

Firoun ne Deikha ki Bani Israaeel Moujud nahi he to Bahot Gusse me huwa, Usne Har Taraf Apne kaarinde(Agents) Douda kar Apni Fouzo, Lashkaro Aur Apne Tamaam Haamiyo ko Jamaa kar liya Aur Kehne laga ki Bani Israaeel Hamaare Muqaable me Ek Chhoti si Jama’at he wo Hameisha Geiz wa Gazab(Gusse) ko Bhadkaate rehte he, Mei Chaahta hu ki Unko Mukammal Tour par Tabaah wa Barbaad kar Diya jaaye, ALLAH TA’ALA ne Firoun Aur Uski Qoum ko Barbaad karne ke liye Unke Dilo me Ye Baat Saabit kardi ki Sab Loug Bani Israaeel ka Pichha karke Unka Mukammal Safaaya kardo, Is Tarah ALLAH TA’ALA ne Apni Hikmat-E-Kaamela se Un Tamaam Firouniyo ko Barbaad karke Apna Wa’ada Pura Farma Diya, Firoun ko Maanne waale Tamaam Uske Kehne par Apni Ne’amato Apne Aa’la Qism ke Makaanaat Aur Faldaar Darakhto ke Baagaat(Gardens) Apni Aysh wa Ishrat ke Saamaan ko Chhod kar Bazaahir Bani Israaeel ko Tabaah karne ke liye Chale Jo Dar-Haqiqat Apni hi Barbaadi ki Taraf Chal rahe the,
Firoun ke Kehne par Sab Loug Jama ho kar Bani Israaeel ke Pichha karne me Chal Padhe, Daryaa E Qulzum ke Kinaare par Unke Saamne Pahonch gaye, Bani Israaeel ne Jab Deikha to Kehne lage ki Ab To Ham Pakad liye Jaayenge, Unke Dilo me Pehle hi Firoun ka Ro’ab Chhipa huwa tha Aur wo Taadaad me bhi Firouniyo se Bahot Kam the Aur Kisi Qism ka Unke Paas Koi Hathiyaar bhi nahi tha, Is liye Unpar Bahot Zyada Khouf Taari huwa to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya ki Meira RABB TA’ALA Meire Saath he wo Abhi Meiri Rehnumuaai Farmaayega.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-426, 427)

>➤ Firouniyo ka Garq hona :-
Quraane Azeem me ALLAH SUBHAANAHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“To Hamne Musaa ko Wahi Farmaayi ki Darya par Apna Asaa Maar to Jabhi Darya Fat gaya to Har Hissa Ho gaya Jeishe Badaa Pahaad, Aur Waha Qarib Laaye Ham Dusro ko, Aur Hamne Bacha liya Musaa Aur Uske Sab Saath Waalo ko, Fir Dusro ko Doobo Diya, Beshak Isme Zarur Nishaani hei Aur Unme Aksar Musalmaan Na the, Aur Beshak Tumhaara RABB hi Ijjatwala Maherbaan hei”
(Surah Ash-shu’araa, Aayat-63, 64, 65, 66, 67, 68)

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Hukm Diya ki Aap Apna Asaa(Laathi) Darya par Maaro, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Apna Asaa Darya par Maara to Darya Fat gaya, Usne Raasta Chhod Diya, Darmiyaan me Khushk(Sukha) Raasta Aur Idhar-Udhar Paani ki Bulandi Itni Azeem thi Jeise Bade Bade Pahaad ho, Bani Israaeel Chunki 12 Qabaail(Qabile) the Ek hi Raaste me Ek Dusre ke Saath Chalna Munaasib nahi Samajhte the Is liye Har Qabile ke liye Alaaihida(Alag) Raasta Banaya gaya, Ya’ani Darya me 12 Raaste Banaaye gaye, Har Raaste ke Daayi-Baayi (Left-Right) Paani ki Bulandi Azeem Azeem Pahaado Jeisi thi, wo kehne lage ki Hame Kya Ma’alum hei ki Hamaare Dusre Bhai Zinda he ya Paani me Garq(Doob) ho Chuke he, To Darmiyaan se Roushan-Daano ki Tarah Paani ko Hata Diya gaya, wo Ek Dusre ko Deikhte hue Darya Abur(Paar) kar gaye, Firoun Aur Uske Lashkar ne bhi Daryaa me Raasta Deikh kar Apne Ghode Doudaaye Lekin wo Bani Israaeel ko Na pa Sake,

Firouniyo Aur Bani Israaeel ke Darmiyaan Hazrat Jibrail E Ameen Alayhis Salaam the, Jo Bani Israaeel ke Pichhle Lougo ke Dilo me Ye Baat Daal rahe the ki Jaldi Chalo, Agle Lougo se Mil Jaao, Aur Firouniyo ke Dilo me Ye Baat Daal rahe the Aahista Chalo Pichhle Lougo ko Saath Milne do, Bani Israaeel Jab Darya Abur(Paar) kar Chuke Aur Firouni Abhi Darmiyaan me hi Pahonche the to Paani Aapas ne Mil gaya Is Tarah Firoun Aur Uski Qoum ke Tamaam Loug Garq ho gaye,
Ek Riwaayat ke Mutaabik ye 6 Laakh(6,00,000) ki Taadaad me the, Bani Israaeel ye Tamaam Manzar Apni Aankho se deikh rahe the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safaa-427)

ALLAHU AKBER..

Kya Shaan hei Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Aur Sacche Ma’abad RABB TA’ALA ki…
Darya jaha Kitna Paani Rehta he Uske Bichme Raasta Banana ye ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat hei…
Aur Us Raaste se Apne Pyaare NABI Aur Unki Qoum ko Bina Kuchh Nukshaan Pahonchaye, Sahi Salaamat Pahonchana Aur Us Waqt tak Paani ko Roke Rakhna ye Bhi ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat he…
Hame Is Waaqiye se Ibrat Haasil karni Chaahiye..
Beshak ALLAH TA’ALA Har Chaahe par Qaadir he..

>➤ Firoun ka Garq hone par Imaan Lana Aur Qabul Na hona :-
Quraane Hakeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Ham Bani Israaeel ko Darya Paar le gaye to Firoun Aur Uske Lashkaro ne Unka Pichha kiya Sarkashi Aur Zulm se Yaha Tak ki Jab Use Doobne ne Aa liya Bola Mei Imaan Laaya ki Koi Sachha Ma’abud nahi Siwa Uske Jispar Bani Israaeel Imaan Laaye Aur Mei Musalmaan hu, Kya Ab Aur Pehle se Na-farmaan Raha Aur Tu Fasaadi tha, Aaj Ham Teiri Laash ko Utra Deinge(Baaki Rakhenge) ki Tu Apne Pichhlo ke liye Nishaani ho Aur Beshak Loug Hamaari Aayato se Gaafil hei”
(Surah Yunus, Aayat-90, 91, 92)

Subhan Allah..
Maalikul Mulk ki Kitni Azeem Qudrat he..
ki wo Shaksh Jo Kabhi
“Mei Tumhaara Bada Khuda hu” ka Da’awa karta tha, Aaj Jab Uski Giraft me Aata he Darya me Shadeed Moujo ke Thappado me Aate hi Ek Martaba nahi Balki Tin Martaba Imaan lata he..
Ek Martaba kaha
“Mei Imaan laya”,
Dusri Martaba kaha
“Koi Saccha Ma’abad nahi Siwa Uske Jispar Bani Israaeel Imaan Laaye”
Tisri Martaba kaha
“Aur Mei Musalmaan hu”
Lekin ye Uska Imaan Qabul Na huwa Kyunki RABB TA’ALA ke Azaab ko Deikh kar, Farishto ka Saamna karte hue Imaan Lana Nafa-Mand nahi ho Sakta, 

ALLAH TA’ALA ne Farmaya Ab Tu Imaan Lata he Pehle Na-farmaaniya karta Raha Aur Fasaad Feilta raha, Ya’ani Tumhe Imaan Laane ka Kitna Waqt Diya..?? Kayi Martaba Tujhe Aazmaaisho me Mubtila karke Imaan Laane ki Taraf Sochne ke Mouka diya, Lekin Us Waqt Tu Imaan Na Laya, Ab Garq hone par Teire Imaan Laane ko Qabul nahi kiya Ja Sakta, Ab to Teire Jism ko Darya ki Moujo se Baahar Feink kar Lougo ke liye Nishaani Bana Diya Jaayega, Sabko Pata Chal jaaye ki Aaj Khudaai ka Da’wedaar Garq ho kar Murda Haalat me Padaa hei, Khudaa E Haqiqi to Wo he Jo Hameisha ke liye Qaayam wa Daayam hei.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-154)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-428)

Beshak..

TOOR

>➤ Bani Israaeel ki Na-Shukri :-
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Humne Bani Israaeel ko Dariya Paar Utara to Unka Guzar Ek Aysi Qoum par huwa ki Apne Buto ke Aage Aasan Maare the Bole Ay Musaa Hame Ek Khuda Banaade Jeisa Inke liye Itne Khuda he Bola Tum Zarur Jaahil Loug ho, Yah Haal To Barbaadi ka he Jisme ye Loug he Aur Jo Kuchh Kar rahe he Niraa Baatil he, kaha Kya ALLAH ke Siwa Tumhaara Aur Koi Khuda Talaash Karu Haalaanki Usne Tumhe Zamaane Bhar par Fazilat di”
(Surah Al A’raaf, Aayat-138, 139, 140)

ALLAH TA’ALA Ne Jab Bani Israaeel ke Dushmano ko Halaak kar Diya Jiska Wo Mushaahida Kar rahe the Unhe Darya se Salaamati se Guzaar Diya, fir Haqq to Ye tha ki wo ALLAH TA’ALA Ka Shukr Adaa karte, Lekin RABB TA’ALA ne Unki Jahaalat ka Tazkira Farmaya ki wo Kitne Jaahil Aur Na-Shukre Loug the ki wo Butt-Parasto ko Deikh kar Kehne lage ki “Hame Bhi Aysa Khuda Banaado” Bani Israaeel ne Jo Butt deikhe the wo Gaay ki Shakl ke the,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unhe Kaha ki Tum Jaahil Loug ho Kya Tumhe Ma’alum nahi ki Ibaadat to Aa’la Darje ki Ta’azim ka Naam he Aur Aa’la Darje ki Ta’azim Usi Zaat ki ho Sakti he Jis ke Azeem Inaa’maat, Jism ki Takhleeq, Zindagi Ataa karna, Khwaahishaat, Qudrat Ataa karna Aur Nafaa-Mand Ishyaa(Chize) ka Peida karna Un Ishyaa par Qaadir Siwaaye ALLAH TA’ALA ke Aur Koi Nahi Aur Ibaadat ke Laayak bhi Uske Siwaa Koi Nahi.
(Tafseere Kabeer, Jild-13, Safa-223)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-429)

>➤ Tauraat Leine ke liye Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Toor par Jana :-
Quraane Hakeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Humne Musaa se Tis(30) Raat ka Wa’ada Farmaya Aur Unme Das Aur Badhaakar Puri Ki to Uske RABB ka Wa’ada Puri Chaalis(40) Raat ka Huwa Aur Musaa ne Apne Bhai Haarun se kaha Meiri Qoum Par Meire Naayab rahna Aur Islaah karna Aur Fasaadiyo ki Raah ko Dakhal Na Deina”
(Surah Al A’raaf, Aayat-142)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Pehle hi Bataya tha ki Jab ALLAH TA’ALA Hame Firouniyo se Na’jaat deiga to Mei Tumhe RABB TA’ALA se Ek Kitaab Laa kar Dunga Jisme Haraam wa Halaal ka Zikr hoga Usi Wa’ade ke Mutaabik Aap Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Hukm se Tauraat Leine Toor par gaye,

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Wa’ada Farmaya ki Tum Toor par Aao Tumhe 40 Dino ke Baad Kitaab di Jaayegi, Aap Alayhis Salaam ko Hukm Diya gaya ki Tum 30 Din Ayse Neik Aamaal karna Jo Meire Qurb ka Zariya Bane, Fir 10 Dino me Tumhe Kitaab Ataa kardi Jaayegi Is Tarah 30 Dino ka Wa’ada 40 Dino tak Huwa Aur Ye bhi Bayan kiya gaya he ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Zil Qad ke 30 Roze Rakhne ka Hukm Diya Jab Aapne 30 Din ke Roze Mukammal kar liye to Moon me Bu Na-Munaasib Samajh kar Miswaak ki, Farishto ne kaha ki Humto Aap ke Moonh se Kastoori ki Khushbu Soongh rahe the Lekin Aapne Miswaak karke Zaaya kardi to ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ko Wahi ki
“Kya Tumhe Ma’alum nahi ki Rozedaar ke Moonh ki Bu Meire Nazdik Kastoori se bhi Zyada Acchi he”
(Roohul Ma’ani, Jild-5, Hissa-2, Safa-43)
Aap Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Hukm Diya ki Zil Hajj ke 10 Roze Aur rakhe, Is Tarah 40 Din Badha kar 40 kar diye gaye,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jaate hue Apne Bade Bhai Haarun Alayhis Salaam ko Apna Naayab Banaya Jo Khud bhi Mustaqil Nabi the, Hazrat Haarun Alayhis Salaam Faqat Nabi the Aur Musaa Alayhis Salaam Rasool bhi the Is liye Aap Alayhis Salaam ne Unhe Apne Mansabe Risaalat ka Naayab Aur Khalifa Banaya wo bhi Faqat Toor se Waapasi tak,
Dusri Wajah ye he ki Aap Alayhis Salaam ka Irshaad Ek Muhaawra ke Mutaabik he Ya’ani Jis Tarah 2 Shakhsho ke Zimme Koi Kaam Lagaya jaye to Un me se 1ne Agar Kahi Jana ho to Dusre se kehta he
“Tum Meiri Jagah bhi Kaam karna Ya’ani Bahot Zyada Koshish se ye Kaam karna Ayse Pata Chale ki Tum 2 Aadmiyo ki Jagah Kaam kar rahe ho”.
(Roohul Ma’ani, Jild-5, Hissa-2, Safa-43)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-430)

>➤ RABB TA’ALA ke Deedaar ki Tamanna :-
Quraane Majeed me RABB TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Jab Musaa Hamaare Wa’ade par Haazir huwa Aur Usse Uske RABB ne Kalaam Farmaya Arz ki Ay RABB Meire Mujhe Apna Deedaar Dikha ki Mei Tujhe deikhu Farmaya Tu Mujhe Hargiz Na Deikh Sakega Haa Is Pahaad ki Taraf Deikh ye Agar Apni Jagah Par Thehra Raha to Anqarib Tu Mujhe Deikh Lega Fir Jab Uske RABB ne Pahaad par Apna Noor Chamkaya Use Paash Paash(Tukde-Tukde) kar Diya Aur Musaa Gira Behosh”
(Surah Al A’raaf, Aayat-143)

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Kalaam Farmaya Albatta Us Kalaam ki Haqiqat ko Bayaan karna Mumkim Nahi, Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Kalaam Soonne ke liye Haazir hue to Aap Alayhis Salaam ne Tahaarat ki Aur Paakiza Libaas Pahena Aur Roza Rakh kar Toor me Haazir hue ALLAH TA’ALA ne Ek Baadal Naazil Farmaaya Jisne Pahaad ko Har Taraf se Baqadr Char Farsang Dhak liya, Shayaateen Aur Zamin ke Jaanwar Yaha Tak ki Saath Rehne waale Farishte Tak Wahaa se Alag kar diye gaye Aur Aap ke Liye Aaasmaan Khoul diya gaya to Aap Alayhis Salaam ne Farishto ko Deikha Aur Aap ne Arshe Mo’alla ko deikha, Loh E Mahfuz ko Deikha, ALLAH TA’ALA ne Aap se Kalaam Farmaya, Aap Alayhis Salaam ne Uski Baargaah me Apni Baate Peish ki, Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Agarche Saath the Lekin wo bhi RABB TA’ALA ki Qudrat se Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur RABB TA’ALA ke Darmiyaan hone Waale Kalaam ko Na Soon Sake,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne RABB TA’ALA ke Kalaam ko Soon kar Aysi Lazzat Mahsus ki ke Aapke Dil me RABB TA’ALA ko Deikhne ki Khwaahish Peida ho gayi Aur Arz ki Ay ALLAH TA’ALA Mei Tujhe Deikhna Chaahta hu Tu Mujhe Apne Deedaar se Musharraf Farma,
RABB TA’ALA ne Farmaya “Tum Mujhe nahi Deikh Sakte”,
ye nahi Farmaya ki “Mujhe nahi Deikha ja Sakta” yahi Wajah he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Me’raaz ki Raat RABB TA’ALA Ka Deedaar kiya Aur Ye Deikhne ka Inkaar Duniya ke Muta’liq he, Jannat me Momin RABB TA’ALA Ka Deedaar Karega,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Sawaal karna hi Is Chiz par Dalaalat karta he ki Aap ne Mumkin ka Sawaal kiya Agar RABB TA’ALA ko Deikhna Mahaal hota to Aap Sawaal Na karte, RABB TA’ALA ne Farmaya ki Mei Apni Tajalliyaat ka Zahur Pahaad par karta hu Tum Pahaad ko Deikho Agar Tumne Pahaad ko Deikh liya to Samajhna ki Mujhe bhi Deikh loge Lekin RABB TA’ALA ki Tajalliyaat ki Taab Pahaad Na la Saka ki wo Qaayam Rahta Balki wo bhi Paas Paas( Tukde-Tukde) ho gaya Aur Musaa Alayhis Salaam bhi Hosh Bar-qaraar Na Rakh Sake.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-431)

ALLAHU AKBER…

>➤ Qoum ne Bachhade ki Parastish Shuru kar di :-
Quraane Majeed me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Farmaya to Humne Teire Aane ke Baad Teiri Qoum ko Balaa Me Dala Aur Unhe Saamri ne Gumraah kar Diya, To Musaa Apni Qoum ki Taraf Palta Gusse me Bhara Afsos karta kaha Ay Meiri Qoum Kya Tumse Tumhaare RABB ne Accha Wa’ada Na kiya tha Kya Tum par Muddat Lambi Guzri ya Tumne Chaha ki Tum par Tumhaare RABB ka Gazab Utre to Tumne Meira Wa’ada Khilaaf kiya, Bole Humne Aapka Wa’ada Apne Ikhteyaar se Khilaaf Na kiya Lekin Humse Kuchh Bojh Uthwaaye gaye Us Qoum ke Gahne ke to Humne Unhe Daal Diya Fir Isi Tarah Saamri ne Dala, To Usne Unke liye Ek Bachhda Nikala Be-Jaan ka Dhad Gaay ki Tarah Bolta to Bole Yah he Tumhaara Ma’abud Aur Musaa ka Ma’abad to Bhul gaye, to Kya Nahi Deikhte ki Wah Unhe Kisi Baat ka Jawaab nahi deita Aur Unke Kisi Bure-Bhale ka Ikhtayaar nahi Rakhta”
(Surah Taahaa, Aayat-85, 86, 87, 88, 89)

“(Musaa Alayhis Salaam ne) kaha Ab Teira Kya Haal he Ay Saamri, Bola Meine Wah Deikha Jo Lougo ne Na Deikha To Ek Mutthi Bharli Farishte ke Nishaan se Fir Use Daal Diya Aur Meire Jee ko yahi Bhalaa laga”
(Surah Taahaa, Aayat-95, 96)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam Apni Qoum ke 70 Afraad ko Saath Lekar Toor par Kitaab Leine ke liye gaye, Qoum se 40 Dino ka Wa’ada karke gaye Aap Alayhis Salaam Apni Qoum ke Un Afraad se Zara Jald hi Aage Toor par Pahonch gaye, RABB TA’ALA ne Puchha Tum Apni Qoum ke Afraad se Pehle kyu Aagaye, To Aap Alayhis Salaam ne Arz kiya Ay MOULAAYE KAAYENAAT Wo bhi Meire Pichhe Aahi rahe he Mei Sirf Teiri Raza Haasil Karne ke liye Jald Aagaya, Toor par hi ALLAH TA’ALA ne Aap ko ye Khabar di thi ki Tumhaari Qoum Gumraah ho Chuki he,

Aap ko gaye hue Jab 20 Din Mukammal ho gaye to Saamri ne kaha ki Musaa Alayhis Salaam ko gaye 20 Din Aur 20 Raate ho Chuki he, 40 ki Takmeel ho gayi Aap Nahi Aaye, Iski Wajah Sirf ye ki Tumhaare Paas Firouniyo ke Zeivraat he wo Tum par Haraam he, Is liye wo Zeivraat Tum Loug Mujhe de do ki Mei Ek Khuda Bana du, Kyunki wo Pehle hi Deikh Chuka tha ki Qoum Aysa Khuda Chaahti he Jo Unhe Nazar Aaye, Ye Khud bhi Gaay ki Parastish karta tha Is liye Isne Tamaam Zeivraat Jama karke Unhe Bachhda Bana diya,

Chunki Firoun ke Lashkar ne Apne Ghodo ko Darya me Daalne se Soch wa Bichar Shuru kar di thi to Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Ek Ghode par Sawaar ho kar Aaye, wo Jaha Qadam Rakhte the waha Sabz Ghaans Peida ho Jaati, Saamri ne ye Maanjra Deikh liya tha, Is liye Usne Ghodi ke Sam ke Niche se Mitti Utha kar Mahfuz Karli thi, Wahi Mitti Bachhde ke Dhaanche me Daal di thi, Jiski Wajah se Usme Asare Hayaat Peida ho gaya Aur wo Gaay ki Tarah Dakaar ne laga.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-432, 433)

>➤ Waapasi par Duaa karna :-
Quraane Aziz me he ki
“Aur Jab Musaa Apni Qoum ki Taraf Palta Gusse me Bhara Jhunjhlaya huwa Kaha Tumne Kya Buri Meiri Jaanashini ki Meire Baad Kya Tumne Apne RABB ke Hukm se Jaldi ki Aur Takhtiya Daaldi Aur Apne Bhai ke Sarke Baal Pakad kar Apni Taraf Khinch ne laga Kaha Ay Meire Maa Jaaye Qoum ne Mujhe Kamzor Samjha Aur Qarib tha ki Muje Maar Daale Tu Mujhpar Dushmano ko Na Hansa Aur Mujhe Zaalimo me Na Mila, Arz ki Ay Meire RABB Mujhe Aur Meire Bhai ko Bakhsh de Aur Hame Apni Rahmat ke Andar le le Tu Sab Mehar Waalo se Badhkar Mehar Wala”
(Surah Al A’raaf, Aayat-150, 151)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam Qoum ki Gumraahi ko Deikh kar Hamiyat Aur Sirf ALLAH TA’ALA ki Raza ki Khaatir Itne Shadeed Gusse me Aaye ki Aap Alayhis Salaam se Be-Ikhteyaar Tauraat ki Takhatiya gir gayi Aur Isi Be-Ikhteyaari ki Surat me Apne Bade Bhai ke Sar Aur Daadhi ko Pakadne lage yahi Wajah he ki Aapko Iska Koi Mavaakhazah nahi, Balki Madah ke Zaman me Aaya, Aakhir Bhai ke Uzr Peish karne par Unki Diljoi ke liye RABB TA’ALA ki Baargaah me Duaa ki
Ay ALLAH TA’ALA Mujh se Gusse ki Haalat me Koi Kotaahi Hui ho ya Meire Bhai se Qoum se Aajiz Aane ki Wajah se Koi Kotaahi ho to Muaaf Farma de.
(Roohul Ma’ani, Jild-5, Hissa-2, Safa-69)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-434)

>➤ Saamri ki Saza :-
Quraane Hakeem me he ki
“Kaha Tu Chalta Ban ki Duniya ki Zindagi me Teiri Saza Yah hei ki Tu Kahe Chhu Na Ja Aur Beshak Teire liye Ek Wa’ade ka Waqt he”
(Surah Taahaa, Aayat- 97)

Saamri ki Duniya me Ye Saza Muqarrar Hui ki Jo Shaksh Uske Qarib Aakar Use Haath lagaata wo Shaksh Aur Ye Shadeed Bukhaar me Mubtila ho Jaate Is liye ye Door se Aate hue Shaksh ko Deikh kar kehta Mujh se Musaafa Na karna Mujhe Chhu Na Nahi, Iska Natija ye Nikla ki ye Lougo ke Darmiyaan Ek Wahshi Jaanwar ki Heshiyat me ho gaya Lougo ne Is se Mel-Mulaaqaat Iske Saath Mil kar Khana, Kharid-Farokht Aur Uske Saath Kalaam(Baat) karna Chhod Diya Ya’ani Har Qism ke M’aamlaat Jo Lougo ke Darmiyaan hote he wo Is se Munqat’a(Tod) kar diye gaye Aur Aakhirat ki Saza Jise Zarur Waaqei hona he Jise Muaaf bhi nahi hona wahi Saza hogi Jo Mushrik ki hogi, Balki Aur Lougo ko Mushrik wa Gumraah Banaane ki Wajah se Us Saza me Shiddat hogi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-434)

>➤ Bani Israaeel ko Touba ka Hukm :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Jab Musaa(Alayhis Salaam) ne Apni Qoum se kaha Ay Meiri Qoum Tumne Bachhda Banaakar Apni Jaano par Zulm kiya to Apne Peida Karne waale ki Taraf Lout Aao to Aapas me Ek Dusre ko Qatl Karo Yah Tumhaare Peida karne wale ke Nazdik Tumhaare Liye Behtar he to Usne Tumhaari Touba Qabul ki Beshak Wahi he Bahut Touba Qabul Karne Wala Maherbaan”
(Surah Al Baqara, Aayat-54)

Al Garaz Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Qoum ko Hukm Diya ki Tumne Bachhde ki Puja karke Apni Jaano par Zulm kiya Ab Tum Apne RABB TA’ALA ki Taraf Touba karo Aur Tumhaari Touba ki Surat ye he ki Tum Aapas me Ek Dusre ko Qatl Karo Chunanche Touba karne Waalo ne Isi Tarah Touba ki ke Har ke Haath me Talwaar thi Bila Imteyaaz Har Ek ne Dusre ko Qatl kiya ALLAH TA’ALA ne Unki Touba Qabul Farmaayi Aur Har Qaatil wa Maqtul ne Shahaadat ka Martaba Paya,

>➤ Unke Liye Qatl karna keise Mumkin huwa ..? :-
Bani Israaeel Sab hi Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ki Aulaad thi, Ek Dusre ke Qaribi Rishtedaar the to Unke liye Bahot Mushkil Kaam tha ki Ek Dusre ko Qatl Kare wo Touba karne par Aamada ho gaye lekin jab Unse ye Kaam Mushkil huwa to Unke liye Aasani Peida ki gayi
ALLAH TA’ALA ne Apni Qudrat E Kaamela se Dhundaawar Siyaa(Kala/Black) Baadal Chhaa diye Jinse Andhera Chha gaya wo Ek Dusre ko Deikh Na Sakte the, Unhone Subah se le kar Sham tak Ek Dusre ko Qatl kiya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam ne Duaa ki Ay ALLAH Ab Inko Ma’af karde, Duaa karne ki Wajah yahi thi ki Agar Unpar yahi Silsila Jaari Raha to Bani Israaeel ka Naam wa Nishaan Duniya se Khatm ho Jaayega, ALLAH TA’ALA ne Unki Duaa ko Qabul kiya Aur Ma’af Farma Diya Lekin Us Waqt tak 70,000 ki Tadaad me Ye Loug Qatl ho Chuke the,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Us Bachhde ko Zabah karke Uska Khun Bahaya Aur Haddiyo ka Reiti se Buraada karke Jala Diya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Bachhde ko Zabah karke Uska Khun Bahaana Is Baat ki Daleel he ki Sone-Chandi ki Dhaatu se Bana huwa Uska Jism Gosht Aur Haddiyo me Tabdil ho gaya Aur Usme Hayaat Peida ho gayi thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-435, 436)

>➤ Bani Israaeel ke 70 Aadmiyo ki Rooho ko Loutana :-
Quraane Kareem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Jab Tumne kaha Ay Musaa Hum Hargiz Tumhaara Yaqin Na Laayenge Jab tak Khule Bando KHUDA Ko Na Deikh le to Tumhe Kadak ne Aa liya Aur Tum Deikh rahe the, Fir Mare Pichhe Humne Tumhe Zinda kiya ki Kahi Tum Ahesaan Maano”
(Surah Al Baqara, Aayat-55, 56)

Bachhde ki Puja karne Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Sarzansh karne ke Baad wo Loug Bahot Pashimaan(Ma’afi ke Talabgaar) hue to ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Hukm Diya ki Aap Apni Qoum ke Behtarin 70 Afraad(Aadmiyo) ko Saath Lekar Toor par Aajaaye Taaki wo Tamaam Qoum ki Taraf se Bachhde ki Puja ke Jurm ki Ma’afi Talab Kare, Aap Alayhis Salaam Unko Jab Saath le kar gaye to Unhone Kaha Ay Musaa Alayhis Salaam Tum Apne RABB TA’ALA se Sawaal karo Yaha Tak ki Hum bhi Uske Kalaam ko Soone, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Arz kiya to Use Qabul kar liya gaya,
Jab Aap Alayhis Salaam Pahaad ke Qarib Pahunche to Sutun ki Shakl me Baadal Namudaar huwa Jisne Tamaam Pahaad ko Apni Lapeit me le liya Hazrat Musaa Alayhis Salaam Us Baadal ke Qarib hue Yaha Tak ki Usme Daakhil ho gaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jab Apne RABB TA’ALA se Kalaam kiya to Aap Alayhis Salaam ki Peishani se Ek Noor Chamakne laga, Insaano me se Koi Ek Use Deikhne ki Taaqat nahi Rakhta tha, Qoum ne ALLAH TA’ALA ke Kalaam ko Soona Jo Usne Musaa Alayhis Salaam ko kaha ye karo Aur Ye Na karo, Jab Kalaam ka Silsila Khatm huwa to Baadal ko Utha liya gaya,
Qoum ne kaha Hum Hargiz Tumhaara Yaqin nahi Karenge Jab tak ALLAH TA’ALA ko Zaahir nahi Deikh leinge to Unko Bijli ki Kadak ne Apni Giraft me le liya Aur Sab Mar gaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Khade hue Aaasmaan ki Taraf Haath Utha kar Duaa karne lage Aur Arz kiya Ay ALLAH TA’ALA Bani Israaeel ke 70 Aadmiyo ko Muntakhib(Select) karke Laya tha Taaki Unki Touba Qabul hone par Meire Gawaah Bane Ab me Unki Taraf Waapis Jaaunga to Meire Saath Koi Ek bhi Jab nahi hoga to Wo Meire Muta’aliq kya Khayaal Karenge Musaa Alayhis Salaam Duaa Farmaate rahe, Yaha Tak ki ALLAH TA’ALA ne Unki Rooho ko Louta Diya,

Khyaal rahe ki Ek Martaba Hazrat Musaa Alayhis Salaam Jab Tauraat Leine ke liye Toor par gaye Us Waqt 70 Aadmiyo ko Saath Lekar gaye Fir Wapis Loutne par Qoum ke Bachhde ki Puja karne ke Baad Lekar gaye, Albatta Isme Ikhtelaaf he ki Pehle Un Aadmiyo ko Lekar gaye Fir Unhone Ek Dusre ko Qatl karke Touba ke Waaqiya ke Baad le kar gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-84)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-436, 437)

>➤ Qoum ka Ahekaam E Khudawandi Maan ne se Inkaar :-
Quraane Majeed me ALLAH AZZAWAJAL Irshaad Farmata he
“Aur Jab Humne Tumse Ahad liya Aur Tumpar Toor(Pahaad) ko Uncha kiya Aur Jo Kuchh Hum Tumko Deite he Zour se Aur Uske Mazmun Yaad karo Is Ummid par ki Tumhe Parhezgaari Mile”
(Surah Al Baqara, Aayat-63)

Is Aayate Kareema me Bani Israaeel ki Ek Aur Bad-Tarin Bagaawat wa Sarkashi ka Zikr Farmaya wo ye ki Us Qoum ne Musaa Alayhis Salaam se Khud hi Mutaalba kiya ki Hamaare Paas ALLAH TA’ALA ki Koi Kitaab Aani Chaahiye Jiske Ahekaam ke Mutaabik Hum Apni Zindagi Basar Kare Aur Un Ahekaam ki Roshani me Falaah Aur Bhai ki Raay Paaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Jab Unke Paas ALLAH TA’ALA ki Kitaab Tauraat Laaye to Usme Unki Sarkashi ke Lihaaz se Kuchh Bhaari Ahekaam bhi the Magar Ayse Nahi Jo Na-Qaabil E Amal ho Balki Unki Haalat ke Munaasib Aur Hikmat E ILAAHIYA ke Ayn Mutaabiq the, Bani Israaeel ne Sirf Bagaawat Aur Sarkashi ki Wajah se Unhe Qabul karne se Inkaar kar Diya, ALLAH TA’ALA ke Hukm se Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Pahaad ka Ek Hissa Unpar Utha liya Aur Irshaad huwa
Humne Tumhe Jo Kuchh Diya Use Mazbuti ke Saath Pakadlo, Is par Unse Pukhta Ahad liya gaya Lekin Unhone Usko bhi Toda, ALLAH TA’ALA ne Unke Baatani Fasaad ko Khub Achhi Tarah Zaahir karne Aur Unhe Ruswa karne ke liye Quraane Majeed me Unpar Pahaad Utha Leine ka Zikr Baarbaar Farmaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-438)

>➤ Aemaalqa se Jihaad ka Hukm Aur Bani Israaeel ka Palatna :-
Quraane Majeed me he ki
“Ay Qoum Us Paak Zamin me Daakhil ho Jo ALLAH ne Tumhaare Liye Likhi he Aur Pichhe Na Palto ki Nuqsaan par Paltoge, Bole Ay Musaa(Alayhis Salaam) Usme to Bade Zabardast Loug he Aur Hum Usme Hargiz Daakhil Na honge Jabtak wo waha se Nikal Na jaaye, Ha wo waha se Nikal jaaye to Hum waha jaaye, Do(2) Mard ki ALLAH se Darne Waalo me se the ALLAH ne Unhe Nawaaza Bole ki Zabardasti Darwaaze me Unpar Daakhil ho Agar Tum Darwaaze me Daakhil ho Jaaoge to Tumhaara Hi Galba he Aur ALLAH hi Par Bharosa karo Agar Tumhe Imaan he, Bole Ay Musaa(Alayhis Salaam) Hum to Waha Kabhi Na Jaayenge Jab tak wo waha he to Aap Jaaiye Aur Aapka RABB Tum Dono Lado Hum Yaha Beithe he, Musaa(Alayhis Salaam) ne Arz ki ke Ay RABB Meire Mujhe Ikhtayaar nahi Magar Apna Aur Apne Bhai ka to Tu Humko In Be-Hukmo se Alag Rakh”
(Surah Al Maida, Aayat-21, 22, 23, 24, 25)

Bani Israaeel ka Aaabai Watan(Baap-Dada ka Watan) ‘Maaluf’ Sham tha, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Dour me Ye Loug Misr Aakar Muqim hue Aur Waha Mukhtelaf Haalaat se Guzarte rahe, Firoun e Misr ki Gulaami me Kathin Dour bhi Un Lougo ne Misr me Guzare, Aakhirkaar ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Zariye Unhe Naja’at dilaayi, Firoun Darya me Garq huwa Aur Bani Israaeel ne Itmenaan ka Saans liya, Us Douraan Mulk E Shaam par Qoume Aemaalqa Qabiz ho Chuki thi Aur Unhone waha Galba(Haawi) Qayam kar liya tha, Firoun ki Gulaami se Na’jaat Haasil Karne ke Baad Bani Israaeel ko Hukm huwa ki Aemaalqa se Jihaad karke Unse Apna Asal Watan Aazad karaaye Aur Waha Jaakar Muqim ho jaaye,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne waha ke Lougo ke Haalat Ma’alum karne ke liye 12 Naqib(Sardaar) Rawana kiye Jo 40 Roz(Din) tak waha ke Haalat ka Mushaaida karte rahe, Jab Waapas Aaye to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unhe Farmaya ki Tum Qoum ke Saamne Aysi Koi Baat Na kehna Jis se Unke Housle Past(Kam) ho Lekin 12 me se 10 ne waha ke Lougo ki Quwwat wa Zulm Unke Qad wa Qaamat Unke Qilo ki Mazbuti ka Aysa Naqsha Khincha ki Bani Israaeel Chilla Uthe Aur Intehaahi Be-Baaki se Apne Peigambar ko keh Diya ki Hum Aysi Qoum se Takkar le kar Apne Baccho ko Yatim Aur Apni Biwiyo ko Bewa karne ke liye Hargiz Taiyyar nahi, Aap Aur Aap ka KHUDA Pehle Un se Jaa kar lade Unse Mulk ko Paak Kare to Fir Hum Apne Aaabai Watan ka Rukh Karenge, Unhone kaha Hum Shaam ki Zar-kheiz Zamino Thande Paani ke Ubalte hue Chashmo Aur Falo se Lade(लदे) hue Baagat Aur Waha ki Izzat ki Zindagi se Baaz Aaye Hum to Waapas Misr Jaate he,

Dusre 2 Sardaar Hazrat Yush’a Bin Noon Aur Kaalib Ne Bahot Samjhaya ki Na-Mard Na Bano, Zara Himmat karke Dushman ke Shahar ke Darwaaze se Daakhil hokar Humla karke Deikho, Nusrate ILAAHI Kis Tarah Tumhaare Dushmano ko Kuchal kar Rakh deiti he leikin Unpar Uska Koi Asar Na ho Jab wo Aemaalqa ki Taaqat ka Haal Soon kar Dil Chhod Beithe Aur Jihaad se Moonh Modkar Waapas loute, ALLAH TA’ALA ne Unke Is Jurm ki Saza Yu di ki wo Apne Gharo tak Waapas Na Pahunch Sake Aur 40 Baras tak Waadi E Tiy me Heiraan wa Pareshaan ghumte rahe,

‘Tiy’ Misr Aur Shaam ke Darmiyaan Ek Wasi’a Aur Khulaa Meidaan tha, Tiy ke Ma’ani he Heiraangi wa Pareshaani, Bani Israaeel Us Meidaan me 40 Saal tak Intehaahi Heiraani Aur Pareshaani ke Aalam me rahe Isi liye Use Waadi E Tiy kaha jata he, Bani Israaeel Apne Gharo tak Jaane ki Fikr me Din Bhar Safar karte, Raat Basar(Guzaar) karne ke Baad Subah Apne Aap ko Wahi Paate Jaha se Guzishta Subah Unhone Safar ka Aagaz kiya tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-439, 440)

ALLAHU AKBER…

>➤ Bani Israaeel ki Sarkashi ke Baawazud Unpar Inaa’maat :-
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Humne Abar(Baadal) ko Tumhaara Saaybaan kiya Aur Tumpar Mann Aur Salwa Utaara Khaao Humaari di Hui Suthri Chize Aur Unhone Kuchh Humaara Na Bigada ha Apni hi Jaano ko Bigaad Karte the”
(Surah Al Baqara, Aayat-57)

Bani Israaeel ki Intehaahi Sarkashi ke Bawajood ALLAH TA’ALA ne Unpar Be-Shumaar Inaa’maat Farmaaye, Is Aayate Kareema me Jin Ne’amato ka Zikr he Unka Ta’aluq Meidaane Tiy se he Jaha wo 40 Baras tak Pareshaan Haal rahe, Us Waadi me Na Koi Saaya tha, Na Koi Darakht, Na hi Koi Imaarat, Na Pine ke liye Paani, Na Khaane ke liye Koi Chiz, Na Roshni thi Aur Na Zaruriyaat E Zindagi ke Digar Lawaazmaat, Is Be-Saro-Saamaani Aur Garibul Watani ke Aalam me Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Duaa se Unke liye Sab Saamaan Muhaiyya ho gaye, ALLAH TA’ALA ne Dhoop se Bachaao Aur Saaya Milne ke liye Baadal Batour Saaybaan Naazil Farma diya Khane ke liye Mann Salwa Bheij Diya,

Mann Ek Nafees Sheire Zaayqadaar Madda(Mithi Chiz) tha Jo Sabnam ki Tarah Subah ke Waqt Aaasmaan se Utarta Aur Kaseer Miqdaar me Chhote Chhote Darakhto par Jam jata tha,
jab wo Kaseer Miqdaar me Mann kha kar Moute hogaye to Kehne lage Ay Musaa Alayhis Salaam Is Mann ki Mithas ne to Hame Maar kar Rakh Diya he,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne RABB TA’ALA ki Baargaah me Duaa ki to RABB TA’ALA ne Unpar Salwa Naazil Farmaya,
Baaz ne kaha Salwa Bit tha, Baaz ne kaha ki wo Bhuna huwa Utarta tha Aur Baaz ka Qoul he ki Ba-Kasrat Zinda Parinde Unke Paas Jama ho Jaate the, wo Unhe Zinda Pakad leite Aur Zabah karte the, Algaraz Mann Aur Salwa Unki Namkeen Lateef Gizaaye thi Jinhe Shikam Sheir ho kar wo khaate the, Taariki(Andhera) Door karne ke liye Khambe ki Shakl me Ek Roshni Zaahir ho Jaati thi, Libaas ke Baare me ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Aijaazi Shaan Is Tarah Zaahir Farmayi ki Na Un Lougo ke Kapde Meile hote Aur Na hi Fat-te Aur Unke Baccho ke Jism Saath Baccho ka Libaas bhi Badhta rehta tha,
Itne Azeem Wa Jaleel Ahesaanat wa Inaa’maat ke Baawazud Unhone Na-farmaaniya ki Aur Apni Na-farmaaniyo se Unhone Humara Kuchh Na Bigada, Ha wo Apne (Aap) hi ko Nuqshan Pahunchate rahe.
(Tafseere Qurtubi, Jild-1, Safa-406-408)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-440, 441, 442)

>➤ Patther se Paani Nikaalna :-
Quraane Kareem me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Aur Jab Musaa ne Apni Qoum ke liye Paani Maanga to Humne Farmaya Is Patther par Apna Asaa(Laathi) Maaro Fouran Usme se Baarah(12) Chasme Bah Nikle Har Giroh ne Apna Ghaat Pahechan liya Khao Aur Piyo KHUDA ka diya Aur Zamin me Fasaad Uthaate Na Firo”
(Surah Al Baqara, Aayat-60)

Meidaane Tiy me 6 lakh(6,00,000) ki Taadaad me 12 Meel par feile hue Lashkar ko Jab Pyaas ki Shiddat Mehsus Hui to Unhone Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Saamne Apni Be-Basi ka Zikr kiya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne RABB TA’ALA se Duaa ki to ALLAH TA’ALA ne Aapki Duaa ko Qabul kiya Aur Hukm Diya ki Ay Musaa Alayhis Salaam Apna Asaa Patther par Maaro Paani Jaari ho Jaayega, Aap Alayhis Salaam ne Apna Asaa Patther par Mara to 12 Chashme Jaari hue, Har Qabile ne Ek Ek Chasma Apne liye Istemaal kar liya, Patther se Jaari hone Wala Pani Itni Badi Taadaad ke Lougo ke liye Kaafi tha.
(Tafseere Abu Saud, Jild-1, Safa-105)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-442)

Subhan Allah..

>➤ Meidaan E Tiy se Na’jaat Aur Unki Sarkashi :-
Quraan Shareef me ALLAH AZZAWAJAL Irshaad Farmata he
“Aur Jab Humne Farmaya Us Basti me Jaao Fir Usme Jaha Chaaho Be-Rok Tok Khaao Aur Darwaaze me Sajda karte Daakhil ho Aur Kaho Humaare Gunaah Ma’af ho Hum Tumhaari Khataaye Bakhsh deinge Aur Qarib he ki Neiki Waalo ko Aur Zyada de, To Zaalimo ne Aur Baat Badal di Jo Farmaayi gayi Thi Uske Siwa to Humne Aasmaan se Unpar Azaab Utaara Badla Unki Be-Hukmi ka”
(Surah Al Baqara, Aayat-58, 59)

ALLAH TA’ALA ne Is Qoum ko Farmaaya ki Jab Tum Shahar me Daakhil ho to Sajda karte hue Aajiz wa Inkesaari se Daakhil hona Aur Zubaan se “Hitttun”(Touba/Ma’afi) kehna Lekin Qoum ne Apni Saabqa Riwaayat ko Bar-qaraar Rakhte hue Sarkashi se Sajda karte hue Daakhil hone ki Bajaaye Apni Sarino ke Bal Ghasit te hue Daakhil hona Ikhteyaar kiya Aur “Hitttun”(Touba/Ma’afi) Kehne ki Jagah “Hinttun”(Hame Gandum(Genhu) Chaahiye) kaha Unki Sarkashi Aur Hudud se Tijaawat ki Wajah se ALLAH TA’ALA ne Taaun(Pleg) ka Azaab Bheija Jis se wo 24 Hazaar ki Tadaad me Mar gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-88)

Isme Ikhtelaaf he ki wo Basti Konsi thi Aur Kis Zamaane me Bani Israaeel ne Use Fatah kar liya,
Iski Tashrih ye he ki Us Shahar ko Bani Israaeel ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Zindagi Ke Aakhir Zamaane me Fatah kiya Aur Waha Badi Badkaariya ki Jinke Natije me KHUDA TA’ALA ne Unpar Waba Bheiji Aur 24 Hazaar Aadmi Halaak kar diye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-443)

>➤ Mann Aur Salwa se Aaraaz :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Jab Tumne Kaha Ay Musaa(Alayhis Salaam) Hum se to Ek Khaane par Kabhi Sabr Na Hoga to Aap Apne RABB se Duaa kijiye ki Zamin ki Ugaayi Hui Chize Humaare liye Nikaale Kuchh Saag Aur Kakdi Aur Genhu Aur Masur Aur Pyaaz Farmaya Kya Mamuli Chiz ko Behtar ke Badle Maangte ho Achha Misr ya Kisi Shahar me Utro waha Tumhe Milega Jo Tumne Maanga Aur Unpar Muqarrar kar di gayi Khwaari(Zillat) Aur Naadaari Aur Khuda ke Gazab me Loute ye Badla tha Uska ki wo ALLAH ki Aayato ka Inkaar karte Aur Nabiyo ko Naahaq Shahid karte ye Badla Unki Na-farmaaniyo Aur Hadd se Badhne ka”
(Surah Al Baqara, Aayat-61)

Bani Israaeel Arsa-Daraaz tak Mann wa Salwa khaate Rehne ki Wajah se Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Kehne lage ki Hum Ab Ek hi Qism ke khane par Sabr Na kar Sakenge, Mann wa Salwa ki 2 Mukhtelaf Qism ke Khaano ko Ek Khaana Is liye Kahaa gaya he ki Dono Qism ke Khaane wo Ek Saath khaate the ya Is liye ki Har Roz Batoure Giza Unhe Yahi 2 Chize Milti thi, ye Nafees Khana Baaqi Khaano se Behtar tha Lekin Bani Israaeel ke Asrar par Irshaad huwa Tum Misr me Utar Jaao Jo Kuchh Tumne Maanga wo Tumhe waha Milega,

Us Misr ke Baare me Ikhtelaaf he ki ye Firoun ka Misr tha ya Koi Aur Shahar raaij he ki Usse Geir Muta’iyyan Shahar Muraad Bazaahir Ma’alum hota he ki Waadi E Tiy ke Qarib koi Shahar tha Jisme Aarzi Tour par Jaane ka Hukm Unki Khwaahishaat ke Mutaabik Diya gaya tha, Badhti Hui Nafsaani Khwaahishaat ki Bina’a par Taa’at Aur Bandagi ke Hudud se Baar Baar Yahud ka Tijaawaj(Humla) Aur Tugyaan(Bagaawat) Unke Haqq me Daaim E Zillat Wa Miskini par Muntaje huwa,

Is Aayate Kareema me Bani Israaeel ke Intehaahi Shaqaawat(Musibat) E Qalbi ka Bayaan Farmaya ki ALLAH TA’ALA ke Nabiyo ko Qatl karne Waalo se Badh kar Koun Shaqiile Qalb ho Sakta he Hazrat Zakariya Alayhis Salaam Hazrat Yaahya Alayhis Salaam Aur Un Jeise Jaleelul Qadr Ambiya Alayhis Salaam ko Unhone Intehaahi Be-dardi ke Saath Shaheed kiya ye Sab Kuchh Yahud ki Na-farmaani Aur Puraani Sarkashi ka Zahur tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-444, 446)


>➤ Murde ko Zinda karne ka Waaqiya :-
Quraane Kareem me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Aur Jab Musaa ne Apni Qoum se Farmaya KHUDA Tumhe Hukm deita hei ki Gaay Zabah karo Bole ki Aap Hume Maskhara Banaate he Farmaya KHUDA ki Panaah ki Mei Jaahilo se hu, Bole Apne RABB se Duaa kijiye ki Wah Hume Bataade Gaay Keisi Kaha Wah Farmata hei ki Wah Ek Gaay hei Na Budhi Aur Na Usar Balki Un Dono ke Bich me to karo Jiska Tumhe Hukm hota he, Bole Apne RABB se Duaa kijiye Hume Bataa de Uska Rang Kya he Kaha Wah Farmata he wah Ek Pili Gaay he Jiski Rangat Dahdahaati Deikhne Waalo ko Khushi deiti, Bole Apne RABB se Duaa kijiye ki Humaare Liye Saaf Bayaan Karde Wah Gaay Keisi he Beshak Gaayo me Humko Subah pad gaya Aur ALLAH Chaahe to Hum Raah Pa Jaayenge”
(Surah Al Baqara, Aayat-67, 68, 69, 70)

Bani Israaeel me se Ek Shaksh ne Apne Ek Rishtedaar ko Qatl kar Diya Taaki Uska Waaris Ban jaaye, Qatl karke Us Laash ko Choraaye me Feink Diya Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Paas Shikaayat le kar Aagaya Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Koshish ki Qaatil ka Pata Lagaane ki Lekin Pata Na Chal Saka wo Loug Kehne lage Apne RABB TA’ALA se Duaa kijiye Taaki Wo Bataaye ki Uska Qaatil kon he…?
Aap Alayhis Salaam ne Apne RABB TA’ALA se Duaa ki to ALLAH TA’ALA ne Aap ko Wahi ki, Aap Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Bataaya ki ALLAH TA’ALA Hukm deita he ki Gaay Zabah karke Uska Gosht Murde ko Maaro wo Zinda ho kar Bataayega ki Meira Qaatil Kon he, Unhone Ta’ajub kiya ki Zabah-Shudha Jaanwar ka Gost Murda ko keise Zinda Karega..?? ye to Ek Mazaah(Mazaaq) Nazar Aa Raha he,
Aap Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA ki Panaah Mei Jaahilo se ho Jaau, Yani Mazaah(Mazaaq) Udana Jaahilo Aur Naadano ka Kaam he, NABI ki Shaan ke Laayak nahi ki wo Kisi se Mazaah(Mazaaq) Udaaye Aur Khususan Deeni Ma’amlaat me Mazaah Udaana Shadeed Azaab ka Sabab he ki ALLAH TA’ALA ke NABI ke Muta’alaq ye Tasawwur karna bhi Mahaal he ki wo Aysa kaam kar Sakte he Jo Azaab ka Sabab Bane,

Agar wo Koi bhi Gaay Zabah karte to Unko Kifaayat karti Lekin Unhone Khud Baarbaar Sawaal karke Apne Aap par Shakhti ki to ALLAH TA’ALA ne Unpar Shakhti ki,
Agar wo In sha ALLAH na Kehte to Hameisha Unke Aur Gaay ke Milne me Sawaalaat haail rehte,
Jab Unhone kaha ki Agar ALLAH TA’ALA ne Chaahta to Hum Hidaayat Paayenge to Usi Waqt Unko Sawaalaat Khatm karne ki Toufiq Haasil Hui.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-120)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-447)

>➤ Wo Kyu Zabah nahi Karna Chaahte the :-
Iski Chand wajah he, Jinke Peishe Nazar wo Zabah Nahi karna Chaahte the Lekin Ab Unko Is Kaam ke Na karne ka Koi Raasta Nazar nahi Aa Raha tha Lihaza Unhe Zabah karna Padha,

Ek Wajah ye thi ki Unko Khouf Laahaq tha ki Agar Humne Zabah kar Diya Aur Uska Gosht Maqtul(Murde) Shaksh ko Maar Diya to wo Zinda ho Jaayega Aur Pata Chal Jaayega ki wo Qaatil Koun he, Qaatil to Wo Khud hi the Is liye wo Ruswaayi ke Dar se Zabah Nahi karna Chaahte the,

Ek Wajah ye thi ki wo Is liye Zabah Nahi karna Chaahte the ki wo Samajhdaar the ki In Tamaam Awsaaf Waali Gaay ka Milna Mushkil he,
Aur Iski Wajah ye thi ki wo Is liye Zabah karna Nahi Chaahte the ki wo Keh rahe the ki Iski Bahot Qimat he kyuki Us Waqt Aam Gaay ki Qimat 3 Dinaar thi Lekin ye Gaay Unko Gaay ka Chamda Bhar kar Uske Baraabar Sona Wageira Adaa karne ki Qimat mil rahi thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-448)


>➤ Bahut Bhaari Qimat se Gaay Haasil ki :-
Us Waqt Aam Tour par Gaay ki Qimat 3 Dinaar hoti thi Lekin Unhone Sawaal karke Apne Liye Itni Mushkil Peida kardi, Tamaam Awsaaf Kisi Gaay me Paaye Jaane Dushwaar Nazar Aaye, Aakhir kaar Talaash karte karte Unhe Ek Bewa Aur Us Yatim Bache ke Paas Aysi Gaay Nazar Aayi Jisme Bayaan Karda Awsaaf Moujud the, Budhi nahi thi Aur Bachhadi nahi thi Balki Darmiyaani Umr ki thi Zard(Pila) Rang tha, Deikhne Waalo ko Khush karti thi, Zamin me Usne Hal nahi Chalaya tha Aur Na hi Kheiti ko Seiraab kiya tha Aur Usme Koi Ayb Aur Daag-Dhabbha nahi tha Kyunki Us Yatim ke Budhe, Neik, Parhezgaar Baap ne Apne Ek Bachhde ko Jangal me Chhod kar ALLAH TA’ALA ki Hifaazat me de Diya tha ki Meira Bacha Kuchh Bada Aur Samajhdaar ho kar Use le jaayega, wo Bacha bhi Waalidein ka Farma Bardaar tha, Apne Baap ki Wafa’at ke Kuchh Arsa Baad wo Apni Gaay Jangal se le Aaya tha, Usi Gaay me Tamaam Awsaaf Moujud the, Moti-Taazi thi, Khubsurat thi, Bani Israaeel ko Uske Chamde me Jitni Miqdaar me Sona Wageira Aa Sakta tha Utni Miqdaar me Sona Batoure Qimat Adaa karna Pada,

Subhan Allah…

MAALIKUL MULK ne Apne Bande ki Gaay ki Jangal me Hifaazat Farmaayi Aur Us Neik Bande ki Bewa Aur Uske Yatim Bache ko Kaseer Miqdaar me Maal wa Doulat Ataa Farmaaya, Bani Israaeel Agarche Gaay ki Bhaari Qimat Adaa karne par Bakhushi Razamand nahi the Aur Ye bhi Jaante the ki Agar Humaare Maqtul (Murda) Zinda ho gaya to Humara Apna hi Ayb Zaahir hoga Lekin Unhe Fir Bhi Gaay Zabah karni Padhi Kyuki Ab Unke Paas Koi Azr Baaqi nahi rah gaya tha Agarche wo Zabah Nahi karna Chaahte the.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-122)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-448, 449)


>➤ Gaay Zabah karne me Hikmat :-
Ek Wajah Ye thi ki Neik Aadmi ke Yatim Aur Us Shaksh ki Bewa ko Kaseer Maal Ataa karna tha Is liye Gaay Zabah karne ka Hukm Diya Aur Bani Israaeel ke Zehno me Ye Baat Daal di ki wo Sawaal karte rahe Ki Is Tarah wo Gaay Kahi Aur Na Mil Saki,

Dusri Wajah ye thi ki Gaay ki Qurbaani ka Tariqa Pehle se Chala Aa Raha tha Aur wo Loug Gaay ki Qurbaani ko Azeem Samajhte the Is liye Unhe Gaay Zabah karne ka Hukm Diya Taaki Unke Zehan Ise Qabul karle ki Gaay ki Qurbaani me Ye Asar hoga Maqtul(Murde) ko Zinda karne ka ye Ajeeb Andaaz Bayaan kar liya Taaki Hazrat Musaa Alayhis Salaam par wo Jaadugari ka Ilzaam Aaid Na kar Sake,

Tisri Wajah ye thi ki Maqtul(Murde) ko Us Azeeb Andaaz se Zinda karke Bata Diya ki ALLAH TA’ALA Jis Tarah Chaahe Us Tarah Murdo ko Zinda Farma leita he,

Chothi Wajah ye thi ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Bartari(/Shaan) Unpar Waazeh ho Jaaye Aur Aap Alayhis Salaam ka Mo’ajiza Zaahir ho jaaye,

Panchwi Wajah ye thi ki Unke Aaaba wa Ajdaad(Baap-Daada) ne Deikh kar Bachhde ki Puja Shuru karli thi Unko Gaay ke Zabah karne ka Hukm de kar Tanbih kardi ki Gaay Khuda nahi ho Sakti jo Khud Zabah ho jaye wo Khuda keise…??.
(Tafseere Qurtubi, Jild-3, Safa-271)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-449)

>➤ Qaarun :-
Quraan Shareef me he ki
“Beshak Qaarun Musaa(Alayhis Salaam) ki Qoum se tha Fir Usne Unpar Zyadati ki Aur Humne Usko Itne Khazaane diye Jinki Kunjiya Ek Zoraawar Jama’at par Bhari thi”
(Surah Al Qasas, Aayat-76)

Qaarun Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Qaribi Rishtedaar tha, Zyada Mashoor ye he ki Aapka Chacha-Zaat Bhai tha Aur Baaz ne Use Aapka Khala-Zaad kaha he, Usne Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Haarun Alayhis Salaam ki Nabuwwat par Hasad karte hue Munaafiqat Ikhteyaar Karli thi Jeise Aapki Qoum me Saamri Munaafiq tha,

Qaarun Khubsurat hone ki Wajah se Munawwar kehlata tha Aur Tauraat ka bhi Bahot Bada Qaari tha Lekin NABI ka Gustaakh hone ki Wajah se Zaleel huwa, wo Bahot Bada Maal-Daar tha, 10 Aadmiyo ki Jama’at Uske Maal ko Shumaar nahi kar Sakte the Ya ye Loug Uske Khazaano ko Utha nahi Sakte the,

Qaarun Apni Maal-Daari ki Wajah se Apni Qoum ke Gurba’a(Garibo) ko Ghatiya Samajhta tha, Unke Imaan ka Kuchh Paas Na karta, Apni Zyada Maal ki Wajah se Uske Dil me Unki Koi Azmat Na thi, Misr me Rehne ke Douraan bhi Firoun ka Aejant tha Is liye waha bhi Bani Israaeel par Zulm dhata rehta tha Aur Apne Takabburaan Andaaz se bhi Unpar Gusse ka Izhaar karta rehta tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-25, Safa-13, 14)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-450, 451)

>➤ Qaarun ko Nashihat :-
Quraane Majeed me he ki
“Jab Usse Uski Qoum ne kaha Itra nahi Beshak ALLAH Itraane Waalo ko Dost nahi rakhta, Aur Jo Maal Tujhe ALLAH ne Diya he Usse Aakhirat ka Ghar Talab kar Aur Duniya me Apna Hissa Na Bhul Aur Ahesaan kar Jeisa ALLAH ne Tujhpar Ahesaan kiya Aur Zamin me Fasaad Na Chaah Beshak ALLAH Fasaadiyo ko Dost nahi rakhta, Bola Yah to Mujhe Ek Ilm se Mila he Jo Meire Paas he Aur Kya Use Yah nahi Ma’alum ki ALLAH ne Is se Pahle wo Sangate(Qoume) Halaak Farma di Jinki Quwwate Usse Shakht thi Aur Jama Usse Zyada Aur Mujrimo se Unke Gunaaho ki Puchh nahi”
(Surah Al Qasas, Aayat-76, 77, 78)

Uski Qoum ne Use kaha Tum Apne Zyada Maal ki Wajah se Itraao nahi, ALLAH TA’ALA Itraane Waalo ko Pasand nahi karta, ALLAH TA’ALA ki Ne’amato ka Shukr Adaa karo ALLAH TA’ALA ki Raah me Maal Kharch karo to ALLAH TA’ALA Apne Wa’ade ke Mutaabik Tumhe Mazeed(Aur) Ne’amate Ataa Karega Kyunki Uska Wada he
“Agar Tum Shukr Adaa karoge to Mei Tumhe Mazeed Ne’amate Dunga”

Is liye Tumhe Chaahiye ki Tum Duniya me Aakhirat ke liye Amal karke Azaab se Na’jaat Haasil Karo Is liye ki Duniya me Insaan ka Haqiqi Hissa ye he ki Aakhirat ke liye Amal Kare Sadqa de kar Silarehmi karke Aur Aamal E Kheir ke Saath Aakhirat ka Sawaab Aur Kaamyabi Haasil Kare Aur Iski Tafseer me Ye bhi kaha gaya he ki Paani, Sehat, Quwwat wa Jawaani Aur Doulat ko Na Bhul Balki Unse Ay Insaan Aakhirat ko Talab kar,

Qaarun ne Kisi ki Nasihat ko Qabul Na kiya Balki Kehne laga ye Maal to Mujhe Kisi ne nahi diya, Meine to Apne Ilm se Ise Haasil kiya, yaha Ilm Se Muraad Tauraat ka Ilm ya Kimiya Jo Usne Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Haasil kiya tha Aur Uske Zariye Qalai ko Chandi Aur Taanbe ko Sona Bana leita tha ya Ilm E Tijaarat ya Ilme Zara’at ya Aur Peisho ka Ilm he.
(Tafseere Khazaainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-450, 451)

>➤ Qaarun ko Deikh kar Duniya-daaro ka Jee Lalchana :-
Quraane Azeem me he ki
“To Apni Qoum par Nikla Apni Sajaawat me Bole wo Jo Duniya ki Zindagi Chaahte he Kisi Tarah Hum Ko Bhi Aysa Milta Jeisa Qaarun ko Mila Beshak Uska Bada Nasib he, Aur Bole wo Jinhe Ilm Diya gaya Kharaabi ho Tumhaari ALLAH ka Sawaab Behtar he Uske liye Jo Imaan Laaye Aur Achhe Kaam Kare Aur Yah Unhi ko Milta he Jo Sabr Waale he”
(Surah Al Qasas, Aayat-79, 80)

Jab wo Zarq-Barq Libaas Zeibtan(Pahen kar) kiye hue Shaandaar Sawaari par Sawaar hokar Shaahana Andaaz par Nikalta to Use Deikh kar Duniya-Daar Lougo ka Jee Lalchata, Dilme Hasrat Peida hoti, wo Kehte Kitna Khush Nasib he ye Qaarun Kaash Hame bhi Us Jeisi Maal Wa Doulat Aur Ameerana Thaath-Paath Mayassar hoti, Lekin Jo Loug Saahibe Ilm the Duniya ke Maal ki Haqiqat se Baakhabar the ki ye Na-Pasandida Chiz he, Unke Dil me Kisi Qism ka Koi Khyaal Peida Na hota ki Hame bhi Aysa Maal mile Balki Unhone Dusro ko Bhi Samjhaya ki Tumhaari Barbaadi ho, Tum Duniya ka Maal Talab kar rahe ho Tumhe Chaahiye ki ALLAH TA’ALA se Sawaab Haasil Karne ke liye Apne Imaan par Saabit raho Aur Achhe Aamaal karte raho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-452)

>➤ Qaarun ka Plan :-
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Mujhe ALLAH TA’ALA ne Hukm diye he ki Mei Tumhaare Maal se Zakaat Wasool karu, Qaarun ne Inkaar kar Diya Usne Dusro ko Bhi Bhatka ne ki Koshis ki Lougo ko Jama’a karke Kehne laga Hazrat Musaa Alayhis Salaam Tumhaare Paas Namaaz Adaa karne ka Hukm Laaye Aur Bhi Kayi Ahekaam Laaye ki Tum Un par Amal karo to Tumne Un par Amal kiya, Ab wo Ham se Hamaara Maal bhi Chhinna Chaahte he, ye Ham Keise Bardaasht Kare…??
Sabne kaha Haa ye to Ham Kabhi bhi Bardaasht Nahi kar Sakte Lekin Isme Tumhaari Kya Raay he…? Kya kiya jaaye…??
Usne Kaha Faahsha Aurato me se Ek Aurat ki Taraf Peigaam Bheij kar Use Bulaate he Aur Use Inaam ka Laalach de kar Hazrat Musaa Alayhis Salaam par Tohmat Lagaate he Taaki Sab Loug Use Chhod jaaye, Usne Apne Mansab ke Mutaabiq Ek Faahsha Aurat ko Bulaya, Use 1,000 Dinar ya Sone se Bhara huwa Ek Tasht deine ka Wa’ada kiya ki Tum Sab Lougo ke Saamne ye Keh deina ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Meire Saath Buraai ka Irtekaab kiya he, Usne kaha Thik be Mei keh dungi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-452)

>➤ Qaarun ka Zameen me Dhansna :-
Quraane Hakeem me ALLAH RABBUL IZZAT Irshad Farmaata he
“To Humne Use Aur Uske Ghar ko Zamin me Dhansa Diya to Uske Paas Koi Jama’at Na thi ki ALLAH se Bachaane me Uski Madad karti Aur Na Wah Badla le Saka, Aur Kal Jisne Uske Martabe ki Aarzu ki thi Subah Kehne lage Ajab Baat he ALLAH Rizq Wasee’a(Feilata) karta he Apne Bando me Jiske Liye Chaahe Aur Tangi Farmata he Agar ALLAH Humpar Ahesaan Na Farmata to Hume bhi Dhansa deita, Ay Ajab Kaafiro ka Bhala Nahi”
(Surah Al Qasas, Aayat-81, 82)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Eid ke Din Khutba Diya Aur Ahekaam E ILAAHIYA Bayaan kiye Us Douraan Qaarun ne bhi Apne Mansab ko Amal me Laane ki Nakam Koshis ki ke Qaarun ne Musaa Alayhis Salaam ko kaha ki Tum Bani Israaeel ko Jama karke ALLAH TA’ALA ke Ahekaam Pahonchao ki Mujhe RABB TA’ALA ne ye Hukm Diya he, Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Thik he, Aap Alayhis Salaam ne Sab Lougo ko Jama kiya, Mumkin he Qaarun ke kehne par Eid ke Din hi Sab ko Jama karke Aap Alayhis Salaam ne Khutba Diya ho,

Aap Alayhis Salaam ne Douraan E Khutba Irshad Farmaaya ki Mujhe Meire RABB TA’ALA ne ye Hukm Diya he ki Mei Uska Peigaam Tumhe Pahnochau ki Tum ALLAH TA’ALA ki Ibaadat Karo Aur Uske Saath Koi Sharik Na Thehraao, Sila Rahmi karo, Is Tarah Aapne Aur Bhi Kayi Ahekaam Bayaan Farmaaye Aur Aap ne ye Farmaya ki RABB TA’ALA ne Mujhe Hukm Diya he ki Mei Zaani ko Sangsaar karu, Qaarun Aur Uske Chamche Kehne lage Yahi Kaam Agar Tum Karo..??
Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Mujhe Bhi Sangsaar kar Diya Jaaye, Unhone kaha Tumne to Zina kiya he (Ma’azAllah),
Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Meine..??
Unhone kaha Haa Tumne,
Abhi wo Aurat Majma E Aam me Aakar Bataayegi, Us Aurat ko Bulaya gaya, Sabne kaha ki Tum Bataao Jo Ma’amla Tumhaare Saath Darpeish Aaya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA Par Imaan Rakhte hue Sach Sach Bataao ki Asal Waaqiya Kya he,
Us Aurat ne kaha Jab Tumne ALLAH TA’ALA Ka Naam liya he to Ab Mei Sach Sach Bayaan karungi Koi Jhut ki Aamizsh nahi hogi,

Usne kaha Un Lougo ne Mujhe Bulaya Aur Kaseer Maal Deine ki Peish-kash ki he ki Mei Tumpar Tohmat Lagaau Ki Tumne Meire Saath Buraai ka Irtekaab kiya, Mei Gawaahi deiti hu ki Beshak Tum Paak Daaman ho, Har Tarah se Paak Saaf ho Aur Tum ALLAH TA’ALA ke Rasool ho, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Route hue Sajde me gir kar Aur RABB TA’ALA ki Baargaah me Arz karne lage Ay MOULAAYE KAAYENAAT Jab Mei Teira Rasool hu Tu Inko Apni Giraft me le le, RABB TA’ALA ne Irshaad Farmaya Ay Musaa Alayhis Salaam Zamin ko Tumhaare Hukm ke Taabe kar Diya he Use Jo Hukm deinge wo Tasleem Karegi, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Bani Israaeel ko kaha Mujhe RABB TA’ALA ne Qaarun ki Taraf bhi Ayse hi Bheija Jeise Firoun ki Taraf, Is liye Jo Shaksh Uska Saath deina Chaahe wo Uska Saath de Aur Jo Meira Saath deina Chahta he wo Use Chhod de, Aap Alayhis Salaam ke Is Irshad par Uske Saath Sirf 2 Aadmi rah gaye, Baaqiyo ne Uska Saath Chhod Diya,

Fir Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya
“Ay Zamin Inko(Qaarun Aur Uske Saathiyo ko) Pakad le”
Zamin ne Unko Aydiyo tak Apne Andar Dhansa liya, wo kah rahe the Ay Musaa Alayhis Salaam..! Ay Musaa Alayhis Salaam..!! Lekin Aap Bad-Satur Farma rahe the, Ay Zamin Inko Pakad le, To Zamin ne Unko Ghutno tak Dhansa liya, Fir Usne kaha Ay Musaa Alayhis Salaam..!! Ay Musaa Alayhis Salaam..!!
Lekin Aapne Koi Tawajjo Na di Balki Zamin ko kaha Unko Apni Giraft me le le to Zamin ne Unko Kamar tak Dhansa liya Fir Isi Tarah Gardano tak wo Dhans gaye Is Haalat me Wo Musaa Alayhis Salaam ke Saamne Aaah wa Zaari kar rahe the, Aap par Raham ke Waaste Daal rahe the Lekin Aap ne Shiddat e Gazab ki Wajah se Unki Baat ki Taraf Koi Dhyaan Na kiya Balki Zamin ko Aakhri Hukm bhi de Diya, Aakhir Zamin ne Unko Mukammal Tour par Apne Andar Sameit liya,

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Taraf Wahi ki Aur Farmaya Ay Musaa Tumne Kitni Shakht Deeli ka Muzaahira kiya he, Wo Tumhe Baar Baar Pukaar rahe the Lekin Tumne Unpar Kuchh Raham Na kiya Unki Aaah Wa Zaari par Kuchh Tawajjo Na di Aur Dusri Riwaayat me he ki Khabardaar Apni Izzat wa Jalaal ki Qasam Agar Mujh se Koi Fariyaad Talab karta to Mei Uski Haajat ko Poora karta, Agar wo Mujhe Ek Martaba hi Koi Pukaarta to Mujhe Apni Pukaar Qabul karne Wala Pata

RABB TA’ALA ke Is Irshad ka Jawaab Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne bhi Kya Khub Diya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Ay Meire RABB Meine Teire liye hi to Gussa karte hue ye kiya he Ya’ni Ay ALLAH TA’ALA Jab wo Teire Deen ke Ahekaam ko Pamaal kar rahe the Khud Gumraah ho rahe the Aur Dusro ko Bhi Gumraah kar rahe the to Meine Teiri Baargaah me Arz kiya Ki Ay MOULAAYE KAREEM Jab Mei Teira Rasool hu Inhe Teire Ahekaam Pahoncha Raha hu Lekin ye Apne Tariqe se Baaz nahi Aa rahe to Inko Apni Giraft me le le,

Ay RABB E KAREEM Tujh se Badh kar Koun Jaanta he ki Meine Un par Is liye Gussa Nahi Kiya ki Unhone Mujhpar Tohmat Lagaayi he Isme wo Khud hi Zaleel ho Chuke the, Meira Gussa to Teiri Zaat ki Wajah se tha Mei Unki Aah Pukaar ko keise Soonta..
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-11, Safa-123)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-452, 453, 454)

ALLAHU AKBER…

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam ka Waaqiya :-
Ek Martaba Bani Israaeel ko Khutba deine ke liye Hazrat Musaa Alayhis Salaam Khade hue, Aap Alayhis Salaam se Puchha gaya Lougo me se Zyada Aalim Kon he..??
Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Mei Zyada Aalim hu, To RABB TA’ALA ne Aap par Etaab Farmaya Kyunki Aap Alayhis Salaam ne Sawaal ke Jawaab ko RABB TA’ALA ki Taraf Mansub nahi kiya, Haalaanki ye kehna Chaahiye ki ALLAH TA’ALA Behtar he,

ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam par Wahi ki ke Meire Bando me se Ek Banda Majma ul Bahrein(Daryaao ke Milne ki Jagah) me Rehta he wo Tum se Zyada Ilm Rakhta he, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Arz ki Ay Meire RABB Mei Unhe Keise Paaunga To Aapko Bataya gaya ki Tum Apne Theile me Ek Machhali Band karke Apne Saath le lo Jaha Tumhaari Machhali Gum ho jaaye wahi Unka Maqaam hoga.
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa-269)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-456)


>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Safar Shuru karna :-
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Yaad karo Jab Musaa (Alayhis Salaam) ne Apne Khaadim se kaha Mei Baaz Na Rahunga Jab tak Waha Na Pahunchu Jaha 2 Samandar Mile he Ya Qarno(Muddato Tak) Chala Jaau, Fir Jab Wo dono Un Dariyaao ke Milne ki Jagah Pahunche Apni Machhli Bhul gaye Aur Usne Samandar me Apni Raah li Surang Bana li, Fir Jab waha se Guzar gaye Musaa (Alayhis Salaam) ne Khaadim se kaha Hamara Subah ka Khana Laao Beshak Hame Apne Is Safar me Badi Mashaqqat ka Saamna Huwa, Bola Bhala deikhiye to Jab Hamne Is Chattan ke Paas Jagah li thi to Beshak Mei Machhli ko Bhul gaya Aur Mujhe Sheitaan hi ne Bhula Diya ki Mei Uska Zikr karu Aur Usne To Samandar me Apni Raah li Achambha(Ta’ajub) he”
(Surah Al Kahaf, Aayay-60, 61, 62, 63)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Jis Jawaan ko Apne Saath liya wo ‘Yush’a Bin Noon’ the Jo Aap ki Khidmat wa Sohbat me Rehte the Aur Aap se Ilm Haasil karte the Aur Aap ke WaliAhad he,

‘Majma ul Bahrein’ se Muraad 2 Daryaao ki Jagah Ya’ni Bahare(Samandar E) Faaras Aur Bahare(Samandar E) Rum Jaha Milenge Waha Tumhe Hazrat Khizr Alayhis Salaam Mil Jaayenge, Uski Nishaani ye Bataayi gayi he ki Jaha Tumhaari Machhali Gum Ho jaaye Usi Maqaam me Unko Talaash karna Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Waha Pahunchne ka Pakka Iraada kar liya Aur Farmaya ki Mei Apni Koshish Jaari Rakhunga Yaha Tak ki waha Pahunch Jaau, Beshak wo Jagah Kitni hi Door ho Meira Safar waha Pahunchne tak Jaari rahega, Fir In Hazraat ne Roti Aur Bhuni Hui Namkeen Machhali Apne Saath Ek Theile me li Taaki Raaste me Kaam Aaye, Fir ye Apni Manzil Maqshud ki Taraf Rawana ho gaye, Jaha Ek Patther ki Chattan thi waha In Hazraat ne Aaram kiya Aur So gaye, Bhuni Hui Machhali Theile me Zinda ho gayi, Tadap kar Darya me gir gayi, Us par se Paani ka Bahaaw Ruk gaya Aur Ek Mehraab si ban gayi, Hazrat Yush’a Bin Noon Beidaar ho Chuke the Machhali ke Zinda ho kar Darya me Girne ko Deikh rahe the Lekin ye Waaqiya Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Batana Bhul gaye the,

Dono Hazrat Waha se Chale Dusre Din Khane ke Waqt tak Apna Safar Jaari Rakha, Jab Dusre Din Khaane ka Waqt huwa to Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Safar ki Thakaan bhi he Aur Bhuk ki Shiddat bhi, Is liye Theile se Roti Aur Machhali Nikaalo Taaki Khana Khaa le, Us Waqt Yush’a Bin Noon ko Yaad Aaya Unhone Kaha Machhali to Zinda ho kar Darya me Chali gayi thi, Bhuni Hui Machhali ka Zinda ho kar Darya me Jana Heiraan Aur Ta’ajub Naak Ma’amla tha, Hazrat Yush’a ne Apne Bhulne ko Sheitaan ki Taraf Mansub kiya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-457)


>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam ki Mulaaqaat :-
Quraane Hakeem me ALLAH AZZAWAJAL Irshaad Farmata he
“Musaa ne kaha yahi to Ham Chaahte the Tu Pichhe Palte Apne Qadmo ke Nishaan deikhte, To Hamaare Bando me se Ek Banda Paya Jise Hamne Apne Paas se Rahmat di Aur Use Apna Ilme Ladunni Ataa kiya, Usse Musaa ne Kaha kya Mei Tumhaare Saath Rahu Is Shart par ki Tum Mujhe Sikha doge Neik Baat Jo Tumhe Ta’alim Hui, Kaha Aap Meire Saath Hargiz Na Thahar Sakenge, Aur Us Baat par Kyukar Sabr Karenge Jise Aapka Ilm nahi Ghere he, Kaha Anqarib(Bahut Jald) ALLAH Chaahe to Tum Mujhe Saabir Paaoge Aur Mei Tumhaare Kisi Hukm ke Khilaaf Na Karunga, Kaha to Agar Aap Meire Saath Rehte he to Mujh se Kisi Baat ko Na Puchhna Jab tak Mei Khud Uska Zikr Na Karu”
(Surah Al Kahaf, Aayat-64, 65, 66, 67, 68, 69, 70)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat ‘Yush’a waha Lout kar Aaye Jaha Machhali Zinda ho kar Paani me Chali gayi thi, Paani ka Bahaaw Rukne ki Wajah se Mukhtalif Nishaanaat Moujud the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Yahi Maqaam Hamaara Maqshad he, Dono ne Talaash karna Shuru kiya, Yaha Tak ki wo Ek Chattan ke Paas Aaye to Deikha ki Ek Shaksh Chaadar Odhe Leit Raha tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unhe Salaam kiya, Unhone Kaha Is Zamin me Salaam kaha se Aa gaya..?? (Yaha to Koi Salaam karne Wala Kabhi Nazar nahi Aaya), Aap Alayhis Salaam ne kaha Mei Musaa hu, Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne kaha Bani Israaeel ke Musaa…? Aap ne kaha Ji Haa..
Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne kaha ALLAH TA’ALA ne Jo Ilm Tumhe Ataa Farmaaya wo Mujhe Ataa Nahi Farmaya Aur Jo Ilm Mujhe Ataa Farmaaya Tumhe nahi Ataa Farmaaya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Kaha ki Kya Mei Aapki Taabedaari kar Sakta hu ki Tum Mujhe wo Ilm Ataa kardo, Hazrat Khizr Alayhis Salaam ko Ma’alum tha ki Inhe Zaahiri Shariyat ka Ilm Ataa Kiya gyaa he Ye Baatini Amur par Sabr Nahi Kar Sakenge, Is liye Unhone kaha Tum Keise Sabr kar Sakoge…??
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Mei In Sha Allah Sabr karunga.
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa-270)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam Chunki Pehle hi Keh Chuke the ki Mei In Sha Allah Sabr Karunga Aur Aapke Hukm ki Na-farmaani nahi karunga, Is liye Aapko Khizr Alayhis Salaam ne Saath Rehne ki Ijaazat de di.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-458, 459)


>➤ Hazrat Khizr Alayhis Salaam ka Kashti Todna :-
Quraan Shareef me he ki
“Ab Dono Chale Yaha Tak ki Jab Kashti me Sawaar hue Us Bande ne Use Chir Dala Musaa(Alayhis Salaam) ne kaha Kya Tumne Ise Is liye Cheera ki Iske Sawaaro ko Dooba do Beshak Yah Tumne Buri Baat ki, Kaha Mei Na Kahta tha ki Aap Meire Saath Hargiz Na Thahar Sakenge, Kaha Mujh se Meiri Bhul par Giraft Na karo Aur Mujh par Meire Kaam me Mushkil Na Daalo”
(Surah Al Kahaf, Aayat-71, 72, 73)

Hazrat Musaa Alayhis Salaam Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam Darya ke Kinaare Chal rahe the, Unke Qarib se Ek Kashti Waale Lougo ne Hazrat Khizr Alayhis Salaam ko Pahchan liya tha, Is liye Unhone Aapas me Kalaam(Baat) kiya ki Inhe Kashti me Sawaar karna Chaahiye, Lihaza Unhone Bageir Ujrat(Majduri) Leine ke Un Hazraat ko Sawaar kar liya,

Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne Kashti ka Ek Takhta Ukheid Diya tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Ta’ajub karte hue kaha Ki Is Qoum ne Hame Bageir Ujrat(Majduri) ke Kashti par Sawaar kiya Tumne Ise Tod Diya Tum Lougo ko Garq karna Chahte ho, Khyaal rahe ye Kashti ka Todna Kinaare ke Qarib Ja kar tha Aur Khizr Alayhis Salaam ne Waqt ke Tour par Usme Khil bhi laga Diya tha,

Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne kaha Meine Jo kaha tha ki Tum Zaahir Deikh kar Sabr Nahi kar Sakoge, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Mujhse Bhul Waaqe ho gayi he, is liye Isme Meiri Koi Giraft Na Kare.
(Roohul Ma’ani, Jild-8, Hissa-1, Safa-337)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-460)


>➤ Hazrat Khizr Alayhis Salaam ka Ek Bacche ko Qatl karna :-
Quraane Majeed me he ki
“Fir Dono Chale Yaha Tak ki Jab Ek Ladka Mila Us Bande ne Use Qatl kar Diya Musaa(Alayhis Salaam) ne kaha Kya Tumne Ek Suthri Jaan Bekisi Jaan ke Badle Qatl kar di Beshak Tumne Bahut Buri Baat ki, Kaha Mei ne Aapse Na Kaha tha ki Aap Hargiz Meire Saath Na Thehar Sakenge, Kaha Iske Baad Mei Tum se Kuchh Puchhu to fir Meire Saath Na Rahna Beshak Meiri Taraf se Tumhaara Uzr Pura ho Chuka”
(Surah Al Kahaf, Aayat-74, 75, 76)

Jab Kashti se Dono Hazraat Nikle to Kinaare par Chal rahe the, Jab Unka Guzar Ek Basti se huwa, Waha Ladke Kheil rahe the, EK Ladka Jo Tamaam Ladko se Zyada Haseen Aur Saaf-Suthraa tha, Aap ne Use Sar se Pakda Aur Uska Sar Juda kar Diya, Ek Riwaayat me he ki Aap ne Use Lita kar Chhuri se Zabah kar Diya,

Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Bade Gusse me Zourdaar Aaawaz se kaha Ye Tumne Kitna Bura Kaam kar Diya, Ek Na-Baalig Bache ko Qatl kar Diya Jo Saaf-Suthraa Gunaaho se Paak tha, Us par Koi Qasaas Laazim nahi tha, ye Aysa Kaam Tumne kiya he Jo Saraasar Aql ke Khilaaf he, Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne kaha Meine Jo kaha tha ki Tum Sabr Nahi Kar Sakoge, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne kaha Iske Baad Agar Meine Koi Sawaal kiya To Tum Meira Saath Chhod deina Kyunki Us Waqt Tumhe Meiri Taraf se Uzr Haasil ho Jaayega.
(Roohul Ma’ani, Jild-8, Hissa-1, Safa-338)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-460, 461)


>➤ Hazrat Khizr Alayhis Salaam ka Diwaar ko Sidha karna :-
Quraane Paak me he ki
“Fir Dono Chale Yaha Tak ki Jab Ek Gaanw Waalo ke Paas Aaye Un Dahqaano se Khana Manga Unhone Unhe Da’wat deini Qabul Na ki Fir Dono ne Us Gaanw me Ek Diwaar Paai ki Gira Chaahti he Us Bande ne Use Sidha kar Diya Musaa(Alayhis Salaam) ne kaha Tum Chaahte to Is par kuchh Mazduri le leite, kaha Yah Meiri Aur Aapki Judaai he Ab Mei Aapko In Baato ka fer Bataaunga Jin par Aapse Sabr Na ho Saka”
(Surah Al Kahaf, Aayat-77, 78)

Ye Basti ‘Antaakiya’ ya ‘Ayeela’ thi, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Bhuk ki Wajah se Is Haalat me the ki Kisi se Giza(Khana) Talab karna Jaiz hota he Balki Jaan Bachaane ki Wajah se Waajib ho jata he, Ayse Haal me Un Lougo par bhi Waajib ho Jata he ki Wo Giza(Khana) Khilaaye, Isi Wajah se Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Diwaar Durust karne par Ayteraaz kiya ki Un Lougo ne to Hame Shadeed Bhuk ke Haal me Khana bhi Nahi khilaya to Unse Uzrat(Majduri) leini Zaruri thi, Jab Un Dono ne Diwaar ko Deikha Jo Ek Taraf Jhuki Hui thi Girne ke Qarib Pahonch Chuki thi, Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne Haath se Use Sidha kar Diya ya Sirf Haath Feira Aur wo Diwaar Sidhi ho gayi, Ye Dar-Haqiqat Unka Mo’ajiza tha, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Is Ayteraaz par Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne kaha Aapke Wa’de ke Mutaabiq Meire Aur Aapke Darmiyaan Judaai ka Waqt Aa Chuka he, Al Batta ye Tin Kaam Jo Meine kiye he Jis par Tumne Ayteraaz kiya Unme se Har Ek Ki Wajah Aur Hikmat me Bayaan kar deita hu Taaki Tumhe Pata Chal jaaye Aur Tum Jis Garaz se Aaye the Ya’ani Ilm Haasil Karne ke liye wo bhi Haasil ho jaaye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-461)


>➤ Hazrat Khizr Alayhis Salaam ka Apne Kaamo ki Wazaahat karna :-
Quraane Azeem me he ki
“Wah Jo Kashti thi Wah Kuchh Mohtaajo ki thi ki Dariya me Kaam karte the to Meine Chaha ki Use Aiybdaar Kardu Aur Unke Pichhe Ek Baadshah tha ki Har Saabut Kashti Zabardasti Chhin leita,
(Surah Al Kahaf, Aayat-79)

Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne Farmaya ye Kashti Das Miskino ki he Jinme Kuchh Apaaij bhi he, wo Iski Mazduri se Apne Guzar-Awqaat kar rahe he, Jab ye Waapas Loutenge to Inko Baadshah ‘Jalandi’ ka Saamna karna Padhega wo Sahih Kashti ko Pakad Raha he Lekin Aiybdaar ko nahi Pakadta, Is liye Meine Use Aiybdaar Banaane ka Feishla kar liya Taaki ye Kashti wo Na Chhin Sake Aur Unki Mehnat wa Mazduri Jaari rahe,

Quraane Azeem me Aage he ki
“Aur wah Jo Ladka tha Uske Maa-Baap Musalmaan the to Hame Dar Huwa ki Wah Unko Sarkashi Aur Kufr par Chadhaade, to Hamne Chaha ki Un Dono ka RABB Usse Bahtar Suthra Aur Usse Zyada Maherbaani me Qarib Ataa Kare”
(Surah Al Kahaf, Aayat-80, 81)

Ek Riwaayat me he ki Beshak wo Ladka Jise Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne Qatl kiya Uspar Kaafir hone ki Mohar lagaadi gayi thi Agar ye Zinda Raha to Apne Waalidein ko Sarkashi Aur Kufr ki Taraf Majbur kar deiga.
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa-345)

Ek Aur Riwaayat me he ki Beshak ALLAH TA’ALA ko Ma’alum tha ki ye Bada ho kar Kaafir ho Jaayega Agarche Use Bachpan me Kaafir nahi Kaha Ja Sakta tha.
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa-345)

Quraane Azeem me Aage he ki
“Rahi Wah Diwaar Wah Shahar ke do Yatim Ladko ki thi Aur Uske Niche Unka Khazana tha Aur Unka Baap Neik Aadmi tha To Aapke RABB ne Chaha ki wo Dono Apni Jawaani ko Pahunche Aur Apna Khazana Nikaale Aapke RABB ki Rahmat se Aur Yah Kuchh Meine Apne Hukm se Na kiya Yah Feir hei Un Baato ka Jispar Aapse Sabr Na ho Saka”
(Surah Al Kahaf, Aayat-82)

Is Aayate Kareema me Jo Zikr kiya gaya he ki Unka Baap Neik Aadmi tha Is se Pata Chala ki Aaabaa(Baap) ki Neiki se Unki Aulaad par ALLAH TA’ALA ki Maherbaani hoti he,

Mohammad Bin Mukandar Farmate he Beshak ALLAH TA’ALA Apne Neik Bande ki Neikiyo ki Wajah se Uski Aulaad Aur Uski Aulaad ki Aulaad Aur Uske Qabile Aur Uske Ird-Gird(Aas-paas) rahne waale Padosiyo ki Hifaazat karta he wo Loug Jab tak Us Neik Bande ke Pados me rahenge Us Waqt Tak ALLAH TA’ALA ki Hifaazat me honge.
(Tafseere Mazhari, Jild-3, Safa-45)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-463, 464)

>> Note :
Kuchh Loug Wali ko NABI se Bada Deikh kar Gumraah ho gaye Aur Unhone Yah Khyaal kiya ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Hazrat Khizr Alayhis Salaam se Ilm Haasil Karne ka Hukm Diya gaya Jab ki Hazrat Khizr Alayhis Salaam Wali he Aur Haqiqat me Wali ko NABI se Bada Maanna Khula Kufr he Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam NABI he Aur Agar Aysa Na ho Jeisa ki Kuchh ka Gumaan he to Yah ALLAH TA’ALA ki Taraf se Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Haqq me Aazmaaish he.

>➤ Hazrat Khizr Alayhis Salaam NABI the ya Wali :-
Is Masle me Ahle Ilm ke Har Taraf se Dalaail Moujud he, Kuchh Hazraat ne Wali kaha Aur Kuchh ne NABI kaha, Mohaqqieen Hazraat Is Taraf he ki Aap NABI the,

Is Masle ko Bayaan karte hue Mufakkir E Islaam, Mufassire Quraan Hazrat Pir Karam Shah Saahab Farmaate he
Jamhur(Aksar) Ulma ka Mazhab he ki ye Banda Hazrat Khizr Alayhis Salaam he, Inka Naam “Baliya Bin Malkaan” he kyuki Jaha ye Tashreef Farma hote wo Jagah Sar-Sabz(Green) ho Jaati thi Is liye Khizr Aapka Laqab tha Aur Isi Laqab se Mashoor ho gaye, Baaz Ulma ki ye Raay he ki wo Wali the Lekin Allama Pani Pati Aur Digar Ulma E Mohaqqieen ki ye Raay he ki wo NABI the Kyuki Wali ke Ilhaam se Ilm E Zanni Haasil hota he Aur Usme khata’a ka Ahtemaal hota he, Ilhaam ki Wajah se Qatl jeise Sangin Feil ka Irtekaab Jaiz nahi ho Sakta, Is liye Aap Alayhis Salaam ko NABI Manna Padega Aur NABI ka Ilm Yaqini hota he.
(Ziyaaul Quraan, Jild-3, Safa-46)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-465)

>➤ Kya Hazrat Khizr Alayhis Salaam Zinda he…??
Is Masle ko Bayaan karte hue Mufakkir E Islaam, Mufassire Quraan Hazrat Pir Karam Shah Saahab Tehreer Farmaate he
Rahi ye Baat ki Hazrat Khizr Alayhis Salaam Ab Zinda he ya Wafa’at Pa Chuke he Isme Ulma ke 2 Giroh he Aur Un Dono Giroho ne Apne Apne Mouqif ko Saccha Saabit karne ke liye Dalaail ke Anbaar laga Diya he,

(Jis se Kisi Ayse Natija par Nahi Pahoncha Ja Sakta ki Ek Baat par Mutmaeen ho Paaye)

Is liye Hazrat Qaazi Shana’aullah Pani Pati Rahmatullah Alay ki Is Tehreer se Mutmaeen ho Sakte he…

Likhte he ki Hazrat Mujaddid Alf Saani Rahmatullah Alay se Hazrat Khizr Alayhis Salaam ke Muta’aliq Puchha gaya ki wo Zinda he ya Wafa’at Pa gaye he to Wo Baargaahe ILAAHI me Haqiqate Haal ke Inkeshaaf(Numaaish) ke liye Mutawajjeh hue

To Hazrat Mujaddid Alf Saani Rahmatullah Alay ne Deikha ki Hazrat Khizr Alayhis Salaam Unke Paas Khade he, Aapne Unse Unki Haqiqat E Haal Daryaaft ki to Unhone Farmaya ki Mei Aur Ilyaas Alayhis Salaam Zindo me se Nahi Lekin ALLAH TA’ALA ne Hamaari Rooho ko Aysi Quwwat Bakhshi he Jisse Ham Mujassam hote he Aur Zindo ke Kaam karte he Masalan Jab ALLAH TA’ALA Chaahe to Ham Gumraah ki Rehnumuaai karte he Aur Musibat-zada ki Madad karte he, Ilme Ladunni ki Ta’alim deite he Aur Jiske Muta’alaq ALLAH TA’ALA Ka Irada ho Use Roohani Nisbat Marhamat karte he, Hame Auliya-ALLAH me se Jo Qutube Madaar hota he Uska Ma’awan wa Madadgaar Banaya gaya he, ALLAH TA’ALA ne Use Madaare Aalam Banaya he Aur Uski Barkat wa Feiz se Duniya ki Baqa’a he Aaj kal Yaman ke Ek Buzurg Qutube Madaar he Jo Shaafai ul Mazhab he Ham Unke Saath Shaafai Mazhab ke Mutaabiq Namaaz Adaa karte he.
(Tafseere Mazhari, Jild-6, Safa-62)
(Tafseere Ziyaaul Quraan, Jild-3, Safa-38)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-467, 468)

>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Inteqaal :-

Ek Riwaayat me he ki Malekul Mout(Hazrat Izraail Alayhis Salaam) ko Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Taraf Bheija gaya Jab wo Aapke Paas Aaye to Aap Alayhis Salaam ne Thappad Maar kar Uski Aankh Nikaal di,

Dusri Riwaayat me Is Tarah he ki Malekul Mout Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Paas Aaye Aur Kaha ki Apne RABB TA’ALA Ka Hukm Qabul karo to Aap Alayhis Salaam ne Use Thappad Maar Diya, Jis se Unki Aankh Zaya ho gayi, Hazrat Izraail Alayhis Salaam Waapas ALLAH TA’ALA ke Paas Haazir Huwe, Arz ki Mujhe Tumne Ayse Bande ki Taraf Bheija he Jo Marna hi nahi Chaahta,
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Izraail Alayhis ko Aankh Fir Ataa kardi Ya’ni Nazar Fir Louta di Aur Farmaya Jaao Meire Bande ke Paas Use Kaho ki Apna Haath Beil ki Pith par rakhe, Haath ke Niche Jitne Baal Aayenge Umr Utne Saal Badha Dunga,
Aap Alayhis Salaam ne Arz ki Ay Meire RABB, Fir Kya Hoga..??
ALLAH TA’ALA ne Farmaya Fir Mout Aajayegi,
Aap Alayhis Salaam ne Arz ki Mout Abhi Aajaye Aur Sath ye Sawaal kiya ki Ay Meire RABB Mujhe Beitul Muqaddas ki Sar-Zamin par Pahuncha deina.

ALLAHU AKBER…


>➤ Hazrat Musaa Alayhis Salaam ka Qabr me Namaaz Adaa karna :-
Hazrat Sulemaan Tamimi RadiAllaho Ta’ala Anho Riwaayat karte he ki Meine Hazrat Anas RadiAllaho Ta’ala Anho ko Kehte hue Soona ki RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Meira Guzar Musaa Alayhis Salaam se huwa to Apni Qabr me Namaaz Adaa kar rahe the,

Ek Riwaayat me he ki
Me’araaj ki Raat Meira Guzar Musaa Alayhis Salaam se huwa,
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa-267)

Aur Ek Riwaayat me he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Meine Musaa Alayhis Salaam ko Namaaz Padhte hue Deikha, Isaa Alayhis Salaam ko Namaaz Padhte hue deikha, Ibhraahim Alayhis Salaam ko Namaaz Padhte hue Deikha.
(Muslim Shareef, Jild-1, Safa-116)

Khyaal rahe ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Qabr me Namaaz Padhte hue Deikha, Fir Beitul Muqaddas me Apne Saath Namaaz Padhte hue bhi Deikha, Fir Aasmaano par Aap ko Marhaba Kehte hue bhi Deikha, Is ki 2 Wajah ho Sakti he

Ek ye ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Buraaq par Sawaar the Aur Buraaq ki Raftaar se Safar kar rahe the, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Bageir Kisi Sawaar ke Apni Shaan E Nabuwwat se Chal rahe the, Is liye Aap HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam se Pehle Beitul Muqaddas Aur Aasmaano par Pahunch gaye Ya’ni Raftaar E Nabuwwat Buraaq ki Raftaar se Badh kar he,

Dusri Wajah ye ho Sakti he ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam Ek Waqt me Qabr me bhi Tashreef Farma ho Aur Beitul Muqaddas me bhi Aur Aasmaano me bhi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-474)

Yaha par Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Waaqiyaat Khatm hote he, 


#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Ambiya #Hazratmusaa #HazratHaarun #Musa #Harun #Musha #moosa #Haroon #Firoun #Firon #Feeron # Jadugar #Jaadugar #Samri #BaniIsrail #qarun #karun #fironkadoob #kohetoor #tur #toor #manwasalwa #salwa #khijr #khijar #khizar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *