Hazrat Zulkifl Alayhis Salaam

qqaa

Quraane Majeed me RABB TA’ALA irshaad Farmata he
“Aur Yaad karo Ismaail Aur Yasa’a Aur Zul-kifl ko Aur Sab Acche he”
(Surah Saad, Aayat-48)

Aapka Naam ‘Bashar’ he ya ‘Sharf’ he, Aap Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ke Beite he, (Aapke Muta’alaq Aur bhi Mukhtelaf Aqwaal he),
ALLAH TA’ALA ne inko inke Baap Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ke Baad Nabi Bana kar Bheija Aur Hukm diya ki Aap Lougo ko Meri Wahdaaniyat par Imaan Laane ki Taraf Bulaaye, ki Meire Bageir Koi Ma’abud nahi,

Aap Umar bhar Saam ke Ilaaqe me hi rahe, ALLAH TA’ALA ke Ahkaam Lougo tak Pahonchate rahe, 75 Saal ki Umar me Duniya se Rukhsat hue,

Hazrat Zul-kifl Alayhis Salaam ne Apne Beite Ibraan ko Wasiyat ki thi ki Meri Wafaat ke Baad Neiki ke Amal par Qaayam rehna, Lougo ko bhi Imaan Aur Neik Aamaal ki Targib deina,

Hazrat Zulkifl Alayhis Salaam Yatimo, Mohtaajo, Garibo, Beiwa Aurato par Reham Farmaate, Unki Zaruriyaat ka Khyaal rakhte, Unhi Mohtaaj Lougo ki Kefaalat ki Wajah se hi Aapka Naam ‘Zul-kifl’ (Kefaalat Karne wala) Padh gaya tha.
(Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-2, Safa-82)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-270)

Subhan Allah…



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #HazratZulkifl #Ambiya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial