Ladkiyo ki Musalsal(Lagaataar) Peidaish ko Manhus Samajhna

Beita Peida ho ya Beiti Insaan ko ALLAH TA’ALA ka Shukr Baza Lana Chahiye Ki Beita ALLAH TA’ALA ki Ne’amat Aur Beiti Rahemat he Aur Dono hi Maa-Baap ke Pyaar Aur Shafqat(Maherbaani) ke Mustahiq(Haqdaar) he,

Umuman(Aam Tour par) deikha gaya he ki Azeezo wa Aqreba ki Taraf se Jis Khushi ka Izhaar Ladke ki Wilaadat(Peidaish) par hota he Mohalle Bhar me Mithaaiya Baati Jaati he, Mubaarak Salaamat ka Shour Mach Jata he, Ladki ki Wilaadat par Iska Daswa(10) Hissa bhi Nahi hota,
Duniyawi Tour par Ladkiyo se Waalidein Aur Khandaan ko Bazaahir koi Faayda Haasil Nahi hota Balki Inki Shadi ke Kaseer Akhraajaat(Kharche) ka Baar Baap ke Kandho par Aa Padta he Shayad Isi liye Baaz Naadaan Beitiyo ki Wilaadat hone par Naak Chadhate(Ya’ani Na-Pasandi ka Izhaar karte) he Aur Bacchi ki Ammi ko Tarah Tarah ke Ta’ane diye jate he, Talaaq ki Dhamkiya di jati he, Is par ye Zulm bhi hota he ki Beitiyo ko hi Manhus Qaraar de diya jata he, Is Waham ki bhi Sharan koi Heishiyat Nahi,

Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay se Sawaal huwa Kya Farmaate he Ulma e Deen Is Masle me ki Zaid ke (Yaha) Tisri Ladki hui, Us Din se Zaid Nihaayat Pareshan he, Aksar Loug kehte he ki Tisri Ladki Achhi Nahi hoti Tisra Ladka Naseeb-War Aur Achha hota he, Zaid ne Ek Saahab se Daryaaft (Puchha) kiya to Unhone Farmaaya Ye Sab Baate Ahle Hunud Aur Aurato ki Banaai hui he Agar Tum ko Waham Ho to Sadkaat kardo, Ek Gaay ya Saat Bakariya Qurbaani Kardo Aur Tousha E Shahanshahe Bagdaad Rahmatullahe Alay kardo, HAQQ TA’ALA Ba-Tasadduke Sarkaare Bagdaad Rahmatullahe Alay Har Tarah ki Bala wa Nohusat se Mehfuz rakhega,
Imaame Ahle Sunnat Rahmatullahe Alay ne Jawaab diya Ye Mahez Baatil Aur Zanaane Awhaam Aur Hindwana Khyaalaate Sheitaaniya he Inki Peirvi(Follow) Haraam he, Tasadduk Aur Tousha E Sarkaare Abde Qaraar Rahmatullahe Alay Bahot Achhi Chiz he Magar Is Niyyat se ki Iski Nohusat Dafa ho Jaiz Nahi ki Is me Iski Nohusat Maan lena huwa Aur Ye Sheitaan ka Dala huwa Waham Taslim kar leina huwa,

Aur Aage Farmaate he
Ye Tousha ki Unhone Bataya he Nihaayat Mufid(Fayde-Mand) Chiz he Aur Haajate Bar Laane (Poori karne) ke liye Mujarrab(Tajreba kiya huwa he).
(Fatawa E Razwiya, Jild-29, Safa-644)
(Bad-Shuguni, Safa-72,73)

➤ Betiyo ki Parwarish ke Fazaail :-

Beitiyo Ki Peidaish par Dil Chhota karne waale Islami Bhaiyo ko Chahiye ki Niche peish ki gayi Riwaayato ko Baar Baar Padhe Jin me Beitiyo ki Parwarish par Mukhtelaf Basaarato se Nawaza Gaya he…

»»» HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
“Jab Kisi ke Haa Ladki Peida hoti he to ALLAH TA’ALA Uske Ghar Farishto ko Bheijta he jo Aa kar Kehte he
Ay Gharwaalo.. Tum par Salaamti ho..
Fir Farishte Us Bacchi ko Apne Paro ke Saaye me le leite he Aur Uske Sar par Haath feirte huwe kehte he ki ye Ek Naatuwa(Be-Taaqat) wa Kamzor Jaan he Jo Ek Naatuwa se Peida hui he, Jo Shaksh Is Naatuwa Jaan ki Parwarish ki Zimmedari lega to Qayaamat tak Madade KHUDA Iske Shaamile Haal rahegi.
(Majma ul Zawaaid, Jild-8, Safa-285)

»»» HUZOOR REHMATE QOUNEIN Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaya
Beitiyo ko Boora Mat kaho, Mei Beitiyo Wala hu, Beshak Beitiya to bahot Mohabbat Karne Waaliya, Gamgusaar Aur Bahot Zyada Maherbaan hoti he.
(Musnade Firdous Al Deilmi, Jild-2, Safa-415)

»»» AAQA E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya
Jiske Haa Beiti Peida ho Aur Woh Ise Izaa(Taklif) Na de Aur Na hi Bura Jane Aur Na Beite ko Beiti par Fazilat de to ALLAH TA’ALA Us Shaksh ko Jannat me dakhil Farmaayega.
(Al Mustadrak Haakim, Jild-5, Safa-248)

»»» HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya
Jiski Tin(3) Beitiya ho, Woh Inka Khyaal rakhe, Inko Achhi Rihaaish(Rahan-Sahan) de, Inki Kefaalat kare to Uske liye Jannat Waajib ho jati he,
Arz ki gayi Aur 2(Beiti) Ho to…??
Farmaya Aur 2 ho tab bhi..
Arz ki gayi Agar 1(Beiti) ho to….??
Farmaya Agar 1 ho to bhi.
(Al Majma ul Ausat, Jild-4, Safa-347)

»»» HUZOOR NOORE MUSTAFA Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya
“Jis Shaksh par Beitiyo ki Parwarish ka Baar Pad jaaye Aur Woh Inke Sath Husne Sulook kare to Yeh Beitiya Uske Liye Jahannam se Rok Ban Jaayegi.
(Muslim Shareef, Safa-1414)
(Bad-Shuguni, Safa-73,74,75)

Jo Musalmaan Bhai Beitiyo ki Peidaish ko Bura Jaante he Unhe Upar Peish karda Riwaayato se Nashihat Haasil karni Chaahiye…

➤ Makaan me Naye Bacche ki Wilaadat ko Manhus Jaanna :-

Baaz Loug rehne ke Poorane Makaan me Naye Bacche ki Wilaadat ko Manhus Jaante he, Isi Tarah ka ek Sawaal(Faarsi Zabaan me) Aala Hazrat, Imaame Ahle Sunnat Rahmatullahe Alay ki Khidmat me Kiya gaya ki Ulma E Deen Aur Muftiyaane Sharaye Matin Is Rasm ke baare me kya Farmaate he ki Bangaal me ye Rawaaj he ki Nou-Moulud(Wo Baccha jo Abhi Abhi Peida huwa ho) ki Wilaadat ke liye Uski Wilaadat se Qabl(Pehle) Alag Kamra Ta’amir kiya jata he Aur Pehle se Ta’amir Shuda Makaan Jaha Woh Rahaaish (Rahan-Sahan) Pazir hote he Isme Naye Bacche ki Wilaadat Manhus Khyaal ki jati he, Kya Unka Ye Iqdaam(Amal) Shar’an Jaaiz he Ya Nahi…?? Aur Hazrate Saiyyadna RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ke Ahade Mubaarak(Zamaane Mubaarak) me Ayse hota tha ya Nahi…??
Imaame Ahle Sunnat Rahmatullahe Alay ne Jawaab diya
Ye Qabeeh(Buri) Rasm Us Paak Zamaane me Bilqul Na thi Balki Iske Baad bhi Arsa e Daraaz(Lambe Zamaane) Tak Balki Ab Tak Aaam Islaami Mumaalik(Mulko) me Iska Naamo Nishaan tak Nahi Paya Jata, Ye Hindwana Aur Mushrikana Rasum ke Mushabeh(Milti-Julti) Balki Inse bhi Badtar he Kyuki Hindu bhi Aysa Nahi karte Agar Ye Amal Bad-Fa’ali Aur Gumraahi ke Khyaal se Na ho Tab Bhi Wajahe Israaf(Fuzul-Kharchi) Ma’ayub(Aybdaar) he Jabki ALLAH TA’ALA ka Irshaad he
“وَ لَا تُسۡرِفُوۡا ؕ اِنَّہٗ لَا یُحِبُّ الۡمُسۡرِفِیۡنَ ﴿۱۴۱﴾ۙ “
(Tarjuma : Aur Bejaa Na Kharcho Beshak Bejaa Kharch ne Waale Use Pasand Nahi)
(Surah Al Anaam, Aayat-141)
Ye Iqdaam(Amal) Muta’adid Wuzuh(Kayi Wajaho) ki Bina par Faayde Aur Bhalaai se Khali he Aur Tabzir(Be-Zarurat Rupiya Udana) ke Zumre me Aata he Jabki ALLAH TA’ALA ka Farmaan he ki
“اِنَّ الۡمُبَذِّرِیۡنَ کَانُوۡۤا اِخۡوَانَ الشَّیٰطِیۡنِ”
(Tarjuma : Beishak Udaane Waale Sheitaano ke Bhaai he)
(Surah Bani Israail, Aayat-27)
Is Waham ki Buniyaad Sheitaani he Mazeed ye ki Isme Bad-Fa’ali wa Bad-Shuguni Waali Gumraahi bhi Shamil he, Sayyade Aalam Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Buri Faal Nikaalna Aur Is par Kaarband(Amal Karne) hona Mushrikeen Ka Tarika Aur Dastoor (Tour, Tariqa,Chalan) he.
(Fatawa E Razwiya, Jild-23, Safa-264)
(Bad-Shuguni, Safa-77,78)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *