Bad-Shuguni

➤ Shagun ki Qisme :-

Shagun ka Ma’ani he Faal Leina Ya’ani Kisi Chiz, Shaksh, Amal, Aawaaz ya Waqt ko Apne Haqq me Achha ya Bura Samajhna, Iski Buniyaadi Tour par Do Qisme he..
1) Bura Shagun Leina,
2) Achha Shagun leina,

Allama Mohammad Bin Ahmad Ansaari Qurtubi Rahmatullahe Alay Tafseere Qurtubi me Naqal karte he ki
Achha Shagun yeh he ki Jis Kaam ka Irada kiya ho Uske Baare me Koi Kalaam(Baat) Soon kar Daleel Pakadna, Yeh Us Waqt hei Jab Kalaam Acchha ho, Agar Bura ho to Bad-Shuguni he, 
Shariyat ne Is Baat ka Hukm diya he ki Insaan Achha Shugun le kar Khush ho Aur Apna Kaam Khushi Khushi Paaya E Takmil(Poora Hone) Tak Pahonchaye Aur Jab Bura Kalaam Soone to Iski Taraf Tawajjo(Khyaal/Gour) Na kare Aur Na hi Iske Sabab Apne Kaam se Ruke.
(Tafseere Qurtubi, Jild-8, Hissa-16, Safa-132)

➤ Acche Wa Bure Shugun ki Mishaale :-

Achhe Shugun ki Misaal yeh he ki Hum Kisi Kaam ko Ja rahe ho Kisi ne Pookara Ya Raseed(Ya’ani Ay Hidaayat Yaafta), Ya Saeed(Ya’ani Sa’adat Mand), Ay Neik Bakht, Humne khyaal kiya ki Achha Naam Soona he In sha Allah Qaamyaabi hogi ya Kisi Buzurg ki Ziyaarat ho gayi Ise Apne Haqq me Achha Samjha ki Ab In sha Allah Mujhe Apne Maqshad me Qaamyaabi Milegi…
Jab ki Bad-Shuguni ki Misaal yeh he ki Ek Shaksh Safar ke Iraade se Ghar se Nikla Lekin Raaste me Kaali Billi Raasta Kaat kar Guzar gayi, Ab Us Shaksh ne ye Yaqeen kar liya ki Iski Nuhusat(Bure Asar) ki Wajah se Mujhe Safar me Zarur koi Nuksaan Uthana Padega Aur Safar karne se Rook gaya to Samajh lijiye ki Woh Shaksh Bad-Shuguni me Mubtila ho gaya he.
(Bad-Shuguni, Safa-10, 11)

➤ Bad-Shuguni ki Mukhtilaf Shakle :-

Bad-Shuguni leina Aalami Beemaari he, Mukhtilaf (Alag Alag) Mumaalik (Mulko) me rehne wale Mukhtilaf Loug Mukhtilaf Chizo se Aysi Aysi Bad-Shuguni Leite he Ki Insaan Soon kar Heiraan reh jata he, Chunanche Kuchh Bad-Shuguni Mulaaheza kijiye…

»» Kabhi Andhe, Langde, Ek Aankh Waale Aur Ma’zur(Apaahij/Majbur) Lougo se to Kabhi Kisi Khaas Parinde ya Jaanwar ko Deikh kar ya Uski Aawaaz Ko Soon kar Bad-Shuguni ka Shikaar ho jaate he,
»» Kabhi Kisi Waqt Ya Din ya Mahine se Bad-Fa’ali leite he,
»» koi Kaam karne ka Irada kiya Aur Kisi ne Tariqe-Kaar(Kaam Karne ka Tariqe) me Nuqsh ki Nishandehi kardi Ya Us Kaam se Rook Jaane ko Kaha to Is se Bad-Shuguni leite he ki Ab Tum ne Taang Adaa di he to Yeh Kaam Nahi ho Sakega,
»» Eid Jumma ke Din ho jaaye to Ise Hukumate Waqt par Bhaari Samajhte he,
»» Kabhi Billi(Cat) ke Rone ko Manhus Samajhte he to Kabhi Raat ke Waqt Kutte(Dog) ke Rone ko,
»» Pehla Grahak(Customer) Souda liye Bageir Chala jaye to Dukaandaar Is se Bad-Shuguni leita he,
»» Nayi Naveli Dulhan ke Ghar Aane par Khandaan ka Koi Shaksh Fout(Wisaal) ho jaaye ya Kisi Aurat ki Sirf Beitiya hi Peida ho to Us par Manhus hone ka Lebal lag hata he,
»» Haamela Aurat ko Maiyyat ke Qareeb Nahi Aane deite ki Bacche Par Bura Asar Padhega,
»» Jawani me Beiwa ho jane wali Aurat ko Manhus Jante he,
»» Ye bhi Samajhte he ki Khaali Qenchi Chalane se Ghar Me Ladaai hoti he,
»» kisi ka Kandha Istemaal karne se Dono me Jhagda hota he,
»» Khaali Bartano ya Chammach Aapas me Takraane se Ghar me Ladaai Jhagda ho jata he,
»» Jab Baadalo me Bijli Kadak rahi ho Aur Sabse Bada Baccha Baahar Nikle to Bijli Is par Gir Jayegi,
»» Bacche ke Daant Ulte Nikle to Nanhiyaal (Ya’ani Maamu Wageira) par Bhari hote he,
»» Doodh Peete Bacche ke Baalo me Kanghi ki Jaaye to Uske Daant Teidhe Nikalte he,
»» Chhota Baccha kisi ki Taang ke Niche se Guzar Jaaye to Uska Qad Chhota rah jata he,
»» Baccha Soya huwa ho Uske Uper se Koi Falaang kar Guzar jaaye to Bacche ka Qad Chhota rah jata he,
»» Magrib ke Baad Darwaaje(Deli) me Nahi Beithna Chaahiye Kyuki Balaaye Guzar rahi hoti he,
»» Kabhi Ambulance ki Aawaz se to Kabhi Fire Brigade ki Aawaaz se Bad-Shuguni me Mubtala hote he,
»» kabhi Akhbaarat me Shaa’ye (Chhape) hone wale Sitaaro ke Kheil se Apni Jindagi ko Gamgin Wa Ranjida(Udaas) kar leite he,
»» Kabhi Mehmaan ki Rukhsati (Rawaangi/Jane) ke Baad Ghar me Jhaadu deine ko Manhus Khyaal karte he,
»» Kabhi Jutaa Utaarte Waqt Jute Par Juta Aane se Bad-Shuguni leite he,
»» Kisi ka Kata Huwa Naakhun Paau(Peir) ke Niche Aa jaaye to Aapas me Dushmani ho jane ki Bad-Shuguni leite he,
»» Raat ko Aaina deikhne se Chehre par Jhuriya Padhti he,
»» Surya-Grahan ke Waqt Haamela Aurat Chhuri se Koi Chiz na kaate ki Baccha Peida hoga to Uska Haath Paau Kata ya Chira huwa hoga,
»» Nou-Moulud (Ya’ani Bahot Chhote Bacche) ke Kapde Dho kar Nichode Nahi Jate ki Is se Bacche ke Jism me Dard hoga,
»» Kabhi Numbero se Bad-Fa’ali leite he (Bil Khusus Yuropi Mulko ke rehne Wale), Isi liye Inki Badi Badi Imaarato me 13 Number Waali Manzil Nahi hoti(Yani 12vi Manzil ke Baad Waali Manzil ko 14vi Manzil Qaraar deite he), Isi Tarah Inke Aspataalo me 13 Number waale Bister ya Kamra bhi Nahi Paya jata kyuki Woh Is Number ko Manhus Samajhte he,
»» Raat ke Waqt Kanghi, Choti karne ya Nakhun Kaatne se Nuhusat(Bure Asar) Aati he,
»» Ghar ki Chhat Ya Diwaar par Ullu(Owl) beithne se Nuhusat Aati he(Jabki Magribi Mulko me Ullu ko Ba-Barkat Samjha jata he),
»» Magrib ki Azaan ke Waqt Tamaam Lighte Roushan kar deini Chaahiye Warna Balaaye Utarti he.

Mazkura E Bala(Uper Zikr ki Gayi) Bad-Shuguni ke Ilawa bhi Mukhtilaf Mu’aashre, Qoumo, Baraadariyo me Mukhtilaf Bad-Shuguni Paai Jaati he..
(Bad-Shuguni, Safa-15, 16, 17)

Isme se Kayi Bad-Shuguni Aysi he Jisme Hum Loug Mubtala he….
Hume Aysi Bad-Shuguni se Bachna Chaahiye…

➤ Bad-Shuguni leina Geir Muslimo ka Tariqa he :-

Kisi Shaksh ya Chiz ko Manhus Qaraar deina Musalmaano ka Sheiva(Tour-Tariqa) Nahi Yeh to Geir Muslimo ka Poorana Tariqa he, Is Qism ke 3 Waaqiyaat Mulaaheza ho..

1) Fironiyo ka Hazrate Musaa Alayhis Salaam se Bad-Shuguni leina :-
Quraane Majeed me he ki
“To Jab Unhe Bhalaai Milti kehte yeh Humaare Liye he Aur Jab Buraai Pahonchti to Musaa Aur Uske Saath Waalo se Bad-Ghumani leite Soon lo Unke Nasibe ki Shaamat to ALLAH ke yaha he Lekin Unme Aksar ko Khabar Nahi”
(Surah Al A’araaf, Aayat-131)

Haakimul Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Is Aayat ke Tehat likhte he
Jab Fironiyo par Koi Musibat(Kehat Saali Wageira) Aati thi to Hazrate Musaa Alayhis Salaam Aur Unke Mo’amineen Saathi se Bad-Shuguni leite the, Kehte the ki Jab Se ye Loug Humaare Mulk me Zaahir hue Tab se Hum par Musibate Aane Lagi,
Aur Aage likhte he Insaan Musibato, Aafato me Fans kar Touba lar leita he Magar Woh Loug Ayse Sarkash(Na-Farmaan) the ki In Sab se Unki Aankhe Na Khuli Balki Unka Kufr Wa Sarkashi Aur Zyada ho gayi Ki Jab Kabhi Hum Unko Aaraam deite he, Arzaani(Sastapan), Chizo ki Farawaani(Zyadati), Wageira to Woh kehte he ki Yeh Aaaram Wa Raahat Humaari Apni Chize he, Hum Iske Mustahiq(Haqdaar) he Niz Yeh Aaaram Humaari Apni Koshisho se he.
(Tafseere Naeemi, Jild-09, Safa-117)

2) Qoume Shamud ne Hazrate Saaleh Alayhis Salaam se Bad-Shuguni li :-

Hazrate Saiyyadna Saaleh Alayhis Salaam ko Qoume Shamud ki Taraf Mab’us(Bheija) kiya gaya ki Unhe Ek RABB TA’ALA ki Ibaadat ki Taraf Bulaaye Jab Aap Alayhis Salaam ne Unhe Iski Da’waat Peish ki to Ek Giroh Aap par Imaan le Aaya Jabki Dusra Giroh Apne Kufr par Qaayam raha Aur Hazrate Saiyyadna Saaleh Alayhis Salaam ko Challenge deine laga ki Ay Saaleh Jis Azaab ka Tum Wa’ada deite ho Usko Laao Agar Rasoolo me se ho, Jawaaban Hazrat Saaleh Alayhis Salaam Unko Samjhaate Tum Aafiyat(Salaamati) ki Jagah Musibat wa Azaab kyu Maangte ho, Azaab Naazil hone se Pehle Kufr se Touba Karke Imaan la kar ALLAH TA’ALA se Bakhshish kyu Nahi Maangte Shayad Tum par Raham ho Aur Duniya me Azaab Na kiya Jaaye Magar Qoum ne Takzib(Inkaar) ki Iske Baais(Sabab) Baarish Rook Gayi, Qahat(Kaal) ho gaya, Loug Bhuke Marne lage, Isko Unhone Hazrate Saiyyadna Saaleh Alayhis Salaam ki Tashreef Aawri ki Taraf Nisbat kiya Aur Aap ki Aamad ko Bad-Shuguni Samjha Aur Bole Humne Bura Shugun liya Tum se Aur Tumhaare Saathiyo se Hazrate Saiyyadna Saaleh Alayhis Salaam ne Farmaaya Tumhaari Bad-Shuguni ALLAH TA’ALA ke Paas he Balki Tum Loug Fitne me Pade ho Ya’ani Aazmaaish me Daale Gaye Ya Apne Din ke Baais(Sabab) Azaab me Mubtala (Giraftaar) ho.
(Tafseere Khazaainul Irfaan, Safa-806)

3) Yahud wa Munaafiqeen ne Aamade MUSTAFA ﷺ se Bad-Shuguni li :-

Quraane Azeem me he ki
“Aur Unhe Koi Bhalaai Pahunche to kahe Yeh ALLAH ki Taraf se he Aur Unhe Koi Buraai Pahonche to Kahe Yeh Huzoor ki Taraf se Aayi Tum Farma do Sab ALLAH ki Taraf se he To Un Lougo ko Kya huwa Koi Baat Samajhte Ma’alum hi Nahi hote”
(Surah Nissa, Aayat-78)

Haakimul Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Is Aayat ke Tehat likhte he Jab HUZOOR SAIYYADE AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam Hijrat Farma kar Madeene Paak me Rounak Afroz hue Aur Yahude Madina ko Da’waate Islaam di to Aksar Yahud ne Sarkashi karte hue HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Mukhaalfat(Dushmani) par Kamar Baandh li Aur Inme se Baaz Loug Takiyya(Apne Kufr ko Chhupate huwe) karke Kalma Padh kar Musalmaano me Ghus Aaye Aur Tarah Tarah se Musalmaano ko Nukshaan Pahonchane lage Jiski Saza me Kabhi Waha Waqt par Baarish Na hoti Kabhi Fal Kam Hote Jeise ki Guzishta(Guzri hui) Ummato ka Haal Hota Raha he to Mardud Yahudi Aur Munaafiqeen bole ki Nauzobillah In Saahab(HUZOOR ﷺ) ke Qadam Aane se Humaare yaha ki Kheiro-Barkat kam ho gayi, Yeh Sab Musibate Inki Aamad se hui, Inki Tardid(Radd/Jawaab) me yeh Aayate Kareema Naazil hui,
Aage likhte he ki Ab bhi Baaz Kuffar Musalmaano ko Manhus kehte he Balki Baaz Jaahil Musalmaan Namaazi Parhezgaar Muttaqi Musalmaan ko Manhus Aur Inke Neik Aamal ko Nohusat(Bura Asar) kehte Soone gaye, Yeh Sab Inhi Shayaatin ka Taraka(Chhodi hui Chiz/Wiraasat) he.
(Tafseere Naeemi, Jild-05, Safa-240)
(Bad-Shuguni, Safa-24-30)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *