HUZOOR ﷺ ka Jisme Mubaarak

>➤ Jamaale MUSTAFA ﷺ :-
HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ko ALLAH TA’ALA ne Jis Tarah Kirdaar ke Kamaal me Tamaam Guzre Aur Aane walo me Afzalo Aala Banaya Isi Tarah HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Husno Jamaal me bhi Bemisl wa Bemisaal Peida Farmaaya, Hum Aur Aap HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Shane Bemisaal ko Bhala Kya Samajh Sakte he..?
Sahaabiye Rasool Hazrat Hassan Bin Saabit RadiAllaho Ta’ala Anho ne Apne Qasida e Hamziya me Jamaale MUSTAFA ﷺ ki Shane Bemisaal ko Is Shan ke Sath Bayaan Farmaaya ki
وَاَحْسَنَ مِنْکَ لَمْ تَرَقَطُّ عَیْنِیْ
وَاَجْمَلَ مِنْکَ لَمْ تَلِدِ النِّسَآءُ
Yani RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Aap se Zyada Husno Jamaal wala Meiri Aankh ne Kabhi Kisi ko deikha hi Nahi Aur Aap se Zyada Kamaal wala Kisi Aurat ne Jana hi Nahi.
خُلِقْتَ مُبَرَّءًمِّنْ کُلِ عَیْبٍ
کَاَنَّکَ قَدْ خُلِقْتَ کَمَا تَشَآءُ
YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Aap Har Aiyb wa Nukshan se Paak Peida kiye gaye he Goya Aap Ayse hi Peida kiye gaye Jeise Hasino Jameel Peida hona Chahte the,

Aala Hazrat Imaam Ahmad Raza Alayhir Rahmah ne bhi Kya Khub Farmaaya he ki
Teire Khulq ko Haqq ne Azeem Kaha,
Teiri Khalq ko Haqq ne Jameel Kiya,
Koi Tujh sa huwa hei Na hoga Shahaa ﷺ,
Teire Khaaliqe Husno Adaa ki Qasam.
(Maakhuz Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-399)

In sha Allah Ab Mukhtasar Tour HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Jisme Muqaddas ke Ta’aluq se Ma’alumaat Peish ki Jaayegi..

>➤ Jisme Athar :-
Hazrate Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho ka Bayaan he ki HUZOORE ANWAR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Jisme Aqdas ka Rang Gora Safeid tha, Aysa Maalum hota tha ki goya Aapka Muqaddas Badan Chandi se Dhal kar Banaya gaya he.
(Shumaaile Tirmizi, Safa-2)

Hazrate Anas RadiAllaho Ta’ala Anho kehte he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Jisme Mubaarak Nihaayat Narmo Naazuk tha, Maine Diba wa Hareer(Reshmi Kapdo) ko bhi Aapke Badan se Zyada Narm wa Naazuk Nahi deikha Aur HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Jisme Mubaarak ki Khushbu se Zyada Achhi Kabhi koi Khushbu Nahi Soongi.
(Bukhari Shareef, Jild-1, Safa-502)

Hazrate Kaab Bin Maalik RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaaya ki Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Khush hote the to Aap ka Chehra he Anwar Is Tarah Chamak Uthta tha ki Goya Chand ka Ek Tukda he Aur Hum Loug Isi Keifiyat se HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Shadmaani(Khushi) wa Masarrat ko Pehchan Leite the.
(Bukhari Shareef, Jild-1, Safa-503)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-401,402)

>➤ Mohare Nabuwwat :-
HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ke Dono Shano(Kandhe Mubaarak) ke Darmiyaan Kabutar ke Ande ke Baraabar Mohare Nabuwwat thi, Ye Ba-Zaahir Surkhi Maail(Laal Rangat ka) Ubhra huwa Gosht tha, Chunaanche Hazrate Jaabir Bin Sumrah RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he ki Maine HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Dono Shano ke Bichme Mohare Nabuwwat ko deikha Jo Kabutar ke Ande ki Miqdaaar me Surkh Ubhra huwa Ek Gudud(Gland) tha.
(Tirmizi Shareef, Jild-2, Safa,-205)

Lekin Ek Riwaayat me ye bhi he ki Mohare Nabuwwat Kabutar ke Ande ke Baraabar thi Aur Us par Ye Ibaarat likhi hui thi ki
اللّٰہُ وَحْدَہٗ لَا شَرِیْکَ لَہٗ بِوَجْہٍ حَیْثُ کُنْتَ فَاِنَّکَ مَنْصُوْرٌ
Tarjama :- Ek ALLAH he Uska Koi Shareek Nahi (Ay RASOOL ﷺ) Aap Jaha bhi Rahenge Aap ki Madad ki Jayegi,

Aur Ek Riwaayat me yeh bhi he ki Mohare Nabuwwat Ek Chamakta huwa Noor tha, Raawiyo ne Iski Zaahiri Shakl wa Surat Aur Miqdaar ko Kabutar ke Ande se Tashbeeh di he.
(Haashiya Tirmizi, Jild-2, Safa-205)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-403)

>> Nabuwwat ki Alaamat :-
Hazrat Wahab Bin Munabbah RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he ALLAH TA’ALA ne Jitne Ambiya e Kiraam Alayhis Salaam ko Mabus Farmaaye Unke Daaya Hath(Sidha/Right Haath) me Nabuwwat ki Alaamat(Pehchan/Nishani) thi Lekin Humaare NABI HAZRAT MOHAMAMD MUSTAFA Sallallaho Alayhe Wasallam ki Alaamate Nabuwwat Aapke Kandho ke Darmiyan thi.
(Mustadrak Haakim, Jild-2, Safa-577)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-130,131)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-104)

>➤ HUZOOR ﷺ ka Chehra E Anwar :-.
HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ka Chehrae Munawwar Jamaale ILAAHI ka Aaaina Aur Anwaare Tajalli ka Mazhar tha, Nihaayat hi Wajeeh(Bahot Khubsurat), Pur Gost Aur Kisi Qadar Golaai liye huwe tha, Hazrate Jaabir Bin Samurah RadiAllaho Ta’ala Anho ka Bayaan he ki Maine RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ko Ek Martaba Chandni Raat me deikha, Mai Ek Martaba Chand ki Taraf Deikhta Aur Ek Martaba HUZOOR ﷺ ke Chehra e Anwar ko Deikhta To Mujhe HUZOOR ﷺ ka Chehra Chand se bhi Zyada Khub Surat Nazar Aata tha.
(Shumaaile Mohammadiya, Safa-24)

Hazrat Barra Bin Aazib RadiAlllaho Ta’ala Anho se Kisi ne Puchha ki Kya RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ka Chehra (Chamak Damak me) Talwar ki Maanind tha…? To Aap ne Farmaya ki Nahi Balki HUZOOR ﷺ ka Chehra Chand ki Misl tha,
Hazrate Moula Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ne HUZOOR ﷺ ke Hulya e Mubaaraka ko Bayaan Karte huwe Yeh Kaha ki Jo HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Achaanak Deikhta Woh Aap ﷺ ke Roab Daab se Darr jata Aur Pehchan ne ke Baad HUZOOR ﷺ se Milta Woh HUZOOR ﷺ se Muhabbat karne lagta tha.
(Shumaaile Tirmizi, Safa-2)

Hazrate Abdullah Bin Salaam RadiAllaho Ta’ala Anho ne HUZOOR Sallallaho Aalyhe Wasallam ke Chehra e Anwar ke Baare me Kaha ki Maine HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Chehra e Anwar ko Bagour deikha to Maine Pehchan liya ki Aap ka Chehra Kisi Jhute Aadmi ka Chehra Nahi he.
(Mishkaat Shareef, Jild1, Safa-168)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-405, 406)

Hazrate Hind Bin Abi Haala RadiAllaho Ta’ala Anho Bayaan Farmaate he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Chehra e Mubaarak Chodhvi Raat ke Chand ki Maanind Chamakta tha.
(Shumaaile Tirmizi)
(Seerate Rasoole Arabi, Safa-249)

Hazrat Kaab Bin Maalik RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Woh Farmaate he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Jab Khush hote to Aap ka Chehra E Mubaarak Roushan ho jata, Goya Woh Chand ka Tukda ho.
(Bukhari Shareef)
(Al Bidaya Wan Nihaya, Jild-6, Safa14)
(Dalaailun Nabuwwat, Jild-1, Safa-197)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-21)

Hazrat Abul Tufail RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat kiya he ki Unse HUZOOR NABI E KAREM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Wasf(Khubi) Bayaan karne ke liye kaha gaya to Unhone Farmaaya HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Safeid Rang the Aur Aap ka Chehra e Anwar Nihaayat Khubsurat tha.
(Muslim Shareef, Hadees-98)
(Sunaane Abud Daawud, Hadees-4864)
(Musnade Imaam Ahmad, Jild-5, Safa-454)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2,Safa-22)

Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha se Riwaayat he ki Mai Sahari ke Waqt See rahi thi, Meire Haath se Sui gir gayi, Bahot Talaash ki Magar Na mili, Itne me HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Daakhil hue To Aap ke Chehra e Anwar ki Roshani se Sui Nazar Aa gayi.
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-134)

Subhan Allah…

Chand se Moonh Pe Taaba Darkhsha Durood,
Namak Aaagi Sabaahat pe Lakho Salaam,
Jis se Taarik Dil Jagmagaane Lage,
Us Chamak Wali Rangat pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ke Muqaddas Baal :-.
HUZOORE ANWAR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Mue Mubaarak(Baal Mubaarak)Na Ghunghar-daar the Na Bilkul Sidhe Balki Dono Keifiyyato ke Darmiyaan the, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Muqaddas Baal Pehle Kaano ki Lou tak the Fir Shano(Kandho Mubaarak) tak Khubsurat Gesu latakte rehte the Magar Hijjatul Wada ke Mouqe par HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Apne Baalo ko Utarwa diya,

HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Aksar Baalo me Teil bhi Daalte the Aur Kabhi Kabhi Kanghi bhi karte the Aur Aakhir Zamaane me Bich sar me Maang bhi Nikaalte the, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Muqaddas Baal Aakhir Umar tak Siyaah(Black) rahe, Sar Aur Dadhi Shareef me Bis(20) Balo se Zyada Safeid Nahi huwe the.
(Shumaaile Tirmizi, Safa-4,5)

HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hijjatul Wada me Jab Apne Baal Utarwaaye to Woh Sahaba e Kiraam RadiAllaho Ta’ala Anhum me Batoure Tabarruk Taqsim huwe Aur Sahaba e Kiraam RadiAllaho Ta’ala Anhum ne Nihaayat hi Aqidat ke Sath Is Mue Mubaarak ko Apne Paas Mehfuz rakha Aur Isko Apni Jaano se Zyada Aziz rakhte the,

Hazrate Bibi Umme Salmah RadiAllaho Ta’ala Anha ne In Muqaddas Balo ko Ek Shishi me rakh liya tha Jab Kisi Insaan ko Nazar lag jati ya Koi Marz(Beemar) hota to Aap RadiAllaho Ta’ala Anha Us Shishi ko Pani me Doobo kar deiti thi Aur Us Paani se Shifa Haasil hoti thi.
(Bukhari Shareef, Jild-2, Safa-875)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-404, 405)

Woh Karam ki Ghata Gesue Mushq sa,
Laqqae Abre Raafat pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ki Nooraani Aankh :-.
>> Ummul Moameneen Saiyyada Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha se Marvi he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Andhere me Isi Tarah deikhte the Jis Tarah Roushani me deikhte the.
(Dalaailun Nabuwwat, Jild-6, Safa-75)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-25)

Hazrat Ibne Abi Haala RadiAllaho Ta’ala Anho ki Riwaayat me he ki HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam Jab kisi ki Taraf Tawajjo Farmaate to Puri Tarah Tawajjo Farmaate, HUZOOR ﷺ ki Nazare Mubaarak Aksar Zameen ki Taraf Jhuki Rehti, Bahot Kam Aaasman ki Taraf Buland hoti, HUZOOR ﷺ kisi bhi Chiz ko Puri Tarah Mulaaheza Farmaate the,
“Jab Tawajjo Farmaate to Puri Tarah Tawajjo Farmaate” Iska Matlab Ye ki HUZOOR ﷺ Nazar Chura kar Nahi Deikhte the, Mubaarak Gardan ko Daaye-Baaye(Right-Left) Nahi le Jate the, Kyu ki Is Tarah karna Kamzor Aqal ki Alaamat he, Balki HUZOOR ﷺ Aage Aur Pichhe Puri Tarah Tawajjo Farmaate.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-2, Safa-472)

>> HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Chasmaane Mubaarak Badi Badi Aur Qudrati Tour par Surmagi(Surma Lagi hui) thi, Palke Ghani Aur Daraaz thi, Putli ki Siyaahi Khub Siyaah Aur Aaankh Safeidi Khub Safeidi thi Jinme Baarik Baarik Surkh(laal) Dore the.
(Shumaaile Tirmizi, Safa-2)
(Dalaailun Nabuwwat, Safa-54)

HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Muqaddas Aankho ka ye Aijaaz he ki Aap Bayak Waqt(Ek Sath) Aage Pichhe, Daaye Baaye, Upar Niche, Din-Raat, Andhere-Ujaale me Yaksha(Eksa/Baraabar) deikha karte the.
(Zarqaani Alal Mawaahib, Jild-5, Safa-246)
(Al Khasaaisul Kubra, Jild-1, Safa-61)

HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Ay Lougo Tum Ruqu’a wa Sujood ko Durusht Tariqe se Adaa karo Kyuki KHUDA ki Qasam Mai Tum Lougo ko Apne Pichhe se bhi Deikhta rehta hu,
(Mishkaat Shareef, Jild-1, Safa-180)

Ek Aur Riwaayat me he ki KHUDA ki Qasam Tumhaara Ruqu’a wa Khushu’a Meiri Nigaaho se Poshida Nahi rehta.
(Bukhari Shareef, Jild-1, Safa-59)

Subha Allah..
Pyaare MUSTAFA Sallallaho Alayhe Wasallam ki Noorani Aankho ke Aijaaz ka kya Kehna..? ki Pith Pichhe se Namaaziyo ke Ruqu’a Balki Khushu’a ko bhi deikh rahe he,
Khushu’a Dil me Khouf Aur Aajizi ki Ek Kefiyat ka Naam he Jo Aankh se Deikhne ki Chiz hi Nahi he Magar Nigaahe Nabuwwat ka ye Mo’ajiza deikho ki Aysi Chiz ko bhi HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Apni Aankho se Deikh liya jo Aankh se Deikhne ke Qaabil hi Nahi he.
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-407,408)

Jis Taraf Uth Gayi Dum me Dum Aa gaya,
Us Nigaahe Inaayat pe Lakho Salaam,

Nichi Aankho ki Sharmo Haya Par Durood,
Unchi Bini ki Rif’at pe Lakho Salaam,
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ki Mubaarak Bhanve Aur Bini Mubaarak :-
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Bhanve Daraaz(Lambi) wa Baarik Aur Ghane Baal Wali thi Aur Dono Bhanve Is Qadr Muttasil(Qareeb) thi ki Door se Dono mili hui Maalum hoti thi Aur In Dono Bhanvo ke Darmiyaan Ek Ragg(Nas) thi Jo Gusse ke Waqt Ubhar Aati thi.
(Shumaaile Mohammadiya, Safa-21)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-406)

Jinke Sajde ko Mehraabe Kaaba Jhuki,
Un Bhanvo ki Lataafat pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)

>> Bini Mubaarak :-
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Mutabarrak Naak Khubsurat Daraaz Aur Buland thi Jis par Ek Noor Chamakta tha, Jo Shaksh Bagour Nahi deikhta tha Woh ye Samajh tha ki Aap ki Mubaarak Naak Bahot Unchi he Halanki Aapki Naak Bahot Zyada Unchi Na thi Balki Bulandi Us Noor ki wajah se Mehsus hoti thi Jo Aap ki Muqaddas Naak ke Upar Jalwa Figan tha.
(Shumaaile Tirmizi, Safa-2)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-408)

Nichi Aankho ki Sharmo Haya Par Durood,
Unchi Bini ki Rif’at pe Lakho Salaam,
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ki Muqaddas Peshani Aur Sare Aqdas:-
Hazrat Hind Bin Abi Haala RadiAllaho Ta’ala Anho HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Chehra e Anwar ka Hulya Bayaan karte he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Mubaarak Peshani Kushada Aur Chodhi thi.
(Shumaaile Tirmizi, Safa-2)
Qudrati Tour par HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Peshani Par Ek Noorani Chamak thi.
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa- 408)

Ahle Seer Bayaan karte he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Peshani Mubaarak se Neik-Bakhti(Parhezgaari), Sa’adat Mandi (Farmaanbardaari) Aur Nooraniyat Zaahir hoti rehti thi.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-1, Safa-20)

>> Sare Aqdas :-
Saiyyadna Moula Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ne HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Hulya e Mubaarak Bayaan Farmaate huwe Irshaad Farmaya ki “Zakhmurras” Yaani HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Sare Aqdas Bada tha (Jo Shandaar Aur Khubsurat hone ka Nishan he).
(Shumaaile Mohammadiya, Safa-19)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-404)

Jiske Aage Sare Sarwara Kham rahe,
Us Sare Taaje Rif’at pe Lakho Salaam,

Jiske Maathe Shafa’at ka Sehra Raha,
Us Jabine Sa’adat pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ke Kaan Mubaarak :-
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Aankho ki Tarah HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Kaan Mubaarak me bhi Moajizaana Shan thi,

>> HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irsaad Farmaya Beishak Mai Woh Kuchh Deikhta hu Jo Tum Nahi Deikhte Aur Jo Kuchh Mai Soonta hu Tum Nahi Soonte, Tum Aaasmaan ke Charcharaane ki Aawaz Nahi Soonte Aur Aasmaan ka Charcharana Durusht(Sahih) he Kyuki Usme Chand Ungal bhi Aysi Jagah Nahi he Jaha Farishta Peishani Rakhe Sajda Na kar raha ho.

Ek Riwaayat me he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ek Din Sahaba e Kiraam ke Darmiyaan Tashreef Farma the, HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Unse Farmaya Tum Soonte ho Jis Aawaz ko Mai Soon raha hu..?
Sahaba e Kiraam RadiAllaho Ta’ala Anhum ne Arz kiya YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Hum to Koi Aawaz Nahi Soon rahe he, Farmaaya Mai Aasmaan ke Charcharaane ki Aawaaz Soon raha hu Aur Charcharane ko Malaamat(Bura-Bhala) Nahi Kyuki Aaasmaan me Balisht(12 Ungal) Bhar Jagah Aysi Nahi Jis par Farishte Qayaam Wa Sujud Na kar rahe ho.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-29)
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-139,140)

>> HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Haleef(Sathi) Bani Khuza’aa ne 3 Din ki Masaafat(Doori) se HUZOOR ﷺ ko Apni Imdaad wa Nusrat(Madad wa Himaayat) ke liye Pukaara To HUZOOR ﷺ ne Unki Fariyaad ko Soon li,
Allama Zarqaani Alayhir Rahmah ne Is Hadees ki Sharah me Farmaaya ki Agar HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne 3 Din ki Masaafat se Ek Fariyaadi ki Fariyaad Soon li to ye HUZOOR ﷺ se Koi Baeed(Na-Mumkin) Nahi he Kyuki HUZOOR ﷺ to Zameen par Beithe huwe Aasmaano ki Charcharaahat ko Soon liya karte the Balki Arsh ke Niche Chaand ke Sajde me Girne ki Aawaz ko bhi Soon liya Karte the.
(Sharah Zarqaani Alal Mawaahib, Jild-3, Safa-381)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-409)

Duro Nazdik ke Soon ne Waale Woh Kaan,
Kaane Laale Karaamat pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ka Dahan Mubaarak :-
>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Honth Mubaarak Tamaam Lougo ke Hontho se Zyada Khubsurat the Aur Dahan(Moonh) Mubaarak Sabse Zyada Lateef(Khubsurat) tha.

Hazrat Abu Qirsafa RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he ki Mai, Meiri Maa Aur Meiri Khala ne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Daste Mubaarak par Beit ki, Jab Hum Waapas hue to Meiri Maa Aur Khala ne Mujh se Kaha Beita Humne Unki Tarah Khubsurat Chehre, Saaf Kapdo Aur Naram Guftagu Wala Koi Shaksh Nahi deikha Aur Humne Deikha ki Goya HUZOOR ﷺ ke Dahan(Moonh) Mubaarak se Noor Nikal raha he.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-32)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-134)

>> Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Saamne ke Dono Mubaarak Daant Kushada(Chodhe/Feile huwe) the, Douraane Guftagu Unke Darmiyaan se Noor Nikalta Mehsus hota tha.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-134)

>> Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Dahan Mubaarak Waseeh tha, Daant Mubaarak Motiyo ki Tarah Chamakte the, Dandaane Mubaarak Aapas me Bhinche huwe Na the, Balki Darmiyaan me Thoda Thoda Faasla tha.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-2, Safa-476)

>> Hazrat Hind Bin Abi Hala RadiAllaho Ta’ala Anho Ka Bayaan he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Rukhsaar(Gaal Mubaarak) Narm wa Naazuk Aur Humwaar(Ek Jeise) the Aur HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Moonh Mubaarak Faraakh(Feila huwa), Daant Mubaarak Kushaada Aur Roshan the, Jab HUZOOR ﷺ Guftagu Farmaate To HUZOOR ﷺ ke Dono Agle Mubaarak Daanto ke Darmiyaan se Ek Noor Nikalta tha Aur Jab Kabhi Andhere me HUZOOR ﷺ Muskura deite to Dandaane Mubaarak ki Chamak se Roshani ho Jati thi.
(Shumaaile Tirmizi, Safa-2)

HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Kabhi Jamaai(Bagaase) Nahi Aayi Aur Ye Tamaam Ambiya Alayhis Salaam ka Khaassa(Khaasiyat) he ki Inko Kabhi Jamaai Nahi Aati Kyuki Jamaai Shaitaan ki Taraf se Huwa Karti he Aur Hazraate Ambiya Alayhis Salaam Shaitan ke Tasallut(Zour) se Mehfuz wa Maasum he.
(Zarqaani Alal Mawaahib, Jild-7, Safa-98)
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-409, 410)

Patli Patli Gule Quds ki Pattiya,
Un Labo ki Nazaakat pe Lakho Salaam,

Woh Dahan Jiski Har Baat Wahi ye Khuda,
Chashma e Ilmo Hikmat pe Lakho Salaam,
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ki Zubaane Mubaarak :-
>> Hazrat Umar Faaruq RadiAllaho Ta’ala Anho ne Arz ki YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Aap Hum Sabse Zyada Faseeh(KhushBayaan) Kyu he..? Halanki Aap Safar karke Kahi (Is Maqshad ke liye) Tashreef Nahi le gaye, HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Hazrat Ismaail Alayhis Salaam ki Lugaat(Dictionary) mit chuki thi Hazrat Jibraail Alayhis Salaam Use Le kar Aaye Aur Mujhe Yaad kara di.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-135)

>> Ummul Moameneen Saiyyada Aaisha RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Tum Lougo ki Tarah Tezi se Nahi Bolte the HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Is Tarah Guftagu Farmaate ki Koi Shaksh Isko Loutana Chahe to Lota Sake.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-34)

>> HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Zubaane Aqdas ki Balaagat(KhushBayaan), Jawaame Kalamaat, Badiul Bayaan Aur Hikmat Aamoz Baate Niraali Shaan rakhti thi, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Kalaam Paak ke Aytebaar se Tamaam Makhluq se Zyada Faseeh, Nizaam ke Aytebaar se Sabse Azeem Aur Adaaygi ke Aytebaar se Sabse Zyada Sareeh the, HUZOOR ﷺ ka Kalaame Muqaddas Dil ki Behad Gehraahiyo me Utar Jata, Jab Wa’az(Taqreer) Irshaad Farmaate to Sab se Zyada Naseehat karte, HUZOOR ﷺ Fahash-Gohi Aur Beihuda Kalaam Na Farmaate, HUZOOR ﷺ Aysi Guftagu Hargiz Na Farmaate Jise Aap Khud Pasand Na karte, Aahista Aahista Guftagu Farmaate Jise Shumaar karne wala Chahta to Shumaar kar sakta tha, HUZOOR ﷺ Itni Tezi se Guftagu Na Farmaate Jise Yaad Na kiya Ja Sake,

Ummul Moameneen Saiyyada Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Guftagu ko Acchi Tarah Bayaan Farmaate, Dusri Riwaayat me he ki HUZOOR ﷺ ki Guftagu Aaam Faham hoti thi, HUZOOR ﷺ ki Guftagu Juda Juda hoti thi, Agar Use Shumaar Karne wala Gin na Chahta to Gin Sakta tha.

Hazrat Anas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam Ek Baat ko 3 Baar Farmaate Hatta ki Woh Achhi Tarah Samajh me Aa jati.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-2, Safa-477)

Woh Zabaa Jisko Sab Kun ki Kunji Kahe,
Uski Naafiz Hukumat pe Lakho Salaam,
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ka Luaabe Mubaarak :-.
HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ka Luaabe Dahan(Thuk Mubaarak) Zakhmiyo Aur Beemaro ke liye Shifa Aur Zehar ke Asar walo ke liye Dawaai Tha,

>> Hazrat Waaeil Bin Hajr RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Paas Dol me Paani laya gaya, HUZOOR ﷺ ne Uska Paani Piya Fir Kunwe me Kulli Farma di Jiske Baad Kunwe se Mushk Jeisi Khushbu Aane Lagi.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-132)

>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hazrat Anas RadiAllaho Ta’ala Anho ke Ghar ke Kunve me Luaabe Mubaarak Dala to Madeena Taiyyaba me Us se Mitha Paani Na tha.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-33)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-132)

>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Aaashura ke Din Un Bacho ko Jo Aap se Kushusi Ta’aluq Rakhte the Aur Apni Saahabzadi Hazrate Faatima RadiAllaho Ta’ala Anha ke Bachho ko Bulaate Aur Unke Moonh me Luaab Mubaarak Daalte Aur Unki Waalida se Farmaate Inko Raat tak Doodh Na Pilaana Chunanche Unko HUZOOR ﷺ ka Luaabe Mubaarak hi Raat tak Kaafi hota.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-33)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-132)

>> Hazrate Umeira Binte Masood Aur Unki Bahene RadiAllaho Ta’ala Anhun HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Beit hone ke liye Haazir huyi Aur Ye 5 Thi, Inhone HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko deikha ki Aap Khushk(Sukhe) Gosht ke Tukde Tanaawul Farma(Kha) rahe he, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Un(Khawaatin) ke liye Gosht Chabaya Aur Fir Unme se Har Ek ne Ek Ek Tukda Chabaya, To (Un 5 Baheno me) Duniya se Rukhsat hone tak Moonh se Badbu Nahi aayi.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-33)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-132)

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Luaabe Mubaarak ki Azmato ke Ta’aluq se Bahot si Riwaayate Bayaan ki Gayi he Jisko Yaha Bayaan Karna Mumkin Nahi, Filhaal Luaabe Mubaarak ki Azmat ke liye Itni Riwaayat Kaafi he..

Jis ke Paani se Shaadab Jaano Jina,
Us Dahan ki Taraawat pe Lakho Salaam,

Jis se Khaari Kunwe Shira e Jaan Bane,
Us Julaale Halaawat pe Lakho Salaam,
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ki Aawaz Mubaarak :-
>> HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Aawaz Mubaarak ke Bare me Hazrat Anas RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he Farmaate he ALLAH TA’ALA ne Tamaam Ambiya e Kiraam ko Khubsurat Aur Achhi Aawaz wala Bana kar Bheija Hatta ki Humaare NABI ﷺ Ko Bheija to Aap ka Chehra Mubaarak bhi Haseen Aur Aawaz Mubaarak bhi Achhi thi.
(Tabqaat Ibne Saad, Jild-1, Safa-283)

HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ki Aawaz Mubaarak Waha Tak Pahonchti Jaha tak Dusro ki Aawaz Nahi Pahonchti thi.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-75,76)

>> Hazrat Barra RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hume Khutba diya to HUZOOR ﷺ ke Us Khutbe ko Tamaam Ijtemaa ke Aakhir me Pardanasheen Aurato ne Soona.
(Yaani HUZOOR ﷺ ki Aawaz Mubaarak Us Door Daraaz Jagah Pahonch gayi Jaha Aurate Beith ti thi).
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-76)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-140)

>> Hazrat Jubair Bin Mut’am RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Aawaz Mubaarak Bahot Khubsurat thi.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-2, Safa-481)

Jisme Nahare Hei Shiro Shakar ki Ranva,
Us Gale ki Nazaarat pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ka Tabassum Shareef :-
>> Ummul Moameneen Saiyyada Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Maine HUZOORE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Kabhi bhi Khul kar Hanste huwe nahi deikha ki Aap ke Halaq Mubaarak ka Gosht(Moonh ke Bilkul Aakhir me Halaq ke Upar Ek Gosht ka Tukda) Nazar Aaye Balki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Tabassum Farmaate (Muskuraate) the.
(Bukhaari Shareef)

Haafiz Ibne Hajar Asqalaani Rahmatullah Alay ne likha he ki HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam Aksar Waqto me Tabassum hi Farmaaya karte the, Kabhi Hanste bhi the Lekin Qehqaha(Zour ki Hansi) Nahi Lagaate the.
Zyada Hansna Makrooh he, Kyu ki Is se Waqaar(Sukun) Khatm ho jata he.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-1, Safa-22)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-76,77)

>> Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaaya HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Jab Hanste to Diwaar Chamak Uthati.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-77)

Jiski Tashqi se Rote Huwe Hans Pade,
Us Tabassum ki Aadat pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ki Gardan Mubaarak, Shikam wa Sina Mubaarak :-
>> Gardan Shareef :-
HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Gardan Shareef ke Baare me Ibne Abi Hala RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Gardan Mubaarak Chandi ki Safaai me Chamakdaar Aur Dummiya Manind(Sidhi) thi.

Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho kehte he ki HUZOOR ﷺ ki Gardan Mubaarak Safeid thi Goya ki Chandi se Banaayi Gayi ho.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-1, Safa-31)

>> Shikam wa Sina Mubaarak :-
HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Shikam wa Sina e Aqdas Dono Humwaar(Ek Thal) Aur Baraabar the, Na Sina Shikam(Peit Mubaarak) se Uncha tha Na Shikam Sine se, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Sina Chodha tha Aur Sine ke Uper ke Hisse se Naaf tak Muqaddas Baalo ki Ek Patli si Laqeer Chali gayi thi, Muqaddas Chaatiya Aur Pura Shikam Baalo se Khali tha, Shano(Kandha Mubaarak) Aur Kalaaiyo par Qadre Baal the.
(Shumaaile Mohammadiya, Safa-21)

HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Shikam Sabr wa Qanaaat(Thodi si Chiz par Razamandi) ki Ek Duniya Aur Aap ka Sina Maarefate ILAAHI ke Anwaar ka Safina Aur Wahiye ILAAHI ka Ganjina tha.
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-413)

Kul Jaha Milk Aur Jav ki Roti Giza,
Us Shikam ki Qana’at pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ka Daste Rehmat :-
>> HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Muqaddas Hatheliya Chodhi, Pur-Gosht, Kalaaiya Lambi, Baazu Daraaz Aur Gosht se Bhare huwe the.
(Shumaaile Mohammadiya, Safa-21)
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-412)

>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hazrat Jaabir RadiAllaho Ta’ala Anho ke Chehre par Daste Mubaarak(Hath Mubaarak) Feira to Unhone Aapke Daste Mubaarak me Thandak Aur Khushbu Paayi Goya Woh Attar ki Sandukcha(Ittr Bechne wale ke Bakse) se Nikala gaya ho.

Hazrat Waail Bin Hajar RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he Mai NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se Musafa Karta Ya Meira Jism HUZOOR ﷺ ke Jism Mubaarak se Lagta to Mai Baad me Apne Hath me Iska Asar Pata Aur Meira Hath Kastoori se Zyada Khushbudaar hota tha.

Hazrat Yazeed Bin Aswad RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Mujhe Apna Hath Mubaarak Pakadwaya to Woh Barf se Zyada Thanda Aur Kastoori se Zyada Khushbudaar tha.

Hazrat Mustawredo Bin Shaddaad Apne Waalid se Riwaayat karte he Woh Farmaate he ki Maine NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Daste Mubaarak Pakda To Woh Resham se Zyada Naram Aur Barf se Zyada Thanda tha.

HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam Makka e Mukarrama me Hazrat Saad Bin Abi Waqaas RadiAllaho Ta’ala Anho ki Beemaar-Parshi(Beemaar ki Khabargiri) ke liye Unke Paas Tashreef le gaye, Woh Farmaate he ki HUZOOR ﷺ ne Apna Daste Mubaarak Meiri Peshani par rakha Aur Meire Chehre, Sine Aur Peit ko Chhuwa to Mujhe Musalsal Yahi Khyaal aata rehta ki Mai Qayaamat tak HUZOOR ﷺ ke Hath Mubaarak ki Thandak Apne Jigar me Mehsus karta rahunga.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-78)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-1, Safa-35)

>> Gazva e Hunain ke Din Hazrat Aaiz Bin Umaro RadiAllaho Ta’ala Anho ke Chehra ko Zakham Pahoncha To Unke Chehre Aur Sine par Khun Jari ho gaya, HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Apne Daste Mubaarak se Unke Chehre Aur Sine se Khun Door kiya Fir Unke liye Duaa Farmaayi to HUZOOR ﷺ ke Daste Mubaarak ka ye Asar huwa ki Jaha tak HUZOOR ﷺ ne Hath Feira Ghode ki Safedi ki Tarah Woh Sab Jagah Safeid Chamakdaar ho gayi.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-2, Safa-80)

Hath Jis Samt Utha Gani Kar diya,
Mouje Bahare Samaahat pe Lakho Salaam,

Noor ke Chasme Lehraaye Dariya Bahe,
Ungaliyo ki Karaamat pe Lakho Salaam,
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ke Peir Mubaarak :-
>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Muqaddas Peir Chodhe, Pur-Gosht, Ediya Kam Gosht Wali, Talwa Uncha Jo Zameen me Na Lagta tha, Dono Pindaliya Qadre Patli Aur Saaf wa Shaffaf(Ujli/Gori), Peir Mubaarak ki Narmi Aur Nazaakat ka ye Aalam tha ki Un par Paani Zara bhi Nahi Thaharta tha.
(Shumaaile Mohammadiya, Safa-86)

HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Chalne me Bahot hi Waqaar wa Tawaazo’a ke Sath Qadam Shareef ko Zameen par Rakhte the, Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho ka Bayaan he ki Chalne me Maine HUZOOR ﷺ se Badh kar Tez Raftaar Kisi ko Nahi Deikha, Goya Zameen HUZOOR ﷺ ke liye Lapeti Jati thi, Hum Loug HUZOOR ﷺ ke Sath Douda karte the Aur Tez Chalne se Mashaqqat me pad jate the Magar HUZOOR ﷺ Nihaayat hi Waqaar wa Sukun ke Sath Chalte rehte the Magar Fir bhi Hum Sab Lougo se HUZOOR ﷺ Aage hi rehte the.
(Shumaaile Mohammadiya, Safa-86)
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-413)

>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Peir Mubaarak Woh Qadam Mubaarak he ki Jab HUZOOR ﷺ Pathhar par Chalte to Woh Narm ho jata Taki HUZOOR ﷺ Ba-Aashani Us par se Guzar Jaye Aur Jab Reit par Chalte to Usme Qadam Mubaarak ka Nishaan Na hota.
(Seerate Rasoole Arabi ﷺ, Safa-277)

Saake Asle Qadam Shakhe Nakhle Karam,
Shama e Raahe Isaabat pe Lakho Salaam,

Khaai Quraan ne Khaake Guzar ki Qasam,
Us Kafe Pa ki Hurmat pe Lakho Salaam,
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ HUZOOR ﷺ ka Paseena Mubaarak :-
>> HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Niraali wa Ajeeb Siffato me se Ek Siffat Paakiza wa Taiyyab Khushbu he, Ye HUZOOR ﷺ ki Zaati thi ki Kisi Qism ki Khushbu Istemaal kiye Bageir hi Duniya ki Koi Khushbu HUZOOR ﷺ ke Jisme Athar ki Khushbu se Humsari(Baraabari) Na kar Sakti thi,
Saiyyadna Anas RadiAllaho Ta’ala Anho Riwaayat karte he ki Maine Har Ek Khushbu Khwaah(Chaahe) Mashk ho ya Anbar Soongi he Lekin HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khushbu e Athar se Zyada koi Na thi.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-1, Safa-40)

>> Ummul Moameneen Saiyyada Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Chehra e Anwar par Paseena Mubaarak Moti ki Tarah Aur Uski Khushbu Mashk se Zyada hoti thi.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-1, Safa-41)

>> Hazrat Anas RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Humaare Yaha Tashreef Laaye Aur HUZOOR ﷺ ne Dopher ke Waqt Kuchh Aaram Farmaaya, HUZOOR ﷺ ko Paseena Aaya to Meiri Maa Umme Sulaim Ek Shishi le Aayi Aur Usme HUZOOR ﷺ ka Paseenaa Mubaarak Daalne lagi, RASOOLE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Bedaar huwe to Farmaaya Ay Umme Sulaim Kya Kar rahi ho..? Arz kiya Aap ka Paseena Mubaarak Khushbu ke liye Haasil Kar rahi hu Ye Sab se Umda Khushbu he,
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-1, Safa-41)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-141)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-104)

>> Hazrat Jaabir Bin Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he ki HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam Kisi Raaste par Jaate to HUZOOR ﷺ ke Pichhe Jaane Wale ko HUZOOR ﷺ ke Paseena Mubaarak ki Khushbu se Pata Chal Jata Aur Maalum ho Jata ki HUZOOR ﷺ Kidhar Tashreef le gaye he Aur HUZOOR ﷺ Jis Pathhar ke Paas se Guzarte Woh HUZOOR ﷺ ko Sajda Karta.
(Sunane Daarmi, Jild-1, Safa-32)
(Al Shifa, Jild-1, Safa-63)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-141)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-103)

Unki Mahak ne Dil ke Gunche Khila diye he,
Jis Raah Chal diye he Kooche Basa diye he,

Bhini Bhini Mahak par Mahakti Durood,
Pyaari Pyaari Nafaasat pe Lakho Salaam.
(Hadaaiqe Bakhshish)




Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *