
>➤ Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Jaanashin :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Suleimaan(Alayhis Salaam) Daawud(Alayhis Salaam) ka Jaanashin huwa”
(Surah An-Naml, Aayat-16)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Baadshahat Aur Khilaafat ke Jaanshin bane.
>> Note :
Yahaa Maal wa Doulat ki Waraashat Muraad nahi, Kyunki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Irshaad he ki
“Ham Ambiya e Kiraam ki Jama’at Na Waarish bante he Aur Na Waarish Banaaye jaate he”
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-300)
>➤ Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Parindo ki Boliya Samjate :-
Quraane paak me he ki
“Aur kahaa Ay Lougo Hame Parindo ki Boli Shikhaayi Gayi Aur Har Chiz me se Hamko Ataa huwa Beshak yahi Jaahir Fazl he”
(Surah Al Naml, Aayat-16)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Parindo ki Boliyaa Samajne ki Quwwat Ataa farmayi thi, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Samaj leite the ye (Parinde) Kya keh rahe he..
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Mour(Peacock) ki Aawaz Ko Soon kar Farmaaya ki ye keh raha he “Jeisha Karoge Weisha Bharoge”,
Hudhud ki Aawaz ko Soon kar Farmaya ki ye keh raha he “Ay Gunehgaaro ALLAH TA’ALA Se Magfirat Talab karo”,
Khataaf (Lambe Baazu waala, Chhote Peir waala, Kaala(Black) Rang ke Parinde) ki Aawaz soon kar Farmaya ki ye Keh raha he “Neiki Karo Taaki Aage Unki Jazaa Paao”,
Qamri Ki Aawaz Son kar Farmaaya ki ye Tasbeeh Padh rahi he
“سبحان ربی الاعلی”
(Subhaan Rabbil Aa’la”),
Cheel ko Bolte hue Soon kar Farmaya Ye keh rahi he “RABB TA’ALA ke Bageir Har Chiz ne Fanaa ho jaana he”,
Bhatt-Titar ki Aawaz Soon kar Farmaaya Ye keh raha he “Jo Khaamosh Rahaa wo Salaamati me raha”,
Murgi ki Aawaz Soon kar Farmaya ye Keh rahi he “Ay Gaafilo ALLAH TA’ALA ko Yaad karo”,
Gidh(Vulture) ki Aawaz Soon kar Farmaya Ye keh rahi he “Ay Inshaan Jitna Chaahe Tu Zinda reh Aakhir Tuje Mout to Aani he”,
Eqaab(Eagles) ki Aawaz Soon kar Farmaya Ye Keh raha he “Lougo se Door Rehne me hi Insh he”,
Meyndak(Frog) ki Aawaz Soon kar Farmaya Ye Tasbeeh Padh raha he
“سبحان ربی القدوس”
(Subhaan Rabbil Quddus),
(Tafseere Madaarik,
Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-181, 182)
( Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-301, 302)
>➤ ‘Hawaa’ Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Ke Bass me :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Suleimaan(Alayhis Salaam) ke Bass me Hawaa kardi Uski Subah ki Manzil Ek Mahine ki Raah Aur Shaam ki Manzil ek Mahine ki Raah”
(Surah Sabaa, Aayat-12)
‘Hawaa’ ko Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Bass me Is Tarah kar diya gaya tha Jis Tarah Sawaari Inshaan ke Bass me hoti he, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Subah se Zawwal(Dupher) tak Itna Safar kar leite Jitna Siyaah(Tourists/Safar karne Waale) Loug Ek Maah me karte Aur Zawwal(Dupher) se Shaam tak Itna Safar Kar leite Jitna Ek Maah me kiya jaata,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Subah Beitul Muqaddas me hote to Dupher ke Waqt Ustagar(Ilaaqa) me Pahonch jaate, Fir Ustagar se Shaam tak Khuraasaan(Iraan ka Ilaaqa) ke Qilla tak Pahonch jaate, Siyaah(Safar ke) Loug Is Waqt tak 3 Meel Subah se Zawwal tak Safar karte the to Aap 90 meel (Safar) karte, Ishi Tarah Shaam ko bhi (Safar karte).
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-302)
Subhan Allah..
Ye Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Mo’ajiza he..
Aur ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat ki Nishaani he…
(Khyaal Rahe ki In Parindo ki Hameisha ye Boli Nahi hoti Balki Kuchh Waqt ye Boli Unhono Boli, Mukhtelaf Waqt me Mukhtelaf Boliya Bolte he….)
>➤ Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Lashkar :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Jamaa kiye gaye Suleimaan(Alayhis Salaam) ke liye Uske Lashkar, Jinno Aur Aadmiyo Aur Parindo se, to wo Roke Jaate the”
(Surah An-Naml, Aayat-17)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Laskar 3Hisso par Mushtamal(Saamil) tha, Jinn, Insaan Aur Parindey,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-303)
>➤ Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke liye Taanbe ka Chashma(Fawwara) :-
Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmaata he
“Aur Hamne Uske Liye Pighle Hue Taanbe ka Chashmaa Bahaaya”
(Surah Sabaa, Aayat-12)
Is se Ek Maqshad ye tha ki Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke liye ALLAH TA’ALA ne Taanbe ko Is tarah Narm kar diya tha Jeishe ki Baap Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke liye Lohaa Narm kar diya tha, Taanbe ki San’at(Buisness) Waale Loug Aapke Paas Thanda Taanba laate, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Bageir Aaag Aur Kutne ke Jeishe Unhe Zarurat hoti Ushi tarah Banaa deite,
Dusra Matlab ye he ki Hazrat Suleimaan Alayis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Taanbe ki Dhaatu Ek Chashme(Fawware) ki Surat me Ataa ki thi, Jitna Taanba Zarurat hota Utna Us Chashma se le liya jaata.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-303)
Subhan Allah..
Ye ALLAH TA’ALA ke Qudrat ki Nishaaniyo me se ek Nishaani he…
Jo Apne Pyaare Nabi Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke liye “Taanbe” ka Chashmaa Bahaa diya..
ALLAHU AKBER….
>➤ Cheenti(Kidi/Ant) ke Kalaam se Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Muskuraana :-
Quraan Shareef me he ki
“Yahaa tak ki Jab Cheentiyo ke Naale par Aaye Ek Cheenti Boli Ay Cheentiyo Apne Gharo me Chali Jaao Tumhe Kuchal Na Daale Suleimaan (Alayhis Salaam) Aur Unke Lashkar Bekhabri me, To Uski Baat se Muskura kar Hansha”
(Surah An-Naml, Aayat-18,19)
Aam Tour par Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Aur Aapka Lashkar Hawaa ke Zariye Safar kiya karte Lekin Is Safar me Aap Aam Lougo ki Tarah Safar kar rahe the, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Lashkar me Kuchh Loug Peidal chal rahe the Aur Kuchh Sawaar the, Cheentiyo ki wo Basti Taaif ya Shaam me thi, Unko Hukm deine waali Unki Raani(Queen) thi, Wah Langadi thi,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Cheenti ki Aaawaz 3 Meel se Sooni thi, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Apne Lashkar ko Aage Chalne se Rouk diya tha (Taaki) Cheentiya Apne Gharo me Daakhil ho sake,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Muskuraane ki Ek Wajah Cheenti ki Ahtiyaati Tadaabeer Par Ta’ajub karna tha Aur Dusri Wajah ye thi ki Aapko Cheenti ki Aaawaz Soon ne ki RABB TA’ALA ne Jo Toufiq Ataa farmaai thi Us par Izhaar Khushi karna tha.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-175,176)
(Tafseere Jalaalein, Safa-318)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-305,306)
Cheenti ke kehne ki ek Wajah ye bhi thi ki Wah Jaanti thi ki Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Nabi he, Inshaaf Waale he, Zulm Aur Sitam Aapki Shaan nahi he, Is liye Usne Hukm diya ki Apne Apne Gharo me Chali jaao Kahi Anjaane me Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Lashkar se Sab Khuchal Na jaao..
Aur Ye Waaqiya me Chhoti shi Cheenti ki Aaawaz 3 Meel se Sunnaa ye Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Mo’ajiza he ki koi Aaam Shaksh ye Quwwat nahi rakhta..
Aur Beshaq..
ye ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat he ki Wo Apne Pyaare Bando ko Chhoti shi Cheenti ki Aawaz Soon ne ki Toufiq Ataa farmata he..
ALLAHU AKBER..
>➤ Hudhud ka Geir-Haazir rehna :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Parindo ka Jaayzaa liya to Bola Muje Kya Huwa ki Mei Hudhud ko Nahi deikhta ya wah Waaqei Hazir nahi, Zarur me Ushe Shakht Azaab Karunga ya Zabah Karunga Ya Koi Roshan Sanad Meire Paas Laaye,
(Surah An-Naml, Aayat-20, 21)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Apni Tamaam Ra’aaya(Rehnewaale) ki deikh-Bhaal karte, Lashkar Me Tamaam Parindo ko deikhte ki Konsa Moujud he Aur Konsa Gaayab he, Khushusan Aap Apni Ra’aaya(Rehnewaale) me se Kamzouro ke Haal ka Zyaada Khyaal karte the, Aapne Jab Apne Lashkar Me Tamaam Parindo ka Jaaiza liya to Hudhud Parindo ka Sardaar Moujud nahi tha, Jiska Naam Ya’fur tha, to Aapne Bila-Ijaajat Uski Geir-Moujud hone par Gusse ka Izhaar karte hue Farmaaya, yaa to wo Aane par koi Ma’aqul(Pukhtaa) Daleel Peish kare ki kyu Moujud nahi, Warna Me Ushe Shakht Sazaa dunga,
Hudhud ka Khushusi Tour par Jaaiza leine ka Maqshad ye bhi ho sakta tha ki wo Paani ki Talaash karta tha, Jahaa wo Apni Chounch Rakhta tha waha Jinn Us Zameen ko Khoudte Aur Paani Nikaalte, Ishi Tarah Hudhud Khushusi tour par Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam par Saaya karne ka Fariza(Farz) bhi Sar-Anjaam deita tha.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2 Safa-183)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-309, 310)
>➤ Hudhud ki Waapishi :-
Quraane Majeed me he ki
“To Hudhud Kuch Zyaada deir na Thehra”
(Surah An-Naml, Aayat-23)
Zyaada Deir na Guzri ki Hudhud Waapish Aa gaya, Chunki Ushe Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Ka Khouf Daamane Kheir tha, Chunki Parinde Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Bahot hi Zyada Taabe’a(Amal karne waale) the, Ishi Tarah Baaqi Inshaan wa Jinn Aapke Taabe’a the, Hudhud Aapki Khidmat me Daraa Aur Aapke Adab wa Ahetaraam ke Peishe Nazar Apni Dum ko Dhila kiye hue Aur Apne Paro ko Zameen se Ghasit-te hue Haazir huwa, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Gussa se Uske Sarko Apni Taraf Liya To Usne Kaha
Ay ALLAH ke Nabi ye bhi Yaad rakho ki ek Din Aapko Aur Aapki Qoum ko ALLAH TA’ALA ke Darbaar me Khadaa hona Padega, Ye Soon kar Suleimaan Alayhis Salaam par Kapkapi Taari ho gayi Aur Ushe Ma’af kar diya,
Ek Aur Riwaayat he ki Ushe is liye bhi Ma’af kar diya tha ki wo Apne Maa-Baap ka Farmaan Bardaar tha, Unke Paas khaana laa kar Unhe Khilaaya karta tha Kyunki Wo Budhe the.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-186)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-310)
>➤ Hudhud ki Taakhir ki Wajah Bayaan karna Aur Takhte Bilqees ki Khabar lana :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Aakar Arz ki ke Me Wah Baat Deikh Aaya hu Jo Huzoor ne Naa deikhi Aur Me Sabaa Shahar se Huzoor ke Paas ek Yaqini Khabar laaya hu, Meine ek Aurat deikhi ki Unpar Baadshahi kar rahi he Aur Use Har Chiz me se(Hissa) Milaa he Aur Uska Badaa Takhat he,
(Surah An-Naml, Aayat-22, 23)
Hudhud ne Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ko Bataaya ki Meri Taakhir(Deiri) ki Wajah ye thi ki Me Mulke Sabaa Chalaa gaya tha, Waha se Ayshi Khabar Laaya hu, Jis ki Aapko Pehle Khabar nahi, Wahaa ek Mulk he Jiska Naam ‘Bilqees Binte Sharaail’ he, Jis ke Paas Duniya ki Har Qism ki Maal wa Dowlatt he Aur Uska Takht Bahot Badaa he, Uske Takht ki Lambaai 80 Gaz(80 Mitre se Thoda kam) Aur Chodaai 40 Gaz(40 Mitre se Thoda kam) Aur Bulandi 30 Gaz(30 Mitre se Thoda kam) he Aur wo Takht Sone Chaandi (Gold & Silver) ka Bana huwa he Aur Motiyo Surkh(Laal/Red) Yaaqut Sabz(Green) Zamrad(Emerald) ka Uspar Sungaar kiya huwa he, Uske Paaye Bhi Yaaqut Aur Zamrad(Emerald) ke Bane hue he, Aur wo 7 Kamro me Bandh he, Ek Kamra Dusre Kamre me Is tarah 7 Kamre he, Har ek ka Darwaaza Bandh he.
(Tafseere Jalaalein, Safa-319)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-311)
>➤ Bilqees Aur Uski Qoum ka Mazhab :-
Quraan Shareef me he ki
“(Hudhud ne kaha) Meine Use Aur Uski Qoum ko Paaya ki ALLAH ko Chhod kar Suraj ko Sajda karte he Aur Shaitaan ne Unke Aamaal Unki Nigaah me Sanwaar kar Unko Sidhi Raah se Rouk diya to wo Raah Nahi Paate”
(Surah An-Naml, Aayat-24)
Wo Suraj ki Parastish karne waale the, Kuch Unme Aaag ki Pujaa karne waale bhi Aur Kuchh Zandiq Be-Deen(Yaani Ye Zameen wa Aasmaan ke Nizaam ke Chalaane ya Peidaa karne ke Qaayal nahi the, Balki Ye kehte ki ye Nizaam Bageir Kisi Chalaane waale ke Chal raha he), Shaitaan ne Unke liye Suraj ki Ibaadat Aur Tarah Tarah ke Kufr Aur Bure Aamaal ke Raase Mazeen(Sajaa) kar rakhe the, Wahi Shaitaan ya Uske Baatil Raah ko Mazeen karna Haqq se Unke Rokne ka Sabab banaa Jiski Wajah se wo Raah Raasta par na Aa sake, Unhone Sheitaani Raah ko hi Haseen wa Jameel Samjha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-312)
>➤ Hudhud ki Baat ki Tehqeeq :-
Quraan Shareef me he
“Suleimaan (Alayhis Salaam) ne Farmaaya Ab Ham Deikhenge ki Tune Sach kaha ya tu Jhuto me he”
(Surah An-Naml, Aayat-27)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Farmaaya Ki Ham Teri Baat ki Puri Tehqeeq karenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-313)
>> Note : Aurat ko Haakim Banaana Jaiz nahi :-
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Marwi he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Jab Ye Khabar mili ki Ahle Faaras ne Binte Kasree ko Apni Mallika(Raani/Queen) Bana liya he to HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya Hargiz wo Qoum kaamyaab nahi hogi Jinhone Apne Umur Aurat ke Supurd kar diye, Yaani Aurat ko Haakim Banaane Waale Kabhi Kaamyaab nahi ho Sakenge, Zillat Unka Muqaddar hogi Mulk ko Tabaah kar deigi.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-186)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-313)
>➤ Bilqees ki Taraf Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Khat :-
Quraane Majeed me he ki
“Meira ye Farmaan le Jaakar Unpar Daal Fir Unse Alag Hat kar deikh ki wo kya Jawaab deite he”
(Surah An-Naml, Aayat-28)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Khat Tehreer farmaya Uspar Kasturi(Musk) lagaayi, Bandh karke Us par Mohar lagaa di, fir Hudhud ko diya ki Ishe Le Jaawo Aur Bilqees ko Pahonchaado, Hudhud khat le kar gaya to Ushe Sote hue paaya wo Apne Mehal me Soyi hui thi, Wo Jab Soti thi Tamaam Darwaaje Bandh kar deiti thi, Chaabiya(keys) Apne Sarke Niche rakhti thi, Uska Takht Andar 7we Kamre me tha, Hudhud Makaan ki Roshan-Daan se Daakhil huwa, Aur Khat Uske Sine par rakh diya jabki wo Leiti hui thi,
Ek Riwaayat me he ki Jab Hudhud Uske Paas Pahoncha to uske Darbaari Lashkari Uske Paas Moujud the Hudhud Kuchh deir Upar Fhad-Fhadaya, Loug ye deikh rahe the yaha tak ki Bilqees ne bhi Upar Nigaah Utha kar deikha to Hudhud ne Khat Uski Goud me Daal diya, Aur Bilqees Kaanp gayi, Darte hue Apni Qoum ke Sardaaro ko Khat ke Mazmun(topic) ko dikhaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-314)
>➤ Bilqees ne Khat ko Ijjat waala kaha :-
Quraane Majeed he ki
“Wah Aurat Boli Ay Sardaaro Meri Taraf ek Ijjat waala Khat Dala gaya, Beshak wah Suleimaan (Alayhis Salaam) ki taraf se he Aur Beshak Wah ALLAH ke Naam se he Jo Bahut Maherbaan Rahem waala, Yah ki Muj par Bulandi Na Chaaho Aur Gardan rakhte Meire Huzoor Hazir ho”
(Surah An-Naml, Aayat-29, 30, 31)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Khat ko Ijjat waala kehne ki 3 Wajahaat thi,
1) to ye ki Us Khat ka Mazmun (Topic) Bahot Hi Haseen tha,
2) ri Wajah ye thi ki Ek Ijjat Waale Baadshah ki Taraf se Ye Khat Aaya he Lihaza ye Khat bhi Ijjat waala he,
3) ri Wajah ye thi ki Jis Khat par Mohar lagi hoti thi Ushe ‘Kareem Khat'(Ijjat wala Khat) Kahaa jata tha,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Khat Pure Mazmun (Topic) ka Shaamil tha Agarche Mukhtasar(Thoda sa) tha lekin Maqsad Usme Mukammal tha, Isliye ki Makhluq se 2 Chizo ka hi Maqshad talab kiya jata he, Ek ye ki Ilm Haasil karo, Aur Dusra ye ki Tum ALLAH TA’ALA ke Ahkaam par Amal karo, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne khat “Bismillahir Rahmaanir Raheem” se Shuru farmaya Jisme ALLAH TA’ALA ke Muta’alaq Ilm Moujud he,
Aur Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Khat me ye ki Mujh par Bulandi na chaho isme Khwaaishaate Nafshaniyaa ki Ita’at Aur Takabbur karne se nahi he Balki In Kaamo se Roka gaya he Aur ye Amar he ki Meri Farmaan Bardaari karo Aur ALLAH TA’ALA par Imaan Laao, Waazeh huwa ki Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Khat Nihaayat Mukhtasar hone ke Bawajood Deen wa Duniya ki Zaruri Ahekaamaat Par Mushtamil tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-174)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-314, 315)
>➤ Bilqees ka Khat ke Muta’alaq Mashwara :-
Quraane Majeed me he ki
“Boli Ay Sardaaro Meire Is Maamle me Mujhe Raay do Me Kishi Maamle me koi Qatai Feishla Nahi karti Jab tak Tum Meire Paas Hazir na ho, Wo Bole Ham Zour waale Aur Badi Shakht Ladaai waale he Aur Ikhtyaar Teira he Tu Nazar kar ki kya Hukm deiti he”
(Surah An-Naml, Aayat-32, 33)
Bilqees ne Apni Qoum ke Sardaaro ke Dil ko Khush karne ke liye Aur Apni Pareshani ko Door karne ke liye Unse Raay Talab ki ke Me Us Waqt tak koi Qatai Feishla nahi Karungi Jab tak Tum Mere Paas Moujud ho kar Mujhe Apni Raay Nahi doge,
Qoum ke Sardaaro ne kaha ki Hamaare Paas Jangi Saazo-Saamaan to Kaafi Miqdaar(Hadd) me Moujud he Aur Hame Jismaani Quwwat Haasil he Aur Ladaai me ham Saabit Qadam rehna bhi Jaante he, Is liye Agar Jang karni ho to Ham Iske liye Taiyyar he Lekin Ham to Tumhaare Hukm ke Paaband he, Asal Hukm Tumhaara hi he Tumhaari Raay hi Dar-Haqiqat Asal Raay hogi Lihaaza jo Hukm hoga Hame Manzur hoga.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-175)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-316)
>➤ Bilqees ka Jang ko Na-Pasand karna :-
Quraane Paak me he ki
“Boli Beshak Baadshah Jab kishi Basti me Daakhil hote he Ushe Tabaah kar deite he Aur Uske Izzatwaalo ko Zalil Aur Eysa hi karte he”
(Surah An-Naml, Aayat-34)
Bilqees ne kaha ki Suleimaan Alayhis Salaam Baadshah he, Baadshah kishi Mulk par Hamlaawar hote he to wahaa ke Lougo ko Qatl kar deite he Kuchh ko Qeydi bana leite he, Kuchh ko Jalaa deite he, Izzat wale Lougo ko Zaleel Karne me koi Kasar nahi Chhodte, Baadshaho ka Yahi Tariqa rahaa he,
Baadshah ki Ye Shaan he to Hame Sirf Apni Taadaad, Apni Taaqat, Jangi Saazo-Saamaan Aur Mukammal Tayyari par Bharosha Nahi karna Chahiye ki Ham Zarur Fateh Haasil Kar leinge, Shikast(Haar) bhi ho sakti he Isliye Suleh ki Raah Ikhtyaar karni Chahiye.
(Roohul Maani, Jild-10, Hissa-2, Safa-198)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-317)
>➤ Bilqees ka Tohfaa Bhejna :
Quraane Majeed me he ki
“Aur me Unki Taraf Ek Tohfaa Bhejne waali hu Fir Dekhungi ki Elchi(Doot) kya Jawaab lekar Palte”
(Surah An-Naml, Aayat-35)
Bilqees ne kaha Deikhte he Ki Suleimaan Alayhis Salaam Baadshah he ya ALLAH TA’ALA ka Nabi, Agar Baadshah he to Ham Use Maal dekar Khush kar leinge Aur wo Hadiya Qabool kar lega Aur Agar wo ALLAH TA’ALA ka Nabi huwa to Hadiya Qabool Nahi karega Fir Hame Chahiye ki Ham Uske Deen ko Qabul karle,
Bilqees ne Hazrat Suelimaan Alayhis Salaam ko Aazmaane ke liye Kaseer Taadaad me Gulaam, Kaneeze, Sona-Chandi, Kasturi, Anbar Aur Yaaqut Wageira Bheije ki ho Sakta he ki Maal se Kaam Chal Jaaye.
(Tafseer Kabeer, Jild-8, Safa-175)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-317)
>➤ Hadiyaa Ko Deikh kar Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Jawaab :-
Quraan Shareef me he ki
“Fir Jab wah Suleimaan (Alayhis Salaam) ke Paas Aaya Farmaya Kya Maal Se Meri Madad karte ho to Jo Mujhe ALLAH ne Diya wah Behtar he Usse Jo Tumhe diya Balki Tum hi Apne Tohfe par Khush hote ho, Palat jaa Unki Taraf to Jarur Ham Unpar wo Lashkar Laayenge Jinki Unhe Taakat na hogi Aur Jarur Ham Unko Is Shahar se Zalil Karke Nikaal deinge yu ki Wo Past honge”
(Surah An-Naml, Aayat-36, 37)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA ne Mujhe Deene Nabuwwat Aur Ulum Ataa farmaaye he, Aur ALLAH TA’ALA ne Mujhe Duniyaa ka Maal wa Doulat Bhi Itna Ataa farma diya he Jis par Zyaadati ki Koi Zarurat nahi, Meire Jeishe Shaksh ko Is Qism ke Hadiya se Keishe Apni Taraf Maail Kiya ja sakta he..? Is Hadiya par Tum Khud hi Khush hote raho ki Tumhe ye Hadiya haasil he, Ye Hadiyaa jo Tum Mujhe de rahe ho iski Qadr wa Ijjat Hamaare Nazdik to Kuchh nahi, Tumhe hi iski koi Qadr hogi, Is liye tum Khud hi Is par Khush hote raho, Is Qism ke Hadiyaa Qabul Karna Tumhara hi Haqq he Aur Tumhe hi eyshe Hadiya se Khushi Hoti he Hame to Eyshe Hadiya ki na Zarurat he Aur na hi Ham Ayshe Maal ko deikh kar Khus hote he,
Hazat Suleimaan Alayhis Salaam ne Hadiyaa Laane Waale Qaasid ko Farmaya
Jaao Apni Qoum ke Paas Lout Kar Chale Jaao Apni Mallika ko Bataado ki Agar Tumne Kufriya Aqaaid Suraj Parasti Wageira ko Na Chhoda Aur Mere Laaye hue Deen par Imaan na Laaye to Ham Apne Lashkar se Tumhaari Sarkubi(Kuchal) karenge, Tumhe Zaleel wa Khwaar kar deinge Aur Tumhe Shaharo se Zaleel karke Nikaal deinge, Tumhe Muqaabla karne ki Taaqat Haasil nahi hogi”.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-318)
>➤ Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Bilqees ka Takht Mangwaana :-
Quraane Paak me he ki
“Suleimaan (Alayhis Salaam) ne Farmaya Ay Darbaariyo Tum me Koun he ki Wah Uska Takht Meire Paas le Aaye Pehle Iske ki wah Meire Huzoor Muti’a (Farmaabardaar) Hokar Haazir ho”
(Surah An-Naml, Aayat-38)
Bilqees ka Qaasid Jab Hadiyaa Waapis le kar gaya Aur Suleimaan Alayhis Salaam ka Peigaam Pahonchaya to wo Samaj gayi ki Aap Nabi he, Aap se Jang karna Mumkin nahi, Usne Suleimaan Alayhis Salaam ke Paas Aane ki Taiyyari karli, Chalne se Pehle Usne Apni Takht ke Tamaam Kamro ke Darwaaze Bandh kiye Kyunki wo 7we kamre me tha, Uski Hifaazat ke liye Pehredaar Muqararr kar diye, Khud Apni Qoum ke Sardaaro ko Saath le kar Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ki Taraf Mutawajjo hui Aur Aapki Taraf Peigaam Bhej diya ki Me Apni Qoum ke Bade Bade Sardaaro ko Saath Laa rahi hu, deikhna Chahti hu ki Tum Kis Deen ki Hame Da’awat de rahe ho, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam se thodi Doori par wo Pahonch gayi to Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Apne Darbaariyo ko kaha ki Uska Takht Kon laayega…?
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-198)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-318, 319)
>➤ Takht Talab karne ki Wajah :-
Hazrat Suelimaan Alayhis Salaam ne Bilqees ke Takht ko Apne Paas Mangwane ka Iraada Farmaya, Uski Wajah ye thi ki Jab Bilqees Aaye to Uske Aane se Pehle Jab Uska Azeem Takht Jo Bandh kamro me he Aur Pehredaaro ki Hifaazat me he Yaha hoga to ALLAH TA’ALA ki Qudrat Aur Suleimaan Alayhis Salaam ki Nabuwwat ka Use Pataa chalega Wo Imaan Laane ki Taraf Maail hogi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-319)

>➤ ALLAH TA’ALA ke Wali ki Taaqat Jinn se Zyaada Aur Takht ka Haazir Hona :-
Quraane Kareem me he ki
“Ek Badaa Khabees Jinn Bola ki Mei Wah Takht Huzoor me Haazir Kar dunga Iske Pehle ki Huzoor Ijlaas Barkhaast kare Aur Mei Beshak Uspar Quwwat wala Amaanatdaar hu, Usne Arz ki Jiske Paas Kitaab ka Ilm tha, ki Mei Ushe Huzoor me Haazir kar dunga Ek Pal Maarne se Pehle Fir Jab Suleimaan(Alayhis Salaam) ne Takht ko Apne Paas Rakha deikha kaha Yah Meire RABB ke Fazl se he Taaki Mujhe Aajmaaye ki Mei Shukr karta hu ya Na-Shukri Aur jo Shukr Kare Wah Apne Bhale ko Shukr karta hei Aur jo Na-shukri kare to Meira RABB Be-Parwaah hei Sab Khubiyo Waala”
(Surah An-Naml, Aayat-39, 40)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Subah se le kar Zohar tak Majlise Adaalat Qaayam Farmate the, Jisme Lougo ke Darmiyaan Feishle Farmaate the, Goya (Suleimaan Alayhis Salaam ne Jab Farmaya Takht Koun Laayega to) Jinn ne kahaa ki Mei Aadha din Guzar ne se Pehle Pehle Aapke Paas Takht Pahoncha dunga Kyunki Mujhe Itne Bade Azeem Takht ka Uthaana koi Bhaari Mehsus nahi hoga, Mei Badi Badi Chizo ko Uthaane ki Taaqat rakhta hu Aur Mei wo Takht Laane me kishi Qism ki Koi Khayaanat nahi Karunga, Na Us se Kuchh Todunga Aur Na hi Usme koi Tageer wa Tabdeel karunga, Balki Amaanat ka Paas Karunga.
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-202)
Chunanche ek Aur Aadmi Khada huwa(Jo ‘Al Kitaab’ ka Ilm Rakhta tha Usne) kahaa ki Agar Mujhe Irshaad ho to Aankh Jhapakne se Pehle Takht Wahaa se Utha kar Aap ke Qadmo me laakar Rakh dunga, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Ijaazat Farmaayi Aur Jab Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Aankh Kholi to Takht wahaa Moujud tha,
(Subhan Allah…)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Apne ek Khaadim ki Is Quwwat ka Mushaaida kiya to Dil me Gurur ke Jajbaat Peida nahi hue Balki Fouran Saraapa Nayaaz ban kar Apne MOULA TA’ALA ka Shukr Adaa karne lage, Arz kiya Ye Meire RABB ka Fazal wa karam he, Jisne Mujhe Itni Izzat Aur Sarfaraazi Bakhshi thi ki Meire Khuddam Aysha Kaam kar Sakte he, Uske Baad Farmaya Fazl Bahot Badi Aazmaaish he ALLAH TA’ALA Mujhe Aazmana Chahta he ki Mei Uski Inaayaate Jaleela par Uska Shukr Adaa karta hu ya Na-Shukri ka Izhaar karta hu.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-320, 321)
Agar Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Ek Ummati ‘Al Kitaab’ ke Ilm ki Barkat se Aysaa kaam kar Sakta he to IMAAMUL AMBIYA HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ummat ke Wali Jo ‘Al Kitaab hi Nahi Balki ‘Kitaabe Mubin’ ke Ilm ki Barkat Haasil Karne Waale Wali ke liye Ayshe Kaam ko Anjaam deina Mushkil he…??
Wo loug jo HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ummat ke Auliya e Kaameleen ki Karaamat ka Inkaar karte he Unhe Quraane Kareem ki Is Aayat me Baarbaar Gour karna chahiye…
>➤ Takht me Tabdeeli :-
Quraane Paak me he ki
“Suleimaan (Alayhis Salaam) ne Hukm diya Aurat ka Takht Uske Saamne Banaawat Badal kar Beigana Kardo ki Ham Deikhe ki Wah Raah paati he Ya Unme Hoti he jo Naawaakif rahe”
(Surah An-Naml, Aayat-41)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Takht Mangwane ke Baad Uski Shakl me Taageer wa Tabdeel karne ka Hukm diya tha, Iski Wajah ye thi ki Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Farmaya Ham Deikhte he ki wo Apne Tabdeel Shudah Takht ko Pehchanti he ya nahi, Aap Uski Samajdaari ka Indaza lagana chahte the ki Usse Pataa Chal Jaayega ki wo ALLAH TA’ALA ke Deen ko bhi Samaj Sakti he ya Nahi.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-176)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-319)
>➤ Bilqees Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Darbaar me :-
Quraan Shareef me he ki
“Fir jab wah Aayi usse kaha gaya kya teira Takht Aysha hi he, Boli Goya yah wahi he Aur Hamko Is Waaqe’aa(Ghatna) se pehle Khabar Mil Chuki Aur Ham Farmaabardaar hue”
(Surah An-Naml, Aayat-42)
Bilqees ke Aane se pehle Uske Takht me Tabdeeli ki gayi thi, Taaki Ma’alum kiya ja sake ki wo Kitni Aqal wa Samaj ki Maalik he..
Uske Aane par Puchha Kya Tumhara Takht Aysha hi he…??
Usne Jawaab diya Goya ye wahi he..
Usne ye bhi kaha ki Hame Pehle hi Aapki Nabuwwat, Ilm, Mo’ajizaat Aur ALLAH TA’ALA ke Muta’alaq Ilm tha Aur Dil se to Pehle hi Tasleem kar chuke the Sirf Aapke Paas Aakar Dil ko Zyaada Tassalli deina Maqsad tha.
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-206)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-222, 223)
>➤ Bilqees ka Imaan Laana :-
Quraan Shareef me he ki
“Usse Kaha gaya Sehan(Aagan) me Aa Fir jab Usne Ushe deikha ushe Gehra Paani Samjhi Aur Apni Saanke(Pindaliya) Kholi Suleimaan (Alayhis Salaam) ne Farmaya yah to ek Chikna Sehan hei Shisho Jada Aurat ne Arz ki Ay Meire RABB Meine Apni Jaan par Zulm Kiya Aur Ab Suleimaan (Alayhis Salaam) ke Saath ALLAH ke Huzoor Gardan Rakhti hu jo RABB Saare Jahaano ka”
(Surah An-Naml, Aayat-44)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Bilqees ke Aane se pehle Safeid Shishe ka ek Mahal Ta’amir karaya jo Paani ki Tarah Nazar Aata tha, Mahal Banwaane ki Wajah ye thi ki Majlis ka Ro’ab Ma’alum ho jaaye, Is Balwarin Farsh ke Niche Paani Aur Machhaliya bhi thi, Aapka Takht Iske Darmiyaan tha, Jab Use kaha gaya ki Is Mahal me Daakhil ho jaav Aur Takht par Chal kar Beith jaao, to Usne Farsh ko Paani Samaj kar Pindaliyo se Kapda Upar Chadhaya to Aapne Farmaya ye to Balwar ka Banaa huwa Farsh he Paani nahi, to Use Jaldi hi Apni Galti ka Ehsaas huwa Aur Suleimaan Alayhis Salaam ki Azmat, Nabuwwat Aur Nooraaniyat ne Aysha Asar kiya ki kehne lagi Meine Aaj tak Apni Umar Gawaadi, Apni Jaan par Kufriya Aqaaid ke Mazaalim Dhaati rahi, Ab to Suleimaan Alayhis Salaam ke Saath ALLAH TA’ALA par Imaan laati hu, Is Tarah Bilqees ko Dowlate Imaan Nasib hui.
(Roohul Ma’ani, Jild-10, Hissa-2, Safa-208)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-323, 324)
>➤ RABB ki Yaad ke liye Ghoudo(Horses) se Mohabbat :-
Quraane Kareem me he ki
“Jab ki Uspar Peish kiye gaye Tisre Pahar ko ki Rokiye to Tin Paanv(Peir) par khade ho Chouthe Sumka Kinaara Zamin par Lagaaye hue Aur Chalaaiye to Hawa ho jaaye, to Suleimaan (Alayhis Salaam) ne kaha Muje Un Ghoudo ki Mohabbat Pasand Aayi hei Apne RABB ki Yaad ke liye Fir Unhe Chalaane ka Hukm diya yahaa tak ki Nigaah se Parde me Chhup gaye, Fir Hukm diya ki Unhe Meire Paas Waapas laao to Unki Pindaliyo Aur Gardano par Haath Feirne Laga”
(Surah Saad, Aayat-31, 32, 33)
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Hukm diya ki Un par Ghoude Peish kiye Jaaye Taaki Unhe deikhe Aur Un ke Ahwaal ki Kefiyat par Waaqif ho to Aapke Hukm ke Muta’abiq Ghodo ko Asar se Din ke Aakhir tak Peish kiya jata raha, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Ghoudo ko Sirf ALLAH TA’ALA ki Raza Mandi ke liye deikh rahe the ki is se RABB Aur Uske Hukm ki Yaad Haasil ho rahi he, Jab ek Martaba Ghoudo ko Aap ke Saamne se Guzaar diya gaya Aur woh Aapki Nigaah se Ujhal ho gaye to Aap Mohabbat se Unki Pindaliyo Aur Gardano par Haath Feirte Aur Saath Saath Apni Ummat ko Apne is Feil(Amal) se ye Ta’alim de rahe the ki Haakime Waqt ko Aksar Apna Kaam Apne Haath se bhi Sar-Anjaam deine Chahiye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-326, 327)
>➤ Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Feishle :-
Quraane Azeem me he ki
“Aur Daawud(Alayhis Salaam) Aur Suleimaan(Alayhis Salaam) ko Yaad karo Jab Kheti ka ek Jhagda Chukaate the Jab Raat Ko Usme Kuchh lougo ki Bakariya Chhuti Aur Ham Unke Hukm ke Waqt Haazir the, Hamne Wo Ma’amla Suleimaan (Alayhis Salaam) ko Samjha diya”
(Surah Al Anbiyaa, Aayat-78, 79)
Ek Aadmi ki Bakariya Raat ke Waqt Chhut gayi, Unke Saath koi Aadmi Nahi tha, wo Dusre Shaksh ki Kheti khaa gayi, Ye Muqaddama Daawud Alayhis Salaam ke Saamne Peish huwa, Aap Alayhis Salaam ne Tajwiz kiya ki Bakariya Kheti Waale ko de do Chunki Kheti Bakariyo ki Qimat ke Baraabar thi,
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne jab Feishla Soona to Aap ne kaha ki ek Surat Us se Behtar Aur Dono Fariqo(Parti) ke liye Nafa-mand ho Sakti he, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne Farmaya Achha tum Bataao wo kya Surat ho Sakti he…??
Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne Farmaya ki Bakariya Kheti waale ko Sirf is liye di jaaye ki wo Unke Dhoodh Wageira se Nafa’a Haasil karta rahe Aur Bakariyo Waale Shaks ko kaha jaaye ki wo Us Shaks ke Kheti me Kaam kare Aur Mehnat karke Zaaya-Shuda(Zaaya huwa) Fasl ke Baraabar Aur Nayi Fasl kheti karke Taiyyar kare, Jab Kheti Apne Haal par Aajaye to Kheti waale ko Uski Kheti de di jaaye Aur Bakariyo Waale ko Uski Bakariya de di jaaye,
Ye Feisla Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne bhi Pasand farmaya Us Waqt Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ki Umar 11 Saal thi ye Dono Feishle Ijtehaadi the jo Us Waqt ki Shariyat ke Muta’abiq the.
Hazrat Mujaahid Rahmatullah Alay ka ye Qoul he ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka Feishla Qaanun ke Muta’abiq tha Aur Suleimaan Alayhis Salaam ka Feisla Un Dono ke Darmiyaan Suleh karaane ki Surat me tha Hamaari Shariyat me Agar Jaanwar Khud Chhut jaaye, Kishi ki Kheti ko Nukshan Pahonchaaye to Jaanwaro ke Maalik par koi Zimma Laazim nahi.
(Tafseere Khazaainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-333, 334)
>➤ Dev Aapke Taabe’a (Peirokaar) :-
Quraane Paak me he ki
“Aur Dev Bas me Kar diye Har Me’maar Aur Goutaakhor”
(Surah Saad, Aayat-37)
Yaani Kuch Jinn the jo Fanne Ta’amir me Maahir the, Badi Badi Imaarat Bahot Jald Taiyyar karte Aur Kuchh Jinn Daryaao Samandaro me Goute lagaa kar Tarah Tarah ke Moti, Hire Wageira Nikaalte, Daryaao me Sabse Pehle Moti Nikaalne ka Kaam Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ne hi Shuru kiya.
(Tafseere Khazaainul Irfaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-335)
>➤ Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ka Wisaal :-
Quraane Azeem me ALLAH SUBHANA WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Fir Jab Hamne Uspar Mout ka Hukm Bhejaa Jinno ko Uski Mout na Bataayi Magar Zamin ki Dimak(Termites/Kidaa) ne ki Uska Asaa Khaati thi Fir Jab Suleimaan (Alayhis Salaam) Zamin par Aaya Jinno ki Haqiqat Khul gayi Agar Geib Jaante hote to is Khwaari ke Azaab me na hote”
(Surah Sabaa, Aayat-14)
Jinnat Geib-daani ka Daa’awa kiya karte the Aur Is Wajah se Insaano par Apna Roab Bithaate Aur Unhe Tarah Tarah ki Ayshi Baate Bataate Jinka Ta’aluq Amure Geib se hota, ALLAH TA’ALA ki Qudrat ne Unka Bhaanda Fod diya, Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ko Us Waqt Mout se Hamkanaar kiya Jab wo Asaa par Teik lagaaye Ibaadat me Mashruf the, Aapki Rooh Parwaaz kar gayi thi Lekin Aapka Jisme Mubaarak Asaa ke Sahaare Khadaa raha, Jinnat jo Aapke Hukm se Bade Muskil Aur Mashakkat Waale kaamo me lage hue the Aur Aapke Khouf se Susti na kar Sakte the, Jinnat Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ko Khadaa huwa deikhte to Samajte ki Aap Zindaa wa Salaamat he Zaraa Gaflat ki to Khaal Udher leinge, Ishi Tarah Puraa Saal Guzar gaya, Hukme ILAAHI se Dimak(Termites/Kidaa) ne Asaa ko Chaatna Shuru kar diya, Niche se Upar tak Asaa ko Khokhla karne me ek Saal ka Arshaa beet gaya, Jab wo Asaa Bilkul Khokhlaa ho gaya to Tut gaya Aur Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam Zamin par Aa gaye, Tab Jinnat ko pata Chalaa ki Jis ke Khouf se Unhone Apne Aap ko Musibat me Mubtila rakha wo to Arshaa se Wafaat pa Chuka he, To Ab Unke Daawe ki Haqiqat Khul gayi, wo Loug jo Un Jinnat ki Geib-daani ke Daawe ko Saccha Samaj rahe the, Unhe bhi Pataa chal gaya ki Ye Apne Daawe me Saraasar Jhute he,
Jinnat ke Gurur ko Khaak me Milaane ke Saath Saath ALLAH TA’ALA ne Shaane Nabuwwat ka Mushaahida bhi kara diya, Aam Insaan Agar Asaa par Teik lagaa kar khadaa ho Aur Ushe Nind Aa jaaye to Uska to Khadaa rehna Mumkin nahi wo Fouran Zamin par Gir padhta he, Fir Mout ke Baad Chehre ki Rangat Badal Jaati he, Jism me Tarah Tarah ke Badlaav hone lagte he Lekin Yahaa Aap Saal Bhar Teik lagaaye khade rahe, Chehra Ushi Tarah Fhul ki tarah Shaguftaa raha, Zisme Mubaarak Bilkul Taro Taaza raha, Zisme Mubaarak Badbu Aur Sad Jaane se bhi Paak raha, Aur Libaas bhi weishe hi paak wa Saaf raha, Na Mousam se Zisme Mubaarak par Ashar Zaahir huwa, ALLAH TA’ALA ne Lougo ko Zaahiri Aankho se Mushaahida karaya ki Nabi ki Zaahiri Zindagi ka Jaaho-Jalaal to tum deikhte rahe, Ab Uske Wisaal ke Baad bhi Uski Shaan ko deikho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-336, 337)
Subhan Allah…
Yahaa Par Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ke Waaqiyaat Khatm hote he..
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Ambiya #Hazratsuleman #Suleiman #Hudhud #Bilkis #Suleman #Jinnat