Qutub E Kokan Hazrat Makhdoom Ali Maahimi Rahmatullah Alay

23467109_1451835248268815_9176848024100315453_o

Aap Rahmatullah Alay ka Mazaare Mubaarak Maahim, Mumbai me he..

Aapka Naam Alaauddin Ali he, Kunniyat Abul Hasan Aur Laqab Zeinuddin he, Ilm E Fiqaah me Mahaarat rakhne ki Wajah se “Faqih” Aur Waalida Maajida ki Khidmato ke Silah me “Makhdoom” ka Khitaab Mila, Is Tarah Aap “Faqih Makhdoom Ali” ke Naam se Mashoor hue,

Aapke Waalid ka Naam Ahmad Bin Ali he, Jo Bahot Bade Aalim Aur Wali e Kaamil the, Waalida ka Naam Faatema Binte Nakhuda Haseen Ankuliya he, Waalida Mohtarma bhi Waliya Kaamela Aur Mustajaabud Da’waat thi Aur Nana Nakhuda Haseen Ek Bade Taajir(Wyapaari/Businessman) the,

>➤ Wilaadat :-
Aapki Wilaadat Maharashtra ke Mashoor Shahar “Kalyaan” me 10, Moharram ul Haraam, 776 Hijri Muta’abiq 1372 Isvi-san ko Khandaane Nawaait ke Ek Mo’aziz Gharaane me hui,
(Taarikhe Kokan, Safa-1312)
(Subhatul Marjaan Fee Aaasaarul Hindustaan, Safa-197)

Aaj Jahaa Maahim Police Station he Wahi Aapki Rahaaish-Gaah(Rehne ki Jagah) thi Aur Jaha Aapka Mazaar he Wo Jagah Aapke Muqarrebeen(Qaribi Rishtedaar) ka Qabrstaan tha.
(Qutube Kokan Hazrat Sheikh Makhdoom Faqih Ali Maahimi, Safa-28)
(Sawaaneh Makhdoom Ali Maahimi Rahmatullah Alay)

>➤ Ta’alim Wa Tarbiyat :-
Aapke Waalid Moulana Shaikh Ahmad Saahab Rahmatullah Alay Neik Saaleh Aalime Ba-Amal Aur Wali E Kaamil the, Aapne Apne Bacche ki Zahaanat Aur Ilm ke Showq Wa Jazba deikhte hue Aapki Ta’alim wa Tarbiyat ki Jaanib Shuru hi se Tawajjo Farmaayi Aur 9 Saal ki Chhoti si Umr me Aapko Saare Murawwaja Ulum Quraan, Hadees, Fiqaah, Tasawwuf Aur Digar Ulum se Muzayyan kar diya,

Abhi Aapko Ulume Zaahiri Ya’ani Ulume Sharai se Faarig hue Chand hi Din Guzre the ki 25 Jamaadi ul Aakhir, 785 Hijri ko Aapke Sar se Waalide Mohtaram ka Saya Uth gaya..(إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ),
(Taarikhe Kokan, Safa-1312)

>➤ Ustaaze Giraami Hazrat Khizr Alayhis Salaam :-
Waalide Mohtaram ke Inteqaal ke Baad Aap ki Parwarish ki Saari Zimmedaari Waalida Maajida ke Sar Aagayi Jo Aapne Khub Anjaam di, Lekin Ta’alimi Silsila Munqat’a(Toot) ho jane ki Wajah Aap Be-qaraar rehne lage Aur Aala Ta’alim Haasil karne ka Jazba Badhta hi gaya to Aapne Apni Waalida Mohtarma se Tehsil(Study) E Ilm ki Khaatir Berun Hind Safar karne ki Ijaazat Maangi, Chunki Waalida Mohtarma ke liye Aapki Judaai Naqaabile Bardaasht thi Is liye Kuchh Deir Sochne ke Baad Farmaya ki ALLAH TA’ALA koi Sabab Peida kar deiga Jis se Tumhaari Aarzu Poori ho jaayegi, Maa ki Baat Maani thi, Sabab Keise Na Peida hota…??
ALLAH TA’ALA ne Hazrat Khizr Alayhis Salaam ko Bheij kar Ta’alim ka Intezaam Farma diya,

Chunanche Saiyyad Kamaaluddin Qaadri Barkaati likhte he
Aap Ilm e Maarefat Haasil karne ke liye Hindustan ke Baahar Jaana Chaahte the Lekin Aapki Waalida Mohtarma ne Farmaya ki Mei Is Silsile me KHUDA TA’ALA se Duaa karungi Chunaanche Aapne Duaa ki Aur Duaa Baargaahe KHUDAAWANDI me Maqbul bhi ho gayi, Agle Din Jab Aap Hasbe Ma’mul(Dastoor ke Muta’abiq) Namaaze Fazr ke Baad Samandar ke Kinaare Tashreef le gaye to Aapne Waha Ek Buzurg ko Patther par Beitha Paya wo Buzurg Hasti Hazrat Khizr Alayhis Salaam hi thi, Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne Aapko Bulaya Aur Kaha ki Tumhaari Waalida Ek Parhezgaar Aurat Aur Waliya he, ALLAH TA’ALA ne Tumhaare liye Ilme Ma’arefat ke Sile me Unki Duaa Qabul Farmaayi he, Tum Har Roz Namaaze Fazr ke Baad Yaha Aajaya Karo Mei Tumhe Ilme Ma’arefat Sikhaunga, Lekin Yaad rahe Is Ta’aluq se kisi ko Khabar Na Hone Paaye..

Ek Din Unki Waalida Mohtarma ne Puchha ki Beita Tum Har Roz Subah Saweire Kaha Chale jaate ho..? Chunki Aapke Ustaaz Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne Aapko Iske Ta’aluq se kisi ko bhi Bataane se Rok rakha tha Magar Aapne Sue-Adab(Adab ke Khilaaf/Be-Adabi) ka Khyaal karke Sab Sach Sach Bata diya, Agle Din Jab Aap Samandar ke Kinaare gaye to Waha Hazrat Khizr Alayhis Salaam ko Na Paya, Aap Waalida Maajida ke Paas Aaye Aur Route hue Arz kiya ki Hazrat Khizr Alayhis Salaam ke Mana karne ke Ba-Wajud Meine Aapko Sach Sach Bata diya Isi Wajah se Wo Aaj Nahi Aaye, Chunki Aapki Waalida Mohtarma Ek Parhezgaar Aurat thi Is liye Aapne ALLAH TA’ALA Se Dubara Duaa ki Aur Aapki Duaa Fir Maqbul hui, Agle Din Hazrat Khizr Alayhis Salaam se Mulaaqaat hui, Is Martaba Hazrat Khizr Alayhis Salaam ne Apne Moonh se Ek Luqma Nikaal kar Aapko diya, Jeise hi Aap ne wo Luqma Nigla to Aapse 70 Hazaar Hijaabaat(Geibi Parde) Uth gaye.
(Hazrat Makhdoom Ali Maahimi, Safa-21,22)
(Sawaaneh Makhdoom Ali Maahimi Rahmatullah Alay)

Subhan Allah…


>➤ Khidmat-Guzaar :-
Hazrate Makhdoom Ali Maahimi Rahmatullah Alay Apni Waalida ke Bade Farma-Bardaar Aur Khidmat-Guzaar the, Ek Raat Isha ki Namaaz ke Baad Sone se Pehle Aapki Waalida ne Aapse Ek Gilaas Paani Manga Aap Paani leine Chale gaye, Loute to deikha ki Waalida Saahiba ki Aankh Lag gayi he, Aap ne Khyaal kiya ki Nind se Beidaar karna Sue-Adab(Adab ke Khilaaf/Be-Adabi) he Is liye Saari Raat Paani ka Gilaas liye Khade rahe, Jab Waalida Maajida Fazr se Kuchh Pehle Tahajjud Padhne Uthe to Puchha ki Beita Paani le kar Kab se Khade ho….??
Aapne Arz kiya Ammi-Jaan Sone se Pehle Aapne Paani Talab Farmaya tha Usi Waqt se khada hu Aur Aap ke Beidaar hone ka Intezaar kar raha hu Taaki Aapki Khidmat me Paani Peish kar saku, Jab Waalida Maajida ne ye Soona to Bahot Khush hui ki ALLAH TA’ALA Ne Unhe Ek Farma Bardaar Ladka Ataa kiya he, Aur Namaaze Tahajjud ke liye Bistar se Uthe Aur RABB TABAARAK WA TA’ALA se Duaa ki ke Ay ALLAH Tu Meire Bachhe ko Apna Wali Aur Qutub Bana Taaki Yu hi Insaaniyat ki Khidmat kar Sake, YA ALLAH Tu Har Kisi ko Aysa Farzand Ataa kar..

Maa ki Duaao ka Asar tha ki Aap Qutub hi Nahi Balki Azeem Qutub Aur Kokan, Maharashtra Aur Gujaraat ke Qutub ul Aqtaab Ban gaye.
(Hazrat Makhdoom Ali Maahimi, Safa-23)
(Sawaaneh Makhdoom Ali Maahimi Rahmatullah Alay)

>➤ Bakri ko Zinda karna :-
Hazrat Makhdoom Maahimi Rahmatullah Alay ne Apne Ghar me Bakri Paal Rakhi thi Jis se Aap Bahot Mohabbat Kiya karte the, Ek Roz Jab Kisi Kaam ki wajah se Aap Baahar gaye to Bakri Beemaar ho kar Marr gayi, Aapki Waalida Maajida ne Use Samandar ke Kinaare Fhinkwa diya, Jab Aap Waapas Aaye Aur Bakri ke Mar Jaane ki Khabar Sooni to Bahot Ranjida hue Aur Use deikhne Samandar ke Kinaare Chale gaye, Aapke Sath Aapki Kaneez bhi thi, Jab Aap ne Deikha ki Bakri Mari padhi he to Aapne Kaneez se kaha ‘Tum Yaha se Chali Jaao Mei Kuchh Deir me Aata hu’ Ye Soon kar Kaneez Ghabhra gayi Chunki Use Hukm Mila tha Is liye Waha se Jana Padha, Magar Kuchh Faasle par Aakar Chhip gayi, Kaneez ke Jaane ke Baad Aapne ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Duaa ki Aur Kuchh deir khade rahe, Tabhi Kaneez ne deikha ki Bakri ke Peir Harkat karne lage, Fir Aap Rahmatullah Alay ne Bakri ka Kaan Pakad kar kaha ki Ghar Chal Aur Use Ghar le Aaye,
(Subhan Allah…)
Ye Aapki Sabse Pehli Karaamat thi, Jiska Zahur Us Waqt huwa Jab Aap ki Umr Sirf 10 Saal thi,

>➤ Pal Bhar me Madina e Munawarra Pahonchna :-
Ek Roz Door-Daraaz se Saahbaane Tariqat Aaye hue the Aur Mehfil Jami hui thi, Douraane Guftagu Ek Buzurg jo Saahibe Kamaalaat the Famaane lage ki Hazrat Sarzamin e Madeena e Munawarra me Ek Beir ka Darakht(Peid) he, Jiske Beir Bahot Umda Aur Lazeez hote he, Hazrat Makhdoom Rahmatullah Alay ne farmaya ye Beir ka Mousam he Jaao Kuchh le Aao, Unhone Beir Laane ka Wa’ada kiya Aur waha se Chale gaye, Ye Buzurg bhi Bade Kaamil the, Fouran Madeena Pahonche, Darakht ke Niche Gaye to Ma’lum huwa ki Koi Darakht par Chadha he, Socha ki Ab Mei kyu Chadhu Farmaya Bhai ‘Zara Ek Tehni hilaa do Mei bhi Chun lu’ Upar wale ne Kuchh Beir Tod kar gira diye Aur Ek Tehni bhi hilaa di, Unhone Sameit liya Aur Waapas Aaye, Hazrat Makhdoom Rahmatullah Alay ki Baargaah me Beir Peish Kiya, Sheikh ne Tanaawul Farmaya Aur Ta’arif ki Magar Sath hi Farmaya ki Beir to Bahot Umda he Lekin Tumne Bageir Mehnat ke Haasil kiye he, Ye Soon kar Wo Buzurg Bahot Muta’ajib hue Aur Khyaal kiya ki Gaaliban Aap deikh rahe the lekin waha Ma’mla hi Alag tha, Hazrat Makhdoom Rahmatullah Alay Pehle se Pahonch kar Darakht par Chadhe hue the ye bhi Samajh gaye Aur Kehne lage Hazrat Gustakhi ho gayi Mu’aaf kijiye, kaha Aap Aur Kaha Hum, Aap Qutub ul Aqtaab Aur Sultaan e Auliya he, Iske Baad Hazrat Makhdoom Rahmatullah Alay ne Apni Zeib se Kuchh Beir Nikaal kar Haazireen me Baant diye,
(Subhan Allah…)

>➤ Wafaat :-
Ek Taweel Muddat tak Aalam ko Apne Kamaalaat Zaahiri wa Baatini se Mustafeez karke Aur Aalame Islaam me Roohaaniyat Peida karke 7 Jamaadi ul Aakhir Jumma ki Shab 835 Hijri Muta’abiq 1431 Isvi-san 59 Saal ki Umr me Wafaat Paayi(إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ), Aur Baroze Jumma ke Baad Maahim hi me Apne Rishtedaaro ke Qabrstaan me Madfun hue,

Aapki Wafaat se Aapki Waalida Maajida ko Gehra Sadma Pahoncha Aur Isi Sadme me 40 Din Baad 17 Rajjab 835 Hijri me ALLAH TA’ALA ko Pyaari ho gayi(إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ), Hazrat Makhdoom Rahmatullah Alay ki Mazaar ki Daayi Jaanib Aapko Supurde Khaak kiya gaya.
(Taarikhe Kokan, Safa-457)
(Sawaaneh Makhdoom Ali Maahimi Rahmatullah Alay)

Alhamdolillah…. 30, Moharram ko Mujh Faqeer ko Qutub E Kokan Hazrat Faqih Makhdoom Ali Maahimi Rahmatullah Alay ke Roza E Mubaarak ki Ziyaarat Naseeb hui..
Jab bhi Aap Hazraat Mumbai Jaaye to Zarur Ziyaarat kare…

ALLAH TA’ALA Mujhe Aur Aapko Neik Mubaarak Aur Muqaddas Jagaho par Jaane ki Toufiq Ataa Farmaaye…
Aameen YA RABBUL AALAMIN..


#Seerat #Sirat #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Auliya #Waliallah #Auliyaekiram #QutubEKokan #MakhdoomAliMaahimi #Mahim #Maheem #kokan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial