
>➤ Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ka Madyan ko Islaam ki Da’awat deina :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Madyan ki Taraf Unki Biraadari se Shoaib(Alayhis Salaam) ko Bheja Kaha Ay Meri Qoum ALLAH TA’ALA ki Ibaadat Karo Uske Siwa Tumhara koi Ma’abud nahi Beshak Tumhaare Paas Tumhaare RABB ki Taraf se Roushan Dalil Aayi To Naap Aur Tol Puri karo Aur Lougo ki Chize Ghataakar naa do Aur Zamin me Intezaam ke baad Fasaad Na Feilaao Yah Tumhara Bhala he Agar Imaan laao”
(Surah Al A’raaf, Aayat-85)
Madyan Asal me Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ke Ek Beite ka Naam he, Uski Aulaad par bhi Madyan hi Bola jata raha Yaani Ek Qabile ka Naam Madyan huwa to fir Us Qabile ke lougo ne Ek Shahar Aabad kiya Uska Naam bhi Madyan rakha, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam is Qabile ke Fard(Person) the,
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko ALLAH TA’ALA ki Ibaadat ka Hukm diya Aur Geirullah ki Ibaadat se Manaa kiya Aur Apni Nabuwwat ka Daawa kiya,
Tamaam Ambiya Alayhis Salaam ki Aadate Shareef rahi he ki Apni Qoumo ko Buraaiyo se Rokte rahe, Khususan Sabse Badi Buraai se Rokne me Zyada Tawajjo deite rahe Aur Ishi se Ibtedaa(Suruaat) karte, Aapne bhi Apni Qoum ko Sab se Pehle Ye Farmaya “Naap Aur Tol ko Pura karo” Chunki Shoaib Alayhis Salaam ki Qoum ke Loug Taajar(Wyapaari) the, Wo Naap Tol me kami karte the ishi Tarah Lougo ka Maal Na-jaiz Tariqe se Hadap leite the, Is Buraai par Fitna Fasaad Feilaa tha Isliye Sab se Pehle Is Chiz ki Taraf Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Tawajjo Faarmaayi,
Naap Tol ka Pura karne ka Hukm deine ke baad Umumi Tour par Irshaad Farmaya Kishi ka Maal na Chhino, Chori Na karo, Rishwat na lo, Daaka na daalo Aur Zamin me Fasaad Feilana Deen o Duniya ko Barbaad Karna he Aur ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat Aur Apne Nabi ki Nabuwwat ko Taslim karo,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-356, 357, 358)
>➤ Qoum ko Buraai se Rokna :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Har Raaste Par yu na Beitho ki Raahgiro ko Daraao Aur ALLAH TA’ALA ki Raah se Unhe Roko Jo Uspar Imaan laaye Aur Usme Kazi (Tedhaapan) chaaho Aur yaad karo jab Tum Thode the Usne Tumhe Badha diya Aur Deikho Fasaadiyo ka Keisha Anjaam huwa”
(Surah Al A’raaf, Aayat-86)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Qoum Ka Ye Tariqa tha ki wo Loug Raaste par Beith jaate Aur Hazrat Shoaib Alayhis Salaam par Imaan Laane waala jo Shaksh bhi waha se Guzarta Use Daraate Aur Dhmkaate, wo kabhi Daraa-Dhamka kar Lougo ko Shidhi Raah se Gumraah kar deite Aur Kabhi Weyshe hi Unko Baato me Lagaaa kar Neki ke Kaam se Rokne ki Koshis karte Aur Kabhi Deen me Apni Himaakat ki wajah se Eyteraaz karte Aur Usme Nuqs Nikaalne ki Koshis karte Iske Baad ALLAH TA’ALA ne Apne Nabi ke Zariye Unhe Apni Ne’amat yaad Dilaai Aur Farmaya
“Aur Yaad karo Jab Tum Thoude the Usne Tumhe Badhaaya’
Is se 3 Maqshad ho sakte he
1) Tum Taadaad me Thode the Aur ALLAH TA’ALA ne Tumhe Badhaya Ab Tum Taadaad me Bahot Zyada ho ye Uska Tum par Ahsaane Azeem he,
2) Tum Garib the Tumhaare Paas Maal wa Doulat nahi thi ALLAH TA’ALA ne Tumhaare Maal wa Doulat ko Badhaaya,
3) Tum Kamzor the ALLAH TA’ALA ne Tumhe Taaqat di,
Jab ALLAH TA’ALA ki Tum par Kaseer(Zyada) Inaamat he to Tumhe Chaahiye ki Tum ALLAH TA’ALA ki Itaa’at karo, Uski Ibaadat karo Aur Uski Nafarmaani se Door raho Aur Tumse Pehle Jo Sarkash Aur Zaalim ALLAH TA’ALA ke Naafarmaan hue Unhe Siwaaye Zillat wa Ruswaayi Aur Azaabe ILAAHI ke Kuchh Haasil nahi huwa, Agar Tum bhi Ishi Haal par rahe To Tumhara bhi yahi Anjaam hoga.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-358, 359)
>➤ Halaal Maal me Hi Bhalaai he :-
Quraane Paak me he ki
“ALLAH ka Diya Jo Bach rahe wo Tumhare liye Behtar he Agar Tumhe Yaqin ho Aur me kuchh Tum par Nigehbaan nahi”
(Surah Hood, Aayat-86)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ke Irshaad ka ye Maqdhad tha ki Agar Tumne Naap Tol me Kami Na ki, Lougo ko Unke Huquq pure karke diye Aur Kisi ke Maal me Kami Na ki to Jo Maal Tumhare Paas Bache Rahega Usme ALLAH TA’ALA Kheir wa Barkat Ataa Farmaayega Aur Rizq ka Darwaja Khol dega Aur RABB ki Ita’at me Jo Azeem Sawaab Haasil hona he wo Duniya ke Maal se Qadr wa Manjelat ke Lihaaz par Azeem Darja rakhega,
Aur Aage Irshaad Farmaya ki Meira Kaam Sirf Tumhe Bhalaai ki Nasihat karna he, Me Tumhe Buraaiyo ke Irtekaab se Manaa karne ki Taaqat nahi Rakhta, Niz Agar Tumne Bure Aamal Na Chhode Aur Unki Nahusat se Tumhaari Neamato ka Zawaal ho gaya Aur Maal wa Doulat barbaad ho gaya to Me Tumhe nahi Bachaa Sakunga, (Kuchh Nabiyo ko Jang ki Ijaajat thi Jeishe Hazrat Musaa Alayhis Salaam, Hazrat Daawud Alayhis Salaam, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Aur Kuchh wo the Jinhe Jang ka Hukm Na tha Aur Hazrat Shoaib Alayhis Salaam bhi Unhi me se he.)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-359)
>➤ Qoum ka Jawaab :-
Quraane Paak me he ki
“Bole Ay Shoaib(Alayhis Salaam) kya Tumhaari Namaaz Tumhe ye Hukm deiti he ki Ham Apne Baap Daada ke Khudaao ko Chhod de Ya Apne Maal me Jo Chaahe Na kare haa ji Tumhi Bade Aqalmand Neik Chalan ho”
(Surah Hood, Aayat-87)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Qoum ko ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat par Imaan laane Aur Uske Bageir Kishi ki Ibaadat Naa karne ka Hukm Diya to Qoum ne kaha ki Ham to Apne Baap Daada ke Tariqe ko nahi Chhod sakte, wo kai Ma’abudo ki Ibaadat karte the, Ham bhi yahi karenge, Aur Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Qoum ko kam Tolne Aur kam Naapne se Manaa kiya Aur Farmaya ki Lougo ko Chize Ghataa kar Na do to kehne lage ki Ham to Maal Jamaa karna Chaahte he, Maal Jamaa karne ke Mukhtelaf Hat-kande he, Ham jis Tarah Jamaa karne ka Iraada rakhte he Uske Khilaaf koi Qadam Uthane ke liye Tayyar nahi,
Aur Unhone kaha Tum Bade Namaazi, Imaandaar, Aur Deendaar Bane Beithe ho..!! ye Tumhaari Namaaze Tumhe kehti he ki Tum Hame Apne Baap Daada ke Deen se Feir do Aur Hame Maal Na Jamaa karne do(Maaz Allah), Haa Ji Tum Bade Aqalmand Aur Neik Chalan Samajte ho Apne Aapko.
>➤ Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ka Jawaab :-
Quraane Paak me he ki
“Ay Meri Qoum Bhalaa Bataao to Agar me Apne RABB ki Taraf se Roshan Daleel par hu Aur Usne Mujhe Apne Paas se Achhi Rozi di Aur me Nahi Chahta hu ki Jis Baat se Tumhe Manaa karta hu Aap Uske Khilaaf karne lagu Me Jahaa tak Bane Sanwaarna hi Chahta hu Aur Meri Toufiq ALLAH TA’ALA hi ki Taraf se he Meine Ushi ki Taraf Bharosa kiya Aur Ushi ki Taraf Ruju’a hota hu”
(Surah Hood, Aayat-88)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya ki ALLAH TA’ALA ne Mujhe Ilm, Hidaayat, Deen Aur Nabuwwat Ataa ki he Aur Mujhe Rizq e Halaal Bahot Zyada Ataa kiya he(Yaad rahe Hazrat Shoaib Alayhis Salaam Bahot Maal-Daar the),
Aur Aage Irshaad Farmaya ki Jab Tum Meri Aqalmandi ko Maante ho to Samajlo ki me Tumhe Behtar Raah par chalaana Chahta hu Aur Khud bhi Us par Qaayam hu, Eysa nahi ho Sakta ki Me Tumhe Bure Aamaal se Manaa karu Aur Khud Un par Amal karu, Mujhe ALLAH TA’ALA par Bharosa Haasil he Aur Mujhe Uski Taraf Ruju’a karna he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis, Safa-360, 361)
>➤ NABI Alayhis Salaam ki Mukhaalifat Azaab ka Sabab :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Ay Meri Qoum Tumhe Meri Jid yah na Kamwa de ki Tum par Pade Jo Padaa tha Nooh ki Qoum ya Hood ki Qoum Ya Saaleh ki Qoum par Aur Loot ki Qoum to Kuchh Tumse Door nahi, Aur Apne RABB se Maafi Chaaho Fir Uski Taraf Ruju’a Laao Beshak Meira RABB Meharbaan Mohabbat Wala he”
(Surah Hood, Aayat-89,90)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Farmaya Ay Meri Qoum Meri Mukhaalifat Aur Adaawat ki Wajah se Tum ALLAH TA’ALA ke Azaab ko Haasil Na karo, Agar Tum Ishi Tarah Meri Adaawat par Qaayam rahe to Tum bhi Aysi Tabaah wa Barbaad ho Jaaoge jeise Nooh, Hood Aur Loot Alayhis Salaam ki Qoume Tabaah wa Barbaad ho gayi, Unka koi Naam wa Nishaan nahi Raha Aur Loot Alayhis Salaam ki Tabaah-Shuda Bastiya Tumhaare Ilaaqe se koi Door nahi Aur Unka Zamaana bhi Tumhaare Zamaane se koi Door nahi, Tumhe Chaahiye ki Tum Apne Tamaam Jaraaim ko Chhod kar ALLAH TA’ALA ki Taraf Ruju’a Karo Usse Magfirat Talab karo, ALLAH TA’ALA Bahot Kareem he Raheem he wo kabhi Apni Taraf Jhukne waalo ko Apni Rehmat se Mehrum nahi karta, Tumhe Chaahiye ke Tum Uski Rehmat se Kabhi Maayus Na ho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis, Safa-361)
>➤ Qoum ke Jawaabaat :-
Quraane Majeed me he ki
“Bole Ay Shoaib (Alayhis Salaam) Hamaari Samaj me nahi Aati Tumhaari Bahot si Baate Aur Beshak Ham Tumhe Apne me Kamzor deikhte he Aur Agar Tumhaara Kumba Na hota to Hamne Tumhe Pathraav kar Diya hota Aur Kuchh Hamaari Nigaah me Tumhe Izzat nahi”
(Surah Hood, Aayat-91)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Qoum ki Raahe Haqq ki Tablig Farmaayi Unhe Azaab se Bachne Aur ALLAH TA’ALA ki Rehmat Haasil Karne ki Targib di Lekin Qoumne Aapko Dhamkiya deini Shuru kardi,
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam Qoum ke Saath Unki Zubaan me kalaam Farma rahe the Lekin wo Fir bhi kehne lage ki Hame Tumhaari Baate Samaj nahi aati kyunki wo Aapki Baato se Bahot Zyada Nafrat karne ki Wajah se Tawajjo hi nahi deite the, Goya ki Unke Kaano par Parde Chhaahe hue the Aur Jo Soon leite wo bhi Aapki Baato ko Haqeer Samaj kar Thukra deite the, Goya Unka Soon na Aur Na-Soon na Baraabar hota Aur Aapne Unhe Touheed, Nabuwwat Aur Qayaamat par Imaan Laane Aur Zulm, Loot ke Chhod ne par jin Dalaail se Qaayal karne ki Koshis ki, Unhone kaha Hamaare Nazdik In Dalaail ki koi Heshiyat nahi, Hame Goya ye Dalaail Sunaai hi nahi deiti,
Aur Qoumne Shoaib Alayhis Salaam ko Kahaa ki Tum Hamaare hi Qabile se ho, Tumhaara Khaandaan Hamaare Nazdik Izzat Aur Ahetaraam waala he, Agarche Tumhaari Izzat Hamaare Nazdik Kuchh nahi Aur Naa hi koi Tum Itne Bahaadur ho, Ham Sirf Tumhe Tumhaari Khaandaan ki Wajah se Chhod rahe he warna Ham Tum par Patharaav karke Tumhe Halaak kar Daalte.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-362)
>➤ Qoum ki Himaaqat par Ta’ajub :-
Quraane Majeed me he ki
“Kahaa Ay Meri Qoum kya Tum par Meire Kumbe ka Dabaav ALLAH se Zyaada he Aur Use Tumne Apni Pith ke Pichhe Daal rakha Beshak Jo Kuchh Tum karte ho Sab Meire RABB ke Bass me he”
(Surah Hood, Aayat-92)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Apni Qoum ki Himaakat par Ta’ajub karte hue Farmaya ki Tum Mere Khaandaan ki Izzat karte ho, Unki Wajah se Mujhe Halaak nahi karte Aur ALLAH TA’ALA ke Ahekaam ko Pashe Pusht Daal rahe ho Uski Taabedaari nahi karte, Haalaanki Haqq ye tha ki Tumne Agar Meri Hifaazat karni hi thi to Mujhe ALLAH TA’ALA ka Nabi Samajh kar Hifaazat karte Usse Tumhe RABB ki Khushnuwdi Haasil hoti, Mujhe Dhamkiya deine Waalo ye bhi Khyaal karo ki Meira RABB Tumhaare Tamaam Aamaal se Baa-Khabar he, Tum Kabhi Uski Qudrat se Bach nahi Sakte.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-362, 363)
>➤ Muta’kabbir Sardaaro ka Jawaab :-
Quraane Majeed me he ki
“Uski Qoum ke Ghamandi Sardaar bole Ay Shoaib(Alayhis Salaam) Qasam he ki Ham Tumhe Aur Tumhaare Saath waale Musalmaan ko Apni Basti se Nikaal deinge Yaa Tum Hamaare Deen me Aajaao”
(Surah Al A’raaf, Aayat-88)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Qoum ke Rais Sardaar Loug Jo Bahot Bade Muta’akbbir(Ghamandi) the, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ko Dhamkiya deine lage ki Tum Hamaare Deen me Aajao Aur Tumhaare Saath Jo Musalmaan he wo bhi Hamaare Deen me Aa jaaye, Agar Tumne Hamaare Deen ko Qabul Na kiya to Ham Tumhe Apni Basti se Nikaal deinge.
>➤ Nabi Dhamkiyo se nahi Darte :-
Quraane Majeed me he ki
“Kaha Kya Agarche Ham Bezaar ho, Jarur Ham ALLAH Par Juth Baandhenge Agar Tumhaare Deen me Aa jaaye Baad Iske ki ALLAH ne Hame Is se Bachaya he Aur Ham Musalmaano me Kisi ka Kaam nahi ki Tumhaare Deen me Aaye Magar Yah ki ALLAH Chaahe Jo Hamaara RABB he Hamaare RABB ka Ilm Har Chiz ko Gheire he ALLAH hi par Bharosa kiya Ay Hamaare RABB Ham me Aur Hamaari Qoum me Haqq Feishla kar Aur Teira Feishla Sabse Behtar he”
(Surah Al A’raaf, Aayat-88, 89)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Apni Qoum ki Dhamkiyo ki Parwaah Na karte hue Jawaab Diya ki Kya Ham Us Deen me Aa jaaye Jis se Ham Bezaar he Jo Hame Na-Pasand he ye Kabhi Nahi ho Sakta, ALLAH TA’ALA ka Azeem Ahesaan he Ham par, Jisne Hame Tumhaare Baatil Deen se Mehfuz rakha huwa he, Agar Tumhaare kehne par Ham Us Deen me Aa jaaye to ye ALLAH TA’ALA par Jhuth Baandhna Laazim Aayega, Kya Tum ye Khyaal karte ho ki ALLAH TA’ALA ka Nabi Aur Us Par Imaan Laane waale ALLAH TA’ALA par Jhuth Baandh Sakte he…?? Ye Tasawwur karna bhi Na-Mumkin he ye Khyaal bhi Mahaal he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-363)
>➤ Feishle ki Baat :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Ay Qoum Tum Apni Jagah Apna Kaam kiye Jaao Me Apna Kaam Karta hu Ab Jaanna Chahte ho Kis par Aata he wah Azaab ki Use Ruswa Karega Aur Kon Jhuta he Aur Intezaar karo Me bhi Tumhaare Saath Intezaar me hu”
(Surah Hood, Aayat-93)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Kahaa ki Tum Apni Taaqat ke Mutaabiq Jo Chaaho karlo Mujhe Agar Takleef Pahoncha Sakte ho to Pahnocha lo, Lekin ye bhi Khyaal karlo Me bhi koi Be-Sahaara nahi, Meira bhi koi he, Mujhe bhi Usne Badi Qudrato se Nawaaza he, Bas Ab Tum Apna Kaam karo Me Apna Kaam Karta hu,
Qoumne Kahaa Fir Kya hoga…??
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya Kuchh deir to nahi, Tumhe Anqarib hi Pataa Chal Jaayega ki Ruswa karne Wala Azaab Kis par Aata be…?? Aur Jhuta Kon he..?? Wo Qoume Jinhone Ambiya Alayhis Salaam ki Takzib(Inkaar) ki ALLAH TA’ALA ke Ahekaam ko Tasleem nahi kiye Unke liye RABB ne yahi Feishla Farmaya ki Unko Tabaah wa Barbaad kar Diya jaaye Ab Tumhaare liye bhi Feishle ki Ghadi Aana hi Chahti he Tum bhi Intezaar karo Aur Me bhi Tumhaare Saath Intezaar karta hu, Sab Kuchh Waazeh ho Jaayega.
(Tazkiratul Ambiya Salaam, Safa-364)
>➤ ALLAH TA’ALA ke Azaab ka Naazil hona Aur Madyan ki Tabaahi :-
Quraan Shareef me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Jab Hamaara Hukm Aaya Hamne Shoaib(Alayhis Salaam) Aur Uske Saath ke Musalmaano ko Apni Rehmat Farma kar Bachaa liya Aur Zaalimo ko Garajdaar Aawaz ne Aa liya to Subah Apne Gharo me Ghutno ke bal Pade rahe, Goya kabhi waha Base hi Na the, Aur Door ho Madyan Jeise Door hue Samood”
(Surah Hood, Aayat-94, 95)
ALLAH AZZAWAJAL ne Farmaya Jab Hamaare Azaab ka Amr Aagaya to Hamne Apne Ek Farishte ko Bheija Jiski Aawaaz se Sab Mar gaye,
Wo Aawaz Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ki thi Jab Aapne Zourdaar Garjdaar Aawaz se Unhe Kahaa ‘Marjaao..’ to Har Ek ki Rooh Nikal gayi Aur Apne Apne Gharo me Sab Undhe gire hue Paaye gaye, Is Tarah Unko Tabaah wa Barbaad kar Diya gaya Jeise ki wahaa ye Loug ki Kabhi Basti hi nahi thi(Aur Hazrat Shoaib Alayhis Salaam Aur Unpar Imaan Laane waale Musalmaano ko ALLAH TA’ALA ne Azaab se Mehfuz rakha.)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis, Safa-364)
ALLAHU AKBER,
Ambiya Alayhis Salaam ki Nabuwwat wa Risaalat ka Inkaar karne Waali Qoumo ko Yahi Anjaam huwa he ki wo Halaak ho gaye he..
Aur ye ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat he ki Ek Ilaaqe me Kaafiro ko Azaab se Halaaq kiya Aur wahi par Apne Pyaare Nabi Hazrat Shoaib Alayhis Salaam Aur Unpar Imaan Laane waale Musalmaano ko Us Azaab se Mehfuz rakha..
>➤ Ashaabe Ayka(Jangal Waalo/Wan Waalo) par Azaab :-
Quraane Majeed me he ki
“Ban Waalo ne Rasoolo ko Jhutlaya, Jab Unse Shoaib (Alayhis Salaam) ne Farmaya Kya Darte nahi, Beshak Mei Tumhaare liye ALLAH ka Amaanatdaar Rasool hu, to ALLAH se Daro Aur Meira Hukm Maano, Aur Me Is Par Tumse Kuchh Ujrat Nahi Mangta Meira Azr to Ushi par he Jo Saare Jahaano ka RABB he, Naap Pura karo Aur Ghataane Waalo me Na ho, Aur Shidhi Taraaju se Toulo, Aur Lougo ki Chize Kam karke Na do Aur Zamin me Fasaad Feilaate Na firo, Aur Usse Daro Jisne Tumko Peida kiya Aur Agli Makhluq ko, Bole Tum par Jaadu huwa he, Tum to nahi Magar Ham Jeise Aadmi Aur Beshak Ham Tumhe Jhutha Samajte he, to Ham Par Aasmaan ka koi Tukda giraado Agar Tum Sacche ho, Farmaya Meira RABB Khub Jaanta he Jo Tum kar rahe ho, To Unhone Use Jhutlaya to Unhe Shaamiyaane waale Deen ke Azaab ne Aa liya Beshak wah Bade Deen ka Azaab tha, Beshak Isme Jarur Nishaani he Aur Unme Bahut Musalmaan Na the, Aur Beshak Tumhaara RABB hi Ijjatwala Maherbaan he”
(Surah Ash-Shura, Aayat-176……..191)
Ahle Madyan Aur Ashaabe Ayka ye Dono Alag Alag Qoume thi
Ye Qoum Jis Ilaaqe me Aabad thi waha Darkhto ke Ghane Aur Jhund paaye Jaate the, Is liye Unhe ‘Ashaabe Ayka'(Jangalwaale/Wanwaale) kaha gaya,
Madyan ki Tarah Ashaabe Ayka bhi Be-Imaano Aur Dhoke Baazo par Mustamil tha, Hazrat Shoaib Alayhis Salaam Unko Farma rahe he
“Us RABB se Daro Jisne Tumhe bhi Peida kiya Aur Tumse Pehli Jo Makhluq Guzar chuki he Uska bhi wahi Khaaliq he…”
Ashaabe Ayka ne Iski Taraf Tawajjo karna Munaasib na Samja yaha tak ki Apni Galti ko Galti Maanne se bhi Inkaar kar Diya balki Ulta Hazrat Shoaib Alayhis Salaam par Ilzaam laga Diya ki Tum par Kisi ne Jaadu kar Diya he Tabhi to Tum Hame Ayse Mashware de rahe ho Jin par Ham Agar Amal Kare to ye Tijaarat ya Doulat wa Sourat ki Faraawaani Sab ki Sab Khatm ho jaaye, koi Aadmi Apni Qoum ko Aysa Mashwara nahi de Sakta Jo Uski Tabaahi ka Sabab bane, Ay Shoaib Alayhis Salaam Yaqinan Tumhaara Dimaag Kaam Nahi kar Raha, Pehle Apna Ilaaj karaao Fir Aakar Hame Nasihat karna Aur Tum Ham se koi Bade bhi to nahi ho, Hamaare Jeishe hi ek Bashr ho, Hame to Tumhaari Baato par koi Yaqin nahi Aa Raha balki Hamto Tumhe Jhutho me se Samajte he.(Maaz Allah..)
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Qoum ki Tarah Tarah ki Behudgiyo ko Khaatir me Na laate hue Tablig ka Kaam Jaari rakha, Unko Dhoke-Baaziyo se Baaz Aane ke Muta’alaq Asraar karte rahe, wo Loug Raah -Raasta par Aane ki Bajaay Sharm wa Hayaa ki Chaadar ko Utaar kar kehne lage ‘Lo Ham Tumhaari Baat nahi Maante Jo Aasmaan Tum hampar Giraana Chahte ho Giraado’, Unka Khyaal ye tha ki Azaab to Aayega hi nahi, Is Tarah Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ka Jhutha hona Saabit ho Jaayega,
Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Farmaya ‘Tumhaari Qartuto ko Meira RABB Behtar Jaanta he’ Aur Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ne Sabr ka Muzaahira karte hue Ma’amla ALLAH TA’ALA ke Supurd kar Diya,
Jab Unhone Baar baar Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ki Takzib(Inkaar) ki to ALLAH TA’ALA ne Unpar Azaab Naazil kar Diya, 7 Din tak ALLAH TA’ALA ne Unse Hawaa ko Rok liya Aur Reit ko Musallat kar Diya, Unke Dam Ghutne lage, Na Unhe koi Saaya Nafa Pahoncha Sakta Aur Na hi Paani, wo Pareshaan ho kar Jangal ki Taraf Nikle Aur Unpar Ek Baadal ne Aakar Saaya kar Diya, Jisse Unhone Khub Thandak Mehsus ki Aur Maze Loot ne lage, Is Tarah Sab Us Baadal ke Saaya me Jamaa ho gaye, To Yakaa Yak Unpar Aaag ki Baarish Barasne lagi Jis se Sab Jal kar Raakh ho gaye, Ayse Tabaah wa Barbaad hue ki Unka Naam wa Nishaan bhi Mitt gaya, RABB TA’ALA ne Unki Basti ko Safaa E Hasti se Ayse Mitaaya ki yahaa koi Basti thi hi nahi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-365, 366, 367)
ALLAHU AKBER..
Yaha par Hazrat Shoaib Alayhis Salaam ke Waaqiyaat Khatm hote he..
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Ambiya #HazratShoyeb #Soyeb #Madyan #Azab