Khana-e-Kaaba ki Ta’amir

http://www.noorulislam.co.in/wp-content/uploads/2019/05/222.jpg

>➤ Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Ta’amir :-

Hazrat Aadam Alayhis Salaam jab Jannat se Zameen par Tashreef laye to Bargaahe ILAAHI me Arz kiya
“Khudaya Me Yaha na to Malaaika ki Tasbih wa Takbir Sunta hu Aur na koi Ibadat Gaah deikhta hu Jeishe ki Aasman me Beitul Ma’amur deikha tha jiske ird Gird Malaaika Tawaf karte the”

ALLAH TA’ALA ne Irshaad Farmaya
“Jaav Ham Jaha Nishan Batate he waha Kaaba Bana kar uske ird-gird Tawaaf bhi karlo Aur uski Taraf Namaz bhi ada karo”

Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Aadam Alayhis Salaam ki Rahbari ke liye unke Sath Chale Aur unhe (Waha) laaye jaha se Zameen Bani thi, Yaani Kaaba ki Jagah se hi Sab se pehle Paani par Jhaag, fir Jhaag se Zameen ki ibteda hui,
Jibrail Alayhis Salaam ne Waha Apna Par Maar kar 7to Zameen tak Buniyad daal di, Jisko Malaaika ne 5 Pahado ke Pattharo se Bhara (kuhe libnaan, kuhe Tour, Judi, Hera Aur Ture Zita (Pahado) se) Buniyad Bhar kar Nisaan ke liye Har Char taraf ki Diwaar uthadi, us Taraf Mooh karke Aadam Alayhis Salaam Namaz Padhte rahe Aur us ka Tawaaf bhi karte rahe,
Baaz Riwaayat me aaya he ki Beitul Ma’amur ko us Buniyaad par rakh diya gaya Tufaane Nooh me Beitul Ma’amur ko utha liya gaya Aur Kaaba ki Jagah Unche Tele ki tarah Rah gayi, Log yaha Aate rahe Aur Barkat ki Duaae Mangte rahe.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-148)

>➤ Ta’amir e Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam :-

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne jab Hazrate Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Aur Apne Beite Ismail Alayhis Salaam ko Waha(Kaaba ki Jagah ke Paas) Chhoda Aur Yaha Aabadi ho gayi to Ibhrahim Alayhis Salaam ko Huqm diya gaya ki Ismaail Alayhesalam ko Sath le kar Kaba Ta’amir karo.

Ek Badal ka Tukda Bhej kar Kaaba ki Hadd ko Wajeh kiya gaya Aur Jibrail Alayhis Salaam ne Khat Khinch diya Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Aadam Alayhis Salaam ke Zamaane ki Buniyado par hi Imarat Ta’amir Farmayi,

Kaaba Shareef ki Bulandi(Unchayi) 9 Hath,
Rukne Aswad se Rukne Saami tak 33 Hath,
Rukne Garbi se Rukne Yamaani tak 31 Hath,
Rukne Yamaani se Rukne Aswad tak 20 Hath,
Rukne Saami se Rukne Garbi tak 22 Hath thi,

Yaani Kaaba is Waqt Mustatil (Lamb-chorash) tha lekin Toul(Chodhai) Aur Arz ki ek ek Diwaar Ma’amuli choti thi, Darwaje do banaye gaye the jo Zameen ke Sath Mile hue the, Kawad(Darwaje), Zanzeer Wageira nahi the, Baad me Tabi-Hamiri ke Zamane me Kawad(Darwaje) Zanzeer Wageira lagaye gaye, Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne (Kaaba) Ta’amir Farmaya Aur Hazrat Ismail Alayhis Salaam ne Patther Gara(Mitti Aur Paani Wageira ka Mila huwa(Gara)) deite the,

Subhan Allah..

Kis Shan se ALLAH TA’ALA ka Ghar Ta’amir huwa..?
ALLAH ka Nabi hi Meamaar (Banane wala), Aur ALLAH ka Nabi hi M’aawin (Banaane me Madad karne wala).
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-629)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-149)

>➤ Ibhrahim Alayhis Salaam ki Ta’amir ke Baad :-

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Ta’amir ke Baad Jazvi Tour par Mukhtelaf Awqaat me Ta’amir hui ek Martaba Amaalqah Aur Jarham ne ushe Ta’amir kiya, us ke baad kishi Bin Kalab ne uski Ta’amir ki, jisme Chhat Darkht Makal ki Lakdi ki Banayi jis par Bajaye Takhto ke Khrme ki Lakdi daali.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-149)

>➤ Qureish ki Ta’amir :-

Ek Aurat Kaaba Shareef me Khusbu Silagati thi, ek Baar Achanak us se Soula utha Aur Chhat Jal gayi Aur Diware Pehle hi Poshida ho Chuki thi, is liye Qureish ne Feishla kiya ki Mukammal tour par Nayi Ta’amir ki jaaye,
Walid Bin Mugira ko Imarat ka Amir Mukararr kiya gaya Aur ye tey huwa ki usme Halaal Maal Kharch hoga, us Waqt Ameer logo ke paas Zyada Sood se Hasil Karda Maal hota tha, is liye Halaal Maal Kam Mikdaar me jama huwa to Qureish ne Maal ki Kami Aur kuchh Apne Maqsad ki peish Nazar(Khana e Kaaba ki Ta’amir me) Chand Fark kar diye.

1) Kaaba ki Kuch Zameen Bahar Nikal di, Yaani imarat ko Chhota Kar diya, Kaaba se Bahar Nikali hui Zameen ko ‘Hateem’ kaha jata he, ushi me Mizabe Rehmat (Parnala) girta he, Chhoti Chhoti Diwaar se Aaj bhi Alaihida(Alag) kiya huwa he, Tawaf us ke Bahar se hi hota he,

2) Qureish ne do Darwazo ki Bajay ek Kar diya wo bhi Buland Taaki jise Chahe Andar jane de Aur jise chahe Na Jane de,
(Ab bhi is par Amal ho raha he)

3) Khana E Kaaba ke Andar Lakdi ke Sutuno(Khambe) ki do Safe Banayi gayi Aur Har Saf me Tin Sutun(Khambe) Banaye gaye.

4) Kaaba Shareef ki Bulandi pehle se Do gunah kardi gayi, Pehli Bulandi 9 Hath thi, Unhone 18 Hath kardi,

5) Khana e Kaaba ke Andar Rukne Saami ke Qarib ek Zeena(Sidi/Dader) Banaya gaya, jis se Chat Par Chad sake.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-629)
(Tazkiratul Ambiya c, Safa-149, 150)

>➤ Hazrat Abdullah Ibne Zabeer RadiAllaho Ta’ala Anho ki Ta’amir :-

Hazrate Aaisha Siddika RadiAllaho Ta’ala Anha Farmati he ek Martaba PYARE RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ne Kaaba ki Mutassil(Joint) (Yaani Hateem) Buniyaad-e-Ibhrahimi ke Patther Mujhe dikhaye Aur Farmaya ki Kureish ne is me kami kardi thi, Loug Agar Naye Naye Musalman Na hote Aur unke Jazbaat Bhadak ne ka Andesha na hota, to me Ibhrahimi Buniyaado par Kaaba Dobara Ta’amir kar deita

Is Riwaayat ki Buniyaad par Hazrat Abdullah Bin Zabeer RadiAllaho Ta’ala Anho ne Kaaba Shareef ko Munhadim(Gira) Kar Dobara Ta’amir kiya, Hateem ko Kaaba me Dakhil kiya, Darwaje do Banaye jo Zameen ke Mutassil(joint) the, Khusbudaar Mitti Chuna me Mila kar Gara lagaya gaya, Darwajo par Andar Bahar Anber laga kar Khusbudaar Kiya gaya, Nihaayat Kimti Resam Gilaaf Chadhaya gaya,

Khyaal rahe ki Sab se Pehle Kaaba Shareef ko Gilaaf Chadhane wale ka Naam As-ad he, Saahe Yaman tha Aur ‘Tabi’ ke lakab se Mashoor tha, Madina Tayyaba ke Saheri Buniyaad rakhne wala ye Shaksh he,
Allama Ali Qari Rahmatullah Alay ne Bayan farmaya ki Sab se pehle Kaaba Shareef ko Gilaaf Hazrat Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho kI Walida(Maa) ne Chadhaya.
(Mirkaat Sarah Miskaat , Jild-11, Safa-388)
Ho Sakta he kuchh Aur bhi Aqwaal ho…

Hazrat Abdullah Ibne Zabeer RadiAllaho Ta’ala Anho ki Ta’amir 27, Rajjab, 64 Hijri ko Mukammal hui, Fir Hajaaj Bin Yusuf (Jo Abdul Maalik Bin Marvaan ka Naaib tha) ne 74 Hijri me Imaarat ko Munhadim(Gira) kar ke fir ushi tarah Bana diya jeishe Kureish ne Banaya tha, Fir Harun Raseed ne chaha ki Kaaba Ayshe Bana diya jaye jeshe Abdullah Bin Zabeer RadiAllaho Ta’ala Anho ne Ta’amir kiya tha, Yaani Dar-Asal Wahi Ibhrahimi Ta’amir bhi thi lekin Us waqt ke Ahle Ilm ne is liye Mana kiya ki koi Tumhara Mukhalif aayega wo fir Tabdeel karega, is tarah Girana Aur Banana ek Kheil Ban jayega,
is ke baad Marammat to hoti rahi Lekin Mukammal Tour par Puri Imaarat ko Dubara nahi Banaya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-150)

>➤ Kaaba ki Moujuda Ta’amir :-

1040 Hijri me Sultaan Muraad Bin Ahmad Khan Sahe Kustuntuniya ne jab deikha ki uski(Kaaba ki) Imarat Bahot Puraani ho gayi he to usne Siwaye Rukne Hajre Aswad(wo Kona Jisme Hajre Aswad laga huwa he) ki Tamam Imaarat Munhadim(Gira) Karke Nayi Ta’amir karayi lekin unhi Buniyado Aur ushi Tarz(Tarika) par jo Hajaaj Bin Yusuf ne banayi thi, Andar Sange-Marmar ka Fars Bichaya Aur Andar Chhat par Nihayat Nafees Makhmali Chhat keri lagayi gayi Aur Baahar ki Diware Sangkhara se Chuna me chuni, Nihayat Nafees Reshmi Siya(Black/Kala) Parda Tamam Khana e Kaaba par dala, Jis par Kalma e Taiyyaba (Laillaha Ilallah Mohammadur Rasoolallah) likha huwa tha Aur Sunheri Hasiya par Sultaan ka Naam tha.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-630)

Moujuda Kaaba Shareef Sultaan Muraad ka Banaya huwa he Yaani Mukammal Imarat ko Munhadim(Gira) kar is ke Baad Naye Sare se Ta’amir nahi kiya gaya,
Gilaafe Kaaba Har Saal Misr se Bade Dhum Dham se aata raha, Ek Martaba Pakistaan ke Sahar Lahor se bhi Ban kar gaya, Pehle ye Tarika tha ki Purana Gilafe Kaaba Khuddam ko de diya jata, Log Tabarruk ke Tour par ushe Kharid leite the lekin Ab Gilafe Kaaba Saudiya me hi Banta he is par Saah Saud ka Naam hota he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa- 151)



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #khanaekaba #kaba #kaaba #Tamirekaba

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial