Aasmani Kitabo se Basharate

basharat

>➤ Toureit Aur Injeel se Bashaarat :-
✥═══════════════════════ ✥
HAQQ TA’ALA ne Toureit me Hazrat Musaa Alayhis Salaam se “Safare Faamas” me ye Khitaab Farmaya ki
Tumhara RABB Bani Israail ke liye Tumhaare Biraadaro me se NABI Paida Karke Mab’us(Muqarrar) Farmayega Aur Uske Moonh me Apna Kalaam Rakhega Fir Woh Unke liye Wahi Farmaayega Jinka Mai Hukm dunga Aur Jo Koi Unke Irshaad ki Ita’at Wa Ta’ameel Na Karega Mai Use Saza Dunga,
HUZOOR SAIYYADE AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Nabuwwat par Toureit ka ye Kalaam Waazeh Daleel he,

Injeel me HUZOOR E ANWAR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Basharate hone ke Silseele me Ibne Tufail ne Bayaan kiya he ki Yuhna Jo Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Hawaari(Sathi) tha Woh Apni Injeel me Hazrat Maseeh ke Hawale se Batata he ki Unhone(Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne) Farmaya
Mai Apne Baap se Darkhwast karta hu ki Woh Tumhe Dusra “Faar Qaleet”(Tasalli Deine Wala / HUZOOR ﷺ ka Woh Naame Mubaarak Jo Toureit, Zabur Aur Injeel me Zikr kiya gaya he) Inaayat Farmaaye Jo Tumhaare Sath Ta Abad (Hameisha) Saabit Wa Qaayam rahe, Woh Rooh Haqq he Aur Woh Tumhe Har Chiz Sikhaayega Aur Farmaya Beita Jane wala he(Yaani Khud Jane wale he), Kyuki Ab Iske Baad ‘Faar Qaleet’ Aane wala he Jo Tumhare Bheido(भैदो)(Chhupi hui Baat) ko Zinda karke Har Chiz ko Badal deiga Aur Woh Meiri Gawaahi deiga Jeisa ki Mai Unki Gawaahi de raha hu, Mai Tumhaare liye Imsaal(Humsar) laya hu Aur Woh Iski Taveel wa Tashreeh(Wazaahat) layega(Is Taavel se Muraad Quraane Azeem he) Aur Dusra ‘Faar Qaleet’ Aysa hoga Jise Saare Jaha me Koi bhi Todne ki Taaqat Na rakhega, Agar Tum Meiri Da’wat Maante ho Aur Mujh se Mohabbat rakhte ho to Meiri Is Wasiyat ko Yaad rakhna Mai KHUDA se Darkhwaast karta hu Ki Woh Tumhe ‘Faar Qaleet’ Inaayat Farmayega Jo Aakhir Zamana tak Tumhaare Sath rahe,

Is Ibaarat me Is Baat ki Wazaahat Wa Saraahat(Bayaan) he ki HAQQ TA’ALA Unki Taraf kisi Aysi Chiz ko Bheijega Jo HAQQ TA’ALA ki Risaalat wa Tablig me Aur Khalq ki Siyaasat Uske Maqaam me Qaayam Farmayega Aur Uski Shariyat Baaqi Aur Jab tak Zamana Qayam he rahegi, Ye Baat Azhar-Minas-Shams(Suraj se bhi Zyada Waazeh Aur Roushan) he ki Uske Baad HUZOOR SAIYYADE AALAM Sallalaho Alayhe Wasallam ke Siwa Koi Nahi Aaya, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam hi Naweide Isaa(Isaa Alayhis Salaam ki Bashaarat) he,

‘Faar Qaleet’ ke Ma’ani Haamid Yani Hamd Karne wale ke he Aur Baaz kehte he ki ‘Faar Qaleet’ ka Ma’ani Mukhlis(Wafaadaar) he,
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-227-229)

Injeel ke Ek Aur Tarjuma me he ki Hazrat Maseeh Alayhis Salaam ne Farmaya ki
‘Faar Qaleet’ nahi Aayega Jab tak Mai Na Jaunga Aur Jab ‘Faar Qaleet’ Aayega to Jaha ko Galti wa Khata par Sarzanish(Nashihat) karega Aur Woh Apne Paas se Koi Baat Nahi Farmayega Wahi Farmayega Jo KHUDA se Soonega Aur Haqq wa Sadaaqat ke Sath Lougo ki Siyaasat Farmayega Aur Hawaadish ki Unko Khabar Deiga,

Ek Aur Riwaayat me he ki Woh Apni Taraf se Kuchh Na Kahega Balki Wahi Baat karega Jo Kuchh KHUDA se Soonega Kyuki HAQQ TA’ALA ne Use Bheija he,

Ye Tamaam Sifaat HUZOOR E AKRAM Sallalaho Alayhe Wasallam ke he,

Injeel me HAQQ TA’ALA ne Hazat Isaa Alayhis Salaam ko Wahi Farmaayi ki Saiyyade Aalam Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tasdeeq karo Aur Un par Imaan laao Aur Apni Ummat se Farma do ki Har Woh Shaksh Jo Aap ka Zamaana Paye Woh Aap par Imaan Laye, Ay Farzande Batool Tum Jaan lo ki Agar MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam Na hote to Mai Aadam, Jannat, Dozakh, kisi ko bhi Paida Na Farmata Aur Jab Maine Arsh ko Aalam e Wajood me laya Toh Woh Kaanpta tha Use Qaraar na tha Fir Maine Arsh par likha
” لَا إِلٰهَ إِلَّا ٱلله مُحَمَّدٌ رَسُولُ ٱلله”
To Woh Saakin(Thehar) ho gaya,

Mawaahibul Laduniya me Imam Beihiqi se Ba-Riwaayat Saiyyadn Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anhoma Manqul he ki Jab Jaarud Nasraani HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Hazir huwa Aur Islam Qabool kiya To Usne kaha ki Us KHUDA Ki Qasam Jis ne Aapko Haqq ke Sath Bheija Bila Shuba Maine Injeel me Aapka Wasf(Khubi) padha he Aur Farzande Batool ne Aap ki Basaarat di he.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-229-231)

>➤ Zaboor se Bashaarat :-
✥═════════════════ ✥
Zaboor ke 44we Baab me HAQQ TA’ALA NABI E AAKHIRUZ ZAMA Sallallaho Alayhe Wasallam ko Khitaab karte hue Farmata he
Aap ke Dono Honto se Duniya wa Aakhirat ki Ne’amate Faaiz he,
Iske liye HAQQ TA’ALA ne Aapko Abd(Hameisha) tak Barkat di,
Ay Buzurg Apni Shamshir ko Gardan me Hamaail karo, Shikast Bando ke Kaam Sanwaaro,
Bila Shuba Aapki Shariyat wa Hikmat Aur Aap ki Sunnat Aapke Daahne Hath ki Buzurgi ke Sath Paiwast(Mili hui) he,
Aur Aap ke Teer Teiz kiye hue he,
Saari Ummate Aapke Tehat Sarango Aur Khamida(Adab se Jhuke hue) he,

Is Farmaan se Muraad Saiyyade Aalam Sallallaho Alayhe Wasallam he Aur Woh Ne’amat Jo Aapke Dono Lab Hayi Shiri(Mithe Kalaam) se Rawa he Woh Kalaam he Jo Aap Farmaate he Aur Woh Kitaab Quraane Majeed he Jo Aap par Naazil ki gayi he Aur Sunnat se Woh Amal Muraad he Jise Aap ne kiya he Aur Gardan me Apni Talwar ka Hamaail karna, Ye Qoul Dalaalat karta he ki Woh NABI E Aakhiruz Zama Arabi he, Kyuki Arab ke Siwa Kisi Ummat me Talwaar Gardan me Hamaail Nahi ki Jati, Gardan me Talwaar Hamaail karna Ahle Arab se Makhsus he Aur ye ki Aap ki Shariyat Aur Aapki Sunnat Aapke Daahne(Right) Hath ki Buzurgi ke Sath Paiwast(Judi) he, Ye Nasse Shareeh(Wazeh) he ki Aap Saahibe Shariyat wa Sunnat he, To Woh Nabi Apni Talwaar ke Sath Mab’is hota he Aur Lougo ko Talwaar se Durust karke Haqq par Mustahkam(Qaayam) karta he Aur Unko Talwaar ke Zour se Kufr se Nikaalta he. (Sallallaho Alayhe Wasallam).
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-231-232)

Zaboor me he ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne Baargaah e ILAAHI me Tazarru wa Zaari(Gidgidane) ke Sath Munaajaat(Ilteja) ki Ay RABB Sunnat ke Zaahir karne Wale ko Bheij Taki Loug Jaan le ki Maseeh Bashar he,

Ye Khabare Hazrat Maseeh(Isaa Alayhis Salaam) Aur HUZOOR SAIYYADNA MOHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ke Duniya me Tashreef lane se Pehle Unke Haal ke Izhar me he, Matlab ye he ki Ay KHUDA MOHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ko Bheij Taki Lougo ko Ma’alum karaaye Aur Woh Padhe ki Hazrat Maseeh Bashar he, Yani KHUDA Nahi, Goya Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Ma’alum ho gaya ki Loug Hazrat Maseeh ke Baare me Daawa e Uluhiyyat(Khudaai ka Daawa) karenge,

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Zikr wa Bayaan ke Silsile me Mazkur(Zikr) he
ALLAH TA’ALA ne Us NABI E AAKHIRUZ ZAMA ko Raasti(Sacchai) wa Durusti(Islaah) Aur Kirdaar wa Guftaar(Guftagu) me Barguzida Farmaya Aur Unhe Aur Unki Ummat ko Buzurgi wa Karaamat Ataa Farmaayi he Aur ALLAH TA’ALA ne Unki Ummat ko Aysi Karaamat Marhamat(Inaayat) Farmaayi he ki Woh Khwaabgaaho me KHUDA Ki Tasbeeh karte he Aur Buland Aawaazo se Takbeer kehte he, Unke Hatho me Teiz Talwaar he Taki Woh KHUDA ki Taraf se Un Lougo se Badla le jo KHUDA ki Ibaadat Nahi Karte Aur Us Zamaane ke Badshaho ko Muqaiyyad(Qaid) karte Aur Unke Izzat Daro ke gale me Touq dalte he,
Ek Mazmoor he me he ki Woh Maalik hoga Aur Judo Sakha karega Darya se Darya tak Aur Nehro se Zameen ke Aakhri Kinaare Tak Aur Unke Rubaru Apne Zano(Rang) par Ahal Jazaair(Taapu/Dip Wale) Beithenge Unke Sab Dushman Mitti ko Apni Zabaan se Chatenge, Salaatine Zamana(Zamane ke Sultaan) Apne Masaahibo(Sathiyo) ke sath Sajda karte hue Aur Sar ko Zameen par rakhte hue Haazir honge Aur Unki Ummat ki Farmaan Bardaari par Woh Ijz wa Inkesaari(Aa’jizi) karenge, Aur Gardan Jhukane se Unhe Naja’at deiga Woh Nabi Gumzada Aur Setam Raseeda(Zulm ka Nishana Bane) Lougo ko Us Shaksh se Jo Us se Bahot Zyada Qawi(Taaqatwar) hoga Rehaai Ataa Farmayega Aur Har Kamzor Wa Natowa(Kamzor) ko Jiska koi Madadgaar Na ho Woh Madad Farmaayega Aur Zu’afa wa Masaakin par Maherbani karega Aur Unpar Har Waqt Durood Bheija jata rahega Aur Unke liye Har Waqt Duaae ki Jati rahegi Aur Abde Aalabaad tak Hameisha Hameisha Unke Zikr ka Charcha Rahega.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-232-233)

>➤ Sahaaife Ambiya Alayhis Salaam me Zikre Jameel :-
✥═════════════════════════════════════ ✥
Jis Tarah Toureit, Injeel Aur Zaboor me Saiyyade Aalam Sallallaho Alayhe Wasallam ke Awsaaf(Khubiya) Mazkur he Isi Tarah Har Nabi ke Sahifo(Chhoti Kitaab/Risala) me bhi Aap ke Awsaaf Mazkur wa Mastoor he, yaha tak ki Abul Ambiya Hazrat Aadam Alayhis Salaam ke Sahife me bhi Naql kiye gaye,

Chunanche HAQQ TA’ALA ne Unki Taraf Wahi Farmaayi ki
Mai Makka ka Khudawand(Maalik) hu Iske Rehne wale Meire Hamshaya he Aur Khana e Ka’aba ki Ziyaarat karne wale Aur Waha tak Pahonchne wale Meire Mehmaan he Aur Woh Meiri Inaayat wa Himaayat ki Panaah Aur Shaya me he Aur Meiri Hifaazat Wa Re’aayat(Nigraani) me he Aur Zameen wa Aasmaan Walo se Use Ma’amur(Bhar) karunga Aur Jouq Dar Jouq Jama’ate Aayengi Aur jo bhi Is Khana e Ka’aba ki Ziyaarat ko Aayega Uska Maqshud Beitullah ki Ziyaarat Aur Meiri Khushnudi(Razamandi) wa Raza ke Siwa Kuchh Na hoga Kyuki Mai hi Shahibe Khana hunga Ya ki Aysa hoga ki Usne Meiri hi Ziyaarat ki Woh Meira Maherbaan hoga, Aur Meire Karam ke Laayaq wa Mustahiq hone ka Matlab ye he ki Mai Uski Takrim karunga Aur Mahrum na Chhodunga Aur Us Khana e Ka’aba ka Intezaam Teire Farzando me se Us Nabi ke Sipurd(Hawaale) karunga Jise Ibhraahim kahenge, Uske Zariye Khana e Ka’aba ki Buniyaado ko Uncha karwaunga Aur Uske Hath se Ise Ta’amir Karwaunga Aur Uske liye Zamzam ka Chasma Nikaalunga Aur Uske Hal wa Haram ko Uski Meeras(Jaagir) me Dunga Aur Uske Mashaair ko Uske Hath se Aaashkar(Zahir) karunga (Mashaair se Muraad Mash’arul Haraam(Muzdalfa) Aur Nishanaat he), Fir Hazrat Ibhrahim ke Baad Har Zamane me Loug Use Aaabad rakhenge Aur Uski Taraf Qasd wa Irada rakhenge Yaha tak ki Nabuwwat Ba Nabuwwat Teire Farzando me se Us Nabi tak Pahonchegi Jise MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) kahenge Woh Silsila e Nabuwwat Ko Khatm karne wale honge Aur Us Nabi ko Mai Uske Ghar ke Rehne walo, Moazzamo, Mutawalliyo(Trustee) Aur Haajiyo me Buzurg tar Banaaunga, Jo bhi Meira Mutlaashi(Talaash Karnewala) Aur Meira Chahne wala ho Use Lazim he ki Woh Us Jama’at ke sath ho Jin ke Baal Bikhre hue Gard Aalud(Jis par Dhul Padhi) he, Jo KHUDA ki Baargaah me Apni Mannato Aur Nazro ko Pura karte he.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-233-234)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Sahife me Basharat :-
✥══════════════════════════════════════════ ✥
Hazrat Ibhrahim Khalilullah ke Sahife me he ki Ay Ibhraahim Maine Tumhaari Duaa Tumhaare Farzand Hazrat Ismaail Alayhis Salaam ke Haqq me Qabool Farmaayi he Maine Un par Aur Unki Aulaad par Barkate Jaari Farmaayi Aur Unme se Ek Aysa Farzand Aalame Wajood me Laaunga Jo Moazzam wa Mukkarram(Ta’azim ke Qaabil) hoga Jiska Isme Giraami MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) hoga Woh Meire Barguzida Aur Mab’us-Shuda(Nabuwwat ya Risaalat ke liye Bheije) honge Aur Unki Ummat Behtareen Ummat hogi,

>➤ Kitaab Habqquq me Zikre Jameel :-
✥══════════════════════════ ✥
Hazrat Habqquq Alayhis Salaam Ek Nabi the Jo Hazrat Daaniyal Alayhis Salaam Nabi ke Hum-Zamana(Ek hi Zamaane me) the Unki Kitaab me Mazkur(likha) he
ALLAH TA’ALA ne Barkat Wa Paaki ke Sath Faaraan ke Pahaad par Jalwa Farmaya Aur Zameen ko “AHMAD” ki Mid-hat(Ta’arif) wa Shan Aur Uski Taqrees se Bhar diya Jo ki Zameen Aur Ummato ki Gardano ka Maalik he, Aur ye bhi Aaya he ki Bila-Shuba MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khubiyo se Aasmaan Mujalla(Roushan) huwa Aur Zameen Uski Mid-hat se Labrez ho gayi, Aur ye bhi Aaya he ki Unke Noor se Zameen Roushan hogi Aur Unke Ghode Samandar me Doudenge, Aur Hazrat Habqquq Alayhis Salaam ke Kalaam me ye bhi he Bahot Jald Aapki Kamaan me Shakht Teer Khinche Jaayenge Aur Khub Seiraab hogaye Teer Aap ke Hukm se,

Hazrat Wahab Bin Manba se Manqul he Woh kehte he ki Maine Kutube Qadeema me Padha he ki ALLAH TA’ALA Ba-Qasam Irshaad Farmaata he Mujhe Apni Izzat wa Jalaal ki Qasam he ki Mai Arab ke Pahaado par Apne Noor ko Naazil Farmaaunga Jisse Mashriq wa Magrib ka Darmiyaan Noor se Purnoor ho jayega Aur Aulaade Ismail me se Ek Nabi Arabi Vaami(Musibatzada) Peida karunga Jis par Aasmaan ke Sitaaro ki Ginti Aur Zameen par Jitni Sabj he Un ke Baraabar Loug Imaan layenge Aur Meiri Rabubiyat(Khudaai) Aur Uski Risaalat par Sab Imaan Layenge Aur Apne Baap-Dada ki Milatto se Nafrat Karte hue Niklenge,

Hazrat Musa Alayhis Salaam ne Arz ki Ay KHUDA Paaki he Tujhe Aur Teire Isma’a(Naam) Paak he, Bila Shuba Tune Us Nabi e Aakhiruz Zamaa ko Badi hi Izzat wa Sharaafat se Nawaza he, Farmaane BAARI TA’ALA Aaya Mai Duniya Wa Aakhirat me Uske Dushmano se Inteqaam wa Badla Lunga Aur Tamaam Da’awato par Unki Da’awat Ko Zahir wa Gaalib Karunga Jo Unki Shariyat ki Mukhalifat Karega Mai Use Zaleel wa Khwaar karunga, Woh Shariyat Aysi he Jise Adl se Aarasta kiya he Aur Adl wa Insaaf ke Qayaam ke liye Us Shariyat ko Launga, Qasam he Mujhe Apni Izzat ki Mai Tamaam Ummato ko Unke Waseele se Aatishe-Dozakh(Dozakh ki Aaag) se Najaat dunga Aur Duniya ka Aagaz Maine Aadam se Kiya Aur MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam par Use Khatm Karunga Ab Jo Koi Unka Zamana Paye Aur Un par Imaan Na laye Aur Unki Shariyat ki Peirvi Na kare To Us se KHUDA Beizaar(Nakhush/khafa) he.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-235-237)

>➤ Hazrat Shoaya Alayhis Salaam ke Sahife me Basharat :-
✥══════════════════════════════════════ ✥
Hazrat Shoaya Alayhis Salaam ke Sahifo me HUZOORE ANWAR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Zikr e Mubaarak Is Tarah Mazkur he
HAQQ TA’ALA Farmata he Woh Banda Meira Mahboob he ki Mai Us se Khus hota hu Woh Meira Mukhtaar he ki Woh Mujhse Khush hota he, Mai Us par Apni Rooh ka Izafa karta hu Aur Farmaya Mai Apni Vahi Us par Nazil karta hu To Ummati par Uska Adal Zahir hota he Woh Aysa Banda he Jo Qahqaha(Zour ki Hasi) Nahi Lagata Aur Na Baajaaro me Uski Aawaaz Sooni Jati he, Woh Banda Andhi Aankho ko Binaayi Bakhshta, Behre Kano ko kholta he Aur Murdo ko Zinda karta he, Mai Usko Woh Dunga Jo Maine Kisi ko Nahi diya, Woh Banda Ahmad he ki Woh Apne RABB ki Hamd Baja lata he Koi Use Kamzor Na Kar Sakega Aur Na Use Maglub(Hara Huwa) Bana Sakega, Woh Apni Khwaaish ki Peirvi Nahi Karta Aur Woh Neikokaar, Sulha’a Jo Kalk ki Maanind Kamzor wa Naatova he Unko Woh Zaleel wa Khwaar Nahi Janta, Woh Siddiqo ko Qawi Banata he, Woh To Waazeh Wa Inkesaar Karne walo ka Rukn he Woh KHUDA Ka Noor he Jise Hargiz Koi Na Bujha Sakega Uske Zariye Meiri Hujjat Saabit wa Bar-Qaraar hoti he Aur Uske Zariye Azr Munqate’a hota he Aur Uski Taureit(Ya’ani Tilaawate Quraan) se Jin wa Ins(Jinnaat aur Insaan) Ta’at-Guzaar(Farmabardar) Bante he.

Iske Alawa Aur bhi Zikr In Sahifo me Moujud he…

Khulasa ye he ki HUZOOR SAIYYADE AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sifaat wa Ahwaal Muqaddas Kitabo me Is se kahi Zyada he, Isme Koi Khafa Wa Ishteba(Shak) Nahi he Bajaaye Iske ki Aa’ada e Deen(Islam ke Dushman) Aapke Naame Naami ko Badal de ya Tehrif(Tabdili) kar de, Iske Bawajood Dalaail wa Shwaahir(Saboot) Roushan wa Zaahir he, Jeisha ki ALLAH TA’ALA Quraane Azeem me Farmata he ki
“Ye Chahte he ki ALLAH ke Noor ko Apni Foonko se Bhujha Deinge Aur ALLAH Apne Noor ko Pura hi karta he Khwaah Kaafir Kitna hi Bura Maane”
(Surah Touba, Aayat-32)
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-237-241)

>➤ Yush’a Yahudi ka Qoul :-
✥═══════════════════ ✥
Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllaho Ta’ala Anho Apne Waalid Maalik Bin Sinaan se Jo Shohda e Ohad me se he Riwaayat karte he ki Unhone Farmaya ki Mai Ek Din Bani Abdul Sahal ke Paas Baat-Chit ki Garaz se Aaya Un Dino Humne Yahudiyo se Sulah kar rakhi thi Waha Maine Yush’a Yahudi ko Kehte Soona ki Ab Us Nabi ke Zuhoor ka Zamana Nazdik Aa gaya he Jis ka Naam AHMAD he (Sallallaho Alayhe Wasallam), Woh Harame Makka se Zaahir honge Aur Is Shahar (Madeena Shareef) me Hijrat kar ke Aayenge,
Fir Mai Apni Qoum ki Taraf Lota Maine Yush’a se Jo Soona tha Us par Ta’ajub karta tha Maine Apni Qoum ke Ek Shaksh ko ye Baat Soonai Usne kaha ye Baat Tanha Yush’a hi Nahi keh raha he Balki Yasrab (Madeena Shareef ka Purana Naam Yasrab) ke Tamaam Yahudi yahi Baat keh rahe he Fir Mai waha se Chal diya, Aur Bani Qureza ke yaha Aaya to Woh Sab bhi HUZOORE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka yahi Tazkira kar rahe the,
Chunanche Zubair Bin Bata(Ye Yahudi ke Sardaro me se tha Is) ne kaha Bila-Shuba Woh Shurkh Sitara Tulu’a ho Chuka he Jo Kisi Nabi ke Zahoor ke Bageir Kabhi Tulu’a(Nikalta) Nahi hota Aur kaha ki Ab koi Nabi Aane wala Nahi Bajaay AHMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) ke Aur ye Shahar(Madeena Shareef) Unki Hijrat ka Maqaam he,

Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he ki Jab HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Hijrat karke Madeena e Taiyyaba Rounaq Afroz huwe to Maine HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam se ye Hikaayat Bayaan ki, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Agar Zubair Aur Uske Sath Sardaare Yahudi Islam le Aate to Sare Yahudi Musalmaan ho jate kyuki Woh Sab Iske Tabe(Farmabardar) the.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-242-243)



>➤ Waseela E HUZOOR ﷺ se Fatah ki Duaa :-
✥═════════════════════════════ ✥
Hazrat Qatada RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki Jab Yahudi Kuffare Arab ki Jango me Fatah wa Kaamyabi ki Duaaye Mangte the to Apni Duaao me kehte the ki Ay Khuda Us Nabi Ummi ka Zuhoor Farma Jinka Zikr Hum Toureit(Aasmani Kitaab) me pate he Taki In Kaafiro ko Saza de Aur Unke Sath ho kar Inhe Qatl kare,
Inki ye Ravish(Tour-Tariqa) Is Bina par thi ki Unka Gumaan tha Woh Nabi e Aakhiruzama Bani Israeel me se Zaahir hoga, Aur Jab Bani Ismaeel me Mab-us huwe to Hasad Aur Kufr wa Inkaar ke Darpe(Pichhe) ho gaye (Ya’ani Hasad, Kufr Aur Inkaar Karne lage).
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-243)

>➤ Misr Aur Rumm ke Mazhabi Peishwao se HUZOOR ﷺ ke Awsaaf :-
✥═════════════════════════════════════════════ ✥

Hazrat Mugira Bin Sho’eba RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki Woh Maquqas Baadshah ke Paas gaye Usne Inse kaha MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) Nabi wa Rasool he Agar Woh Misr Ya Rumm me Peida hote to Sab Unki Peirvi karte,

Hazrat Mugira Bin Sho’eba RadiAllaho Ta’ala Anho kehte he ki Uske Baad Meine Iskandariya(Misr ki Mashoor Bandargaah) me Iqaamat(Qayaam) Ikhteyaar ki Aur Koi Kanisa wa Girza(Isaaiyo ka Ibaadat-khana) Aysa Na Chhoda jaha Mai Na gaya hu, Maine Misr wa Rumm ke Tamaam Mazhabi Peishwao se Puchha ki Jo Kuchh Tumne Apni Kitaabo me HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Siffate Payi he Bayan karo, Waha Unka Ek Bada Mazhabi Peishwa tha, Loug Uske Paas Apne Bimaaro ko late Aur Woh Unke liye Duaa karta, Maine Us se Puchha ki Ambiya me se Koi Nabi Aysa he jo Aane Wala ho Aur Woh Abhi tak Na Aaya ho..?? Usne kaha Woh Akhri Nabi he Unke Aur Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Darmiyaan koi Nabi Nahi he, Uska Naam AHMAD he, ye Daraaz Qad he Na Kotah Qad, Uski Dono Ankho me Surkhi he, Na Safeid Rang he Na Siyaa(kala) rang, Uske Baal Ghuchhedar he, Woh Shakht wa Khar-dara(Uncha-Nicha) Libaas Pahenta he Aur Khane me jo mil jaye Isi par Qana’at(Thodi si Chiz par Razamandi) karta he, Uske Kandhe par Talvar he Aur Jo Bhi Uske Muqaabil Aaye Us se Woh Khouf Nahi karta, Qataal(Jango) me Woh Pehal Nahi karta, Uske Ash-haab Honge Jo Apne Aapko Us par Fida karenge, Woh Apne Aaba(Baap-Dadao) wa Farzandaan(Aulaado) se Badh kar Unse Mohabbat rakhenge, Unka Zuhur Us Maqaam par hoga jaha Sulam ke Darakht he, Woh Ek Haram se Nikalenge Dusre Haram ki Taraf Hijrat karenge, Woh Zameen Shour se Nakhlstaan ki Taraf Hijrat karega Aur Pindli ke Darmiyaan par Tehband Pehnega Aur Aa’za (Jism ke Hisso) ke Kinaaro ko Dhoyega(Ya’ani Wuzu karega) Aur Usme Aysi Khas Siffate hogi Jo kisi Nabi me Nahi he, Har Nabi Apni Qoum ki Taraf Mab-us huwa he Magar Woh Sare Jaha ke liye Mab-us honge Aur Sari Zameen Uske liye Sazda-gaah Bana di Jayegi Aur Zameen ko Paak karne wala Jaha bhi Namaaz ka Waqt Aaye Wahi Mitti se (Agar Pani Moujud Na ho ya Qudrat Na ho to) Tayammum karke Namaaz Adaa karega,

Fir Jab Hazrat Mugira RadiAllaho Ta’ala Anho Is Safar se Waapas Aaye to Islam le Aaye Aur RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Aur Sahaba ko jo Kuchh Soona tha Uski Khabar di.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-243-244)

>➤ Taaif ke Baadshah Tab’e Humairy ka Qaboole Islam :-
✥═════════════════════════════════════ ✥
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anhuma se Marvi he Woh Bayaan karte he ki Jab Taaif ke Baadshah Tab’e ne Madeena par Chadhayi ki thi Aur Usne Aylaan kiya tha ki Mai Shahare Madeena ko Wiraan kar dunga Aur Uske Rehne Walo ko Apne Us Ladke ke Inteqaam(Badla) me Qatl kar dalunga Jise Unhone Fareib Aur Dhoke se Qatl kiya he, To Us Waqt Shamul Yahudi jo Us Zamane me Yahudiyo ka Sab se Bada Aalim tha, Us ne kaha Ay Baadshah ye Woh Shahar he Jiski Taraf Bani Ismaail se Nabi e Aakhiruzzama(Aakhri Zamane ke Nabi) ki Hijrat hogi Aur Us Nabi ki Jaye-Wilaadat(Peidaish ki Jagah) Makka e Mukarrama he, Uska Isme-Giraami(Naam) AHMAD he, ye Shahar Uska Daare-Hijrat(Hijrat ki Jagah) he Aur Uski Qabre Anwar bhi Is jagah hogi ye Soon kar Tab’e Yu hi Waapas ho gaya,

Mohammad Bin Ishaaq Kitaab Magaazi me Naql karte he ki Tab’e ne Nabi e Aakhiruzzama ke liye Ek Aalishan Mahal Ta’amir karaya, Tab’e ke Humraah Toureit(Aasmani Kitaab) ke 400 Ulma the Jo Uski Shohbat Chhod kar Madeena e Munawwara me Is Aarzu me Thehar gaye ki Woh Nabi e Aakhiruzzama ki Sa’aadat(Khus Naseebi) Haasil karenge, Aur Tab’e ne Un 400 Aalimo me se Har Ek ke liye Ek Ek Makaan Banwaya Aur Ek Ek Baandi Bakhshi Aur Unko Maale Kaseer(Zyada Maal) diya, Tab’e ne Ek Khat likha Jisme Apne Islam lane ki Shahaadat di, Us khat me Chand Sheir ye the..
شهدت علي احمد انه
رسول من الله باري النسم

ولومد عمري الي عمره
لكنت وزير اله و ابن عم
(Mai Gawaahi deita hu ki AHMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam ALLAH ke Rasool he, Woh PARWARDIGAAR Jisne Tamaam Rooho ko Peida kiya he Agar Meiri Umr ne HUZOOR ﷺ ki Tashreef Aawri tak Wafa ki to HUZOOR ﷺ ka Wazeer Saabit hunga Aur Chacha-Zaad bhai ki Tarah Ma’aawan(Himaayat karne wala) wa Madadgaar Banuga,

Fir Tab’e ne Apne Is Khat ko Sar-Bamhar(Mahar laga) kar ke 400 Ulma ke Sabse Bade Aalim ke Sipurd(Hawaale) kar diya Aur Wasiyyat ki ke Agar Woh Nabi e Aakhiruzzama ko Paye to ye Khat Unki Khidmat me Peish kar de Warna Apni Aulaad Dar Aulaad ko Is Wasiyyat ko Pahonchate rehna,

Woh Makaan jo KHAATIMUL AMBIYA Sallallaho Alayhe Wasallam ke liye Banaya gaya tha Woh HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Tashreef lane tak Moujud raha,
Kehte he ki Hazrat Ayyub Ansari RadiAllaho Ta’ala Anho ka Woh Makaan Jisme HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hijrat ke Baad Nuzool e Ijlaal(Shano Showkat se Tashreef) Farmaya tha Wahi Makaan he.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-246, 247)

>➤ 2 Yahudiyo ki Adaawat :-
✥═══════════════════ ✥
Ummul Mo’amineen Hazrate Safiya Binte Huyy Bin Akhtab RadiAllaho Ta’ala Anha se Marvi he Woh Farmati he ki jab HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Tashreef Farma huwe Aur Quba me Qayaam Farmaya to Meire Baap Huyy Bin Akhtab Aur Meire Chacha Abu Yaasar Ibne Akhtab Raat Andheire Sahar ke Waqt HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Paas gaye Fir Woh na lote yaha tak ki Sham hui Aur Raat aa gayi, Jab Woh Ghar Aaye to Maine deikha Woh Intehaai Bujhal(Bhari), Kaslmand(Thaka) Aur Had-Darja Gum wa Andoh(Bahot Dukh-Dard) me the Jiska Mai Andaza Nahi kar Sakti thi Woh Ghar me Aakar Pad gaye, Mai Chunki Unke Nazdik Aulaad me Sabse Zyada Pyari Aur Mahbub thi to Apni Deirina(Purani) Aadat ke Muta’abiq Unke Saamne Aagayi Magar Woh Gum wa Andoh ke Bojh tale Itne Shikast(Haar) Aur Mahzun(Gumgin) the ki Unhe Itni Fursat wa Taaqat na hui ki Woh Meiri Taraf Iktefaat(Tawajjo) kar Sakte,
Isi Haalat ke Douraan Meire Chacha ne Meire Baap se Puchha ki Ye Wahi he..?? Kya ye Shaksh Wahi Nabi e Aakhiruzzama he Jinki Toushif(Ta’arif/Khubi) Humne Toureit(Aasmani Kitaab) me Padhte he, To Meire Baap ne Meire Chacha se kaha Ha ye Wahi he, KHUDA ki Qasam ye Wahi he,
Chacha ne fir Puchha kya Tum Yaqeen se Jante ho ki Wahi he..? Meire Baap ne kaha KHUDA ki Qasam Yaqeen se Janta hu ki ye Wahi he,
Usne kaha Apne Dil me Unki Nisbat(Lagaav/Ta’aluq) kya Pate ho.. Mohabbat ya Adaawat..? Usne kaha Adaawat(Dushmani), Wallah Jab tak Mai Zinda hu Uski Adaawat me Baraabar Kusha(Koshish karta) rahunga,
Chunanche ye Dono Yahudi HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Adaawat me Hameisha Bad-Naseeb Aur Taklif me Giraftaar ho gaye.
(الْعَياذُ بالله تعالیٰ)
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Safa-250)

Khulasa ye he ki Pichhli Ummato ki Muqaddas Kitaabo me HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ta’arife, Khubiya Aur Basharate Moujud he.. Jisme se Kuchh Basharate Humne Peish ki… Iske Alawa Aur bhi Basharate he jo Bayaan se Baahar he,

In Basharato ka Zikr karna Un Kaafiro ke liye Ibrat he Jo Har Waqt Deene Islam par Tarah Tarah ke Iljaam Tarasha karte he.. Aur In sha Allah In Basharato se Musalmaano me Zyada Itmenaan, Nooraniyat aur Yaqeen Peida hoga..
Hum Apne Muqaddar par Jitna Naaz kare Utna Kam he.. Woh Bad-Naseeb Yahudi Jo jante the ki Muqaddas Kitaabo me HUZOOR ﷺ ka Zikr he Fir bhi Imaan na laaye, Hum Bina kisi daleel ke Imaan laaye Yahi Humaare liye kaafi he..

“Kare Naaz kyu na Abrar, Unke Ummati hone par”
“Basharat jo di he, Nabiyo ne Unke Aane ki..”
(Sallallaho Alayhe Wasallam)



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Toret #Injeel #Zabur #Sahaif # Yahudiwasileseduakarte #Taifkabadshah #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Aasmanikitab #Huzoor #Nabi Seeratun_Nabi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial