Grahan, Aurat, Ghar Aur Ghode se Bad-shuguni leina

➤ Grahan se Jude Huwe Tawahhumaat (Waham) :-

Suraj Aur Chandra-Grahan ke bare me Loug Ifraat(Zyada) Wa Tafrit(Kami) ka Shikaar Nazar aate he, kahi to Suraj-Grahan ka (Khaas Shisho ke zariye) Nazara karne ke liye Partiya Muna’aqid ki jati he Aur Kahi Grahan ke bare me Mukhtelaf(Alag Alag) Tasawwurat(Khyaal) Wa Tawahhumat(Waham) paaye jate he, Masalan(Jeise)..

»»» Grahan Us Waqt lagta he Jab Suraj ko Balaaye Aur Khoufnaak Jaanwar Nigal leite he, Ek Website se li gayi Ma’alumaat ke Muta’abiq Jab bhi Chand ko Grahan Lagta to Qadeem(Poorane) Chin ke Loug Ikaththe mil ke Poori Quwwat se Shour Machaate, Inka Aqeeda tha ki Chand ko EK Bahot Bada Azdah(Ajgar) kha raha he, Humara yeh Shour Chand ko Bachane ki Qaamyab Koshish he, Chand-Grahan Apne Waqt par Khatm ho jata he Lekin ye Loug Apni Qaamyaabi Samajh kar Iska Jashn Manaate Aur Agli Dafa Pehle se Zyada Shour Machaya karte,

»»» Grahan ke Waqt Haamela (Pregnant) Khwaatin(Aurate) ko Kamre ke Andar rehne Aur Sabzi Wageira Na kaatne ki Hidaayat ki jati he Taaki Inke Bacche Kisi Peidaaish Naqs(Kami/Khaami) ke Bageir Peida ho,

»»» Grahan ke Waqt Haamela Khwaatin ko Silaayi Kadhai se bhi Mana kiya jata he kyuki ye Khyaal kiya jata he ki Is se Bacche ke Jism par Galat Asar Pad sakta he,

»»» Lougo ka Ek Galat Khyaal ye bhi he ki Jab Suraj ya Chand ko Grahan lagta he To Haamela Gaay, Bheins, Bakri Aur Digar Jaanwaro ke Gale se Rassi Ya Zanjir Khol deini chahiye Taaki In par Bura Asar Na pade,

»»» Baaz Ilaaqo me Grahan ke Waqt Zaiful Ayteqaad(Kamzor Yaqeen) Afraad(Loug) Khud ko Kamro me Band kar leite he Taaki Baqoul Inke Woh Grahan ke Waqt Khaariz hone Wali Nukshan-Deh(Nukshan Pahonchane Wali) Lahro se Bach Sake,

»»» Baaz Muaa’shro(Insaani Maahol) me jis Din Grahan Lagta he Aksar Loug khana Pakaane se Gureiz (Parhez) karte he Kyuki Unka Khyaal ye he ki Grahan ke Waqt Khatarnaak Jaraasim(Kida/Germs) Peida hote he,

»»» Kayi Mashriqi(East ke) Mulko me Ilme Nuzum(Setaaro ke Ilm) ke Maahirin Suraj Grahan se Munslik (Judi hui) Peshan-Gohiya (Anumaan) karte he Jin me se kisi Tabaahi Ya Nuksaan ki Nishan-Dehi ki jati he, Masalan Chori, Igva(Behkana), Qatl wa Gaarat(Loot-Maar), Khudkushiya Aur Tashaddud(Sakhti) ke Waaqiyat Bil Khusus Khwaatin ki Amwaat(Mout) me Izafa, La-Qaanuniyyat Aur Be-Insaafi ke Waaqiyaat Kasrat se Hone ki Peishan-Gohi ki jati he, Al Garaz Mashriq wa Magrib(East & West/Poori Duniya), Tarakki Pazir Aur Tarakki Yaafta Duniya me har Suraj Aur Chand Grahan ke Insaan par Muzir(Nukshani) Asraat ke hawaale se Khadshat(Fikr) Paaye jate he.
(Bad-Shuguni, Safa-79, 80)

Aaj bhi Humaare Mu’aashre(Insaani Maahol) me Kayi Musalmaan Bhai-Behne Suraj-Grahan ya Chand-Grahan se Galat Khyaalaat Aur Waham rakhte he…
ALLAH SUBHANAHU WA TA’ALA Hume Is se Bachne ki Toufiq Ataa Farmaaye…
Aameen…

➤ Grahan kisi ki Mout Aur Zindagi ki Wajah se Nahi Lagta :-

Arab Mu’aashre(Arab ke Insaani Maahol) me bhi Suraj Aur Chand Grahan ke Muta’aliq Aaam Khyaal tha ki ye kisi Bade Waaqiye Maslan(Jeise) kisi ki Wafaat(Mout) ya Peidaish Par Wuqu’a Pazeer(Zaahir) hote he, Jab Duniya ke Nakshe par Islaam ki Inqelaabi Da’awat Ubhri to ALLAH TA’ALA ke PYAARE RASOOL Sallallaho Alayhe Wasallam ke Saahibzaade Hazrate Ibhraahim RadiAllaho Ta’ala Anho Inteqaal kar gaye Usi Din Suraj me Grahan laga, Baaz Lougo ne Khyaal kiya ki Yeh Hazrate Ibhraahim RadiAllaho Ta’ala Anho ke Gam me Waaqe’a huwa he, Chunaanche HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Lougo ko Suraj-Grahan ki Namaaz Padhne ke Baad Khutba deite Huwe Irshaad Farmaaya Suraj Aur Chand ALLAH TA’ALA ki Nishaaniyo me se Do Nishaaniya he, Inhe Grahan kisi ki Mout Aur Zindagi ki Wajah se Nahi Lagta, Pas Jab Tum Ise Deikho to ALLAH AZZAWAJAL ko Pookaro, Uski Badaai Bayaan karo, Namaaz Padho Aur Sadqa do.
(Bukhaari Shareef, Jild-1, Safa-357,363)

»»» Suraj-Grahan ki Namaaz Sunnate Mu’akkada he Aur Chand-Grahan ki Mustahab, Suraj-Grahan ki Namaaz Jama’at se Padhni Mustahab he Aur Tanha bhi ho Sakti he Aur Jama’at se Padhi Jaaye to Khutbe ke Siwa Tamaam Sharaaite Jumma Iske Liye Shart he Wohi Shaksh Iski Jama’at Qaayam kar Sakta he jo Jumma ki kar Sakta he Woh Na ho to Tanha Tanha Padhe, Ghar me ya Masjid me.
(Bahaare Shariyat, Jild-1, Safa-787)

➤ Aurat, Ghar Aur Ghode ko Manhus Jaanna :-

Baaz Loug Aurat, Ghar Aur Ghode ko Manhus Samajhte he Aur Daleel Ke Tour par Ye Hadeese Paak Peish karte he ki RASOOLE PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Nohusat(Bura Asar) Aurat me Ghar me Aur Ghode me he.
(Bukhaari Shareef, Kitaabul Nikaah, Jild-3, Safa-430)

Agar Is Hadeese Paak ki Tashreef (Wazaahat) Padhe Aur Samjhli jaaye to Ummid he ki Ayse Loug Apne Mouqif se Ruju’a(Waapasi) kar leinge,

Chunanche Haakimul Ummat Hazrat Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Is Hadeese Paak ke Tehat Likhte he
Is Hadees ke Bahot Ma’ana kiye gaye Ek ye ki Agar Kisi Chiz se Nohusat (Bura Asar) hoti to In Tin(3) me hoti, Dusre ye ki Aurat ki Nohusat ye he ki Awlaad Na Jane Aur Khaawand (Shohar) ki Na-Farmaan ho, Makaan ki Nohusat ye he ki Tang ho Waha Azaan ki Aawaaz Na Aaye Aur Uske Padosi Khraab ho, Ghode ki Nohusat ye he ki Maalik ko Sawaari Na de, Sarkash(Na-Farmaan) ho, Baharhaal Yaha Shum(Manhus) se Muraad Badfaal(Bad-Shuguni) Nahi ki Iski Wajah se Rizq Ghat jaaye ya Aadmi Mar jaaye Ki Islaam me Bad-Fa’ali Mamnu’a(Mana) he, Lihaza ye Hadees “ﻟَﺎﻃِﯿَﺮَۃَ” ki Hadees ke Khilaaf Nahi, Khyaal rahe ki Baaz Bande Aur Baaz Chize Mubaarak to hoti he Ki Inse Ghar me, Maal me Aur Umr me Ziyaadatiya ho jati he jeise Hazrate Isaa Alayhis Salaam Farmaate he
“Aur Usne Mujhe Mubaarak kiya”
(Surah Mariyam, Aayat-31)
Magar Koi Chiz Iske Muqaabale Ma’ana me Manhus Nahi, Haa Kaafir, Kufr, Zamaan E Azaab Manhus he, RABB TA’ALA Irshaad Farmaata he
“Ayse Din me Jiski Nohusat Un par Hameisha ke liye rahi”
(Surah Al Qamar, Aayat-19)
(Mira’atul Manaajih, Jild-5, Safa-6)

»»» Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Rahmatullahe Alay Likhte he
Jab Ummul Mo’amineen Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha ko Hazrate Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho ki ye Hadees Pahonchi ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya ki Aurat, Ghar Aur Ghode me Nohusat he to Aap Bahot Zyada Gazabnaak hui Aur Farmaaya Us KHUDA BUZURG WA BARTAR ki Qasam Jisne MOHAMMADE KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam par Muqaddas Quraan Naazil Farmaaya Ki HUZOOR E PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam ne Is Tarah Nahi Irshaad Farmaaya Balki Yu Irshaad Farmaaya ki Doure Jaahiliyat Waale In Chizo se Nohusat Aur Bad-Shuguni leite the.
(Fataawa E Razwiya, Jild-24, Safa-246)

Ek Aur Makaam par Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Rahmatullahe Alay se Sawaal Kiya gaya Kya Farmaate he Ulma e Deen Is Masle me ki ye Jo Mashoor he ki Ghar Aur Ghoda Aur Aurat Manhus hote he Iski Kya Asl he…??
Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Jawaab diya
Ye Sab Mahaz Baatil Wa Mardud Khyaalaat Hinduo ke he, Shariyat e Mutahhraa me Inki Koi Asl Nahi, Shara’an Ghar ki Nohusat(Bura Asar) ye he ki Tang ho, Hamsaaye(Padosi) Bure ho, Ghode ki Nohusat ye he ki Bad-Zabaan ho, Bad-Ruyaa(Jiska Chalan Achha Na) ho, Baaki Woh Khyaal ki Aurat ke Pehre se ye huwa, Falaah ke Pehre se ye, Ye Sab Baatil Aur Kaafiro ke Khyaal he.
(Fataawa E Razwiya, Jild-21, Safa-220)
(Bad-Shuguni, Safa-82,83,84)

➤ Maiyyat ko Gusl deine ke Baad Ghada Tod deina :-

Aala Hazrat, Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay se Sawaal kiya gaya ki Ghade, Badhne(Lote) Maiyyat ko Gusl deine ke Baad Fod daalna Jaiz he ya Nahi .??

Imaam Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Jawaab Diya Gunaah he ki Bila Wajahe Tazyiy e Maal(Maal ko Zaaya Karna) he ki Agar Woh Naapak bhi ho jaye Taaham(Iske Ba-Wajud) Paak kar leina Mumkin, HUZOOR SAIYYADE AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam Farmaate he ALLAH TA’ALA 3 Baate Tumhaare liye Na-Pasand Rakhta he..
Fuzul Bak Bak Aur Sawaal ki Kasrat(Ziyaadati) Aur Maal ki Izaa’at(Maal ko Zaaya Karna),
Aur Agar ye Khyaal kiya jaaye ki Inse Murde ko Nahlaaya he To In me Nohusat(Bura Asar) Aa gayi to Ye Khyaal Awhaame Kuffare Hind(Hind ke Geir-Muslimo ke Wahamo) se Bahot Milta he.
(Fatawa e Razwiya, Jild-9, Safa-98)
(Bad-Shuguni, Safa-84,85)

➤ Bad-Shuguni ka Khulasa:-

»» Kisi Shaksh, Jagah, Chiz ya Waqt ko Manhus Jaanne ka Islaam me Koi Tasawwur Nahi Ye Mahaz Wahami Khayaalaat hote he,

»» Shugun ka Ma’ana he Faal Leina Ya’ani Kisi Chiz, Shaksh, Amal, Aawaaz Ya Waqt ko Apne Haqq me Achha Ya Bura Samajhna, Agar Achha Samjha to Achha Shugun Ya Naik Faal he Aur Agar Bura Samjha to Bad-Shuguni he,

»» Neik Faal Leina Mustahab he, Bad-Fa’ali Ya Bad-Shuguni Leina Sheitaani Kaam he,

»» Bad-Shuguni par Gunaah Us Waqt hoga Jab Uske Taqaaze Par Amal Kar liya Aur Agar Is Khyaal ko Koi Ahmiyyat Na di to Koi Ilzaam Nahi,

»» Bad-Shuguni Insaan ke liye Deeni wa Duniyawi Dono Aytebaar se Behad Khatarnaak he,

»» Doure Haazir me bhi Bahot se Galat-Salat Ayteqaad (Yaqeen) Tawahhumaat (Waham) Aur Na-Jaiz Rasumaat(Rasme) Zour Pakadti Ja rahi he Jinka Ta’aluq Bad-Shuguni se bhi Hota he Masalan Maahe Safar ko Manhus Janna, Chhink Ko Manhus Janna, Setaaro ke Asaraat par Yaqeen Rakhna, Musalsal Beito ki Peidaish ko Manhus Samajhna, Ghar me Papita Ka Darakht (Peid) Lagaane ko Manhus Samajhna, Shawwal Ya Makhsus Taarikho me Shaadi ko Manhus Jaanna, Aurat Ghar Aur Ghode ko Manhus Samajhna Wageira..,

»» Nazar Lagna Ek Haqiqat he Is se Inkaar Nahi Kiya ja Sakta,

»» Islaami Aqaaid ki Ma’alumaat Haasil karke ALLAH TA’ALA Par Saccha Tawakkul karke Bad-Shuguni ke Taqaaze par Amal Na karke Aur Mukhtelaf Wazaaif ke Zariye Bad-Shuguni ka Ilaaj kiya Ja Sakta he.
(Bad-Shuguni, Safa-120,121)

Yaha par Bad-Shuguni ke Post khatm hote he…
ALLAH TA’ALA Is Kaam ko Apni Baargaah me Qabool Farmaaye…
Aameen YA RABBUL AALAMIN…


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *