Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ‘Qoume Samood’ ki Taraf Aaye, Hazrat Saaleh Alayhis Salaam bhi Samood Qoum se hi he,
>➤ Samood ko Samood kehne ki Wajah :
Is ki 2 Wajah he
1) ‘Samd’ ka Ma’ani Thoda Paani, Qoume Samood ke Ilaqa me Paani Kam hone ki Wajah se Us Qoum ka Naam ‘Samood’ Padh gaya,
2) wo Apne Dada ‘Samood’ ke Naam Par ‘Qoume Samood’ kehlayi,
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam Aur Hazrat Hood Alayhis Salaam ke Darmiyaan 100 Saal ka Faasla he, Yaani Saaleh Alayhis Salaam Hazrat Hood Alayhis Salaam ke 100 Saal Baad Tashreef Laaye, Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ki Umar 280 Saal thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-252)
>➤ Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Qoum ko Deen e Islam ki Da’awat Farmayi :-
Quraan Shareef me he ki
“Samood ki Taraf Unke Ham Qoum Saaleh(Alayhis Salaam) ko(Bheja) Kaha Ay Meri Qoum ALLAH ko Punjo Uske Siwa Tumhara koi Ma’abud nahi, Usne Tumhe Zamin se Peida kiya Aur Usme Tumhe Basaya To Usse Muaafi Chaho fir Uski Taraf Ruju’a laao Beshak Meira RABB Qarib hei Dua Sunne wala”
(Surah Hood, Aayat-61)
Ek Aur Jagah he ki
“Jabke Unse Unke Ham-Qoum Saaleh(Alayhis Salaam) ne Farmaya kya Darte nahi, Beshaq Mei Tumhare liye ALLAH ka Amaanat-daar Rasool hu, to ALLAH se Daro Aur Meira Hukm Maano, Aur Mei Tumse Kuchh Is Par Ujrat Nahi Mangta Meira Azr to Ushi Par hei jo Saare Jahaa ka RABB hei”
(Surah As-shura, Aayat-142, 143, 144, 145)
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko kaha ki Agar Tum Chahte ho ki ALLAH TA’ALA ki Rehmat Tumhe Hasil ho to ALLAH TA’ALA se Apne Gunaho ki Maafi Mango, Ushi ki Taraf Ruzu karo to ALLAH TA’ALA ki Rehmat Tumhe Hasil hogi, ALLAH TA’ALA ki Rehmat Imaan walo ke Qareeb he,
Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam ki Aadat Shareef ye thi ki Jab Nabuwwat ka Da’awa Farmate to Sabse Pehle Qoum ko Butt-Parasti ke Chhodne ke Muta’laq Irshaad Farmate Aur ALLAH TA’ALA ki Ibaadat karne ka Hukm deite ki Us ke Bageir Koi Ma’abud nahi fir Apni Risaalat ka Daawa karte Taaki Qoum Unse Moajizaat ka Mutaalba kare to unko Moajizaat dikhaye Jaaye Fir unke Inkaar Aur Baaz Na Aane par ALLAH TA’ALA ke Azaab se Unko Darate, Fir Jab wo Apne Kufr par Qaayam rehte to ALLAH TA’ALA ki Taraf se Unpar Azaab Aa Jata.
(Tafseere Kabeer, Jild-23, Safa-158)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-252, 253)
>➤ Duniya me Tumhe Hamiesha Nahi Rehna :-
Quraan Shareef me he ki
“Kya Tum Yahaa ki Ne’amato me Chense Chhor diye Jaaoge, Baago Aur Chasmo, Aur Kheito Aur Khajuro me Jinka Sagufa Narm wa Naazuk, Aur Pahaadome se Ghar Taraaste ho Ustaadise, to ALLAH se Daro Aur Meira Hukm Maano, Aur Hadse Badhnewalo ke Kehne par Na Chalo, woh jo Zaminme Fasaad Feilate he Aur Banaaw Nahi Karte”
(Surah As-shura, Aayat-146, 147, 148, 149, 150, 151, 152)
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Kaha Tumhara Khyaal Baatil he ki Tum Yahaa Duniya me hi Aaaram se Ne’amato me Rahoge, Jis RABB ne Apni Qudrate Kamila se Tumhe Baagaat, Chasme, Khetiya Aur Narm wa Nazuk Sagufo wale Khajur ke Darkht de rakhe he Wo ye Le Bhi Sakta he, Tumhe Duniyawi Ne’amato Par Naaz nahi karna Chahiye, Aakhir Duniya ko Chhod kar bhi Jana he,
Tum Badi Mahaarat se Pahaado ko Taraas kar Ghar Banate ho, Is se bhi Saayad Yahi Samajte ho ki Tumhe Duniya me Hameisha Rehna he, Lekin Tumhari Shoch Saraasar Galat he, Hadd se Paar karne wale Fasaad Feilane wale Aur Koi Durust Acha Shida Bhalaai wala Kaam Na karne walo ki Tum Peirwi kar rahe ho, Tum Unki Ita’at Na karo to Kaamyaab hoge, Warna Tabaahi ka Shikaar ho jaoge, Kaamyabi Sirf ALLAH TA’ALA ki Taraf Rujua Karne Aur Meira Hukm Maanne me he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-253)
>➤ Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ki Da’wat se 2 Giroh ban gaye :-
Quraan Shareef me ALLAH AZZAWAZAL Irshaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Samood ki Taraf Unke Ham-Qoum Saalehko Bheja ke ALLAH ko Pujo, to Jabhi woh do(2) Giroh ho gaye Zhagda karte, Saaleh (Alayhis Salaam) ne Farmaya Ay Meri Qoum Kyo Buraai ki Jaldi Karte ho Bhalaai se Pehle, ALLAH se Bakshis kyo Nahi Maangte Saayad Tum par Raham ho”
(Surah Al Naml, Aayat-45, 46)
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ki Deen ki Da’awat par Kuchh Loug Imaan le Aaye Aur Dusre Loug Apne Kufr par Qaayam rahe, Is Tarah 2 Giroh Ban gaye, Aapas me ek Dusre se Behaso me Ulajte rehte the, Lekin Imaan Walo ki Taraf se Jhagda Deen ke Haqq hone me hota,
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Farmaya Ay Meri Qoum Tum Achhai ke Badle Buraai me Jaldi kyu karte ho, Ye Duniyawi Ne’amate Aaram (se) Tumhe Haasil he, lekin Is ke Badle Tum Azaab Aur Apni Tabaahi wa Barbaadi Talab kar rahe ho, Tumhe ALLAH TA’ALA se Apne Gunaaho ki Maafi Talab karni Chaahiye, Taaki wo Tum par Raham kare.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-254)
>➤ Deen ki Da’awat par Qoum ka Jawab :-
Quraan e Majeed me he ki
“Aur Beshak Hijrwalo ne Rasooloko Zutlaya”
(Surah Al Hijr, Aayat-80)
Ek Aur Jagah he ki
“Ay Saaleh (Alayhis Salaam) Is se Pehle to Tum Hamme Honhaar Maalum hote the, kya Tum Hame Is se Mana karte ho ke Apne Baap-Dada ke Ma’abudo ko Punje Aur Beshak Jis Baat ki Taraf Hame Bulaate ho Ham Usse Ek Bade Dhoka Daalne wale Shakme hei”
(Surah Hood, Aayat-62)
‘Hijr’ ek Waadi he, Madeena e Munawwara Aur Shaam ke Darmiyaan Jisme Qoume Samood ke Lougo ne Apne Peigambar Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ki Takzib ki,
Kabhi Qoum Kehti Hamne Tumhe Bada Aqalmand Bahot Bada Samjdaar Samja huwa tha, Hame to Tum Par Badi Ummid thi ki Tum Hamare Deen ki Madad karoge, Hamare Mazhab ki Taqwit(Taaqat) ka Sabab Banoge, Hamaare Tariqe ki Taaid karoge,
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam Garibo Faqiro Par Bade Maherbaan the, Zaeef lougo ki Imdaad karte the, Marizo ki Eyaadat karte the to Qoum ne Kaha ki Hamne to Aapke In Awsaaf(Akhlaak) ko deikh kar ye Samja tha ki Tum Hamare Ahbaab me se hoge, Hamari Imdaad karoge, Tumne ye Adaawat Aur Bugz Hamare Saath keise Suru kar liya…?? Hame to Tum par Badaa Ta’ajub he ki tum Hame Apne Baap-Dada ke Ma’abudo ki Pujaa se Rouk rahe ho, Hame to Ab tum par Shak hone laga ki Tum Hame kishi Bahot Bade Dhoke me Mubtila karna Chahte ho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-254, 255)
>➤ Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ka Jawaab :-
Quraan Shareef me he ki
“Ay Meri Qoum Bhlaa Bataao to Agar Mei Apne RABB ki Taraf se Roshan Dalil Par hu Aur Usne Muze Apne Paas se Rahmat Bakhsi to Muze Us se Koun Bachayega Agar Mei Uski Naafarmani Karu to Tum Muze Siwa Nukshan ke Kuch na Barhaaoge”
(Surah Hood, Aayat-63)
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Qoum ko Jawab deite hue kaha ki Muje ALLAH TA’ALA ne Roshan Dalaail Ataa Farmayi he Aur Usne Muje Apni Rehmat se Nawaza he Is liye me bhi tum par Maherbaani Kar raha hu ki Tumhe Us Raah ki Hidaayat de raha hu Jisme Tumhari Kaamyabi he tum Apni Be-Aqali ki Wajah se Jis Baatil Raah ki Meri Madad Chahte ho Isme to ALLAH TA’ALA ki Naafarmani he Aur ALLAH TA’ALA ki Naafarmani me Nukshaan he,
Qoum ne kaha
“Bole Hamne Bura Sagun liya Tumse Aur Tumhare Saathiyose, (Saaleh Alayhis Salaam ne) Farmaya Tumhari Bad-Shaguni ALLAH ke Paas hei Balke Tum Loug Fitne me Pade ho”
(Surah Al Naml, Aayat-47)
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam Jab Mab’us hue Aur Qoum ne Takzib(Inkaar) ki Iske Baaish(liye) Baarish Ruk gayi, Qahat ho gaya, Loug Bhuke Marne lage, Is ko Unhone(Qoum ne) Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ki Tashreef Aawari ki Taraf Mansub kiya Aur Aapki Aamad ko Bad-Shagooni Samja,
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Qoum ko Jawab diya Ye Bad-Shagooni Jo Tumhare Paas Aayi, yeh Tumhare Kufr ki Wajah se ALLAH TA’ALA ki Taraf se Aayi he, Tum Fitne me Mubtila ho, Apne Baatil Deen ko Sahi Samajna, Butt-Parasti Par Qaayam Rehna, Ye Dar-Haqiqat Tumhare liye Fitna he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-255, 256)
>➤ Qoum ne Aapko Jaadugar Kaha :-
Quraan Shareef me he ki
“Bole Tum Par to Jaadu huwa hei”
(Surah As-shura, Aayat-153)
Qoum ne Kaha Tum Par Baar Baar Kasrat se Jaadu kiya gaya he, Is liye Tumhari Aqal Salaamat Nahi rahi, Tum Hamare Saath Bewaqufi ki Baate kar rahe ho ki Ham Apne Aaaba wa Ajdaad(Baap-Dada) ka Deen Chhod de,
>➤ Qoum ne Aapko Mutakabbir kaha :-
Quraan Shareef me he ki
“Bole Kya Ham Apne me ek ek Aadmi ki Taabedari kare Jab to Ham Zarur Gumraah Aur Diwaane hei, Kya Ham Sabme se Us Par Zikr Utaara gaya Balke ye Shakht Jhuta Utrouna(Itraane wala/Mutakabbir) hei”
(Surah Al Qamar, Aayat-24, 25)
Qoum ne Kaha Ham Itni Taadaad me ho kar ek Aadmi ki Taabe’dari(Peirwi) kare wo bhi Aysha Shaksh ho jo Hamare Jeisha Basr ho, Aysha Kaam to Diwaano ka he, Ham to Aqal-Mand he, Kya Ishi ko Nabuwwat Ataa honi thi…? Aur Is Mansab ke Laayaq koi nahi tha…?? ye Shaksh Apne Daawa e Nabuwwat me Jhuta he Aur ye Daawa karke Shukhiya Maar raha he, Itra raha he, ye to Bada Mutakabbir he, (Maaz Allah)
ALLAH TA’ALA ne Unka Radd karte hue Farmaya
“Bahot Jald Kal Jaan Jaoge Kon tha Bada Jhuta Utrouna(Itraane wala/Mutakabbir)”
(Surah Al Qamar, Aayat-26)
Yaani ye Qoum Jab Duniya Aur Aakherat me Azaab me Mubtila hogi to fir Unhe Pata Chalega ki Koun Jhuta tha Aur Baatil Raah par Zid wa Inaad ki Wajah se Qaayam Rah kar kon Takabbur kar raha tha…?
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-256, 257)
>➤ Qoum ne Hazrat Saaleh Alayhis Salaam se Mo’ajiza Talab kiya :-
Quraan Shareef me he ki
“Tum to Hami Jeishe Aadmi ho to koi Nishaani Laao Agar Sachche ho, Farmaya ye Naaka(Untani) hei ek Din Uske Pine ki Baari Aur Ek Mo’ayyan Din Tumhari Baari, Aur Ushe Buraai ke Saath Na Chhuo ke Tumhe Bure Din ka Azaab Aaega”
(Surah As-shura, Aayat-154, 155, 156)
Qoum ne Saaleh Alayhis Salaam ki Risaalat par Nisaani Talab ki, to Saaleh Alayhis Salaam ne Farmaya Tum Konshi Nisaani Talab karte ho…? Unhone kaha Tum Hamare Saath Hamaari Eid ke Programo ke liye Saher se Baahar Hamaare Saath Chalna, Ham Apne Ma’abudo se Dua karenge, Tum Apne Ma’abud se Dua karna Jiski Dua Qabool hogi Dusre uski Taabedari(Peirwi) karenge,
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam Unke Saath Sahar se Baahar Tashreef le gaye, Unhone Apne Butto se Dua ki Jo Qabool na ho saki, Unke Ek Sardaar ne ek Akeli Chattan ki Taraf Isaara kiya Jiska Naam “Kaafiyaa” tha, Usne Kaha Us Chattan se ek Untani(Camel) Nikalo Jo Haamela ho, Agar Tumne Aysha kar diya to Ham Tumhari Tasdeeq karenge, Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Unhe kaha Agar Mei Aysha karu to kya Tum Zarur Imaan laaoge…??
Unhone kaha Haa,
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Nawaafil Adaa ki Aur RABB TA’ALA se Dua ki, ALLAH TA’ALA ne Aapki Dua ko Sarfe Qabuliyat Bakhsha,
Wo Loug deikh rahe the ki Pahaadi Chattan me Bilkul Wahi Kefiyat Peida huwi Jis Tarah Kishi Jaanwar par Peidaish ke Waqt hoti he, Dard ki Wajah se Karaahna(Chikhna) Wageira, Yaha tak ki Unke Saamne wo Chattan Fhati, Us se Haamela Untani Peida hui, Jis ke Jism par Un thi, Peit Bada tha, Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ka Mo’ajiza deikh kar Sardaar Aur Uske Saath Chand Aur Lougo ne Imaan Qabul kar liya, Baaqi Tamaam Lougo ko Imaan laane se Zawaab Bin Umro, Habaab Aur Rabaab Bin Sam’ar ne Manaa kar diya, Yahi Dono Shaksh Unke Butto par Muqarrar the Yaani Butt-Khana ke Naazim the Aur Tisra Shaksh yaani Rabaab Bin Sam’ar Pujaari tha, Un Lougo ke Saamne hi Untani ne Bacha Jana, Jo Ushi Untani Jitna tha,
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne RABB TA’ALA ke Hukm se Bayaan kar diya tha ki Ek Din Paani Pine ki Baari Untani ki hogi, Aur Ek Din Tumhare Aur Tumhare Jaanwaro Aur Baqi Jangali Jaanwaro Aur Parindo wageira ki hogi,
Untani Apne Bache ke Saath Jangal me Charti thi Apni Baari ke Din Untani Aur Uska Bacha Saara Paani Pi Jaate the Yaani Kuwe me Mooh Rakhti Aur Uthati Us Waqt (Tak) Paani Khatm ho Jata wo Dhoodh Itna Zyada deiti thi ki wo Loug Pite Aur Apne Bartan Bhar leite, Wo Untani Garmiyo me Waadiyo ke Zaahiri Hisso me Charti thi to Untani ko Deikh kar Unke Jaanwar Waadiyo ke Nichle Andhrhuni Hisso me Bhaag kar Chale jaate, Sardiyo me wo Untani Nichle Hisso me Charti to unke Jaanwar Bhag kar Waadiyo ke Baalaai Hisso me Aajate, Unhe Is Surate-Haal se Bahot Muskil Darpeish Aa rahi thi, Unhone Us Untani ko Apni Raah se Hataane ka Feishla kar liya ki Ushe Maar diya jaaye Taaki Hame Us se Naja’at Hasil ho Jaaye.
(Haasiya Jalalein, Safa-136)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-257, 258)
>➤ Untani(Cemal) ki Kunche kaat diye :-
Quraan Shareef me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“To Unhone Ushe Zhutlaya Fir Naaka(Untani) ki Kunche Kaat di”
(Surah Ash-Shams, Aayat-14)
Ek Aur Jagah Irshaad he ki
“To Unhone Uski Kunche Kaati to Saaleh(Alayhis Salaam) ne Kaha Apne Gharo me Tin(3) Din Aur Barat lo ye Waada hei ke Zhutaa na hoga”
(Surah Hood, Aayat-65)
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Unhe Pehle hi Bataya tha ki Us Untani ko Buraai me Mubtila na karna Warna Tum Azaab me Mubtila ho jaoge lekin wo Baaz na Aaye Jab Untani ki Kunche Kaat di to Aapne Unhe kaha ki Ab Azaab Qarib Aa Chuka he,
>➤ Azaab se Pehle 3 Din :-
Jab Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Unhe Daraaya ki Ab Sirf 3 Din Tumhe Apne Gharo me Rehna Aur Nafaa Hasil karna he, Fir Tum Azaab me Mubtila ho jaoge to Qoum ne Kaha ki wo 3 Din Ham par Keishe Guzarenge…??
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Kaha Pehle Din Tumhare Chehre Zard(Pile/Yellow) Rang ke ho jayenge, Dusre Din Unka Rang Surkh(Laal/Red) ho jayega Aur Tisre Din Siyaa(Kaale/Black) ho Jayenge, Chouthe Din Tum Par Azaab Aa jayega,
Agarche Chehre Siyaa(Black) ho jane par Unhe Azaab ka Yaqin Aa Chuka tha lekin Jab Tak Alaamat par Yaqeen nahi Aa raha tha Us Waqt tak Unhe Imaan Aur Touba ki Tofiq Nasib na ho saki Aur Jab Unhe Yaqin huwa, (to) Ab Touba karte bhi to Uska koi Nafaa na hota kyunki Na-Ummid ki Haalat me Touba Aur Imaan Qabul nahi hote.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-20)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-258, 259)
>➤ Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ko Saheed karne ka Mansuba :-
Quraan e Majeed me he ki
“Aur Saher me Nau(9) Shaksh the ke Zamin me Fasaad karte Aur Sanwaar(Islaah) na Chahte, Aapas me ALLAH ki Kasme Kha kar Bole Ham Zarur Raat ko Chhaapa Maarenge Saaleh(Alayhis Salaam) Aur Uske Gharwalo Par fir Uske Waaris se Kahenge Us Gharwalo ke Qatl ke Waqt Ham Haazir na the Aur Beshak Ham Sacche he, Aur Unhone Apna Saa Makr(Khufiya Saazis) Kiya Aur Hamne Apni Khufiya Tadbir Farmayi Aur woh Gaafil rahe”
(Surah Al Naml, Aayat- 48, 49, 50)
Unhone Ye Saazis Untani ki Kunche Kaatne ke Baad ki thi Jab Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ne Unhe Bataya ki Tumhe 3 Din ki Mohallat he Us ke Baad Tum par Azaab Aayega jo Tumhe Barbaad karke Rakh deiga,
Us Qabile ke 9 Sardaar the, Unke Ladke Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ki Mukhaalifat me Hameisha Sar-Garm Raha karte the, Unhone ek Jagah Beith kar Saazis ki ke Raat ko Be-Khabari me Saaleh Alayhis Salaam Aur Uske Saathiyo par Hamla karke Unhe Tahtig kardo, Agar Unke kishi Waris ne Hamse Daryaaft kiya to Ham Unhe Yaqin dila deinge ki Hamara Unke Qatl ke Saath Door ka bhi Waasta nahi, Aur Na hi Hame Uske Qatl ka koi Ilm he, to wo Khamosh ho jayenge,
Bajaaye Uske ki wo Us Aakhri Shaazis se Chokanne hote Aur Apne Gunaaho par Naadim ho kar Gir-Gira kar Maafi Mangte, Unhone Ulta Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ko Qatl karne ki Saazis Shuru kar di,
Unhone kaha Ham Par Azaab Aayega to Deikha jayega, Us ke Aane se Pehle Saaleh (Alayhis Salaam) Aur uske Murido ka Khaatma to Karo,
Jis Raat Unhone Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ke Makaan par Sabkhun Maarne ka Program Banaya tha, Us Raat ALLAH TA’ALA ne Faristo ko Apne Rasool ki Hifazat ke liye Bhej diya, Jab ye (Qoum) Apni Be-Niyaam Talwaare Lehraate hue Aap par Hamla karne ke liye Lapke to Faristo ne Un par Patthraav Shuru kar diya, Unhe Patther to Nazar Aate the Lekin Maarne wale Dikhai nahi deite the, Chunanche Unsab ko Is Tarah Halaak kar diya gaya Aur ye Mohallat ki Aakhri raat thi Chunanche Qoum ke Baaqi Afraad bhi Tabaah wa Barbaad kar diye gaye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-260)
>➤ Qoume Samood ke Kuffar par Azaabe ILAAHI :-
Quraan Shareef me ALLAH AZZAWAZAL Irshaad Farmata he
“Pas Naaka(Untani) ki Kunche Kaat di Aur Apne RABB ke Hukm se Sarkashi ki Aur Bole Ay Saaleh(Alayhis Salaam) Ham par le Aao Jiska Tum Wa’ada de rahe ho Agar Tum Rasool ho, to Unhe Zalzale ne Aa liya to Subah ko Apne Gharo me Undhe Pade rah gaye”
(Surah Al A’araaf, Aayat-77, 78)
Ek Aur Jagah Irshaad he
“Aur Zaalimo ko Chingaar ne Aa liya to Subah Apne Gharo me Ghutno ke Bal pade reh gaye”
(Surah Hood, Aayat-67)
Ek Aur Jagah Irshaad he ki
“Samood to Halaak kiye gaye Hadse Guzri hui Chingaar se”
(Surah Al Haaqqa, Aayat-4)
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ke Farman ke Muta’abik Tisre Din Qoum ke Chehre Siyaa(Black) ho gaye fir Chouthe Din Subah(Fazr) ko ye loug Uthe to Khusbu laga kar ALLAH TA’ALA ke Azaab ka Intezaar karne lage, Unhe Nahi Ma’alum tha ki Unka kya Hasr hone wala he, Aur Na hi Ye Jaante the ki Azaab ki Kefiyat kya hogi, Jab Suraj Tulu(Nikla) huwa to Aaasmaan se ek Shakht kadak(Aawaaz) ne Unhe Aa gheira Aur Niche Zamin me ek Khouf-Naak Zalzalaa Peida huwa, Roohe Nikal gayi Aur Eka-ek Tamaam ke Tamaam Be-Jaan Laas Ban gaye, Un(Kuffar) me se Koi bhi Baaqi na Bacha, Na Chhota na Badaa, Na Mard Na Aurat,
Qoume Samood par Zameen ka Azaab Sadid Zalzalaa tha Aur Aasmano ka Azaab Shakht Bijli ki kadak ya Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ki Sadid Holnaak Aawaz thi Jis ki Wajah se Unhe Tabaah wa Barbaad kar diya gaya.
(Tafseere Jalalein, Safa-136)
ALLAHU AKBER…
>➤ Hazrat Saaleh Alayhis Salaam Aur Aapke Saath Imaan laane walo ko Naza’at :-
Quraan Shareef me RABBE QADEER Irshaad Farmata he
“Fir Jab Hamara Hukm Aaya Hamne Saaleh(Alayhis Salaam) Aur Uske Saath ke Musalmano ko Apni Rahmat Farma kar Bacha liya Aur Us Din ki Ruswaai se Beshak Tumhara RABB Kawi Izzatwala he”
(Surah Hood, Aayat-66)
Ye RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat he ki Ek hi Mulk me ek hi Ilaake me Kuffar ko Zalzalaa, Holnaak Kadak(Aawaaz) se Tabaah wa Barbaad kar diya lekin Apne Nabi Hazrat Saaleh Alayhis Salaam Aur Unke Saath Imaan laane walo ko Zara Takleef na hone di, Kuffar ko Zaleel wa Khawaar kar diya, Unko Ruswa Hona pada, Lekin Imaan walo ko Is Holnaak Tabaahi Aur Is ki Ruswai se Bacha liya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-261, 262)
Subhan Allah…
Musalmano ko Chahiye ki Is Waqiye se Ibrat Hasil kare Aur ALLAH TA’ALA ke Azaab se Darte rahe Aur RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat par Kaamil Imaan Rakhe.
Hazrat Saaleh Alayhis Salaam ke Waqiyaat yaha par Khatm hote he…
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Hazratsaleh #saleh #Salah #Azab #Untani