Setaaro, Nuzumi ko Hath Dikhana Aur Papite ke Darakht se Badshuguni leina

➤ Setaaro ke Achhe-Bure Asraat se Bad-Shuguni leina :-

Khud ko padha likha Samajhne Waalo ki Bahot Badi Tadaad Sitaaro ke Asraat ki Is Qadar Qaail(Iqraar karne Wale) hoti he ki Shaadi Aur Kaarobar Jeise Aham Feisle bhi Setaaro ki Naql wa Harkat ke Muta’abiq Karti he, Ayse Loug Setaara Shenaasi (Setaara ka Ilm) Ka Da’waa karne Waalo ka Aasaan Shikaar hote he Jo Inko Be-waquf Bana kar Badi Badi Raqame Ba-torte (Kamaate) rehte he, Baarha Aysa hota he ki Ladka Ladki ka Rishta Tei Ho Chuka hota he, Zaruri Chhan-Bin bhi ho Chuki hoti he Lekin Ek Fareeq(Giroh) yeh keh kar Rishte se Inkaar kar deita he ki Humne Pata Karwaya he ki Ladke Aur Ladki ka Setaara Aapas me Nahi Milta Lihaza Ye Shaadi Nahi ho Sakti, Ye Bad-Shuguni he…

»»» Hazrate Saiyyadna Zaid Bin Khaalid Juhni RadiAllaho Ta’ala Anho Bayaan karte he ki
HUZOOR RAHMATALLEEL AALAMIN Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hume Hudebiyya ke Makaam par Baarish ke Baad Subah ki Namaaz Padhayi, Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Namaaz se Faarig hue to Lougo ki Jaanib Rukhe Anwar(Roushan Chehra) kiya Aur Irshaad Farmaaya Kya Tum Jaante ho Tumhaare RABB TA’ALA ne kya Farmaya..?? Lougo ne Arz ki ALLAH Aur Uska RASOOL Khub Jaante he,
Irshaad Farmaaya ALLAH AZZAWAZAL ne Farmaya he ki Meire Bando ne Subah ki To Kuchh Momin huwe Aur Kuchh Kaafir, Jisne Kaha Hum par ALLAH TA’ALA ke Fazl Aur Uski Rahmat se Baarish hui to Woh Mujh par Imaan Rakhne Waala he Aur Setaaro ka Inkaar Karne Wala he Aur Jin Lougo ne Kaha Hum par Fula Fula Setaare ke Sabab Baarish hui Woh Meire Munkir(Inkaar Karne Wale) Aur Setaaro ke Maanne Waale hue.
(Bukhaari Shareef, Jild-1, Safa-295)

»»» Shaareh Bukhaari Mufti Mohammad Shariful Haqq Amjadi Rahmatullahe Alay Is Hasees ke Tehat likhte he
Agar ye Ayteqaad (Yaqeen) ho ki Setaare hi Baarish Barsaate he to ye Ayteqaad ‘Kufr’ he Aur Agar ye Ayteqaad ho ki Baarish Be-Izne ILAAHI(ALLAH TA’ALA ki Ijaazat se) Barasti he Aur Mukhtelaf Setaaro ka Tulu’a wa Gurub(Nikalna wa Doobna) Iski Alaamat(Pehchan) he to Isme koi Harj Nahi, Is liye Ye kehna ki Fula Nichhtar (Setaaro ki Manzil) ki Wajah se Baarish hui Mamnu’a(Mana) he Aur yeh kahna ki Fula Nichhtar me Baarish hui Jaiz he,
Aage likhte he Yaha Kufr Aur Imaan ke Lugvi Ma’ana(Lafzi Ma’ani) Muraad he Ya’ani Meira Munkir(Inkaar Karne Wala) Aur Nichhtar(Setaaro ki Manzilo) ka Maanne Wala he.
(Nuzhatul Qaari, Jild-2, Safa-495,496)
(Bad-Shuguni, Safa-63,64,65)

➤ Nuzumi ko Hath Dikhana :-

Bahot se Loug Kaahino(Faal Nikaalne Waala), Nujumiyo(Setaaro ki Chaale Padh kar Haalaat Bataane Wala), Professor Aur Ramal(Jyotisho) wa Jafar(Huruf wa A’adaad ke Zariye Haalaat Bataane Wala) ke Jhute Dawedaaro ke Ha ja kar Haal Ma’alum karte he, Apna Haath dikhate he, Faal-Naame Nikaalwaate he, Fir Is ke Muta’abiq Aainda Zindagi ka Laaehaa E Amal(Kaam karne ka Program) Banaate he, Is Tarje Amal me Nuksaan hi Nuksaan he,

Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay Farmaate he
Kaahino Aur Jyotishyo se Haath dikha kar Taqdeer ka Bhala-Bura Daryaaft (Puchhna) karna Agar Batoure Ayteqaad (Yaqeen) ho Ya’ani jo ye Bataaye Haqq he to Kufre Khaalis he Isi ko Hadees me Farmaya
“Isne MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam par Naazil hone Waali Shaiy(Chiz) ka Inkaar kiya”.
(Tirmizi Shareef, Kitaabul Tahaarat, Jild-1, Safa-185)
Aur Agar Batoure Ayteqaad wa Tayaqqun (Yaqeen rakhne ke) Na ho Magar Meil wa Ragbat(Khwaahis/Shouq) ke Sath ho to Gunaahe Kabeera he, Isi ko Hadees me Farmaya
ALLAH TA’ALA 40 Din Tak Uski Namaaz Qabool Na Farmaayega Aur Agar Batoure Hazl Wa Istihja(Hansi Mazaaq ke Tour par) ho to Abas(Bekaar) wa Maqrooh wa Hamaaqat(Nadaani/Bewaqufi) he, Ha Agar Baqasde Ta’jiz(Use Aa’jiz/Be-Bus karne ke liye) ho to Harj Nahi.
(Fataawa E Razwiya, Jild-21, Safa-155)

»» Is Jadeed(Naye) Dour me bhi Bahot se Loug Haatho ki Lakeero par Andha Aytemaad rakhte he, Aysa hi Ek Muzaahera Jaapan me deikhne me Aaya Jaha Lougo ko Hatho ki Lakeero par Itna Yaqeen he ki Unhone Apni Qismat ki Lakeero ko Badalne ke liye Hatheliyo ki Sarjari Karana Shuru Karwa di he, Mard to Is Sarjari ke Zariye Apne Hatho par Lambi Doulat ki Line ne Banwate he Jabki Khawaatin (Aurate) ki Khawaahis Shaadi ki Badi Lakeer hoti he.

»»» Kaahino ki Ba’az Baate Durusht hone ki Wajah :-
Ummul Mo’ameneen Hazrate Saiyyada Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha Bayaan karti he ki Kuchh Lougo ne RASOOL E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se Kaahino(Kaahino ki Baate Qaabile Aytemaad hone ya Na Hone) ke Baare me Puchha To HUZOOR REHMATE QOUNEIN Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Inki Baato ki Koi Haqiqat Nahi he, Lougo ne Arz ki YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Jo Khabar Woh Deite he Ba’az Awqaat(Waqt) Woh Sach Nikalti he, Irshaad Farmaaya Woh Kalima(Baat) Jinn se Soona huwa hota he Jise Jinni Uchak leiti he Aur Apne Dost(Kaahin) ke Kaan me Is Tarah Daal deiti he Jis Tarah Ek Murgi Dusri Murgi ke Kaan me Aawaaz Pahonchati he, fir Kaahin Is Kalime(Baat) me So(100) se Zyada Jhuti Baate Mila deite he.
(Muslim Shareef, Kitaabul Islaam, Safa-1224)
(Bad-Shuguni, Safa-68-71)

➤ Setaaro se Baaris ka Andaza Lagana :-

Ek Din Molana Mohammad Hussain Merthi Rahmatullahe Alay ke Waalid Saahab(Jo Ilme Nujum me Badi Mahaarat rakhte the) Aala Hazrat Mujaddide Dino Millat Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay ke Paas Aaye to Aap Rahmatullahe Alay ne Unse Daryaaft(Puchhna) Farmaya
Farmaaiye Baarish ka Kya Andaza he Kab Tak Hogi…?? Unhone Setaaro ki Wadah(Haalat) se Jaaecha (Janampatra ki Tarah/horoscope) Banaya Aur Bataya Is Maheene me Paani Nahi he Aainda (Aanewale) Maah(Maheene) me hoga, Yeh keh kar Wou Jaaecha Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ki Taraf Badha diya, Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne deikh kar Farmaya
ALLAH TA’ALA ko Sab Qudrat he Chaahe to Aaj Baarish ho..
Unhone kaha ye keise ho Sakta he..?? Aap Setaaro ki Wadah(Haalat) ko Nahi deikhte…??
Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Farmaya “Mei Sab Deikh raha hu Aur Is ke Sath Sath Setaaro ke Waadeh(Banaane Waale) Aur Uski Qudrat ko bhi deikh raha hu..”
Fir Is Mushkil Masle ko Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Aasaan Tariqe par Samjha diya, Woh Is Tarah ki Saamne Ghadi lagi hui thi, Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Unse Puchha Waqt kya huwa he…??
Bole Sawa Gyara(11:15) baje he,
Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Farmaya Baarah Bajne me Kitni Deir he…??
Bole Thik Pon-Ghanta(45 Minit)..
Aala Hazrat Rahmatullahe Alay Uthe Aur Badi Sui ko Ghuma diya Fouran Tan-Tan Baarah Bajne lage, Ab Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Farmaya Aapne to kaha tha Thik Pona-Ghanta(45 Minit) he Baarah Bajne me,
Bole Aapne Iski Sui Khiska di Warna Apni Raftaar se Pone Ghante hi ke Baad Baarah Bajte, Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Farmaya Isi Tarah ALLAH RABBUL IJJAT Qaadire Muta’laq he Jis Setaare ko Jis Waqt Jaha Chaahe Pahoncha de, Woh Chaahe to Ek Maheena Kya, Ek Hafta kya, Ek Din kya, Balki Abhi Baarish hone lage, Itna Zabaane Mubaarak se Nikalna tha ki Charo Taraf se Ghanghor(Gahri) Ghata Aa gayi Aur Paani Barasne laga.
(Tajalliyaate Imaam Ahmad Raza, Safa-116)

Subhan Allah..

»»» Sadrushshariya Hazrat Mufti Mohammad Amjad Ali Aazmi Rahmatullahe Alay Farmaate he
Qamar Dar Aqrab Ya’ani Chaand Jab Burje Aqrab(Aasmaan ke 12 Hisso me se Wo Hissa Jisme Chand(Kuchh) Setaare Mil kar Bicchu (scorpion) ki Shakl peida karte he) me hota he to Safar karne ko Bura Jante he Aur Nuzumi Ise Manhus Bataate he Aur Jab Burje Asad(Aasmaan ke 12 Hisso me se Wo Hissa Jisme Chand (Kuchh) Setaare Mil kar Sheir ki Shakl peida karte he) me hota he to Kapde Qat’a Karaane (Katwaane) Aur Silwaane ko Bura Jante he Aysi Baato ko Hargiz Na Mana Jaaye, Ye Baate Khilaafe Sharah Aur Nujumiyo ke Thakosle (Behudgi) he, Nuzum ki Is Qism ki Baate Jinme Setaaro ki Taasiraat Bataayi Jati he Ki Fula Setaara Tulu’a karega to Fula Baat hogi, Ye bhi Khilaafe Sharah he, Is Tarah Nichhtaro ka Hisaab ki Fula Nichhtar(Setaaro ki Manzil) se Baarish hogi ye bhi Galat he Hadees me Is par Shakhti se Inkaar Farmaaya.
(Bahaare Shariyat, Jild-3, Safa-659)
(Bad-Shuguni, Safa-65,66,67)

Humaare Mu’aashre(Insaani Maahol) me Aaj bhi Kayi Loug Is Tarah ki Bad-Shuguni me Mubtala he..
Newspaper Wageira me Nuzumiyo ki Aur se Alag Alag Kism ki Baate Ghadi hoti he ki Aaj Fala Setaare ki Haalat Aysi he Is liye Aaj Din Bhaari hoga ya Fala Nukshaan hoga ya Is Hafte Baarish Nahi hogi…
Haalanki Unhe pata Nahi ki Jis RABBE QAAYENAAT ne Is Duniya ko Banaya he Woh Hargiz Setaaro ki Harkat ka Mohtaaj Nahi.. Wo Chaahe to Setaaro ki Harkat ke Bina bhi Baaris Barsha Sakta he…

ALLAH TA’ALA Aysi Be-Buniyaad Baato se Bachne ki Toufiq Ataa Farmaaye..
Aameen..

➤ Gharme Papite ka Darakht Lagaane ko Manhus Samjhna :-

Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay se ‘Kaathiya-vaad’ ke Ilaaqe se Kuchh Is Tarah ka Sawaal huwa ki yaha Aam Tour par Tamaam Shahar Muttafiq (Ek Saath) he ki Darakht e Papita(Papite ka Peid/Tree) Jisko Arand Kharpuja kehte he Makaane Maskuna(Rehne ki Jagah) me lagana Manhus he Aur Mana he Chunki yaha ye Ba-kasrat Aur Nihaayat Lazeez he Lihaza Iltimas(Guzaarish) he ki Is Baare me Ahkaame Sharai se Khabardaar kijiye…??
Imaame Ahle Sunnat Rahmatullahe Alay ne Jawaab diya
Shariyat me Iski Koi Asl Nahi, Sharah ne Na Ise Manhus Thehraya Na Mubaarak, Ha Jise Aam Loug Nahas (Na-Mubaarak) Samaj rahe he Is se Bachna Munaasib he ki Agar Hasbe Taqdeer(Taqdeer ke Muta’abiq) Ise Koi Aafat Pahonche Unka Baatil Aqeeda Aur Musthakam(Mazbut) hoga ki Deikho ye Kaam kiya tha is ka Ye Natiza huwa Aur Mumkin (he) ki Sheitaan Iske Dil me bhi Waswasa daale.
(Fataawa E Razwiya, Jild-23, Safa-266)

➤ Kya Ghar Badalne se Barkat Khatm ho Jati he…??

Manqul he ki Ek Shaksh HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Haazir huwa Aur Arz ki YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Hum Ek Makaan me rehte the, Is se Humaare Ahal wa Eyaal(Family) Kaseer(Zyada) Aur Maal Kasrat(Zyadati) se tha Fir Humne Makaan Badla Chunanche Maal Aur Ahal wa Eyaal Kam ho gaye, AAQA E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya ‘Chhodo.. Aysa Kehna Buri Baat he’.
(Adabul Duniya Wa Maawardi, Safa-276)
(Bad-Shuguni, Safa-36 & 71)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *