Hazrat Ilyaas Alayhis Salaam

Ilyaas

Quraane Kareem me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmaata he
“Aur Beshak Ilyaas Peigambaro se he, Jab Usne Apni Qoum se Farmaya Kya Tum Darte nahi(…?), kya Ba’al(Butt ka Naam) ko Pujte ho Aur Chhodte ho Sabse Acchha Peida Karnewale, ALLAH ko Jo RABB he Tumhaara Aur Tumhaare Agle Baap-Dada ka, Fir Unhone Ushe Jhutlaya to woh Zarur Pakde Jaaenge, Magar ALLAH ke Chune hue Bande, Aur HAM ne Pichhlo me Uski Sanaa Baaki Rakhi, Salaam ho Ilyaas par, Beshak HAM Eysha hi Silaa Deite he Neiko ko, Beshak woh HAMAARE Aala Darje ke Kaamilul Imaan Bando me he”
(Surah As-Saffat, Aayat-123, 124, 125, 126, 127, 128, 129, 130, 131, 132)

Hazrat Ilyaas Alayhis Salaam ne Qoum ko Farmaya
Tum ALLAH TA’ALA se Darte kyu nahi ho…?? Tumhe Chahiye ALLAH TA’ALA ke Ahkaam Par Amal karo Aur Uske Nawaahi(Jin Kaamo se RABB TA’ALA ne Manaa kiya he Us) se Ijtenaab(Bacha) karo, Tum Butt-Parasti Karte ho…? ALLAH TA’ALA ko Chhod kar Butt se Haajaat Talab kar rahe ho, Aur Us Zaat ki Ibaadat nahi kar rahe ho Aur Us se Tum Apne Maqaasid Haasil nahi kar rahe ho Jo Sab se Acchha Peida karne wala he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-272, 273)

>➤ Qoume Ilyaas ka Butt :
Unke Butt ka Naam ‘Ba’al tha, Yaman ki Lugat me Ba’al ka Ma’ani Rabb kahaa gaya he,
Qoum Us Butt ko Apna Rabb Maante the, Uska Naam hi Unhone ‘Ba’al’ Rakha huwa tha, Us Butt ki Lambaai 20 Zara’a(30 Fit) thi, Wo Sone(Gold) ka Bana huwa tha, Uske 4 Moonh(Chehre) the, Wo Uski Bahot Zyadaa Ta’azim karte the, Uski Khidmat ke liye Unhone 400 Khaadim rakhe hue the, Wo Khuddaam Chunki Unke Ma’abud ke Khidmat Guzaari me rehte the, Is liye wo Unko Apne Beito ki Tarah Samajte the.

>➤ Shahare Ba’albak :
Ba’albak Shahar ka Naam Is liye Ba’albak Rakha gaya he ki Us Waqt ke Haakim ka Naam ‘Bak’ tha, Aur Uske Ma’abud ka Naam Ba’al tha, Usne ek Shahar Aabaad kiya Jis ka Naam Usne Apne Aur Apne Ma’abud ke Naam se Milaa kar Ba’albak Rakha,

>➤ Hazrat Ilyaas Alayhis Salaam Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam ki Har Saal Mulaaqaat :-
Hazrat Ilyaas Alayhis Salaam Khuski(Zameen) par Mukararr kiye gaye the Aur Hazrat Khizr Alayhis Salaam Dariyaao Par Aur Jaziro(Taapu) par Mukararr he, Har Saal ke Mouqe par In Dono ki Mulaaqaat hoti he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-272, 273)

>> Note : Duniya me Qoume Ilyaas Alayhis Salaam ki Tabaahi Aur Aap Par Imaan Laane walo ki Najaat ka Zikr Mo’atabar Tafaaseer me Nazar nahi Aa Saka..



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Hazratilyas #Ilyaas #Ambiya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial