HUZOOR ﷺ Hazrate Aaamena ki Parwarish me

>➤ Yahudi Aur Kaahin HUZOOR ﷺ ko Qatl karna Chahte the :-
Hazrat Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaya Meire Paas se Yahudiyo ki Ek Jama’at ka Guzar huwa, Maine Unse kaha Kya Mai Tumhe Is Beite ki Niraali Shaan ke Baare me Na Bataau, Iski Waalida Maajida ko Hamal Mubaarak Keise Qaraar Paya, Inki Wilaadat Mubaarak Kis Shaan se hui..? Inki Waalida Maajida ne Inki Wilaadat Ba-Sa’adat ke Waqt Kis Tarah ke Ajeeb Manaazir deikhe, Maine Woh Tamaam Baate Un Yahudiyo ko Soona di Jo Maine HUZOOR ﷺ ki Waalida Maajida se Sooni thi Aur Jinhe Maine Khud Apni Nigaah se deikha tha, Woh Yahudi Ek Dusre se Kehne lage Is Bacche ko Qatl kardo, Fir Unhone Mujh se Puchha Kya ye Yateem he..? Maine kaha Nahi Mai Iski Maa Aur Ye Iske Baap he, Unhone Kaha Agar ye Yateem hota to Use Zarur Qatl kar deite, Kyuki Humaare Nazdik Mazkura Bala(Bayaan ki Gayi) Saari Alaamate Nabuwwat ki Nishaniya he.
(Al Seeratun Nabawiya ﷺ, Jild-1, Safa-71)

Ek Riwaayat me he ki Arab ki Salana Mandi(Market) ‘Zil Majaaz’ Qaayam hui To Hazrat Halima RadiAllaho Ta’ala Anha HUZOOR ﷺ ko Waha le gayi, In Dino Mandi me Ek Kaahin Aaya karta tha, Loug Uske Paas Apne Bacche dikhane ke liye Late the (Ki Unki Qismat keisei he..) Usne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Chehra e Anwar, Aankho ki Surkhi(Laalash) Aur Mohare Nabuwwat deikhi to Chikh Pada Ay Ahle Arab.. Is Bacche ko Qatl kardo, Hazrate Halima Sadiya Fouran HUZOOR ﷺ ko Lekar Chupke se Waha se Nikal gayi, Loug Puchhne lage ki Konsa Baccha..? Kaahin Kehne laga Ye Baccha… Magar Waha Koi Baccha Nazar Nahi Aaya Kyuki Halima Sadiya To Aap ﷺ ko le kar Ja chuki thi, Lougo ne Use Kaha ki Tujhe Kya Nazar Aaya tha…? Kehne laga Abhi Maine Ek Baccha deikha he Uske KHUDA ki Qasam Woh Tum par Gaalib Aayega Tumhaare Butt Tod Dalega Aur Tum par Uski Hukumat Qaayam ho Jayegi, Chunanche Aap ﷺ ko Bahot Talaash kiya gaya Magar Aap ﷺ Na mile,
Hazrat Halima RadiAllaho Ta’ala Anha HUZOOR ﷺ ko lekar Ghar Aa gayi Aur Aap ﷺ ko Chhipa kar Rakhne lagi Kisi ko Na Dikhaati,

Unke Ilaaqe me Ek Kaahin Aaya huwa tha, Basti Wale Apne Bacche le kar Uske Paas Gaye, Magar Halima Sadiya ne Inkaar kar diya, Kuchh Deir Baad Woh Aap ﷺ se Gaafil hui To Aap ﷺ Ghar se Baahar Nikal gaye, Kaahin ne Aap ﷺ ko deikh liya Aur Apni Taraf Bulaya Magar Aap ﷺ ne Uski Baat Na Sooni Aur Kheime me Daakhil ho gaye, Kaahin ne Badi Koshish ki ke Ye Baccha Mujhe dikhaya jaye Magar Hazrat Halima RadiAllaho Ta’ala Anha ne Na Dikhlaya, Woh Kehne laga Ba-Khuda Ye Nabi he Ye Nabi he..
(Dalaailun Nabuwwat (Abu No’ayam, Urdu), Safa-143)

>➤ Raaste me HUZOOR ﷺ ka Ghum ho Jana :-
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Jab Hum Makka ke Qareeb me Pahonche to Mai HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Ek Jagah Bitha kar Qazaae Haajat(Pakhana) ke liye Chali Gayi, Jab Waapas Aayi to HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Us Jagah Moujud Na Paya, Bahot Talaash Kiya wa Justaju ki Magar Koi Naam wa Nishan Na Paya, Na-Ummid ho kar Sar par Haath Maar kar مُحَمَّدَاهُ وَ وَلَدَاهٗ Keh kar Pukaar ne Lagi, Itne me Ek Budha Shaksh Lathi Tekta Meire Paas Aaya Usne Mujhse Kaha Ay Sadiya Kya Baat he Kyu Rona-Pitna kar rahi ho…? Maine kaha ki Maine Muhammad Bin Abdul Muttalib ko Ek Muddat tak Doodh Pilaya he, Ab Mai Unhe Le kar Unki Waalida Aur Dada ke Supurd (Hawaale) karne Aayi thi, Lekin Woh Mujh se Ghum ho gaya he, Budhe ne Kaha Ro’a Nahi Aur Gam Na Khao, Mai Tumhe Uski Rehnumaai karta hu Jaha Woh honge, Agar Usne Chaha to Mumkin he ki Tumhe Un Tak Pahoncha de, Maine kaha Meiri Jaan Tum par Qurbaan, Bataao Woh Kon he..? Budhe ne kaha Woh Bada Butt he Jiska Naam ‘Hubul’ he Woh Bade Martabe Wala he Woh Janta he ki Tumhara Farzand kaha he, Maine Kaha Kharaabi ho Teri.. Kya Tu Nahi Janta Aur Tune Nahi Soona ki Us Farzand ki Wilaadat ki Raat me Butto par Kya Guzri thi, Woh Sab Toot kar Undhe Gir Pade the, Budha Jabardasti Mujhe ‘Hubul’ ke Paas le gaya Aur Uska Chakkar Lagwaya Aur Meira Maqshad Usne Butt ke Saamne Bayaan kiya to Hubul Sarr ke Bal Gir Padha Aur Dusre Tamaam Butt Undhe ho kar Gir Padhe, Unke Khol se Aawaz Aayi Ay Budhe Humaare Saamne se Door ho Aur Us Farzande Jaleel ka Humaare Saamne Naam Na le, Kyu ki Us Zaate Mubaarak ke Haath se Humaari Halaakat(Barbaadi), Tamaam Butto ki Tabaahi Aur Tamaam Pujaariyo ki Barbaadi ho gayi, Uska RABB Unhe Hargiz Zaya na karega Aur Woh Har Haal me Uska Muhaafiz(Hifaazat Karne Wale) he,

Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Iske Baad Mai Hazrat Abdul Muttalib ke Paas Aayi, Jab Unki Nazar Mujh par Padhi To Farmaaya Kya Baat he Mai Tumhe Fikr-Mand Aur Pareshan deikh raha hu Aur Humaara Muhammad (Sallallaho Alayhe Wasallam) Tumhaare Sath Nahi he..? Maine kaha Ay Abul Haaris Mai Muhammad (Sallallaho Alayhe Wasallam) ko Khub Achhi Tarah La rahi thi Jab Mai Makka me Daakhil hui to Mai Unhe Bitha kar Qazaae Haajat ke liye Chali gayi Waapasi par Woh Gaayab mile, Unki Justaju wa Talaash me Bahot Zyada Sargarda(Pareshan) rahi Magar Koi Khabar Na pa Saki, Ye Soon kar Hazrat Abdul Muttalib Kohe Sifa(Makka Shareef ki Ek Mashoor Pahaadi) par Tashreef le gaye Aur Quraish ko Aawaz di ki Ay Aale Gaalib Meire Paas Aao, Jab Tamaam Quraish Jama ho gaye to Quraish ne kaha Ay Sardaar Aap ko kya Mu’aamla Peish Aaya he..? Farmaaya Meira Farzand Muhammad (Sallallaho Alayhe Wasallam) Ghum ho gaya he, Iske Baad Abdul Muttalib Aur Tamaam Quraish Sawaar ho kar HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Talaash me Nikle Aur Makka ki Unchi Aur Nichi Har Jagah me Talaash kiya gaya Magar HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Na Mile, Iske Baad Hazrat Abdul Muttalib Masjide Haraam me Aaye Aur Khana e Kaba ka Tawaaf kiya Aur Baargaah ILAAHI me Munaajaat(Duaa) ki, Yaha Aapne Haatife Geibi(Geib ki Aawaz deine Wale Farishte) ki Aawaaz Sooni ki Ay Lougo Gam Na khaao Kyuki Muhammad (ﷺ) ka KHUDA Muhaafiz he Woh Unhe Apni Hifaazat se Kabhi Door na Farmaayega, Hazrat Abdul Muttalib ne kaha ki Haatife Geibi Mujhe Bataao ki Muhammad (ﷺ) Kaha he..? Usne kaha Tahaama(Waadi) ki Jaanib Chal diye he, Hazrat Abdul Muttalib Us Jaanib Tashreef le gaye, Raaste me Warqa Bin Nofel Unke Saamne Aaye, Woh bhi Unke Sath ho liye, Yaha tak ki Jab Waadi Tahaama Pahonche to Deikha ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Khajoor ke Darakht ke Niche Tashreef Farma he Aur Uske Patte Chun rahe he, Hazrat Abdul Muttalib ne Puchha Ay Farzand Tum kon ho..? HUZOOR ﷺ ne Farmaaya Mai ‘Muhammad Bin Abdullah Bin Abdul Muttalib’ hu, Hazrat Abdul Muttalib ne Kaha Meiri Jaan Tum par Qurbaan ho, Mai Tumhaara Dada Abdul Muttalib hu, Iske Baad Unhone HUZOOR ﷺ ko Sawaari par Apne Aage Bithaya Aur Khushi Khushi Makka E Mukarrama le Aaye Aur Bahot sa Sona(Gold) Aur Beshumar Unt(Camel) Sadqa me diye,
ALLAH TA’ALA hi Janta he ki Is Gumshuda hone me Kya Raaz tha.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-39, 40)

>➤ HUZOOR ﷺ Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Parwarish me :-
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha se Riwaayat he Unhone Farmaaya Jab Mai HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko le kar Makka e Mukarrama me Unki Ammijaan ke Paas Aayi to Hazrate Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Mujhse Puchha Halima Tu Meire Lakhte Jigar ko Itni Jaldi Kyu Waapas le Aayi he, Jabki Tu Inhe Apne Sath Le jane par Badi Khwaaish mand thi, Tu to Inhe Apne Paas Zyada se Zyada Muddat rakhna Chahti thi, Hazrat Halima Sadiya ne Arz ki ALLAH TA’ALA ne Muqarrar Waqt ko Pura kar diya, Meire Zimme Jo Haqq tha Maine Use Adaa kar diya he, Ab Mujhe Tarah Tarah ke Khouf ka Andesha he, Is liye Ab Mai Is Amaanat ko Waapas karne Aayi hu, Aap bhi Haqiqat me Yahi Pasand karti he,

Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaaya Sacchi Sacchi Bataao Tumhaare Sath kya Masla Peish Aaya he…?, Woh Mujhse Baar Baar Israar Karti rahi Hatta ki Maine Unhe Sari Surate Haal Bataa di, Unhone Farmaaya Kya Tumhe Meire Noore Nazar ke Bare me Sheitaan ka Khouf he..? Maine kaha Haa.. Unhone Farmaaya Hargiz Nahi, ALLAH TA’ALA ki Qasam Shaitaan Inke Qareeb bhi Nahi Bhatak Sakta, Meire Is Bacche ki Shaan Niraali he, Halima Kya Mai Apne Bacche ke Baare me Kuchh Bataau..? Hazrat Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ne Arz ki Zarur Bataaye, Hazrat Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaaya Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Meire Batan me Jalwa Afroz huwe to Meire Andar se Ek Noor Khaarij huwa Jiske Ujaale se Mujhe Sham ke Mahlaat Nazar Aaye, Jab Mujhe Hamal Qaraar Paya To Aam Aurato ki Tarah Mujhe Iska Kuchh Bojh Mehsus Na huwa, Na hi Kisi Aur Taklif ka Ehsaas huwa, Waqte Wilaadat Inhone Apne Dono Haath Zameen par Teke huwe the, Sare Aqdas Aaasman ki Taraf Uthaya huwa tha, Ab Inhe Meire Paas hi rehne do, Mai Khud Inki Khabargiri Karungi.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-71)

Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Hazrate Halima Sadiya ko Tarah Tarah ke Inaam wa Ikraam se Maala Maal kiya Aur Woh Apne Qabeele ki Jaanib Lout Gayi.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-40)

>➤ Hazrate Halima Baargaahe Nabawi ﷺ me :-
Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hazrate Khadijatul Kubra RadiAllaho Ta’ala Anha se Nikaah Farma liya to Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Haazir hui Aur Tangdasti ke Baare me Bataya, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Unke Ta’aluq se Hazrate Khadijatul Kubra RadiAllaho Ta’ala Anha se Baat ki to Unhone Bakariya Aur Kuchh Unt Ataa kiye, Dusri Riwaayat ke Muta’abiq Unhone 40 Bakariya Aur Unt Ataa Farmaaye, Jab Gazwa e Hunein ke Din Hazrate Halima Sadiya HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Haazir hui to HUZOOR ﷺ ne Unke liye Apni Chadare Mubaarak Feilaadi Woh Us par Bethi,
Allama Qazi Ayaz Rahmatullah Alay Likhte he Fir Hazrate Halima Sadiya Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllaho Ta’ala Anho ke Paas Aayi To Unhone bhi Unke liye Apni Chadar Bichha di, Fir Hazrat Umar Faaruq RadiAllaho Ta’ala Anho ke Paas Aayi to Unhone bhi Unke liye Apni Chadar Bichha di.

Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ko Taweel Umar(Badi Umar) Naseeb hui, Hazrat Abu Tufail se Riwaayat he Unhone Farmaaya Maine HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ziyaarat ki, HUZOOR ﷺ Hunein se Waapas Tashreef la Chuke the, Mai Nav-Jawaan tha, Ek Khaatun HUZOOR ﷺ ki Khidmat me Haazir hui, HUZOOR ﷺ ne Unhe deikha to Apni Chadar Bichha di, Puchha gaya Ye Khatun kon he…? Lougo ne Bataya Ye HUZOOR ﷺ ki Razai Ammijaan he,
Dusri Riwaayat me he Ek Khatun ne Baargaahe Risaalat me Haazri ka Izn(Ijaazat) Talab kiya Jab Haazire Khidmat hui To HUZOOR ﷺ ne Farmaya Ammi Ammi.. HUZOOR ﷺ ne Apni Chadare Paak Bichha di, Woh Us par Beith gayi.

Hazrat Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ki Sa’adat mandi(Khushnasibi) ye he ki Unhe Unke Shohar Aur Aulaad ko Doulate Islam Naseeb hui, Hijarat ki, Madeena e Munawwara me Wisaal Farmaya, Baqi(Jannatul Baqi/Madeena Shareef ka Qabrstaan) me Dafn hui, Unki Qabre Anvar Maaruf he Loug Uski Ziyaarat ke liye Aate he.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-76)


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *