Maahino Aur Chhink se Bad-Shuguni Leina

➤ Maah E Safar se Bad-Shuguni Leina :-

Nohusat(Bad-Shuguni) ke Wahmi Tasawwuraar(Khyaal) ke Shikaar Loug Maahe Safar ko Musibato Aur Aafato ke Utarne ka Maheena Samajhte he Khususan Iski Ibtedaayi(Shuruaat) Terah(13) Taarikhe Jinhe “Terah-Tezi” kaha jata he Bahut Manhus Tasawwur ki Jati he, Wahmi Lougo ka Yeh Zehan Bana hota he ki Safar ke Maheene me Naya Kaarobar Shuru Nahi karna Chaahiye Nukshaan ka Khatra he, Safar karne se Bachna Chaahiye Accident Ka Andesha(Khatra) he, Shaadiya Na kare, Bacchiyo ki Rukhsati(Rawaangi) Na kare Ghar Barbaad hone ka Imkaan(Mumkin) he, Ayse Loug Bada Kaarobari Lein-dein Nahi Karte, Ghar se Baahar Aamado-Raft(Aana-Jana) me Kami kar deite he Is Gumaan ke Sath ki Aafaat Naazil ho rahi he, Apne Gharke Ek Ek Bartan ko Aur Saamaan ko Khub Jhaadte he, Isi Tarah Agar Kisi ke Ghar me Is Maah(Maheene) me Maiyyat ho jaaye to Ise Manhus Samajhte he Aur Agar Us Gharaane me Apne Ladke ya Ladki ki Nisbat Taiy Hui ho to Usko Tod deite he, Terah-Tezi ke Unwaan me Safeid Chane(Kaabuli Chane) ki Niyaaz Bhi di Jaati he, Niyaaz Faatiha Karna Mustahab Wa Baaise Sawaab he Aur Har Tarah ke Rizqe Halaal Par Har Maah ko Har Taarikh ko Faateha di ja Sakti he Lekin Yeh Samajhna ki Agar Terah-Tezi ki Faatiha Na di Aur Safeid Chane Paka kar Taqsim (Baantna) Na kiye to Ghar ke Kamaane Waale Afraad ka Rozgaar Muta’assir(Asar) hoga, Yeh Be-Buniyaad Khyaalaat he,

>> Arabo me Maahe Safar ko Manhus Samjha Jata tha :-
Doure Jaahiliyat (Islaam se Pehle) me bhi Maahe Safar ke Baare me Loug Isi Qism ke Wahami Khayaalaat Rakha karte the ki Is Mahine me Musibate Aur Aafate Bahot hoti he, Chunanche Woh Loug Maahe Safar ke Aane ko Manhus Khayaal kiya karte the.
(Umdatul Qaari, Jild-7, Safa-110)

Arab Loug Hurmat(Azmat/Paakizgi) ki Wajah se Tin(3) Maah Zul Qa’dah, Zul Hijja Aur Moharram me Jango-Jadal(Ladaai-Jhagde) Aur Loot Maar se Baaz rahte Aur Intezaar karte ki ye Pabandiya Khatm ho to Woh Nikle Aur Loot-Maar kare Lihaza (Maahe) Safar Shuru hote hi Woh Loot-Maar Aur Jango-Jadal ke Iraade se Jab Gharo se Nikalte to Inke Ghar Khaali Rah Jaate, Isi Wajah se Kaha Jata he “ﺻَﻔَﺮ ﺍﻟْﻤَﮑَﺎﻥ” (Makaan Khali ho gaya), Jab Arabo ne deikha ki Is Maheene me Loug Qatl hote he Aur Ghar Barbaad ya khaali ho jata he to Unhone Is se yeh Shugun liya ki yeh Maheena Humaare liye Manhus he Aur Gharo ki Barbaadi Aur Weerani ki Asl Wajah par Gour Nahi kiya, Na Apne Amal ki Kharaabi ka Ahesaas kiya Aur Na hi Ladaai-Jhagde se Khud ko Baaz rakha Balki Is Mahine ko hi Manhus Thehra diya.
(Bad-Shuguni, Safa-55, 56)

➤ Safar Kuchh Nahi :-

HUZOOR REHMATE QOUNEIN Sallallaho Alayhe Wasallam ne Safarul Muzaffar ke Bare me Wahami Khayaalaat ko Baatil Qaraar deite huwe Irshaad Farmaaya “Safar Kuchh Nahi”
(Bukhaari Shareef, Kitaabul Tib, Jild-4, Safa-24)

»»» Mohaqqiqe Alal Itlaaq Hazrate Shah Abdul Haqq Mohaddishe Dahelvi Rahmatullah Alay Is Hadees ki Sharah me Likhte he
Awaam Ise (Safar ke Maheene ko) Balaao, Haadso Aur Aafato ke Naazil hone ka Waqt Qaraar deite he Ye Aqeeda Baatil he Iski Koi Haqiqat Nahi he.
(Ash’atul Lam’aat, Jild-3, Safa-664)

»»» Sadrushshariya Hazrat Mufti Mohammad Amjad Ali Aazmi Rahmatullahe Alay Likhte he
Maahe Safar ko Loug Manhus Jaante he Is me Shaadi-Biyaah Nahi Karte, Ladkiyo ko Rukhsat(Rawaangi) Nahi karte Aur Bhi Is Qism ke Kaam karne se Parhez karte he Aur Safar Karne se Gureiz(Parhez) karte he, Khususan Maahe Safar ki Ibtedaayi Terah(13) Taarikhe Bahut Zyada Nahas(Bad-Shugun) maani jati he Aur Inko Terah-Tezi kehte he Ye Sab Jahaalat ki Baate he, Hadees me Farmaya ki “Safar Koi Chiz Nahi” Ya’ani Lougo ka Ise Manhus Samajhna Galat he, Isi Tarah Zil Qa’dah ke Maheene ko bhi Bahot Loug Bura Jante he Aur Isko Khaali ka Maheena kehte he ye bhi Galat he Aur Har Maah me 3, 13, 23, 8, 18, 28(Taarikh) ko Manhus Jaante he Yeh bhi Lagv(Bekaar) Baat he.
(Bahaare Shariyat, Jild-3, Safa-659)

»»» Allama Saiyyad Mohammad Amin Bin Umar Bin Abdul Aziz Shaami Rahmatullah Alay likhte he 
Allama Haamid Aafandi Rahmatullahe Alay se Sawaal kiya gaya Kya Baaz Din Manhus(Ya Mubaarak) hote he Jo Safar Aur Digar Kaam ki Salaahiyat Nahi Rakhte…?? To Unhone Jawaab diya ki jo Shaksh Ye Sawaal kare ki Kya Baaz Din Manhus hote he Uske Jawaab se ia’raaz(Parhez) kiya jaye Aur Uske Feil(Amal) ko Jahaalat kaha Jaaye Aur Uski Mazammat Bayaan ki Jaaye, Aysa Samajhna Yahud ka Tariqa he, Musalmaano ka Sheiva(Tour-Tariqa) Nahi he jo ALLAH AZZAWAZAL par Tawaqqul karte he.
(Tanqihul Fatawa Haamdiya, Jild-2, Safa-367)

»»» Mira’atul Manaajih me he
Islaam me koi Din ya Koi Saa’at(Waqt) Manhus Nahi Ha Baaz Din Ba Barkat he.
(Mira’atul Manaajih, Jild-5, Safa-484)

»»» Tafseere Roohul Bayaan me he
Safar Wageira kisi Maheene ya Makhsus Waqt ko Manhus Samajhna Durusht Nahi, Tamaam Awqaat (Waqt) ALLAH TA’ALA ke Banaaye hue he Aur Inme Insaano ke Aamal Waaq’e(Moujud) hote he, Jis Waqt me Banda e Momin ALLAH TA’ALA ki Itaa’at wa Bandagi me Mashgul(Mashroof) ho Woh Waqt Mubaarak he Aur Jis Waqt me ALLAH TA’ALA ki Na-Farmaani kare Woh Waqt Uske liye Manhus he, Dar Haqiqat Asl Nohusat to Gunaaho me he.
(Tafseere Roohul Bayaan, Jild-3, Safa-428)

Maahe Safar bhi Digar Maheeno ki Tarah Ek Maheena he Jis Tarah Dusre Maheeno me RABB TA’ALA ke Fazlo Karam ki Baarishe hoti he Isme bhi ho Sakti he Ise To Safarul Muzaffar kaha jata he Ya’ani Qaamyaabi ka Maheena, Yeh Kyu kar Manhus ho Sakta he..?? Ab Agar Koi Shaksh Is Maheene me Ahkaame Sharah ka Paband raha, Neikiya Karta Aur Gunaaho se Bachta raha to Yeh Maheena Yaqinan Uske liye Mubaarak he Aur Agar Kisi Bad-Kirdaar(Bure Kaam Karne Wala) ne Yeh Maheena bhi Gunaaho me Guzara, Jaiz Wa Na-Jaiz Aur Haraam wa Halaal ka khayaal Na rakha To Uski Barbaadi ke liye Gunaaho ki Nohusat(Bura Asar) hi kaafi he, Ab Maahe Safar ho ya kisi bhi Maheene ka Second, Minit ya Ghanta Agar Use koi Musibat Pahonche to Ye Uski Shamate Aamal(Bad-Aamaal ki Saza) ka Natiza he.
(Bad-Shuguni, Safa-57, 58, 59)

➤ Safarul Muzaffar ke Aakhri Budh se Bad-Shuguni Leina :-

Sadrushshariya Hazrate Allama Mufti Mohammad Amjad Ali Aazmi Rahmatullahe Alay Likhte he
Maahe Safar ka Aakhri Chahaar-Shamba(Budh) Hindustan me Bahot Manaya jata he, Loug Apne Kaarobar Band kar deite he, Seir Wa Tafreeh(Khushi) Wa Shikaar ko Jate he, Pooriya Pakti he Aur Nahaate, Dhote Khushiya Manaate he Aur Kehte yeh he ki HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne Is Roz(Din) Gusle Sihhat Farmaya tha Aur Beirune Madeena e Taiyyaba Seir ke liye Tashreef le gaye the, Ye Sab Baate Be-Asal he Balki In Dino me HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Marz Shiddat(Zyada) ke Sath tha, Woh Baate Khilaafe Waaq’e (Moujud) he Aur Baaz Loug yeh kehte he ki Is Roz Balaaye Aati he Aur Tarah Tarah ki Baate Bayaan ki jaati he Sab Be-Saboot he.
(Bahaare Shariyat, Jild-3, Safa-659)

➤ Safar ke Maheene me Peish Aane Wale Chand Taarikhi Waaqiyaat :-

»» Safarul Muzaffar Pehli Hijri me Hazrate Saiyyadna Aliyyul Murtaza RadiAllaho Ta’ala Anho Aur Khaatune Jannat Hazrate Saiyyada Faatima Zahra RadiAllaho Ta’ala Anha ki Shaadi-Khana Aabadi hui,
(Al Kaamil Fee Taarikh, Jild-2, Safa-12)

»» Safarul Muzaffar Saat(7) Hijri me Musalmaano ko Fateh Kheibar Nasib hui,
(Al Bidaya Wan Nihaya, Jild-3, Safa-392)

»» Saifullah Hazrate Saiyyadna Khaalid Bin Walid, Hazrate Saiyyadna Amr Bin Aas Aur Hazrate Saiyyadna Usmaan Bin Talha Abdari RadiAllaho Ta’ala Anhum ne Safarul Muzaffar 8 Hijri me Baargaahe Risaalat me Haazir ho kar Islaam Qabool kiya.
(Al Kaamil Fee Taarikh, Jild-2, Safa-109)

»» Madaain(Jisme Qisra ka Mahal tha) ki Fatah Solah(16) Hijri Safarul Muzaffar hi ke Maheene me hui.
(Al Kaamil Fee Taarikh, Jild-2, Safa-357)
(Bad-Shuguni, Safa-59,60)

➤ Chhink se Bad-Shuguni Leina :-

Baaz Loug Chhink ko Bad-Shuguni Samajhte he Agar Kisi Kaam ke liye Jaate Waqt Khud ko Ya Kisi Aur Ko Chhink Aa gayi to Loug Ye Bad-Fa’ali leite he ki ye Kaam Nahi Hoga, Ye Bahot Badi Jahaalat Aur Be-Aqali ki Daleel he..
Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay ne Farmaya
Chhink Achhi Chiz he, Ise Bad-Shuguni Jaanna Mushrikeen E Hind(Hindustan ke Mushrikeen) ka Naapak Aqeeda he, Hadees(Yeh Hazrate Umar Faaruqe Aazam RadiAllaho Ta’ala Anho ka Qoul he) me to Ye Irshaad Farmaaya
Baat ke Waqt Chhink Aadil Gawaah(Insaaf ki Gawaahi) he,
Ya’ani Jo Kuchh Bayaan kiya jata ho Jiska Sidq wa Qibz(Saccha Aur Jhutha hona) Ma’alum Nahi Aur Us Waqt Kisi ko Chhink Aaye to Woh Is Baat ke Sidq(Sacche hone) par Daleel he Aur ye bhi Aaya he ki Duaa ke Waqt Chhink Aana Daleele Qabool(Qabool hone ki Daleel) he, Garaz Chhink Mahboob Chiz he Magar Woh ki Namaaz me Aaye Hadees me Ise Shaitaan ki Taraf se Sumaar Farmaya he.
(Malfuzaat, Safa-319, 322)

»»» Allama Abdul Mustafa Aazmi Rahmatullahe Alay likhte he
Ab Gour karo ki Jab Chhink ko RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ne Shaahide Adl(Aadil Gawaah) ka Laqab diya to Fir Bhala Chhink Manhus Aur Bad-Shuguni ka Saamaan Keise Ban Sakti he..??
Is liye Lougo ko Is Aqeede se Touba karni Chaahiye ki Chhink Manhus Aur Bad-Fa’ali ki Chiz he, KHUDAAWANDE KAREEM Musalmaano ko Itteba E Sunnat(Sunnat ki Pairvi) Aur Pabandiye Shariyat ki Toufiq Bakhshe.. Aameen..
(Jannati Zevar, Safa-431)
(Bad-Shuguni, Safa-60,61)

➤ Sawwal me Shaadi Na karna :-

Shariyat ne kisi Maheene ya Mousam me Nikaah karne se Mana Nahi kiya Lekin Kuchh Naadaan Makhsus(Khaas) Maheene ya Dino me Shaadi karne ko Manhus Samajhte he, Unko ye Waham Hota he ki In Dino me Jo Shaadiya Hoti he Inse Miya-Biwi ke Ta’aluqaat Achhe Nahi Bante Aur Inme Woh Ulfat(Chaahat) wa Mohabbat Peida Nahi Ho Pati Jo Khush-gawaar Gharelu Zindagi ke liye Zaruri he, Baaz Ilaaqo me Sawwalul Mukarram ko bhi Inhi Maheeno me se Sumaar kiya jata he,

Ahle Arab Sawwal ke Maheene me Nikaah ya Rukhsati (Rawaangi ko) Manhus Jante the Aur Kehte the ki Is Maheene ka Nikaah Kaamyaab Nahi hota Miya-Biwi ke Dil Nahi Milte.
(Mirqaatul Mafaatih, Jild-6, Safa-302)

Iski Ek Wajah ye Bataai Jati he ki kisi Zamaane me Sawwal ke Maheene me Taaun(Plague) Waaqei huwa Jis me Bahot si Dulhane Halaak(Mout/Marr) ho gayi, Iske Sabab Loug Sawwal (ke Maheene) me Shaadi ko Manhus Samajhne lage Jab ki Shariyat e Mutahhra ne Is Tasawwur ko Galat Qaraar diya he..

Ummul Mo’ameneen Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Mujh se Nikaah bhi Sawwal me kiya Aur Rukhsati(Rawaangi) bhi, To HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Konsi Bivi Mujh se Zyada Mahboob thi,
(Muslim Shareef, Kitaabul Nikaah, Safa-739)
Mira’atul Manaajih me he ki
Maqshad ye he ki Meira to Nikaah bhi Maahe Sawwaal me huwa Aur Rukhsati bhi Aur Mei Tamaam Azwaaje Mutahhraat RadiAllaho Ta’ala Anhunna me HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Zyada Mehbooba thi Agar yeh Nikaah Aur Rukhsate Mubaarak Na hoti to Mei Itni Maqbul kyu hoti..,
Ulma Farmaate he ki Maahe Sawwaal me Nikaah Mustahab he.
(Mira’atul Manaajih, Jild-5, Safa-32,33)

>> Makhsus(Khaas) Taarikho me Shaadi Na Karne ke Baare me :-

Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay se Sawaal huwa ki
Aksar Loug 3,13 ya 23,8,18,28 Wageira Tawaarikh Aur Panj-shamba Wa Yak-shamba wa Chahaar-Chamba(Jumerat, Itwaar, Budh) Wageira Ayyam(Din) ko Shaadi Wageira Nahi karte, Ayteqaad (Yaqeen) ye he ki Shakht Nuksaan Pahonchega Inka kya Hukm he..??
Jawaab diya Ye Sab Baatil Wa Be-Asal he.
(Fataawa E Razwiya, Jild-23, Safa-272)
(Bad-Shuguni, Safa-61,62)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *