Doodh Pine ka Zamaana

1280px-Inside_Masjid.e.Nabavi_-_panoramio

>➤ Ayyame Raza’at / Doodh Pine ka Zamaana :-
✥══════════════════════════════════✥
In sha Allah Ab Kuchh Ma’alumaat HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Doodh Pine ke Zamaane ke Bare me Peish ki Jayegi..

Sabse Pehle Jisne HUZOORE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Doodh Pilaya Woh Abu Lahab ki Bandi ‘Hazrate Suwaiba’ thi,

Suwaiba ne Saiyyadus Shohda Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ko bhi Dhoodh pilaya he, Is Bina par HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Aur Hazrate Hamza RadiAllaho Ta’ala Anho ke Darmiyaan Rezaai Bhai ki Nisbat bhi Saabit he,

Manqul he ki HUZOORE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne 7 Din Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ka Doodh Noush Farmaya Aur Chand Din Suwaiba ka Doodh Piya Iske Baad Halima Sadiya Ne Doodh Pilane ki Sa’adat Haasil ki.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-1, Safa-35)

>➤ Baccho ko Gaanv me Raza’at ke liye Bheijna :-
✥═══════════════════════════════════✥
Shurfa e Arab(Izzatdar Arab) ki Aadat thi ki Woh Apne Baccho ko Doodh Pilaane ke liye Aas-Paas ke Deihaato(Gaanv) me Bheij deite the, Deihaat ki Saaf Suthri Aabo Hawa me Baccho ki Tandurasti Aur Jismaani Sahat bhi Achhi ho jati thi Aur Woh Khaalis Aur Faseeh(Saaf Aur Sahih) Arabi Zubaan bhi Sikh Jate the Kyu ki Sahar ki Zabaan Baahar ke Aadmiyo ke Meljol se Khalis Aur Faseeh wa Balig(Acchi) Zubaan Nahi raha karti.
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-51)

>> Us Waqt ke Quraish ke Sardaar Aur Arab ke Maaldaar Apne Baccho ko Apni Maa ki Narm Aagosh me Palte huwe deikhne ki Bajaay Isko Pasand karte the ki Woh ShahraNasheen(Jangal me Rehne Wale) Qabilo ke Paas Apne Bachpan ko Guzaare Taki Iski Riyyat(Tariqe) Aur Iski Unchi-Nichi Pathrili Zameen ki Ragdo(Gisaav) se Unke Jism me Mazbuti Peida ho, Aur Unke Faseeh Wa Balig(Achhi) Zabaan Sikh kar Woh Behtareen Khatib Aur Qaideen Ban Sake,

Ek Din Hazrate Siddiq Akber RadiAllaho Ta’ala Anho ne Arz kiya YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Maine Aap se Zyada Koi Faseeh(Sahih Baat Karne Wala/Khush Kalaam Karne Wala) Nahi deikha, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaya
Aysa Kyu Na ho ki Mai Qabeelae Quraish Ka Farzand hu Aur Maine Apni Raza’at(Doodh Pine) ka Zamana Bani Sa’ad Qabeela me Guzara he.

Mukhtalif (Alag Alag) Qabeelo ki Khwaatin Khas Khas Mousamo me Makka Aaya karti, Taki Maaldaar Lougo ke Baccho ko le Jaye Unko Doodh Pilaaye Unki Parvarish Kare Aur Jab Muddate Raza’at Khatm ho Jaye to Un(Baccho) ke Waalidein Unhe Behtareen Atiyaat(Tohfa) Aur Inaamaat de kar Khush kare.
(Ziaaun Nabi ﷺ , Jild-2, Safa-65,66)

>➤ HUZOOR NABI E REHMAT ﷺ Hazrate Halima ki Goud me :-
✥════════════════════════════════════════════✥
Hazrate Halima RadiAllaho Ta’ala Anha ka Bayaan he ki Mai Bani Saad ki Aurato ke Humraah(Sath) Doodh Pine Wale Baccho ki Talaas me Makka ko Chali, Is Saal Arab me Bahot Shakht Kaal Pada huwa tha, Meiri God me Ek Baccha tha, Magar Faqr wa Faqa(Garibi Aur Bhuk) ki Wajah se Meiri Chaatiyo me Itna Doodh Na tha Jo Usko Kaafi ho Sake, Raat Bhar Woh Baccha Bhuk se Tadapta Aur Rota Bilbilata Rahta tha Aur Hum Uski Diljoi(Dilasa) Aur Dildari ke liye Tamaam Raat Beith kar Gujaarte the, Ek Untni bhi Humaare Paas thi, Magar Uske bhi Doodh na tha, Makka e Mukarrama ke Safar me Jis Khacchar(Ye Jaanwar Jo Ghadhe Aur Ghoude Jeisa hota he/Mule) par Mai Suwaar thi Woh bhi Is Qadr Laagar(Patla/Dubla) tha ki Kaafile Walo ke Sath Na Chal Sakta Tha Meire Humraahi bhi Is se Tang Aa Chuke the, Badi Badi Mushkilo se ye Safar Tai Huwa Jab ye Kaafila Makka E Mukarrama Pahoncha to Jo Aurat RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ko Deikhti Aur Yeh Soonti ki ye Yatim he To Koi Aurat Aap ﷺ ko leine ke liye Taiyyar Nahi Hoti thi, Kyu ki Bacche ke Yatim hone ki Wajah se Zyada Inaamo Ikraam Milne ki Ummid Nahi thi, Idhar Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ki Kismat ka Sitara Surayya se Zyada Buland Aur Chand se Zyada Roushan tha, Inke Doodh ki Kami Inke liye Rahmat ki Ziyaadati ka Baais Ban gayi, Kyu ki Doodh Kam Deikh kar Kisi ne Inko Apna Baccha Deina Gawara Na kiya,

Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ne Apne Shohar ‘Haaris Bin Abdul Uzza” se kaha ki Yeh to Achha Nahi Maalum hota ki Mai Khali Hath Waapas Jaao Is se To Behtar he Yahi he ki Mai Is Yatim (Bacche) ko le Chalu, Shohar ne Isko Manzur Kar liya Aur Hazrate Halima RadiAllaho Ta’ala Anha Us Durre Yatim ko le kar Aayi Jis se Sirf Hazrate Halima Aur Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha hi ke Ghar me Nahi Balki Kaayenaate Aalam ke Mashriq wa Magrib (East & West) me Ujala hone wala tha, Ye KHUDA WANDE QUDDUS ka Fazle Azeem hi tha Ki Hazrate Halima RadiAllaho Ta’ala Anha ki Soi hui Kismat Bedaar ho Gayi Aur SARWARE KAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam Inki Aagosh me Aa gaye.
(Seerat MUSTAFA ﷺ, Safa-51,52)

>> Dusri Riwaayat ke Muta’abiq Hazrate Halima RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaya Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Meira Isteqbaal(Welcome) kiya, Unhone Puchha Tum Kon ho…? Meine kaha Banu Saad me se Ek Aurat, Unhone Puchha Tumhara Naam kya he..? Maine kaha Halima, Unhone Farmaya Waah Waah Saad Aur Halam.. ye Dono Aysi Aadate he Jinme Zamaane Bhar ki Bhalai Aur Abadi Izzat he, Halima Meire Paas Ek Yatim Baccha he, Maine Use Banu Saad ki Khawaatin ko Peish kiya Unhone Qabool Karne se Inkaar kar diya, Unhone kaha Yatim ke Paas Kya Bhalaai ho Sakti he.. Hum to Baccho ke Baap se Izzat wa Bakhshish ki Khwahish mand hoti he, Kya Tum Us Yatim ko Doodh Pilaaogi..? Shayad ki Tumhe Iske Zariye Abadi Sa’adat(Hameisha ke Liye Khush) Naseeb ho jaye, Maine Arz ki Kya Aap Mujhe Itni Ijaazat deite he ki Mai Apne Shohar se Mashwara kar lu, Unhone Farmaya Zarur.., Mai Apne Shohar ke Paas gayi, Saari Baat Bayaan ki, RABB TA’ALA ne Uske Dil ko Khushi Aur Muhabbat ke Saath Bhar diya, Usne kaha Halima Woh Baccha Zarur Haasil karo, Mai Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ki Khidmat me Haazir ho gayi, Maine Unhe Apna Muntazir(Intezaar karne Wala) Paya, Maine kaha Woh Mubaarak Baccha Meire Paas le Aaye, Unka Chehra Khushi se Khil Utha, Unhone Mujhe Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Kamre me Daakhil kar diya, Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Mujhe Khush-Aaamadid Marhaba kaha, Mujhe Us Kamre me Daakhil kar diya Jisme HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam Rounak Afroz the, Woh Souf(Un) ke Kapde me Lipte huwe the Jo Doodh se Zyada Safeid tha, Unke Nichhe Sabz(Hara/Green) Reisham tha, Aap ﷺ Guddi(Gardan ke Pichhle Hisse) ke Bal Us par leite huwe the, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam se Mushke Azfar(Bahot Zyada Kastoori) ki Khushbu Uth rahi thi, Husn wa Jamaal ki Tajalliyaat Is Qadr Zyada thi Ki Maine Jagana Munaasib Na Samjha, Apna Hath Aap ﷺ ke Sina e Mubaarak par Rakh diya, HUZOOR ﷺ Tabassum-Reiz(Muskuraaye) huwe, Jishmane Muqaddas ko Khola, Unse Noor Nikal kar Aasmaan ki Bulandiyo me dakhil ho gaya, Mai ye Khubsurat Manzar deikh rahi thi, Maine Dono Aaankh Mubaarak ke Darmiyan me Bosha diya, Aur Aap ﷺ ko Utha liya.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-65)

>➤ Hazrate Halima par Kheiro Barkat Naazil hona :-
✥════════════════════════════════════✥
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaya Maine HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Apni Goud me Bitha liya Taki Doodh Pilaau, Maine Daya(Sidha/Right) Pistaan Peish kiya, Aap ﷺ ne Isme se Jee Bhar kar Doodh Piya, Fir Maine Baya(Left/Ulta) Pistaan Peish kiya To Aap ﷺ ne Na liya Aur Na Piya, Baad me bhi Aap ﷺ ka Ye Amal raha,

Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he ki HAQQ TA’ALA ne Aap ﷺ ko Ibteda(Shuruaat) me hi Adaalat wa Insaaf Malhuz(Dhyaan) rakhne ka Ilhaam Farma diya tha, Aur Aap ﷺ Jante the ki Ek Hi Pistaan ka Doodh Aap ka he Kyu ki Halima ka Ek Apna Ladka bhi he, Halima Sadiya Farmaati he ki Iske Baad HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka ye Haal raha ki Ek Pistaan ko Apne Razaai Bhai ke liye Chhod diya karte the, Fir Mai Aap ﷺ ko lekar Apni Jagah Aayi Aur Apne Shohar ko Dikhaya, Woh bhi Aap ﷺ ke Jamaale Mubaarak par Aashiq ho gaye Aur Sajda e Shukr Adaa kiya, Woh Apni Untani ke Paas gaye deikha to Uske Than Doodh se Bhare huwe the Bawajood Is se Pehle Uske Than me Doodh ka Ek Qatra Na tha, Unhone Use Dohya Jise Unhone bhi Piya Aur Maine bhi Piya Aur Hum Khub Seir(Peit Bhar kar) ho gaye Aur Kheiro Barkat ke Sath Is Raat Chein ki Nind Soye, Chunki Is se Pehle Bhuk Wa Pareshani me Nind Nahi Aayi thi, Meire Shohar ne Kaha Ay Halima Basharat Wa Khushi ho ki Tumne Is Zaate Mubaarak ko le liya Tum Nahi deikhti ki Hume Kitni Kheir Wa Barkat Haasil hui he Ki Sab Isi Zaate Mubaarak ke Tehat he Aur Mai Ummid rakhta hu ki Hameisha Aur Zyada Kheiro Barkat rahegi,
Halima Sadiya Farmaati he ki Iske Baad Chand Raate Hum Makka e Mukarrama me Thehre rahe, Ek Raat Maine Deikha ki Ek Noor Aap ﷺ ke Aas-Paas Gheirav dale huwe he, Aur Ek Shaksh Sabz(Hara) Kapde Pehne Aap ﷺ ke Sarhaane(Sarr Mubaarak ki Taraf) Khada he, Fir Maine Apne Shohar ko Jaga kar kaha Uthhe Aur Deikhe, Shohar ne Kaha Ay Halima Khamosh raho Aur Apni Is Haalat ko Chhupa ke rakho, Kyuki (Mujhe Maalum huwa he ki) Jis Din se ye Farzand Peida huwa he Yahud Ulma ne Khana Pina Chhod rakha he Unhe Chein wa Qaraar Nahi he.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-36)
(Al Mawaahibul Laduniya, Jild-1, Safa-94,95)

“Bhaiyo ke Liye Tark Pistaan Kare,”
“Doodh Pito ki Nisfat pe Lakho Salaam,”
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ Kamzor Khacchar ka Taaqatwar Hona :-
✥══════════════════════════════✥
Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Lougo ne Ek Dusre ko Rukhsat(Rawana) kiya Aur Mujhe bhi Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Rukhsat kiya, Mai Apne Khacchar par HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Apni Goud me le kar Sawaar hui, Meira Khacchar Khub Furtila wa Chalak ho gaya Aur Apni Gardan Uper Taan kar Chalne laga, Jab Hum Kaba ke Samne Pahonche to 3 Sajde kiye Aur Apne Sarr ko Aasmaan ki Jaanib Uthaya Aur Chilaya, Fir Qabile ke Janwaro ke Aage Aage Doud ne laga, Loug Uski Teiz Raftaar par Ta’ajub Karne lage, Aurato ne Mujhse kaha Ay Halima Kya ye Wahi Jaanwar he Jis par Sawar ho kar Humaare Sath Aayi thi..? Jo Tumhaare Bouj ko Utha Nahi Sakta tha Aur Sidha Hil Tak Nahi Sakta tha..? Maine Jawaab diya KHUDA ki Qasam ye Wahi Jaanwar he Aur ye Wahi Khacchar he..

Halima Sadiya Farmaati he ki Maine Apne Khacchar ko Kehte Soona ki Haa KHUDA ki Qasam Meiri Badi Shan he, Mai Murda Tha Mujhe Zindagi Ataa Farmaayi, Mai Laagar(Patla/Dubla) Kamzor tha Mujhe Quwwat wa Tawaanai(Zour) Bakhshi, Ay Bani Saad ki Aurato Tum par Ta’ajub he Aur Tum Gaflat me ho Aur Tum Nahi Janti ki Meiri Pusht(Pith) par Kon he, Meiri Pusht par SAIYYADUL MURSALIN Aur HABIBE RABBUL AALAMIN ﷺ he,

Halima Sadiya Farmaati he ki Raste me Dayi-Bayi(Right-Left) me Soonti ki Ay Halima.. Tum To Nigar(Buland) ho Gayi Aur Bani Saad ki Aurato me Tum Buzurg Tareen ho gayi, Aur Bakariyo ke Jis Jhund par Mai Gujarti Bakariya Saamne Aa kar Kehti Ay Halima Tum Janti ho ki Tumhara Doodh Pine wala kon he…? Ye MUHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam Aasman wa Zameen ke RABB ke Rasool Aur Tamaam Bani Aadam se Afzal he, Hum Jis Manzil par Qeyaam(Rukte) karte HAQQ TA’ALA Us Manzil ko Sarsabz wa Shadab(Hara-Bhara) Farma deita Bawajood Iske Woh Qahatsali(Sukha) ka Zamana tha.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-36-37)
(Al Mawaahibul Laduniya, Jild-1, Safa-95)

>➤ Banu Saad Qabile par Kheiro Barkat Naazil hona :-
✥══════════════════════════════════════✥
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he Jab Hum Bani Saad ki Basti me Pahonch gaye to Koi Khitta(Ilaqa) Is se Zyada Khushk(Sukha) Aur Weeraan Nahi tha, Meiri Bakariya Charaagaah(Jaanvar ke Ghans Charne ki Jagah) me Jati to Sham ko Khub Bharpeit, Tarotaza Aur Doodh se Bhari hui Lout-ti, To Hum Unka Doodh Dohte Aur Hum Sab Khub Seir ho kar (Peit Bhar kar) Pite Aur Dusro ko Pilaate, Humaari Qoum ke Loug Apne Charvaaho se Kehte ki Tum Apni Bakariyo ko Un Charaagaaho me Kyu Nahi Charaate Jis Charaagaah me Halima Sadiya ki Bakariya Charti he, Halanki Woh Itna Nahi Jante ki Humaare Ghar me ye Kheiro Barkat Kaha se Aayi he, Iske Baad Humaari Qoum ke Charvaaho ne Humaare Charvaaho ke Sath Bakariya Charani Shuru kardi, Yaha Tak ki HAQQ TA’ALA ne Unke Amvaal(Doulat) Aur Unki Bakariyo me Bhi Kheiro Barkat Peida Kardi Aur HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wajah se Tamaam Qabile me Kheiro Barkat Feil Gayi, Mai Janti hu ki ye Sab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Wajood ki Barkat se he.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-37)

>> Beemaaro ka Daste Aqdas se Shifa Pana :-
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Humaare Ghar Jalwa Afroz huwe to Banu Saad ke Har Ghar se Mushke Azfar(Bahot Zyada Kastoori) ki Khushbu Aati thi, Aap ﷺ ki Muhabbat Aur Aqeedat Lougo ke Dilo me Bas gayi, Agar Kisi ke Jism me Koi Marz(Beemaari) lag jata To Woh HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Daste Aqdas(Haath Mubaarak) Pakad kar Us Jagah Lagata to Woh Fouran RABB TA’ALA ke Hukm se Shifayab ho Jata, Agar Kisi ki Bakri Ya Unt Beemar ho jata Use bhi HUZOOR ﷺ ka Daste Aqdas Lagaane se Sehat Naseeb ho jati.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-68)

Subhan Allah..

>➤ Hazrate Halima Sadiya ki Purkaif Lori:-
✥══════════════════════════════✥
Hazrat Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Jin Ashaar ke Sath HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Behlaati thi, (Laad Pyaar Karti) Unme ye Ashaar bhi he
يا رب اذا اعطيته فابقه
واعله الى العلا وارقه
وادحض اباطيل العدا بحقه
‘Ay Meire RABB.. Tu ne Hume Ye Baccha diya he Tu Ise Baqi Rakhna Aur Inko Buland Maqaam Tak Pahonchana, Inke ke Baare me Dushman Jo Baatil Khyaal Kare Use Door karde’
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-96)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-127)

>> HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Razaai Bahan Hazrate Shayma Aap ﷺ ki Parwarish karti Aur Behlaati Aur Yu Kehti
هٰذَا أَخٌ لِيْ لَمْ تَلِدْهُ أُمِّيْ وَلَيْسَ مِنْ نَّسْلِ أَبِيْ وَعَمِّيْ
فَدَیْتُہ مِنْ مُخْوِل مُعِمّ فَاَنْمِهِ اللّٰهُمَّ فِيْمَا تُنْمِيْ
‘Ye Meire Bhai he (Lekin) Inko Meiri Maa ne Nahi Jana Aur Na hi Ye Meire Baap Aur Chacha ki Nasl se he, Mai Is par Achhe Nanhiyaal(Nana ka Gharna) Aur Achhe Dadhiyal(Dada ke Khandan) ko Fida karu, YA ALLAH Jinko Tu Badhata he Unme Inko Bhi Badha’.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-96)

>➤ HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ Ka Sabse Pehla Kalaam :-
✥═════════════════════════════════════════✥
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Jab HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Umre Mubaarak Baat karne ki Aayi To Mai HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko ye Farmaate Soonti
اَللّٰهُ اَكۡبَر ُ كَبِيۡراً اَلۡحَمۡدُلِلّٰهِ كَثِيۡراً وَسُبۡحَانَ اللّٰهِ بُكۡرَةً وَّاَصِيۡلاً
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-119)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-37)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-97)

Dusri Riwaayat ke Muta’abiq HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ke Yaha Ek Raat yu Hamd ki
لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہ قَدُّوۡسًا نَامَتِ الۡعُیُوۡنُ وَالرَّحۡمَانُ لَا تَاۡخُذُہ ٗ سِنَةٌ وَلَا نَوۡمٌ
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam kisi bhi Chiz ko بِسْمِ ٱللَّٰهِ‎ Padhe Bageir Mas(Chhute) Na Farmaate the.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-68)

>> Farishte Jhulaa Jhulaate :-
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Jhule ko Farishte Hilaate the.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-37)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-116)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-97)

Subhan Allah..

>➤ HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ ka Chaand ko Ishare se Jhukana Aur Baate karna :-
✥═════════════════════════════════════════════════════════✥
Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Unhone Arz kiya YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Mujhe to Aap ki Nabuwwat ki Nishaniyo ne Aap ke Deen(Islam) me Daakhil hone ki Dawat di thi, Maine deikha ki Aap Gahwaare(Jhule) me Chaand se Baate karte Aur Apni Ungli Mubaarak se Uski Taraf Ishara karte Aur Jis Taraf Ishara Farmaate Chand Jhuk jata tha,
HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaya Mai Chaand se Baate karta tha Aur Chaand Mujhse Baate karta tha Aur Woh Mujhe Rone se Behlata tha Aur Uske Arse ILAAHI ke Niche Sajda Karte Waqt Mai Uski Tasbeeh karne ki Aawaz ko Soona karta tha.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-116).
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-97)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-37)

Subhan Allah…

Humaare AAQA WA MOULA HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Mo’ajiza ka Kya Kehna…
Woh Chaand Jo Is Zameen se Kayi Hazzaro Kilometre Door he Woh Chaand Jiski Andar Kayi Bastiya Aur Kayi Samandar Samaa Jaye.. Itne Bade Chaand ko Sirf Ungli Mubaarak ke Ishare se Jhukana Ye Humaare Pyare AAQA Sallallaho Alayhe Wasallam ka Azeem Mo’ajiza he..

Sayyadi Aala Hazrat Alayhir Rahmah Kya Khub Farmaate he
“Chaand Jhuk Jata Jidhar Ungli Uthaate Mehad me,”
“Kya hi Chalta tha Isharo par Khilona Noor ka..”
(Sallallaho Alayhe Wasallam)
(Hadaaiqe Bakhshish)



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Huzoor #Nabi #Doodhpinekazamana #Halima #Haleema #HaleemaSadiya #BanuSaad #SabsePehlakalam #Chandkaisharesejhukna #Chandjhukjatajidhar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial