Makame Ibhrahim

>➤ Makame Ibhrahim Hazrat :-
Makame Ibhrahim Aur Hazre Aswad ye dono Jannati Yakut he Bahot Noorani the ALLAH TA’ALA ne unka Noor Mita diya, Agar Aysha na hota to ye Mashrik va Magrib ko Chamkate,

Makame Ibhrahim wo Patther he jis par Khade ho kar Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Kaaba Shareef ki Ta’amir karte jis Qadr Imarat Buland hoti jati thi Ye Patther bhi Uncha hota jata tha, Ye Patther Aapke Khade hone se Naram bhi ho jata tha ki Shakhti ki Wajah se Aapke Kadam Mubarak ko Takleef na ho, ishi liye Aapke Kadmo ke Nishan isme padh gaye the, ishi ko Jabal Abu Kubeish par rakh kar Aur uske Upar Khade ho kar Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Aawaz di,
“Ay ALLAH ke Bando Hajj ke liye Aao”

ALLAH TA’ALA ne Farmaya
“Logo me Hajj ki Aam Nida karde wo Tere Paas Hazir honge Pyada Aur Har Dubli Untani par ke Har Door ki Raah se Aati he”
(Surah Hajj, Aayat-27)

Aapke is Aylaan ke Baad un Tamam Logo ne Labbeik kaha jinhone bhi Hajj karna tha jisne Jitni Martaba Hajj karna tha utni Martaba hi Labbeik Kah diya, Maa ke Peit me Aur Baap ki Pusto me se Ta-Qayamat Aane Walo ne Labbeik kaha.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-630, 631)

Subhan Allah

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Jab Makame Ibhrahim ki Azmat ko Bayan kiya to Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Arz kiya ki Ham iske Pichhe Namaz na Ada kar liya kare…?
to HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Wahi ke Intezaar me Khamoshi Ikhteyaar ki lekin ushi Din ALLAH TA’ALA ki Taraf se Aayate Kareema ka Nuzul ho gaya,
Irshaad huwa

“Ibhrahim ke Khade Hone ki Jagah (Makame Ibhrahim) ko Namaz ka Makam Banao”
(Surah Baqrah, Aayat-125)

Makame Ibhrahim se wo Patther Murad he jis par Khade ho kar Ibhrahim Alayhis Salaam ne Kaaba e Moajjama ki Ta’amir Farmayi, Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Kadamein Mutahren ke Nishaanaat is par Moujud he, Tawaafe Kaaba ke Baad Tawaf ki 2 Rakate is Makaame Ibhrahim ke Pichhe Padhi jati he, ALLAH TA’ALA ne Apne Khaleel Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Kadamein Mutahren ke Nishanaat ko wo Azmat Aata Farmaayi ki Qayaamat tak Tawaaf karne Walo ko Huqm diya ki Makame Ibhrahim ke pichhe(2 Rakaat) Namaz Padho, Tawaafe Kaaba ke 7 Chakkar Mukammal karne ke Baad Tawaaf ki 2 Rakaat Masjide Haram me Padhna Wajib he lekin Mustahab ye he ki unhe Makaame Ibhrahim ke Pichhe Padha jaaye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-151,152)

>➤ Makame Ibhrahim Par Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam 3 Martaba khade hue :-

1) Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam kai Saal Gujarne ke Baad Ismail Alayhis Salaam ko Milne ke liye Aaye to ALLAH TA’ALA ki Mansha ke Mutabik Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha se Wada karke Aaye ki Apne Beite ko deikh kar Aur Mulakat karke Wapis Aajaunga, Sawari se Nahi Utrunga,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam jab Makka me Aaye to Hazrat Ismail Alayhis Salaam to Sikaar karne ke liye gaye hue the, Bahu(Beite ki Biwi) se Mulakaat hui, us se Gujar Awqaat ke Mut’alak puchha,
Usne kaha Achha Gujaara nahi, Tangdasti he, Sirf Sikaar par Gujar Awqaat ho rahi he,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Wapis chalte hue Farmaya
“Apne Sohar(Pati/ Mard) ko Meira Salam kehna Aur kehna ki Tumhare ghar ki Chowkhat Achhi nahi ushe Badal lo”

Hazrat Ismail Alayhis Salaam Jab Ghar aaye to Khud hi puchha ki Aaj koi Buzurg to Nahi Aaye the..?
To Aap ki Zovja(Biwi) ne kaha ki Aaye the Aur Salam keh kar gaye he Aur ek Peigaam de kar gaye he, Jab Peigaam ki usne Tafseel Bayan ki to Aapne Apni Zovja ko Farig kar diya, ki wo Tumhe Farig kar deine ka Huqm de gaye he,

Wajah ye thi ki usne RABB TA’ALA ki Na Sukri ki thi, NABI ki Zovja(Biwi) ki Shaan ke ye layak nahi ki wo Kam Rozi par Sikaayat kare, Balki Sabir rahe,

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Dobara Fir Ismail Alayhis Salaam ko Milne ke liye aaye, is waqt Ismail Alayhis Salaam Ghar par Moujud Na the, Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Mulakaat Bahu(Beite ki Biwi) se hui(Ye Hazrat Ismail Alayhis Salaam ki Dusri Saadi thi) use Ghar ke Halat puchhe
usne Kaha ALLAH TA’ALA ka Shukr he ki Achha Waqt Gujar raha he, Zamzam ke Paani par Hamara Kabza he, Mere Sohar(Pati/Mard) Sikaar karke le aate he, Bahot Achha Waqt Gujar raha he,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Jab Wapis Jane lage, to Aapki Bahu ne Isara kiya ki Aap Hamare Ghar Ruke lekin Aapne kaha
“Muje Sawari se Utar kar Zameen par Aane ki Ijajat nahi”
To Aap ki Bahu ne kaha ki Aap Apne Peir Mubarak is Patther par rakhe Taaki me inko Dho du, Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne jis Patther par Peir Rakha Wo Makame Ibhrahim(ka Patther) tha,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Wapis Chalte hue Hazrat Ismail Alayhis Salaam ke liye Salam kaha Aur Peigaam diya ki
“Ghar ki Chowkhat Achi he use Mazboot rakhna”

2) Ta’amir e Kaaba ke Waqt Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam us(Patther) par Khade hue the, wo Naram ho jata tha Taaki Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Peir Mubarak ko Shakti ki Wajah se Takleef na ho, ishi Wajah se Ibhrahim Alayhis Salaam ke Kadmo ke Nishaanaat is me Padh gaye,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Jab Buland hona chahte the to wo Patther Khud Ba Khud Upar uth jata, Jab Niche Aana Chahte to Niche ho jata tha, Aam Mustariyo ki Tarah Ibhrahim Alayhis Salaam ko Lakdi ke Takhte Bandh ne ki Jarurat Peish na aati thi.

3) Kaaba Shareef ki Ta’amir ke Baad Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne us Patther par Khade ho kar Jabal Abu Kubeish se Logo ko Hajj ki Da’awat di.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-53)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-152, 153)


#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #makaameIbhrahim #makameibhrahim # maqameibhrahim

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial