HUZOOR ﷺ ke Chacha Aur Fufiya

>➤ HUZOOR ﷺ ke Chacha Aur Fufiya :-
>> HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke 12 Chachaa the, Jo Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ke Beite the Aur 13 ve Beite HUZOOR ﷺ ke Waalide Maajid Hazrate Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho the.
Un 12 Beito ke Naam Is tarah he
1) Haaris, 2) Abu Taalib, 3) Zubair,
4) Hazrate Hamza, 5) Abu Lahab, 6) Geidaaq,
7) Maqum, 8) Zaraar, 9) Hazrate Abbas,
10) Qasm, 11) Abdul Kaba, 12) Jahal.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-578)

Inme se Sirf Hazrate Hamza wa Hazrate Abbas RadiAllaho Ta’ala Anhuma ne Islaam Qabool kiya, Hazrate Hamza RadiAllaho Ta’ala Anho Bahot hi Taaqatwar Bahaadur the, Inko HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne ‘Asadullah’ wa ‘Asadurrasool'(ALLAH WA RASOOL ﷺ ka Sheir) ke Muazzaz wa Mumtaaz Laqab se Sarfaraaz Farmaya, Hazrate Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho ke Fazaail me Bahot si Ahaadis Waarid hui he, HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Inke Aur Inki Aulaad ke Baare me Bahot si Bashaarate di Aur Achhi Achhi Duaa e bhi Farmaayi he.
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-497)

>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Fufiyo ki Taadad 6 he, Jinke Naam ye he
1) Aatika, 2) Umeima, 3) Umme Hakim,
4) Barah, 5) Safiyya, 6) Arvi,
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-586)

Inme se Tamaam Mu’arakhin ka Ittefaq he ki Hazrate Safiyya RadiAllaho Ta’ala Anha ne Islaam Qabool kiya, Ye Zubair Bin Al Awwam RadiAllaho Ta’ala Anho ki Waalida he, Ye Bahot hi Bahaadur Aur Houshlamand Khaatun thi.
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-497)



Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *