Hazrat Loot Aayhis Salaam

http://www.noorulislam.co.in/wp-content/uploads/2019/05/15.jpg

Hazrat Loot Aayhis Salaam Hazrat Ibhrahim Aayhis Salaam ke Zamane me hi the..
Hazrat Loot Aayhis Salaam ne Hazrat Ibhrahim Aayhis Salaam ki Tamam Baato ki Tasdeeq Farmaayi thi.

>➤ Hazrat Loot Aayhis Salaam ki Hijrat :-
Hazrat Loot Aayhis Salaam ne Ibhrahim Aayhis Salaam ke Sath Babil se Haraan ki Taraf Hijrat ki, Fir Waha se Misr me un dono ke Sath Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha bhi thi, fir Misr se Falasteen me Aagaye, Ab un Tino ke Sath Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha bhi thi, 
Fir Loot Aayhis Salaam Hazrat Ibhrahim Aayhis Salaam ke Shaher se Takriban 18 Meel Door Ek Shaher me Tablig e Deen ke liye Aagaye, is Shaher ka Naam Sadum tha,
(Tazkiratul Ambiya Aayhis Salaam, Safa-155)

>➤ Qoum ko Loot Aayhis Salaam ki Nashihat :-
Quraan e Paak me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Loot (Aayhis Salaam) ko (Hamne unki Qoum ki Taraf Bheja) Jab Unhone Apni Qoum se Kaha ki Tum wo Be-Hayai ka Kaam karte ho ki Tum se Pehle Duniya me kishi ne bhi Nahi kiya, kya Tum Mardo se Badf’ali karte ho Aur Rasta me Daka zani karte ho Aur Apni Majlisho me Buri Baate karte ho, to unki Qoum ko iske Siwa koi Jawab Ban na pada ki Unhone Kaha ki Agar Tum Sacche ho to Hum par ALLAH TA’ALA ka Azaab le Aao”
(Surah Al-Ankabut, Aayat – 28, 29)

Hazrat Loot Aayhis Salaam Qoum ko Azaab se Bachane ki Fikr me he, leqin Qoum Kabhi kehti he Tum Azaab le Aao Aur Kabhi kehti he ki

“Ay Loot(Aayhis Salaam) Agar Tum (Hame Nasihat karne se) Baaz Na Aaye to Zarur Tumhe Basti se Bahar Nikaal deinge”
(Surah Shu’ara, Aayat-167)

Yaani Ham Tumhe Apne Shahar se Nikaal deinge Aur Ham Tumhe Yaha rehne nahi deinge.
(Tazkiratul Ambiya Aayhis Salaam, Safa-155,156)

>➤ Hazrat Loot Aayhis Salaam ki Qoum ki Kharabiya :-
Sab se Badi Burai un me “Lavaatt (Homosexuality)” thi (Mardo se Burai karne ki Aadat unme Kasrat se paayi jati thi) Aur Musafiro Aur Gujarne walo ke Rasta me Beith jana un ka Rasta Rokna Aur Zabardasti un se Burai ka Murtakib hona, Rasta me Beith kar Daka zani, Logo ko Qatl karna Aur unka Maal Lutna, un ki Buri Aadat me Samil tha, Qoume Loot ki ye Buraiya Abhi tak Logo me Moujud he, jo Shariyate Mutaahra se Bagawat he.

1) Mardo ki Mehfilo me Sirf is liye Aana ki unko Tadna Yaani Baaz ka Baaz ko deikhna Aur Burai ke liye intekhab karna, Kabutar Baazi Yaani Pura Pura Din unko Udane Aur Sart Baazi lagane me Gujaar deina,

2) Aurato ki Tarah Ungaliyo ki Puri Mehndi se Rangna, (Khyaal rahe Mard ko Batoure Dawa Mahendi lagana Jaiz he Lekin Zaib va Zinat ke liye Mana he, lekin Aaj ke Dour me Ladko ko Ladkiyo ka Libaas Aur Chaal Dhab Pasand he jo Haram he),

3) Hatho se Kankariya idhar-udhar Feinkna, Gujarne walo ko Tang karna, is tarah Banduko se Kankariya Fenk kar logo ko Satana,

4) Ek Dusre ko Thappad Maarna idher se ek Aaya usne Dusre ko Thappad Maar diya Aur Udhar se Dusra Aaya usne Thappad Maar diya, ye Behuda Fal(kaam) unka Mazah huwa karta jo Dar-Haqiqat unke Awbaas hone ki Alamaat thi,

5) Mehfil me logo ke Samne Buland Aawaj se Hawa-Kharij karna wo Apni Shaan Samajte the Halanki Sarfaa ke liye ye Fal(Kaam) Baaise Sharm hota he,

6) Ungaliyo ke Patakhe Nikalna Bila Wajah Aur Bageir Azr ke Ungaliyo ke Patakhe Nikalna Makrooh he is wajah se ki ye Loot Aayhis Salaam ki Qoum ka Feal(Kaam) tha Aur us waqt bhi is Fal(Kaam) ko Behuda Samja jata tha.

7) Mazah karte hue Logo ke Samne Nanga hona, Yaani Chader, Salwar Wageira utaar deina, Nanga hona, Be Haya Banna bhi Qoume Loot ka Feal he,

8) Mazah Mazah me Fahas kalami (Porn-Words) Aur ek Dusre ko Gaali deina.
(Roohul Maani, Jild-11, Safa-153)
(Tazkiratul Ambiya Aayhis Salaam, Safa- 156,157)

>➤ Hazrat Loot Aayhis Salaam ki Zovja(Biwi) :-
Hazrat Loot Aayhis Salaam ki Zovja ka Naam “Walila” tha, ye Kafira thi, is ke Dil me Nifaak tha, Wada ka Paas(Pura) Nahi karti thi, Loot Aayhis Salaam ke Paas Aane wale Mehmano ke Muta’alak Qoum ko khaber karti, Is Tarah Loot Aayhis Salaam ki Khyanaat ki Murtakib(Gunehgaar) hoti, Qoum ki Burai par Khush hoti thi, Is liye Qoum ke Sath Azaab me ye bhi Giraftaar hui.
(Tazkiratul Ambiya Aayhis Salaam, Safa-159)

>➤ Azaab Wale Faristo ka Loot Aayhis Salaam ke Paas Aana :-
Jo Fariste Hazrat Ibhrahim Aayhis Salaam ke Paas Aaye the Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ko Ishaak Aayhis Salaam Aur unke Baad Yaakub Aayhis Salaam ki Basaarat deine ke liye Wahi Fariste Loot Aayhis Salaam ki Qoum ko Azaab deine ke liye bhi Aaye, Wo Fariste Insaani Shakl me Aaye the,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Bahot Mehmaan Nawaz the, 15 Dino se koi Mehmaan na aaya tha, is liye Aap ne Jaldi se Unke Paas Bhuna huwa Bachhda Peish kiya, Aapne Jab deikha ki ye Ajnabi Loug he, inke Haath Khane Tak Nahi Pahonch rahe, to Samaj gaye ki ye to Fariste he.
(Tazkiratul Ambiya Aayhis Salaam, Safa-159)

>➤ Hazrat Ibhrahim Aayhis Salaam ka Faristo se Sawal Jawab :-
Quraane Kareem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Fir Jab Ki Ibhrahim (Aayhis Salaam) ke Dil se Khouf Door huwa Aur unko (Beita Peida hone ki) Khush-Khabari mili to Ham se Loot(Aayhis Salaam) ki Qoum ke Bare me Jhagadne lage(Purzour Sifarish karne lage)”
(Surah Hood, Aayat-74)

Hazrat Ibhrahim Aayhis Salaam ne unhe(Faristo se) kaha kya Tum us Basti ko Halaak karoge jis me 300 Momin honge..?
Unhone kaha Nahi Aysha kabhi Nahi karenge,
Fir Ibhrahim Aayhis Salaam ne Kaha kya Tum us Basti ko Halak karoge jisme 200 Imaan wale Rehte ho..?
Unhone kaha Nahi, ushe to Halak nahi karenge,
Fir Ibhrahim Aayhis Salaam ne Kaha Tum us Aabadi ko Barbaad karoge Jaha 40 Imaandaar loug Moujud honge..?
Unhone kaha Nahi,
Fir Ibhrahim Aayhis Salaam ne Farmaya ki Agar ek Momin Waha Rehta ho to ushe Tum Barbaad karoge..?
Unhone kaha Nahi,
to Ibhrahim Aayhis Salaam ne Farmaya Usme to Loot Moujud he,
Faristo ne kaha Hame Malum he Waha kon log he,
Loot Aayhis Salaam Aur unki Ahal ko Ham Naja’at deinge, Siwaay unki Aurat ke, wo Qoum ke Sath hi Azaab me Mubtila ho jayegi.
(Tafseere Jalalein, Safa-186)
(Tazkiratul Ambiya Aayhis Salaam, Safa-160)

>➤ Faristo ka Jawaab Aur Qoume Loot par Azaab :-
Quraan Shareef me he ki
“Faristo ne Kaha ki Ay Loot (Alayhis Salaam) Beshaq Ham Aap ke RABB Ke bheje hue he, wo Loug Hargiz Aap tak Nahi Pahonch Sakte to Aap Apni Biwi ke Siwa Apne Sab Ghar Walo ko Raato Raat (Basti se Baahar) le jaaye Aur Tum me koi Pith Feir kar Idhar-udhar na Deikhe, Beshaq us(Biwi) ko Wahi Musibat Pahonchegi jo un logo ko Pahonchegi, Beshaq un(ke Azaab) ka Wada Subah ka Wakt(Mukararr) he kya Subah Karib nahi(?), Fir Jab Hamara Huqm(Wada) Aa Pahoncha to Hamne us (Basti) ke Upar ko us ka Nicha kar diya(Yaani Palat diya) is (Basti) par Aaag me Pake hue Patther lagataar Barsaaye, jo Aap ke PARWARDIGAAR ke Paas se Nishan kiye hue the Aur wo un Zalimo se kuchh Door nahi.
(Surah Hood, Aayat – 81, 82, 83)

Fariste Ab tak Ye Khamoshi se deikh rahe the, Jab un Avbaaso ki Gustakhi Aur Hazrat Loot Alayhis Salaamki Pareshani Aur Be-basi ki inteha ho gayi, to Fariste Goya hue, Ay Loot (Alayhis Salaam) Ghabrao Nahi, Darwaza Khol do, Aur Un Maskaro ko Aage Aane do, Ham Insaan Thode he ki ye Aage Badh kar Hamko Dabouch lenge, Ham ALLAH ke Bheje hue Fariste he Aur Hame is liye Bheja gaya he ki Ham in Bastiyo ko Tah va Bala karke rakh de, Aap Aysha kare ki Raat ka Jab Kuchh Hissa Gujar jaye to Apne Gharwalo ko Hamraah le kar yaha se Chale jaaye, Lekin Aap ki Biwi Aap ke Sath Nahi ja Sakti, us ka Anjaam Wahi hoga jo Dusre Mujrimo ka, Ab un Zalimo ki Mohallat ki Ghadiya khatm ho gayi, Sirf Subah hone ki Deir he Aur Subah ke Tulu hone me Ab Zyada Waqt Nahi,

Jab Azaab Aaya to Unki Bastiyo ko Zeir va Zabar karke rakh diya gaya unki Falak Bovs Imarate Zameen par Undhi gira di gayi, un par Shakht Pattharo ki Ayshi Musaladhar Barish ki gayi, ki wo Sab Khake Siya ban kar rah gaye, Siron, Amoraah, uma Aur Zabuim unki 4ro Bastiya us jagah Aabad thi, Jaha Aaj kal Bahre Muraad(Atlantic) ya Bahre Loot(Pacific) he, Ab bhi Bahre Loot(Pacific) se Dhunve ke Badal uthte he, Kasrat se Zalzale Aate rehte he.
(Tafseere Ziya ul Quraan, Jild-2, Safa-342)

>➤ Hazrat Loot Alayhis Salaam ka Raat ko Nikal jana :-
Hazrat Loot Alayhis Salaam Apne Sath Siwaye Zovja(Biwi) ke Baaki Ghar ke Afraad ko Raat ko le kar Nikal gaye, ALLAH TA’ALA ne Zameen ko Lipat diya is Tarah Loot Alayhis Salaam Ibhrahim Alayhis Salaam ke Paas Pahonch gaye, Fir Jibrail Alayhis Salaamne Unki Tamam Bastiyo ko Apne Par se uthaya Aur Itna Buland kiya ki Aasman wale Unki Bastiyo me Rehne wale Murgo ki Aawaz Aur Kutto ki Bhonk Soon rahe the, fir Unko Palat kar Niche Gira kar Upar se Pattharo ki Barish Barsha kar Tabah va Barbaad kar diya gaya.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-113)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-162, 163)

ALLAHU AKBER…




#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #HazratLoot #Loot #Lut


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial