Hazrat Hood Alayhis Salaam

lklksnbns

>➤ Hazrat Hood Alayhis Salaam :-
Hazrat Hood Alayhis Salaam ‘Aaad’ Qabeela se he, 
Is Qabee ko ‘Aaade Auwla’ kaha gaya he,

Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Aulaad me se Ek Shaksh ka Naam ‘Aaad’ tha, Uski Taraf Mansub hone wali Qoum ko ‘Aaad’ kaha gaya he, Aaad ka Nasab ye he
“Aaad Bin ows Bin Aram Bin Saam Bin Nooh”

Hazrat Hood Alayhis Salaam ka Nasab ye he
“Hood Bin Abdullah Bin Rebaah Bin Khalud Bin Aaad” he.

>> Naam : Aap Alayhis Salaam ka Naam ‘Aabir ya Aabar’ he, Ek Qoul ke Mutaabik Aap Alayhis Salaam ka Naam ‘Eybar’ he,

>> Laqab : Aap Alayhis Salaam ka Laqab ‘Hood’ he,
(Tafseere Mazhari, Jild-3, Safa-369)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-240)

>➤ Hazrat Hood Alayhis Salaam ki Aamad :-
Hazrat Hood Alayhis Salaam Hazrat Nooh Alayhis Salaam se 800 Saal Baad Tashreef Laaye Aur Aap hi ki Shariyat par the,

Hazrat Hood Alayhis Salaam ki Umar me Kayi Aqwaal he
1) 400 Saal,
2) 460 Saal,
3) 134 Saal,
4) 464 Saal,
Lekin 464 wala Qoul Zyada Mashoor he, Itna Taweel Arsa Hazrat Hood Alayhis Salaam Is Duniya me Zahiri Hayaat me rahe Aur Fir Is Duniya Faani se Rahlat Farmayi Aur Hayate Jaawedani Hasil ki.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-241)

>➤ Hazrat Hood Alayhis Salaam ne Qoum ko Deen e Islaam ki Da’awat Farmayi :-
Quraane Paak me he ki
“Kaha Ay Meri Qoum ALLAH ko Pujo Uske Siwa Tumhara koi Ma’abud nahi Tum Nire Muftari ho, Ay Qoum Mei Is Par Tumse Kuchh Ujrat Nahi Mangta Meri Mazduri to Ushi ke Zimme he Jisne Muze Peida kiya, To Kya Tumhe Aqal Nahi, Aur Ay Meri Qoum Apne RABB se Mu’afi Chaho, Fir Uski Taraf Ruju’a Laao Tum par Zorka Paani Bhejega Aur Tumme Jitni Quwwat he Usse Aur Zyada deiga, Aur Jurm Karte Hue Ru-Gardaani na karo”
(Surah Hood, Aayat-50, 51, 52)

Hazrat Hood Alayhis Salaam ki Qoum Imaan Aur ‘Hazr Mowt’ ke Darmiyaan Feili hui thi, ye ek Registaani waadi thi, Hazrat Hood Alayhis Salaam ki Qoum Butt-Parast thi,
Hazrat Hood Alayhis Salaam ne jab Unko Shirk se Baaz rahne, Butt-Parasti ko Chhod ne Aur ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat Par Imaan Laane ki Da’awat di to Qoum ne Aapki Takzeeb ki to ALLAH TA’ALA ne Unse 3 Saal tak Barish rouk li, Qahat Saali Padh gayi, Unki Aurato ko bhi 3 Saal tak Baanjh kar diya(Unke Baccho ki Peidaish Rouk di gayi),

Hazrat Hood Alayhis Salaam ne 3 Shaksho ko Apni Qoum ke Paas Bheja ki Tum Unhe Samjaaw wo 3 Shaksh ye the, Qeel Bin Asr, Naeem Bin Hazaal Aur Mursad Bin Sa’daya, Darhaqiqat wo Hood Alayhis Salaam par Imaan laaye hue the lekin Apni Qoum se Imaan ko Chhupaya huwa tha, Un 3no ko Bhejne ka Maqsad yahi tha ki Qoum Unhe Apna Samaj kar unki Baat ko Maanegi Aur Soche ki ye Hamare Apne hi Loug he Nasihat Kar rahe he To Yaqinan Usme Bhalaai hogi Lekin Qoum Sochne Aur Maanne se Aadi hi rahi,
Hazrat Hood Alayhis Salaam ne Qoum ko Un 3no ke Zariye Kehlaya
ki ALLAH TA’ALA Par Imaan Laao, RABB TA’ALA Se Magfirat Talab karo Aur ALLAH TA’ALA ki Taraf Khushu wa Khuzu se Rajooe karo, to ALLAH TA’ALA Tumhe Zour ki Baarish Aata kar deiga Aur Tumhe Kaseer Maal Ataa Karega Aur Tumhe Beite Ataa karega Aur Tumhare liye Baarish se Nahere Aur Baagaat banayega Aur Tumhe Pehle se Zyada Taaqatwar Banaayega.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-241, 242)

>➤ Qoume Aaad ki Taaqat Aur Unke Kaam :-
Quraane Majeed me he ki
“Woh Jo Aaad the Unhone Zamin me Na Haqq Takabbur kiya, Aur Bole Hamse Zyada Kiska Zour Aur Kya Unhone Na Jana ke ALLAH Jisne Unhe Banaya Unse Zyada Kawi he Aur Hamari Aayato ka Inkaar karte the”
(Surah Haammim As-Sajda, Aayat-15)

Qoume Aaad ke Chhote Qad 60 Zaraa(90 Feet) Aur Bade Qad 100 Zaraa(150 Feet) thi, Ishi Wajah se Apne Jismo Aur Taaqat ke Ghumand me ye kehte the ki Ham se koi Taaqatwar nahi Ham Pahaad se Bade Bade Patther, Chattane Utha kar ek Jagah se Dusri Jagah le Jaate he, Agar Azaab Hamare Saamne Aagaya To Ham Ushe Apne Haatho se Rouk leinge,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya
“Tum Apni Taaqat par Naaz karte ho Kabhi Meiri Taaqat ko bhi Tasawwur me laya karo, Meri Taaqat ke Mukaabil kishi ko koi Majaal nahi.
(Tafseere Jalalein, Safa-398)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-243)

>➤ Qoume Aaad Lougo ke Saath Mazaak ke liye Buland Nisaan Banate :-
Quraan Shareef me he ki
“Kya Har Bulandi Par Ek Nisaan Banate ho Raahgiro se Hasne ko”
(Surah As-Shu’ara, Aayat-128)

Wo Buland Maqaamaat Par Buland Imaarate Ta’amir karte the Taaki Wo Raasta se Guzar ne walo se Mazaah kar Sake, Unka Mazaak Uda sake Aur Unhe Tang kar sake.

>➤ Qoume Aaad Rehne ke Liye Mazboot Mahal Banate :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Mazbut Mahal Chunte ho Is Ummid par ke Tum Hameisha Rahoge”
(Surah As-Shu’ara, Aayat-129)

Hazrat Hood Alayhis Salaam ne Qoum ko Samjaya ki Tumhare Tour-Tareeqe Ayshe he ki Tum ye Samajte ho (ki) Tumhe Hameisha Duniya me rehna he Halanki Duniya Faani he Isme Hameisha ke liye Dil na lagaao.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-244)

>➤ Hazrat Hood Alayhis Salaam ki Qoum ke Jawabaat :-
Quraane Majeed me he ki
“Uski Qoum ke Sardar Bole Beshaq Ham Tumhe Bewkuf Samajhte hei Aur Beshaq Ham Tumhe Jhutho me Gumaan Karte hei”
(Surah A’araaf, Aayat-66)

Hood Alayhis Salaam ne Qoum ka Radd karte hue Farmaya
“Kaha Ay Meri Qoum Muze Bewakufi se Kya Ilaka Mei to PARWARDIGAARE AALAM ka Rasool hu, Tumhe Apne RABB ki Risalate Pahunchata hu Aur Tumhara Mo’tamid(Bharoshe wala) Kheir-Khwaah(Bhalaai Chahne wala) hu”
(Surah A’araaf, Aayat-67, 68)

(Ambiya e Kiraam ko Unki Qoumo ne (Ma’az Allah) Gumraah Aur Bewakuf kaha, Lekin Ambiya Kiraam ne Unka Jawab Unki Tarah Nahi diya Balki Husne Akhlaaq se Unhe Raahe Haqq par Laane ki Koshis ki Kyu ki Ambiya e Kiraam ki Shaan Bahot Buland hoti he, Unka Har Kalaam Unki Shaan ke Laayak hota he.)
Hazrat Hood Alayhis Salaam ne Qoum ko Shidhi Raah Par Lane ki Har Tarah se Koshis ki Lekin Qoum ne Hameisha Kaj-Roi ki,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-246, 247)

>➤ Qoum ki Hemaakat :-
Quraane Majeed me he ki
“Bole Ay Hood (Alayhis Salaam) Tum koi Dalil le kar Hamare Paas na Aaye Aur Ham Khaali Tumhare Kehne se Apne Khudao ko Chhodne ke Nahi Na Tumhari Baat par Yakin Laaye, Hamto Yahi kehte he ke Hamare Kishi Khuda ki Tumhe Buri Zapat Pahunchi”
(Surah Hood, Aayat-53, 54)

Qoum ne Kaha Ki Ham Tumhare Kehne Par Apne Ma’abudo ko Chhodne wale nahi, Ham Tum Par Imaan Laane wale Nahi, Ye Sirf Hasad va Inaad tha, Warna Bazaahir Inkaar ki koi Wajah na thi, Balki wo Khud Iqraar bhi Karte the ki Nafaa wa Nukshaan Sirf ALLAH TA’ALA hi ke Qabza e Qudrat me he, Ye Butt Nafaa Nukshan ke Malik nahi,

Qoum ka ye Kehna ki Hamare Ma’abudo ki Buraai Tum Bayan karte ho, Un(Ma’abudo ne) Tumhe (Maaz Allah) Diwana Bana diya he, Tumhari Aqal ko Zaya Kar diya he,
Qoum Udhar ye kehti he ki Butt Nafaa wa Nuqshan ke Malik Nahi Aur Idhar Kehte Hamare Butto ne Tumhe Musibat Pahonchadi,
Ye Inki Himaakat Thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-247)


>➤ Hazrat Hood Alayhis Salaam ka Qoum ko Challenge :-
Quraan Shareef me he ki
“(Hazrat Hood Alayhis Salaam ne) Kaha Mei ALLAH ko Gawaah Karta hu Aur Tum Sab Gawaah ho Jaao ke Mei Bezaar hu Un Sabse Jinhe Tum ALLAH ke Siwa Uska Sareek Thehraate ho, Tum Sab Milkar Meira Bura Chaho Fir Muze Mohlat Na do, Meine ALLAH Par Bharosha kiya Jo Meira RABB he Aur Tumhara Rabb, koi Chalnewala Nahi, Jiski Choti Uske Kabze Qudrat me Na ho, Beshaq Meira RABB Shidhe Raste Par Milta he”
(Surah Hood, Aayat- 54, 55, 56)

Hazrat Hood Alayhis Salaam ka Ye Bahot Bada Mojiza he ki Ek Shaksh Bahot Badi Qoum ka Mukaabla kar raha he, Unhe keh Raha he ki Tum Tamaam Mil kar Meri Adaawat me Koi Kasar Baaqi na Chhoudo, Muje Nukshan Pahonchane me Apni Puri Koshis Karlo Muje Koi Mohallat na do, Muje Tumhara Koi Khouf wa Khatra Nahi, Muje to Apne RABB Par Pura Bharosha he, Wahi Meira Muhafiz he, Wahi Muje Bachaane wala he, Saari Makhluq Ushi Ke Qabza e Qudrat me he, Kishi ko Zaate BAARI se Mukabla Karne ki Koi Taaqat Nahi.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-13)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-248)

>➤ Hazrat Hood Alayhis Salaam ne Qoum ko Azaab se Daraya :-
Quraane Majeed me he ki
“Beshaq Muze Tum Par Dar hei ke Ek Bade Din ke Azaab ka”
(Surah As-Shu’ara, Aayat-135)

Aur Ek Jagah Irshaad he ki
“Fir Agar Tum Mooh Feiro to Mei Tumhe Pahuncha Chuka Jo Tumhari Taraf Lekar Bheja Gaya, Aur Meira RABB Tumhari Jagah Auroko Le Aaega Aur Tum Uska Kuchh Na Bigaar Sakoge Beshaq Meira RABB Har Say Par Nigehbaan he”
(Surah Hood, Aayat – 57)

Hazrat Hood Alayhis Salaam ne Farmaya Meine ALLAH TA’ALA ke Peigaamaat Tum Tak Pahoncha diye he, Tumhe Kaamyabi ka Raasta Bata diya he Lekin Tum ne Apni Zid na Chhodi Butt-Parasti par Qaayam rahe, Ab RABB ka Azaab Aane Wala he, Jo Tumhe Tabaah wa Barbaad Kar deiga, Agar Tum Chaho ki Us ke Azaab ka Muqabla karo to Tum Aysha Kabhi Nahi kar Sakoge, wo to Tumhe Barbaad Kar deiga Lekin Tum Us ka Kuchh Nahi Bigaad Sakoge Aur Tumhe Barbaad Karne se Uski Baadshahat me Koi Farq Nahi Aayega, Is liye ki wo Qudrat ka Malik he Tumhari Jagah Wo Nayi Makhluq Peida Farma deiga Jo Uski Itaa’at karegi Uske Hukm ki Baja-Aawri me Koi Kami Nahi hone deinge.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-13)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-248, 249)

>➤ Azaab ka Khouf Dila Ne Par Qoum ka Jawab :-
Quraan Majeed me he ki
“Bole Hame Baraabar hei Chahe Tum Nasihat Karo ya Nasihat Karne walo me se Na ho, Ye to Nahi Magar Wohi Aglo ki Rit(Tour-Tareeqe), Aur Hame to Azaab hona hi Nahi”
(Surah As-Shu’ara, Aayat-136, 137, 138)

Qoum ne Kaha hame Tumhare Azaab ke Khouf Dilane ki Koi Fikr nahi, Ham Tumhare Wa’az se Nasihat Hasil Karne wale Nahi, Tum Bhi Pehle Nabiyo ki Tarah hi Hame Azaab se Dara rahe ho ye to Sabiqa Rasm Aa rahi he, Ham Badi Taaqat ke Malik he, Hame Azaab Kuchh Nukshan nahi Pahocha Sakta.

>➤ Qoum ne Azaab ko Rehmat Samjha :-
Quraan Majeed me he ki
“Fir Jab Unhone Azaab ko Deikha Baadal ki Tarah Aasmaan ke Kinare me Feila huwa Unki Waadiyo ki taraf Aata, Bole Ye Baadal hei ke Ham Par Barsega, Balke ye to woh he Jiski Tum Jaldi Machate the ek Aandhi he Jisme Dardnaak Azaab, Har Chiz ko Tabaah Kar Daalti he Apne RABB ke Hukm se, To Subah Reh gaye ke Nazar Na Aate the Magar Unke Sune Makaan Ham Ayshi hi Saza deite hei Mujrimo ko”
(Surah Ahqaaf, Aayat – 24, 25)

Jeisha ki Pehle Zikr Aa Chuka he ki Qoume Aaad Par Hood Alayhis Salaam ki Takzeeb ki Wajah se 3 Saal tak Baarish Ko Rouk Diya gaya tha Is liye Jab Qoum Par Azaab Aane Ka Waqt Aagaya to ALLAH TA’ALA ne Siyaa(Black) Baadalo ko Chalaya Jo Unki Waadiyo se Zahir hue, wo Loug Waadiyo se Uth-te hue Baadalo ko deikh kar Bade Khus hue ki Barish Barsha ne wale Baadal Aa gaye he, Ab 3 Saala Qahat ka Dour Khatm hone wala hei,
Hazrat Hood Alayhis Salaam ne Unhe Bataaya ye to Wahi he Jis ki Tumhe Jaldi Padi hui thi, Kyunki wo Qoum Kehti thi Beshak Azaab le Aao.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-249, 250)

sa

>➤ Qoume Aaad Par Azaab :-
Quraan Shareef me ALLAH AZZAWAZAL Irshaad Farmata he
“Aur Aaad me Jab Hamne Unpar Khusk Aandhi Bheji, Jis Chiz par Guzarti Ushe Gali Hui Chiz ki Tarah Kar Chhodti”
(Surah Al Zaariyaat, Aayat-41, 42)

Ek Aur Jagah Irshaad he
“Aaad woh Halaaq kiye gaye Nihaayat Shakht Garajti Aandhi se, Woh Unpar Quwwat se Laga di Saat(7) Raate Aur Aaanth(8) Din, Lagaataar to Un Lougo ko Unme Deikho Bicchde Hue Goya woh Khajur ke Dhundh me Gire hue, To Tum Unme Kishi ko Bacha huwa deikhte ho”
(Surah Al Haaqqa, Aayat-6, 7, 8)

Qoume Aaad Par 7 Raate Aur 8 Din Lagaataar Sadeed Andhi Chali, Sirf Isme Garj thi Baarish Nahi thi, Wahi Loug jo Baadalo ko deikh kar Khus ho rahe the Aur Ye Keh Rahe the ki Azaab to Ham Apni Taaqat se Taal deinge, Jab Unhone deikha ki Sadeed Garajne wali Aandhi Fiza me Heywano Aur Parindo ko Uda rahi he to ye Apne Makaano me Dakhil ho gaye Taaki Is Aandhi ki Siddat se Bach Sake, Lekin Saare Daawe Dheir ke Dheir ho gaye, ALLAH TA’ALA ne Us Fariste ko Hukm diya jo Hawae Chalaane par Muqararr he ki Aaad ki Qoum par Apni Hawaao ke Khazaane se Itni Miqdaar me Hawa ko Khol de Jitni Miqdaar ek Angoothi ki hoti he,
RABB TA’ALA ke Khazaano me se Ye Hawa Bazahir Ma’amuli thi Lekin Duniya me Howlnaak Tufaan tha, Tabaah-kan Aandhi thi, Sabse Pehle ek Aurat ne deikha ki Hawaa me Muje Aaag ke Sole Nazar Aa rahe he, Us Hawaane Unke Makaano ke Darwaze Gira diye,
Qoume Aaad Reit ke Teile me Dab Jate, Ye Silsila 7 Raate 8 Din Musalsal raha, Kishi waqt bhi Aandhi na Ruki, Wo Sab Tabaah Barbaad hogaye, Bade Bade Qad wale Apni Taaqat par Naaz karne wale RABB TA’ALA ki Giraft me Jab Aaye to Ayshe Barbaad hue ki Jeishe Khajuro ke Tane gire hue he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-250, 251)

ALLAHU AKBER,

>➤ Hazrat Hood Alayhis Salaam Aur Unki Qoum par Naja’at :-
Quraan Shareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Aur Jab Hamara Hukm Aaya Hamne Hood (Alayhis Salaam) Aur Uske Saath ke Musalmano ko Apni Rehmat Farma kar Bacha liya Aur Unhe Shakt Azaab se Naja’at di”
(Surah Hood, Aayat-58)

RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat ka Indaza Kijiye, Jaha Kuffar ko Tabaah wa Barbaad kar diya waha Hood Alayhis Salaam Aur Unki Qoum ko Naja’at di, Hazrat Hood Alayhis Salaam ne Apni Qoum ke Ird-Gird Khat Khinch diya wo Sadeed Aandhi Unhe Khus-Gawaar Mousam Bahaar ki Halki Halki Thandi Thandi Sahaani Hawaa Mahsus ho rahi thi, Kuffar Gir kar Tabaah ho rahe the Unki Gardane Toot rahi thi, Reit ke Teile me Dab Rahe the, Lekin ALLAH wale, NABI par Imaan Lane wale, Ushi Aandhi se Khus ho rahe the,

Subhan Allah…
(ALLAH TA’ALA ki Qudrat ka Insaan keishe Andaja kar Sakta he.. Uski Hikmato se wo Khud hi Waaqeif he)

Imaam Fakhrudin Raazi Rahmatullah Alay Likhte he ki
“Yaani Kuffar ko Duniya me bhi Shakt Azaab me Mubtila kiya Aur Qayamat me woh Sadeed Azaab me Mubtila honge, Momino ko ALLAH TA’ALA ne Duniya me bhi Mahfuz rakha Aur Qayamat me bhi Mahfuz Rakhega.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-17, Jild-24, Safa-28)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-251)

NABI Alayhis Salaam ki Takzeeb Aur NABI Alayhis Salaam ki Gustakhi Tabaahi ke Azaab ko Da’awat deine ke barabar he,

ALLAH TA’ALA Imaan Par Qaayam wa Daayam Rehne ki Tofiq Aata Farmaye Aur Ambiya kiram ki Shaan me Gustaakhi se Bachaye.
Aameen Ya RABBUL AALAMIN..

Hazrat Hood Alayhis Salaam ke Waqiyaat Yaha par Khatm hote he..



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Hazrat Hood #hud #Aaad #Aad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *