HUZOOR ﷺ ke Waalidein

walide

>➤ Saiyyadna Abdullah Bin Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho :-
In sha Allah Ab Kuchh Ma’alumaat Hazrate Aadam Alayhis Salaam ke Farzande Azeem, Husn wa Jamaal ke Peikar, Noore ILAAHI ke Ameen, Jigar Gosha e Abdul Muttalib, Khatune Aamena ke Misaali Shohar Aur Waalide MUSTAFA ﷺ Saiyyadna Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ke Ta’aluq se Peish ki Jaayegi…

Aapka Naam ‘Abdullah’ RadiAllaho Ta’ala Anho he,
Aap ki Kunniyat Abu Qusam, Abu Mohammad Aur Abu Ahmad he,
Aapka Laqab Zabih he,
(Imaane Saiyyadna Abdullah Bin Abdul Muttalib, Safa-178-179)

Duniya ka Koi Baap Aapse Zyada Khus Naseeb Aur Buland Iqbal(Khus-haal) nahi he ki Aap Us Azeem Hasti ke Baap he Jo Tamaam Ambiya Alayhis Salaam ke Imaam he, Jo Takhleeq(Peidaish) ke Lihaaz se Sabse Pehle NABI Aur Be’sat(Zahur) ke lihaaz se Aakhri NABI he, Jisne Dil Loot leine wali Apni Ma’sum Adaao se Aur Dil Lubhane Wali Apni Mithi Mithi Baato se Insaan ke Dil me ALLAH TA’ALA ki Sachi Mohabbat ka Chirag Roushan kiya, Aysi Be-Misaal Hasti ke Baap Ka Naam ‘Abdullah’ RadiAllaho Ta’ala Anho he,

Ye Humaare AAQA HUZOOR REHMATE AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalide Maajid(Baap) he, ye Abdul Muttalib ke Tamaam Beito me Sabse Zyada Baap ke Laadle Aur Pyaare the, Chunki Inki Peishani me Noore MOHAMMADI ﷺ Apni Shano Shokat ke Sath Jalwagar tha Is liye Husno Khubi ke Paikar Aur Jamaale Surat wa Kamaale Seerat ke Aaina Daar Aur Iffat(Parhezgaari) wa Paarsaai me Yaqtaae Rozgaar the,
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Jild-1, Safa-407)

>➤ Misbaahul Haram :-
Aapka Asal Naam ‘Abdullah’ tha Lekin Aapki Khubiyo Aur Kamaalaat ki Bina par Lougo ne Aur bhi Naam rakhe huwe the, Chunanche Is Silsile me Allama Abul Hasan Bin Abdullah Al Bikri likhte he ki Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Lougo ke Darmiyaan se Guzarte to Loug Aapki Peishani me Chamakta huwa Noor deikhte, Is Wajah se Ahle Makka ne Aapka Naam Mishbaahul Haram(Haram ka Chiraag) rakha huwa tha,
(Kitaabul Anvaar wa Mishbaahul Surur Wa Ifkaar, Safa-34)

Saiyyadna Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Apne Waalid ke Maslak Hanfiyyat Par Qayam the Aur Ahade Jaahliyyat ki Tamaam Qabaahato(Kharabiyo) Aur Aaalaisho(Buraiyo/Ayb) se Paak the,
Apne Tamaam Bahen-Bhaiyo me Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Khush-Naseeb Tareen Balki Mahboob Tareen Farzand E Abdul Muttalib the, Ek To Unka Naam Sabse Zyada Mubaarak Aur ALLAH TA’ALA ke Nazdik Pasandida Tareen Naam he, Hadeese NABAWI ﷺ he ki ALLAH TA’ALA ke Nazdik Sabse Zyada Pasandida Naam “Abdullah” Aur “Abdur Rahmaan” he,
Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Ke Husne Akhlaaq Aur Aala Kirdaar se Tamaam Ahle Makka Khus the Aur Unki Izzat karte the, ye Husn wa Jamaal ki Ra’naai(Khubsurti) Aur Akhlaaq wa Kirdaar ki ye Shohrat DarAsal Noore MOHAMMADI ﷺ ki Rounaqe thi,

Allama Halbi Seerate Halbiya me Farmate he
Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ke Beite Abdullah Quraish me Husn wa Jamaal, Shakl wa Surat Aur Apne Aala Akhlaaq ki Wajah se Sabse Bartar Aur Achhe Navjawan the, RASOOLE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Noor Unke Chehre par Saaf Dikhaayi deita tha,
(Seerate Halbiya, Jild-1, Safa-52)

Ek Riwaayat he ki Quraish ke Tamaam Navjawaan me Sabse Zyada Haseen Wa khubsurat Navjawaan mane jate the, Baaz ka Kehna tha ki Qabila e Quraish ke Lougo ke Nazdik Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Apne Baap ke Tamaam Aulaad me Har Lihaaz se Sabse Zyada Mukammal, Sabse Zyada Haseen, Sabse Zyada Paak Daaman Aur Sabse Zyada Pasandidia Aur Mahboob the,
(Seerate Halbiya, Jild-1, Safa-52)

>➤ Yahudi Hazrate Abdullah ko Qatl karne ke liye Aaye :-
Ahle Kitaab(Yahudo Nasara) Baaz Alaamato Aur Nishaniyo se Pehchan gaye the ki Nabi e Aakhiruzzama Sallallaho Alayhe Wasallam ka Wajude Giraami(Jisme Aqdas) Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ke Sulb(Pust/Pith) me Wadi’at(Shamil) he, Baaz Awqaat Aapko Shaheed karne ka Iraade se Makka e Mukarrama Aane lage Yaha Ajeeb Wa Gareeb Aasar deikh kar Na-Ummidi ki Haalat me Waapas Palat Jate,

Ek Din Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Shikaar ke liye Tashreef le gaye, deikhte he ki Yahudiyo ki Ek Bahot Badi Jama’at Mulke Sham ki Taraf se Talwar Sout(Mayan se Nikaal) kar Aapko Shaheed karne ke Iraade se Aapki Taraf Badh rahi he, Hazrat Aamena ke Waalide Maajid(Baap) Hazrat Wahab Bin Manaaf bhi Us Maidaan me Moujud the, Unhone deikha ki Geib se Kuchh Ayse Sawaar Zaahir huwe Jo Is Duniya ke Dikhai nahi deite the, Unhone Hazrat Abdullah ka Difa(Bachao/Hifaazat) karte huwe Yahudiyo ko Bhaga diya Aur Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ko Ba-Hifaazat Unke Makaan tak Pahoncha diya,

Ye Waaqiya deikh kar Wahab Bin Manaaf ko Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho se Be-Inteha Muhabbat wa Aqeedat Peida ho gayi Aur Ghar Aa kar ye Azm(Iraada) kar liya ki Mai Apni Noore Nazar Aamena ki Shadi Hazrate Abdullah hi se Karunga,
Wahab Bin Manaaf ne Ghar walo se kaha ki Mai Chahta hu Apni Beiti Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ka Nikaah Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho se kardu, Chunanche Apni Is Deeli Tamanna ko Apne Chand Dosto ke Zariye Unhone Hazrat Abdul Muttalib tak Pahoncha diya,
(Madaarijun Nabuwwat(Farsi), Jild-2, Safa-12)
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Jild-1, Safa-408)

Hazrat Abdul Muttalib Hazrate Abdullah ke liye Ek Aysi Aurat ki Talaas me the Jo Husn wa Jamaal ke Sath Sath Hasab wa Nasab(Maa-Baap ka Khandani Silsila) ki Sharaafat Aur Iffat(Parhezgaari) wa Paarsaai(Pakdaman) me bhi Mumtaaz wa Munfarid(Akeli) ho, ye Sari Khubiya Hazrat Aamena Binte Wahab me Moujud thi, Hazrat Abdul Muttalib ne Is Rishte ko Khushi Khushi Manzur kar liya.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Jild-1, Safa-537)

>➤ Hazrate Abdullah ki Qurbaani ka Waqiya :-
Zamzam ke Suraakh(ka Waqiya Jo 424 Part me Guzar Chuka he Us) Mouqe par Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ka Ek Beita Haaris Moujud tha Is Mouqe par Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Nazar Mani thi ki Agar ALLAH TA’ALA Unhe 10 Beite Inaayat Farmaayega Aur Wa Jawaani ki Manzil ko Pahonche To Woh Ek Beite ko RAAHE KHUDA me Qurbaan karenge, ALLAH TA’ALA ne Unki Duaa ko Qabool Farmaya Aur Unke 10 Beite huwe Aur Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ko Apni Nazar Puri Karne ka Khyaal Aaya to Unhone Apne Beito ko Bulaya Aur Unse Apni Nazar Puri Karne ke Bare me kaha to Un Sabne Izhaare Raza-Mandi kiya Aur ye bhi kaha Aap Hum Sab ko bhi Qurbaan karde Hum Aapke Muti’a wa Farmaa-Bardaar he,

Abdul Muttalib ne Qurbaani ke Silsile me EK Beite ka T’ayyun(Parakh) Karne ke liye Qur’a-Andaazi(Mushkil Faishle ki Surat me Teer ya Parchiyo par Naam likh kar Feinkne ka Amal ) ke Qur’e Mangwaye Aur Unpar Beito ke Naam likhe Aur Un Qur’o ko le kar Hazrat Abdul Muttalib Khana e Ka’aba Aaye Aur Us Shaksh ko de Aaye jo Khana e Ka’aba me Qur”a-Andaazi karta tha Unse Jab Qur’a Dala To Hazrat Abdullah ka Naam Nikla,
Hazrat Abdul Muttalib Unka Haath Pakad kar Qurbaan-Gaah ki Taraf Chale, Jab Quraish ke Lougo ko ye Ma’alum huwa to Bhagte huwe Aaye Aur Hazrat Abdul Muttalib ke Hath Pakad kar kehne lage Hum Tumhe Aysa Nahi karne Deinge, Kyuki Agar ye Tariqa Raaij(Jari) ho gaya to Loug Apne Beito ko Qurbaan karenge Aur Is Tarah Nasle Munqate(Khatm) hone lage gi, Abhi Is Kaam me koi Jaldi Nahi, Hijaaz-Bin Ek Kaahena(Faal Nikaalne Wali) he Uske Paas Chal kar Koi Tareeqa e Kaar Ma’alum kare Agar Woh kahegi to Hum Mazaahamat(Rukawat) Nahi karenge Agar Woh Tumhe Is Kaam se Rokegi ya Koi Dusra Tariqa Bataayegi to Us par Amal karna hoga,
(Seerate RASOOLE PAAK ﷺ, Safa-136,137)

>➤ Hazrat Abdul Muttalib Aur Quraish ke Loug Kaahena ke Paas Aur Zabeeh Laqab :-
Jab Hazrat Abdul Muttalib par Har Taraf se Malaamat(Roktok) hone lagi to Unhone Hazrate Abdullah ka Hath Chhoda Aur Quraish ke Louge ke Sath Usi Kaahena ke Paas gaye, Ek Jinn Us Kaahena ke Tabe'(Farmaa-Bardaar) tha, Jo Aasmano se Khabre la kar Us Kaahena ko Batata tha(Doure Jaahiliyat me Jinn Aaasmano par Ja Sakte the) Us Kaahena ki Baat ko Muaashre me Aysa Yaqeen kiya jata Jis Tarah Musalmaan Quraane Kareem par Yaqeen karte the, Chunance Un Lougo ne Sara Waaqiaa Us Kaahena se Bayaan kiya to Us Kaahena ne Kaha Aaj to Tum Jaao Kal Aana.. Raat ko Jab Woh Jinn Meire Paas Aayega to Mai Us se Tumhare Muaamle me Baat karungi Aur Jo Kuchh Woh Mujhe Bataayega Woh Mai Tumhe Kal Bataaungi.

Hazrat Abdul Muttalib ne ye Raat Badi Be-cheni Aur Izteraabi(Be-Karaari) ki Keifiyat me RABBE KAREEM se Duaae Karte Guzaari, Dusre Din Jab ye Loug Us Kaahena ke Paas gaye Aur Us se Apne Muaamle ke Silsile me Guftagu ki To Us Kaahena ne kaha Raat Meire Paas Woh Jinn Aaya tha Maine Usse Tumhaare Muaamle me Baat ki thi To Usne Bataya tha ki Is Silsile me kya karna Chahiye…?? Ab Quraish ke Lougo ne Ek Zabaan ho kar Usse Ma’alum kiya ki Kya Karna Chahiye…?? To Usne Kaha ki Tumhaare Haa Ek Shaksh ki De’at(Kaffara/Badla) Kitni hoti he..? To Un Lougo ne kaha 10 Unt(Camel).. Ye Soon kar Kaahena ne kaha ki 10 Unt Aur Us Ladke ke Naam ka Qur’a Dalo.. Agar Unt Aaye to Unhe Qurbaan kardo Aur Agar Unt Na Aaye To Un Unto ki Tadaad Us Waqt tak Izafa(Badhawa) karte raho Jab tak ki Qur’a me Unt Na Aa Jaye,
Ab Tum Jaao Aur Qur’a Daal kar Apni Nazar se Subukdosh(Nazar se Faarig) ho jaao Aur Samajh lo ki ALLAH TA’ALA ne Tum par Karam Farmaya he Aur Unto ko Us Bache ke Badle Qabool Farma liya he,

Ab Hazrat Abdul Muttalib ne Farmaya ki Meire Paas Jitne Unt he Woh Sab Qurbaan ho jaye Aur Agar Majeed Unt bhi Kharidne padhe to Muzaaika(Parwa/Nuksaan) Nahi.. Is Tarah ye Sab Loug Khushi Khushi Makka Aa gaye Aur Makka Aakar Qur’a Andaazi ki.. Pehle 10 Unt Aur Hazrat Abdullah ke Naam ka Qur’a dala to Unt Na Nikle, Is Tarah Izafa(Badhawa) karte karte 100 Unt tak Noubat Aa gayi, Ab jo Qur’a dala gaya to Unt Aa gaye ye deikhte hi Sabke Chehro par Masarrat(Khushi) ki Lahar Doud gayi Aur Lougo ne Hazrat Abdul Muttalib se kaha ALLAH TA’ALA Aap se Raazi ho gaya Aur Hazrate Abdullah ka Fidya(Kaffara) Qabool kar liya he Ab Tumhare liye koi Gunzaish Nahi rahi Lekin Hazrat Abdul Muttalib Abhi Mutmaeen Na the Unhone Dubara Qur’a dala Aur Har Martaba Unt hi Qur’a me Aaye to Khushi Khushi Hazrate Abdullah ka Hath Pakad kar Ihaata e Khana e Ka’aba(Haram Shareef) se Baahar le Aaye Aur Lougo se kaha Ab Unto ko Zabah karke Uska Ghost Taqseem karaya Jaye Baqiya Janwaro ke liye Chhod diya gaya.
(Seerate RASOOLE PAAK ﷺ, Safa-137-138)

Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho Pehle Shaksh he Jinhone Insaani Jaan ki De’at (Kaffara) 100 Unt Muqarrar ki, Ye Sunnat Quraish Aur Arabo me Raaij(Jari) hui Aur HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Ise Bar-Qaraar rakha..

Hazrate Muaawiya RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Ek Araabi ne NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Yu Mukhatib kiya Ay Do(2) Qurbaan hone Walo ke Farzand..
Ye Soon kar HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Tabassum(Muskuraaye) Farmaya Aur Ise Na-Pasand Na kiya, Hazrat Muaawiya RadiAllaho Ta’ala Anho se Puchha gaya Do Zabeeh(Qurbaan hone Wale) kon he…?? Kaha ki Saiyyadna Ismail Alayhis Salaam Aur Saiyyadna Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho.
(Subal ul Huda Wal Rishad Fi Seerate Kheirul Abaad, (Al Shami), Jild-1, Safa-246)

Subhan Allah..

>➤ Ek Khatun ne Hazrate Abdullah ko Pasand kar liya :-
Zamana e Jaahiliyat me Gunaaho se Bachna Na-Mumkin tha Lekin ALLAH TA’ALA ne Saiyyadna Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ko Har Aiyb se Mehfuz rakha,

Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ko Apne Zamaane me Aurato ki Taraf se Unhe Mushkil Aur Sabr Aaazma(Sabr Aazmane wale) Haalat ka Samna karna Padha jo Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ko Apne Zamaane me Azize Misr ki Biwi ki Taraf se Peish Aaye.
(Seeratun Nabawiya, Jild-1, Safa-42)

Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Quraish me Ek Taabinda(Roushan) Noor the Aur Sabse Zyada Khubsurat the, Quraish ki Aurate Unke Daame Mohabbat me Aseer(Mubtala) thi Aur Qarib tha ki Woh Unki Mohabbat me Housh wa Hawaas khou Beithti.
(Al Mawaahibul Laduniya)

Jab Hazrat Abdul Muttalib Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ke Fidya(Kaffara) ke Unto ko Zabah karke Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ko ghar le ja rahe the to Raaste me Banu Asad ki Ek Khubsurat Aurat mili, Uske Qabile me Us Jeisi Aur Koi Hum-Siffat, Mousuf(Achhi) Aurat Na thi, kaha jata he ki ye Warqa Bin Noufal ki Behan thi, Us Khatun ne Apne Bhai Warqa Bin Noufal se Soona tha ki Nabi e Aakhiruzzama An-qarib Peida hone wale he Aur ye Sa’adat (Khus-Naseebi) Banu Hashim ko Naseeb hogi, Warqa ki Bahan ki Nazar Jab Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho par padhi Aur Usne Peishani e Abdullah me Noor(Noore Mohammadi ﷺ) Chamakta deikha to Usko Warqa ki Baat Yaad Aayi Aur Fouran Zahan me ye Khyaal Aaya ki yahi Woh Noor he Jiska Tazkira Warqa ne kiya tha Is liye Sabqat(Aage Badh) karke Husul(Noor ko Haasil karne ki Khwaaish) ke liye Koshish ki Aur Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ke Paas Aa kar kaha Ay Abdullah Kaha ja rahe ho…?
Aap ne Jawab diya Apne Waalid ke Sath.. Us Aurat ne kaha Kya Tumhaare liye ye Mumkin he ki Tum Is Waqt Meire Sath Chal kar Khalwat(Hum-Bistri) karo Iske Badle me Mai Tumko 100 Unt Dungi Aur Is tarah Batoure Fidya(Kaffara) jo Unt Zabah kiye he Us Nukshan ki Talaafi(Bharpayi) ho jayegi Iske Alawa Aur Jo Kuchh Tum Chahoge Woh Tumhe diya Jayega, Aap ne Jawaab diya Mai Apne Baap ki Mukhalefat Aur Na-Farmani Pasand Nahi karta..
(Seerate RASOOLE PAAK ﷺ, Safa-138-139)

Subhan Allah…

Is tarah Bahot si Aurato ne Peishkash ki Magar Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho kisi ke Fareib me Na Aaye.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat, Jild-1, Safa-409)

>➤ Saiyyada Aamena ka Saiyyadna Abdullah se Nikaah :-
Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ke Dil me ye Khyaal Aaya ki Hazrate Abdullah ki Shadi kar di jaye Lihaza(Warqa Bin Noufal ki Bahen ki Peishkash ke Waqiye ke Baad) Ghar le Jane ki Bajaay Dusra Rasta Ikhteyaar karke Wahab Bin Abd Manaaf ke Ghar Chale gaye Aur Unki Beiti Saiyyada Aamena RadiAllaho Ta’ala Anho ko Saiyyadna Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ke liye Talab kiya, Mu’aamlaat Taiy kiye Aur Usi Waqt Nikaah kiya Aur ye Ahtemaam(Intezaam) kiya ki Aaj hi Rukhsati ki Taqrib(Rasam) Amal me Aaye, Chunanche Usi Din Rukhsati ki Taqrib Muna’qid hui Aur Saiyyada Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha Banu Zahra ki Haseen-Tareen Khwaatin me se thi, Faham wa Khurd Jaaho Jalaal, Husn wa Jamaal me Us Qabeele me Unka Shani Na tha, Is Tarah Khandani Aytebaar se bhi Unhe Qadro-Manzelat Haasil thi.
(Seerate RASOOLE PAAK ﷺ, Safa-138,139)

Is Tarah Noore Mohammadi ﷺ Hazrate Abdullah se Muntaqil ho kar Hazrate Aamane RadiAllaho Ta’ala Anhum ke Shikame Athar(Peit/Batan) me Jalwagar ho gaya Aur ye Peer ka Din tha.
(Seerate Halbiya, Jild-1, Safa-46,47)
(Tabqaatul Kubraa(Ibne Sa’ad), Safa-861)

Jab Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Aur Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Shadi ho gayi to Qabilae Quraish ke Banu Makhzum, Banu Abd Shams Aur Banu Abd Manaaf me koi bhi Doshiza(Kuwaari Ladki) Aysi Na thi Jo Ahesaase Mehrumi se Gum me Bimaar Na Padh gayi ho, Har Ek Is Gum se Nidhal(Kamzor) thi ki Uski Shadi Sardare Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ke Farzandaane Arjumand(Beite) Saiyyadna Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho se Kyu Na ho Saki…??
(Seerate Halbiya, Jild-1, Safa-46,47)

ALLAHU AKBER…

>➤ Saiyyada Aaamena Binte Wahab Zohra RadiAllaho Ta’ala Anha :-
In sha Allah Ab Kuchh Ma’alumaat Us Zaate Muqaddas ke Bare me Peish ki Jaayegi Jiski Goude Surur Kishva e Risaalat ﷺ ki Jalwagaah Bani, Jiski Khidmat ko Aasiya wa Mariyam RadiAllaho Ta’ala Anhoma Aayi, Hoore Haqqe Gulaami Baja Laayi, Woh Zaate Muqaddas Saiyyada, Taahera, Taiyyaba Aaamena Binte Wahab Zohra RadiAllaho Ta’ala Anha he..

Aap RadiAllaho Ta’ala Anha ka Isme Giraami(Naam) ‘Aaamena'(Aybo se Mehfuz Khaatun) Aur Waalid ka Naam Wahab tha,

Aap RadiAllaho Ta’ala Anha Quraish ke Qabeela Banu Zohra se thi,

Banu Zohra Janaab Kalaab ke Beite the Aur Janaab Kalaab Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Tisre Dada he Aur Yahi Woh Muqaddas Hasti he Jinme NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalide Giraami Saiyyadna Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Aur Waalida Maajeda Saiyyada Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ka Silsila e Nasab Jama hota he.
(Unzur Insaan ul Uyun, Jild-1, Safa-52)

Nasab Nama yu Bayaan kiya jata he
آمنۃ بنت وھب بن عبد مناف بن زھرۃ بن کلاب بن مرۃ بن کعب بن لؤی بن غالب بن فِھر بن مالک بن النضر بن کنانۃ
(Dalaailun Nabuwwat, Jild-1, Safa-381)
(Tabqaatul Kubra, Jild-1, Safa-95)

Aapke Nasab Nama me bhi koi Fard Aysa Nahi tha Jisne Kabhi Buraai Wageira ka Irteqaab(Kaam) kiya ho, Chunanche Imam Ismail Bin Kaseer Likhte he
HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalide Maajid(Baap) Aur Waalida Maajida(Maa) ki Taraf se Hasab wa Nasab ke Lihaaz se Ashraf wa Mohtaram the.
(Aseerat ul Muhiha, Jild-1, Safa-102)

>➤ Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Khushusiyat :-
Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha Janaab Wahab Bin Abd Manaaf ki Ek Louti Beiti thi, Aapke Koi Bahan-Bhai na the,
(Taarikhe Khumaish, Jild-1, Safa-481)

Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Khandaani Sharf ka Andaza to Is Baat se hi ho jata he ki Aap Arab ke Qabeele Quraish se Ta’aluq rakhti thi Aur Faqat Isi Qadr Nahi ki Waalide Giraami(Baap) Quraishi the Balki Waalida Maajeda(Maa) Quraishiya thi, Aur Sirf Is Qadr hi Nahi ki Aap RadiAllaho Ta’ala Anha Quraish se thi, Balki Aap Quraish ke Qabeele Banu Zohra se thi Aur Banu Zohra Aur Banu Hashim Arab ke Woh Qabeele he ki Jinhe Arab ke Sab Qabeelo Balki Quraish ke Sare Khandano par bhi Sharf Haasil tha, Sabse Zyada Mo’azziz wa Mukarram Samjhe jate the Aur Is liye AAQA E DO JAHA Sallallaho Alayhe Wasallam Tahdise Ne’amat(Ne’amat ka Izhaar) Farmaate he ki
Meiri Jalwagari Arab ke Sabse Zyada Fazilat wale Do(2) Qabeelo Banu Hashim Aur Banu Zohra se hui.
(Al Khashaaisul Kubra, Jild-1, Safa-66)
(Taarikhe Damishq, Jild-1, Safa-202)

Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ko Iske Alawa ye bhi Imteyaaz(Khushusiyat) Haasil tha ki Aap Wahab Bin Abd Manaaf ki Beti thi Aur Janaab Wahab Woh Mo’azziz Shaksh the Jinko Banu Zohra ki Sardaari Haasil thi, Apni Qoum ke Raees the, Jeisha ki Ulma e Seerat ne Likha he ki
Janaab Wahab Bin Abd Manaaf Izzat wa Sharaafat ke Aytebaar se Apne Dour me Tamaam Banu Zohra ke Sardaar the.
(Aseerat ul Nabawiya, Jild-1, Safa-771)
Al Bidaya Wan Nihaya, Jild-1, Safa-942)

>➤ Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Paakdaamani :-
Zamana e Qabl Az Islam(Islam se Pehle ke Zamaane) me Zina(Kisi Aurat se Geir-Sharayi Hum-Bistri), Ayyashi, Fahhaashi(Be-Hayaai) Aur Digar Jaraaim(Gunaah) Aaam the,

Arab ki Aurate, Mardo ke Sath Zina karti rehti thi Aur Agar Baad me Mard Chahta to Us se Nikaah kar leita Warna Chhod deita,
(Seerate Halbiya, Jild-1, Safa-46)

Ayse Bure Haalat ke Bich Saiyyadna Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Seerate Mutahhira deikhi jaye to Muaamla Bilqul Baraks Nazar Aata he, Idhar Arab ki Aurato me Zina Aaam Aur Saiyyadna Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Paakizgi Aapke Lakhte Jigar, Noore Nazar HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Bayaan Farmaate he
Meiri Waalida(Maa) Aur Meire Waalid(Baap) Kabhi bhi Zina par Ikatthe Na huwe.
Aur Farmaya
Hameisha se hi ALLAH KAREEM Mujhe Saaf Pushto se Paak Rehmo(Peit/Batan) ki Taraf Muntaqil Karta raha.
(Durre Mansur, Jild-3, Safa-492)
(Al Khashaaisul Kubra, Jild-1, Safa-46)

ALLAH TA’ALA ne Jeise Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ko Tamaam Aybo se Mehfuz rakha Ayse Maadare MUSTAFA ﷺ Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ko bhi Iffat(Parhezgaari) wa Ismat(Paakdaamani) ke Parde me rakha, Imaam Beihiqi Alayhir Rehmah likhte he
Hazrate Aaamena Apne Zamaane me Hasab wa Nasab ke Aytebaar se Quraish me Afzal Tareen Aurat thi.
(Dalaailun Nabuwwat, Jild-1, Safa-102)

Imaam Suyuti Alayhir Rehmah likhte he
Hafiz Salaahuddin Alai Farmate he ki Ye Baat Sehat se Saabit he ki Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha Kamaal Darja ki Ba-Parda Khatun thi, Ghar se Baahar Na Nikalti thi Aur Na hi Mardo se Meil-Joul Rakhti thi,
(Al Darja ul Manfiyah, Safa-2)

Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Kirdaar ka Andaza Is Baat se Lagaya ja Sakta he ki Ashraafe Quraish(Quraish ke Aali Khandaan Loug) ki Taraf se Aapke Nikaah ke Peigaam Aaya karte Aur Aapke Waalide Giraami (Baap) Jab Aap se Puchhte to Aap RadiAllaho Ta’ala Anha Inkaar kar diya karti Aur Farmaaya Karti Abba Jaan.. Abhi to Meiri Shadi ka Waqt hi Nahi Aaya..
(Taarikhe Khumaish, Jild-1, Safa-381)

Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ko Nasabi Sharafat (Khandaani Izzat) ke Alawa bhi Woh Kamaalaat Ataa kiye gaye the ki Aap Apne Dour me Saari Qoum ki Aurato ki Sardaar thi.
(Al Bidaya Wan Nihaya, Jild-1, Safa-942)

ALLAH AZZAWAJAL ne Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ko Husn wa Jamaal, Rif’at(Bulandi) wa Kamaal ki Un Bulandiyo par Faiz Farmaaya tha ki Aap ko Apni Qoum ki Dana-Tareen(Sabse Aqalmand) Aurat kaha jata tha.
(Taarikhe Khumaish, Jild-1, Safa-481)

Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ke Woh Kalemaat Jo Saif Bin Zi Yazn ke Saamne Saiyyada Aaamena ke Muta’aliq Aapse Saadir huwe Faramaaya
Meiri Qoum ki Aurato me se Ek Buzurg, Zi-Sharf(Izzat Wali) Aurat Aamena Binte Wahab Bin Abd Manaaf he..
(Dalaailun Nabuwwat, Jild-2, Safa-31)

Subhan Allah…
Jis Dour me Zina, Ayyashi, Fahaashi Jeishi Buraaiya Aaam ho Ayse Maahol me Paakdaaman wa Parhezgaar Rehna Ye Bahot Bade Kamaal ki Baat he..

>➤ Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ki Wafaat :-
Jab Hamal Shareef ko 2 Mahine Pure ho gaye to Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ko Khajure leine ke liye Madeene Bheija Ya Tijaarat ke liye Mulke Sham Rawana kiya, Waha se Waapas Lout-te huwe Madeena me Apne Waalid ke Nanhaal(Nana-Nani ka Khandaan) ‘Banu Adi Bin Najjaar'(Qabeele) me Ek Maah Beemaar rah kar 25 Baras ki Umr me Wafaat Pa gaye Aur Wahi ‘Daare Naabiga’ me Madfun huwe,

Qafile Walo ne Jab Makka Wapaas Lout kar Hazrat Abdul Muttalib ko Hazrate Abdullah ki Beemari ka Haal Soonaya to Unhone Khabargiri ke liye Apne Sabse Bade Ladke Haaris ko Madeene Bheija, Unke Madeene Pahonchne se Qabl hi Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Raahi e Mulke Baqa’a(Inteqaal) ho Chuke the, Haaris ne Makka Waapas Aakar Jab Wafaat ki Khabar Soonayi to Sara Ghar Maatam-kada(Matam-khana) Ban gaya Aur Banu Haashim ke Har Ghar me Maatam Barpa ho gaya, Khud Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Apne Marhum Shohar ka Aysa Purdard Marsiya(Ta’aziyat) kaha he ki Jisko Soon kar Aaaj bhi Dil Dard se Bhar jata he, (In sha Allah ye Ta’aziyat Agle Post me Peish ki Jayegi)

Riwaayat me he ki Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ki Wafaat par Farishto ne Gumgin ho kar Badi Hasrat(Afsos) ke Sath ye kaha ki ILAAHI Teira Nabi Yateem ho gaya.., HAQQ TA’ALA ne Farmaya Kya huwa.. Mai Uska Haami wa Haafiz hu..
(Madaarijun Nabuwwat, Jild-2)
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-409, 410)

Saiyyadna Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ki Wafaat ke Waqt HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Zahiri Umr ke bare me 3 Aqwaal Naql kiye gaye he
1) HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Abhi Shikame Madar(Peit/Batan) me the ki Saiyyadna Abdullah ka Inteqaal ho gaya,
2) Abhi HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam 7 Maah ke the ki Saiyyadna Abdullah Ka Inteqaal ho gaya,
3) Saiyyadna Abdullah ki Wafaat ke Waqt HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Umr Shareef 20 Maah se Zyada thi.
(Insaabul Ashraab, Jild-1, Safa-92)

>➤ Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ki Rehlat par Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Ashaar :-
Hazrat Saiyyada Aamena Khatun RadiAllaho Ta’ala Anha ke liye Shohar Naamdaar ka Saaneha Irtehaal(Wafaat Pa Jane ka Haadsa) Na-Qaabile Bardaasht tha ki Abhi Shadi Khana Aaabadi ko Aakhir Arsa hi kitna Guzar tha, Aapke Qalbe Anwar par Is Sadme ka Kis Qadr Asar huwa, Is ka Andaza Aap RadiAllaho Ta’ala Anha ke In Ashaar se hota he,

عفا جانب البطحاء من ابن ھاشم وجارو لحدا خار جافی الغماغم
دعته المنايا دعوة فاجابها وماتركت في الناس مثل ابن هاشم
عشية راحوا يحملون سريره تعاوره اصحابه في التزاحم
فان يك غالته المنايا وريبها فقد كان معطاء كثير التراحم

Tarjuma :
Waadi e Batha ka Gosha(Makaan) Haashim ke Farzand(Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho) se Khali Aur Weeraan ho gaya, Usne Daraavni Jagaho me Bahar Ja kar Ek Qabr me Baseira kar liya, Mout ne Unhe Bulaya to Unhone Labbaik keh diya Us Mout ne Ibne Haashim(Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho) Jeisa Insaan bhi Nahi Chhoda, Sham thi Jab Loug Unka Janaza Uthaaye huwe Chale Ja rahe the, Unke Ahbaab Bari Bari Unhe Kandha de rahe the, Siwa Agar Mout ne Aur Uski Aafat ne Unhe Khatm kar diya to kya huwa.. Woh To Bahot Bade Shakhi Aur Maherbaani karne wale the”.
(Tabqaatul Kubra, Zikre Wafaate Abdullah Bin Muttalib)
(Insaabul Ashraaf, Jild-1, Safa-92)

Ye Ashaar Aala Arabi ka Andaaz ke Husn wa Rounak ke Sath Sath Ma’ani ki Saadgi Aur Haqeeqat Bayaani ka Rang liye huwe he Lekin Iske Alawa Mukhlesana(Sacche Dil se) Humdardi, Wafa Aur Maddah(Ta’arif) se bhi Labrez he..

>➤ Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ki Wiraashat :-
Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ka Tarka(Wiraashat) Ek Londi ‘Umme Eman’ Jiska Naam ‘Barqah’ tha, Unt (Aur) Kuchh Bakariya thi, Ye Sab Tarka HUZOOR SARWARE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ko mila,
‘Umme Eman’ Bachpan me HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ki Deikhbhal karti thi, Khilaati, Kapda Pehnaati, Parwarish ki Puri Zaruriyaat Muhaiyya(Puri) karti, Is liye HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam Tamaam Umr ‘Umme Eman’ ki Diljoi(Tasalli) Farmaate rahe, Apne Mehboob wa Mutbanna Gulaam Hazrate Zaid Bin Haarisaa RadiAllaho Ta’ala Anho se Unka Nikaah Kar diya Aur Unke Shikam se Hazrate Usama RadiAllaho Ta’ala Anho Peida huwe.
(Dalaail un Nabuwwat, Jild-1, Safa-150)
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1 Safa-410)

>➤ Jasade Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ki Tadfeen Saani :-
21 January 1978 Isvi Muta’abiq 11 Safarul Muzaffar 1398 Hijri me Pakistaan ke Ma’aruf Qoumi Akhbaar Roznama ‘Nawaa e Waqt’ me Ek Khabar Shaya hui Jo ye thi ki
Karaachi 20 January 1978 ko Yaha Pahonchne wali Ek Ittela ke Muta’abiq Madeena Shareef me Masjide Nabawi ki Tavsee(Lambi/Chodi Banane) ke Silsile me ki jane wale khudaai ke Douraan HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalide Giraami Hazrat Abdullah Bin Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ka Jasad(Jism) Mubaarak Jisko Dafn huwe 1400 Saal se Zyada Arsa Guzar chuka he, Bilqul Sahih wa Saalam Haalat me Baramad huwa, Elawa Azee(Iske Alawa) Sahaabiye Rasool ﷺ Hazrat Maalik Bin Anas RadiAllaho Ta’ala Anho Aur Digar Sahaba Kiraam ke Jasade Mubaarak bhi Asali Haalat me paye gaye, Jinhe Jannatul Baqi me Nihaayat Izzat Wa Ahetaraam ke Sath Dafnaya gaya, Jin Logo ne Ye Manzar Apni Ankho se Deikha, Unka Kehna he ki Mazkura(Zikr kiye gaye) Sahaba e Kiraam Azmaeen RadiAllaho Ta’ala Anhum ke Jism Nihaayat Taro-Taza Aur Asali Haalaat me the.
(Roznama Nawaa e Waqt, 21 January 1978, Ba-Mutabiq 11 Safarul Muzaffar, 1398)
(Seerate Waalideine Mustafa ﷺ, Safa-66, 67)

Subhan Allah..
Is Waqiye se ye bhi Pata Chala ki Saalieheene Ezaam wa Sahaba e Kiraam RadiAllaho Ta’ala Anhum Apni Qabro me Apne Jism ke Sath Moujud wa Mahfuz he..

>➤ Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ke Baad Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Zindagi :-
Hazrat Bibi Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Shohar ki Wafaat ke Baad Tangdasti(Garibi) ki Zindagi Guzaari Lekin Kisi bhi Qism ka Shikwa na kiya Aur Na hi Is Tangdasti ka Kisi se Zikr kiya, Aap Bahot Saabera Aur Shakera(Sabr Aur Shukr se Kaam leine Wali) thi Aur Ye Dono Khubiya Akhlaaqe Faazela(Acchi Aadato) ka Johar he, ALLAH PAAK ne Saabereen wa Shakereen ke liye Jannat ki Basharat di he,

Beywagi ki Zindagi ko Nihaayat Sabr wa Sukun se Guzara, Kisi se Koi Ladaai, Jhagda ya Gila-Shikwa Na kiya, Balki Khandaan wale Aapke Husne Suluk, Sharafat Aur Sanjidgi ki Wajah se Aapse Bahot Mohabbat karte the Aur Aapka Ahteraam karte the, Aapki Sasur Hazrate Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Hameisha Aapki Qadr ki, Aap RadiAllaho Ta’ala Anha Shukha Gosht khaya karti thi, Is se Aapki Kefaayate Sheaar(Kam Kharch) Aur Saliqa Mandi ka Pata Chalta he Aur Ye Khubi Badi Samajhdar Khaatun me hi payi jati he.
(Seerate Waalideine Mustafa ﷺ, Safa-68, 69)

>➤ Waalidein E MUSTAFA ﷺ ka Imaan :-
HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalidein Kareemein ke Bare me Ulma ka Ikhtelaaf he ki Woh Dono Momin he ya Nahi…
Baaz Ulma In Dono ko Momin Nahi Mante Aur Baaaz Ulma ne Is Masale me Tawaqquf(Thehar/Ruk) kiya Aur Farmaya ki In Dono ko Momin ya Kafir kehne se Zabaan ko Rokna Chahiye Aur Iska Ilm KHUDA TA’ALA ke Supurd(Hawaale) kar deina Chahiye, Magar Ahle Sunnat ke Ulma e Mohaqqeqin ka yahi Aqeeda wa Qoul he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalidein Dono Yaqinan Bila-Shuba Momin he,
Chunanche Is Baare me Hazrat Shaikh Abdul Haqq Mohaddise Dahelvi Alayhir Rahmah ka Irshaad he ki
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalidein ko Momin Na Maanna ye Ulma e Mutaqaddimeen(Pehle Dour ke Ulma) ka Maslak he Lekin Ulma e Muta’akhkhireen(Baad me Aane Wale Ulma) ne Tehqeeq ke Sath Is Masle ko Saabit kiya ki HUZOOR RAHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalidein Balki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Tamaam Aaaba wa Ajdaad(Baap-Dada) Hazrate Aadam Alayhis Salaam tak Sabke sab Momin he,

Aur In Hazraat ke Imaan ko Saabit karne me Ulma e Muta’akhireen ke 3 Qoul he
1) Ye ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalidein Aur Aaaba wa Ajdaad Sab Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ke Deen par the Lihaza Momin huwe,
2) Ye Tamaam Hazraat HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Aylaane Nabuwwat se Pehle hi Ayse Zamaane me Wafaat Pa Gaye Jo Zamana e Fitrat Kehlata he Aur In Lougo tak HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Da’awate Imaan Pahonchi hi Nahi, Lihaza Hargiz In Hazraat ko Kaafir Nahi kaha ja Sakta Balki In Lougo ko Momin hi Kaha Jayega,
3) Ye ki ALLAH TA’ALA ne In Hazraat ko Zinda Farma kar Inki Qabro se Uthaya Aur In Lougo ne Kalma Padh kar HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tasdeeq ki,
Aur ye Woh Ilm he Jo Ulma e Mutaqqadimeen par Poshida rah gaya Jisko HAQQ TA’ALA ne Ulma e Muta’akhkhireen par Munkashif(Zaahir) Farmaya Aur ALLAH TA’ALA jisko Chahta he Apne Fazl se Apni Rahmat ke Sath Khas Farma leita he Aur Shaikh Jalaaluddin Suyuti Rahmatullah Alay ne Is Masle me Chand Rasaail(Chhoti Kitaabe) Tasnif kiye he Aur Is Masle ko Daleelo se Saabit kiya he Aur Mukhaalifeen ke Shubhaat(Shak) ka Jawaab diya he.
(Ash’atul Lam’aat, Kitaabul Janaaiz, Baab Ziyaaratul Qubur, Jild-1, Safa-765)
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-41,42)
(Seerate Mustafa Jane Rahmat ﷺ, Jild-1, Safa-539,540)

In sha Allah.. ALLAH TA’ALA ne Toufiq di to Is Topic ko Daleelo se Saabit karke Post kiye Jayenge….




#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Huzoor #Nabi #Walideine-Mustafa #Hazrat-Abdullah #Hazrate-Aamena #Aamena-Binte-Wahab #Abdullah-Bin-AbdulMuttalib, #Walida-e-Mustafa- #Walidain-Mustafa-Ka-Iman

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *