HUZOOR ﷺ ka Bachpan Shareef

>➤ HUZOORﷺ  ki Parwarish Dusre Baccho se Niraali thi :-
Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Umr Mubaarak 2 Maah(Mahina) hui To Aapﷺ  Har Simt Ladhak(Sote huwe Ghum) Sakte the, 3 Maah ki Umr Mubaarak me Apne Qadmo par Khade ho Sakte the, 4 Maah ki Umr Mubaarak me Diwaar ko Pakad kar Chal Sakte the, 5 Maah ki Umr Mubaarak me Puri Tarah Chal Sakte the, 8 Maah ki Umr Mubaarak me Is Tarah Guftagu Farma Sakte the ki Soon ne Wala Samajh Jata tha, 9 Maah ki Umr Mubaarak me Faseeh (Saaf) Guftagu Farma Sakte the, 10 Maah ki Umr Mubaarak me Baccho ke Sath Teer-Andazi Karte the,
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-67)

Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Kabhi bhi Kapdo me Bol wa Baraaz(Peishab wa Pakhana) Nahi kiya, Aap ﷺ ke Bol wa Baraaz ka Ek Waqt Muqarrar tha Jab bhi Mai Iraada karti Aap ﷺ ke Dahane Mubaarak ko Doodh Wageira se Paak wa Saaf Karu to Geib se Mujh par Sabqat(Pahal) hoti Aur Aap ﷺ ka Dahan Mubaarak Saaf ho Jata Aur Jab Kabhi HUZOOR Sallallaho Aalyhe Wasallam ka Satar Khul Jata to Aap ﷺ Harkat Karte Aur Fariyaad karte Yaha Tak ki Mai Satar Dhaanp deiti Aur Agar Dhaanp ne me Meiri Taraf se Deiri hoti to Geib se Dhaanp diya jata,

Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Parwarish Dusre Baccho se Niraali thi, Ek Dinme HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Nashwanuma(Taraqqi) Itni hui Jitni Dusre Baccho ki Ek Maah me hoti Aur Ek Maah me Itni hoti Jitni Dusre Baccho ki Ek Saal me hoti, Aur Rozana Ek Noor Aaftaab(Suraj) ki Maanind Aap ﷺ par Utarta Aur Aap ﷺ ko Dhaanp leita Fir Roushan ho jate the, Aap ﷺ Na Rote Chillate Aur Na hi Bad-Akhlaqi ka Izhaar Farmaate, Shuru se hi Yahi Haal tha, Aur Jab Kisi Chiz par Aap ﷺ Daste Mubaarak Rakhte To بِسْمِ ٱللَّٰهِ‎ kehte Aur Mai Aapki Heibat Aur Dabdabe se Apne Shohar ko Apne Qareeb Na Aane deiti, Yaha Tak ki Aap ﷺ par 2 Saal Pure Guzar gaye.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-37)

>➤ 2 Saal Baad Makka E Mukarrama Jana :-
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha se Riwaayat he ki Unhone Farmaya 2 Saal Bahot Jald Guzar gaye, Hum Aap ﷺ ko le kar Aap ki Waalida Maajeda ki Khidmat me Haazir ho gaye, Humaari Bahot Zyada Khawaajish thi ki Aap ﷺ Humaare Paas hi Qayaam Farma(Thehre) Rahe, Hum Aap ﷺ se Bahot si Barkate Haasil ho rahi thi, Humne Is Khwahish ke Muta’aliq Aap ﷺ ki Waalida Maajeda se Guftagu ki, Maine Unse Arz ki Kaash Aap Is Noore Nazar ko Abhi Meire Paas hi rehne de Taki Ye Zyada Tanumand(Mazbut) Aur Tandurast ho Jaye, Ek Aur Riwaayat me he ki Humne Arz ki Hum Ek Saal ke liye Inhe Apne Sath le Jate he, Kyu ki Makka e Mukarrama me Waba Feili hui he, Hum Aap se Israar(Zid) karte he, Hatta ki Unhone Apne Lakhte Jigar ko Kuchh Arsa ke liye Dubara Humaare Hawaale kar diya, Ek Aur Riwaayat me he ki Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Hazrat Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha se Farmaya Meire Noore Nazar ko le kar Fouran Waapas Chale Jao, Mujhe Makka ki Waba se Khouf Aa raha he, (Fir) Hum Aap ﷺ ko Waapas le Aaye.
(Seeratun Nabawiya (Urdu) Jild-1, Safa-68)

>➤ Baadal ka Shaya Karna :-
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha se Riwaayat he ki Jab Woh HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Makka e Mukarrama se Waapas le kar Aayi To Woh HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Kisi Aysi Jagah Na Jane deiti Jo Door hoti, Ek Din Dupher ke Waqt (Razaai Bahen Shayma ke Sath HUZOOR ﷺ Chale gaye Aur Hazrate Halima Sadiya) Aap ﷺ ki Talaash me Nikli, Aap ﷺ ko Aapki Razaai Bahan Shayma ke Sath Paya, Woh HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Lory deiti hui kehti thi
هٰذَا أَخٌ لِيْ لَمْ تَلِدْهُ أُمِّيْ وَلَيْسَ مِنْ نَّسْلِ أَبِيْ وَعَمِّيْ
فَدَیْتُہ مِنْ مُخْوِل مُعِمّ فَاَنْمِهِ اللّٰهُمَّ فِيْمَا تُنْمِيْ
‘Ye Meire Bhai he (Lekin) Inko Meiri Maa ne Nahi Jana Aur Na hi Ye Meire Baap Aur Chacha ki Nasl se he, Mai Is par Achhe Nanhiyaal(Nana ka Gharna) Aur Achhe Dadhiyal(Dada ke Khandan) ko Fida karu, YA ALLAH Jinko Tu Badhata he Unme Inko Bhi Badha’.
Hazrate Shayma RadiAllaho Ta’ala Anha ye Ashaar Gunguna kar bhi HUZOOR ﷺ ko Loriya deiti thi
يَا رَبَّنَا اَبۡقِ لَنَا مُحَمَّدًا حتّٰى اُرَاهٗ يَافِعًا وَ اَمۡرَدًا
ثُمَّ اَرَاهٗ سَيِّدًا مُسَوَّدًا وَاَكۡبِتۡ اَعَادِيۡهِ مَعًا والحُسَّدَا
وَ اَعۡطِهِ عِزًّا يَدُوۡمُ اَبَدًا
Ay Meire RABB Meire Bhai MUHAMMADﷺ  ko Humaare liye Salaamat rakh Hatta ki Hum Aap ko Jawaan deikhe, Hatta ki Hum Aap ko Apni Qoum ka Aysa Sardaar deikhe Sab Jinki Ita’at kar rahe ho, Ay Meire MOULA Inke Dushmano Aur Haasido ko Zaleel wa Rushva Farma Aur Inhe Woh Izzat Ataa Farma Jo Ta-Abad Baaqi rahe,

Hazrat Halima RadiAllaho Ta’ala Anha ne(Hazrate Shayma se) kaha Is Shakht Garmi me Inhe le kar Baahar Aa gayi ho..
Bahan ne kaha Meire Kareem Bhai ko Garmi Nahi lagti, Ek Baadal ka Tukda In par Saaya Figan (Saaya Daale) rehta he, Jab ye Theharte he to Woh Bhi Thehar jata he Jab ye Chalte he To Woh bhi Chalne Lagta he, Hazrat Halima Sadiya ne Farmaya Meiri Lakhte Jigar Sach Keh rahi ho..? Usne kaha Haa.., Hazrat Halima Sadiya ne kaha Mai Is Shar se RABB TA’ALA ki Panaah Maangti hu Jiske Baare me Hume Apne Noore Nazar par Andesha he,

Ek Aur Riwaayat me he ki Baaz Waqt Hazrate Halima Sadiya Baadal ka Ek Tukda deikhti Jo HUZOOR ﷺ par Saaya Karne Wala hota, Jab Aap ﷺ Theharte To Woh bhi Thehar Jata Jab Aap ﷺ Chalte To Woh bhi Chalne lagta.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Safa-75)

Hazrat Shah Abdul Haqq Mohaddise Dahelvi Alayhir Rahmah Farmaate he ki
Is (Hadees) se Maalum huwa ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam par Abar(Baadal) ka Saaya Karna Bachpan hi se tha, Lekin Ulma Kehte he ki ye Daaimi(Hameisha ke) Tour par Na tha ki Hameisha Aap ﷺ ke Sar Mubaarak par Abar(Baadal) Saaya karta, Ye Surat Zarurat ke Waqt hoti.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-38)

>➤ Bakariyo ko Charaana Aur Kheil-Kud se Door Rehna :-
Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Kuchh Bade huwe to Ghar se Baahar Nikalte Aur Dusre Ladko ko Khelte deikhte Magar Khud Hameisha Har Qism ke Khel-Kud se Alaahida(Door) rehte,
Ek Din Mujhse (Halima Sadiya) se Kehne lage ki Ammajaan Meire Dusre Bhai Bahan Din Bhar Nazar Nahi Aate Ye Loug Hameisha Subah Uth kar Rozana Kaha Chale Jate he..? Maine Kaha ki Yah Loug Bakariya Charaane Chale Jate he, Ye Soon kar Aap ﷺ ne Farmaya Maadare Maherbaan Aap Mujhe bhi Meire Bhai Bahano ke Sath Bheija Kijiye, Chunanche Aap ﷺ ke Israar se Mazbur ho kar Aap ﷺ ko Hazrate Halima RadiAllaho Ta’ala Anha ne Apne Baccho ke Sath Charaagaah Jane ki Ijaazat de di Aur Aap ﷺ Rozana Jaha Hazrate Halima ki Bakariya Charti thi (Waha) Tashreef le Jate rahe Aur Bakariya Charaagaho me le Ja kar Unki Deikhbhaal Karna Jo Tamaam Ambiya Aur Rasoolo Alayhis Salaam ki Sunnat he, Aap ﷺ ne Apne Amal se Bachpan hi me Apni Ek Khaslate Nabuwwat(Nabuwwat ki Aadat) ka Izhaar Farma diya.
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-53,54)

Ek Riwaayat me he ki
Jab Chalne ka Zamana Aaya Aur Aap ﷺ Bachcho ko Khelta deikhte to Aap ﷺ Unse Door rehte Aur Unhe Is se Mana Farmaate Aur Kehte Hume Khelne ke liye Peida Nahi Farmaya gaya he.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-37)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *